- 47
- 119
- 34
Update 1
abhi tak jawani ki pahli bahar bhi nahi dekhi thi maine. paris ki galiyan aur sadken mere khun se rangne ki koshishen ki ja rahi thi. mai khaufzada hiran ki tarah apni jaan bachane ke liye bhag raha tha. josef(gangster) ke paltu insani aur haivani kutte mere peeche pade hue the. jab tak wo mere khun se hath na rang lete, chain se nahi bethne wale the.
adhi raat se zayada ka waqt ho chuka tha. aur mujhe paris ki galiyon aur sadkon par bhagte hue 2 ghante se upar ho gaye the. kabhi mai kahin chhup jata. kabhi firse bhag nikalta.
aise hi ek chauk par mujhe police wale dikhe.. mujhe aas dikhi. mai unke paas gaya.
mai dono hath jod kar gidgidate hue kanpnte hue zindagi ki bheek mangne laga.
mai: sir meri jaan khatre me hai. plz mujhe bacha lo
ek police wala meri halat dekh narm padta hua bola: bolo beta. kisse tumhe apni jaan ka khatra hai.
mai dahshat me aaya bola: jo-josef se
sare police wale josef ka naam sun kanp uthe: josef! sir josef! bhag jao ladke. hum tumhari koi madad nahi kar sakte.
mai unke pairon me pad gaya: plz sir! aap to kanoon ke muhafiz han. plz mujhe bacha len. josef ne mere mummy papa ko jaan se maar dia ha. wo mujhe bhi jaan se maar dena chahta hai. plz sir mai aapke pair pakadta hon. mujhe josef se bacha lijiye sir.
mai aisa dahshat me aaya hua tha. mai rote hue in police walun se zindagi ki bheek mangne laga.
ek police wale ne mujhe kandhe se pakad kar uthaya: hum tumhe josef ke hawale nahi karenge. tumhari inti madad zarur kar sakte han. tumhe yahan se jaane dete han. bhaag jaao. jitni tez daud sakte ho daudu. aur apni jaan bachao. koi bhi police wala tumhari jaan bachane ke liye aage nahi aayega.. tumhe khud se apni jaan bachani hogi. bhago, apni jan bachane ke liye bhago.
mai aur bhi dahshat me aa gaya. kya koi ek bhi aisa is shahar me nahi hai. jo mujhe josef ke hathu marne se bacha sake. ek police wala bola: ise hum hi kyun na josef ke hawale kar den.
wahi police wala bola.. jo ab tab mujhse baat kar raha tha: tum jaspal singh ko kyun bhul gaye dany.
oohhh mujhe bhi yaad aaya. jaspal singh papa ke dost.. mai firse bhagne laga
mai: kahan han aap chacha. dekh len aapka babar kaise maut ki dahshat se bhaga bhaga fir raha hai. aa kar mujhe bacha lo chacha. mummy papa bhi mujhe bachate hue maare gaye. aap hi mujhe bacha lo chacha.. kahan han aap chacha.
bhagte bhagte bhi meri ankhon se ansu bah rahe the. dil ki dhadkan thi ki hazaron mile per hour ki speed se travel kar rahi thi. bhagte bhagte mai ek jaga sadak kinare thak kar beth gaya.. mai kutte ki tarah haapnta hua lambi lambi saansen le raha tha.
kabhi ghabra kar aage dekhta, kabhi peeche to kabhi left to kabhi right.. fir mujhe badi speed se kuch gadiyan apni taraf aati hui dikhai di. main aur bhi dahshat me aaya wahan se uth kar bhagne laga. mere back side me ek ground tha.. main road par na bhag kar us ground ki taraf nikal bhaga.. is bar mere bhagne ki speed zayada thi. is baar shayad dushman mere sar par pohnch gaye the. pure shahar me mujhe pagal kutton ki tarah dhunda ja raha tha. kaise na wo mujh tak pohnch jate.
wahi hua.. jis baat ka mujhe andesha tha.speed se aa rahi gadiyan bhi usi ground me mera peeche karti hui dakhal ho gai.. is bar ki meri dahshat ki koi seema nahi tha.
fir ek fire hua aur mai bhagta bhagta lahra kar gir pada. mera sar sakht zameen se takrayaa aur mai cheekh bhi na saka. mere ausaan khata ho gaye the. sar ghumne laga tha. kamzori thi ki badhti hi ja rahi thi. raat dinner kiya tha maine, mummy aur papa ne bhi.. mummy papa to nahi rahe the. bhaag daud me meri sari energy khatam hoke rah gayi thi.. mai tha hi kitna bada. abhi 13 saal ka hi to tha maine.. kahan se lata itni energy.. jitna bhaag lia tha. wo bhi bohut tha.
mai puri tarah hosh me aaya fir se bhaagta. usse pahle hi gadiyan mere karib aa kar ruki.. aur usme se josef ke kutte bahar nikal kar mujhe ghera daal kar khade ho gaye. mujhe dekh zor zor se hasne lage.
ek bola: hum se kaise koi bach kar nikal sakta hai.
dusra bola: sir josef ke kutte han hum. milon door se bhi shikar ki bu par lapak padte han.
teesra bola: is pidde se shikar ke liye bhi humen kitni mahnat karni padi
pahle wala bola: himmat to khub hai isme
koi aur bola: to fir! ise yahi maar kar gaadhna hai ya sor josef ke pass le jana hai.
ek bola. jo shayad un sab me senior tha: nahi! sath lejane jaisa humen koi bhi order nahi mila. ise yahi maar kar dafan kar dete han
mai aise kanp raha tha. jaise sakht sardi me kisi ne mujhe tez barish me khada kar dia ho. aur sardi mere jism ek ek ek ang ko fareeze kr rahi ho. mai ansu bahata hua upar asman ko dekhne laga.. jahan abhi tak khamoshi thi. mere mummy papa bhi mujhse chheen liye the upar wale ne. ab meri jaan bhi jaa rahi thi. aur asman wala khamosh tha..
ek ne apni gun ka rukh meri orr kar dia.. mai aur bhi buri tarah se larz utha. mai uske pairon me gir kar zindagi ki bheek mangne laga
mai: mujhe mat maaro. maine tum logo ka kya bigada hai. kh*da ke liye mujhe mat maaro. meri jaan bakhsh do.
wo sab wahshiyana andaz me hasne lage. mai ek ek ke pair pakad kar gidgidane laga. par kisi ko mujhpar rahm nahi aaya. fir sab ne mujhe maar dene ka faisla kar liya. kyun mere jaise bekar ladke ke liye wo time waste karte..
kai guns ki naalen meri orr seedhi ho gai. kisi bhi pal guns ke ghode dabte aur mere jism me unlimited surakh ban jate..
par tabhi ek jadu ho gaya. jis jis ne gun meri orr seedhi ki hui thi.. kahin se khamosh goliyan chali.. aur sabhi ke saron me surakh banne lage. sab ke sab ek ek karke muh ke bal mere aage girte chale gaye..
khoon ki barish barsane lagi. khoon dekh mai aur bhi dahshat me aa gaya. meri jan bach gayi thi. mujhe shukar ada karna chahiye tha. par jitna khoon meri ankhon ke saamne ubal raha tha. jitne saron ke cheethde ud rahe the. dahshat ki inteha mere rag o pay me sarait kar gayi. mai paglon ki tarah apne sar ke baal nochta hua zor zor se cheekhne laga. uth kar bhagne laga. mere hosh gum hote ja rahe the. aaj se pahle kabhi khoon nahi dekha tha. aaj mummy papa ka khoon dekha tha. bhagte hue mujhpar chalai jane wali goliyon se hit ho rahe rahgeeron ko dekha tha. unka khoon nikalte dekha tha.. ab to khoon ka sailab dekha to mai jaise pagal hone laga..
mai cheekhta hua wahan se uth kar bhaagne laga. mujhe maarne aaye ek ek karke khud maare gaye the.. tabhi mujhe kisi ke mazbur hathu ne apni jakad me le liya..
mai cheekhne laga: mujhe mat maaro. mai bacha ho.. kh*da ke liye kyun meri jaan ke dushman bane hue ho tum.. mujhe maaf kar do. mrei jaan bakhshi kar do.
tabhi mere kano me wo awaz padi. jise sunne ke liye mai pichhle kai ghanton ki taras raha tha.. ye awaz jaspal chacha ki thi..
jaspal: babar puttar. mai hon tera chacha jaspal. puttar tu ab ghabra mat.. tera chacha aa gaya hai.. sauhn babe nanak di.. koi vi kutta mere puttar ko meli nigah se vekh bhi nahi sakta.. chal aa mere naal
jaspal chacha ki awaz bhatakte sahra me kisi barasne wale badal se kam nahi thi. mai jo dahshat ki inteha par tha.. jaspal chacha ke mil jane par mere muscles jawab dene lage. mai jo ab tak khud se ladta aa raha tha. meri himmat jawab de gai thi..
mai jaspal se rote hue bass itna hi bola: chacha! mummy papa ko josef ne maar dia.
jaspal chacha bade dukh se bole: haan puttar. mujhe khabar mil gayi thi. mujhe dukh hai babar puttar jo mai wahan nahi tha. warna koi bhi kutta mere yaar nu maar nahi sakdi si.
bass isse zayada mai khud se nahi lad saka. mere dimag andheron me gum hone laga. mai jaspal chacha ki mazbur bahun me jholne laga.