• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,980
116,166
304
Awesome update
Update 029
----------------------------


agle din subhay sabse pehle jagne baala ajju hi tha. jab ajju ki ankh khuli to subhay ke lagbhag 5 baj rahe the. ajju uthkar sidha bathroom me chala gaya aur lagbhag adhe ghante baad wo upar teris par betha hua ashmaan ko nihar raha tha. ajju ko hamesha se hi jaldi utha kar ugte huye suraj ko dekhna achchha lagta tha. par pichhle kuchh samay se uski jindgi ne jo karwat badli thi use moka hi nahi mila. aaj chuki ajju ke paas koi vesiesh kaam nahi tha is liye wo apne purane dino me kho gaya.

subhay ki taji hawa me use ek ajeeb sa sukoon mil raha tha. wo bahi betha betha apne purane dino ke baare me soch raha tha. ashmaan is samay surkh lal tha jo use apne gao ki yaad dila raha tha. kitna khush rehta tha wo baha. kuchh bhi nahi tha fir bhi khush tha. aur aaj sab kuchh he par khushi nahi he. kai riste pichhe chhut gaye kai naye riste bane. achhe bure kai tarah ke anubhav huye.

ajju bas kuchh isi tarah apni socho me betha hua tha. use pata hi nahi chala kab nisha baha aakar uske bagal me beth gai. nisha ye dekh kar kaafi hairaan hui ki ajju ne uspar dhayan hi nahi diya. agle hi pal wo samajh gai ki ajju kisi soch me dooba hua he. use sararat sujhe aur ajju ke ekdum kaan ke pass jakar jor se boli

nisha- kya soch rahe ho bhai

nisha ki is harkat se ajju hadbad gaya jabki nisha uski halat dekh kar jor jor se hasne lagi. jab ajju ko samajh aaya hua kya hai to wo bhi muskura diya

ajju- di aap kab aai

nisha- jab tum apni socho me khoye huye the. cofee lai thi tumhare liye par dekha tum room me nahi ho to teris par aa gai tumhe dhundte huye. yaha aakar pata chala janab pata nahi kis duniya me khoye huye he.

ajju- bo subhay jaldi ankh khul gai thi to yaha aakar purane din yaad karne laga tha.

nisha- ha ha wo to mai dekh hi rahi hu. to fir ab kya program hai

ajju- matlab

nisha- matlab aaj kya kar rahe ho. agar kuchh kaam na ho to mere saath market chalo kuchh shoping karni he.

ajju- shoping wo bhi aaj. aaj to holiday bhi nahi hai. kya aaj college nahi jaogi

nisha- nahi college ki 5-6 din ki chuttiya he. hamare college se aaj ek tour ja raha he wild century me 5 din ke liye jungal hunt par. mai bhi bahi usme ja rahi hu. uski ke liye kuchh shoping karni he. mammy papa se pehle hi permission le li thi.

ajju- kya???? jungle me nahi!!!!! aap nahi ja sakti

nisha- kya matlab mai nahi ja sakti

ajju- dekho di aap par khatra bana hua hai. wo kidnepers bhag gaye the. aur bo bhi junle ki taraf hi gye the. upar se chief bhi ham par najar rakkhe huye he. baha to uske paas poora moka hoga. nahi mai aap ko yu akele nahi jaane dunga.

nisha- to tu bhi chal sath me

ajju- mai??? mai kya karunga baha bese bhi ye aap ke college ka tour hai mai kese jaa sakta hua.

nisha- uski tension mat lo mai principal se baat kar lungi

ajju- par yesha bhi kya jaruri hai baha jana, i am sure agar chacha-chachi ko kal ki ghatna aur chief ke baare me pata hota to aap ko bilkul permission nahi dete. mai abhi baat karta hu un se.

nisha- nahi ajju tumhe meri kasam tum unhe kuchh nahi bataoge

ajju- ye to had ho gai har baat par kasam. thik hai nahi bataunga par aap kahi nahi ja rahi ho

nisha- mai to jaungi hi, ab agar tu chal raha hae to bata nahi to mai akele to bese bhi ja rahi hu.

marta kya nahi karta ajju ko nisha ki baat manni hi padi

ajju- thik hai par aap baha mere aas pass hi rahogi

nisha khuss hote huye

nisha- pakka

aur fir wo phone par apne principal se baat karne lagti he. kuchh der baad...

nisha- principal ne permission de di he, ab jaldi karo bahut saari taiyari karni he.

ajju- mai to ek dum taiyaar hu chalo kaha jana he.

lagbhag 3 baje sabhi log collehe me ikatthe the. 50 kelagbhag ladke ladkiya tour par ja rahe the. unke saath college ke kuchh staff members bhi ja rahe the. baki students aur staff menber 5-6 din tak chuttiya manayege.

college me schedule ke baare me bataya ja raha tha. yaha se sidha jungle me jayege jaha ek achhi si jagahdekh kar camp lagaya jayega. baha tak jaane ke liye school ki 2 bus ja rahi thi. un logo ke sath sclool ki taraf se security ka bhi intjam kiya gaya tha. aur guide ka bhi intjam kiya gaya tha. aaj camp lagane ke baad agle 5 din jungle me ghumne ka plane tha. taaki nature ko ek dam pass se dekha ja sake. college ki taraf se camp ki poori byabastha ki gai thi.

nisha aur ajju jab ek sath coleege pahuche to sab ki najar un par hi tik gai. jaha nisha tight jense aur t-shirt me ek dum hot lag rahi thi bahi ajju bhi kisi hero se kam nahi lag raha tha. jyadatar ladke ajju se jal rahe the, aur nisha ko dekh kar aahe bhar rahe the. jabki kuchh ladke nisha ko dekh jungle me chance maarne ke liye plane kar rahe the. bahi dushri taraf ladkiya bhi pichhe nahi thi wo bhi ajju ko dekh kar nisha se jalne lagi thi

ajju ko ek saath sabhi ki feeling mehsoos ho rahi thi use bada ajeeb lag raha tha. nisha ko dekh kar uski friends ne use haat hilakar wish kiya to nisha unki taraf bad gai. jabki ajju bahi door khada raha. ek to sabhi logo ki mili juli feeling se ajju paresan tha upar se yaha ke sabhi log uske liye ajnabi the. wo to kisi ko janta bhi nahi tha. is liye usne nisha par hi apna dhyaan lagana suru kar diya.

nisha apne saheliyo ke pass pahuchi

purvi- hi nisha kesi ho??? mujhe to yakeen hi nahi ho raha tum sath chal rahi ho. tumne to jaane se mana kar diya tha fir yu achanak???

nisha- bas yese hi dil kiya to aa gai

riya- ye handsome kon he tere saath???

nisha- friend hai mera tujhe kya????

riya- friend ya boye friend?? hun??? tu to badi chupi rustam nikli. ham to samajhte the ki tu in sab mamlo se door hi rehti hai. aur aaj achanak apne boyfriend ke saath jungle trip. kamal hai yaar.

nisha- yesha kuchh nahi he. bo mera achchha dost he kebal.

purvi- to fir mai kuchh try karu???? haay kitna hansome he.

purvi ki baat se nisha ko gussa aa gaya usne achanak purvi ki kalaai jor se mador di aur boli

nisha- usse tum log door hi rehna, aur apne latke jhatke agar uske saamne dikhaye ya koi yesi besi harkat ki to mujh se bura koi nahi hoga.

nisha ka ye roop dekh kar uski saheliya seham gai. aaj pehli baar unlogo ne nisha ka ye roop dekha tha. nisha khud bhi hairan thi ki aaj use akhir ho kya gaya he. achanak use mehsoos hua koi un logo ki baate sun raha he. nisha baha se sidha ajju ke paas pahuchi aur use ek side le gai jaha koi nahi tha

nisha- ajju plz stop this nonsence

ajju- kyu kya hua??

nisha- tum mera dimag padna ban karo

ajju- nahi to mene to kuchh nahi kiya

nisha- itni murkh nahi hu mai. tum jo kar rahe the kuchh din pehle mai bhi kiya karti thi. par tumne mere aur apne bich me parda daal rakkha hai. jab tum apne dimag ko mujhe padne nahi de sakte to mera dimag padne ka bhi koi adhikar nahi hai. kyu khula nahi chod dete apne dimag ko

ajju- sorry di ab nahi padunga aap ka dimag ok fine

nisha- oh come on bhai meri baat ka jabab dene ki bajah tum guss ho gaye.

ajju- aap nahi samjhogi ki kyu maine apni dimag ki tarango ko rok rakkha hai

nisha- jab tak tum samjhaoge nahi mai kese samjhungi

ajju- kya frak padta hai mere vichar padne se. mai har baat bese bhi aap ko sach sach bata deta hu.

nisha- farak padta hai tabhi to bol rahi hu

ajju- aap achhi tarah se jaanti hai mere sarir me aprodics ki kitni jyada matra hai. wo mujhe har wakt uttejit rakhti he. uska ashar meri soch par bhi padta hai. pehle ki baat alag thi. aap jaanti ho mai suru se hi maryadao me me bandh kar rehna pasan karta tha. meri soch bhi hamesha vese hi rehti thi. par jab se wo jehar mere sarir ka hissa bana hai mere vichar meri maryadao ko baar baar dodne ki kosi karte hai. mai nahi chahata hu ki aap mere dimag ko pad kar un gande vicharo ko jaane aur mere baar me koi galat raay banaye.

itna bolte hi ajju ki ankho me anshu aa gye the. jabki nisha ka bhi kuchh yahi haal tha.

nisha- nahi yesha kabhi nahi hoga. kya mai itni murkh hu jo itna bhi nahi samjhugi. aur kon kehta hai ki tumhare vichar tumhari maryadao ko todne ki kosis karte hai tum ne jo kiya wo is ka saboot hai ki tum aaj bhi apni maryadao ke pakke ho. ha ye baat alag he ki tumhare vicharo me kabhi kabhi parivartan aa jata hoga. par usse mujhe koi farak nahi padta. aur tum aapne aap par baar baar yu guilty feel karna band karo. is that clear

ajju- jee di

nisha- thik hai ab mai kabhi tumhe nahi kahungi. jab tum apne aap ko mansik roop se taiyaar kar loge to khud hi apne vicharo ke bich me dale huye parde ko khud hi hata dena. bese tum mera dimag kyu pad rahe the.

ajju- wo mujhe yaha sabhi ke mile jule vichar mil rahe the. bade ajeeb ajeeb aur gande gande vichar mil rahe to. aur mai kisi ko janta bhi nahi hu to mene socha ki aap ke dimag ko pad kar sab ke baare me jaanne ki kosis karu

nisha- hum to ye baat hai, wo to tum mujh se bese hi poochh lete mai bata deti. khair chodo koi baat nahi ab to sabko jaan gaye hoge tum

ajju- kaha usse pehle hi aap logo ki baatchit suru ho gai to fir mai

ajju ki baat sun kar nisha ne gussa hone ka dikhaba kiya

nisha- ajjjuuuuu!!!! ye galat baat hai. tumhe yesha nahi karna chahiye tha. ek ladki ki bhi kuchh maryada hoti hai. kuchh baate yesi hoti hai jo ladkiya kabhi bhi ladko se share nahi karti khash kar apne bhaiyo se to kabhi nahi

ajju- par mai aap ka bhai kaha hu mai to friend hu

ajju ne ye baat itni masoomiyat ke saath kahi thi ki eak pal ke liye to nisha ko hanshi aa gai, par agle hi pal fir wo gussa hone ka dikhava karte hoye boli

nisha- ajjuuuu, matlab tum ne sab sun lia

ajju- baat hi itni intresting ho rahi thi to mai apne aap ko rok nahi paya, by the way aap ne un logo ko sach kyu nahi bataya ki mai aap ka bhai hu. ye dost batane ki kya jarurat thi.

nsiha- uski do bajah thi. pehli to tum samajh hi gaye hoge purvi ki vicharo se. socho jab mene kebal tumhe friend kaha to bo tum par line marne ki sochne lagi aur agar mai tumhe bhai batati to fir to baki sab bhi tum par toot padti.

ajju- aur dushri

nisha- mera koi boye friend nahi hai aur na hi mera in sab mamlo me koi intrest hai. tumhe yaha koi nahi janta. is liye tumhe apne friend batane me mujhe koi dikkat nahi hogi

ajju- par kyu?? isse kya farak padta hai

nisha- ladke haath dhokar mere pichhe pade rehte hai, kaiyo ko mana kar chuki hu kaiyo ko fatkar bhi chuki hu par natija bahi dhak ke teen pat. koi asar nahi hota. ab agar mai tumhe sabke saamne apna dost bataungi to atleast unko ye baat samajh me to aayegi ki yaha no entry hai. upar se tum unsab ladko se jyada hansome ho. to kuchh to saram ke maare hi pichhe hat jayenge.

itna bolkar nisha khilkhila kar hansh di, ajju bhi muskuraya par fir agle hi pal bola

ajju- hum dushri baat to mai samjh gay par pehli baat abhi bhi samajh me nahi aai

nisha- kya? kya samaj me nahi aaya

ajju- yahi agar aap ki friends mujh par line maare to usse kya parak padta hai

nisha- mujhe nahi pata

ajju- aap ko pata hai par aap batana nahi chahati. halaki mai ye baat apne tarike se jaan sakta hu apr mai aap ke muh se sunna chahata hua.

ajju ki baat sunkar nisha ne ek gehri sansh lee aur bhir kaha

nisha- bhai mujh bastav me nahi pata kyu par mai sayad tumhare liye bahut passasive hoti ja rahi hu. koi ladki jab tum se baat karti hai to mujhe achchh nahi lagta. pata nahi kyu. jabki mai dil se chahati hu ki tumhari jindgi mai koi achchhi ladki aaye. tumhe is samay vastav me ek jeevan sathi ki jarurat hai. par fir bhi pata nahi kyu. sayad jiya ka yu achanak jana me sehan nahi pai hu. pehale mai jiya ke liye chinta karti thi ki wo tumhe lekar itni insecure rehti hai par ab sayad mai bhi kuchh kuchh besi hi hoti ja rahi hu. mujhe sayad kuchh aur samay lagega is situation se nikalne mai.

ajju- aap kuchh kuchh nahi aap bilkul jiya ki tarah hoti ja rahi hai

nisha- matlab?????

ajju- matlab kuchh nahi, drop this topic, bese ab ye to batao agar koi mujh se aapke baare me poochega to mai kya kahunga

nisha- bol dena ki tum mere hi gao ke ho aur delhi me rehte ho kisi kaam se yaha aaye the. aur ham dono bachpan se bahut achchhe dost hai. aur ha plz mujhe yaha di mat kehana barna poora bhanda foot jayega.

ajju- thik hai di

nisha- oh god fir di tum mujhe nisha nahi bol sakte kya bese bhi ham same age ke hai

ajju- par aap mujh se pure 1 ghanta 45 minute aur 40 second badi hai. to mai aap ka naam kese le sakta hu

ajju ki baat sun kar nisha chid kar boli

nisha- haan haan jab hum peda huye tab tu to jese ghadi haat me lekar yahi check kar raha tha, bakwash karta he

nisha ke is tarah chidne se ajju ko maja aa raha tha is liye wo fir bola

ajju- par di par di pehale to aap paida hui thi fir mai hua tha, ab maa ke pet me mai kese ghadi dekha sakta tha,

ajju ki is bematlab baato se nisha ko gussa aa raha tha

nisha- oh bhai stop this none sece, and call me only nisha

ajju- par mai aapka naam kese le sakta hun

nisha- oh come on bhai its not a big deal. koi farak nahi padta. plz mere liye itna bhi nahi kar sakta.

ajju- kar to sakta hu par jab aap mujhe itne payar se bhai bolti ho to mai bhi apne aap par controll nahi rakh pata aur mere muh se di nikal jata he.

nisha- mai dhyan rakhungi ab se mai tumhe nam se hi bulaungi ok

ajju- ok nisha ji

ajju ne ye kuchh is tarah se kaha ki dono ki hanshi chhut gai.

ajju- bese nisha kuchh ajeeb lag raha he. lagta hai adat dalne ke liye nisha nisha nisha ka mantra jap karna padega. ye kuchh aur kahu jese na se nakchadi

ajju ne ek bar fir nisha ko chheda to nisha bhi jhoot moot ka gussa hone ka dikhava karne lagi

nisha- ajjjjuuu tum bahut gande ho chalo hato mai tum se baat nahi karti

itna bolkar nisha muh fer kar khadi ho gai

ajju- are suno to nisha kya hua mai to majak kar raha tha

nisha- nahi mai tum se baat nahi karungi ye bhi koi nam hua nakchadi.

ajju- are nisha suno to

ajju ne itne pyaar se kaha ki nisha turant palat kar ajju ke seene se lag gai aur uske seen par marte huye

nisha- tum bahut gand ho ha nai to

itne me nisha ki friends bhi use dhundti hui aa gai

purvi- wah wah kya schene hai, ham se kaha ki kebal dost hai aur yaha kuchh aur hi najara hai

purvi ki awaj sunte hi dono jhat se alag huye

nisha- tum log yaha kya kar rahi ho???

purvi- bese to ham tumhe ye batane aaye the ki bus jane bali hai par ab yaha aa hi gaye he to soch tumhare dost se introdection hi kar le.

nisha- oh god chalo ajju jaldi barna bus nikal jayegi

purvi- are yesi bhi kya jaldi he ham to varma sir ko bol kar hi aaye he ki tumhe lekar aate hai. wo wait kar lenge. pehle intro to kar do

ajju- miss purvi ab to hame 5 din sath hi rehna hai intro to ho hi jayega. bese bhi yu intro me bo maja kaha bus me betha kar tasalli se sab ka intro kar lenge.

purvi hairani se

purvi- tumhe mera naam kese maloom

nisha- wo wo mene bataya, hai na bhaaa.....

itna bolte bolte achanak nisha ruk gai, use yaad aaya ki wo ajju ko bhai kehane baali thi, aur agar bol deti to uska bhanda foot jata, par sahi samay par wo samhal gai, aur baat ko palatte huye boli,

nisha- are baba abhi to chalo chale jaldi se, nahi to sir ki dant padegi

itna bolkar nisha lagbhag ajju ko khinchte huye aage bad gai ajju ne nisha ki sabhi frienda par ek najar dal kar halki smile di aur nisha ke sath chal diya.

nisha ke college ne jungle paas hi tha is liye yahi koi 3-4 ghante me ye log jungle ke ek dum bich moujood the. in longo ke saath 2 basho ke alaba 2 loading gadiya bhi gai thi ji me sabhi logo ka saman, tent lagane ka saman aur rasan rakkha hua tha.

saam ko lagbhag 7 baje un logo ne ek jagah deside ki jaha camp lagaya ja sakta tha. ye kaafi bada maidani ilaka tha. aur paas hi ek choti se nadi thi. jo ki water wall ki bajah se ban gai thi, jaha in logo ne camp lagaya tha baha se pedal chalne par 20 minute ki doori par water fall tha.

gadiyo se saman utar liya gaya tha. aur is samay camp lagane ka kaam chal raha tha. 50 student, 4 teachers, 10 security gaurd, 2 guide aur 4 drivers milakar kul 70 log baha moujood the. sabko varma sir lead kar rahe the. jo ki college ke principal bhi the. unhone do group bana diye the. pehle group ka kaam raat ke khana banana tha jisme 10 log samil he. aur baki log tambu gadne me laga diye the. chuki camp me ladke ladki sabhi log samil the is liye 2 femail aur 2 male teachers the.

jald hi chote bade kul milakar 20 tambu laga diye gaye the. par yaha varma sir par thodi si chuk ho gai. kyu ke tambu lagte hi students ne tambuo par kabja karna suru kar diya. be log group me apne apne dosto ke sath set ho gaye aur dekhte hi dekhte kulmilakar 12 tambuo me un logo ne apna saman set kar liya. ab kebal 8 tambu bache the jisme 5 chote tambu aur 3 bade tambu bache the.

varma sir ne unme se 2 bade tambu security gaurd ko aur 1 bada tambu drivers ko de diya tha. baki chote tambu me se 1 tambu guide ko 1 tambu femail teacher ko aur 1 male teacher ko jisme wo khud rukege alot kar diya. 2 tambu abhi bhi bache huye the. varma sir ne un me rashan aur baaki saman rakhne ke baare me deside kar liya tha.

jabki dushri taraf 2 group jo khana bana rahe the usme ajju nisha dono female teachers aur kuchh security gaurd samail the khana bana rahe the. ajju aur nisha late hone ki bajah se staff ke saath hi bus me gaye the. raste me ajju ne sabko apna introduction de diya tha. sabhi log ajju se kafi prabhabit the.

be log khana banane me bussy the unhe pata hi nahi chala ki kab sare tambo me kabja ho gaya. jab varma sir baha aaye to ajju aur jiya ko dekh kar unhe hosh aaya ki in logo ke vyastha to hui hi nahi he. unhe yaad hi nahi raha ki do student khana banane me bussy he. ab unhe chinta hone lagi thi kyu ki students apne apne tent me set ho chuke he aur ab kisi bhi changing ke liye taiyar nahi honge. aur vastav me kisi tambu me itni jagah bhi nahi thi.

varma sir ko chintit dekh kar suman jo ki femail teacher thi unke paas aai

suman- kya baat he sir kuchh pareshani he kya

varma- wo mujhe yaad hi nahi raha in dono bachho ki ab kisi bhi tambu me jagah nahi he.

suman- to ham inhe apne sath adjust kar lenge

varma- bo bahut chote tambu he jisme ek ya bahut se bahut 2 log adjust ho sakte he. halaki abhi 2 tambu bache he par kam se kam ek to hame rashan aur baki saman rakhne ke liye chahiye hi chahiye.

suman- to kya problam he 1 tambu me saman rakh denge aur 1 in dono ko de denge.

varma- par how this possiable. in logo ka apas me koi relation nahi he. kuchh ulta sidha ho gaya to hamari bahut badnami hogi.

suman- sir aap nisha ko to achchhi tarah jante hi he. wo faltu kaamo me kabhi intrest nahi leti. aur ajju bhi ek achchha ladka he. dono ek hi gao se he. aur fir nisha ne khud aap ko phone kar ke use le jaane ke liye kaha he.

varma- wo to thik he par agar ye log taiyar nahi huye to

suman- poochhne me kya harj he. agar taiyaar ho gaye to problam solve aur nahi huye to fir aage dekhte hai kya ho sakta he.

varma- thik he unhe yaha bula lao

kuchh hi der me ajju, nisha, varma sir aur suman mem khadi hui thi.

ajju- sir kya baat he aap thoda pareshan lag rahe he.

varma sir ne unhe saari baat bata di

ajju- koi baat nahi sir aap wo tambu nisha ko alot kar do mai gaurds ya drivers ke saath adjust kar lunga.

nisha- koi jarurat nahi he. tum mere sath adjust ho jao

ajju- par nisha????

nisha- par bar kuchh nahi

ajju- tum samajh nahi rahi ho ye thik nahi hoga. baki log kya sochenge. aur fir tum to jaanti ho sab kuchh

nisha- mai kuchh nahi janti. mai akele tambu me nahi ruk sakti. aur bese bhi mujhe tum par poora yakeen he. rahi baat samajhne ki to mai itni choti bhi nahi hu ki kuchh na samjhu. sir ki baat aur tumhari baat mai achchhe se samajh gai hu. ham log bachpan se saath pade bade he. ham ek dushre ko achchhe se samajhte he. ek dushre ki ijjat karte he. koi problam nahi hogi.

ab ajju ke paas kehne ke liye kuchh nahi tha is liye sant ho gaya

varma- are you sure nisha???

nisha- jee sir! mujhe ajju par aur apne aap par poora yakeen he. ye mere liye dost se badkar he. koi ladki apne sage bhai par jitna yakeen karti hai usse jyada mai ajju par yakeen karti hu.

varma- to thik he hamare tambu se laga hua jo tambu he us me tum log apna saman set kar lo. fir baad me khana banate rehna.

kuchh der baad ajju aur nisha fir se bahi bethe khana bana rahe the. ajju kuchh khamosh betha hua tha. jabki nisha us mahoul ko poori tarah se enjoy kar rahi thi. suman men ne ajju ko yu khamosh dekha to boli

suman- kya baat he ajju itne khamosh kyu bethe ho

nisha- use chodo mem wo to yesha hi he kabhi serious hota he to kabhi kush hota he aur jab bhi khush hota he sabhi ko hasata he. abhi kuchh der baad normal ho jayega.

suman- achchha nisha kuchh apne baare me batao

nisha- kya batau sab to janti ho aap mere bare me

suman- are mera matlab tumhare aur ajju ki dosti se tha

nisha- ham log ek hi gao se he. ajju ka ghar mere ghar se laga hua he. same age ke hone se saath sath pade bade. ajju ki maa bachpan me hi expire ho gai thi. isne apni life me bahut sangharsh kiya he. bahut jyada sidhantbadi he aur iske sidhanto ki chhap mujh par bhi pad gai.

nisha itna bolkar muskura di to baki log bhi muskura diye.

suman- tum yaha indore kab aaye

nisha- papa ne kaafi pehle yaha apna busness jama liya tha. par ham log yahi koi 10 saal pehle yaha shift huye he.

suman- ajju ke alaba aur koi dost nahi he kya baha

nisha- haa hai na mai ajju monu aur jiya...

jiya ka naam jubaan par aate hi nisha ko pichhla sab yaad aa gaya, wo sab jo wo na keval khud bhool jana chahati he balki ajju ko bhi bhula dena chhati he, par ab kya kar sakte the, galti to ho hi chuki thi..... isliye jiya ka naam lete hi nisha bhi khamosh ho gai

suman- ab tumhe kya hua???? tum itni khamosh kyu ho gai

nisha- kuchh nahi bas yu hi

suman- tum apne dosto ke baare me bata rahi thi. fir jiya ke naam par khamosh ho gai aur ye monu kon he

nisha- uska sahi naam manoj dubey he. ips me selection hua he uska, abhi training par he. hamara achchha dost he. ajju ke bahut kareeb. ajju to uski maa ko maa keh kar hi bulata he. ham charo log bahut masti kiya karte the. hum charo ki saitan chokdi aas pass ke savi gao me mashoor thi, scool me bhi hum charo ka hi raaz chalta tha.

suman- jiya to sayad bahi ladki he na jo tumhare saath seminar me delhi gai thi

nisha- haa bahi thi

suman- thi???? is thi se kya matlab he tumhara

ajju- she is no more

suman- oh i am so sorry, kese hua ye sab

suman ke prashn se ajju ke chehare par dard ki rekhaye khinch gai. nisha ne moke ki najakat ko samajhte huye nisha ne fir se morcha samhal liya

nisha- mem its only an accident

suman- lagta hai wo tum logo ke bahut kareeb thi,

nisha- haa actually me wo monu ki bua ki ladki thi. aur ajju se uski saadi hone bali thi.

suman- sorry ajju meri bajah se tumhare jakhm hare ho gaye.

ajju- no no its ok mem sorry bolne ki jarurat nahi he. is sach ka samna to mai har din karta hua.

khana banne me abhi time tha. aur samay kaafi jyada ho chuka tha. is liye nisha ke kuchh friends aur baaki staff member bhi bahi aakar beth gaye aur un logo ki help karne lage.

riya- kya baat he hamare aane se pehle to tum sab bate kar rahe the hamare aate hi sant ho gaye.

nisha- yesha kuchh bhi nahi hai, mai to bas mem ko ajju ke baare me bata rahi thi

purvi- kuchh hame bhi bata do ajju ke baare me

nisha- kya jaanna he tumhe

purvi- yahi ki tum logo ka love afair kab suru hua

nisha- just shut-up yesha kuchh bhi nahi he, ajju keval mera achchha dost he

riya- han han wo to samajh me aa raha he hame, bese yahi bata do ki janab kaha rehte he kya karte he. family me kon kon he

nisha- family ke baare me jaan kar kya karogi? bese janab delhi me micro biology ki degree kar rahe he.

suman- kya tum log bhi bore karne par lage huye ho, trip par aaye he kuchh mouj masti bhi honi chahiye

riya- mem khali pet kay moj masti hogi.

suman- are bhai koi gana hi sona do

purvi- hame nahi aata gana baana, nisha tu hi ga de

nisha- abhi man nahi hai gaane ka, mem aap hi suna do

suman- na baba mujhe nahi aata, ajju tum hi suna do kuchh achchha sa

ajju abhi bhi khamosh betaha tha. sayad apne hi khyalo me gum. nisha uski man ki sthity achchhi tarah se samajh rahi thi. par sayad use normal karne ka yahi sahi moka tha is liye nisha ne bhi ajju se kaha

nisha- ha ajju tum sunao na kuchh

ajju ne nisha ki taraf dekh jese kehna chah raha ho nahi mujh se nahi hoga

nisha- plz mere liye

ajju ne ek gehri sansh li aur gana suru kiya


Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin
Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin
Naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin
Shikwa nahin kisi se, kisi se gila nahin
Naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin
Naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin

Tu mil saka na hamako, tassali toh mil gayi
Aayi bahaar shaakh pe kali bhi khil gayi
Armaan tha hamako jiska woh gul khila nahin
Naseeb mein nahin tha jo hamako mila nahin
Naseeb mein nahin tha jo hamako mila nahin


Yaadon ki jhilmil aati parchhaaiyon ke din
Katate nahin hai tanaha tanhaaiyon ke din
Hai chaahaton ka dilkash abb silsila nahin
Naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin
Shikawa nahin kisi se, kisi se gila nahin
Naseeb mein nahin tha jo humako mila nahin
Naseeb mein nahin tha jo hamako mila nahin

ajju jese hi khamosh hua taliyo ki awaj gunj uthi, ajju ko to hosh hi nahi tha ki uske gane ki awaj sun kar kai log baha aa gaye the. aur ajju ka gana sun rahe the. ajju ki awaj me itna dard tha ki log apni ankho se behate anshu ko rok hi nahi paa rahe the.

varma- wah kamal he bhai, kya awaj he tumhari dil ko chune bali

suman- are ye kya baat hui mene gana sunane ke liye kaha tha rulane ke liye nahi. dekho kitne saare logo ko rula diya. koi achchha sa gana nahi gaa sakte the.

ajju kuchh jabab deta usse pehle hi nisha bol padi.

nisha- chalo chalo khana taiyaar he. suru karte he. mujhe to bahut bhook lag rahi he

nisha ki baat sun kar sab ko hanshi aa gai. aur fir sabhi logo ne milkar ek satha khana khaya. aur apne apne tambuo me aram karne chale gaye. ajju abhi bhe bahar hi tha. wo sabka apne apne tambuo me jaane ka wiat kar raha tha. wo nahi chahata tha ki kisi aur ko pata lage ki wo aur nisha ek hi tambu me ruke huye he. jab sab lago chale gaye tab ajju bhi apne tambu me pahucha.

tambu bastav me kaafi chota tha. majboori me un dono ko ek hi bistar par sona tha. ajju ne andar aakar parda achhe se band kiya taki koi janbar bagerah na aa jaye. halaki ke security ke 4 aadmi rat bhar baha pehra dene bale the. par ajju apni taraf se koi risk nahi lena chahata tha.

ajju bistar par ek side nisha ki taraf peet kar ke late gaya. nisha abhi tak jag rahi thi sayad ajju ka hi wait kar rahi thi.

nisha- kya hua??? ab kab tak yese hi muh fulaye rahoge. naraj ho na mujh se

ajju- nahi to

nisha- fir itne khamosh kyu ho. jiya ki yaad aa rahi he ya mere saath rukne me problam he

ajju- dono hi baate he

nisha- ab jiya ke liye to mai kuchh kar nahi sakti. kash mere hath me hota to me jiya ki mot apne upar le leti.

ajju- just shut-up kuchh bhi bolti ho.

nisha- to kya karu mai. jiya se marte wakt promiss kiya tha ki tumhe samhalungi. par kuchh bhi to nahi kar pa rahi hu. mai tumhe yu tootta hua nahi dekh sakti. bhul jao sab. ek nai suruat karo. jiya ki khatir.

ajju- itna aasan nahi he sab kuchh

nisha- mai janti hu par at-least kosis to kar hi sakte ho. mai jiya ko bhulne ke liye nahi bol rahi hu bas itna bol rahi hu ki jiya ke aks ko kisi aur me dekhna suru kar do. insaan marta he uska pyaar kabhi nahi marta.

ajju- yahi to problam he

nisha- kya problam he???

ajju- tum nahi samjhogi

nisha- agar samjhaoge to samajh jaungi na

ajju uth kar beth gaya, nisha bhi beth gai

ajju- sayad tum mujhe galat samjho

nisha- tum kaho to sahi

ajju- tum mujhe baar baar jiya ki yaad dila rahi ho, jab se mai yaha aaya hua tumhe dekhkar yesha lagta he ki jiya mere saamne khadi he. tumhara nature bhi uski tarah hota ja raha he. mujhe kuchh bhi samaj me nahi aa raha ye sab kya ho raha he.

nisha ajju ki baat sun kar pehle to hairan hui aur fir muskura kar boli

nisha- bas itni si baat, may be ye isliye ho kyu ki ham sab bahut achchhe dost the. ab kuchh adate to ek dushre ki aa hi jati he.

ajju- haa sayad yahi he, par fir bhi hame yu ek saath yaha nahi rukna chahiye

nisha- tum bastav me ye chahate ho

ajju ne koi jabab nahi diya

nisha thik he me kisi dushre tambu me shift ho jati hu. itna bolkar nisha khadi ho gai aur bahar jaane lagi to ajju ne uska hath pakad liya

ajju- koi fayda nahi mai sare tambu check kar chuka hu kisi me bhi itni jagah nahi he ki koi aur un me shift ho sake.

nisha- koi baat nahi me manage kar lungi,

ajju- kya manage karogi tum

nisha- kuchh na kuchh to kar hi lungi

ajju- chup chap beth jao yaha, kahi nahi ja rahi tum

nisha- to fir kya karu, mai tumhe yu pareshan nahi dek sakti

ajju- ab ek saath rukne ke alaba koi chara nahi he hamare paas. bese bhi kebal 5 dino ki hi baat he. bas mere liye ek kaam karna

nisha- kya???

ajju- agar mai apna controll kho du to plz mujhe samhal lena

nisha- mujhe yakeen he tum apna controll kabhi nahi kho sakte. chalo ab raat kafi ho gai he so jao

fir dono bapis se late jate he. aur kuchh hi der baad dono hi need ki agosh me sama gaye the.

agle din ajju ki ankh subhay jaldi khul gai. jab uski ankh khuli to dekha nisha usee ek dum sat ke leti hui thi aur usk ek hath ajju ke sine par tha. subhay subhay ka halka halka prakash charo tarf fail gaya tha. ajju ne ek najar nisha ke chehare par dali. ek dam masoom chehara bilkul bachho ki tarah.

nisha ko dekh kar ajju ke chehare par halki si muskan aa gai. usne ahista se nisha ka hatha apne sine se hataya aur uth kar bahar aa gaya. sayad abhi tak koi nahi jaga tha. is liye ajju bahi pass hi ek teele par beth kar jungal ke subhay ke najare ka anand lene laga.

suraj nikalne me abhi samay tha. ajju ne samay ka use karte huye bahi beth kar dhyaan lagana suru kar diya. abhi kuchh hi samay hua tha use apni pith par kisi ka sparsh mehsush hua aur usne turant ankh khol di. usne dekha ki nisha uske samne khadi khadi muskura rahi he.

nisha- to ye raaj he tumhara.

ajju- are tum kab jaagi

nisha- jab tumne mere hath hataya to meri bhi aankh khul gai thi. bese kab se kar rahe ho ye

ajju- kaafi samay ho gaya

nisha- mujhe bhi sikhao na

ajju- isme sikhana kya he simple se kuchh step he unhe follo karna padta he bas.

fir ajju nisha ko batane laga.

nisha- are wah ye to aasaan he

ajju- aasaan to he par is me focus aur pasense ki bahut jarurat hoti he.

nisha- uski koi problam nahi he. are wo dekho rabbits

ajju- bada pyara joda he.

nisha- ajju chalo na thoda jungal ke andar chalte he sayad kuchh aur bhi mil jaye dekhne ko

ajju- nahi abhi baha jana sayad thik nahi hoga. ham is jagah ke baare me kuchh jante bhi nahi he. ho sakta he yaha khatarnak janbar bhi ho.

nisha- nahi mujhe jana he plz. ham jyada door nahi jayenge

ajju kuchh sochne lagta he aur fir

ajju- ek kaam karte he nadi ki taraf chalte he. baha fresh bhi ho lenge aur naha bhi lenge.

nisha- ha achchha plane he.

fir dono tambo me jakar apne kapde le aate he aur nadi ki taraf bad jate he. kuchh he der me bo nadi ke kinare par khade the. bahut sundar najara tha. nisha to us najare me kho hi gai thi. jabki ajju bahi pass jhadiyo ke piche jakar fresh hokar aa gaya. aur usne paani me chalang bhi laga di.

subhay subhay tande thande pane me jate hi ajju ke poore badam me ek alag sa romanch bhar gaya. halaki nadi jyad badi aur gehri nahi thi par fir bhi jis ko tairna nahi aata uske liye khatarnak to thi hi.

ajju prakirty ka poora maja le raha tha. tab tak nisha bhi fresh hokar aa chuki thi. par wo pani me aane se katra rahi thi. is liye wo kinare par hi beth gai

ajju- come on aao na bahut maja aa raha he.

nisha- na baba mujhe jyada tairna nahi aata

ajju- mai hu na aa jao, bese bhi jyada gehrai nahi he. tum aram se jameen par pair tika sakti ho

itna sunte hi nisha bhi pani me chali gai. dono kafi der tak bahi nahate rahe. nisha ko jyada tairna nahi aata tha is liye wo jald hi thak gai. aur bo dhire dhire bahar aane lagi ajju bi uske saath bahar aane laga ki achanak nisha ka pair fisal gaya. isse pehle wo balance bigadne se paani ke andar jaati ajju ne use tham liya. par nisha ke pair me halki si moch a gai thi

nisha- ajju sayad mera pair mud gaya he. mai chal kar bahar nahi ja paungi

ajju- koi baat nahi me tumhe le chalta hu.

itna bolkar ajju ne nisha ko apni baho me utha liya. aur dhire dhire bahar aane laga. ajju is samy kebal short me tha baki kapde usne kinare par hi chhod diye the. jabki nisha white color ka cotten ka salwar suit pehna hua tha. jo ki geela hone ki bajah se nisha ke sarir se chipak gaya tha.

ajju ko uske ubhar kapdo ke andar bhi saaf saaf mehsoos ho rahe the. unhe dekh kar ajju ke sort me tanav bad gaya tha. aur nisha ko bhi apni pith par kuchh chubta hua mehsoos ho raha tha.

pehle to nisha chonk gai. par apni aur ajju ki awastha dekh kar wo sarma gai. nisha ne ajju ke chehare par najar dali to use apne ubharo ko dekhta hua paya. par ajju ko to jese kuchh hosh hi nahi tha. jab use hosh aaya to usne bhi nish ke chehare ko dekha aur jese hi usne nisha ki aankho me jhaka use yehsas hua ki us se anjane me kya galti ho gai he. nisha jyada der tak ajju ki ankho ka samna na kar saki aur sarma kar apni najre jhuka li.

ab tak dono paani se bahar aa chuke the. ajju ne nisha ko niche utar diya. aur wo ladkhadte huye apne kapde lekar jhadiyo ki taraf chali gai.

jab nisha bahar aai tab tak ajju bhi kapde change kar chuka tha. nsiha ajju se najre nahi mila pa rahi thi jabki yahi haal ajju ka bhi tha. dono apne camp ki taraf bad gaye. raste me dono ke bich koi baat nahi hui thi.

dopehar 12 baje tak sabhi log khana khakar ghumne ke liye taiyar ho chuke the. ajju bhi paas me teele par betha hua tha. jabki nisha apni friends se baate kar rahi thi. nadi se bapis lotne ke baad aabhi tak dono me koi baat nahi hui thi. achanak nisha ajju ki taraf bad gai aur uske paas jakar beth gai.

ajju- sorry wo sab mene jaan bujh kar nahi kya

nisha- i am also sorry

ajju- kyu???

nisha- jitni tumhari galti he utni meri bhi hai

ajju- tumhari kya galti thi, kuchh bhi to nahi

nisha- to tumhari kon si galti thi, its natural. tumhari jagah koi aur bhi hota to uske saath bhi yahi hota

ajju- par mujhe apne aap par controll rakhna chahiye tha

nisha- ajju plz apne aap ko aur pareshan mat karo. khula chhod do apne aap ko. tum bhi insaan ho koi computer machine nahi jo ki usme ek baar cammand daal di to kebal bahi karta rahega.

ajju- par

nisha- fir par, dekho ajju jo hua usme tumhara koi galat intension nahi tha. haa agar wo sab tumne jaan bujh kar kiya hota to jarur bo sab galat hota. aur haa yaha ham dost bankar aaye he to mujhe as a friend hi treat karo na ki behan ke roop me. samjhe

ajju- ha

nisha- kya ha, tab se se muh fula kar betho ho. ek to kud galti karte ho aur mana bhi mujhe hi padta he.

ajju koi jabab deta usse pehle hi ajju ka mobile baj utha. ajju ne jese hi screen par number dekha uski ankho me khoon utar aaya. nisha ne jab screen par najar daali to us par likha hua tha private number. ajju ne call recive kiya

chief- kese ho ajju

ajju- tumhe kya farak padta he

chief- farak padta he tabhi to call kiya

ajju- matlab???

chief- ab itne nasamajh to tum ho nahi ki meri baat na samjho. bese daad deni padegi tumhari. tum mera dushra palne fail karne ke liye nisha ke saath uske trip par pahuch hi gaye. par sayad yaha tumne galti kar di. kyu ki ye jungal he. kahi bhi kuchh bhi ho sakta he.

ajju- tum din me sapne dekhna band kar do, abhi tak tumne jo kiya chhip kar kiya aur dhoke se kiya. par mujh par tumhari ye chal nahi chalegi. kyu ki mai tumhari fitrat samajh gaya hua.

chief- abhi to tumne mujhe samjhna suru hi kiya he bacche, mujhe poori tarah se samajhne me abhi tumhe kaafi samay lagega. bese bhi chief ka kabhi koi kuchh nahi bigad paya he. jabki chief jo chahe kar sakta he.

ajju- tum ye sab is liye bol rahe ho kyu ki abhi tak tumhe koi takkar ka nahi mila.

chief- tum se mera koi mukabla nahi hai. tumhari aukat mere samne chinti ke barebar he.

ajju- ye to wakt batayega.

chief- mere agle hamle ke liye taiyaar rehna. mai bhi dekhun kitna dum he tere me...

itna bolkar chief ne phone cut kar diya.

nisha- kya hua

ajju- wo ham par najar rakh raha he. sayad is camp me uska koi admi he. hame satark rehna hoga.

nisha- tumhare rehate mujhe kisi ka dar nahi he

ajju- fir bhi satark rehna ye kabhi bhi pichhe se baar kar sakta he.

nisha- thik he ab chalo yah se. sabhi log ghumne ja rahe he

fir dono baha se uth kar baki logo ke saath ghumne nikal jate he. ye log kaafi der tak jungle me ghumte rahe. baha unhone kai jungli janbarro ko dekha. saam ke lagbhag 5 baj rahe the aur ab wo sab bapis lot hi rahe the ki achanak unhe ek ladki ki chikh sunai di. sabhi log bahi tham gaye.

nisha- ye to riya ki awaj thi kahi kisi problam me to nahi fash gai.

nisha abhi bol hi rhai thi ki ek jordar dahad sunai di

varma- oh may god tiger, akhr jab mene mana kiya tha to wo us taraf gai hi kyu, ab kya jabab dunga uske parents ko mei

ajju- sir ye samay guss karne ka nahi he aap log yahi rukiye mai dekhta hu

varma- mai bhi sath chalta hu

ajju- nahi sir aap baaki logo ko samhaliye aur dekhiye ki kahi koi aur us side na aaye

nisha- mai bhi sath aa rahi hu

ajju- nahi tum nahi aa rahi ho

nisha- mai aa rahi hu aur ye mera akhri feshla he

varma- thik he apne saath security ke logo ko bhi le jao jarurat pad sakti he

ajju- thik he do gaurd mere sath bhej do

itna bolkar ajju us disha me bhaga. ajju ko jyada door nahi jana pada tha pass me hi use riya dikhai di jo ki jameen par niche padi hui thi aur uske pair se khoon nikal raha tha. sayad bhagte huye gir gai thi. riya se thodi door par ek tiger dhire dhire uski taraf bad raha tha. ajju ke paas jyada samay nahi tha. aur is samay uske paas koi hathiyar bhi nahi tha. halaki ki wo apne saath ek gun laya tha. par wo galti se bahi camp me hi chut gai thi.

bese security ke paas gun thi par wo ajju abhi kaafi door the. nisha bhi dodti hui uske pass aa chuki thi

nisha- oh my god wo use maar dalega

ajju- kuchh nahi hoga use

itna bolkar ajju aas pass dekhne laga. paas me hi use ek lakdi ka tukda dikai diya jo ke kaafi majboot lag raha tha. ajju ne use tham liya

ajju- tum yahi ruko aur security baalo ko goli chalane se tab tak roke rakhan jab tak ki me riya ko yaha na bhej du

nisha- samhal kar

ajju- meri chinta mat karo

itna bolkar ajju ne riya ki traf dod laga di aur riya aur tiger ke bich aakar khada ho gaya.

ajju- riya utho aur bhago

riya- nahi bhag sakti pair me kaafi chot aai he

ajju- come on riya kosi karo

riya- i can't ajju

tab tak tiger kaafi pass aa chuka tha aur ab wo un dono ke charo taraf chakkr lagane laga. nisha aur security bale sansh rok kar ye sab dekh rahe the. achank tiger ruk gaya aur ek jor dar awaj me dahada. ajju ne apne najre us par hi tikai hui thi. ajju lagatar uke ankho me ghoor raha tha. achanak tiger dhire dhire piche hatne laga aur paltkar jaungal ke andar bapis chala gaya.

tiger ke jaate hi ajju ne riya ko sahara dekar khada kiya tab tak nisha bhi unke pass aa chuki thi. fir wo sab bapis apne sathiyo ki tarf bad gaye. riya kaafi dari hui thi.

camp me bapis aakar riya ke dresing kar di gai thi. halaki use jyada chot nahi aai thi. is ghatna ke baad ajju to jese un sab ke bich hero ban gaya tha. saam ko huye hadse ki bajah se aaj kisi ka man masti karne ka nahi tha is liye khana khakar sabhi log apne apne tambu me jakar so gaye. ajju nisha suman mem aur varma sir abhi bhi bahar bethe buye bate kar rahe the.

varma- thanks ajju aaj tum nahi hote to pata nahi kya hota

ajju- kesi baat kar rahe he sir, is shamay ham sab apne apne ghar se door yaha par he. is samay ham sab hi ek parivar he. aur aap hamare parivar ke mukhiya. agar parivar ka sadashya apne parivar ke liye kuchh kare to use thanks nahi kaha jata.

varma- tum vastav me ek acchhe insan ho

ajju apni tarif sun kar jhemp gaya is liye usne topic change kiya

ajju- sir raat kaafi ho gai he aap log bhi aaram kar lijiye, mai aur nisha abhi riya ko dekhne ja rahe he.

varma- chalo ham bhi sath chalte he.

fir wo log riya ke tambu me pahuche jaha riya apni friends ko ajju ke baare me bata rahi thi ki kese usne use bachaya. jese hi ye log baha pahuche wo sant ho gai

ajju- ab kesi ho

riya- thik hu

varma- agli baar yaad rakhna sab ke saath hi rehana. ye jungal jitna khoobsoorat he utna hi khatarnak he.

riya- jee sir

nisha- aur haa ab jyad baate mat karo aur so jao

itna bolkar wo log bapis mude to

riya- ajju

ajju- ha

riya- thanks

ajju koi jabab de usse pehle hi nisha bol padi

nisha- lo bhai ab hosh aaya he inhe

nisha ki baat sunkar sab log jor jor se hasne lage. fir sab log apne apne tambu me jakar so gaye.
 

Mahesh007

Well-Known Member
10,789
9,126
228
Redhat bhai xp ke anusar story 90 update par pahuch gayi he sayad kyo ki 100 update me sadi ho gaye thi
Aap ki update ki sped bahut hi fast he bhai bahut hi khusi ho rahi he bhai jaldi hi pdf fail tak pahuch jaye gi 193 update tak pdf me story he uske bad ke jo update he bahut hi sandar he ek arse ke bad padhne ko milenge bhai bahut hi utasukta se praticha he thanks bhai
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,980
116,166
304
Update 030
------------------------


agle din bhi ajju subhay jaldi jag gaya tha bas farak itna tha ki is baar nisha ke uthne ki ahat se ajju ki ankh khuli thi. kal ki tarah aaj bhi bo log subhay subhay nadi ki taraf chale gaye the. jaha unhone fresh hokar nadi me nahane ka anand liya.

aaj ajju nisha ko tairna bhi sikha raha tha. halaki nisha pehle se hi thoda bahut janti thi kyu ki uske ghar par ek bada sa swiming pool tha. par wo kabhi paani ke gehrai me nahi gai thi is liye use dar lag raha tha. aur bese bhi swiming pool me tairna aur nadi me tairne me antar hota he. kyu ki swiming pool ka paani sthir hota he. jabki nadi me paane lagatar behta rehta he. jiski bajah se nadi me nahane me kaafi mehnat lagti he.

nadi me nahate samay ajju ke hath kai baar nisha ke ubharo se takraye bahi dushri taraf nisha ko bhi ajju short me uska ubhar apne sarir par mehsoos hua kai baar haath par kai baat jangho ke aas pass aur kai baar apne back side. par nisha ne koi react nahi kiya halaki hi jab jab yesha hota dono ke hi dil ki dhadkan kaafi bad jaati thi. nisha ajju ki condition achchhi tarah se janti thi aur wo koi react kar ke use sarminda nahi karna chahati thi.

ajju bhi ab kaafi had tak nisha se khul chuka tha. aur wo is samay nisha se apne riste ko bhula kar trip par as a friend hi rehna chahata tha. kahi na kahi un dono ko ek dushre ke sarir ka sparsh acchha lagne laga tha. par undono ka irad isse aage badne ka bilkul nahi tha. wo dono bhale hi is samay dost the par apne riste ki maryada nahi bhule the.

halaki ajju me abhi bhi thodi si hichak bachi hui thi par nisha use poori tarah se kholna chahati thi is liye usne tay kiya ki nahane ke baad bo bahi kinare par beth kar ajju se kuchh der baat karegi.

dono hi apni masti me mast the par unhe nahi pata tha ki do ankhe ek ped ke pichhe se unhe dek rahi he.

kuchh der baad dono naha kar bahar aaye aur apne kapde change karne ke baad

ajju- nisha chalo kaafi der ho gai he

nisha- nahi kuch der betho na yahi kinare par acchha lag raha he.

ajju ne koi jabab nahi diya aur bahi kinare par ek pathhar ke teele par beth gaya. nisha bhi uske paas jakar beth gai.

nisha- ab aage kya plane he?

ajju- kis ka??

nisha- tumhara aur kis ka

ajju- mai samjha nahi

nisha- mai pooch rahi hu ki saadi ke baare me kya socha he

ajju- kuchh nahi

nisha- kyu??????

ajju- tum achchhi tarah janti ho. jiya ki jagah koi bhi nahi le sakta

nisha- mene yesha to nahi kaha ki tum jiya ko bhool jao. par life akele nahi gujari jaati

ajju- meri life ka ab koi bharosha nahi, pata nahi kab khatam ho jaye.

nisha- shut-up ajju, ab fir mat kehna ye sab. tumhe kuchh nahi ho sakta. tum to mere hero ho aur hero kabhi nahi harta

ajju- ye sab tv filmo me acchha lagta he real me nahi

nisha- par tum to mere real hero ho

ajju- tum acchhi tarah se janti ho ki mere sarir me kitna jehar bhara he. sayad mai apne aap ko controll na kar pau aur saamne baali ki jindgi meri bajah se barbad ho jaye

nisha- come on ajju yesha kabhi nahi hota. haa mai manti hu tumhare sarir me aprodics ki matra samany se kaafi jyada he par regular sex se bo kam ho jayegi. aur tumne kabhi bhi kahi bhi suna ya pada he ki sex karne se kabhi kisi ladki ko kuchh hua he

nisha ajju se aaj sex ke baare me ek dum khul kar baat kar rahi thi sayad uska irada ajju ki rahi sahi saram aur hichak ho door karna tha. ajju ne nisha ko taraf deka. par aaj nisha ne apni palke nahi jhukai balki wo bhi uski ankho me dekhti rahi

ajju- nahi mere sarir me se aprodics kabhi nhi khatam nahi hoga. ha lagatar sex karne par meri uttejna me jarur thodi bahut kami aa sakti he. par ye poori tarah se samany nahi hoga.

nisha- thik he par fir bhi kaafi had tak controll to ho hi jayega.

ajju- mujhe koi bhi ladki jhel nahi sakti

nisha- kyu manju ne to tumhe jhel liya tha

ajju- uski baat alag thi. wo kai baar sex kar chuki thi. kai kai baar wo ek se adhik logo se sex bhi kar chuki thi. upar se wo bhi meri tarah sex drug ka sikar thi. uske sarir me aprodics kaafi matra me tha. is liye wo mujh ko jhel pai. par use kitna kast hua tha ye to bahi janti he. tum chaho to usse se poochh sakti ho.

nisha- koi baat nahi ham milkar iska bhi koi na koi hal nikal hi lenge.

ajju- koi jarurat nahi he iski. bas jaldi me ch...

achanak ajju bolte bolte ruk gaya

nisha- kya hua???

ajjh- sssss koi ham par najar rakh raha he chalo yaha se

nisha- kon????

ajju- mene nadi ke us paar 2-3 logo ko ped ki pichhe chipte huye dekha hai. chalo yaha se hame yu khule me nahi bethna chahiye. ham camp me jyada safe he.

itna bolkar ajju ne nisha ka hath pakda aur use lagbhag khinchte huye camp ki taraf le gaya. ajju ke jate hi ek saya ped ke pichhe se nikla aur wo bhi camp ki taraf bad gaya.

camp me aakar ajju aur nisha sabse pehle riya ke tamboo me uska haal chal poochne gaye. riya jag chuki thi. uske paas is samay uki 2 friends aur suman mem bethi hui thi.

ajju- riya kesi ho tum

riya- ab to ek dum thik ho gai hu. bas per me halka sa dard he.

ajju- koi baat nahi pain kiler kha lena.

nisha- purvi nahi dikhai de rahi

riya- pata nahi kaafi der se gayab he. sayad bahar kahi hogi

suman- ye ladkiya bhi na. kisi ko kuchh bhi bataye bina kahi bhi chali jati he.

itne me purvi bi baha aa gai

suman- kaha gai thi tum

purvi- mem mai to bahar hi thi. kal se nisha se jyada baat nahi hui thi aur nisha kis tamboo me ruki hai mujhe pata nahi tha to use hi dekh rahi thi.

purvi ki baat sunkar ajju aur nisha ki sansh atak gai. sayad suman mem unki sthity samajh gai thi is liye unhone hi jabab diya

suman- wo mere saath mere tambu me ruki hui he. aur bese bhi kal wo sabke saath thi to tab to tum usse door door bhag rahi thi. raat me bhi jab yaha aai tab bhi baat nahi ki aur aaj subahy achanak uski yaad aa gai.

nisha- chhodiye na mem bese aaj ka kya program he

suman- kuchh nahi he. bese aaj water fall jane baale the ham, par riya ko chot bhi lagi he aur abhi abhi pata chala he ki water fall ke paas 2-3 tiger dekhe gaye he. is liye baha jana khatre se khali nahi he.

purvi- fir to aaj bore ho jayenge.

nisha- bore kyu honge yahi camp me hi masti karte he na koi game bagerah khelte he.

suman- good idea mai abhi varma sir se baat karti hu.

itna bolkar suman mem baha se chali gai. kuchh der baad ajju bhi baha se chala gaya. aur apne tambu me jakar apne bag se kuchh saman nikalne laga. achanak baha nisha aa gai

nisha- to mera sak sahi tha wo tum hi the jisne kamal ko mara

ajju- tummm yaha achanak tum to riya ke saath thi na

nisha- tumhare pichhe pichhe aa gai yaha. par tum ne meri baat ka jabab nahi diya. ye bahi black dress he na jise pehan kar tum baha gaye the.

ajju- haa ye bahi he

nisha- ab kya karne baale ho tum

ajju- kuchh nahi bus me ise pehan kar nadi ke us paar ja raha hu. mujhe dekhna he ki wo log kaha par ruke ya chipe huye he. mujhe yakeen he wo lagatar ham par najar rakh rahe he aur chief ko hamari news de rahe he. mai unme se kisi ko pakad kar chief tak pahuchna chahata hu.

nisha- tum pagal ho kya?? bo bahut khatarnak log he

ajju- mujh se khatarnak nahi ho sakte. mujhe jana hi hoga. bas tumhari thodi help chahiye

nisha- kya???

ajju- yahi ki tum isi camp me sabke saath rahogi, aur ek pal ke liye bhi akeli nahi rahogi. kam se kam tab tak jab tak ki mai bapis nahi aata. aur haa agar koi mere baare me kuchh bhi pooche to koi bhi bahana bana dena.

nisha- thik hai par tum bhi mujh se vada karo tum koi khatra nahi uthaoge.

ajju- mai bapis jarur aaunga mera vada he itna bolkar ajju baha se bahar nikal gaya. jabki jiya bapis apne friends ke paas aakar beth gai.

saam ke lagbhag 5:30 ho rahe the nisha apne tambu ki taraf jaa rahi thi. nisha ke chehare par is samay chinta aur udashi saaf dekhi ja sakti thi. jab se ajju gaya tha wo tab se yu hi udash thi. aaj poora din camp me masti hoti rahi par nisha us sab se door hi rahi. wo nahi chahti thi ki koi bhi usse ajju ke bare me pooche. halaki suman mem me fir bhi use tok hi diya tha. nsiha ne unhe jese tese bahana banakar taal diya tha.

wo kai baar yaha aakar dekh chuki thi par ajju ka koi namonishan nahi tha. jab wo apne tambu ke ek dum pass pahuchi to use halki ahat sunai di. nisha satark ho gai aur usne achanak se parda hata diya.

andar ka najara dekh kar uske muh se chikh nikalte nikalte reh gai kyu ki tab tak ajju ka hath uske muh par jam chuka tha. nisha ki chikh andar ghut kar reh gai. kuchh der baad ajju ne apna hath hataya.

ajju buri tarah se ghayal tha aur uske pet se aur kandhe ke pichhe se khoon nikal raha tha. nisha is baar ahista se magar dard bhari awaj me boli

nisha- ajjuuuu ye kese hua??? bolo kuchh.......... maine mana kiya tha na tumhe.......... fir bhi tum nahi maane. oh god kitna khoon nikal raha he. ab mai kya karu????

ajju- sssss kuchh nahi hua he mujhe ek dum thik he. bas do goliya lagi he.

nisha- dddoo goliya oh god mai abhi kisi ko bulati hu

ajju- nahiiii kisi ko bulane ki jarurat nahi he. mai thik hu bas tum todi si help kar do

nisha- kya???

ajju ne uske hath me chaku dete huye kha mere sarir me se goliya nikal do abhi

nisha- nahi mujhse nahi hoga

ajju- oh come on jaldi karo time nahi he hamare paas agar koi aa gaya to gadbad ho jayegi

nisha- nahi mujh se nahi hoga

ajju- ne nisha par jyada davav nahi dala aur apni shirt utar kar chaku se apne pet me lagi goli khud hi nikalne laga. nisha par ye nahi dekha gaya aur usne apni ankh band kar li.

kuchh der baad use ajju ki ek halki si chikh sunai di

ajju- aaahhh

nisha ne jhat se apni ankhe khol di. ajju ke pet me dhanshi hui goli bahar nikal chuki thi ajju ne pass hi rakkha corten uthaya aur apne ghav par laga liya. ab bo dushre haath se apne khandhe par lagi goli nikalne ki kosi karne laga par uska hath baha nahi pahuch raha tha. nisha ko uspar daya aa gai aur wo ajju se chaku lekar kampte hato se goli nikalne ki kosis karne lagi. nisha par ye sab bardast nahi ho raha tha aur fir ajju ke mush se ek aur chikh nikli aur dushri goli bhi farsh par gir gai.

nisha ne chaku ek side rkkha aur ajju se lipat kar foot foot kar rone lagi

ajju- kya hua pagli

nisha- tum bahut gande ho kitna dukh dete ho mujhe. mene mana bhi kiya tha. deko kya haal bana liya. mujh se nahi dekha jata ye sab

dard hone ke baad bhi ajju ke chehare par ek muskurahat aa gai.

ajju- kuchh bhi to nahi hua he mujhe dekho ek dum thikh hu. kal tak ye jakhm bhi thik ho jayege.

nisha ne koi jabab nahi diya bo abhi bhi roye ja rahi thi. ajju ne pyaar se use sir par hat fera. aur fir uske anshu pochte huye kaha

ajju- nisha jaldi se meri dresing kar do barna khoon yu hi behta rahega. aur kisi aur ke aane ka dar bhi hai.

ajju ki baat sun kar nisha ko jese hosh aaya aur wo jaldi jaldi ajju ke gav ko saf kar ke dresing karne lagi.

kuchh hi der me nisha ne gav ki safai kar ke dresing kar di aur fir baha tambu me faile huye khoon ko bhi saaf kar diya tha.

ajju- tum apna muh dushri taraf kar lo mai kapde change kar leta hu.

ab tak nisha kafi had tak normal ho chuki thi. nisha ne koi jabab to nahi diya par muskurate huye muh fer liya. ajju ne jaldi se apne kapde change kiye. aur bahar jaate huye kaha

ajju- tum bhi apne kapde change kar ke bahar aa jao. tumhare kapdo par bhi khoon laga hua he.

nisha- nahi ruko abhi tumhara bahar jana thik nahi he. tum pain killer lekar kuchh der aram karo mai change kar lungi

ajju- are you sure

nisha- ha bas palat kar mat dekhan

nisha ki baat sunkar ajju muskura diya aur painkilar khakar let gaya aur nisha ki taraf pith kar li.

nisha apne kapde change karte huye ajju se baat bhi karti ja rhi thi

nisha- ab batao kese hua ye sab

ajju- jab me baha gaya to dekha ki labhg 5-6 aadmi nadi ke us paad dera jamay e huye he. mai kaafi der tak chip kar unki baat sunta raha. yaha camp me koi he jo unhe hamari jankari de raha he. uska pata to nahi chala par mai jald hi uska pata laga lunga.

nisha- kon ho sakta he

ajju- koi bhi ho sakta he. security me se ho sakta he staff me se bhi ho sakta he ya fir koi student bhi ho sakta he.

nisha- fir ye goli kese lagi

ajju- ek aadmi ne mujhe dekh liya tha. un logo ne mujh par firing suru kar di. majboori me maine bhi unpar firing suru kar di.

nisha- fir???

ajju- fir kya luck mere saath tha. 2-3 tiger bhi baha aa gaye un ne bhi un logo par hamla kar diya. kuchh log meri goli se mare gaye. sayad kuchh log baha se bhagne me safal rahe. par bo bhi kaafi ghayal he. mujhe nahi lagta unme se koi bach payega.

ajju abhi bol hi raha tha ki achanak nisha ki muh se chikh nikal gai

nisha- aaaaaaaaaaaaaaaa

ajju achanak palta uske to hosh hi ud gaye. nisha is samay tight grey color ka jense pehne huye thi aur top pehnne ke liye uthaya hi th ki uski najar apne top par rengte kide par padi. ye cockroach ke jesa koi jungli kida tha. aur uske muh se chikh nikal gai

ajju to bas nisha ko dekhta hi reh gaya. wo ankh band kiye huye khadi thi aur upar se kebal black bra me thi. ekdam cikni pith par se ajju ki najar hi nahi hat rahi thi.

nsiah- ajju plz bachao

ajju ko jese hosh aaya wo jaldi se utha aur fir us kide ko apne hatho se utha kar bahar fenk diya. kide ko fenkte hi nisha ko jese apni vastbik sthity ka gyan hua. sarma ke maare uske gaal lal ho gaye. usne jaldi se apna top pehna. fir apne baal thik kar ke tambu se bahar nikal gai. jabki ajju abhi bhi bahi khada khada vastbik sthity samajhne ki kosis kar raha tha.

-----------------------------------------------------------------------

aaj jungle trip ka teeshra din tha. sabhi log water fall ghumne gaye the. kuchh ladki ladki water fall me nahane ke maje le rahe the. jabki kuchh log bahar bete is prakritic najare ka anand le rahe the.

ajju aur nisha bhi water fall ke niche enjoy kar rahe the. achanak nisha baha se aane lagi to ajju ne use apni traf khinch liya

ajju- kaha jaa rahi ho. dekho kitna maja aa raha he.

yu achanak khinchen ne nisha samhal nahi pai aur ajju ke sine se ja lagi. nisha ka dil jor jor se dharakne laga

nisha- mujhe thand lag rahi he. tum enjoye karo

ajju- hua kya he tumhe, mujh se door door reh rahi ho. jyada baat bhi nahi kar rahi ho.

nisha- kuchh bhi to nahi tumhe yu hi laga hoga

ajju- nahi koi baat to he jo tum mujh se chhipa rahi ho

nisha- to fir meri ankho me pad lo aur khud jaan lo aur mujhe bhi bata dena akhir kya hua he mujhe

itna bolkar nisha ne apni najre ajju par jama di

ajju- uski ankho me kho gaya achanak use jhatka laga. aur usne nisha ko chhod diya

nisha- kyu kya hua

ajju- kuchh bhi to nahi he sayad mujhe hi veham hua tha.

ajju ki baat sunkar nisha muskura kar baha se chali gai jabki ajju bhi khada khada sochta raha. akhir ho kya raha he ye. usne nisha ki aankho me apne liye pyaar dekha behisab pyar. halaki har bhai behan ki bich pyaar hota he. in dono ke bich bhi bahut pyaar tha. par is pyaar ka roop ajju ko bhai behan bala nahi lag raha tha. balki use ye besa hi lag raha tha jesa use jiya ki aankho me dikhai deta tha.

ajju kaafi der tak baha khada khada sochta raha. aur fir usne apna sir jhatka aur apne dimag me chal rahi uthal puthal ko door kiya aur prakirty ka fir se maja lene laga.

jabki nisha ne bahar aakar jhadiyo ke pichhe jakar apne kapde change kiye jaha aur bhi ladkiya apne kapde change kar rahi thi. aur fir bahar aakar ek traf beth gai. kuchh der baad baha suman mem aur uski kuchh friends bhi aakar beth gai. ye sab log yu ki gappe marne lagi. jabki nisha baato ke doran baar baar ajju ki taraf dekh rahi thi.

suman- to nisha kab se chal raha he ye sab

nisha- kya?????

suman- tumhare aur ajju ke bich me afair

nisha- yesha kuchh bhi nahi he mem

suman- dekho nisha hamari age me jyada difrence nahi he. haa bas mujhe duniya daari ka acchha anubahv ho gaya he. mene tumhari aankho me ajju ke liye pyaar dekha he.

nisha- jarur dekha hoga par ye pyaar wo bala pyaar nahi ho sakta jo ek ladka aur ek ladki ke bich hota he. ham bachpan se ek dushre ke saath he. bahut acchhe dost he. to ek dushre se pyaar swabhik he. par ye pavitra pyaar he. besa hi jesa ek bhai behan ke bich hota he ya do acchhe dosto ke bich hota he. ya besa jesa eb baap apni beti se aur ek maa apne bete se karti he.

suman- nahi ye wo bala pyaar nahi he ye kuchh aur hi he

nisha- ye sambhav hi nahi he mem, hamare bich ka pavitra pyar apna roop kabhi nahi badlega

suman- isne apna roop badalna suru kar diya he. tum jitni jaldi is baat ko maan logi utna behtar hoga. yesha na ho ki baad me pachhtana pade. bese ajju ek achchha ladka he. kismat bali ladkiyo ko yesha jivan sathi milta he.

nisha- mujhe kuchh samajh nahi aa raha aap kya bol rahi ho. aap to yese bol rahi ho jese aapne mere man ki baat pad li ho. jese ki ajju pad leta he mere...

jiya bolte bolte ruk gai aur fir man me sohne lagi

"kya sach me hamara pyaar apna roop badal raha he, par ye kese sambhav he. nahi ye nahi ho sakta. aur fir ajju ne abhi abhi to meri ankho me jhanka tha use to yesha kuchh dikhai nahi diya. barna bo batata jaroor. sayad wo nahi samaj paya hoga. par jab suman mem ko ye dikh gaya to use to dikh hi gaya hoga. nahi nahi yesha kuchh nahi he, mem ko galat fehami he is liye bol rahi he, par fir ajju ne meri ankho me dekhte dekhte achanak mujhe kyu apne se door kar diya. kahi ye sach to nahi, aur ajju ye baat jaan gaya ho. oh no ye kya ho rah he mere saath. ye kis chakkar me pad gai me."

suman- kya hua????

nisha- kuchh nahi bas yu hi

itna bolkar nisha ne ek baar fir ajju ki traf deka par wo kahi dikhai nahi diya

suman- wo change karne gaya he

nisha ne koi jabab nahi diya

riya- kya bol rahi thi tum wo tumhare man ki baat jaan jata he

nisha- haa wo jaan jata he, pehle mai bhi jaan jati thi par ab nahi jaan pati

riya- waw kya connection he dono ke bich tabhi to itna gehra pyaar he

nisha- yesha kuchh bi nahi he

riya- yesha hi he wo dekh tumhe dhundta hua aa raha he yaha. dono hi jyada der tak ekdushre se door reh hi nahi paate.

nisha- wo to is liye kyu ki use koi nahi janta yaha

riya- excuse me yaha camp me har insaan ajju ko achhi tarah se janne laga he. aur kal jab usne meri jaan bachai tab se to wo aur bhi jyada famus ho gaya he. sabhi log usse dosti karna chahate he.

nisha- par wo bahut kam dost banata he.

riya- realy itni achchhi tarah se janti ho use

nisha- aur nahi to kya?

purvi- jab tum dono ke bich me kuchh nahi hai to fir ham try kar lete he

purvi ki baat se nisha ko guss aa gaya aur usne purvi ki baal pakad liye

nisha- maine tumhe pehle bhi kaha tha aur aaj fir bol rahi hu door hi rehna usse. meri dost ho meri hi dost bankar raho,

purvi- matlab ki tumhe dar he ki agar mene try kiya to bo tumhe chhod dega

nisha- yesha kuchh bhi nahi he jesha tum soch rahi ho. bas mai nahi chahati ki tumhari harkat se use koi problam ho.

purvi- mai to bas uski problam door karne ki kosis kar rahi hu. bese bhi sabhi mard ek jese hote he. ek ladki se unka man hi nahi bharta. chutkiyo me mai usne apan bana lungi

nisha- tum use dushre ladko jesha mat samajhna wo sabse alag he. tumhe ghass bhi nahi dalega

purvi- to fir mere aur uske bich me se hat kyu nahi jaati, apne aap doodh ka dudh aur paani ka paani ho jayega. bese bhi tum to kebal dost hi ho na.

nisha- thik he diya moka, mai nahi aaungi tum dono ke bich me, par yaad rakhan koi yesi besi harkat ki ya use kisi bhi tarah heart kiya to mai tumhe nahi chhodungi. yaad rakhan meri baat. nisha naam he mera

purvi- to dekh lena kal tak use apne isharo par na nachaya to mera nam bhi purvi nahi

un dono ke bich ki behash kuchh aur lambi khinchti usse pehle ajju baha aa gaya

ajju- hi every one

purvi- hi handsome kya baat he aaj to bijliya gira rahe ho

purvi ki baat sun kar ajju muskura diya. jabki nisha gusse se aur bhi jyada jal bhun gai.

suman ne sthity ki gambhirta ko samajhte huye fir se morcha samhal liya, halaki unhe bhi poorvi ka bartav thik nahi laga. par unhone is matter ke bich me bolna thik nahi samjha

suman- ajju aaj to koi acchha sa gana ho jaye

ajjy- nisha to thi yaha wo kitna acchha gati he.

suman- ha ha wo bhi gayegi pehle tum suna do koi gana

aaj ajju bhi kaafi acchhe mood me tha is liye usne bhi gana suru kar diya


Panchhii Sur Men Gaate Hain
Bha.Nvare Gunagunaate Hain
Ghungharuu Bajaatii Hai Havaa
Aise Muskuraatii Hai Yuun Fizaa
Bulaatii Hai Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa

Panchhii Sur Men Gaate Hain
Bha.Nvare Gunagunaate Hain
Ghungharuu Bajaatii Hai Havaa
Aise Muskuraatii Hai Yuun Fizaa
Bulaatii Hai Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa
Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa

Dekho Kyaa Ghanere Uunche Uunche Parabaton Ke Saae Hain
Chalake Yuun Machal Ke Rang Badal Ke
Hamase Milane Aae Hain
Oh Dekho Kyaa Ghanere Uunche Uunche Parabaton Ke Saae Hain
Chalake Yuun Machal Ke Rang Badal Ke
Hamase Milane Aae Hain

Khuhbuu Hai Bahaaron Kii
Mastii Hai Nazaaron Kii
Sabake Dil Pe Chhaayaa Hai Nashaa
Are Aise Muskuraatii Hai …
Aise Muskuraatii Hai Yuun Fizaa
Bulaatii Hai Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa
Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa

Panchhii Sur Men Gaate Hain
Bha.Nvare Gunagunaate Hain
Ghungharuu Bajaatii Hai Havaa
Aise Muskuraatii Hai Yuun Fizaa
Bulaatii Hai Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa

Naiyaa Bin Khivaiyaa Jaane Kaise Saahilon Pe Aatii Hai
Dhaaraa Is Nadii Kii Har Kisii Ko Ik Din To Milaatii Hai
Oh Naiyaa Bin Khivaiyaa Jaane Kaise Saahilon Pe Aatii Hai
Dhaaraa Is Nadii Kii Har Kisii Ko Ik Din To Milaatii Hai

Sachchii Ye Kahaanii Hai
Paanii Zindagaanii Hai
Saare Jag Ko Hai Ye Pataa
Ho Aise Muskuraatii Hai …
Aise Muskuraatii Hai Yuun Fizaa
Bulaatii Hai Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa

Panchhii Sur Men Gaate Hain
Bha.Nvare Gunagunaate Hain
Ghungharuu Bajaatii Hai Havaa
Aise Muskuraatii Hai Yuun Fizaa
Bulaatii Hai Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa
Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa
Jaise Ho Ye Merii Dilarubaa.

jab gana khatam hua tab tak kaafi bheed ikatthi ho gai thi. jiska yehsash ajju ko tab hua jab taliyo ki awaj goonji.

suman- nisha ab tumhari baari

nisha- fir kabhi mem abhi man nahi he mera plz

ajju- are suna do na plz mera bhi man he

nisha ne ajju ki baat nahi taali aur gana suru kar diya


Hai meri sanso mein mera piya
Maine piya se vachan hai liya
Hai meri sanso mein mera piya
Maine piya se vachan hai liya
Janmo janam tak sath rahenge
Sukh chahe dukh ho milke sahenge
Hai meri sanso mein mera piya
Maine piya se vachan hai liya

Jab jab mujhe jeevan mile
Mujhko yahi sajan mile
Jab jab mujhe jeevan mile
Mujhko yahi sajan mile
Ye zindagi unke liye,
Meri har khushi unke liye
Ghadi ghadi mera jiya kasam yahi khaye
Hai meri sanso mein mera piya
Maine piya se vachan hai liya
Janmo janam tak sath rahenge
Sukh chahe dukh ho milke sahenge
Hai meri sanso mein mera piya
Maine piya se vachan hai liya

Meri dua mein ho asar,
Unko lage meri umar
Meri dua mein ho asar,
Unko lage meri umar
Wo pas hai ya dur hai,
Is mang ka sindur hai
Sanso ka ye nata kabhi toda nahi jaye
Hai meri sanso mein mera piya
Maine piya se vachan hai liya
Janmo janam tak sath rahenge
Sukh chahe dukh ho milke sahenge
Hai meri sanso mein mera piya
Maine piya se vachan hai liya.

ek baar fir taliya goonj uthi aur nisha ne sarma kar najre jhuka li.

kuchh der yu hi mouj masti karne ke baad sabhi log baha se bapis camp ki traf bad gaye. raste me nisha ne purvi ko kaafi moka diya ki wo ajju se baat kar sake par ajju baar baar nisha ke paas hi chala jata. wo purvi ke saath kuchh uncomfertable feel kar raha tha.

camp me pahuch kar bhi nisha ajju se door door hi rahi. ajju par jyada der tak ye bardast nahi hua aur apne tamboo me ghus kar apne bag se sarab ki botal nikal kar peene laga.

ajju jab se yaha camp me aaya tha usne drink nahi ki thi halaki wo apne saath prayapt matra me stock lekar aaya tha. par sayad use jarurat hi mehsoos nahi hui. par achanak nisha ke bartav se use thoda sa heart hua tha, aur isi liye wo drink lene laga.

ajju kaafi der tak bahi betha drink leta raha use pata hi nahi chala kab raat ho gai he. jabki nisha jo ki use kaafi der se ignore kar rahi thi, jab use ajju kahi najar nahi aaya to pareshan ho gai. aur ajju ko dhundne lagi. bahar usne kai logo se poocha. fir use laga sayad purvi ke saath hoga. lekin jab use purvi bhi riya se baat karti hui dikhai di to nisha ke hosh ud gaye. use kal ki ghatna yaad aai jab ajju khoon se lathpath camp me bapis aaya tha.

"kahi wo fir se un logo ke pichhe to nahi chala gaya"

ye sochte he nisha ke sarir me siharan dod gai. aur ek ajeeb si bechaini hone lagi. wo badhabas si sabhi jagah ajju ko dekhti rahi. aur akhir me thak kar apne tambu me bapis aa gai jaha use ajju sarab peeta dikhai diya.

nisha ke pero se to jese jameen hi nikal gai ajju ne poori 5 botal sarab pee li thi. aur ab bhi lagatar piye ja raha tha.

ajju ki halat dekh kar nisha apne aap ko rok nahi paai aur uski ankho se aanshu behne lage. wo andar gai aur ajju ke hath se sarab ki botal chhin li

nisha- ajju ye kaya kar rahe ho tum

ajju- kuchchh bhi to nahi bas dekh raha hu ki ye jyada kadvi he ya ye duniya

nisha- akhir yesha kya ho gaya jo tum itni saari sarab pee gaye

ajju- kyu tumhe nahi maloom kya kya hua he

nisha- nahi to

ajju- fir kyu mujh se itni door door bhag rahi ho aaj

nisha- nahi yesa to nahi he, sayad tumhe yu hi lag raha he.

ek to khali pet upar se neet wo bo bhi itni jyada matra me. sarab ne apna asar dikhan suru kar diya tha.

ajju- yesha hi kuchh tum ne water fall par kaha tha, he na???? par baat kuchh aur hi nikli aur ab bhi yahi bol rahi ho pakka koi aur baat he

nisha ki dil ki dhadkan bad gai thi

nisha- kya dekha tumne meri ankho me

ajju- pyaar mere liye dher sara pyaar

nisha- to isme kon si badi baat he. kya tum mujhe pyar nahi karte

ajju- karta hua par tumhari ankho me pyaar alag prakar ka tha besa hi jesa mujhe jiya ki ankho me dikhta tha. tum mujhe kyu baar baar jiya ki yaad dilati ho. jab tumhare saath hota hu to lagta he meri jiya aaj bhi mere saath he. aaur jab door jaati ho to bechaini si hone lagti he. ab tum nisha nahi rahi, ab tum jiya ban gai ho. tum bilkul uske jesi banti ja rahi ho. kabhi tum nisha ban jati ho kabhi jiya ban jati ho kamal he, tum to jadu karne lagi ya fir me pagal ho gaya hu

nisha- yesha kuchh nahi he tum ne jyada pee li he bas.

ajju- kon kambakhat kehta he mene pee he. mene nahi pee. mai poore hosh me hu. nishu agar tum meri behan na hoti to pakka me tum se saadi kar leta. par nahi is baar mai koi galti nahi karunga mai pyaar nahi karunga tum se, bilkul bhi nahi. pehale jiya se pyaar hua wo bhi mama ki ladki nikli ab tum se ho raha he, tum bhi chacha ki ladki ho. jiya se payaar kiya to bo chhod kar chali gai tum se karunga to tum bhi chhod kar chali jaogi mujhe, nahi mai nahi karunga pyaar tumse, kabhi nahi karunga.

nisha jese jese ajju ki bate sun rahi thi uske dil ki dhadkane badti hi ja rahi thi. use kuchh bhi samajh nahi aa raha tha kya ho raha he. nisha to khud apne aap ko nahi samajh paa rahi thi ki akhir kyu wo ajju ki taraf baar baar attrect ho rahi he, jabki wo achchhi tarah se janti he ki ajju uska bhai he.

nisha- ajju mai tumhare liye khana lati hu

ajju- nahi khana mujhe khana bana

nisha ne koi jabab nahi diya aur bahar nikal gai. kuchh der baad wo ek plate me apne liye aur ajju ke liye khan le aai. aur ajju ko jabardasti khan khilya aur khud bhi khakar let gai.

ajju ab bhi kuchh na kuchh badbadaye ja raha tha

ajju- nishu mujhe chhod ke mat jana mai bahut akela ho gaya hu. i love you nishu i love you

ajju kaffe der tak yu hi badbadata rah aur fir so gaya jabki nisha ke dil me uthal puthal machi hui thi, wo ye baat to janti thi ki dono hi kaafi aage bad gaye he aur ye kab aur kese hua dono ko hi nahi pata chala, bas risto aur maryadao ke bandhan ne unhe rok ke rakkha hua he. use samajh nahi aa raha tha ki aage bade ya rok le khud ko. fir use purvi baali sart yaad aai.

"kya mene sahi kiya purvi se sart laga kar, sayad mene anjane me hi ajju ko aur bhi jyada dard de diya"

nisha ko kuchh samajh me nahi aa raha tha. ki use kya karna chahiye fir use jiya ki yaad aai.

"jiya kyu chali gai tum hame chhod kar dekho kya haal bana liya he ajju ne. ab mai use kese samhalu wo to mujh me bhi tumhe hi dekhta he. mai kese tumhari jagah le sakti hu. aaj mujhe bhi tumhari jarurat mehsoos ho rahi he"

yahi sochte sochte nisha bhi so gai.

-------------------------------------------------------------------------------------------------

nisha aur jiya dono hi gao me phadi par bethe huye the. unse kaafi door ajju betha hua sarab pee raha tha, jiya pehle ki tarah khoobsoort lag rahi thi bilkul ek pari ke jaisi. nisha bas jiya ko hi dekhe ja rahi thi.

jiya- didi tod diya na aap ne mujh se kiya vada

nisha- kon sa vada

jiya- bhool gai aap bahi vada jo aapne hospital me mujh se kiya tha. ki mere baad aap ajju ka dhyan rakhogi. use kabhi akela nahi chodogi. dekho kya haal ho gaya he ajju ka

nisha- mai kosis to kar rahi hu jiya. mai ek acchhi si ladki se uski jald hi saadi kara dungi. fir sab thik ho jayega

jiya- nahi hoga balki wo aur bhi jyada bikhar jayega. socho mene ye vada aap se hi kyu liya tha. mai papa se bhi bol saki thi

nisha- mai nahi janti

jiya- nahi janti ya jaanna nahi chahati, mene ye vada is liye liya tha ki jitna pyaar mai ajju ko karti hu usse kai guna jyada aap use pyaar karti ho. jitna wo mere saath khush rehta he usse jyada aap ke saath wo khush rehata he. ajju ne hamesha se hi mujh se jyada aap ko pyaar kiya he.

nisha- par ye pyaar wo bala pyaar nahi he jo tum dono ke bich tha

jiya- pyaar ka koi roop nahi hota koi prakar nahi hota pyaar to bas pyaar hota he. pavitra nischhl aur amar hota he. wo aap me mujh ko dhundta he. wo aap se pyaar karne laga he.

nisha- par ye kabhi nahi ho sakta. wo mera bhai he

jiya- bhai to wo mera bhi tha, par baat keval itni si nahi he, asal baat to ye he ki kya aap apne bhai ko ek baar fir dard ke sagar me doobta hua dekh payebgi. wo dekho use

nisha ajju ki taraf dekhti he wo lagatar nisha nisha chillaye ja raha tha

jiya- dekha aap ne kebal aap hi ho jo uske dil se meri yado ko nikal sakti ho.

nisha- nahi mai yesha nahi kar sakti

jiya- kar nahi sakti ho???? ya karna nahi chahati ho????

nisha- tum jo chaho samajh lo

jiya- to kya mujhe marne ke baad bhi tadapna padega

jiya ke itna bolte hi jiya ke poore sareer me ghav dikhai dene lage, aur unme se khoon rishne laga, uske chehare par dard dikhai dene laga jiya ke kapde khoon se san chuke the.

jiya- di plz mere ajju ka dhayan rakhan mai mar rahi hu use akela mat chhodna

itna bolkar jiya ki gardan ek taraf ludak gai. door se ajju ke chikhne ki awaj aai jo ab nisha ki jagah fir se jiya jiya chilla raha tha. nisha jo jiya ki
halat dekh kar ek but ban gai thi, ajju ki awaj sun kar hosh me aai aur jiya ko uthane ki kosis karne lagi

nisha- jiya utho tum yu mujhe chhod kar nahi ja sakti. dekho ajju ki kya halat ho rahi he utho jiya. mai akele use nahi samhal sakti.

par jiya ke sareer me kuchh harkat nahi hui par jiya ke chehare par dard aur bhi jyada bad gaya

nisha- jiyaaaaaaaaaaaaa

ek jor dar chikh ke saath nisha ki ankha khul gai. nisha ke chikhne se ajju ki bhi ankh khul gai aur wo nisha ko dekhe ja raha tha. aur fir nisha foot foot kar rone lagi.

nisha- i am sorry jiya mujhe maaf kar do ye mujh se nahi hoga.

ajju itna to samajh gaya tha ki nisha ne koi sapna dekha he jisme uske saath jiya thi. par aaj yun achanak ye sapna use samaj me nahi aaya. usne nisha ko apni ttaraf khinch liya aur apne sine se laga liya. nisha ajju ke sine se lagkar kaafi der tak roti rahi.

ajju kafi hairan tha use samajh nahi aa raha tha ki wo kya kare, use yaad aane laga wo sab jo kuchh hi samaya pehle hua tha. use yaad aaya jab jiya ne usse baat karna band kiya to to kese nisha ne use samhala tha. use yaad aaya jab jiya ke saath hadsha hua tha to to kese nisha indore se delhi dodi chali aai thi. wo poori tarah se toota hua tha use to koi hosh hi nahi tha. tab nisha ne kese use samhala tha. kitni majboot bani rahi bo ajju ke samane. nisha ko to apna dard bahar nikalne ka samay hi nahi mila tha. wo to kebal ajju ko hi samhalti rahi thi. akhir nisha aur jiya bhi to acchhi dost thi. aur sayad itne dino se apne andar chipaya hua dard aaj apne saare bandh tod kar bahar aa gaya tha.

ajju nisha ke sir par haath ferta raha par usne nisha ko chup karane ki kosis nahi ki, kyu ki wo janta tha ki nisha ke andar ka dard bahar nikalna jaruri he. aur anshu apne dil ka dard nikalne ka sabse achhe sadhan hote he. nisha yu hi kaafi der tak ajju ke sine se lagi roti rahi. nisha ke anshu to sukh gaye par rona band nahi hua. kaafi der baad ajju bola

ajju- nishu

nisha- hun

ajju- kya hua

nisha- jiya ki bahut yaad aa rahi he,

ajju- mujhe bhi

itna bolkar ajju ne nisha ko aur bhi jyada jor se bhinch liya. dono ke man me aaj fir bahi purani bhavnaye umad aai thi. aaj nisha ko sayad dost ki nahi balki apne bhai ki jarurat thi. aur isi liye use ajju ko itne dino baad bhai keh kar bulaya

nisha- bhai meri ek baat manoge

ajju- ha kaho

nisha- aap saadi kar lo

ajju- kyu???

nisha- bas yese hi

ajju- sayad ab ye mere liye sambhav nahi he

nisha- plz bhai mene jiya se vada kiya tha ki aap ki zindgi me pyaar bapis laungi plz meri baat maan lo

ajju- mai khush hu. aur akela kaha hu, tum ho, monu he, chacha-chachi he, mamaji ji he sab to he mere paas

nisha- par pyaar to nahi he na

ajju- pagli kon kehta he pyaar nahi he mere paas tumhara pyaar he jiya ka pyaar he itna kaafi he mere liye

nisha- par bhai

ajju- chal chodo ye sab aur ye batao raat me tum kab aai

ajju ke dwara ye prashn poochhte hi nisha ko raat ki saari ghatna yaad aa gai. nisha ke chehare ke badalte bhav dekh kar ajju thoda pareshan hua. usne nisha ki ankho me jhankne ki kosis ki to nisha ne apni najre jhuka li wo samajh gai tuhi ki ajju ko raat ki koi bhi baat yaad nahi he. aur wo ajju ko sarminda nahi karna chahati thi.

ajju- jabab nahi diya

nisha ko jese hosh aaya ab tak bo kafi samhal chuki thi

nisha- tab jab tum nashe me doobe huye the. bese tumhe kitna yaad he

ajju- jyada nahi bas itna mai yaha aakr drink lene laga ktin der tak betha raha mujhe yaad nahi

nisha ne ek side padi hui khali botalo ki taraf ishara kiya

ajju- oh may god kya sach me ye sab mene pee li thi

nisha- haa. by the way mai poochh sakti hu ki aap ne yesha kyu kiya aur kya jarurat thi is sab ki

nisha ke prashan ne ajju thoda hadbada gaya. fir kuchh der baad samhal kar bola

ajju- tumhari bajah se

nisha- kyu???? mene kya kiya

ajju- tum kal se lagatar mujhe ignore kar rahi ho. agar mujh se koi galti hui ho to sorry but yesha mat karo. ye sab mujh se bardast nahi hota.

nisha- tumhe yesha kyu laga ki mai tumhe ignore kar rahi hu. aur fir kon sa tum saari jindgi mere saath hi rehne baale ho. kuchh dino ke baad tum bapis chale jaoge. ya sayad mai hi tum se door chali jau tab kya karoge

ajju- mujhe nahi pata ye sab. aur na hi mai iske baare me sochna chahata hu. bese bhi tum kaha ja rahi ho. yahai rahogi. jab bhi man karega aa jaunga

nisha- meri saadi ke baad?????

ajju ke paas iska koi jabab nahi tha. is liye khamosh hi raha aur is khamosi ko nisha ne toda.

nisha- bese ek baat poochu sach sach batana

ajju- hum poocho

nisha- kal jab tum meri ankho me jhanka rahe the to tumhe kya dikhai diya

ek baar fir ajju khamosh hi raha aur is baar bhi khamoshi nisha ne hi todi

nisha- mr. ajay sharma aap bahel hi sachchhi se bhaga le, par hakikat nahi badal sakti. sach poocho to aap aur mai dono ek hi naov par sabar hai, aur ham dono hi ek dushre ke dil ki baat jaan gaye he. bas use accept nahi kar paa rahe he. bhale hi aap ne meri ankho me pad liya ho aur fir bhi nasamajh banne ka dikhaba kar rahe ho, ya apne vicharo ko rok kar mujhe apne dil ki baat jaanne nahi de rahe ho. par aap is sachchai ko mujh se chipa nahi paye.

ajju- kesi sachchaiii

nisha- bahi sach jo aap kal saari raat nashe ki halat me badbadate rahe.

ajju ke liye ye ek bahut bada jhatka tha. usne jese tese apne aap ko samhala.

ajju- nahi wo to nashe me bas yese hi kuchh anap sanab bak diya hoga.

nisha- aur mene to suna tha nase me aadmi hamesha sach bolta he. jo bhi dil me hota he bol deta he.

ajju ek baar fir khamosh ho gaya tha, par wo lagatar nisha ki ankho me jhanke ja raha tha. nisha ne bhi apni palke nahi jhukai aur bo bhi ajju ki ankho me jhankne lagi. par aaj baat kuchh aur thi. aaj nisha bhi apne vicharo ko controll karne ki kosis kar rahi thi halaki ki wo jyada der tak ye nahi kar pai aur ajju uske man ki gehrai me utarnrne laga. yahi haal nisha ka tha. wo bhi lagatar ajju ke man ki gehrai me utarne ki kosis kar rahi thi. akhir kaar nisha bhi safal rahi, ajju ne apne vichro ko khula chhod diya aur nisha uske man ki gehraiyo me utarne lagi.

dono kaafi der tak ek dushre ki ankho me khoye rahe. ab dono ke bich koi raj nahi bacha tha, sab kuchh sise ki tarah saaf ho chuka tha. dono hi ye baat acchhi tarah se jaan gaye the. ki ab unaka rista bhai behan ka nahi raha tha, balki unke bich ek naya risha janam le chuka he. jisme pyaar ke saath saath samarpan bhi samil he. par dono abhi bhi apne bhai behan ke riste ko bachane ki akhri kosis kar rahe the.

kuchh der baad nisha ne apni palke jhuka li. uske chehare ki rangat badalne lagi thi. saram aur dar ka mila jula asar uske chere par dikhai de raha tha. saram is baat ki thi ki uska dil ab uska nahi raha, aur dar ye tha ki kya samaj is riste ko apnayega. kya anjam hoga is riste ha. kahi bo is naye riste ki bajah se apne purane riste ko bhi na kho de.

jabki ajju ke chere par kebal aur kebal dard tha. apni behan ko khone ka dard, apne acchhe dost ko khone ka dard. nisha se ajju ka dard aur jyada dekha nahi gaya aur usne mahol ka halka karne ki kosis ki

nisha- chodo ye sab chalo nadi par chalte he mai bhi na subahy subahy kya baat le kar beth gai

ajju bina koi jabab diya uth khada hua aur bag se apne kapde nikal kar tambu se bahar nikal gaya. bahar abhi halka halka andhera tha. sayad aaj dono jaldi jaag gaye the. kuchh der baad nisha bhi aa gai. aur fir dono nadi ki taraf chal diye.

lagbhag 2-3 ghante ke baad jab wo nadi se bapis aaye tab tak kafi log jaag chuke the ajju aur nisha ne apne tambu me jakar apne baal bagerah thik kiya aur bahar aa gaye. subahy ki ghatna ke baad dono ki jyada baat nahi hui thi, halaki nisha ne mahol ko kaafi halka karne ki kosis ki thi.

nisha apne frinds ke paas chali gai thi. jabki ajju bahi pass ek patthar ke tile par betha hua apni hi socho me gum tha. tabhi baha purvi aakar beth gai.

purvi- hi ajju kya soch rahe ho

ajju chonkte huye

ajju- kuchh nahi bas yu ki soch raha tha ki kal hamra is camp me akhri din he. kitna enjoye kiya yaha par

purvi- haa so to he, bese muje tum se ek jaruri baat karni he

ajju- ha kaho

purvi- abhi nahi raat ko khana khane ke baad baat karnege.

ajju- yesi kya jaruri baat he. mai abhi free hu

purvi- kaha na raat me karenge

ajju- jesi tumhari marji

purvi- bese ek baat batao kya tumhare aur nisha ke bich me kuchh hai kya

ajju- nahi kyu

purvi- bas yese hi pocch liye bese lagta nahi he tum dono ko dekh kar.

ajju- hamare riste ko koi bahi nahi samajh sakta. insaan ki jesi soch hoti he wo apne man se wo rista bana leta he.

purvi ne is samay jyada kuchh kehna thik nahi samjha aur uth kar chali gai. jabki ajju bahi betha betha ek gana gungunane laga. jo ke bachpan se uska aur nisha ka faverit gana tha. halaki ajju jyada tej awaj me nahi ga raha tha. par nisha jo usse jyada door nahi beti thi us tak uski awaj pahuch rahi thi.


Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai

Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai

Maana apni jeb se fakeer hein
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hein
Maana apni jeb se fakeer hein
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hein

Mitte jo pyaar ke liye woh zindagi
Chale bahaar ke liye woh zindagi
Kisi ko ho na ho hamein to aitbaar
Jeena isi ka naam hai

Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai

Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hami se naam pyaar ka
Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hami se naam pyaar ka

Ki marke bhi kisi ko yaad ayenge
Kisi ke aansuo mein muskuraanyenge
Kahega phool har kali se baar baar
Jeena isi ka naam hai

Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
Awesome update
 

redhat.ag

Member
340
1,997
123
thanks to all my friends
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Naughtyrishabh

redhat.ag

Member
340
1,997
123
Update 034
----------------------------


dopehar lagbhag 12 baje ka samay tha. lunch ki taiyari ho chuki thi. sab dining table par ajju ka wait kar rahe the jo ki subhay se apne room me hi tha. kisi ki bhi himmat use bulane ki nahi ho rahi thi. jese tese mangal kaka himmat kar ke ajju ko bulane gaye par ajju ne unse khana apne hi room me mangba liya. baki logo ne bhi majboori me khana suru kar diya. abhi sab log lunch le hi rahe the tabhi poonam ghar par aai. pro. narayan ke alawa poonam ko koi nahi janta tha.

pro. narayan- aao poonam, betho hamare saath lunch kar lo

poonam- thanks sir but mai lunch kar ke aai hu.

pro. narayan- kesa chal raha he sab??? koi kaam tha kya???

poonam- ek dum perfect, actually me ajay sir ne mujhe bulaya tha. wo dikhai nahi de rahe

pro. narayan- ajju ne??? par kyu???

poonam- unhone flights ki kuchh tickets book karai thi

pro. narayan- lao mujhe de do. aur haan agar ajju se milna ho to upar first flore par uska room he baha chali jao. wo bahi he

poonam- nahi uski koi jarurat nahi he. ye lijiye tickets

itna bolkar poonam ne ek envolope pro. narayan ko de diya aur baha se chali gai. lunch karne ke baad pro. narayan ne envolope ko open kar ke dekha to usme delhi se indore ki 6 tickets thi. aur ek ticket delhi se guwaahati ki thi jo ki indore bali flight ke 3 ghante baad ki thi. guwahati ki tickets dekh kar sabhi ko kaafi ascharya hua. kisi ko kuchh samajh me nahi aaya ki akhir ajju ne ye ticket kyu mangwaya he. achanak renu ne mangal kaka ko bulaya

renu- kaka jab aap ajju bhai ke room me gaye to wo kya kar rahe the

mangal- beta chhote malik to apni packing kar rahe the yesha lag raha tha jese lambe samay ke liye kahi bahar jaane wale he

renu- unhone kuchh bataya aap ko kaha ja rahe he wo

mangal- nahi mene unse poochha hi nahi.

pro. narayan- thik he mangal tum apna kaam dekho

ab sabhi ke saamne baat saaf thi ajju hi assam ja raha tha. par kyu aur yu achanak baha jaane ki kya jarurat pad gai. wo bhi nisha ki saadi bale din. halaki renu aur maa saari baat samajh gai thi par unhone baha kuchh bhi kehna uchit nahi samjha. lunch kar ke sabhi log aaram karne chale gaye jabki pro. narayan, ravi aur manju indore jane ke liye apni apni packing karne lage. wo log bhi indore nisha ki saadi me jaane bale the. baaki logo ka saman to pehle se hi pack tha.

aaj subhay ki ghatan se aur fir ajju ke assam jane ki baat se maa aur renu ka man aaram karne ka nahi kar raha tha. wo ajju se baat karna chahti thi is liye lagbhag ek saath hi dono ajju ke room ki taraf bad gai.

--------------------------------------------------------

ajju ne abhi tak lunch nahi kiya tha khana abhi bhi besa ka besa table par rakkha hua tha. jabki ajju khamoshi se apni packing me bussy tha.

maa- ajju kya he ye sab, tum assam kyu ja rahe ho packing dekh kar to lag raha he ki tum lambe samay tak baha rukne baale ho

ajju- haa maa, actually me mai kuchh samay ekant me kisi prakirtik jagah par bitana cahata hu. nature ko ek dum kareeb se dekhna chahata hu.

maa- pay yu achanak abhi to tumhara kaam bhi poora nahi hua he

ajju- bhool jao maa sab kuchh. ab mai thak gaya hu ye jung sayad mai aur nahi lad paunga.

maa- par kyu??? akhir yesha kya ho gaya jo tune ye faishla liya

ajju- maa mujhe lagta he ki mai bahut selfish hota ja raha hu. mai apni jung ke liye apne badle ke liye sab ko khatre me nahi daal sakta. ye jung tab tak nahi ruk sakti jab tak ya to mai ya fir chief me se koi ek khatam nahi ho jata. mujhe apni chinta nahi he par apno ki chinta he. mai aap sab ko khatre me nahi daal sakta. aaj aap sabko meri bajah se apne ghar ko apne gao ko chhod kar aana pada. meri bajah se us gurjar ne uncle ke saat yesha vartav kiya, meri hi bajah se us kameene ne renu par gandi najar daali. meri hi bajah se jiya ki jaan gai. meri hi bajah se mama ji ki jaan jate jate bachi mere hi karan nisha ki jaan khatre me he. ye jo kuchh bhi ho raha he sab mere karan hi ho raha he. jab mai hi nahi rahunga to ye sab ruk jayega. is liye mai aap sab se doore hamesha ke liye ja raha hu. kuchh samay assam ke jungalo me bitaunga fir dekhta hu jingi mujhe kaha lekar jaati he. par ab mai lotkar bapis kabhi nahi aaunga. ya to apne aap ko kanoon ke hawale kar dunga ya fir hamesha ke liye bahut door chala jaunga

maa- na beta na yesha nahi bolte jo kuchh bhi hua usme tumhari koi galti nahi he

ajju- nahi maa meri hi galti he. uncle thik keh rahe he aap log monu ke saath jyada safe he. aur bese bhi jab mai hi nahi rahunga to chief ko bhi aap logo se koi matlab nahi rahega.

maa kuchh kehne hi baali thi ki achanak ajju ke mobile par raghu ka call aaya

ajju- haan raghu bolo

raghu- bhai hame yadav ka thikana pata chal gaya he aap kaho to use bhi uthaba lu

ajju- thik he, aur haa uski achhe se khatir daari karte rehana. sayad kuch samay mera tumse contect na ho pay to fir ravi bhai se baat kar lena. wo jesa kahe besa karna.

raghu- jee bhai

fir ajju ne phone cut kar ke table par rakh diya

renu- bhai aap hamare sath indore nisha di ki saadi me chalo fir baha se aap jaha chaho chale jana

ajju- nahi mai ab baha nahi ja sakta

renu- par abhi unpar se khatra tala nahi he

ajju- jab tak me yaha hu sab par khatra bana hi rahega. bese bhi mene monu se bol diya he, usne unki sadi tak ke liye security ka intjam kar diya he. aur fir kal to wo apne pati ke saath hamesha ke liye mumby chali hi jayegi bahi par wo sab sattel ho rahe he.

renu- mujhe laga sayad aap baha jaoge

ajju- renu mai koi patthar ka nahi bana hu mai bhi insaan hu. mai janta hu ki mere kehane par hi nisha di ye saadi kar rahi he, par agar mai baha gaya to sayad wo saadi se inkar kar de, ya fir ho sakta he mai hi apni saari maryadao ko aur ushoolo ko bhool kar samaj ki parwah kiye bina wo kar bethu jo ek bhai behan ke riste me kabhi nahi hona chahiye. bese bhi mere andar ab unka samna karne ki himmat nahi bachi he. mene unhe pal pal rote dekha he andar se tootte dekha he. ab aur nahi dekh sakta

mahol ek dum bhari ho gaya tha is samay teeno ki ankho me anshu the ya sayad charo ki ankho me pata nahi kab monu ke pitaji aa gaye the aur gate par khade khade unlogo ki bate sun rahe the. halaki unhe nisha ka matter samajh me nahi aaya par ajju ko in sab mamlo me khud ko dosh dena unhe chuv raha tha. ajju kuchh kehne hi bala tha ki tabhi uski najar uncle par padi aur fir bo khamosh hi reh gaya aur sir jhukay apna kaam karne laga. uncle andar aaye aur ajju ke kandhe par haat rakh kar bole

uncle- subhay ki baat ko lekar apne uncle se ab tak naraj he

ajju- nahi to, mai aap logo se naraj kese reh sakta hu

uncle- fir kya he ye sab???

ajju- uncle sayad aap thik keh rahe the, aap log monu ke paas jyada safe he. bese bhi ye sab meri bajah se hi to hua he. haa mujhe subhay aap ki baat par guss aaya tha par jab mene is baare me socha to mujhe aap ki baat sahi lagi. aur ye yehsash hua ki mujhe vastav me aap sab de door chale jana chahiye. bese bhi mai bahut kuchh kho chuka hu ab aap logo ko nahi kho sakta. is jung se mujhe ab tak kuchh bhi hasil nahi hua. balki mene khoya hi h. aur jyada khone ki himmat mujh me nahi he

uncle- par mujhe yesha kyu lag raha he jese tum ye sab is liye kar rahe ho kyu ki tumhe meri baat buri lagi

ajju- apno se door jane par bura to sabko hi lagta he. mene to apni sagi maa ko kabhi dekha hi nahi tha, maa ne hi mujhe ye yehsash karaya ki maa kya hoti he. papa ne bhi bachpan se mujh par koi khash dhyan nahi diya tha, par aap ne kabhi mujhe baap ki kami mehsoos nahi hone di. mujhe koi bhi jarurat hoti thi to mai hak se aap se mang leta tha. renu ne kabhi mujhe ye yehsash nahi hone diya ki mai uska saga bahi nahi hu. fir bahala mai aap sab se naraj kese ho sakta hu. aap umra me aur anubhav me mujhse kaafi bade he, aap jo bhi faishla karenge bo kaafi soch samaj kar karenge. par jo kuchh bhi ab tak hua he uske liye kahi na kahi mai apne aap ko doshi manta hu, aur manta rahunga. bas isliye mene ye faishla kiya he ki mujhe aap sab se door chale jana chahiye. isi me sab ki bhalai he.

maa- thik he ajju agar tumhara yahi faishla he to ham tmhe nahi rokege. tum jaha jana chaho ja sakte ho par yaad rakhna teri ye maa hamesh tere bapis aane ka intjaar karti rahegi

ajju- maa mera ek kaam karogi

maa- kya?????

ajju ne apne bag se ek choti si dibbi nikali jis me thik besa hi ek locket tha jesa usne jiya ko diya tha.

ajju- maa plz ise nisha di do meri taraf se de dena

maa ne bo locket apne hand bag me rakha liya

maa- thik he mai de dungi

ajju- aur haa abhi nisha di ko mere baare me kuchh mat batana, aur monu se kehna ki aaj bale hi wo police officer ho aur uski najar me mai ek crimenal par mere liye bo aaj bhi mera bahi dost monu he, aur hamesha rahega. usse kehna ki agar uske andar ka police office hamari bachpan ki dosti par hawi hone ki kosis kare aur use lage ki dosti ki bajah se ek crimenal uske haath se nikal gaya ya maine ab tak jo bhi kiya galat kiya to mama ji ke paas soochana bhijba dena mai apne aap ko kanoon ke hawale kar dunga. mai aap sab se door bhale hi ja raha hu par kabhi bhi mere kisi bhi apne par musibat aye to ek baar mujhe dil se yaad kar lena bhale hi mai duniya ke kisi bhi kone me rahu mai doda chala aunga ye mera vada he.

maa- thik hai mai usse bol dungi. chal teri packing baad me kar lena pehle khana kha le

ajju- maa aaj apne hato se khila do na jese bachpan me mujhe, monu aur renu ko khilati thi. pata nahi fir kabhi moka mile na mile.

maa ne koi jabab nahi diya aur table par rakkhi khane ki plate ko utha liya aur ajju ko khana khilane lagi

-----------------------------------------------------

sabi logo ko 3:00PM ki flight se indore jana tha. ajju khud hi sabhi ko airport chodne gaya hua tha. ajju ki flight saam 6:30PM ki thi, is liye ajju airport se sidhe office chala gaya aur baha varun aur poonam ko bula kar unhe apne bahar jaane ke baare me bata diya. kaafi der discus karne par yah tay hua ki poonam aur varun conpany ko tab tak yese hi manage karte rahege jab tak ki ajju bapis aakar charge nahi le leta. ya jab tak koi naya MD niyukt nahi kar deta, tab tak compony ke sabhi chhote mote faishle ye dono milkar hi lenge.

aur saari detail online ajju ko per day bhejte rahege. halaki ye bahut badi jimmedari ajju ne dono ko de di thi par ajju ko yakeen tha ki ye dono poori imandari aur mehanat se compony ko samhal lenge.

ab ajju lagbhag apne sabhi kamo se free ho gaya tha. ek akhri kaam bacha tha simmi aur yadav ka faishla karna jise usne ravi aur manju ke upar chhod diya tha, kyu ki ye log jitne ajju ke doshi the usse kahi jyada ravi aur manju ke bhi doshi the. ajju unse ye hak nahi chhinna chahata tha.

ajju baha se sidha ghar pahucha, uski flight ka samay bhi hone bala tha. is liye usne apna sara saman ek baar fir se cheak kiya. tabhi uski najar us packet par padi jo ki inspector gurjar ne use diya tha. ye bahi packet tha jo uske pita ne akhri baar use courior kiya tha ajju ne use utha liya aur fir ek baar ghadi me time dekha.

ajju ke paas filhaal paryapt samay bacha hua tha is liye ajju ne use kholkar check karne ke baar me socha tabhi uske man me vichar aaya ki kyu na ek baar mama ji ya maa ko call kar ke poochh le ki wo log pahuche ya nahi. is liye ajju ne us packet ko bapis apne bag me rakh diya aur maa ko call karne laga.

kuchh hi der me maa ne call recive kiya

ajju- maa aap log pahuch gaye

maa- haa bas abhi kuchh der pehale hi ham yaha pahuche he. tu abhi tak nikla ya nahi

ajju- bas nikal hi raha tha socha ek baar aap logo se confirm kar lu. aap log monu aur nisha se mile ya nahi

maa- nahi abhi unse nahi mil paye he. monu se phone par baat hui thi nisha taiyaar hone ke liye beauty parlar gai he, monu bhi uske saath hi he.

ajju- thik he maa, jab wo aa jaye to nisha ki ek pic khinch kar mujhe msg kar dena plz

maa- tu khud hi kyun nahi aa jata??? khud hi apni anko se dekh le use ek baar

ajju- nahi ma mai nahi aa sakta bese bhi mai aap logo ki ankho se hi use dekh lunga.

ajju ne jyada baat nahi ki aur phone cut kar diya. kuchh der tak ajju yun hi apne khyalo me gum betha raha fir usne wo pakcet dobara apne bag se nikal liya aur jese hi use kholne ki kosis ki ajju ka phone baj utha. ajju ne screen par check kiya manish bhai ki call thi. ajju ne bina der kiye call recive ki

ajju- haa bhai

manish- kaha ho tum

ajju- delhi

manish- kyaa???? kab gaye???

ajju- kal hi indore se nikla hu

manish- mujhe bataya bhi nahi

ajju- bhai sab kuchh ek dum achanak se ho gaya tha, aap bataiye aap ne kese call kiya

manish- tumne jis ladki par najar rakhne ke liye kaha tha uske baare me kuchh jaankari mili he

ajju ka dil achanak se jor jor se dhadakne laga ek ajeeb si bechaini use mehsoos hui

ajju- kya????????

manish- apne ek aadmi ne mujhe bataya he ki kuchh ladke kal se us ladki par najar rakh rahe he. usne un logo ki baate bhi suni he, bata raha tha ki sayad aaj saam ko kisi beauty parlar se us ladki ko uthane ka program he

manisha ki baat sun kar ajju ke pero tale jameen nikal gai, wo lagbhag chikhta hua bola

ajju- kyaaaaaa??? par ye kese ho sakta he. mene to indore me chief ke sabhi aadmiyo ko apne hato se maar diya he. fir ye naye kon aa gaye

manish- pata nahi sayad college students he aur wo local indore ke bhi nahi he. apne aadmi ne bataya ki baat chit se lag raha tha ki nashik side ke he

ajju- abhi kaha he wo

manish- mene use un admiyo ke pichhe lage rehne ke liye boldiya he. socha ek baar tumhe bhi informe kar du. ab tum batao kya karna he unka.

ajju- bhai usse bol do ki unpar najar rakkhe mai aap ko kuchh der me call karta hu.

ajju ke chehare par ghabrahat badti ja rahi thi, jis baat ka use dar tha bahi ho raha tha. ab uske samne baat ek dum clear ho gai thi. monu ki family ko pareshan karna ek bahana tha, taki wo indore se bahar ja sake aur chief apana game khel sake kyu ki uske rehte nisha par haath dalna chief ke liye namumkin ho gaya tha.

ajju ne turant monu ko call kya

ajju- kaha he tu

monu- nisha di ke saath beauty parlar aaya hu

ajju- wo bahi tumhare samne hi he na

monu- kesi baat kar rahe ho wo andar cabin me he. bese bhi ladies parlar me mera kya kaam mai t bahar unka wait kar raha hu. is samay paas hi ek restorent par cofee pee rha tha. kyu koi kaam tha kya

ajju- tum turant unke paas jao aur ek pal ke liye bhi unhe apni najro se door mat karna

monu- akhir baat kya he

ajju- mujhe khabar mili he ki koi unhe beauty parlar se uthane bala he

monu ne isse jyada aajju ki baat nahi suni aur beauty parlar ki taraf dod laga di, kyu ki wo janta tha ki in sab mamlo me ajju ka network kaafi achchha he. agar use ye khabar mili he to kahi na kahi sachchai hogi hi.

lagbhag 10 minute ke baad ajju ke paas monu ka phone aaya

ajju- haa bol kya hua

monu- bhai mujhe maaf kar de mujhse bahut badi galti ho gai

ajju ko monu ki awaj me ghabrahat saaf mehsoos ho rahi thi. jabki ajju pehale se hi kaafi jyada tanav me tha is liye wo paglo ki tarah chillaya

ajju- akhir hua kya he????

monu- abhi abhi kuchh hi der pehale kuchh log nisha di ko beauty parlar se jabardasti utha kaar le gaye. sabhi ne apne chehare ko dhak rakkha tha, is liye kisi ne unhe nahi pehchana. aur unke paas gun bhi he.

ajju- kitne der pehle ki baat he

monu- yahi koi 10-15 minute pehle ki

ajju- kuchh idea he kis taraf gaye he aur kis gadi se

monu- nahi yaar kuchh bhi pata nahi chala.

ajju- abhi ye baat nisha ke ghar par kisi se mat kehana,

monu- thik he par plz mujhe maaf kar de

halaki ajju ko is samy kaafi guss aa raha tha par usne jese tese apne gusse ko controll me rakkha hua tha.

ajju- ab samajh me aaya na ki mai kyu tumhare kanoon par jyada bharosha nahi karta. tujhse ek kaam ke liye kaha tha wo bhi nahi kar paya. kitni badi badi baate kar raha tha mujhse. yaad rakhna agar nisha ko kuchh hua to mai tujhe kabhi maaf nahi karunga. aur haa mai aa raha hu bapis indore. ek ek ko chun kar marunga tu bacha sakta he to bacha lena unko mere kehar se.

ajju ne turant phone disconnect kiya aur poonam ko call kiya

poonam- haan sir

ajju- poonam mere assam jane bala ticket cancle kara do aur mujhe abhi indore jane bali flight ki ticket chahiye

poonam- but sir ab to 9 baje se pehale koi flight nahi he

ajju- mere paas itna samay nahi hai. mujhe abhi indor ke liye nikalna he. chahe iske liye private jet hi book kyu na karna pade "do what ever you can" kya karna he kese karna tum jano mai sidha airport ke liye nikal rah hu, tab tak mera indore jane ka intjam ho jana chahiye.

itna bolkar ajju ne phone disconnect kar diya aur manish ko call kar diya

ajju- bhai abhi abhi pata chala he un logo ne use utha liya he. apana banda baha pahucha ya nahi???

manish- tumhe kese pata chala

ajju- ASP manoj dube mera dost he wo is samay bahi par he. par unhe kuchh bhi pata nahi chal paya he ki kon log the, kab, kese aur kaha le gaye he

manish- mai abhi pata karta hu????

ajju- bhai kese bhi kar ke unhe dhundna he. jitna pesa kharch ho mai karne ke liye taiyaar hu bas mujhe wo surakshit chahiye. mai yaha se nikal raha hu. 2 ghante ke andar andar indore me hounga.

manish- tum chinta mat karo use kuchh nahi hoga mai tumhe airport par hi milunga aur indor me apne sabhi aadmiyo ko isi kaam par laga deta hu. aur haan agli baar hamare bich me peso ko lekar mat aana

ajju- thanks bhai bas aap hi meri akhri umeed ho

itna bolkar ajju ne phone cut kiya aur bina der kiye gadi me beth gaya aur airport ki taraf gaadi toofani gati se bahaga di. airport ke bahar hi use varun aur poonam uska wait karte huye mil gaye

poonam- sir kya baat he itni urgent indore

ajju- kisi ki jaan khatre me he

poonam- kis ki ???

ajju- mera apna hi he jo mujhe apni jaan se bhi jyada pyara he, tum ye batao kya hua???

poonam- sir flight to is samay koi nahi he is liye majboori me private jet book karaya he. 10 minute me yaha se take off karega. jet airways ko chota plane he jo 1-1:30 ghante me aap ko indore pahucha dega.

itna bolkar poonam ne uske tickets ajju ko diya. ajju ne turant ticket collect kiya aur airport ke andar jane laga. fir achanak ruk kar

ajju- good poonam tumne achchha kaam kiya is mahine apni salary me salary ke barabar insentive bhi jod lena.

fir bina poonam ki koi baat sune teji se andar chala gaya.

------------------------------------------------

lagbahag 7:30 ke aaspass ajju ka plane indore land kiya. ajju turnat airport se bahar aaya jaha use manish aur ravi ke saath kuchh aur ladke khade dikhai diye. ajju unki taraf bad gaya

ajju- ravi bhai aap????

ravi- haan manish ne mujhe call kar ke sab bata diya tha is liye mai bhi aa gaya.

ajju- kuchh pata chala

manish- haan pata chal gaya he wo log nisha ko nasik haighway ki taraf le gaye he.

ajju- kitna time hua

manish- lagbhag 45 minute pehle un logo ko nasik highway par dekha gaya tha

ajju- yaha se kitni door he nasik haighway

manish- mai road se jaye to lagbahg 45 minute ka rasta he par agar shortcut pakde to 15 minute me nasik highway par ja sakte he par shortcut par four wheelar se nahi ja sakte.

ajju- koi baat nahi mujhe ek bike ka intjam kara do aur shortcut samjaha do mai shortcut se baha jata hu tab tak aap main road se aa jaiye.

manish- thik he abhi 5 minute me bike ka intjam kara deta hua. bese hamare kuchh aadmi pehle se hi highway ki taraf gaye he. aur ab tak wo highway par pahuch bhi gaye hoge

itna bolkar manish kisi ko call karne laga jabki ajju ne monu ko call kar diya

ajju- kuchh pata chala kya????

monu- nahi bese mene poore indore ki nakebandi kara di he. wo log indore se bahar nahi ja sakte.

ajju ko monu ki baat par bahut jyada gussa aaya par is baar usne apne gusse ko roka nahi

ajju- tum indore ki nakebandi hi karte rehna aur wo log nisha ko lekar nasik highway par pahuch bhi gaye he

manu- kya nashik highway par kese??? mene to turant hi poore indore ko seel kara diya tha. bese tumhe ye sab pata kese chal raha he

ajju- bas ek crimenal aur ek police adhikari me yahi to antar hota he. agar jis tarah se mere paas information aati he aur mai kaam kar leta hu agar police bhi bese kaam kare to is desh me kabhi koi crime hoga hi nahi.

ajju ne monu ke jabab ka intjar nahi kiya aur phone disconnect kar diya. tab tak manish bhi free ho chuka tha. fir manish ajju ko highway ka shortcut rasta samjhane laga. kuch hi der me ek ladka baha aaya jo ki "KTM duke 390" sport bike se tha. usne aate hi bike ki key ajju ke hato me thama di. ajju ne bina deri kiye bike ko full speed me shortcut raste ki taraf doda diya.

lagbhag 10 se 15 minute me wo nashik highway par tha. ab wo full speed me nashik ki taraf jaane baale road par apni bike bhaga raha tha. is samay uski ankho ke samne kebal nisha ka chehara hi ghoom raha tha.

lagbhag 20 minute isi speed me bike bhagane par use aage chalkar road ke ek side 2 four wheelar khadi hui dikhai di unke paas kuchh ladke khade huye the. unme se 1 ladke ko ajju janta tha uska naam rohit tha. ajju rohit ko kai baar manish ke sath dekh cuka tha. ajju ne bhi apni bike uske paas rok di. rohit turant ajju ko pehchan gaya

ajju- kya hua????

rohit- bhai yaha se 2km aage toll naka he. ham ne baha jakar pata kiya he. us gaadi ne toll naka cross nahi kiya he abhi tak

ajju- tum logo ko pakka pata he na ki wo isi highway par aaye he

rohit- bhai ek dum pakki khabar he

ajju- konsi gadi se he wo log

rohit- silver color ki SUV he

ajju- is highy par aur koi rasta he kya. matalab koi single cross road, ya kisi gao bagerah jaane ka rasta

rohit- nahi yesha to koi rasta nahi he par haan. yaha se 1 km aage toll nake se pehle left side me ek road gaya he. jo ki lagbah 4-5 km lamba he

ajju- kha jata he wo road???

rohit- us side purana khandahar he. jyadatar toota foota he, koi bhi us taraf nahi jata log kehte he baha bhoot rehte he.

ajju- wo pakka bahi gaye hoge. mai bahi ja raha hu. tum log yahi ruko pichhe manish aur ravi bhai aa rahe he. tum log unhe lekar bahi aa jana

rohit- mai 1 ladke ko yaha chod jata hu aur ham sab aapke saath chalte he. aap ka baha yun akele jana thik nahi he

ajju- kuchh nahi hoga mujhe tum bas mujhe ek gun de do. bese mai baha tum log ke aane ka wait karunga. dushri baat ye ki ho sakta he mera anuman galat ho. ho sakat he ki wo log pichhe kahi ruk gaye ho aur hamne unpar dhayan nahi diya ho. hamare jate hi agar wo log yaha se nikal gaye to gadbad ho skati he. is liye tum log yahi ruko

rohit- thik he bhai jesa aap kahe

fir rohit ne ajju ko ek gun di jo ki poori bahri hui thi. fir ajju baha nahi ruka aur aage bad gaya.

----------------------------------------------

lagbhag 15 minute baad ajju khandhar ke ek dum paas pahuch gaya usne apni bike ki head light band kar di aur jhadiyon ke paas apni bike rok di. fir baha se ajju pedal hi khandhar ki taraf bad gaya.

thoda aage jane par use ek SUV khadi dikhai di. jiska engin abhi tak garam tha. iska matlab saaf tha ki wo kuchh der pehle hi baha aai he raat ki bajah se ajju ko uska color samajh me nahi aaya. SUV ke paas hi ek loading gaadi bhi khadi hui thi. ajju ko uska matlab samaj me nahi aaya. wo apne aap ko chipata hua khandhar ki taraf chal diya. halanki charo taraf andhera tha par khanhar ke aas paas roshni thi aur khandhar ke aandar se bhi kaafi tej roshni bahar aa rahi thi.

yesha lag raha tha jese andar koi viseha kaam chal rha he. ajju ko khandar ke main gate par do ladke khade dikhi diye jinke haat me gun thi. halanki ajju ke paas bhi gun thi aur wo asani se unpar nishana laga sakta tha par kuchh soch kar wo ruk gaya aur andhere ka fayda uthate hue khandhar ke pichhe pahuch gaya.

ajju is samy ek tooti hui dewar ke paas khada hua tha. ajju bina der kiye us diwar ke paar pahuch gaya. khanhar khash bada nahi tha. is liye nisha ko dhundne me ajju ko koi khash mehnat nahi karni padi

khandhar ke bicho bich angan me ek bada sa bistar dala hua tha jis par white color ki chadar bichhi hui thi. us bistar ke bicho bich is samy nisha bethi hui thi jo ki dulhan ke livash me thi aur ro rahi thi. uske hath aur pair bandhe huye the. taki wo baha se bhag na sake.

bistar ko focus karti hui kai saari light lagi hui thi uske charo taraf 4 ladke khade huye the jinki umar ajju ke barabr hi hogi. ek ladka baha camera set kar raha tha jabki 2 ladke unse thodi door gun liye khade huye the.

ajju ko ye samajhte der nahi lagi ki ye lag yaha par nisha ki blue film banane baale he. ye dekh kar ajju ka khoon khoul utha. ajju kuch karta isse pehle ek ladko jiske hath me gun thi bol utha

"aur kitna time lagega, mujhse ab raha nahi jata, itne mast maal ko dekh dekh kar mera kab se khada ho rakkha he"

uski baat sukar wo ladka jo ki is samay camera set kar raha tha bol utha

"bas ho gaya dost, ab suru karte he apana khel bese bhi meri halat tum se alag nahi he. ye bechari to mar hi jayegi ham sab to is samay bhooke ser ki tarah he, bada maja aayega ki kali ko masalne me"

achanak nisha ne rona band kar diya aur un logo ki taraf nafrat se dekhte huye boli

nisha- tum bahut badi galti kar rahe ho ye tumhari jindgi ki akhri galti sabit hogi

nisha ki baat sunkar camera set karne bala ladka bola

"rassi jal gai par bal nahi gaya, dekho dekho bhai logo hamare chungul me fansi hui he fir bhi kitni akad se baat kar rahi he"

aur log kaha pichhe rehne baale the unhi me se ek ladka bola

"abhi kuchh hi der me iski saari akad dheeli kar dunga. chahe jitni baate kar le akhir me mere niche hi aayegi. yaha koi nahi aane bala tujhe bachane bala"
itna bol kar wo jor jor se hanshne laga. aur baaki log bhi uska saath dene lage. nisha kuchh pal khamosh rahi par fir wo ghayal serni ki tarah gurrai

nisha- galat fehami he tum logo ki. ab tak use sab pata chal gaya hoga aur kuchh hi der me wo tum sabki mout bankar yaha khada hoga

bahi ladka- kis ki baat kar rahi he tu

nisha- kuchh hi der me tumhe khud ba khud pata chal jayega, agar tumne mujhe chhua bhi to bo tumhe itni buri mout dega ki bhagwan bhi tumhe agla janam dene se pehle 10 baar sochege. jin gandi najro se tum mujhe dekh rahe ho wo tumhari inhi ankho ko noch lega

camera bala ladka- jab kisi ko pata chalega ki ham yaha he tab to wo yaha aayega na. bese bhi ek aadmi ham sab ka kya bigad lega

abhi uski baat bhi khatam nahi hui thi ki ek aur ladka bol pada

"kyu faltu bato me time kharab kar rahe ho mera to kab se khada hua he ab to usme dard bhi hone laga he"

itna bolkar wo ladka nisha ki taraf bad gaya. nisha ke chehare par dar is samay saaf dikhai de raha tha wo chikh uthi

nisha- nahiiiiii mai kehti hu door raho tum log mujhse barna achchha nahi hoga

nisha ki baat sun kar sabhi jor jor se hasne lage. ye sab ab ajju ke bardast ke bahar ho chuka tha, usne apne hath me gun ko majbooti se tham liye aur diwar ke pichhe se bahar nikal aaya aur unlogo ke saamne khada ho gaya. isse pehle wo ladke kuchh samajh pate ajju ne un dono ladko par fire kar diya jinke hath me is samay gun thi

agle hi pal do logo ki lashe baha bichhi hui thi. kisi ko kuch bhi samajh me nahi aaya ye hua kya he. jab tak wo log apne aap ko samhalte ajju ne ek aur fire camere par kiya aur camra toot gaya. fir ajju ne un sab ko ek saath khade hone ka ishara kiya aur nisha ke pass jaka uske haath pair kholne laga. wo abhi bhi ek hath se gun un sab ki taraf kiye huye tha, jabki dushre haath se nisha ke hath kholne ki kosis kar raha tha.

abhi poori tarah se ajju nisha ke hath khol bhi nahi paya tha ki achanak ek goli uske gun bale hath par padi aur uski gun uske hath se door ja giri. pata nahi kaha se 2 aur ladke baha aa gaye the. sayad wo bahi chipkar najar rakh rahe the, ajju ke asabdhan hone par unlogo ne apna kaam kar diya tha. goliyo ki awaj sun kar bahar khade dono ladke bhi andar aa gaye. ab baha kul 9 ladke the, jinme se 4 ke pass gun thi baki 5 logo ne chaku nikal liye the. aur is samay unka nishana ajju tha.

isse pehle ki wo log fir se ajju par nishana sadhe ajju ne furti se nisha ko apni baho me uthaya aur diwar ke pichhe chala gaya. nisha ke hath pair abhi bhi bandhe huye the par ab hatho par bandi rassi itni loose ho chuki thi ki nisha use khud hi khol sakti thi.

halaki ajju ka irada baha se bhagne ka bilkul nahi tha, par wo nahi chahta tha ki jara si laparbahi se nisha ko koi nuksan ho. uske liye nisha ki safty sabse pehle thi.

nisha ko diwaal ke pichhe chhipane ke baad ajju bapis unke samne aakar khada ho gaya. ajju ye janta tha ki ye log kaafi jyada he, aur wo akele unka mukabla nahi kar sakta. par use apni chinta thi bhi nahi. khandhar me andar aane se pehale hi usne manish ko call kar ke bata diya tha. kuchh hi der me bo log bhi baha aa jate, fir sab kuchh ajju ke controll me hota. ajju ko bas kuchh der tak un sabko uljha kar rakhna tha. is liye wo unke saamne aakar khada ho gaya tha. aur unse baat karne ki kosis karne laga.

ajju- kon ho tum log aur ye sab kis ke kehne par kar rahe ho????

camera bala ladka- tumhe isse kya matlab, bese bhi jaan kar kya karoge kuchh hi der me tum to marne baale ho, tumhare paas yaha se bhagne ka moka tha par tumne fir se hamare saamne aakar galti kar di

ajju- galat fehmi he tum sab ki, mai to tum logo ke saamne is liye aaya hu ki tum logo ko jinda rehne ka ek moka de saku.

camera bala ladka- hamari chhod aur apni khair mana

ab tak ajju unhe bato me uljha kar dhire dhire paas me hi dali hui apni gun ke ek dum paas pahuch gaya tha. ab uske pass moka tha, par thodi si galti use nuksaan bhi pahucha sakti thi. par ajju ko apne nuksaan ki koi parwah nahi thi. usne apni gun ki taraf chhlang laga di. aur fir fire ki awaj aur chikho ki awaj baha gunjne lagi. kuch der baad jab khamoshi hui thi. to baha un 4 ladko ki lase bhi dali hui thi jinke paas gun thi par marte mare unlogo me se kisi ne ajju par bhi nishana sadh liya tha kyu ki ajju ke sarir se bhi khoon nikal raha tha sayad ajju ko bi goliya lag gai thi. kitni ye khud ajju ko bhi nahi pata tha.

ajju ne ek baar fir se apni gun par apni pakad majboot ki aur unlogo par nishana sadh kar fire kar diya. ek ke baad ek 4 fire aur huye aur 4 aadmi aur baha dher ho gaye. par panchbi baar jab ajju ne fire kiya to gun se "click" ki awaj aai. matlab ki gun khali ho chuki thi. aur abhi bhi ek ladka jinda tha. ajju ne gun ko ek taraf fenk diya aur us ladke par chhalang laga di. jo ki dar ki bajah se kamp raha tha.

aur kyun na kampe ek ke baad ek uske sabhi dost maare ja chuke the. use to ajju is samay sakchhat yamdoot najar aa raha tha. khali gun ki awaj bhi use rahat nahi pahucha pai thi, balki uske dar ko aur bhi jyada badane ka kaam kiya tha. wo yaha se bhagna chata tha par uske pair uska sath nahi de rahe the.

ajju ne use daboch liya aur ek jhatke me use jameen par patak kar uske ek pair ko apne pero se dabaya aur dushre pair ko hato se pakadkar khinchne laga. us khandhar me us ladke ki dardnak chikh goonj rahi thi.

"aaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhh"

ajju- abhi bhi smay he tum chaho to mai tumhe jinda chhod sakta hu. bas mere sabalon ke sahi sahi jabab do

ladka- kkkkyaaaaaaa janna chahate ho???

ajju- chief kon he kaha rehta he

ladka- kkkkon chief mai kisi chief ko nahi janta

ajju ne fir se uski tanga ko khinchna suru kiya

ladka- aaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhh mai kasam kha kar kehta hu mene kabhi ye naam suna bhi nahi

ajju- to fir ye sab kiske kehne par kiya tha

ladka- ye to ham ...............

ajju- jaldi bolo kon he woooo aaaaaaaaaahhhhhhhhhh

ladka- aaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh..................

isse pehle wo ladka kuchh aur kuchh keh pata pichhe se ek ladke ne ajju ki pith me chaku ghomp diya jo ki jad tak andar ja chuka tha.

ab tak nisha bhi apni rassiya khol kar bahar aa chuki thi ajju ki halat dekh kar uske muh se chikh nikal gai

nisha- aaaaaajjjjjjjjjjjjjjuuuuuuuuuuuuuuuu nahi ye kya ho gaya oh god

ajju ke hatho ki pakad majboot ho chuki thi dard aur gusse ki bajah se wo bhool gaya ki use aur bi bahut kuchh janna he aur dekhte hi dekhte jo ladka use sab kuchh bata raha tha ajju ne uske dono pero ko cheer diya. aur jab palt kar dekha to camere bala ladka ajju ke piche khada hua tha jise kandhe par goli lagi thi. sayad isi liye wo jinda bach gaya tha

ajju ne us lake ki gardan ko apne hatho me tham liya aur davav banane laga aur agle hi pal "chattt" ki awaj ke sath us ladke ki gardan ki haddi toot gai. aur sab kuchh sant ho gaya. par ajju yahi nahi ruka aur baha dali lasho par ek ek kar ke late marne laga.

jab kisi lash se koi harkat nahi hui to ajju bha bicho bich dale huye bistar par jakar beth gaya. jo ki khoon ki chhito se san gaya tha. jabki nisha bahi ghutno kal beth kar sisak rahi thi.

kuchh der baad ajju ko dard ka yehsas hua aur usne hath pichhe kar ke apni pith par dhanse huye chaku ko nikal liya. chaku nikalte hi ajju ke muh se ek krah nikal gai.

ajju- aaaaaaaahhhhhhh

ajju ki awaj se jese nisha ko hosh aaya aur wo dod kar ajju ke paas aa gai.

nisha- ohhh god ye kya ho gaya, ye sab meri bajah se hua he

ajju- kuchh nahi hua he mujhe mai thik hu. chalo ghar chalte he sab wait kar rahe hoge

nisha- mujhe parwah nahi he. is samay to tumhe sidha hospital chalna chahiye

ajju- mai thik ho jaunga. kuchh hi der me ye sare jakham bhar jayege. tum to janti ho sab

nisha- par itna khoon kyu nikal rha he

ajju- sayad kuchh goliya bhi lagi hui he. unhe nikalna padega. jab tak wo nahi niklegi ye jakhm nahi bharege

nisha- kyaaaaaaa???

nisha ne turant ajju ke hath se chaku chhin liya aur uske paas me hi bistar par rakh diya. tab tak ajju apni shirt bhi utar chuka tha. nisha ne achhe se cheak kiya ajju ko kull 5 goliya lagi hui thi aur ek chaku ka cut bhi tha.

halanki ki nisha is samy kaafi dukhi thi aur sadme hi haalat me thi, par sayad wo janti thi ki use kya karna he. uski aankho se lagatar anshu nikal rahe the. par usne bapis chaku apne hato me tham liya aur ajju ke sarir se goliya nikalne ki kosis karne lagi.

nisha ek baar pehle bhi jungle trip par ye kar chuki thi is liye use jyada problam nahi hui. kuchh hi der me baha manish aur ravi ke saath baaki log bhi aa gaye. baha ka najara dekh kar unke pero tale jameen nikal gai. baha par kull 11 ladko ki lashe bichhi hui thi. jinme se ek lade ko to ajju ne dono tango se bich me se cheer diya tha.

bahut bhyanak manjar tha. charo taraf khoon hi khoon bikhra hua tha. ajju bahi bistar par betha hua tha jabki nisha uske sarir se bulets nikal rahi thi thi. aur lagatar apni ankho se anshu bahaye ja rahi thi. matlab ki ajju ko bhi goliya lagi hui thi par un dono ke bich ke pyaar ko dekh kar baaki logo ki ankho me aanshu aa gaye the.

wo log turnt ajju ke paas pahuche. ravi nisha ko pehchan gaya tha halaki nisha aur ravi ki mulakat to kabhi nahi hui par ravi ne manju ke paas nisha ka photo dekha hua, tha jabki nisha bhi ravi ko hospital me mil chuki thi

ravi- nisha tum thik to ho na????

nisha- mai thik hu ravi bhai par sayad ajju ko is samay hospital le jaane ki jarurat he

ajju- nahi mai thik hu. bas aap mera bag le aaiye usse first aid box rakkha he. bas thodi dreasing kar do. aur mai apne kapde bhi change kar lunga. khoon se gande ho gaye he.

ajju ki baat sunkar ek ladka bahar ki taraf chala gaya aur ajju ka bag le aaye. tab tak nisha ajju ki saari goliya nikal chuki thi. fir nisha ne first box se ajju ke sabhi jakhmo ko achchhe se saaf kiya aur dreasing kar di.

nisha ko kuchh bhi nahi hua tha. uske hato aur kapdo par khoon laga hua tha. jo ki sayad ajju ke sarir se bulets nikalte samay lag gaya tha. kuchh hi der me aaju bhi ek dum taiyaar tha. aur nisha bhi apne hato aur kapdo se khoon saaf kar chuki thi. ajju ke chehare par fir se bahi masoomiyat aa gai thi jo hamesha rehti thi. is samay koi keh hi nahi sakta tha ki ye bahi ajju he jo kuchh der pehle ek janbar ki tarah sab ka sikar kar raha tha. nisha bhi ab kaafi had tak samany ho chuki thi. aur uske chehre par jo kuchh der pehle dar aur chintao ki rekhaye thi ab wo fir se udashi me badal gai thi. kyu ki ab samay aa gaya tha jab use gahr jakar hamesha ke liye kisi aur ki hona tha. uski jise wo pasand bhi nahi karti thi.

ajju nisha ki udashi ko samajh gaya tha par wo uske liye kuchh nahi kar sakta tha. yesha nahi he ki ajju patthar ka ban gaya tha, ya bhavnaye aur pyaar jese jajbat uske mar gaye the, balki uski maryada abhi bhi use rok rahi thi. ek pal ke liye to uske mana me ye vichar aaya ki tod de ye saari maryadao aur samaj ke bandhano ko, par agle hi pal use fir ye yehsash hua ki agar usne ye kadam aage badaya to kai jindgiya tabah ho sakti he. uske chacha-chachi, uske chote bhai-beshan, uske dost ka parivar aur sabse jayada nisha. kyuki jab is samaj ko is duniya ko ye pata chalega ki dono bhai behan he, to logo ke tane ye sab bardast nahi kar payege. is liye ajju ne apne vicharo ko bahi rok liya.

manish- ajju tum, nisha, ravi ke sath kuchh aur logo ko le jao. tab tak mai aur baaki ke log in lasho ko thikane lagate he.

ajju- nahi uski jarurat nahi he. yaha kabhi bhi police aa sakti he. mujhe lagta he ham sab ko yaha se chalna chahiye. jyada der yaha rukna khatarnak ho sakta he.

manish- par agar yaha koi saboot chhut gaya to tum fansh sakte ho.

ajju- bas bhai bahut ho gaya ab mai aur nahi bhagna chahata. thak gaya hu is jung ko ladte ladte. ab aur jung nahi ladna chahata. mere hato me kai logo ka khoon laga hua he, kai parivaro ko ujad diya he mene. bas apna badla lene ke liye. ye jo log aaj mere hato mare gaye he. bo kisi ke bete kisi ke bhai bhi honge. swarthi ho gaya tha me bese bhi apne aap ko bachane ki koi bajah bhi nahi he mere paas.

ravi- yese kyu bol rahe ho. akhir ho kya gaya he tumhe. pehle sab kuch chhod kar asham jane ka program aur ab ye bebkoofi

ajju- bhai mene bahut soch samajh kar hi feshla liya he sayad yahi ham sab ke liye thik hoga. khaskar un ke liye jo kisi na kisi tarah mujhse jude huye he. mai har samay is dar ke saye me nahi jeena chahta ki pata nahi kab bo chief mere kisi apne ko nuksaan pahuch de. sayad mere jail jane se ye sab ruk jaye.

manish- tumhe yakeen he ye kaam chief ka hi he

ajju- nahi yekeen to nahi he par shak to hai hi. bese jitna mai ab tak chief ko samajh paya hu wo kabhi bhi yese kamo ke liye itne kam umar ke ladko ka istemaal nahi karta he. dushri baat jab se maine usse sidhi jung suru ki he wo kuchh karne se pehle mujhe phone jarur karta he. par is baar usne yesha kuchh nahi kiya tishri baat wo mujhse dushmani nikal raha he kyu ki mene uske lagbhag sabhi aadmiyo ko maar diya to fir use nisha ko pehle hi maar dena chahiye tha ye sab notanki karne ki use koi jarurat nahi thi.

ravi- tumhara matlab he ki ye kaam kisi aur ka bhi ho sakta he

ajju- sayad par chief ke alaba meri kisi se koi dushmani nahi he. to fir ye kaam kon karega

ravi- ho sakta he nisha ya uski family me se kisi ki dushmani ho

ajju- is bare me mai thik se kuchh keh nahi sakta mujhe lagta he hame iske baare me bhi pata karna chahiye. bese manish bhai kya aapne in ladko ki talasi li jis se in logo ke baare me kuchh pata chal sake.

manish- haa ek mobile mila he par bo toota hua he aur kuchh ladko ke paas unke ID card bhi mile he jin par inke ghar ke address likhe huye he.

ajju- kaha se he ye log

manish- indore ke ass pass ke gao ke rehne baale he.

ajju- kya inki aur detail aap niklwa sakte he

manish- thik he mai pata kar lunga

ajju- haa aur us mobile ko ya to mujhe de dijiye ya aap use sahi kara kar ye bata dijiye ki us phone se last call kis number par ki gai thi.

manish- thik he mai ye bhi pata kar ke bata dunga.

fir ajju ne rohit se kaha

ajju- rohit baha tumhari gun padi hui he use utha lo

itna bolkar ajju ne us taraf ishara kiya jaha usne apni gun fenki thi

uske baad ajju ne bike ki chavi manish ko bapis kar di thi. jo ki manish ne us ladke ko lotoa di, uske baad ajju ne baha toote huye camre se memory card nikala aur use apni jeb me rakh liya fir camere par se apni ungliyo ke nishan saaf kar ke use bapis bahi fenk diya fir sabhi log baha se chale gaye.

---------------------------------------------------------

ghadi me raat ke lagbhag 10.30 baj rahe the. ajju ne nisha ko bapis usi beauty parlar ke bahar utar diya jaha wo taiyaar hone aai thi. kyu ki rone ki bajah se nisha ka makeup poora kharab ho gaya tha. chuki us din kai sadiya thi is liye beauty parlar abhi tak khula hua tha. uske baad ajju gaadi lekar kahi chala gaya jab wo bapis aaya to uske haath me thik besa hi lehanga tha jesa nisha ne pehan rakkha tha. jise usne nisha ke pass bhijba diya. kyu ki nisha ke lehange par kai jagah khoon ke nishan lage huye the. halaki nisha ne unhe saaf kar liya tha par fir bhi halke halke daag dikhai de rahe the.

lagbhag 1 ghante baad nisha bahar aai. ajju to use dekhta hi reh gaya. ajju ko yu dekhte pakar nisha sarma gai aur usne apni najre jhuka li. sayad ajju ko bhi is baat ka yehsash ho gaya tha is liye ajju ne bhi apna chehara ghuma liya. aur gadi me jakar beth gaya. uske baad ajju, nisha aur ravi nisha ke ghar ki taraf chal pade. manish nahi aaya tha saath me. bese bhi uska kaam khatam ho chuka tha.

kuchh door jane ke baad ajju ke paas monu ka phone aaya. ajju ne call recive ki

monu- kaha ho tum???

ajju- nisha ko beauty parlar se uske gahr par le kar ja raha hu

monu- kya????? bo surakshit to he na????

ajju- haa bo thik he kuchh nahi hua unhe

monu- kaha mili wo tumhe????

ajju- indore nasik highway par. unlogoki gaadi panchar ho gai thi. mere jaate hi sab bhag gaye

monu- par hame to yesi koi gaadi baha nahi mili. sach batao tum kuchh chhipa to nahi rahe mujh se

ajju- yaar tum sawal bahut poochhte ho, pakke police bale ban gaye ho. bese hi kaafi late ho chuke he. upar se tum sawal kar kar ke mujhe paka rahe ho, jo bhi poochhna he kal poochh lena, aur haa jaldi se aaja. barna nisha naraj ho jayegi

monu- tum sach bol rahe ho na????

ajju- ha baba sach bol raha hu. par tum ye kyu poochh rahe ho

monu- kyu ki indore se bahr nasik highway par ek purane khandhar me mujhe 11 ladko ki lashe mili he. aur ek toota hua camera bhi sayad baha wo log kisi ka MMS banane ki kosis kar rahe the. par us camere ka memory card nahi mila. aur un ladko ko berehami se mara gaya he. ek ladke ko to bich me se chir diya gaya he. jesa ki aksar tum karte ho

ajju- to fir acchhe se talasi le lo sayad is baar mere khilaf koi saboot bhi mil jaye tumhe . jo tumhe thik lage wo karo. par haa samay par saadi me pahuch jana

itna bolkar ajju ne phone cut kar diya. uske baad raste me khamoshi chhai rahi kisi ne bhi kisi se baat karne ki kosis bhi nahi ki, sayad ye aane bale toofan ki khamoshi thi jo sayad nisha ke ghaar par unka intjaar kar rahi thi

raat karib 12 baje ajju nisha aur ravi ke saath nisha ke ghar par pahucha. baha saadi ka mandap saja hua tha par bahut kam mehmaan the. jab ye log baha par pahuche to sabhi log ghoor ghoor kar ajju aur nisha ko dekhne lage. is samay chacha ji ki ankhe gusse me angare varsha rahi thi. bahi paas hi dulha aur uske mammy-papa khade huye the. dulhe ke paas hi ek ladka aur khada hua tha jo ki ajju ko jana pehchana lag raha tha.

pass me hi mama ji, manju, maa, renu uncle aur baaki log khade huye the. ravi ko mahol kuchh ajeeb laga aur wo sidha manju ke pass pahuch gaya aur use ek side le jakr usse baat karne laga. isse pehle chacha ji kuchh bolte dulhe ki maa bol padi

"lo aa gai medam apne ashik ke saath gulchhrre uda kar. ham to inhe ek sarif family samajhte the, par ye to bahut gire huye log nikle"

unki baat sun kar nisha ne apna sir jhuka liya. par ajju ki ankho me gussa badne laga

ajju- ye aap kesi gandi gandi baate kar rahi he. saram nahi aati aap ko ye sab bolte huye. wo bhi apni hone baali bahu ke liye

dulhe ki maa- lo bhai ek to chori upar se seena jori, pehle to khud galat kaam karte ho, aur fir hame nasihat dete ho. aur kon si bahu kesi bahu. abhi saadi hui to nahi he. bese bhi is badchalan se kon apne bete ki saadi karega

ajju- agar aap ne ek sawd bhi aur galat nikala to mujhse bura koi nahi hoga

dulhe ki maa- tum hote kon ho mujhse ye bolne baale, kya rista he tumhara isse jo ye bol rahe ho. kon he teri ye bibi ya rakhail

nisha aur bardast nahi kar paai aur rote huye andar bhag gai, jabki ajju ne apni mutthiya kas li. bo kuchh karta ya kehta tabhi use apne kandhe par kisi ke hath ka yehsash hua. ajju ne pichhe mud kar dekha to maa khadi hui thi

maa- beta gusse me koi galat kadam nahi utha lena. aaj nisha ki saadi he

maa ki baat sunkar ajju ka gussa ekdum se sant ho gaya jese kuchh hua hi nahi

ajju- unty aap galat samajh rahi he jesa aap soch rahi he besa kuchh bhi nahi he ham ..........

"chataaaaakkkkkkkkkkk"

ajju ki baat abhi poori bhi nahi hui thi ki tabhi uske gaal par ek jor dar chanta pada. ye chanta uske apne chacha ji ne use maara tha

chacha ji- band karo apni bakwash aur ye batao kaha le gaye the meri bachhi ko

ajju- chacha ji wo wo aaj bheed jyada thi to parlar me time lag gaya.......

"chataaakkkkkkkkk"

ek aur chanta ajju ke gal par pada.

chacha ji- jhoot mat bolo mujhse mai pehle hi beauty parla ke do baar chakkr laga chuka hu koi nahi tha baha

ajju vastivkta sabke samne nahi batana chahta tha. use dar tha ki koi bhi uski baat par yakeen nahi karega aur nisha par hi ungli uthayega

ajju- chacha ji aap andar chaliye mai aap ko poori baat batata hu

chacha ji ajju ki baat par koi react karte dulhe ke bagal me khada ladka bol pada jo sayad dulhe ka dost tha

"kya bataoge andar jaakar, ab yahin sab khul kar baat ho jani chahiye, bese bhi jungle trip par badi charchaye thi tum dono ki aur abhi bhi college me chatkare lekar sabhi log baat karte he tum dono ki"

us ladke ki baat sun kar ajju ko yaad aaya ye ladka bhi jungle trip par uske saath hi gaya tha. sayad isne hi kuchh ulta sidha kehkar sabko bhadkaya he

ajju- band karo apni bakwash tum jante bhi ho tum kya keh rahe ho wo meri behan he

ladka- are wah behan ke saath bhi koi ishk ladata he. college me sabhi log jante he ki tum dono dost ho. apne kukarm chipane ke liye bhai behan ka rista bich me laane ki jarurat nahi he. ham sab achchhi tarah se jante he ki nisha ke kebal 1 bhai aur 1 behan he. jo ki hostal me reh kar padai karte he. tum achanak se kaha se bhai ban kar paida ho gaye.

ajju unki bato ka koi jabab deta usse pehle ki dulhe ki maa fir se bol padi

"beta rhane de in chhote logo ke muh kyu lagte ho akhir in logo ki hesiyat hi kya he hamare saamne. sharma ji ham ye rista todte he apni beti ke liye koi aur ghar dekh lena. chalo ji yaha se ab khade kyu ho"

itna bolkar dulhe ki maa jane lagi unke saath saath baki ke lag bhi jane lage. ajju ko kuchh bhi samajh me nahi aaya to wo dod kar dulhe ki maa ke kadmo me gir gaya aur rote huye bola

ajju- plz yesa anarth mato karo nisha ki jindgi kharab ho jayegi, mai sach bol rah hu jesa aap soch rahe he besa kuchh nahi he. wo ganga ki tarah pavitra he. agar ye baaraat yaha se chali gai to mere chacha ji ki bahut badnami hogi, koi bhi nisha ko apne gahr ki bahu nahi banayega

dulhe ki maa- itni hi chinta he uski aur itni hi pavitra he wo to tum khud kyu saadi nahi kar lete usse, bese bhi aaj kal to sage bhai behan apas me saadi kar lete he tu to pata nahi kaha se bahi ban kar peda ho gaya.

itna bolkar unhone ajju ko thokar maar kar alag kar diya aur aage bad gai. abki baar ajju dulhe ke pairo me jakar gir gaya aur use rokne ki kosis karne laga

ajju- ye bhai suno yese mat jao, tum to samajhdaar ho khud apne man se socho agar yesa kuchh hota to ham yaha lot kar bapis hi kyu aate. tum to nisha ko pehle se pasand karte the, saadi karna chate the. kya bas itna hi pyaar kiya use ki chand galat fehmiyo me bikhar jaye.

dulhe ne ajju ki baat par koi dhyaan nahi diya aur ajju ko thokar maar kar alag karne ki kosis karne laga.

dulha- badjat chhod mujhe, mujhe teri koi baat nahi sunni, agar itne hi sharif ho to bata kyun nahi dete ab tak kaha the tum dono. akhir bataoge bhi kese kahi gullchhrre uda rahe hoge.

ajju- nahi mai nahi chodunga jab tak tum is saadi ke liye haan nahi kar dete. mai aap logo se nisha ki jindgi ki bhikh mangta hu. wo ye badnami sehan nahi kar payegi.

poora mahol ek dum gumgeen ho chuka tha. ajju ke chacha bhi apne gussa ko bhool kar khamoshi se baha khade huye the sayad kuchh soch rahe the, un ke man me is samay kya chal rah tha ye koi nahi janta tha. ab unhe ajju aur nisha ki koi galti nahi dikhai de rahi thi. jyada tar logo ki ankho me anshu the. monu bhi aa chuka tha aur saari baat samajhne ki kosis kar raha tha

achanak ajju ko kisine uthane ki kosis ki. ajju ne jab pichhe mudkar dekha to ye nisha thi jo use uthne ka ishara kar rahi thi

nisha- nahi ajju bas bahut ho gaya ab aur nahi, tum pehle se hi mere liye bahut kuchh kar chuke ho. ye sab jaanna chahte he ki kaha thi mai abhi tak to suno. mujhe aaj kuchh logo ne kidnap kar liya tha. aur mere saath rape karke uska MMS banane bale the. kon the kaha ke the aur kyu kar rahe the kuchh bhi nahi pata. par agar ajju samay par baha nahi aata to sayad aaj meri jagah meri lash yaha aati. aap sab indore me reh kar mujhe nahi dhund paye, aur ye delhi se kebal mujhe bachane ke liye aa gaya, na kebal yaha aa gaya balki mujhe unse surakshit bacha kar le bhi aaya. ye dekho indore ASP manoj dubey bhi yahi he inse hi poochh lo, ye to sab jante he akahir inki ankho ke samne hi to meri kidnaping hui thi. ye to mujhe suraksha de rahe the baha. hai na ASP sir.

nisha ne akhri sabd itni kathorta se kaha ki monu ko apne aap par saram aane lagi aur usne apni najre jhuka li

nisha- mai ab tak is liye khamosh thi kyu ki aap mujhe galiya de rahe the, mujhe bura bhala keh rahe the. par ajju ki beijjati mai bardast nahi kar sakti samjhe aap log. ye janab khade hokar hamare pavitra riste ko galiya de rahe he. jara inse poochho ki jab jungal trip me iski apni sagi behan riya ke samne ser aa gaya tha, aur use maar kar khane bala tha tab ye kya kar rahe the. baki logo ki tarah apni jaan bacha kar bhag raha tha, are ser ka naam sunkar to usne apni pent gili kar di thi. tab ajju hi gaya tha na use bachane . kyu gaya tha kya lagti thi wo iski. ye kyu nahi poochha tumne us samay. tab to bada gungaan kar rahe the iska. jo kaam tumhe apni behan ke liye karna chahiye tha wo ajju ne kiya tha. are jo khud hi risto ko na nibha paye use dushro ke riste par ungli uthane ka koi hak nahi he

ab kehne ke liye us ladke ke paas kuchh bhi nahi tha is liye usne bhi saram se sir jhuka liya par nisha nahi ruki

nisha- haa to aunti ji aap bahut bad chad kar baat kar rahi thi, aapi heshiyat ki baat kar rahi thi na. aap janti bhi he iski heshiyat kya he. aap jese 50 logo ko apne ghar par nokar bana ke rakha sakta he ye. ye heshiyat he iski. ye aap ke pass me jo sakhs khade huye he ye hamare desh ki nami girami hastio me se ek he pro. narayan. naam to suna hi hoga aap sab ne. inhi ka bhanja he ye. ajay pharmacy ka iklota malik. jitna aap log saalo me kama pate ho utna to hafto me kama leta he. ye he iski heshiyat.

aur haan mr. dulhe raja mere chal chalan se jyaada apne chal chalan par dhyaan do. mujhe tumhari history sab malloom he. kitni ladkiyo ki jindgi kharab kar chuke ho, sab jaanti hun mai. mai ab tak khamosh thi kyu ki ajju chahata tha ki ye shaadi ho, mai khamosh thi kyu ki papa chahate the saadi ho. par ab khamosh nahi rahungi. are tum log kya shaadi se inkaar karoge mai khud hi is saadi se mana karti hu. jao aur dafa ho jao meri najro ke samne se. agar ek pal ki bhi deri ki to dhakke maar kar bahar ka rasta bhi dikha dungi.

iske baad nisha mudi aur apne papa ke samne jakar khadi ho gai.

nisha- ajju ko kyu mara marna he to mujhe maro, kyu ki saari galti meri hi he. uski to keval itni galti he ki bo mujhe bachane ki kosis kar raha tha. wah re insaaf jo aapki beti ki jaan bachata he uski ijjat bachata he use thappad aur uski beijjati, aur jo apki beti ki beijjati karta he usnka samman. mujhe bachane ke liye ajju ne apne upar goliyan khai he chakuon ke waar jhele he. dekhna chahate ho aap to dekho

itna bolkar nisha ne ajju ki shirt ko joron se khinch diya. ajju ki shirt ke button tootate chale gaye aur uski shirt nisha ke hatho me aa gai. sabhi ke saamne ajju ka ghayal sarir aa gaya. ajju ke badan par jagah jagah pattiyan bandhi hui thi jo ki nisha ne hi bandhi thi.

nisha fir kuchh nahi boli aur bhag kar fir se ghar ke andar chali gai. jabki chacha ji bahi chakkar kha kar gir gaye. jab baaki logo ki najar un par padi to turant unhe uthakar ghar ke andar le gaye. chachi ne turant apne family doctor ko phone kar diya.

-----------------------------------------------

kuchh hi der me doctor ne aakar unka checkup kiya. jab docor unke room se bahar aaya to usne bataya

doctor- ghabrane ki koi baat nahi he sayad jyada stresh ya kisi sadme ki bajah se chakkar aaya he. i hope aap log dhyaan rakkhege aur haan unse koi yesi baat mat karna jisse unko dukh pahuche ya unke dil par thesh pahuche.

ajju- jee doctor ham log dhyaan rakkhege.

doctor- aap me se ajju kon he

ajju- mai hi hu

doctor- mr. sharma aap se aur nisha se milna chate he. bese agar baaki log bhi chahe to mil sakte he par jyada log andar mat jaana aur dhyaan rakhna ki koi yeshi baat na ho jis se unhe dukh pahuche.

ajju- ji doctor

uske baad doctor baha se chala gaya. dulha aur unki family pehle hi baha se ja chuki thi ab bas chacha ji ke kuchh karivi dost aur kuchh mehman hi bache the. jo bahar besabri se intjar kar rahe the ki ab kya hone bala he. jabki ajju se sambandhit log ghar ke andar ajju aur nisha ke sath moujood the.

kuchh hi der me ajju, nisha, chachi, maa, monu, renu, pro. narayan aur monu ke pitaji chacha ji ke room me moujood the. nisha to dod kar chacha ji ke seene se lag kar rone lagi

nisha- i am sorry papa ye sab meri bajah se hua he

chacha ji- na beta rote nahi he isme tumhari koi galti nahi he, sayad honi ko yahi manjoor tha. par mujhe ek baat samajh me nahi aati aakhir kyu koi tumhe nuksaan pahuchana chahega

chacha ji ki baat sun kar nisha ne ek najar ajju par daali aur najre jhuka kar khamosh ho gai. ajju bhi kuchh der tak khamosh raha. aur fir usne chacha ji ko chief ke baare me sab bata diya. aur pehli baar indore aane se lekar ab tak ki saari baate bata di. aur fir khamosh ho gaya. wo soch raha tha ki ab chacha ji usse naraj hoge kyu ki vastav me nisha par jo bhi musibat aai he uske pichhe kahi na kahi ajju hi he.

ajju sir jhukay chacha ji ke kuchh bolne ka intjar kar raha tha jo ki kaafi der se ajju ko ghure ja rahe the, aur kuchh soch rahe the. fir unhone bade pyar se kaha

chacha ji- mai janta hu tum soch rahe hoge ki is sab ke liye mai tumhe dosh dunga aur ye sahi bhi he kyu ki duniya ka har baap yahi karega. par jitna mai nisha ko pyaar karta hu utna tumhe bhi karta hu. tumhare mummy papa mere bhi kuchh lagte the. jo hua wo sahi nahi hua. mai manta hu ki tumhare saamne halat thik nahi the par fir bhi tumhe ye sab mujh se chipana nahi chahiye tha. agar tum ye sab pehle hi mujhe bata dete to ye sab sayad nahi hota. kam se kam nisha ke saath to nahi hota. khair chhodo jo ho gaya so ho gaya use badla nahi ja sakta par ab aage ka kya socha he tumne.

ajju- mai soch raha hu ki mai yaha se bahut door chala jauga. in sab se door jaha mujhe jaanne bala koi na ho. ye sab meri bajah se ho raha he jab mai hi nahi rahunga to fir wo chief kisi ko koi nuksaan nahi pahuchayega ya fir apne aap ko kanoon ke hawale kar dunga

monu- par mai tumhe giraftaar nahi kar sakta mere pass tumhare khilaf koi saboot nahi he.

ajju- mere dwara apna apradh swikaar karne ke baad kisi gawah aur saboot ki jarurat nahi he mere bhai

monu- nahi mai yesha nahi kar sakta aur na hi tumhe karne dunga. ye mera aakhri faishla he

chacha ji- monu sahi bol raha he apne aap ko kanoon ke hawale karna is problam ka hal nahi he. haa yaha se door jaane ke faishle par mai tumhare saath hu, par nisha ke baare me kya socha he tumne

ajju- matlab

chacha ji- dekho ajju bura mat manna par nisha ka ab yaha rehna na to uske liye thik he, aur na hi meri baki family ke liye. wo nisha par 2-3 baar hamla kra chuka he. aur har baar tumne use bacha liya, par ab to tum yaha se ja rahe ho kon use bachayega. aur fir wo nisha ki bajah se hame bhi nuksaan pahucha sakta he. dekho ajju ye baat to clear he use mujhse, tumhari chachi se, ya neha aur sourav se koi lena dena nahi he, warna wo pehle bhi try karta. bese to use nisha se bhi lenea dena nahi hona chahiye tha par nisha tumhare kuchh jyada hi kareeb he is liye sayad wo nisha ke pichhe pada he. par mai nahi chahta ki ek beti ke liye mai apne baki do baccho ki jindgi khatre me dalu. is liye mai chahta hu ki tum nisha ko yaha se le jao. na tum log yaha hoge na ham logo par koi musibat aayegi

chacha ji ki baat sun kar sab sann reh gaye. kisi ko bhi unse is baat ki ummeed nahi thi. khash kar nisha ko to bilkul nahi.

ajju- chacha ji par mai yese nisha ko kese. log kya kahega. bese hi kaafi ulta sidha bol chuke he

chacha ji- isi liye bol raha hu. bese bhi ab tak hamari bahut badnami ho chuki he. khas kar nisha ki.

ajju ne apne hathiyaar daal diye aur chacha ji ki baat accept kar li

ajju- thik he jesa aap kahe. bese bhi ab mai yaha aur nahi rukna chata. nisha ko lekar mai abhi nikal jata hu. bahi delhi me ye apni degree bhi poori kar legi fir koi achha sa ghar dekh kar iski saadi kar dege

chacha ji- ajju lagta he tum meri baat thik se samjhe nahi, mai chata hu ki tum yaha se nisha ko saadi kar ke le jao

chacha ji ki baat ajju ko apne kaano me pighle seese ki tarah mehsoos hui, wo hairaan hokar bola

ajju- kyaaaaaaaaaaaaaaa????? ye aap kya keh rahe he chacha ji. nahi ye nahi ho sakta. kam se kam aap to ye achchhi tarah se jante he ki wo meri behan he. ab tak hamara rista ek dum pavitra raha he. aur aage bhi rahega

chacha ji- ajju mai tum par ya nisha par kisi parakar ka sak nahi kar raha hu par ye tum dono ke liye hi thik hoaga.

ajju- chacha ji jab mai aap ki baat ko maankar nisha ko apne saath le jaane ke liye taiyaar hu to fir ye saadi kyu. kyu aap hamare riste ko kalankit karna chahte he. bese bhi ye duniya kya kahegi ye samaj kya kahega.

chacha ji- tabhi mai ye baat keh raha hu. ye jo bahar mehman khade huye he inme se kisi ko nahi pata ki tum nisha ke kon lagte ho. ye ab bhi yahi soch rahe he ki tum dono dost ho. ye kuchh hi dino me poore indore me mujhe badnam kar denge. nisha ka to ghar se bahar nikalna muskil ho jayega. kya tum ye chahate ho. agar tum yese hi ise yaha se le gaye to yaha indore me ye log mera aur neha-sourav ka jeena muskil kar denge. ye log saadi me aaye he aur aaj agar saadi nahi hui to mai jindgi bhar kisi ko muh nahi dikha paunga. haan ye baat alag he yaha is kamre me jitne log moujood he wo sabhi ye baat jante he par sayad wo bhi meri baat se sehmat hoge.

ajju ke dimaga me is samay toofaan macha hua tha use kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha ki aaj akhir chacha ji ko kya ho gaya. usne ek kosis karne ki aur sochi

ajju- mama ji aap hi samjhaiye ye chacha ji kya bol rahe he,

mamaji- ajju mere khayal se tumhare chacha ji sahi bol rahe he. isme koi harj bhi nahi he. kebal ham jante he ki tum log bhai behan ho baaki kisi ko nahi pata aur aage bhi kisi ko nahi pata chalega.

ajju- maa kam se kam aap to samjhaiye chacha ji ko ye sab galat he.

maa- ajju agar tumne ab sahi faishla nahi liya to sayad aur bhi jyada galat ho jayega. smamjhne ki jarurat ab tumhe he.

chacha ji- itna sochne ki jarurat nahi he ajju bese bhi nisha tumhari sagi behan to he nahi jo itna soch rahe ho. socho tumhare haan karne se kitni jindgiya barwad hone se bach jayegi

ajju ki bhi himmat ab jabab de gai aur usne hathiyar dal diye

ajju- thik he jesa aap sab log uchit samjhe. par mere khyaal se ek baar nisha se bhi aap log poochh le. mai nahi chata kisi davav me aakar nisha haan kare.

itna bolkar ajju kamre se bahar nikal gaya.
 

redhat.ag

Member
340
1,997
123
Update 035
------------------------------


ajju ke haan karte hi sab ke chehare khill uthe. nisha ke chehare par bhi ek pal ke liye muskurahat aai aur aati bhi kyu na akhir uski muh mangi murad jo poori hone ja rahi thi, par agle hi pal ye khushi fir se udasi me badal gai. kisi aur ne sayad dhyaan diya ho ya na diya ho par reenu aur maa ki najro se ye na chhip saka.

maa- kya baat hi nisha kya tumhe koi etraj he

nisha kuchh der khamosh rahi aur fir boli

nisha- mai ye saadi nahi krna chahati

nisha ne jese dhamaka kiya ho sabhi ke chehare ki muskurahat fir se gayab ho chuki thi.

pro. narayan- kya baat he beta. kya tumhe ajju pasand nahi he, ya tum bhi uski ki tarah abhi tak maryadao ko pakad kar bethi ho

nisha- nahi ye baat nahi he par mujhe kahi na kahi ye lag raha he ki ajju ye nahi chahta. usne aap sab ke davav me haan ki he. mai kisi par bojh nahi banna chahti. maine papa ki aur aap sab ki baten suni li he. papa apni jagah sahi he aur ajju apni jagah. par yakeen maniye meri bajah se kisi ko koi problam nahi hogi. agar ajju nahi chahta to aap log plz us par davav na daale. aur na hi mai uske saath jaane baali hu. par papa aap bhi nischint rahiye ab me yahan ruk kar neha aur sourav ke liye problam create nahi karungi, wo mere bhi bhai behan he. mai bhi yaha se chali jaungi aur kahi apne liye job dekh lungi. bese bhi mere final exam hi reh gaye he. aur is saal campus selection me kai jagah se mujhe offer bhi mile he. mai unme se hi koi job select kar lungi.

sabhi log nisha ko hairani se dekh rahe the jese usne koi anhoni baat keh di ho. par wo ye bhi jante the ki nisha apni jagah par sahi bol rahi he, nisha ki baat sunkar jyadatar logo ka muh sookh chuka tha. bajah sidhi si thi kyu ki nisha bahut jiddi thi aur wo agar ek baar koi faishla kar le to fir koi bhi use badal nahi sakta tha.

mamla hathon se jata dekh maa aur renu ne morcha samhal liya.

maa- nisha ek minute ke liye mere saath bahar aao. mujhe tum se akele me kuchh baat karni he

renu- maa mai bhi sath aa rahi hu

maa ne koi jabab nahi diya aur chup chap bahar chali gai unke pichhe nisha aur renu bhi bahar nikal gai. maa unhe ek corner ki taraf le gai jahan koi nahi tha.

maa- mai janti hun is samay tumhare dimag me kya chal raha he. par mera yakeen mano jo ho raha he wo tum dono ke liye sayad sahi he

nisha- par aunty jab ajju khud hi ye nahi chahta

maa- wo kya chahta he kya nahi isse koi farak nahi padta tum kya chahati ho isse padta he

nisha- par mere liye isse farak padta he ki ajju kya chahata he

maa- kya tum nahi janti wo kya chahta he. kya tumne kabhi bhi uski aankho me nahi jhanka. mujhe to laga tha tum dono ek dushre ke man ki baat jaan jate ho. wo tumse bahut pyaar karta he. sayad usse bhi jyada jitnaq wo jiya se pyaar karta tha. uski aankho me tumhare liye pyaar saaf saaf najar aata he.

maa ki baat sunkar nisha kaafi hairaan hui use umeed nahi thi ji aunty ko un dono ke relation ke baare me pata hoga. fir bhi nisha ne baat ko samhalte huye kaha

nisha- aunty kabhi kabhi aankhe bhi dhoka de deti he. mene uski aankho me kebal ek baar mehsoos kiya tha par sayad mujhe lagta he ki wo mera beham tha

renu- di mujhe lagta he aap ne ajju bhai ko kabhi samjha hi nahi. mai to sochti thi ki aap se jyada unhe koi samajh nahi sakta. par ab lagta he ki aap to unhe bilkul hi nahi janti. kuchh bhi ho jaye par wo kabhi bhi apne dil ki baat kisi se share nahi karte he. ye aap janti he. jiya di ko wo bhi pasand karte the par kabhi apne muh se nahi kaha. aur jab jiya di ne pehal ki to bhi wo unhe samjhate rahe the. jabki wo khud jiya di ko pasand karte the. unki maryadao ki diwar itni unchi he ki wo ashani se nahi toot sakti. aur jab unhe laga sab thik he ye rista aage bad sakta he to fir aap ne khud apni ankho se dekha he. jiya di ke liye unki tadap unki bechaini unse bichhdne ka gum unka pyaar. aap to us sab ki gawah he.

nisha- jiya ki baat alag thi renu

renu- bahi to mai kehna chah rahi hu. jiya di bahle ki unke mama ki ladki sahi par jab un dono ka rista aage bada tab un logo ko ye nahi pata taha. jara socho jise wo bachpan se apni behan ke roop me dekhte aa rahe he, usko apni hi patni ke ya pyaar ke roop me dekhna unke liye kitna kathin hoga. par mai janti hu wo aap ko dil se pyaar karne lage he. wo aap se ek pal bhi juda nahi hona chahte par unki maryadaye unhe rok rahi he.

nisha- mere liye bhi itna ashan nahi he ye sab. ye maryada ye riste nibhana sab mene usse hi to sikha he. pata nahi wo kon sa kamjor pal meri jindgi me aaya jab me bhai behan ke riste se aage bad kar use apna sab maan bethi, aur ab mai itna aage nikal gai hu ki pichhe lotna mere liye sambhav nahi he, par me use dukhi kar ke use nahi pana chahti

maa- kon kehta he ki tum use dukh de rahi ho. kehne ko to uske paas aaj kai riste he. par fir bhi uske andar khalipan he. aadat si pad gai he use us khalipan ki. kebal tum ho jo use use khalipan se nikal sakti ho. tum janti bhi ho wo kya karne ja raha tha

fir maa nisha ko ajju ke assam jane aur fir baha se hamesha ke liye kahi aur jane ke baare me batati he.

renu- di aap khud socho bhai ye sab kyu kar rahe the. bahana bahle hi wo ye bana rahe ho ki ye sab unki bajah se ho raha he aur unke jaane ke baad ye sab ruk jayega, par sachchai ye nahi he. ye sab to suru se hi chala aa raha he. kai raaj hamare saamne khule he kai aur khulne baaki he. sach poocho to bhai is khel me bahut baad me samail huye he. aur ye baat wo bhi achhi tarah se jante he ki ab ye sab nahi rukega. kam se kam tab tak nahi jab tak chief jinda he. wo keval is liye yaha se door jana chahte he kyu ki yaha har jagah aap ki aur jiya didi ki yaden judi hui he. jab tak wo yaha ham sab ke aas pass rahege unhe aap dono ki yaad aati rahegi. wo aap logo ki yado se apne dil ki awaj se bhagne ki kosis kar rahe he. wo is liye bagna chahate he kyu ki wo aap ko kisi aur ke saath nahi dekh sakte. kya ye pyaar nahi he. socho pehli baar jab unhe pata chala ki aap par musibat aane baali he to kese dilhi se aap kie liye yaha bhage chale aaye the.

renu kuchh pal ruk kar nisha ke chehare ke reaction ko dekhti rahi aur fir boli

renu- saye ki tarah aap ke hi sath rahe. sab ko ye bataya ki wo bapis delhi ja chuke he par aap ke ass pass rahe. wo sayad yaha se tab tak nahi jaate jab tak unhe ye yakeen nahi ho jata ki ab aap surakshit he. par haalat ne unka saath nahi diya chief aap tak nahi pahuch paa raha tha is liye ham tak pahuch gaya. kon lagte he ham unke hamara to koi khoon ka rista hi nahi he, par dil ka rista to he na. hamare liye bhage chale aaye gao me, par usse pehle monu bhaiya se aap ki security ka vada liya uske baad. unhe laga sayad ab sab thik ho jayega par fir aap par musiwat aai, socho yaha indore rehne baale aapko nahi dhund paaye, par wo delhi se yaha aa gaye aur aap ko surakshit bacha bhi liya. kyu kiya ye sab unhone????? keval is liye na ki aap se wo bahut jyada pyaar karte he.

nisha- pata nahi tum kya keh rahi ho mujhe to kuchh bhi samajh me nahi aa raha.

renu- di aap sab samajh rahi ho par aap bhi ajju bhai ki tarah jiddi ho, is liye anjaan banne ki kosis nahi kar rahi ho. yesha na ho aap ki jidd ki bajah se baad me na kebal aap ko balki ham sab ko pachhtana pade. aage aap khud hi samajhdaar he. aap ko jo thik lage wo kijiye.

nisha- renu tu samajh nahi rahi he ham dono bhai behan he. samaj kabhi bhi hamare riste ko nahi manega

renu- maaf karna nisha di, aap bhale hi umar me mujhse badi he par aap bachho jesi bate kar rahi ho. bhai behan ka rista to aap kab ka pichhe chod chuke ho. ajju bhai ne hame sab bata diya he. trip se lekar ab tak ki saari baaten wo hame bata chuke he, ye bhi ki aap unse kitna pyaar karti ho aur wo aap se kitna. rahi baat samaj ki jab aapke parivaar baale khud yahi chahate he to samaj kon hota he kuchh kehne bala. bese bhi aap kab se in sab baato ki parwah karne lagi. aur yahan kon janta he ki aap dono bhai behan ho, aur kon sa dilhi me aap ko janne bale rehte he. log aur samaj to aap ke baare me bahi samjhenge aur sochenge jo aap log unhe batayenge. di ajju bhai aap se baakai me bahut pyaar karte he ye sach he, par mujhe lagta he ki aap unse bilkul pyaar nahi karti. sayad unse hi koi galti hui he aap ko samajhne me.

itna bolkar reenu aur maa baha se bapis room me aa gai jabki nisha kaafi der tak bahi khadi khadi sochti rahi. fir achanak se wo us room ki taraf bad gai jaha uske papa aur baki log the.

nisha- mai taiyaar hu

bas itna hi kaha usne aur baha se apne room ki taraf chali gai. ek baar fir se sabhi ke chehare par muskaan aa gai thi.

pro. narayan- ek baat kahu prakash agar bura na mano to????

chacha ji- are professor sahab kesi baate kar rahe he aap. aap to hamare apne he aap ki baat ka kese bura man sakta hu.

pro. narayan- mai chahta hu ki nisha ka kanyadan me khud apne hatho se karu. jiya ka kanyadan to mai kar nahi paya. pehli baar jab in bachho ne saadi ki to kisi ko pata hi nahi chala aur jab jiya ki wo nakli saadi hui tab mahol hi kuchh yesha ban gaya tha ki mai bhi baha jyada der tak nahi ruk paya. kash mai baha ruk jata to aaj jiya hamare saath hoti mujhe uski nakli saadi ke baare me tabhi pata chal jata. par jo kismat me likha hota he hota bahi he, hamare chahne se kuchh nahi hota. agar aap ijajajat de to. mai yahi sochuga ki meri bachhi mere paas bapis aa gai he. ek baap ko uski beti bapis mil jayegi

chach ji- ye aap kesi baten kar rahe ho nisha aap ki hi bachchi he mai bahala kon hota hu aap ko mana karne bala. bese bhi meri ek aur beti he neha mai uska kanyadan kar lunga. aaj se nisha aapki hi beti he.

pro. narayan ne itna sunte hi chacha ji ko gale se laga liya

is baat se sabse jyada agar koi khush tha to wo renu aur maa thi. nisha ke baha se jate hi dono room se bahar nikli aur nisha ke room ki taraf bad gai.

jese hi wo dono room me pahuchi nisha ne jhuk kar maa ke pair chhu liye aur sir jhuka kar khadi ho gai

maa- beta tum nahi janti ki tumne aaj mujhe kitni badi khushi di he. ajju ne bhale hi meri kokh se janam nahi liya he par mene use hamesha apna sga beta hi mana he. sach kahu to wo mujhe monu se bhi jyada pyara he. bechare ne bachpan se bahut kast jhele hen. par jab jiya uski jindgi me aai to mujhe laga ki ab bahut ho gaya bhagwan ko uska jitna dukh dena tha de diya, ab uski khushiyon ke din aa gaye he. par kise pata tha ki ek baar fir wo gum ke saye me chala jayega. tum us samay yahi thi jab wo jiya ki shadi ke liye gao aaya tha. mene dekha he use tootte huye. apne aap ko barwad karte huye. jiya ke jaane ke baad bahut samay laga use samhalne me. aur fir tum aai uski jindgi me wo fir se hanshne laga. ek umeed si jagi thi uski aankho me par uski maryadaon aur samaj ki chinta ne use bhi tumhari tarah jakad ke rakka tha. beta keval tum hi ho jo use sada khush rak sakti ho. uska akelapan door kar sakti ho. bolo beta rakkhogi na mere ajju ka khyaal. kabhi bhi use akela to nahi chhodogi na. bolo nisha jabab do.

ye sab bolte bolte maa ki aankhe num ho gai thi. nisha abhi bhi sir jhukaye khadi thi par maa ki baat sun kar uski aankhe num ho gai. uske muh se to awaj bhi nahi nikal rahi thi par badi himmat kar ke usne keval itna kaha

nisha- haan maa me hamesh unka khyaal rakhungi, kabhi bhi unhe akela nahi chhodungi cahe jo ho jaye. mai saye ki tarah unke saath rahungi. unpar aane baali har musibat har gum ko pehle mujh se gujar kar jana hoga.

nisha ki baat sun kar maa ne nisha ko gale se laga liya. par renu jo bahi khadi khadi un dono ki baate sun rahi thi uske chehare par ek sararati muskan aa gai. sayad bhavnaon me ya fir galti se nisha ne use ek moka de diya tha jisse wo nisha ki tang khinch sake. bese bhi ab use iska poora hak tha nanad jo banne bali thi nisha ki

renu- kya baat hi bhabhi ji abhi to kuchh der pehle aunty aunty bol rahi thin aap, aur fir achanak se maa par aa gai. aur ye unka kinka khyaal rakhne baali he aap. mujhe to kuchh bhi samajh me nahi aaya.

renu ki baat sun kar pehle to nisha sarmai par fir himmat kar ke boli

nisha- aunty unki maa he to is naate ab ye meri bhi maa hui na

renu- haan haan kyun nahi par ye unka unki kya he kis ki baat kar rahe ho aap

renu ki baat sun kar nisha ko bahut jyada saram aa rahi thi usne maa ke aqnchal me apna chera chhipa liaya aur boli

nisha- maa dekho na renu kitna pareshan kar rahi he

renu- bhabhi mene kab paresha kiya aap ko, mai to bas ye poochh rahi hun ki ye unka unki se aap ka kya matlab he.

maa- bas chup kar bahut hua kab se paresaan kar rahi he meri bahu ko.

renu- mai abhi pareshan hi kaha kiya he. pareshan to ab karungi apni pyari pyari bhabhi ji ko, aakhir nanad hun itna hak to banta he. bese bhi bhabhi ji achanka se apne naye kirdar me aa gai to mujh par hajam nahi hua.

maa- tu bhi to apne nanad bale roop me aa gai he na. pehle to nisha di nisha di karti rehti thi ab achanak se bhabhi

renu- wo kya he na bachhe hamesha se badon se sikhte he. bhabhi apne kirdar me aa gai to mai bhi aa gai.

maa- bas bas rehne de ab. baad me kar lena jitni baten karni he. abhi to chal chal kar saadi ki taiyari karni he. monu ko bhej mere pass ajju ko dulhe ki dress bhi to mangani he. in kapdon me thode hi saadi karega mera beta.

maa ki baat sun kar renu jaane lagi to nisha ne use roka

nisha- renu ruko

renu bahi ruk gai aur nisha ko dekhne lagi. nisha ne apni coverd se serwani, sehra aur baaki ka saman nikal kar use de diya. maa aur renu hairani se use dekhne lage.

maa- nisha ye kab liya tumne aur kiske liye

nisha ko badi saram aa rahi thi. is liye sir jhukaye huye usne ahista se kaha

nisha- wo maa ye dress unke liye hi li thi mene, jab mai apne liye shoping karne gai thi tab inhone bina samne aaye keval msg bhej kar mere liye saari shoping karai thi. tab mera bhi man hua ki ek baar unhe dulhe ke roop me dekhun. halanki mai ye baat janti thi wo ise nahi pehnne baale, balki ye kahun ki mujhe ye yakeen ho gaya tha ki ab wo kabhi mere saamne nahi ayege. par fir bhi dil me ek umeed ki kiran to thi hi. ki sayad kuchh yesha ho aur wo ise ek baar pehn le. aur dekho bhagwan ne meri sun li.

nisha ne jese tese apni baat keh to di par ek bar fir se usne renu ko apni tang khinchne ka moka de diya

renu- oye hoye bhabhi ji kya baat he. matlab ki pehle hi poori taiyari ki hui thi. bada gehra yarana lagta he dono ke bich. ek ajju bhai he jo chhip chhip kar aap ko dekhe ja rahe the aur aap ki shoping kara rahe the aur ek aap he jo pehle hi unhe dulha banane ki taiyari kar ke bethi hui thi.

nisha- maa dekho na renu fir se tang kar rahi he

maa- renu kyun tang kar rahi ho bechari ko dekho kitna sarma rahi he. bese kaha to tune bhi sahi he

sayad maa bhi nisha ke maje lene ke mood me aa chukhin thi

nisha- maa ab aap bhi

itna bolkar nisha ne fir se maa ke aanchal me khud ko chhipa liya. fir ek saath sabhi ki hanshi chhut gai. fir renu baha se sara saman lekar chali gai. jabki maa bahi nisha ke pass ruk gai

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------

kuchh der baad hi saadi ki rashme nibhai jaane lagi aur usi raat ajju aur nisha ki poori vidhi vidhan se saadi kar di gai. sabhi log kaafi khush the. bas ek baat sab ko khatak rahi thi siway nisha aur uske mummy-papa ke aur wo ye thi ki nisha ke bhai behan(sourav aur neha) kaha he wo apni hi behan ki saadi me dikhai kyu nahi de rahe he. aur akhir me jab dhaan bubai ki rasham ka samay aaya jo ki kebal ladki ka bhai hi karta he to ye sawal pro. narayan ne poochh hi liya.

pro. naraya- are prakash ye sourav kaha he wo aur neha dikhaai nahi de rahe. rasham bhi poori karni he

chacha ji- wo actually me neha aur sourav dono hi bording me padte he. pichhle mahine hi ye log school ki taraf se ek tour par gaye he. tab nisha ki saadi ka koi program fix nahi tha. aur fir achanak se sab ho gaya. aur wo bapis bhi nahi aa paye. bese unse hamri baat hui thi, aaj unhe bapis aana tha. mene unke principal se baat bhi ki thi, par un logo ki train miss ho gai. sayad kal ya parso wo bapis aa jaye. fir mai khud hi un logo ko nisha se milbane le jaunga. un logo ka to bahut man tha shaadi ka par sab achanak se hua.

pro. narayan- koi baat nahi par ab ye rashm kon poori karega.

monu- agar bura na mano to mai ye rashm poori kar du. bese bhi mere aur nisha ke bich dosti se bad kar ek bahi behan ka rista raha he.

chacha ji- mujhe koi problam nahi he par ek baar nisha se poochh lo

nisha ne muh se to koi jabab nahi diya bas sir hila kar haan kar di. bolti bhi kya akhir ye sayad uski jindgi ki sabse anokhi raat thi. is raat bahut kuchh badalne bala tha uski jindgi me. jise usne kabhi pasand nahi kiya tha use apana pati banae bali thi. aur saadi ke kuchh der pehle wo bhayank ghatana jab kuchh logo ne use kidnap kiya aur uski ijjat ko taar taar kane ki kosis ki. fir ek farishte ki tarah ajju ka aana. fir use laga jese ab sab thik he to ghar par aate hi dulhe aur uski family ke dwara uska apman sadi se inkar karna. pita ki tabiyat bigadna. kya nahi jhela usne aaj raat.

aur fir wo pal bhi aaya jo sayad use kuchh rahat pahuchata ya fir use risto ke bhanwar me fashata. jise bchpan se bhai mana tha aaj ke baad wo uska pati hoga. jise apna dost maana wo aaj se uska bhai hoga. jo uske apne the wo kisi bhi rashm me samail hi nahi the. kanyadan kisi aur ne kiya tha. usne jo uske pati ke mama he. aur ab nisha ki life me saari jindgi ek pita ki bhumika nibhane bale he. uske apne bhai behan saadi me samil hi nahi huye. na uski koi friends baha he. kesi anokhi raat thi ye. aur kesi anokhi shaadi.....

sayad ye baat sabhi ke man me chal rahi thi. par sabhi khush the. aur sabhi ke khush hone ki apni apni bajah thi.

kuchh der baad pandit ne ajju se nisha ki mang bharne ko aur mangalsutra pehnane ke liye kaha. par ajju ke paas koi mangal sutra tha hi nahi. tab maa ne ajju ko wo locket diya jo ajju ne maa ko nisha ko dene ke liye diya tha. ajju ne bahi locket mangalsutra ke roop me nisha ko pehna diya. aur fir nisha ki mang bhar di. jese hi ajju ne nisha ki mang me sindoor lagaya nisha ki aankho se do anshu ludak kar uske galo par aa gaye. ajju janta tha ki ye ansu khusi aur gum dono ke mile jule roop ke he. dukh is baat ki aaj ek rista hamesha ke liye khatam ho chuka he aur khusi is baat ki ek naya rista janam le chuka he.

subhay tak saadi ki rashme chalti rahi. aur fir wo pal bhi aaya jab ladki ki vida ka samay tha. nisha aur chacha-chachi is samay kaafi bhabuk the. par baaki log bahut khus the. ajju baha se sidha delhi jana chahta tha par maa nahi mani wo chahti thi ki bahu ki sasural me jo rashme hoti he unhe wo poori kare. bese bhi delhi me yesha koi nahi tha jo un rashmon ko poora karta. ajju maa se mana nahi kar paya aur baha se vida hokar monu ke ghar par aa gaya. jaha maa aur ghar ke baaki logo ne rashme nibhai. is sab ko poora karte karte dopehar ho gai thi. sab kaafi thake huye the. sabko jagte jagte 30 ghante se jayada samay ho gaya tha. is liye sabhi log aaram karne ke liye chale gaye. aaj monu bhi duty par nahi gaya aur sab ke saath hi ghar par ruk gaya tha.

par pro. narayan baha nahi ruke unhone pehle hi bol diya tha rashme poori hote hi wo delhi nikal jayege, wo ajju aur nisha ke liye baha kuchh surprise plane karne baale the. jabki manju aur ravi rashme poori hone ke baad manish ke ghar chale gaye the. sayad apne bacche ko lene ya fir usse milne, bajah jo bhi ho. wo baha se sidhe airport pahuch kar ajju aur nisha ke saath hi delhi jaane bale the. baki bache log aram karne lage. ajju ka plane raat me delhi nikalne ka tha. bese wo bhi kaafi thaka hua tha is liye jald hi so gaya tha.

monu ko department ki taraf se jo ghar mila tha wo paryapt bada tha. ashani se sabhi log adjust ho gaye the. us ghar me kul 4 room the. ek room me monu aur ajju so gaye the dushre room me uncle aur vinod uncle so gaye the. tishre room me sadhna aur bua ji jabki chothe room me maa, renu aur nisha.

--------------------------------------------------

dushri taraf jab ravi aur manju manish ke ghar par pahuche to manish aur uski biwi sabaana jise ravi apni behan bhi manta he bahut khuss huye. aaj kai dino ke baad wo charo ek saath ikatthe huye the.

nasta paani karne ke baad wo log beth kar baate karte rahe. achanak bacche ke rone ki awaj aai aur sabaana dod kar andar chali gai. kuchh der baaj jab wo bapis aai to uske paas lagbah ded ya do saal ka ek baccha tha. jo ki sabana se buri tarah chipka hua tha.

us bacche ko dekh kar ravi aur manju kaafi bhabuk ho gaye. manju par to sehan hi nahi hua aur usne turant wo bachcha sabaana se le liya. aur use pyaar karne lagi. ye baccha koi aur nahi balki manju aur ravi ka hi bachcha tha, jise manju ne sabaana ko diya tha, taki wo ise surakshit rakh sake. 1 saal baad apne bachche ko seene se lagane par manju ko bahut rahat mili thi wo bahut jyada bhabhuk ho gai thi aur kuchh yahi haal ravi ka tha. wo to pehli baar apne bachche ko dekh raha tha. kuchh der baad ravi ne manju se bachche ko le liya. par wo jyada der tak unke paas nahi ruka aur rone laga.

ye sab dekh kar manish aur sabaana thode udash ho gaye the. par unhone apni udashi jahir nahi hone di thi. par ravi aur manju ki najro se unki udasi bach nahi pai. jab bachcha jyada pareshan karne laga to manju ne use sabaana ko de diya. sabaana ke paas jate hi bachcha sant ho gaya tha.

manish aur sabaana ne bhag kar saadi ki thi kyu ki dono alag alag dharmo se nata rakhte the, is liye un dono ke ghar baale is riste ke liye taiyar nahi the. pehle wo dono bhi delhi hi rehte the. ravi ne hi un dono ki saadi karbai thi. saadi ke baad wo log yaha indore shift ho gaye the. jab manju ki delevery hui thi usse kuchh din pehale hi sabaana ki bhi delevery hui thi, par kisi problam ki bajah se ya dactors ki laparwahi ki bajah se uska bachcha mara hua peda hua tha. usse bhi bura ye hua ki doctors ne saaf saaf bol diya ki ab sabana kabhi ma nahi ban payegi.

manish ne to jese tese khud ko sambhal liya tha, par sabaana to bilkul toot hi gai thi. par use fir se nai jindgi mil gai thi manju ke bachche ke roop me. manish aur sabaana ne manju aur ravi ke bachche ko apne bachche ki tarah hi pala tha. par ab sayad unhe lag raha tha ki ye log apne bachche ko bapis le jane bale he. manju aur ravi sabaana ke baare me sab jante the. bahi sabaana bhi bachche se door hone ke gum ko janti thi. wo chahati thi ki ye bachcha sada uske paas rahe par wo kuchh nahi kar sakti thi.

ravi- kya baat he sabaana tumhare chehare par ye udasi kyu he

sabaana- nahi to wo to bas thodi si thakan ho gai he. aap ke ye sahab jaade bahut paresan kar ke rakhte he. ab aap aa gaye he ise apne saath lene to thoda aaram milega.

sabaana ne kehne ko to apne dil ki baat sabdo ke jaal me ghuma fira kar keh di, par wo ravi aur manju ke chehare ki muskurahat ko nahi dekh pai jo uski baat sun kar unke chehare par aa gai thi.

manju- sabaana tumhe sayad aram milne bala nahi he

sabaana- matlab????

ravi- matlab ham ise kahi nahi le ja rahe he. ye hamesh tumhare paas hi rahega.

itna sunna tha ki manish aur sabaana ki ankho se anshu behane lage. wo ek dushre ke gale lag kar kaafi der tak rote rahe unke rone se bachcha jo ki abhi abhi sabaana ki god me soya tha fir se jag gaya aur rone laga. dono jaldi se alag huye aur sabaana us bachche ko chup karane lagi.

manju- halaki ye hamare liye bhi ashan nahi he. par mai janti hu ki bachche se door hona kesa lagta he. tumne ise apne bete ki tarah pala he. ab to ye mujhe pehchanta bhi nahi he. ye to tumhare bina mere saath ek pal bhi nahi reh payega. aur sach poochho to tum dono ke chehare ki udasi ne hame bata diya tha ki tum dono bhi iske bina nahi reh paoge. mene to ise keval janam diya he par tumne ise jindgi di he, ise pala he. agar ye tumhare saath nahi hota to sayad aaj jinda bhi nahi hota. ham ise tum se door karne ka paap nahi kar sakte.

manish- aap log nahi jante aap ne ham par ek baar fir se kitna bada yehsan kiya he.

ravi- ye baat aaj bol di to bol di agli baar bhool kar bi nahi bolna, barna hamara rista usi pal khatam ho jayega. bhala koi apno par bhi yehsan karta he. haa par kabhi kabhi ise ham se milane le aaya karo. ya kabhi hamara dil kare to...... agar tum logo ko bura na lage

sabaana- ab aap dil dukhane bali baat kar rahe he bhai. aap jab chahe yaha aa sakte he. bese bhi aap log jitna bhi apne aap ko majboot sabit karo par ho to aap bhi inshan hi. mai samajhti hu ki aap logo ke dil ki baat. hame koi etraj nahi he.

manish- bas bahut ho gai baate chalo chal kar aaram kar lo aap logo ke chehare par raat bhar jagne baali thakan saaf saaf dikhai de rahi he.

sayad ravi aur mnju bhi yahi chahate the. is liye wo guest room me jakar so gaye. aur manish aur sabaana bahi bethe bethe bachche ko khilane lage. jo rone ki bajah apni totli awaj me unse baat kar raha tha.
 
Top