Update 111
--------------------
Third Eye Computer Solution yani TECS ke head office me divya apne cabin me bethi kuchh files check kar rahi thi. aaj divya ka yaha pehala din tha. divya ne yaha managing director yani MD ki post join ki thi. office me aate hi divya kaam me bussy ho gai thi. usne saare employee, aur company ke current projects ke baare me jaankaari leni suru kar di thi. taaki aage kaam karen me use koi problam na ho. tabhi achanak uske office me ek ladki aai. use dekh kar divya boli
divya- kya baat he pooja????
pooja divya ki assistant thi. divya ki baat sunkar wo boli
pooja- mem... zoya mem is here.... aap ne kaha tha ki jese hi wo office aaye. aapko informe kar dun.
zoya is company ki CEO thi, pooja ki baat sun kar divya ke chehare par ek muskaan aa gai. usne turant poochha
divya- zoya mem is samay kaha he?????
pooja- wo apne cabin me just abhi abhi gai he...
pooja ki baat sunkar divya boli.
divya- theek he tum jao....
divya ki baat sunkar pooja baha se chali gai. jabki divya apni yaado me kho gai.
-------------------------------------------------------
kareeb 1 saal purani baat he. ghar par kul 4 log hi to the. monu divya, maa aur papa... monu apni duty par chala jata tha. papa ya to park me chale jate the tehalne ke liye, ya fir ghar par hi TV par news dekhte rehate the. jabki wo aur maa ghar ke baaki kamo me bussy rehate the. bese to ghar par kuchh khash kaam hota nahi tha. kyun ki ghar par sadashyon ki sankhya bese hi kam thi. isliye divya jyadatar ghar par bore hoti rehati thi. par usne is baat ka yehsash kisi ko bhi nahi hone diya tha. par ghar ke sadashyo ki najro se ye baat chhipi nahi thi.
monu aur maa ne use kai baar fir se koi job karne ke liye kaha tha. taaki wo apni padai likhai ka sahi prayog kar sake. aakhir kaar divya ne kuchh new orgnizations me job ke liye apply karna suru kar diya. ek din didvya TECS Pvt. Ltd. me interview dene gai hui thi. jaha uski mulakaat company ki CEO zoya se hui. zoya ne uska interview to nahi liya. bus kuchh personal sawal kiye aur use MD ki post offer kar di.
divya ko zoya ka ye vartav thoda ajeeb laga. upar se zoya ka bolne ka tarika. aur uski kuchh adate jaani pehchani lagi. isliye divya ne us wakt to wo job join nahi ki. par zoya ko is offer ke baare me soch kar baad me jabab dene ki liye bol diya tha, aur baha se chali aai thi. lekin iske baad divya ne kahi dushri jagah job ke liye try nahi kiya. kyun ki uske mind me baar baar zoya hi ghoom rahi thi. wo zoya ke baare me monu aur maa se baat karna chah rahi thi. par pata nahi kyun usne unse is matter par koi baat nahi ki.
fir ek din achank subhay subhay divya ne zoya ko apne ghar ke pass hi bane park me jaate huye dekha. divya ne chupke se uska peechha kiya to usne dekha ki zoya us park me papa yani uske sasur ji se milne aai hui thi. aur baha beth kar papa ke saath chess khel rahi thi. ye dekh kar divya soch me pad gai. tabhi achank uske man me ek vichar aaya. aur wo baha se seedhe ghar aa gai. aur jaldi jaldi taiyaar hokar TECS Pvt. Ltd. ke office me ja pahunchi. kuchh samay tak wait karne ke baad, akhir kaar uski mulakaat zoya se ho hi gai.
zoya- hello divya ji... kesi he aap????
zoya ki baat sunkar divya muskurakar boli.
divya- i am fine mem... aap bataiye aap kesi he????
zoya- i am also fine divya ji...
itna bolkar zoya is formalty ko yahi khatam kar ke, direct mudde ki baat par aate huye boli
zoya- to fir divya ji mai samjhu ki aap hamari company join karne ke liye ready he?????
zoya ki baat sunkar divya muskurate huye boli
divya- filhaal mene iske baare me kuchh socha nahi he. bese mai soch rahi thi ki aapke jesi behtreen CEO hone ke baad bhi, aapko ek MD ki kya awashyakta he??? jabki aap ashani se saare kaam handle kar sakti he. bese bhi aapne itne kam samay me is company ko itne bade mukaam tak pahuncha diya he. itne kam samay me itna sab kuchh karna. lagbhav namumkin he. par aapne kar dikhaya.
divya ki baat sunkar zoya bhi muskurakar boli
zoya- haan tum sahi keh rahi ho. itne kam samay me ye sab karna bahut muskil he. par ye sab meri nahi balki mere employees ki mehanat ka natija he. ye company pesa kamane ka koi jariya nahi he. ye to ek parivaar he. aur yaha ke saare employee is parivaar ke sadashya. meri sucess ke peechhe mere parivaar ka hi haat he.
zoya ki baat sunkar divya boli
divya- achchhi soch he aapki zoya ji.... par keval yahi aapki safalta ki bajah nahi ho sakta. isme aapki kabiliyat aur aapki yogyata bhi maayne rakhti he. par ab tak aapne mere prashn ka uttar nahi diya, ki aakhir aapko apni company ke liye MD ki awashyakta kyun he???? jabki bina MD bhi aap company ko achchhe se manage kar rahi he
divya ki baat sunkar zoya muskura huye boli
zoya- actually me divya ji is company ke alawa bhi mere kai aur projects he. isliye mai aksar travel karti rehati hun... jis bajah se mai yaha poora time nahi de sakti hun. bus isliye mujhe laga ki agar aapke jesi ek kabil MD is company ko manage kare, to wo na keval is company ke liye balki mere liye bhi behatar he.
divya- par aapne to interview ke douran meri kabiliyat se related ek bhi sawal nahi kiya tha. aur na hi aapne mera resume sahi se check kiya tha. fir aapko meri kabiliyat kaha se dikh gai.
zoya- kisi inshan ki kabiliyat parakhne ke liye uski digree hi kaafi nahi hoti divya ji. inshan ko parakhne ka mera khud ka ek tareeka he. aur mai aaj tak usme fail nahi hui hun. mujhe yakeen he ki mene aapke baare me jo ray banai he. uspar aap khadi utrengi.
divya- ye to aapko tab pata chalega jab mai ye job accept karungi. bese filhaal mera yesha koi irada nahi he. agar aap chahe to kisi aur ko MD apoint kar sakti he.
divya ki baat sunkar zoya hairaan hote huye boli
zoya- agar aap yaha join karne nahi aai he. to aakhir aapka yaha aane ka kya karan he.
zoya ki baat sunkar divya ne apne hand bag se ek chess board nikala, aur samne table par rakhte huye boli
divya- mai yaha aapke saath chess khelne aai hun zoya ji.... mene suna he ki aap chess me mastar he... to socha kyun na mai bhi aajma kar dekh lun.....
divya ki baat sunkar zoya chonk gai... aur fir thoada gussa hote huye boli
zoya- ye sab kya majak he divya??????
divya ko zoya se yese hi reaction ki ummeed thi. par zoya ke reaction ka uspar koi asar nahi hua. aur wo muskurate huye boli
zoya- are are aap to naraj ho gai lagti he.... chaliye agar aapko mere saath chess nahi khelna he to koi baat nahi. par meri ek baat ka jabab to de dijiye ki aap yaha se kaafi door ek chhote se park me, aakhir kiske saath chess khelne jaati he???? aakhir us inshan se aapka kya rista he????
divya ki baat sunkar zoya hairaan reh gai. use samajh me hi nahi aaya ki wo kya jabaab de. par jald hi usne apne aap ko niyantrit kiya aur gusse me boli
zoya- tum ye sab kya bakwash kar rahi ho divya?????
zoya ki baat sunkar divya bhi thoda sakht lehaje me boli
divya- ye bakwash nahi balki hakikat he zoya ji.... aaj subhay mene khud aapko mere ghar ke pass ek park me chess khelte huye dekha he. aur maje ki baat to ye hai ki aap jiske saath chess khel rahi thi. wo aur koi nahi balki mere father-in-law he.
divya ki baat sunkar zoya ko saari baat samajh me aa gai. aur is baar wo divya ko taalne baale andaaj me boli
zoya- so what????? mai nahi janti wo kon he.... mai to yun hi ek park mai gai thi, mujhe nahi pata tha ki tumhara ghar bahi pass mai hi he. baha park me mujhe ek uncle bethe dikhai diye to mai unke saath chess khelne lagi. mai nahi janti thi ki wo kon he????? aur unse tumhara kya relation he???? its not a big deal divya.... is baat ka koi issue banane ki awashyakta nahi he. fir bhi agar is baat se tumhe heart hua he to i am sorry... aaj ke baad mai fir kabhi us park me nahi jaungi...
divya lagataar zoya ko hi dekh rahi thi. jab zoya shant hui to divya muskurate huye boli...
divya- no no... uski awashyakta nahi he zoya ji... aakhir mai aapko kisi bhi jagah jaane se ya kisi ke bhi saath chess khelne se kese rok sakti hun. aur na hi mera irada yesa kuchh karne ka hai. mai to bus aapke is chehare ke peechhe chhipe aapke asli chehare ko jaanne aai thi. jo ki mai jaan chuki hun... i am sorry... aapka keemti samay barwad karne ke liye zoya ji.
itna bolkar divya uthkar jaane lagi.. jabki zoya abhi bhi divya ki baato ka arth samajhne ki kosis kar rahi thi. par divya jese hi gate ki pass pahunchi, wo zoya ki taraf palat kar boli
divya- bese apni "jethani" ka swagat karne ka ye achchha tareeka he "nisha di"....
divya ki baat sunkar zoya ka chehara safed pad chuka tha. isse pehale wo kuchh bol pati divya bahar nikal chuki thi. divya ke bahar jaate hi zoya ko hosh aaya. wo dod kar apne cabin se bahar nikli aur jor se divya ko awaj lagate huye boli
zoya- divyaaaaaa..... please 2 minute ruk kar meri baat to sun lo....
divya abhi jyada door nahi gai thi. aur zoya ke cabin ke bahar is wakt koi aur moujood nahi tha. isliye zoya ki awaj sunkar divya ruk gai, aur palat kar boli
divya- mai 2 minute kya, mai to saari zindgi aapki baat sunne ke liye taiyaar hun... par mai zoya se nahi balki aap se milna chahati hu nisha di.....
divya ki baat sun kar zoya kuchh der khamosh rahi. aur fir kuchh sochte huye boli
zoya- theek he... andar aa jao....
itna sunte hi divya dod kar zoya ke gale lag gai... aur bachcho ki tarah khush hote huye boli
divya- oh thank you.... thank you.... thank you.... nisha di.....
aur jab divya zoya se alag hui, to uske saane zoya nahi balki nisha khadi hui thi... zoya ka yun achank nisha ban jana divya ke liye hairaan karne bala tha... nisha divya ke man me chal rahe sawalo ko samajh gai. usne divya ka haath pakda aur use lekar apne cabin me aa gai. nisha ke cabin me jaane ke baad dono kaafi der ak ek dushre se baate karte rahe.
nisha ne apne baare me divya ko wo sab kuchh bata diya jo divya janna chahati thi. aur divya ne nisha ko wo sab bataya jise janne ke liye nisha bekarar thi.... us din ke baad divya aur nisha kai baar ek dushre se mile... lekin nisha ke kehane par divya ne is baat ki bhanak kisi ko bhi nahi lagne di thi. wo sabke saamne yese vartav karti thi, jese use kuchh pata hi na ho...
ye sab ab tak chalta raha. par jis din jiya renu se milne uske office gai thi. us din divya ko ye yehsash hua ki ab baat bahut aage bad gai he. isliye usne jiya, ajju aur maa ko unki galti ka yehsash karwaya. aur finally nisha ki company TECS pvt. Ltd. as a MD join kar li, taaki wo nisha ke saath jyada se jyada samay bita sake. aur use bapis aane ke liye mana sake...
par ab tak usne nisha ko renu aur vikash ke baare me kuchh bhi nahi bataya tha. kyun ki use dar tha ki kahi saari baat jaankar nisha gusse me aakar koi galat kadam na utha le. par ab chunki baat sabhi logo ko pata chal hi gai thi. aur vikash ne aakar sabke saamne apni galti bhi maan li thi. isliye divya ne tay kiya tha ki aaj wo nisha ko renu aur vikash ke baare me poori baat bata degi.
------------------------------------------------------
divya abhi apni soch me hi gum thi, ki tabhi baha nisha aa gai. lekin divya itni gehari soch me thi ki nisha ke aane ka yehsash use nahi hua. par tabhi achank se use nisha ki awaj sunai di
nisha- are kin khyalo me gum ho jethani ji?????
nisha ki awaj sunte hi divya apne hi khyalo se baahar aa gai. aur chonkte huye boli
divya- haaannn.... kyaa..... oh shit yaar......
divya ko yun hadbadata dekh kar nisha divya ke maje lete huye boli
nisha- mene kaha jethani ji namaste......
ek baar fir nisha ki awaj sunkar divya poori tarah se apne hosh me aa gai, aur turant khade hote huye boli
divya- oh sorry sorry sorry nisha di..... mai khud hi aapke pass aane baali thi... abhi abhi pooja aapke baare me mujhe bata kar gai he.....
divya ki baat sunkar nisha muskurate huye boli
nisha- to kya hua???? lo mai khud hi aa gai.... ab agar jethani sahiba ki agya ho to mai beth jaun
ek baar fir nisha ki baat sunkar divya thoda hadbada gai... par jald hi samhal kar boli
divya- oh i am sorry nisha di.... please betho na...
divya ki baat sunkar nisha muskurate huye beth gai. aur fir divya bhi apni chair par beth gai. kuchh der ki khamoshi ke baad nisha ne hi baat ki suruaat ki
nisha- to fir kesa raha aaj ka din....
nisha ki baat sunkar divya muskurate huye boli
divya- bussy..... mai aaj sabhi employee ka data aur current projects ki files check kar rahi thi. bese to mai lagbhag sabhi employees se mil chuki hun, par kuchh employees yese bhi he jinse meri mulakat nahi ho paai he. aur unke record se pata chala he ki wo jyadatar office bhi nahi aate he.
divya ki baat sun kar nisha muskurate huye boli
nisha- tum shayad gagan, priya, kapil, sonal aur ikram ki baat kar rahi ho????
nisha ki baat sunkar divya hairani se use dekhte huye boli
divya- aapko kese pata????? oh shit yaar.... mai to bhool hi gai ki aap mera maind read kar sakti ho...
ek baar fir divya ki baat sunkar nisha muskurate huye boli
nisha- nahi.... mai bahut jayada awashyakta padne par hi kisi ka maid read karti hun. is wakt mene tumhara mind read nahi kiya he. mene to bus andaja lagaya he. kyun ki ye 5 hi yese he jo yaha kam hi aate he.
divya- to fir hum inhe....
divya ki baat poori bhi nahi ho pai thi ki nisha ne use beech me hi rok diya
nisha- nahi iski koi jaroorat nahi he. ye hamari company ke sabse kabil employee he. humari company hardware aur software dono hi field me kaam karti he. mai aur priya software ka kaam dekhte he. jabki gagan, kapil aur sonal hardware ka department handle karte he. ye log apne apne kaam me best he. par ye sabhi log mere dushre projects me bhi bussy rehate he. jiski bajah se ye log bhi meri hi tarah aksar travel karte rehate he. kul mila kar itna samajh lo ki mene hi inhe regular office na aane ki permission de rakkhi he.
nisha ki baat sunkar divya kuchh der sochti rahi, aur fir boli
divya- 4 logo ka to mujhe samajh me aa gaya. par ikram.....
divya ki baat sunkar nisha muskura kar boli
nisha- ikram mere chhote bhai ke jesa he, ek tarah se wo is company ka co-partner he. uska kaam hamesha mere saath rehana aur meri suraksha karna he. par ab tak use iska mouka hi nahi mila. ulta mai hi use musibato se bachati rehati hun. par fir bhi wo bahut kaam ka he. dheere dheer tum bhi sab samajh jaogi. baaki charo se to filhaal tumhari mulakat nahi ho sakti. par ikraam se tumhari mulakat aaj ho jayegi. bese wo aata hi hoga koi nai sikayat lekar apni zoya appi ke pass.
nisha ka itna kehana tha ki achanak se office ka gate khula aur ikram andar aate hi huye bola
ikram- zoya appi aap yaha he aur mai aapko apke cabin me dekhta fir raha tha....
ikram ki awaj sunkar nisha jese hi peechhe palti, ikram use uske vastavik roop me dekh kar hairaan reh gaya.