• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Sorry doston Update late nahi bahut late ho gaya.. :hide:

✨🅼🅴🅶🅰
🆄🅿🅳🅰🆃🅴✨

•°UPDATE 77•°

Recap -

"Jab Sani badi hogi aur.., tab agar woh tumhe pasand karti hai, to tumhari mom aur mujhe tum donon ki shadi se koi problem nahi hogi.. BUT, "
Manas ki tone badal gayi,
"Agar future me Sani tumhe pasand nahi karti hai, ya phir kisi aur ko apna boyfriend bana leti hai, to tumhe aaj pakke kiye rishte ko bhoolna hoga Manu! and tum Sani ko kisi bhi tarah se force nahi karoge! Understand!?"

Manav : "Yes dad.." 🙂

Manas : "Saanvi ki family well-educated aur sabhya hai. Bhale hi future me humara rishta samdhiyon wala na ho, phir bhi.. long run me unke friends bane rehna achha rahega,"

Apne dad ki baat sunte hue Manav, chand ki roshni me antheen samudra ko dekh raha tha..,

Manav (man me) : "Dragon Palace.. pata nahi kal kya hoga.. " :?:

AB AAGE :-

🌅

Agle din Manav jaldi uth gaya. Usne apne room ki khidki kholi, aur samudra ki taraf muh karke baith gaya. Iske baad.. agle 2 ghanton tak weh Spirit Concentration Scroll ka dhyaan karta raha.

Subah ki dhundh me pure water elements ki kuch spiral (kundalini) shapes Manav ke ird-gird banne lagi, aur.. ye shapes bina uska dhyaan bhang kiye, uske acupoints me ghusne lagi. Kayi 100 acupoints me ghusne ke baad ye shapes, Manav ki dhamniyon, naadiyon me yaatra karne ke baad aakhirkaar uski naabhi ke paas stith Dragon Core ko seenchne lagi. 💧🔘💧

Spirit Concentration Scroll ka second level, vaastav me, sadhak ki body ke andar energy ko guide karne ki vidhya hai.
Halaanki iski tulna third level se to nahi ki ja sakti, lekin phir bhi.. Manav ke liye.. jisne bas kuch samay pehle hi saadhna karna shuru kiya tha, yeh.. ek achi progress thi.

Itne dinon se saadhna karte karte, Manav ka shareer bhi shudhh ho raha tha. Abhi, bhale hi uski body me muscles nahi bane the, lekin.. uski taakat kisi aam insaan se kayi guna jyada badh gayi thi.

Jab Manav ne baahar kuch aawaaj suni to usne apna dhyaan rok diya. Uthkar usne darwaaja khola aur baahar chala gaya.

Hallway me maujood Manas ne jab apne bete ko uske room se baahar aate hue dekha to poocha,

Manas : "Badi jaldi uth gaye, beta. " 😊

Manav : "Aap.. kya aaj bhi lab jayenge Dad? ?"

[Aaj to Sunday hai fir bhi kaam..]

Manas : “Haan, mujhe abhi bhi kal ke bahut se tests complete karne hai. Waise.. tum bahut refresh dikh rahe ho! yaani.. kal raat aachhi neend aayi. " 😄

Apne pita ki baat par Manav ne bas muskarate hue sar haami me hila diya.

Asal me, Spirit Concentration Scroll ka ek faayda ye bhi hai ki iske dhyaan se sadhak ka stamina jaldi se recover ho jata hai.
Vaastav me.. ye Scroll, 8-10 ghante ki gehri neend se kahin jyada prabhaav-shaali hai.

Donon baap - bete neeche chale aaye, aur Manas ne kuch khane ke liye jhatpat se asaan sa breakfast taiyaar kar liya.

Apne pita ke saath breakfast karte hue Manav poochta hai,

Manav : "Dad.. kya aap lab jate samay mujhe city me drop kar denge? "

"Aaj to Sunday hai.. tumhari classes to off hongi..?" 🤨
Manas thoda confuse hua.

Manav : "Actually.. mujhe Sani ke ghar jaana hai. Rajyavardhan Uncle, aaj mujhe kahin le jaane wale hai"

Manas : "Oh, okay..,"

Iske baad Manas breakfast karne me busy ho gaya aur aage kuch nahi poochha.

Dekha jaaye to Manas aur Manav ek cheej ko lekar bilkul ek jaise the. Woh yeh ki, bhale hi ye donon kisi ke kareeb hon, lekin.. fir bhi ye apni feelings ko achchi tarah se express nahi kar paate the.

Breakfast karte karte Manas apne research papers bhi dekh raha tha. Isliye, Anvi, jo ab tak neeche aakar dinning table par baith chuki thi, ne Manav se baatein karna jaari rakha.

Manav ne dekha ki uske pita kitne focused hokar apne papers check kar rahe the.. aise me woh andaaja laga sakta tha uske pita ke paas kitna kaam tha.

Baharhaal breakfast karne ke baad, donon baap - bete city ki taraf nikal gaye.

Manas ki Biology Laboratory city me hi sthit thi. Foreign jaane se pehle jab ve Chennai me reh rahe the, to Manas aamtaur par aise hi apni car se Lab jaaya karta tha.
Jabki Anvi ka Climate Research Institute samudra ke kinare hi stith tha aur unke ghar se jyada door nahi tha; takreeban 10-15 min ki walk ka faasla tha.

Car me baitha Manav soch raha tha ki uske dad kitni mehnat karte hai. Yahan tak ki Sunday ko bhi ve Lab jaa rahe hai.

To wahin, Manas ne car drive karte hue Manav par najar daali aur achanak usse poocha,

Manas : "Manu, tumne ye.. ladkiyon ki tarah bracelets kyu pehne hue hai?"

Manav : "Ladkiyon ke bracelets? Dad.. ladke bhi inhe pehen sakte hai.. balki pehena karte hai,"

Manas : "ye tumhe Little Sani ne diye honge?"

Manav ne bas haan me apna sar hila diya.

Asal me, Manas bas baatcheet shuru karne ki koshish kar raha tha, use unn bracelets ki koi parwaah nahi thi. Waise bhi.. aajkal ke youngsters ke liye ye sab pehenna bahut common hai.

Halaanki, Manas ne yah nahi socha hoga ki simple se dikhne wale vo 2 chhote bracelets, behad rahasyamayi honge.

Khair.. kuch der sochne ke baad Manas ne bataya,

Manas: "Beta.. mujhe 2 dinon me phir se jaana pad sakta hai.."

"Kahan !??" 🤨
Manav ne turant poochha.

Manas : "Connecticut, United States. Wahan ki Yale University me ek Academic Conference hai. Aur.. wahan biology circle ke mere kuch friends bhi honge and mujhe unse milne jaana hai,"

Manav : "Kitne din ke liye..? " 😶

Manas : "Hmm... lagbhag 2 week,"

Ab Manav chup tha aur apne dad ki baat se naakhush tha.

Uske dad abhi kuch din pehle hi wapas aaye the aur ab ve phir se jaane ki taiyari kar rahe hai... koi tajjub nahi ki dadi kyu humesha shikayat karti rehti hai. :sigh2:

Manas : "But tumhari mom is baar nahi jayengi. Wo yahin rahengi aur dadi ki dekhbhaal karengi," 🙂

Lekin.. is par bhi Manav ne kuch nahi kaha.

Apne bete ko jawaab na dete dekh Manas samajh gaya tha ki Manav mayus tha..,

Manas : "Apna dhyaan rakhna Manu aur.. weekend par apni dadi ko bhi company dene aate rehna,"

Manav ne phir bhi kuch nahi kaha. .
Usne to socha tha ki uske dad is baar jyada dinon ke liye rukenge, lekin.. kaun jaanta tha ki Saanvi ke pariwaar ke saath Lunch karne ke baad ve phir se travel karne lag jayenge.

Baharhaal,

Car Saanvi ke ghar ke main door par aakar ruki, aur.. shor sunkar Rajyavardhan unse milne ke liye baahar aaya.

Manas ne car ka gate khola aur Rajyavardhan ka abhivaadan karne ke liye jaldi se baahar nikla.

Mel - milap karne ke baad, behad garimamayi dikhne wale Rajyavardhan ne thodi unchi awaaj me kaha,

Rajyavardhan : "Aap mind na karein to, kya mai Manu ko apne saath kahin le jaun!? "

"Haha, Sure! abhi to mai thoda busy chal raha raha hun. Jab mai free hounga, to mai bhi Sani ko apni family ke saath kahin ghumane le jaunga," 😄

Manas, jiski kad-kathi bhi tagdi thi aur swabhaav bhi milansaar tha, ne garmjoshi se jawaab diya.

Rajyavardhan : “Good, good, good…,” :approve:

...
...
...

Aise hi kuch der Rajyavardhan aur Manas baat karte rahe. Phir, Manas ko Lab ki liye wahan se jaana pada.

Aur..., Rajyavardhan Manav ko ghar ke andar le gaya.

Manav to is so-called Dragon Palace jaane ke vichaar se hi nervous ho raha tha.

Ghar ke andar aate hi, Rajyavardhan ne tez awaaj me poocha,

Rajyavardhan : "Kya aap uth gayi hai, Saniii !!??"

"Aiya... mujhe aur sona hai!"
Upar, Saanvi ke bedroom se aalas-bhari awaaj aayi.

Rajyavardhan Manav ko oopar le gaya aur Saanvi ke bedroom ka darwaja khola.

Palang par, Saanvi ek kambal me lipti hui padi thi aur uske patle - patle donon pair palang ke baahar latak rahe the. Uske baal bikhre hue the, aur uska night - suit bhi ast - vyast ho rakha tha.

Uski haalat, ghosle me soyi ek new born chhoti chidiya 🐦 ki tarah lag rahi thi jiski aankhein.. abhi bhi nahi khuli thi.

Kasmasate hue neend me usne apni aankhein kholi aur fir adh-khuli aankhon se dekhti hai ki.. uske dad ke saath Manav bhi darwaaje par khada hua tha.

Weh turant chillayi aur kambal me simat-te hue khud ko chhipa liya aur chilla kar kaha,

Saanvi : "Dad! aap ise yahan kyon le aaye!!!"

Darwaaje par khade Rajyavardhan ne uski baat ko ignore karte hue usse poocha,

Rajyavardhan : " :sigh: kya aap Dragon Palace chal rahi hai?"

"No, no, no…!!!"

kambal me chhipi Saanvi chillayi.

Bebasi se Rajyavardhan ne aah bhari aur baaju ke bedroom ki taraf ho chillaaya,

Rajyavardhan : "Aap ghar par hi rahiye Avantika, aur Sani ka dhyaan rakhiye! mai Manav ko Dragon Palace le jaa raha hun !!"

"Okay~!!,"

Dusre bedroom se Avantika ki madhur aawaaj aayi.

Halaanki, Dragon Palace ko lekar Maurya Family ke sabhi sadasyon ki tone badi calm thi.. maano Rajyavardhan kuch samaan laane ke liye Manav ko apne doosre, normal se ghar me le jaa raha ho,
Aur.. is baat ne Manav ki poori excitement, uske poore utsaah ko khatam kar diya. .

“Sani ko to abhi aur sona hai :sigh2: , Chaliye.. apan donon hi chalte hai. Is week apne exam ke liye Sani ne bahut mehnat ki thi isiliye ve bahut tired hongi. Anyways, is weekend unhe bas rest karne dete hai. "
Saanvi ke room ka darwaaja band karte hue Rajyavardhan ne Manav se kaha.

"Okay, " Manav ne haami me sar hila diya.

Woh to, Saanvi ke swabhaav ko achche se jaanta tha aur uske saath bahas karne ne bacha karta tha.

Rajyavardhan ke calm expression ko dekh kar, Manav phir se sochne laga,

Manav (man me) : "shayad mai.. kuch jyada hi expect kar raha hun. Kya.. Dragon Palace koi purana pushtaini kila hoga.. ya phir.. purana mandir jaisa kuch hoga..?? Shayad.. yahi reason hai ki ye log samudra me na rehkar yahan.. land par rehte hai aur business karte hai.. 🤔 Kya sach me.. wo legendary treasures, keemti materials aur.. mysterious monsters reality me exist nahi karte?" :monkahmm:

Manav nervous, niraash hone ke saath saath thoda excited bhi tha.

Rajyavardhan ne Manav ke chehre ke badalte bhaavon ko najarandaaj kiya, garage se apni black Chevrolet nikali aur.. Manav ko beach ki or le gaya.

Raaste me,

Manav ne gaur kiya ki jis route par ve the, woh route unhen samudra ke paas uske ghar ke kareeb la raha tha.
Dheere-dheere use beach ke paas apna ghar bhi saaf saaf dikhayi dene laga.

Manav (man me) : "Eh... to Dragon Palace.. actually mere ghar ke paas hi hai... ham itne saalon se "padosi" hai aur hume pata bhi nahi chala..." 😳

Achaanak, Rajyavardhan ne car doosre area ki taraf mod li.

IMG-20230605-114254.jpg

Yeh jagah famous Golden Seacoast Resort se jyada door nahi thi, aur.. is jagah ke aas paas bahut si chatthanein hi chatthanein thi.
Yahan.. hawa bahut tez thi aur samudra ki lehren bhi bahut badi badi thi, isliye.. logon ka yahan aana.. durlabh hi tha.

Rajyavardhan ne car park ki aur Manav ko is jagah ki sabse badi chatthaan ki or le gaya.

Iss chatthan ka aakaar ek shell 🐚 ke jaisa tha, aur iske beech me ek gehra gaddha tha. Gaddha itna bada tha isme ek vyakti lagbhag poora chhip sakta tha.

Rajyavardhan ne Manav ka haath pakad uski hatheli me ek moti jaisa manka ⚪ rakh diya aur kaha,

Rajyavardhan : "Spirit Concentration Scroll use karte hue ise apne muh me rakh lein,"

Manav ne uncle ke nirdeshon ka paalan kiya aur.. manke ko muh me rakhte hi use mehsoos hua jaise.. uske poore shareer ko thandi hawa ki parat ne dhak liya hai.

Jab Rajyavardhan ne dekha ki Manav ne manke ko apne muh me rakh liya hai to usne Manav ki peeth par dhakka de diya, jisse Manav iss badi chatthaan ke gaddhe me girne laga..

Sahaj roop se, Manav ne apni aankhein band kar li. Aur.. jab usne phir se apni aankhein kholi, to weh samudra ki talhati me tha.

Weh gehre samudra me khaare paani se ghira hua tha lekin, paani aur uske beech kareeb ek meter ki doori thi. Uske muh me rakha manka ⚪ thanda pad gaya tha aur uski body se energy ko thoda-thoda karke kheench raha tha.

Manav (man me) : ".. 😳 mere muh me jaroor legendary ‘Water Repellant Bead’ hogi..! kya.. ye bhi ek Dharma Treasure hai..!?? "

Achanak,

Manav ke dimag me Rajyavardhan ki aawaaj goonji,

"Jyada mat sochiye. Aaiye humare peeche,"

Rajyavardhan ne apni awaaj Manav ke dimag me transmit ki aur use raasta dikhaaya.

Spirit Concentration Scroll na kewal Dragon Tribe ki moolbhut saadhna technique thi, balki.. uss chatthan ke raaste yahan tak aane ka "verification code" bhi tha. Yadi kisi ne Spirit Concentration Scroll ki saadhna nahi ki hai, to weh iss jagah tak kabhi nahi aa sakega.

Beshak! yeh ek tarah ki Array Formation hi to thi.

"No wonder.. jab Shalini ne pehli baar meri energy ko mehsoos kiya to woh bahut nervous lag rahi thi; yeh.. basic saadhna technique dragons ke rahasyon ki chabi 🔑hai jise strictly control kiya jaana chahiye jisse yeh har kisi ki pahuch se baahar rahegi.." 🤔 **(Update 10 & 11)**

Rajyavardhan ke peechhe peechhe chalte hue Manav soch raha tha.

Jaise jaise Manav aage badhta jaata samudra ka paani apne aap side hota jata. Apne muh me rakhi Water Repellant Bead ke saath, weh lehron se disturb hue bina, Rajyavardhan ke peeche peeche chalta raha..

Manav ko nahi pata tha ki ve kitni der se chal rahe the, lekin achanak, use apne saamne golden colour ki vaastu najar aane lagi.

IMG-20230605-124809.jpg

Achanak, Manav ke dimaag me fir se Rajyavardhan ki awaaj goonji,

"Dhyaan se mere peechhe peechhe aaiye aur koi bhi galat step mat uthaiyega! ,"

Shaayad Rajyavardhan ko Manav ki chinta ho rahi thi isliye usne Manav ko aage samjhaya,

"Yahan kayi khatarnaak aur complex array formations hai. Yadi aapne koi bhi galat kadam uthaya to aap raakh (ash) me tabdeel ho jayenge."

Uncle ke shabdon ko sunkar, Manav fauran focused ho gaya aur samudra ki jameen ke chaaron or dekhne ke apne irade ko turant khatam kar diya.

Manav (man me) : "Mai Dragon King ka damaad hun. Agar mai.. Dragon Palace ke entrance par hi mar gaya to ye kitni sharmnaak baat hogi.. " 😬

" 2 kadam left, 1 kadam aage, 1 kadam right, 2 kadam tirche..."

Rajyavardhan ki shaant awaaj, spasht roop se Manav ke dimaag me goonj rahi thi.

Manav ne dhyaan bhatkaane ki himmat nahi ki. Usne uncle ke bataye nirdeshon ka paalan kiya aur lagataar unke peechhe aage badhta gaya.

Kabhi Right, left; to kabhi aage, tirche.. is tarah se chalne ka tareeka langdi (hopscotch) khelne jaisa tha, lekin.. filhaal to Manav par, apni jaan na gawa dene ka bahut bhari pressure tha.

Kaun soch sakta hai ki is tarah ke dangerous array formations.. shaant aur gehre samudr ke neeche chhipe hue honge ?

"4 kadam aage, phir right mudiye!!"
Rajyavardhan chillaaya.

Manav ek ek kadam badi saavdhani se rakh raha tha. Jaisa ki uncle me bataya, usne 4 kadam aage badhaye aur turant right side mud gaya.

"Hum pahunch gaye..!"

Rajyavardhan ke shabdon ko sunkar Manav ne raahat ki saans li.

Kareeb 10 minutes ki iss chhoti si walk se Manav ko itna paseena aaya ki uske poore kapde bheeg chuke the.

Ek gehri saans lete hue usne apni gardan ko ragda, sar uthaaya, aur..

Golden, bhavya aur aalishaan East Ocean Dragon Palace ko dekha!!

IMG-20230530-100931.jpg

Yeh Golden Dragon Palace pracheen golden city El Dorado se bhi kahin jyada shaandaar tha! Ye palace itna vishaal tha ki iska aakhiri chhor.. kahin bhi najar nahi aa raha tha!

Laal rang ki Defence Wall (kilebandi) jo 35 feet se bhi jyada oochi thi, oopar ki taraf se chamakdaar golden tiles se saji hui thi. Ye defence walls itni door tak phaili hui thi ki Manav ko unka ant kahin nahi dikh raha tha.

Golden kavach (armour) pehne hajaaron sainik defence wall ke oopar patrolling kar rahe the. Door se ve sabhi gold ki chhoti-chhoti binduon ki tarah lag rahe the.

Bhari - bharkam black colour ke kavach me 20 se jyada, tagde aur hast-pusht Generals Defence wall ki oat me haath jodkar jhuke hue the. Aur inke peeche,
Purple colour ke robes pehne 80 se jyada Elders entrance ke dono taraf vinamrta se khade hoker Dragon king ka intzaar kar rahe the,

Rajyavardhan ke aage badhte hi ve sabhi aur unke peeche khade saikdon anya sainik ek saath chillaye,

"Swagat hai, Dragon King! "

"Swagat hai, Dragon King! "
"Swagat hai, Dragon King! "

Unn sabki aawaaj itni tej thi ki awaaj ne samudra me ek badi leher paida kar di thi. 🌊

Rajyavardhan ne laaparwahi se haath hilaaya 🙋‍♂ aur Manav ke saath is Fort ke andar pravesh kiya. Sabhi Elders unke peeche peeche chalne lage.

Rajyavardhan ke aage badhte hi sabhi Generals uske samman me phir se jhuke aur fir Defence Wall ki patrolling karne apne apni post par chale gaye.
Ve saikdon sainik - jan bhi Defence Wall ki nigraani karne apni apni duties me lag gaye.

Idhar,
Manav ne notice kiya ki Defence Wall ke ander, alag alag tarah ke mahalon ke alag alag sections the. Aur.. , har section ke chaaron or alag-alag uniform pehne Generals aur soldiers patrolling kar rahe the.

Bom, Bom, Bom...

Grey rang ka robe pehne ek koobad-peeth wala thigna bujurg aadmi daudte daudte Rajyavardhan ke saamne aa gaya.

Rajyavardhan ke saamne khade hote hi us bujurg ne ghutne teke aur kaha,

"Kshama kariye, Dragon king! mai aapka entrance par swagat nahi kar saka. Mujhe gyaat nahi tha ki aap padhaarne wale hain..!"

Rajyavardhan ne casually us or ishaara kiya jahan yeh boodha vyakti ghutne teke hue tha, aur.. Rajyavardhan ki energy ki madad se weh boodha vyakti wapas se uth khada hua.

Rajyavardhan ne aage badhte hue poochha,

Rajyavardhan : "Mahamantri Bhim Singh, bataiye kya khabar hai. "

Bhim Singh Rajyavardhan ke theek bagal me aakar uske saath chalne laga aur kaha,

Bhim : "Maharaj, Dragon Palace pichhle ek mahine se sukh - shaanti me hai. Sab kuch Elders ke shaasan ke ander hai… ”

Rajyavardhan : "Mudde ki baat kahiye."

"Ji zaroor..."
Mahamantri Bhim ne sar haan me hilaaya aur kaha,

"Humne aapko inform karne ke liye Elder Sharad aur Elder Vinod ko jaruri muddon wala sandesh bhej diya tha. Jahan tak chhote-chhote muddon ki baat hai, to yahan.. Palace ke Elders aur swyam humne un sabhi muddon ko sambhal liya hai.
- Humne South Ocean ki taraf se bheje gaye 36 pake hue hazaar saal purane Crimson Fruits ko Ice Palace me store kar diya hai.
- Humne North Ocean ki 6th Princess ki shaadi me, gift ke roop me hightest grade ke pearls bheje hai.
- Chunki West Ocean Dragon King ke bhatije ko saadhna me kuch pareshani ho rahi thi, isliye unhone humse ek green-grade technique, jiska naam - Seven Hearts and Spirit Scroll hai udhaar li hai. Tamaam Elders se discuss karne ke baad humne unhen ek mahine ke liye udhaar dene ka phaisla kiya hai. Ve shayad tab tak ise kuch gifts ke saath wapas kar denge… ”

Rajyavardhan ne mahamantri Bhim ki report suni aur samay-samay par haan, hmm karke sehmati bhi deta gaya.
To doosri or, Bhim bahut saavdhani ke saath apni baat keh raha tha.. is dar se ki kahin wo kuch galat na bol de.

Manav ne dhyaan diya ki unke peechhe chal rahe Elders ne Rajyavardhan uncle ka samman karte hue koi shor nahi machaaya, aur.. saath hi ve ahista - ahista se chal rahe the taaki unki kadamtaal se koi un- chaahi awaaj na aa jaye.

Aaj Manav..., vaastav me, pehli baar " Ek Raja ki shakti, uski shaan aur shaukat" ka anubhav kar raha tha.

Rajyavardhan Uncle apni shaant aur calm personality ke chalte bahut hi sahaj aur simple vyakti ki tarah lagte the. Kisne socha hoga ki asal me ve to East Ocean Dragon Clan ke leader the jinka.. East Ocean region ke takriban 30 crore samudri jeevon par direct control tha! Unka koi bhi phaisla samudri jeevan ko ulat - palat sakta tha!

Khair, achanak Rajyavardhan ne sawaal kiya,

Rajyavardhan : "Elder ka altar kitna ready hua hai?"

Bhim Singh : “Humne 78 working process ko poora kar liya hai, aur altar.. 6 bade array formations aur 32 chhote array formations generate kar sakta hai. Ise lagbhag 10 dinon me poora ready ho jaana chaahiye. Third Lord to waise bhi behad shaktishali hai, aur Human Realm me unhe koi bhi nahi hara sakta hai. Nishchit roop se ve agle mahine, Heavenly Tribulation saphalta-poorvak pass karenge hai aur ek Heavenly Dragon ban jayenge!" 😀

Rajyavardhan ke saath chal rahe Manav ko laga ki ve shayad Saanvi ke chhote chachu Indrasen ke baare me baat kar rahe hai.
Halaanki, Manav jaanta tha ki chhote chacha shaktishali the, lekin use kabhi bhi is baat ka clear idea nahi ho paya ki vo kitne shaktishali the.
Bhim Singh ke is "Human Realm me unhe koi bhi nahi hara sakta" comment ne saaf kar diya ki chacha ki taakat, vaastav me kitni bhayanak thi!

Jab ve ek mahal me daakhil hue to Rajyavardhan achaanak peeche muda aur kaha,

Rajyavardhan : "Elders, please aap log wapas jaayiye aur thoda rest kariye ."

Bhim Singh : "ye..."

Mahamantri ne saavdhani se Manav ki or ishara kiya.. jaise ki ve kuch kehne ki koshish kar rahe hon.

"Oh,"
Rajyavardhan, Bhim Singh ki baat samajh gaya aur Manav ki or ishara karte hue bataya,

Rajyavardhan : "Yeh hai Sani ka bhaavi pati, Kunwar Manav Shisht."

"Kunwar Manav Shisht ki jai ho"

"Kunwar Manav Shisht ki jai ho"

80 se jyada Elders ne jhukte hue Manav ka abhiwadan kiya.

Halaanki, is abhiwaadan se Manav jaroor thoda sakpaka gaya tha.

Rajyavardhan ne Manav ke foole hue gaalon ki dekha to usse kaha,

Rajyavardhan : "Array formations ki protection ke kaaran Dragon Palace me paani nahi aa sakta hai. Aap abhi bhi apne munh me Water Repellent Bead kyun rakhe hue ho?"

Uncle ki baat sunte hi, Manav ne bead baahar ugal di.

Jab weh Dragon Palace ke lagbhag aadhe hisse se hote hue Rajyavardhan ke saath saath chal raha tha toh.. raaste me aane wali har ek cheej ne use chakit kar rakha tha.
Oopar se, mahamantri Bhim ki report ne use aur bhi aashcharya me daal diya tha.

In sabhi aashcharyon se ubharne ke liye use.. abhi aur samay ki jaroorat thi.

Mahamantri Bhim ne ek reshami rumaal nikala aur water bead ko us rumaal me lapetkar, sa-samman bead wapas Manav ko saump di.

Halaanki, Manav unke is chaaplusi bhare act ko samajh gaya tha, lekin phir bhi usne unhe dhanyvaad kaha.

Rajyavardhan : "Mahamantri Bhim, aap Manu ko Dragon Palace dikha sakte hai. Ye.. yahan pehli baar aaye hain, aur ye abhi tak is jagah se familiar nahi hue hai. Agar inke koi bhi sawaal hon to inhe achche se samjhaiyega,"

Bhim : "Jaisa aap chahe, Dragon King! "

Kehte hue Bhim, haath jodkar saamne ki or jhuka. Phir, usne Manav par ek nazar daali aur mahal se baahar chala gaya.

Rajyavardhan un matters se nipatne ke liye is Main Palace me ruka tha jo use land par nahi bheje gaye the.
Jaisa ki Mahamantri Bhim ne bataya tha,
Important matters ko Elder Sharad aur Elder Vinod dwara Rajyavardhan tak pahuncha diya jaata hai, aur choti-moti cheejen, jinhen Rajyavardhan tak report karne ki jaroorat nahi hoti, un cheejon ko Dragon Palace ke Elders aur khud Mahamantri hal kar liya karte hai. Halaanki, wo matters jo na to important aur na hi chote-mote hote hai, unhe Rajyavardhan Dragon Palace me aakar dekha karta tha.

Baharhaal, Bhim Singh aur Manav, donon Rajyavardhan ke Main Palace se baahar nikal aaye.

Mahamantri Bhim ke koobad yaani, unki jhuki hui peeth ko dekhkar, Manav ne andaaja lagaya ki unka original form joroor ek shrimp 🍤 jaisa hoga.

Halaanki apne andaaje ko confirm karne ke liye, Manav ne unse kuch poocha nahi.. kyoki woh is bujurg ke swabhimaan ko thes nahi pahunchana chaahta tha.

(Kahan dragons 🐉 aur kaha ek shrimp 🍤)

Manav se aadha meter door khade Mahamantri Bhim ne vinamrata-poorvak haath jodkar jhukte hue Manav se kaha,

Bhim : "Kunwar, aap yahan pehli baar aaye hai to, please mujhe aapko Dragon Palace ghumane ki permission dein. " ☺

Manav : "Thank you, Mahamantri Bhim,"

Kehte hue Manav bhi haath jodkar jhuka jaise Bhim ne kiya tha.

Manav ki baat sunkar aur uska abhivaadan dekh Bhim khush tha ki Kunwar, jinke baare me usne bas sun rakha tha, lekin unse kabhi nahin mila, itne ache nature ke aur milansaar the; yahaan tak ki khushi se uski koobad wali peeth bhi thodi seedhi ho gayi thi.

Weh Manav ko Main Palace ke peechhe ki or le gaya aur thodi oonchi aawaaj me kaha,

Bhim : "Is taraf, Kunwar. Aapke theek saamne hai Hundred-Flower Palace. Pehle hum wahin chalte hai. Is palace me.. saikdon aur yahan tak ki hajaaron saal purane bahumoolya fruits hai, aur ye sabhi elixirs banane ke liye shaandaar ingredients hai. Mai aapko iske bahut ander tak leja sakta hun, lekin please aap kuch mat touch kariyega kyunki unmen se kuch toxic aur zehreele ho sakte hai. Agar aapko kuch ho gaya to mai badi musibat me fas jaunga… ”

Manav to shuruwat se hi aashcharya chakit tha to Bhim ki baat par woh kuch aur bol na saka..

Khair, Bhim ne aage kaha,

Bhim : "Hundred-Flower Palace ke baad Mystic Creature Palace padta hai. Hum wahan kuch vichitr pracheen creatures rakhte hai. Chunki Gods sabki life ki kadr karte hai, isliye hum, East Ocean ne bhi in creatures ki jaan nahi li. Human Realm me Nature Essence ki kami hone ke kaaran, land par ye creatures zinda nahi reh sakte. Yahan.. Dragon Palace me, pollution ki kami hone ki wajah se , land ke mukable jyada Nature Essence hai isliye, humne inko rehne ke liye yeh jagah di hai… "

Inn jagahon par pahuchne se pehle hi Mahamantri Bhim bahut excited ho gaye the..

Mahamantri Bhim ke peechhe chalte hue, Manav, usne kayi rahasyamayi baatein jaan raha tha.
Achanak uske man me ek khyaal aaya,

Manav (man me) : "Kya Uncle ke liye itne majestic palace me ek shahi harem hoga?"

Manav ko rukte dekh, achanak, Bhim ne Manav ko dekhne ke liye peechhe mudkar dekha,

Manav (man me) : "um ... bas ek silly curiosity... nothing else" 😅

Apne ajeeb vichaaron ke liye Manav ne ek bahana dhoondha aur jaldi se Mahamantri Bhim ke paas pahuch gaya.

P.S. :-

• Water Repellant Bead
• Array Formations
- check word meaning

• North, South, West Ocean , Human Realm
- Annexure ll

• Ice Palace, Green-grade Technique, Heavenly Tribulation - to be updated

Baaki ka Dragon Palace hum next update me explore karenge!

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

To be continued.....
 
Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159

Update kab aayega bhai

Gaddari karbe
:hit:
:esc:

waiting for the updates

Shadow_chaser bhai hamesha time par update dete ...aur superb aur dhasu update dete....aur thoda sa late ho gaya to vaise word ka istemal karoge ..😠😡😠
Are bhaya.. im sure kiyotaka bhai ne funny way me kaha hoga
Btw thanks my bro 🥰 :dost:

I want to break your takla buddy......😶
:kma: :aetsch:

Update has been posted
 
  • Like
Reactions: HONEY SINGH14

krish1152

Well-Known Member
4,575
14,520
158
Nice update
 
Amrit_#0

Active Member
1,747
3,804
143

Fantastic update bro 💗💗
 
499
781
93

Keep posting bro
 
Rohit1988

Well-Known Member
2,202
7,170

Fantastic update
 
Status
Not open for further replies.
Top