• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Nukar ya Raja

Froog

Active Member
556
2,320
123
Story read karne walo ki kami ho rahi hai lagta hai?
story age badhegi par review or hote to mujko bhi push milta ki jaldi se update likhu
जब राईटर स्टोरी बीच में अधूरी छोड़कर चला जाता है तो सीधी बात आगे भी मालूम नहीं बह फिर से छोड़कर तो नहीं चला जायेगा
एक बार स्टोरी बीच में छूट जाऐ तो दुबारा पढ़ने में बह मजा नहीं आता
वाकी आगे आपकी इच्छानुसार
 
  • Like
Reactions: Abhishek Kumar98

abhi09

Active Member
505
554
93
RAJA

update 1

kali raat main sunsan sadak par gadi teji se rat ke shante ko chirte hue aage ki aur bad rahi thi aur uske piche aur age jip main 4-5 log hatiyar ke shath aage bad rahe the

ki acchanak ek awaj se wo sannta tut gaya samne ki gadi ek tej jatke ke shath ruk gai tabhi car se ek robdar awwaj guni

- Ramu kya hua re yese ghadi kyu rok di tune koi janwar aa gaya ky samne
-

ramu( driver) - maaf karna thakur sahab par samne koi janwar nahi balki lagta hai kisi ki durgatna (accident) hua hai, sayad ek tanga ( ghoda gadi) hai, ult gai hai yesa lagta hai..

Ye baat sun kar ek 55-60 sal ka insan gadi se utra jo ki thakur hi tha

takur turant hi apni gadi se utre unke utrte hi sabhi log bhi utar gae

takur- bhima ye bhima are jara torch maar kar dekh koi hai kya ass paas, agar tanga yaha hai to koi hoga bhi usme aur tu apne saath 2-4 aadmi ko bhi le ga, aur dhyan se jara raat bahut hai, kahi koi jaharila kida na kat le tum sab ko


bhima- ji malik abhi dekhta hoon
, aur hum is baat ka dhyan bhi rakhenge chalo re mere saath


bhima ke bolte hi uske saath 4 log kheto main uthar kar idhar udhar dundne lage kyuki raat thi isliye sabhi ko time to lagna hi tha

tabhi 2 awwaj ek shath gunji

pahla- malik, malik, yaha ek aadmi pada hui hai saydh maar gaya hai

dusri awwaj bhima ki thi jo kuch hi duri par tha

bhima - malik ek aur mila hai par chora hai usko chot lagi hai par zinda hai sayad

takur - are to humko kya dekh rahe ho, bhima ramu jaldi se us chore ko gadi main lawo par aaram se kahi aur chot na lag jaye usko

fir ramu aur bhima ne ladke ko ghadi main laya ladke ki face tik se nahi dikh raha tha kyuki uska pura face khun se shana hua tha

takur - ek gadi yahi rok do aur police ko lash ki jankari dedo, dekho ghoda tik hai ya nahi
chalo ramu bahut chot lagi hai chora ko

fir ghadi teji se pass ke hospital pauch gai hospital

Thakur sahab ko dekhte hi nurse ne turant doctor ko khabar di aur koi paresani nahi hui kyuki hospital kudh thakur sahab ke pita ji ne banwaya tha

andar ladke ka ilaj hua tab tak takur sahab bahar hi cabin main idhar udhar ghum rahe the unkd chare (face) 😔 par chinta saaf dikh rahi thi

karib 1-2 ghanto ke baad doctor bahar nikle, aur unke nikalte hi thakur sahab


takur- doctor ab us ladke ki halat kesi hai, ab uski jaan ko koi khatra to nahi hai doctor


doctor - nahi takur sahab bas iswar ki kripa thi ki sahi time mae app usko hospital le aaye warna kuch bhi ho sakta tha par

aur wo bolte bolte ruk gaya jiske chalte thakur sahab unko dekhne lage doctor ke face se pata chal raha tha ki wo kuch bolna chahte hai par bol nahi rahe hai

thakur - ( todi chinta mae) - kya hua doctor koi paresani ki baat hai kya, agar koi baat hai to app humse kah sakte ho

doctor - ji takur sahab baat ye hai ki uska sarir to kafi haad tak majbut hai, jiske chalte sarir (body) par jada chot nahi aai hai par uske sir par bahut chot lagi hai aur khun bhi bahut bah gaya hai ab ye batana bahut mushkil hoga ki, iski wajha se uski yaaddaat par iska asar padega ki nahi, aur padega bhi to kitna

thakur-- hum apke, kahne ka matlab nahi samjh paye doctor

doctor - agar shida kahu to jab tak us ladke ko hose nahi aa jata main kuch nahi kha sakta hu thakur sahab

takur - accha tik hai, to ab uske hosh aane tak intjaar karna hoga

doctor - ji jab ham uska ilaj kar rahe the tab uske hath main naam guda hua tha ( jo pahle gawo main lagbhg har aadmi aurat ke sarir main godna hota tha) isliye ham is ladke ko raj kha sakte hai saydh yahi iska naam ho

takur- hmm tik hai

tabhi police ki ghadi bhi aa gai tab tak doctor apne cabin mae jaa chuke the

p officer - are thakur sahab namskar

takur- namskar aur kyu khabar kuch mila apko

police - abhi tak kuch nahi mila takur sahab ek to aj amavasa ki raat ke karan andhera bahut hai upar se aadmi bhi chuuti par hai isliye bahut paresani ho rahi hai par bhi hum puri kosis kar rahe hai

thakur - us lash ke bare mae kuch pata chala kya

p officer- nahi takur sahab abhi tak hamre hath kuch nahi laga kyuki us lash ka cahera ( face) puri tarah se ek patar ( ston) se takrakar lagbhg khatm ho chuka to bilkul pahchan nahi aa raha hai

thakur- kya lagta hai apko kya khun ho sakta hai

p officer - nahi thakur sahab khun nahi ho sakta kyuki ji tarha se tanga ke halat hai usse lagta hai ki ki badi gadi ne galti se tanga ko piche se takar mari hai dono log mhu ke bal gire, jis aadmi ki mout hui wo sidhe patar ke upar gira aur wo ladka todi ghans ki jagha par gira isliye bach gaya ab us ladke se hi baat karni hogi ab app ijajat dijiye to main doctor se mil kar ata hu

thakur - ji jarur

aur officer doctor ke cabin ki aur chal diya jaha doctor ne bhi usko wahi bataya jo thakur ko batya tha

p officer - kya main us ladke se mil sakta hu doctor


doctor - nahi kyuki medicines ki wajha se wo abhi nind mae hai apko subha tak intjar karna hoga

p officer- ok no problem ab subha bhi honi hai wali hai to tab tak intjar karna hoga tik hai

ab sabko intajar tha subha ka jab us ladke ko hose aaye
Nice start
 

abhi09

Active Member
505
554
93
update 2 (with intro)


Dhire Dhire Samya bit gaya aur subha hui sabhi ko intjar tha jis samay ka wo aa gaya tha tabhi doctor thakur se

doctor - thakur sahab app milne jaa rahe hai us ladke se

thakur - ha doctor kyu kya koi paresani hai

doctor - nahi thakur sahab paresani to nahi bass app se ek nivedan (request) hai

thakur - kesa nivedan doctor ye app kese baat kar rahe hai ajj

doctor - thakur sahab jab app us ladke se mile se pahle app apne dil aur dimag ko majbut kar lijiye aur apne app ko sambhala jarur

thakur - ye app kis tarah ki baate kar rahe ho doctor yesa kya hai us ladke main

doctor - bhima tum thakur sahab ke shath jawo andar, thakur sahab ko tumhari jarurat pad sakto hai, aur thakur sahab appke sare sawalo ka jawab andar jate hi mil jaega apko

fir thakur andar ki aur chale aur us ladke ko dekhne se pahle hi bhima se bole

thakur - bhima ye doctor kesi baat kar raha tha, are bhai bhima kuch bol
.
par bhima kuch nahi bola thakur sahab ne ek do baar awaj lagaya par bhima bilkul chup 😶 tha tab thakur sahab bhima ko hila kar

thakur - bhima ye bhima, kya hua re kha kho gaya sasure, bolta kyu nahi hai tu bhima

bhima (hosh mae aakar) - malik, malik wo samne.. samns..

thakur - samne kya samne bhima pata nahi wo doctor bhi yahi bol raha tha aur tu bhi yahi bol raha, samne are kya hai yesa samne

par jese hi thakur ne samne dekha to jese uski ankhe badj ho gai, aur wo samne bas ek tak dekhe ja rahe the, unki sanse lambi ho hai aur mano unki duniya ruk si gai ho yesa ho gaya tha kuch der ke liye unki jaban band ho gai par bhima jo ki ye sab dejh raha tha usko thakur sahab ki halat samjh mae aa chuka tha,

Tho bhima ne thakur sahab ke kandhe ko pakad kar unko kamre se bahar liya aur doctor ne unko apne cabin mae le gaye

doctor bhi ye jante the ki is samay thakur sahab ki kya halat hai isliye unhone pani ka glas age karte hue bole

doctor - pani pii lijie thakur sahab aur apne app ko shant kar lijiye, isilye mene apko wo sab kaha tha

thakur bhi normal hue aur, ek hi baar mae pura pani, ek hi sans main pi liya aur tode bhare hue gale se 😟


thakur - doctor ye to bilkul mere bete

aur thakur sahab age bol nahi paye kyuki unki ankhe bhar aai thi aur wo rone 😭 lage

doctor - main apki halat samjh sakta hu thakur sahab jub mene bhi pahli baar uska chahera ( face) dekha to main bhi chonk 😱 gaya kyuki ye bilkul hamare chote thakur jesa dikhta hai, fir yaad ayya ki mene to kudh hi unki antim yatra main samil hua tha

kudrat bhi ajib hai thakur sahab khate hai na ki, hamre jese chahre ke 7 aur log hai Duniya mae aur aj to 2 ko dekh bhi liya bas iski ankhe aur sarir chote thakur jese nahi hai

To chalo ab intro time 😎😎

1 dayal sing thakur - ek bahut hi robdar insan aur jesa inka naam use hi inki adat bahut hi naram dil ke insan hai jaha thakur sirf peso ke bukhe hote hai wahi ye sirf pyar aur ijat ke bhuke hai
dayal sing ke pass peso ki koi kami nahi ass pass ke 52 gawo ki 60% zamin inke parivar ki hai ek bahut hi acche insan bhi hai, 52 gawo mae koi yesa nahi jo inke samne sir na juka de par ye sir dar se nahi balki thakur ki ijat ke karan jukta hai
thakur ne na jane kitne hi gawo ke garib betiyo ki sadi apne dam par ki hai
age - 55 sal kyuki gawo main jaldi shadi ho jati hai isliye inki shadi 20 sal ki umr mae ho gai thi

2- santi sing thakur - ye hai thakur sahab ki dusri patni phali patni inki badi bahan hi thi par unki mout 2 baccho ko peda karne ke baad ho gai isliye thakur sahab ko haweli aur baccho ko samhalne ke liye jaldbaji main dusri shadi karni padi ye thakur sahab se 10 sal choti hai inki umr 45 sal hai par kyuki gawo se hai isliye sarir bahut hi bhara hua hai na jada moti na patli bahut hi kamal ki hai aur aadat bhi..


3 - bada beta veer sing thakur - ek sadhrn kad kati ke insan patle se par acche sabhva ke wakti ye ek plant jo ki sahar se bahar hai waha hai plant kudh ka hai ye jada tar gawo se bahar hi rahte hai age 35

ab app soch rahe honge ki maa aur bete ki umr main sirf 10 sal kar antar kese to bata deta hu 😎😎asal main thakur ke dono bete unki pahli patni se hai jub inke dono bete ki umr 9-10 sal ki thi jab thakur sahab ne dusri sadhi ki


4 badi bahu( veer ki biwi) saloni sing thakur - 30sal ki ek katil ankho aur patli kamar ki ek Khubsurat mahila jisko ek baar jo dekh le fida ho jaye jitni khubsurat utni hi shant aurat bina apne pati ya sas sasur ke aagya ke haweli ke bahar kadam nahi rkhne wali




IMG-20210419-WA0001

5 chota beta vikram sing thakur - ye 34 sal ky hai ye jada padhe likhe nahi hai kheti badi ki dekh rekh karte hai gawo main kheto main ek ghar hai jada tar ruk jate hai

6 choti bahu ( vikram ki biwi) - kamya sing thakur 28 sali ki katil mahila jesa nam wesa hi rup Jitna bolu utna sabd kam hai. Ek dam doodh jesigori. Susil bhi modern bhi. Nagin jesi kamar. Kale kale ankhe ek dam pataka hai inki ek bahut acchi adat hai ki ye kisi se bhi apni baat manwa leti hai



IMG-20210419-WA0000

beta ( mar chuka hai) - thakur raj sing - ye shanti ka ikluta beta tha par iski mout 18 sal main sanp ke katne se ho gai iski mout ke baad shanti devi bhi chup chap rahne lagi
jis ladke ko takur sahab ne hospital laya hai uski sakal lagbhag raj sing jesi hi thi


thakur sahab ki 2 betiya bhi hai jini sadhi ho chuki hai to unko abhi story mai role nahi hoga jub unki baari ayengi tab intro dunga

ghar ke log

bhima- ek anath jisko thakur sahab ne pala 35 sal ka


iski biwi kamla hawli main hi kaam karti ek chakti firti boom hai

ramu - ye thakur ka driver hai

baki aur logo ka intro kahani ke bich bich mae

Kamla


IMG-20210419-WA0002
Nice
 

abhi09

Active Member
505
554
93
Update 3

to pichle update main mene app sab ko thakur aur uske privar ke baare mae jankari di

thakur - doctor ye to bilkul mere bete aur age bol nahi paye kyuki unki ankhe bhar aai thi

doctor - main apki halat samjh sakta hu thakur sahab jub mebe pahli baar uska chahera ( face) dekha to main bhi chonk gaya kyuki ye bilkul hamare chote thakur jesa fir yaad ayya ki mene to kudh hi unki lash ke antim yatra main samil hua tha

kudrat bhi ajib hai thakur sahab khate hai ki hamre jese chahre ke 7 aur log hai dunya hai aur aj to 2 ko dekh bhi liya bas iski ankhe aur sarir chote thakur jese nahi hai

ab age

thakur sahab aur doctor ki baat chal rahi thi ki police officer cabin main aa gaye

p officer - maff kijiye ga thakur sahab par bahut samay ho chuka hai mujhe us ladke se uske bare main jankari bhi leni hai

thakur - isme mafi magne ki koi jarurat nahi hai officer ye to apka kaam hai chaliye main bhi apke shath chalta hu mujhe bhi janana hai ki wo kon hai

doctor - officer dekhiye main janta hu ki apko usse bate karni hai par mera request hai ki todi narmi barte kyuki abhi uski halat tik nahi hai

officer- no problem doctor main is baat ka dhyan rakunga


fir thakur officer doctor tino wapis room main gaye jaha ladka hosh mae aa chuka tha


ladke ki umr yahi koi 19-20 sal hogi, rang gora tha hight bhi lagbhag6 fit ke karib thi uske sir par ek moti patti bandi hui thi saath main dono kandho par bhi

officer uske bed ke samne kursi laga kar beth gaye

p officer ( tode pyaar se) - beta ab apko kesa lag raha hai koi paresani to nahi apko

ladka( todi dhimi awaj mae) - ji mujhe ab tik lag raha par mere sir main dard ho raha hai aur main yaha kyu hu aur app log kon hai

p officer - bete app is wakt *** hospital main ho kal raat apka accident ho gaya tha thakur sahab hi apko yaha laye hai, accha wo sab chodo aur ye batawo ki apka naam kya hai apka gawo apka pariwar

ladka( apne sir par hath rakhkar) - main kon hu mujhe kuch yaad nahi aa raha mera naam main main aahhh ahhh mera sir

doctor ( teji se) - nursh ek ***"injection turant lagao isko

nursh ne turant ladke ko injection lagaya aur kuch der baad hi ladka fir behosh ho gaya

doctor - sabhi log bahar, app sabhi se baat karni hai


sabhi log bahar gaye doctor thakur aur officer ke samne aa kar


doctor - jiska mujhe dar tha wahi hua thakur sahab sir main chot lagne aur jada khun ke bah jane ki wajha se wo apni pichli zindagi ke baare main sab kuch bhul chuka hai

p officer - ye accha nahi hua us bacche ke saath, par doctor agar usko baar baar apne dimag mae jor de to saydh

doctor - nahi officer apne dekha na usko abhi kya umr hogi bagwan ki kripa se wo is accident se zinda bach gaya par agar usne apne dimag par jada jor diya to ya to wo pagal ho sakta hai ya fir uski jaan ja sakti hai kya app ye chahte hai

p officer- nahi doctor mera wo matlab nahi tha balki ye tha ki akhir kab tak wo ladka hospital main rahega jub wo tik ho jaega tab uska kya hoga

doctor - yahi baat muje kal raat se paresan kar rahi hai officer abhi wo ladka ek khali kagaj ki tarha hai agar ye kisi galat aadmi ki sangat main chala gaya to

par thakur sahab kuch aur hi soch rahe the bahut Samya se aur shyad ubhone apna nirnay le liya tha


thakur- doctor kya is ladke ko hum apni haweli le ja sakte hain agar

doctor - isme koi agar magar wali baat nahi hai, thakur sahab main apse isi baat ke bare main puchna chahta tha aur rahi baat haveli ki to app ek kaam kare main ek nursh apke sath bhej deta hu jo us ladka ka khayal rakhegi shyad app sab ke sath rahne se wo jaldi tik ho jaye

doctor - accha tik hai thakur sahab main jara ladke ki hospital se chutti ke kagjat tayar karwata hu ijajat dijiye
aur doctor nikal gaye

p officer- accha thakur sahab ab main bhi police station niklta hu ab chuki ladka app ke ghar hi rukega to agar usko kuch bhi yaad aye to mujhe jarur khabar bijwa di jiyega

thakur - jarur jarur officer ap nichint rahe



ye baat piche bhima sun raha tha jub officer aur doctor gaye to wo thakur sahab ke pass aakar

bhima- malik agar apki ijajat ho to ek baat puchna chahta hu

thakur - puch bhima puch kya puchna hai

bhima- malik kya ek anjan ladke ko is tarha hawle le jana sahi rahega

thakur - bhima tu bhul gaya kya re ki jub hum tumko laye the to tu bhi anjana hi tha bas tujme aur us ladke main itna antar hai ki tuje appne bare main sab kuch pata tha aur us ladke ko kuch bhi nahi

bhima- maff karna malik par mera wo matlab nahi tha

thakur- isme maffi wali koi baat nahi hai bhima hum jante hai ki tu hamesa hi hamara aur haveli
ke baare main accha hi sochta hai

"ek baat yaad rakh chahe koi dharm mano ya na mano insanyat ka dharm hamesa mano"

acha ye sab chod aur gawo jane ki tayari kar



thakur ki hawli



to thakur sahab sare documents complete karke ladke aur nurse ke sath apne gawo ki aur nikal chuke hai

ab inko ghar ki aur ane dete hai aur main apko jo hai thakur niwas ke bare main jankari de deta hu
😎

To jesa ki sabhi log jante hai ki thakur jo hai rajao ke parivar se hai 😱😱aur isliye uska ghar bhi bahut bada hoga hi ghar nahi hum usko mahal bol sakte hain

ghar jo hai gawo ke sabse age bana hua hua ek choti si talab aur jisje pass ek choti nadi gujarti hai ghar charo aur se badi diwalo se gira hua hai samne ane ka sirf ek rasta hai ek bahut badi lohe ka darwaja wske , bad choro aur se sundar rang birange aur bade ped podge, ek sundar sa gardan hai jisne haveli ko chiro aur se gher hua hai ek bahut hi sundar sa fawra ( naam yad nahi aa raha jisse pani nikakta rahta hai 😭😭)

bhle hi haveli bahut purani thi par uskme sabhi tarah ki sudiya thi us ko hum ajj ka 5 star hotel bol sakte hain haveli ke kul 3 bhago the samne ek bahut hi sudar holl tha uske bagal main ek kitchen tha jisme chulhe aur ghes dono the

holl se lage do kamre the ek thakur thakuraine ka kyuki unki umr bad rahi thi to, sidya unke liye sahi nahi thi

dusra kamra bade beta bahu ka tha aur uske todi duri par ek aagan tha jaha tulsi thi aur sath ek bathroom bhi ( agr kabhi mehman aa jayr tho ya ghar mae kam karne walo ke liye)

second floor main bhi 3 room the jisme do room band tha ek room main chota beta bahu the

third floor - main totally 4 room the jisme 2 room thakur ki betiya ka tha ek room unke bete ka ( jo maar chuka hai aur uske baju mae ek room jo band tha

forth floor main chat aur ek chota stor room

haveli ke piche ek darwaja tha jiska upyog thalab ya nadi main jane ke liye karte the

(sorry gawo ka naam nahi batya gawo ka naam veer pur tha kyuki yaha ke raja ka naam veer pratap thakur tha is gawo ka dusra naam ann () pur bhi tha kyuki yaha aas paas ke kisi bhi dusre elake se jada ann peda hoti thi)



Haveli


IMG-20210419-WA0003
Very nice update bro
 
Top