• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Maa Kasam Badla Loonga

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Atif Chaudhry

New Member
47
119
34
Update 1

abhi tak jawani ki pahli bahar bhi nahi dekhi thi maine. paris ki galiyan aur sadken mere khun se rangne ki koshishen ki ja rahi thi. mai khaufzada hiran ki tarah apni jaan bachane ke liye bhag raha tha. josef(gangster) ke paltu insani aur haivani kutte mere peeche pade hue the. jab tak wo mere khun se hath na rang lete, chain se nahi bethne wale the.

adhi raat se zayada ka waqt ho chuka tha. aur mujhe paris ki galiyon aur sadkon par bhagte hue 2 ghante se upar ho gaye the. kabhi mai kahin chhup jata. kabhi firse bhag nikalta.

aise hi ek chauk par mujhe police wale dikhe.. mujhe aas dikhi. mai unke paas gaya.

mai dono hath jod kar gidgidate hue kanpnte hue zindagi ki bheek mangne laga.

mai: sir meri jaan khatre me hai. plz mujhe bacha lo

ek police wala meri halat dekh narm padta hua bola: bolo beta. kisse tumhe apni jaan ka khatra hai.

mai dahshat me aaya bola: jo-josef se

sare police wale josef ka naam sun kanp uthe: josef! sir josef! bhag jao ladke. hum tumhari koi madad nahi kar sakte.

mai unke pairon me pad gaya: plz sir! aap to kanoon ke muhafiz han. plz mujhe bacha len. josef ne mere mummy papa ko jaan se maar dia ha. wo mujhe bhi jaan se maar dena chahta hai. plz sir mai aapke pair pakadta hon. mujhe josef se bacha lijiye sir.

mai aisa dahshat me aaya hua tha. mai rote hue in police walun se zindagi ki bheek mangne laga.

ek police wale ne mujhe kandhe se pakad kar uthaya: hum tumhe josef ke hawale nahi karenge. tumhari inti madad zarur kar sakte han. tumhe yahan se jaane dete han. bhaag jaao. jitni tez daud sakte ho daudu. aur apni jaan bachao. koi bhi police wala tumhari jaan bachane ke liye aage nahi aayega.. tumhe khud se apni jaan bachani hogi. bhago, apni jan bachane ke liye bhago.

mai aur bhi dahshat me aa gaya. kya koi ek bhi aisa is shahar me nahi hai. jo mujhe josef ke hathu marne se bacha sake. ek police wala bola: ise hum hi kyun na josef ke hawale kar den.

wahi police wala bola.. jo ab tab mujhse baat kar raha tha: tum jaspal singh ko kyun bhul gaye dany.

oohhh mujhe bhi yaad aaya. jaspal singh papa ke dost.. mai firse bhagne laga

mai: kahan han aap chacha. dekh len aapka babar kaise maut ki dahshat se bhaga bhaga fir raha hai. aa kar mujhe bacha lo chacha. mummy papa bhi mujhe bachate hue maare gaye. aap hi mujhe bacha lo chacha.. kahan han aap chacha.

bhagte bhagte bhi meri ankhon se ansu bah rahe the. dil ki dhadkan thi ki hazaron mile per hour ki speed se travel kar rahi thi. bhagte bhagte mai ek jaga sadak kinare thak kar beth gaya.. mai kutte ki tarah haapnta hua lambi lambi saansen le raha tha.

kabhi ghabra kar aage dekhta, kabhi peeche to kabhi left to kabhi right.. fir mujhe badi speed se kuch gadiyan apni taraf aati hui dikhai di. main aur bhi dahshat me aaya wahan se uth kar bhagne laga. mere back side me ek ground tha.. main road par na bhag kar us ground ki taraf nikal bhaga.. is bar mere bhagne ki speed zayada thi. is baar shayad dushman mere sar par pohnch gaye the. pure shahar me mujhe pagal kutton ki tarah dhunda ja raha tha. kaise na wo mujh tak pohnch jate.

wahi hua.. jis baat ka mujhe andesha tha.speed se aa rahi gadiyan bhi usi ground me mera peeche karti hui dakhal ho gai.. is bar ki meri dahshat ki koi seema nahi tha.

fir ek fire hua aur mai bhagta bhagta lahra kar gir pada. mera sar sakht zameen se takrayaa aur mai cheekh bhi na saka. mere ausaan khata ho gaye the. sar ghumne laga tha. kamzori thi ki badhti hi ja rahi thi. raat dinner kiya tha maine, mummy aur papa ne bhi.. mummy papa to nahi rahe the. bhaag daud me meri sari energy khatam hoke rah gayi thi.. mai tha hi kitna bada. abhi 13 saal ka hi to tha maine.. kahan se lata itni energy.. jitna bhaag lia tha. wo bhi bohut tha.

mai puri tarah hosh me aaya fir se bhaagta. usse pahle hi gadiyan mere karib aa kar ruki.. aur usme se josef ke kutte bahar nikal kar mujhe ghera daal kar khade ho gaye. mujhe dekh zor zor se hasne lage.

ek bola: hum se kaise koi bach kar nikal sakta hai.

dusra bola: sir josef ke kutte han hum. milon door se bhi shikar ki bu par lapak padte han.

teesra bola: is pidde se shikar ke liye bhi humen kitni mahnat karni padi

pahle wala bola: himmat to khub hai isme

koi aur bola: to fir! ise yahi maar kar gaadhna hai ya sor josef ke pass le jana hai.

ek bola. jo shayad un sab me senior tha: nahi! sath lejane jaisa humen koi bhi order nahi mila. ise yahi maar kar dafan kar dete han

mai aise kanp raha tha. jaise sakht sardi me kisi ne mujhe tez barish me khada kar dia ho. aur sardi mere jism ek ek ek ang ko fareeze kr rahi ho. mai ansu bahata hua upar asman ko dekhne laga.. jahan abhi tak khamoshi thi. mere mummy papa bhi mujhse chheen liye the upar wale ne. ab meri jaan bhi jaa rahi thi. aur asman wala khamosh tha..

ek ne apni gun ka rukh meri orr kar dia.. mai aur bhi buri tarah se larz utha. mai uske pairon me gir kar zindagi ki bheek mangne laga

mai: mujhe mat maaro. maine tum logo ka kya bigada hai. kh*da ke liye mujhe mat maaro. meri jaan bakhsh do.

wo sab wahshiyana andaz me hasne lage. mai ek ek ke pair pakad kar gidgidane laga. par kisi ko mujhpar rahm nahi aaya. fir sab ne mujhe maar dene ka faisla kar liya. kyun mere jaise bekar ladke ke liye wo time waste karte..

kai guns ki naalen meri orr seedhi ho gai. kisi bhi pal guns ke ghode dabte aur mere jism me unlimited surakh ban jate..

par tabhi ek jadu ho gaya. jis jis ne gun meri orr seedhi ki hui thi.. kahin se khamosh goliyan chali.. aur sabhi ke saron me surakh banne lage. sab ke sab ek ek karke muh ke bal mere aage girte chale gaye..

khoon ki barish barsane lagi. khoon dekh mai aur bhi dahshat me aa gaya. meri jan bach gayi thi. mujhe shukar ada karna chahiye tha. par jitna khoon meri ankhon ke saamne ubal raha tha. jitne saron ke cheethde ud rahe the. dahshat ki inteha mere rag o pay me sarait kar gayi. mai paglon ki tarah apne sar ke baal nochta hua zor zor se cheekhne laga. uth kar bhagne laga. mere hosh gum hote ja rahe the. aaj se pahle kabhi khoon nahi dekha tha. aaj mummy papa ka khoon dekha tha. bhagte hue mujhpar chalai jane wali goliyon se hit ho rahe rahgeeron ko dekha tha. unka khoon nikalte dekha tha.. ab to khoon ka sailab dekha to mai jaise pagal hone laga..

mai cheekhta hua wahan se uth kar bhaagne laga. mujhe maarne aaye ek ek karke khud maare gaye the.. tabhi mujhe kisi ke mazbur hathu ne apni jakad me le liya..

mai cheekhne laga: mujhe mat maaro. mai bacha ho.. kh*da ke liye kyun meri jaan ke dushman bane hue ho tum.. mujhe maaf kar do. mrei jaan bakhshi kar do.

tabhi mere kano me wo awaz padi. jise sunne ke liye mai pichhle kai ghanton ki taras raha tha.. ye awaz jaspal chacha ki thi..

jaspal: babar puttar. mai hon tera chacha jaspal. puttar tu ab ghabra mat.. tera chacha aa gaya hai.. sauhn babe nanak di.. koi vi kutta mere puttar ko meli nigah se vekh bhi nahi sakta.. chal aa mere naal

jaspal chacha ki awaz bhatakte sahra me kisi barasne wale badal se kam nahi thi. mai jo dahshat ki inteha par tha.. jaspal chacha ke mil jane par mere muscles jawab dene lage. mai jo ab tak khud se ladta aa raha tha. meri himmat jawab de gai thi..

mai jaspal se rote hue bass itna hi bola: chacha! mummy papa ko josef ne maar dia.

jaspal chacha bade dukh se bole: haan puttar. mujhe khabar mil gayi thi. mujhe dukh hai babar puttar jo mai wahan nahi tha. warna koi bhi kutta mere yaar nu maar nahi sakdi si.

bass isse zayada mai khud se nahi lad saka. mere dimag andheron me gum hone laga. mai jaspal chacha ki mazbur bahun me jholne laga.
 
Abhishek Kumar98

Well-Known Member
8,790
9,583
188
B

Bahut emotional start hai bhai dekhte hai ab hero kaise badla leta hai
 
  • Like
Reactions: Atif Chaudhry

Infernal.Emperor

Active Member
555
952
108

Interesting story with full on blood fight and suspense...
Story achi likhi bro bus ab dekhna hai akhir kyu ek bache ko marne itna bada khatarnak don pada hai?
 
  • Like
Reactions: Atif Chaudhry

Atif Chaudhry

New Member
47
119
34
update 2

hosh me aate hi maine khud ko ek chalti van ke andar paya. backseat par jaspal chacha ke sath betha tha. saamne driving seat par jassi naam ka ek ladka betha hua badi speed se van ko drive kar raha tha. 2 ladke aur ek admi bhi van ke andr bethe hue the. sab ke hath ke guns bhi thi. front seat jo ki khali padi thi. wahan pistol aur ak47 tyar halat me pade the. jassi unhe kabhi bhi istemal me la sakta tha.

hosh me ate hi maine jaan lia. hamara peecha kiya ja raha hai. sab bar bar peeche mud kar dekh rahe the. mai hosh me aate hi ghabra kar, sar utha kar peeche dekhne laga.

jaspal chacha ne mere sar par hath rakh kar mujhe neeche jhuka dia.."babar puttar tu neeche hi beth. goliyan chal rahi han. koi goli tujhe na chhu jaaye."

mere chehre ka rang ud gaya. mai jhat se neeche ho gaya.

mai khauf se kanpnta hua bola.."chacha wo mujhe kyu maarna chahte han"

mujhe mummy papa ki yaad aai to mera dil rone laga. meri ankhon se ansu bahne lage..."mere mummy papa ko maar dia. kya bigada tha mere mummy papa ne unka.."

jaspal chacha "babar puttar tu fikr na kar. zaheer bhara aur bharjai ke khoon ka mai aisa badla lunga. josef aur uske gang ki eent se eent baja dunga. sadkon par lashon ke dher laga dunga"

bohut badi baat kahi thi jaspal chacha ne. jitne bade bade bol jaspla chacha bola karte the. utna hi dum bhi tha jaspal chacha me. par kismat me kuch aur hi likha tha. hamari hi van ke peeche jaspal chache ke sathiyon ki ek aur van bhi aa rahi thi. usse peeche josef ke gunde the. firing jaari thi. ek moke par peeche wali hamari van ke tyre par fire hua aur van ulat gai. jaspal chacha ke sathi jo hamari hi van me the. cheekh pade.

jaspal chacha "jassi gadi ki speed badha do. babar puttar ko har haal me bachana hai.

jassi "ji sirji"

jassi ne speed bada di... gadi hawa se baaten karne lagi. peeche rah gaye sathiyon ki maut ka dukh tha sab ko. par mere liye jaspal chacha ne apne sathiyon ko bhi kurban kar dia tha. aur bhi najane kitne kurban hone wale the. josef najane kyun mere peeche pad gaya tha. kyun mere mummy papa ko maar kar mujhe bhi jaan se maar dena chahta tha. hamari to koi dushmani hi nahi thi usse.

dushmano ki gadi krib aati hui firing karne lagi. idhar gadi me bethe jaspal chacha aur unke sathi bhi sar ka utha kar firing karne lagte. fir sar gira kar khud ko bacha bhi jaate. kuch der aisa hi scene chalta raha.. mera khoon khushk hone laga tha. maut ki dahshat kya hoti hai. pichhle kai ghanto se jari bhag daud ne mujhe ache se samjha dia tha..

ek moka par peeche se chali ek goli gadi me bethe hamare ek sathi ke sar me lagi. to wo mere barabar gir pada. meri nazar uske sar par padi to mai khauf se cheekhne chillane laga. uske sar me surakh ho gaya tha.

jaspal chacha cheekha "mahchine gun nikalo. bhoon do kutton ko

aisa hi kiya gaya. idhar jassi puri speed se gadi drive kar raha tha. sath hi machine gun ke istemal se peeche aane par firing bhi shuru kar di gai thi. lekin meri jaan ke dushman jaise mar kar bhi mujhe maar dena chahte the. wo hamare peeche lage rahe. wo bhi ek gadi me nahi the. 2 ya 3 gadiyon me the..

ek road par gadi kuch dhire hui. turn lete hue peeche se hui firing me jaspal chacha bhi lapet me aa gaye.. mere aur jassi ke siva sab hit ho gaye the.

jaspal chacha cheekhe to mai bhi cheekh pada. dusre sathi cheekhte hue niche gir tadapne lage. jald hi wo jaan ki bazi haar gaye.

mai ghabra gaya. mai jaspal chacha ko khoon me latpat dekh kar dar gaya. mai rone laga. mai uthne laga to jaspal chacha ne mera ek hath pakad lia. idhar jassi bhi sabko goliyan lagte gadi ki speed aur bhi badha gaya tha. wo bhi tadap utha tha jaspal chacha ko zakhmi hote dekh kar.

jassi "sir aap kaise han"

jaspal chacha "jassi puttar agle chauk par mujhe utaar dena. tum babar puttar ko leke paris se nikal jana.

jassi "nahi sir. mai aapko chhod kar nahi ja sakta"

mai aur bhi rone laga "chacha ab aapke siva mera koi apna bacha hi kon hai. aap plz mujhe khud se door na karen"

jassi "babar sahi kah raha hai sir. hum sath jiyenge. sath marenge.. mai dushmano ko pass bhi nahi bhatakne dunga ab"

jaspal chacha " na jassi puttar..meri jaan se badhkar zaruri hai babar puttar ki zindagi bachana.. aur babar puttar ko uski amanat bhi lauta dena.. babar puttar ko faulad banana ab tumhara kaam hai. usay uski asal se pahchan karana tumhara dharam hai. aur tum yehi karoge."

mai kuch samjh nahi paya tha. is par mai zayada dhayan bhi nahi de saka tha.

jaspal chacha ke side se baazo ko cheerti hui ek goli dil wali side me ghus gai thi. jaspal chacha badi himmat ka muzahira kar rahe the. warna unke chahre aur ankhon ke badle rang mai ache se dekh pa raha tha.

ek mod par jaspal chacha fir bole "bass jassi.. mujhe yahi utaar do.. aur der na karna. koi bhi shabd moh se mat nikalna.. ye mera order hai.. mai yahi rah kar dushmano ko aage badhne se rokonga

jassi "nahi sir. jaan dene ki baari aai to mai jaan dunga. aap babar ko leke yahan se nikal jaayen"

jaspal chacha "baton me samay mat gunwao.. mai jaan gaya hon. ab mai bach nahi sakunga. der karoge to koi bhi nahi bach sakega.. babar puttar mujhe gadi se bahar nikalne me madad karo"

peeche wali gadi jo bohut peeche rah gai thi.. ab karib aati ja rahi thi.. mai bhi jaspal chacha ko aisa karne se rokne laga

jaspal chacha "tujhe teri mummy tere papa ki kasam.. jaisa mai kah raha hon. vaisa hi karo"

mai bhi majbur ho gyaa. mai rota ghayal chacha ko gadi se bahar nikal gaya.. jaspal chacha ne belt wali badi machine gun apne gale me latka li. aur ke side khade hoke aane walun ka intezar karne lage

jaspal chacha jassi se bola "ab tum jaao. babar ab se tumhari zimmedari hai.."

jassi mujhe liye wahan se nikal pada. mai peeche mud jaspal chacha ko dekhne laga. mai firse rone laga tha. jaspal chacha ko mai firse nahi dekh paaunga. aisi sada mere andar goonj rahi thi. jaspal chacha jahan khade the. wahan se hamare peeche aa rahe dushman chacha ko nahi dekh sakte the. abhi chacha meri nazron me thi the ki peeche se dushmano gadiyan chacha ke karib mujhe dikhai di.. tabhi chacha samne a gaye aur bhayankar firing karne lage. josef ke kutte, kutte ki maut marne lage. road kinare se bhi unpar aisa koi hamla ho sakta hai. unke wahm o guman me bhi nahi tha.. wo sambhal bhi nahi paye the. jaspal chacha unpar qayamat bankar toot pade. machinegun se nikli dheron bullets ne dushmani ke parkhache uda kar rakh diye.. tabhi mujhe jaspal chacha bhi lahra kar girte dikhai diye.. shayad sambhal gaye the..

mai unchi awaz me rone laga "unho ne chacha ko bhi maar diya"

jassi bhi guse se pagal ho raha tha. bola "nahi chhodonga kisi bhi haramzade ko nahi chhodonga.. bass ek bar tumhe mahfuz kar lun.. fir dekh lunga.. ek ek ko dekh lunga.."

uske bad hamari raah me koi nahi aaya. jassi mujhe liye shahar se bahar farmhouse type ek ghar me le gaya..
 
  • Like
Reactions: Smith_15
Top