• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mʏ Vᴀᴍᴘɪʀᴇ Sʏsᴛᴇᴍ ~ Tʜᴇ Hɪɴᴅɪ Eᴅɪᴛɪᴏɴ

What are your first impressions?

  • Naah! I will pass 😮‍💨

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    33

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
108
267
64
Guys! listen once again, likes ka target pura hone se pehle update nahi dene wala mai, bilkul bhi nahi. So agar next update chahiye to target pura kro.
One update per week ka schedule fix krne ka socha tha but past 3 days me back to back 3 update de chuka hu. So itna to kar hi sakte ho tum log.
Isliye target pura kro aur update le jao. Yahi deal hai apni.

Aur guys jo bhi naye bande thread par aa rahe hain wo upar poll me apna keemti vote jarur dalte jaye.

Ek aur baat tumhe story achhi lagti hai, batao.
Tumaye story achhi nahi lagti hai, wo bhi batao.
Tumhe kya achha lga, batao.
Tumhe kya achha nahi lga, wo bhi batao.
Agar thread par aaye ho, story read ki hai, to please kuchh na kuchh bol kar jao. Tum log bc aate ho aur aise gayab ho jate ho jaise gadhe ke sarr se kabhi seengh gayab ho gaye the. Bc 2 sabd naa bole jate tumse.

Jyada kuchh nahi mang raha, bss agar thread par aate ho to ek like kar diya kro aur ek chhota sa revo de diya kro. Kam se kam tumhari presence ka pta chalte rehta hai, ki bc tum log exist bhi karte ho.

Bss jo hai itna hi hai, itni baaton ka dhyan tum rakh lena baki tumhara dhyan mai rakh lunga. Tum khush, Mai khush, Dono log khush. To deal done samjhu Mai?? :hinthint:


And once again, keep supporting!!!
 
Last edited:

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
108
267
64
nice phase and base keep it up
Finally bc!! Kisi ne to apna muh khola.
Dude you know one thing?? You are a good man actually.
Just kidding brother.😁
Wo kya hai na, is thread par koi comments nahi karta, mostly yaha par mai akela hi rehta hu, khudse bate karta hua.
Aaj ek insaan dekh liya to khudko control nahi kar paya.😅

Baki agar story ki baat ki jaay to ju support karte raho, baki phase aur base mere upar chhod do, tumhe disappoint nahi karunga.

Btw thanks for the comment.🙂
 

Asad123456

Member
156
221
43
Update - 3
[ Daily Quest ]


Ab tak...

Finally jab book ka aakhri panna bhi palat gaya to book uski najaron ke samne se dhool bankar aise gayab ho gai jaise endgame me Thanos gayab hua tha. But at the same time, Vikram ki aankhon ke samne dhundhlapan chhane laga. Uski body kaphi weak lag rahi thi aur dheere dheere uski aankhein band ho gai.

Lekin, behosh hone se thik pehle usne kuchh suna, shayad koi message tha.

<Congratulations you have been granted the Va....>

Lekin, isse pehle ki wo pura message sun pata, wo behosh ho gaya.


Ab aage...

Dheere dheere Vikram ki palke upar uthne lagi aur uska vision clear hone laga. Uska sarr kaphi bhari lag raha tha aur use apne sareer me halka dard bhi mehsoos ho raha tha. Wo dheere se jameen par se utha aur apne hath se apne sarr ko check karne lga ki kahi use koi injury to nahi aai hai.

"Bc mere sarr me itna dard kyu ho raha hai?" Usne khudse kaha.

Apni khopdi check karne ke baad Vikram ne floor se apna chasma uthaya. Halanki abhi us chasme ka ek lense gayab tha lekin phir bhi out of habit Vikram ne wo chasma pehn liya. Chasma pehnte hi Vikram ko kaphi uncomfortable feel hua aur uska vision thoda blurry ho gaya.

Vikram ne turant hi un glasses ko nikal diya aur ab usne notice kiya ki uska vision tab hi blurry hota hai jab wo un glasses ko pehnta hai. Vikram bhag kar apne desk ke paas gaya aur waha se ek pencil utha kar laya phir usne wall par "A" letter ko likha aur dheere dheere pichhe ki taraf hatne laga. Wo tab tak pichhe ki taraf chalta raha jab tak ki uska pichhwada room ki pichhe wali wall se nahi takaraa gaya.

"Wtf, lekin kaise!" Usne surprised hote huye kaha.

Vikram ne apni puri zindagi chudi hui aankhon ke sath bitaayi thi, lekin pata nahi kaise par achanak hi Vikram ka vision ekdum perfect ho chuka tha. Behosh hone se pehle uske sath us room me jo jo hua tha, ek ek karke sari images uski aankhon ke samne flash hone lagi aur abhi is wakt jis chiz ke liye wo sabse jyada curious tha wo thi ~ The Book.

Jab Vikram ne charo taraf apni najaren daudayi aur use book dikhayi nahi di tab wo panic karne laga.

"The book! Where the hell are you, book?" Vikram panic karte hue chillaya.

Vikram ne us chhote se room ka kona kona chhan mara lekin wo book kahi par bhi nahi mili. Ek aisa apartment jisme keval single bed aur ek desk rakhne bss ki jagah ho aisi jagah se book ka yu gayab ho jana kaphi surprising tha. Itne chhote se room se book ka gayab ho jana Vikram ko pagal kar raha tha.

"Shayad ye book mere socks ki tarah hai, wo bhi aksar isi tarah gayab ho jate hain. Ahh fuck man! Lagta hai mai bawla ho gaya hu, Bc yaha tu dedh kilo ki ek book dhund raha hai, 10 gram ke socks nahi." Vikram khudse hi bate karne laga.

Thakk haar kar Vikram apne bed par Jake baith gaya aur uske behosh hone se pehle us room me kya kya hua tha is bare me gehrai se sochne laga. Dimaag par jyada zor dene par achanak hi use yaad aane lga ki kaise wo book shake hote huye hawa me lift ho gayi thi. Use ye bhi yaad aaya ki uske behosh hone se thik pehle usne kuchh sabd sune the.

"Bc wo kya tha? Kya wo kisi tarah ka system message tha?" Usne socha.

Aur jaise hi Vikram ne wo words kahe, ek status screen uski aankhon ke thik samne dikhayi dene lagi.


[User: Vikram Acharya]

[Race: Human]

[Level 1]

[0/100 exp]

[HP 10/10]

[Strength: 10]

[Agility: 10]

[Stamina: 10]


"Bhens ki aankh! Ye kya bakchodi hai?" Vikram ne surprised hote huye kaha.

Vikram thodi der tak usi screen ko ghoorta raha aur apni aankhon ke samne chal rahe scene ko samjhne ki koshish karne laga.

Bahut der tak sochte rehne ke baad jab use thoda thoda samjh aaya ki uske sath kya scene chal raha hai tab wo excitement me zor se chilla pada.

"No no no... ye nahi ho sakta! Bhenchod ye ho hi nahi sakta!" Vikram surprise aur excitement dono ki mixed feelings ke sath chillaya.

Vikram ko ab ye samjh aa raha tha ki uske samne jo screen hai wo ek tarah ki status window hai aur usme jo numbers aur information likhi hui hai wo uske khudke bare me hai. Ye bilkul un old times ke games jaisa tha jisme ek system kisi individual ko grow krne aur powerful banne me help karta hai.

"Nice bc nice! Ye to purane jamane ke kisi video games ki tarah hai jinhe bachche pura din khelte rehte the." Vikram ne khudko saant karte huye kaha.

Vikram ne notice kiya ki status screen ke top par aur bhi tabs hain. Aur bina kuchh kiye hi keval apne mind me un tabs ko read karne bss se wo status screen automatically [Skills] tab par switch ho gai.


[Skills]

[0 skill points available]

[Skill locked????]

[Skill locked????]

....


So basically [Skills] tab par dekhne ke liye kuchh khas tha nahi kyuki waha par mostly chize locked thi aur unke upar slightly grey colour ki overlay dikh rahi thi jaisa ki aksar video games me hota hai jab koi gun ya phir koi equipment locked hota hai tab uske upar ek halki grey colour ki overlay hoti hai then uske upar ek lock (🔒) ka mark bana hota hai, thik usi tarah se yaha par bhi tha.

Khair skills tab par dekhne layak kuchh tha nahi isliye usne apne mind me hi bolke next tab open kiya jo tha, [Shop].


[Shop]

[Unlocks at level 10]


"Ye bhi lock bhenchod! Bc mai kuchh kar bhi sakta hu ya nahi?" Usne irritate hote huye khudse hi sawal kiya.

[Shop] tab par bhi kuchh khas dekhne ko nahi mila aur ab bari thi aakhiri tab ki aur wo tha, [Quest] tab. Aur finally use kuchh aisa mila jo locked nahi tha.


[Main Quest]

[Reach level 10]

[Daily Quest: Drink two litres of water]

[Reward: 5 exp]


System ke paas dikhane ke liye jo jo chize thi unhe dekhne ke baad Vikram ne bss apne mind me system ko close karne ke bare me socha aur uske aisa sochte hi uske samne se wo screen gayab ho gai, aur theek iska ulta jab usne apne mind me system ko phirse open krne ke bare me socha to uski aankhon ke thik samne phirse wo screen dikhai dene lagi.

Ant me Vikram ne system ko close kar diya. Abhi wo apne bed par baitha hua tha, usne ek angdai li aur apni body ko pichhe ki taraf le jate huye bed par hi dher ho gaya.

Vikram abhi sirf ek chiz ke bare me soch sakta tha aur wo ye ki jo book uske mom dad ne marne se pehle uske liye chhodi thi wo ek tarah ki 'Ability Book' thi. Ye us tarah ki books hoti thi jinhe bahut hi high price par ya to military ya phir kisi company se buy kiya ja sakta tha, yaha tak ki ye books black market me bhi sell ki jati thi.

Lekin jo chiz Vikram ko sabse jyada pareshan kar rahi thi wo ye thi ki usne kabhi bhi kisi aisi book ke bare me nahi suna tha jo aapki aankhon ke samne se gayab ho jaay aur aapko is tarah ka ek system de de. Aamtaur par ability books is tarah ki books hoti thi jinhe master karne ke liye time aur prectice ki jarurat hoti thi, ye koi aisi books nahi thi jinhe uthakar ek baar me hi sab kuchh sikha ja sake.

Dheere dheere Vikram ke chehre par ek smile appear hone lagi. Ye sab uske liye kisi great news se kam nahi tha. Wo humesha se hi ek 'Level 1' ka ability user raha tha kyuki higher level ki ability books ko buy karna uski aukaat ke bahar ki baat thi. Lekin finally aaj uske paas kuchh tha, aur abhi uske dimag me yahi chal raha tha ki use kis tarah ki ability mili hai.

Vikram excited hote huye apne bed se utha, ab use next phase ki taraf badhna tha aur wo tha apni ability ko test karna aur ye check karna ki usne kis type ki ability obtain ki hai.

"Fire, fire, come on bc!" Vikram ne apni hatheliyo ko aage ki taraf phekte hue kaha.

"Ok next... Water, water, out!" Usne dubara wahi kiya lekin is baar bhi same result tha.

Vikram ne different different chizon ko try krke dekha yaha tak ki usne har us ability ko bhi try kiya jiske bare me wo jaanta tha, itna sab karne ke baad ek cheez thi jo uske mind me clear ho chuki thi aur wo ye ki, wo kisi bhi ability ko perform nahi kar sakta.

"Bhenchod ye kya majak hai! Kya ye bss ek system ability hai?" Vikram ne confuse hote huye apne man me socha.

Vikram ne khudko saant kiya aur apne bed par jakar baith gaya. Ye situation kaphi complicated thi aise me wo jaldbazi me sochne ki galti nahi kar sakta tha. Vikram kuchh der tak gehrai se sochta raha. Agar ye sach me kisi game ki tarah hai to shayad quests ko complete karne par wo apne aap hi strong hota jayega aur new skills unlock hoti jayengi. Wo use ek ordinary ability book ki tarah treat kar raha tha lekin use ye nahi bhoolna chahiye ki jo use mila hai wo kisi bhi angle se ordinary nahi hai.

Usually jo ability books hoti hain wo ek hi ability par based hoti hain. Kisi bhi person ke liye apni first ability book ko select karna bahut hi important hota tha kyuki ek regular human body ek hi ability attribute ko perform karne me saksham thi. Example ke liye agar aapko 'transformability' aapki first ability ke roop me milti hai to iske baad se aapko jitni bhi skills ya abilities milengi wo isi attribute se related hogi, isi tarah agar aapka attribute 'fire' hai to uske baad aapko jitni bhi abilities milengi wo fire se hi related hogi, aur yahi same chiz water, wind aur baki sabke sath bhi hai.

Readers ko kaphi important information dene ke baad Vikram apne mini-fridge ke paas gaya aur use khol kar usme rakhi water bottles nikalne laga.

Vikram ne un water bottles ko desk par rakha aur ek ke baad ek sabhi bottles ko gatakne laga.

"Damn bc! Ye 2 litres kitna hota hai? Gaand phatne ko ho gai lekin bc iske 2 litres na huye abhi tak." Vikram ne pet me ho rahe dard ko sehan karte hue kaha.

Aathvi (8th) water bottle khatam hote hote uske samne screen par ek new notification message dikhai dene laga.


[Daily Quest complete, 5 exp has been granted]

[5/100]


"Well, Kam se kam ye to pata chala ki system sach me work karta hai" Vikram ne satisfaction se bhari hui tone me kaha.

Vikram abhi system ke sath hi busy tha jab use achanak hi darwaze par ek loud knock sunai diya. Vikram jaldi se darwaze ke paas gaya aur usne darwaza open kiya. Darwaza open hote hi uske samne military uniform me 7ft6 ka ek black banda khada hua tha. Vikram ne use upar se niche tak dekha, Saand jaisa dikhne wala wo aadmi military uniform me kisi black monster se kam nahi lag raha tha. Hatte katte, lambe chaude, janwaro jaisi body aur bina balon wale us aadmi ki uniform par dhero medals lage huye the, aur uski right side ki chest pocket se thik 2 inch upar ek name plate lagi hui thi jiske upar uska name likha hua tha - 'Seargent Griff'.

"Ladke, immediately apna boria bistar bandho. Gadi already 5 minute se bahar wait kar rahi hai." Khadus seargent ne Vikram se kaha.

School, book aur system ke chakkar me Vikram ye t
o bhool hi gaya tha ki aaj kya hona hai.

"It's time for you to head to the military school," Seargent ne Vikram se kaha.


To be continued...



Dekho bhai logo is update ka like target hai 15 likes.
Ab jab tak update pe 15 likes nahi ho jate tab tak next update nahi milega.
So tum logo ko pta hai ki ab kya karna hai.
Update padho, revo do, aur phataphat 15 likes ka target pura kro.


keep supporting!!
Nice update bro keepit
 

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
108
267
64
Nice update bro keepit
Vaise kya aapne abhi tak apna keemti vote dala??
Kya? abhi tak nahi dala?? 💀
Kya kar rahe ho bhai, 4 June to already aa chuka hai. Ab kya result nikalne ke baad vote doge?? :hinthint:

Vaise me us poll ki baat kar raha tha jo maine upar daal rakha hai, Haan! Wahi first impression wala.:D
Vaise aapke vote se mai pradhan mantri to nahi banunga,:D lekin usse mujhe story likhne ki inspiration jarur milegi.
Isliye kripya apna vote jarur dijiyega.

And keep supporting!!
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Tri2010

Well-Known Member
2,050
1,988
143
Update - 1
[ The daily routine ]


"Gir kar mat mar jana, Vikram!" Ek ladke ne hallway ke entrance se chillate huye kaha.

Vikram school ke corridor me chalta raha. Uske sath ye lagbhag har roj hi hota tha. Bully hona jaise uske liye ek daily routine ban chuka tha. School ke kuch dabang ladke use roj bully karte the aur aisa ek bhi din nahi tha jab use is baat ka bura na lagta ho aur wo khud ko unka virodh karne se nahi rok pata tha.

Vikram ruka aur usne apne glasses ko pichhe Kiya kyuki wo uske chehre se khisak kar niche aa gaye the. Use naye chasme ki jarurat thi. Har physical object ki apni ek limit hoti hai. Koi bhi pehli nazar me dekh kar ye bta sakta tha ki lambe samay se use hote rehne ki vajah se wo chasme bahut jyada damage ho chuke hain. Chasme par jagah jagah tape chipka hua tha aur ab to wo uske chehre par thik se fit bhi nahi hote the.

Vikram pichhe muda aur usne immediately us ladke ko apni middle finger [🖕] dikhai.

"I bet ki tu ye bhi nahi bata sakta ki mai kitni ungliya dikha raha hu!" Vikram ne us ladke ne kaha.

Ye sunkar us ladke ki mutthi kas gai aur wo daat bheenchte huye Vikram ki taraf bhaga.

"Madharchod!! Tujh jaisa Level 1 ka chuja ye kab shikhega ki is duniya me tere jaise kamjor logo ki koi jarurat nahi" Us ladke ne gusse me Vikram se kaha.

Phir us ladke ne apni aankhen band kar apne dono hathon ko aapas me joda aur uske aisa karte hi ek green colour ki light se bani ball uske hantho ke paas form hone lagi. Wo ladka Vikram se bss kuchh ki meters door tha. Us ladke ne apne hantho ko full force ke sath aage ki taraf pheka aur uske aisa karte hi green light se bani wo ball uske palm se nikal kar full power ke sath Vikram ki ore shoot ho gai.

Achanak huye is hamle se bach pana Vikram ke liye lagbhag namumkin tha. Uske paas bhagne ke liye koi rasta nahi tha aur jis speed se wo green light ki beam Vikram ki ore badh rahi thi use dodge kar pana Vikram ke bss ki baat nahi thi. Apne daanton ko pees kar us dard ko sehan karne ke alawa wo aur kuchh bhi nahi kar sakta tha. Jaise hi wo beam Vikram se takrai, uska sareer hawa me uchhal gaya aur pichhe ki taraf corridor ki diwaar se ja takraya.

"Waha kya ho raha hai? Kya school ke aakhiri din bhi ye log lad rahe hain?" Paas hi me khade ek student ne kaha.

Hangama hota dekh kar bahar turant hi ek bheed ekattha ho gai kyuki har koi jan'na chahta tha ki aakhir waha chal kya raha hai. Usi bheed me se ek female student bhag kar deewar ke us tute huye hisse ke paas gai taki wo dekh sake ki ghayal student thik hai ya nahi.

Vatavaran se dhool dheere dheere gayab hone lagi aur Vikram ke ghane kale aur sath hi halke ghunghrale baal dikhayi dene lage. Jaise hi dhool puri tarah saaf ho gai aur us female student ne dekha ki ghayal student kon hai, to wo turant hi pichhe hat gai aur waha se aise chali gai jaise mano waha par kuchh hua hi na ho.

Jab wo female student apni friends ke paas wapas lauti to Vikram dekh sakta tha ki uski friends us ladki ka majak uda rahi thi.

"Mai visvas nahi kar sakti ki tune uski madad karne ki koshish ki."

"Maine dekha nahi tha ki wo kon hai," Ladki ne gusse se laal galon ke sath jabab diya.

Itna sab hone ke baad, Vikram utha aur usne floor se apna chasma uthaya. Ek baar phir, chasme ka ek side toot chuka tha.

"Damn it. Not again..."

Aaj school ka aakhir din tha aur Vikram ko ummeed thi ki aaj koi use pareshan nahi karega. Vikram isse tang aa chuka tha aur wo ise nazarandaj karne walon mese bhi nahi tha. Usne aise logon ko bhi dekha tha jinhone sar jhuka kar chupchap sab kachu sahan kar liya tha aur unki haalat Vikram se bhi jyada kharab thi.

Vikram ko baki students ki tarah school me rukne ka shauk nahi tha. Jate huye usne dekha ki sabhi students aapas me bate kar rahe hain. Kuchh has rahe the to kuchh aankhon me aansu liye baat kar rahe the, Shayad ye soch kar ki wo ab shayad hi ek dusre ko phirse dekhenge. Lekin Vikram in sabka hissa nahi tha aur na hi wo banna chahta tha.

To be continued...
Mind blowing update
 

Malik-18

Active Member
592
749
108
hey bro! congrats for your story. hope it'll be amazing khair abhi to start hai to kuch keh nahi sakte k story kesi ho gi. q k recently system genre ka kafi trend start ho geya hai to mujhy lagta hai k ap ko kafi mehnat karni parey gi apni story ko standout karne k liye coz baadshah & vengeance dono system base stories kafi achi jaa rhi hain. to bro koshish krna apni story mein kuch unique factor rakho takey esa nah lagey k kuch repeat hi ho rha hai aur interest kam ho jaye khair tum writer ho itna kheyal to khud bhi rakho ge hi nevermind

abhi just maine teeno updates read kiye hain jo k thk hain like ese kuch ye nahi keh sakte k bohat extra ordinary hain par starting k liye thk hain qk main pehly bhi system base stories read kar chuka hun to mujhy ye thora sa bora lga but story ki base setup karne k liye ye requirement bhi hai (main just apna pov btane ki koshish kar rha hun) to chaley ga

dalki's ne jab earth pr hamla kiya tha kya tab human's normal the un k pas powers nahi thi. ya phir hum yahan pe humans ko as vampire dekh rhe hain ye thora clear kar dena? humans and vampire sath reh rhe hain ya phir just vampires hi hain ab earth pe? agar earth pe powers nahi thi pehly to kya dalki's k aney ki wajah se powers create ho gai kisi wajah se :dontknow: like war k doran kuch esa hua ho jis ne powers create kar di. ek aur sawal ye book jo vikram ne open ki hai ya phir galti se ho gai; kya ye koi vikram ki family group hai jo generation to generation pas ho rhi ho agar is se koi spoiler nahi hota to bta dena :D

aur kya vikram k parents ka apna koi ghar nahi tha jo usey govt apartment mein rehna par rha hai?

bro main suggest karun ga k jo bhi ap story k liye schedule bnao usey hi follow karo. jese k ap ne btaya k update per week aye ga aur ap ne shyd first week hi 3 updates deliver kar diye to is se hum readers ki adat kharab ho jaye gi aur phir hum har week mein 3 updates expect karein ge jis se phir ap ka thread wating waiting se bhar jaye ga aur ap ko bhi irritation ho gi so us se better hai ap apne schedule se chalo. qk mostly jab new story koi start karta hai to excitement mein bohat tezi se update dete hain phir kuch time k bad updates slow ho jate hain jis se reader bhi tang hote hain aur wo wirter ko tang krna start kar dete hain jis se writer bhi demotivate ho jata hai aur main bilkul nahi chahun ga k future ki ek achi story ese band ho jaye

keep writing

waiting for the next update :dost: - peace out :peace:
 

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
108
267
64
hey bro! congrats for your story. hope it'll be amazing khair abhi to start hai to kuch keh nahi sakte k story kesi ho gi. q k recently system genre ka kafi trend start ho geya hai to mujhy lagta hai k ap ko kafi mehnat karni parey gi apni story ko standout karne k liye coz baadshah & vengeance dono system base stories kafi achi jaa rhi hain. to bro koshish krna apni story mein kuch unique factor rakho takey esa nah lagey k kuch repeat hi ho rha hai aur interest kam ho jaye khair tum writer ho itna kheyal to khud bhi rakho ge hi nevermind

abhi just maine teeno updates read kiye hain jo k thk hain like ese kuch ye nahi keh sakte k bohat extra ordinary hain par starting k liye thk hain qk main pehly bhi system base stories read kar chuka hun to mujhy ye thora sa bora lga but story ki base setup karne k liye ye requirement bhi hai (main just apna pov btane ki koshish kar rha hun) to chaley ga

dalki's ne jab earth pr hamla kiya tha kya tab human's normal the un k pas powers nahi thi. ya phir hum yahan pe humans ko as vampire dekh rhe hain ye thora clear kar dena? humans and vampire sath reh rhe hain ya phir just vampires hi hain ab earth pe? agar earth pe powers nahi thi pehly to kya dalki's k aney ki wajah se powers create ho gai kisi wajah se :dontknow: like war k doran kuch esa hua ho jis ne powers create kar di. ek aur sawal ye book jo vikram ne open ki hai ya phir galti se ho gai; kya ye koi vikram ki family group hai jo generation to generation pas ho rhi ho agar is se koi spoiler nahi hota to bta dena :D

aur kya vikram k parents ka apna koi ghar nahi tha jo usey govt apartment mein rehna par rha hai?

bro main suggest karun ga k jo bhi ap story k liye schedule bnao usey hi follow karo. jese k ap ne btaya k update per week aye ga aur ap ne shyd first week hi 3 updates deliver kar diye to is se hum readers ki adat kharab ho jaye gi aur phir hum har week mein 3 updates expect karein ge jis se phir ap ka thread wating waiting se bhar jaye ga aur ap ko bhi irritation ho gi so us se better hai ap apne schedule se chalo. qk mostly jab new story koi start karta hai to excitement mein bohat tezi se update dete hain phir kuch time k bad updates slow ho jate hain jis se reader bhi tang hote hain aur wo wirter ko tang krna start kar dete hain jis se writer bhi demotivate ho jata hai aur main bilkul nahi chahun ga k future ki ek achi story ese band ho jaye

keep writing

waiting for the next update :dost: - peace out :peace:
First of all thanks for commenting in the thread. You know you did a fantastic job dude, meri taraf se tumhare liye ek sasta wala Bharat Ratna. :kiss1:
Just kidding bro. :D
You are the first ever guy who gave me such a pain in the ass revo that contains, your concern towards story and updates, a piece of advice, some necessary questions, your honest opinion and a well observed observation. So once again thanks for your efforts.:thanks:

Now let's start the formality.:D

Story to pehle se hi amazing hai bhai, Mai bss ise apne tarike se aur apni desi bhasha me likh kar ju logon ke samne pesh kar raha hu. Aur reader logo ka response dekh kar lag raha hai ki unhe ye chiz pasand bhi aa rahi hai.
Well, badshah and vengeance are one of the best stories that are currently running on the forum. Aur vengeance ka to pta nahi but badshah maine khudne bhi read ki hai and the story is 'Lit'.
Ab dekha jaye to ek chiz teeno hi stories me common hai aur wo hai "system". Ab story system based hain to ye to sabhi ko pta hai ki system kaise kaam karta hai. So agar system wise dekho to teeno hi stories ek jaisi hi lagengi. Lekin, lekin, lekin, jo chiz yaha par different hai wo hai stories ka plot and stories ke world ka setup.
Ab meri story me system to hai hi but meri story vampires par based hai, aur ye system bhi ek tarah ka vampire system hai aur ye story 27th century me exist karti hai. Ab jaha tak mujhe maloom hai badshah and vengeance dono hi stories vampires par based nahi hain aur na hi unme kisi tarah ke vampire system ka jikr kiya gaya hai.

Abhi story set ho rahi hai, hum main protagonist ke bare me, story ke world ke bare me, us world ke atmosphere ke bare me, waha ke logo ki life ke bare me jaan rahe hain. Naye characters introduce kiye ja rahe hain, so starting me story thodi slow feel hogi but ye story ke setup ke liye necessary hai.

Dalkis ne jab Earth ko invade kiya tab yaha par sab log normal hi the, bss timeline 27th century ki hai to samjh sakte ho ki earth par technology ka kitna vikas ho chuka hoga. Earth ke logo ke paas Dalkis se ladne ke liye unki technology thi, but jald hi unhe ye pta chal gaya ki unki itni advanced technology bhi Dalkis ko rokne ke liye kaphi nahi hai. Dalkis ki skin dragons ki tarah hai. Ya phir ye kahe ki unke paas skin nahi scales hain. Tum imagine kar lo ki agar humans aur dragons ke DNA ka use karke ek creature ko banaya jaye to wo dikhne me kaisa hoga. Bss thik aise hi hain dalkis. Bc spaceships leke aaye Hain earth pe chadayi karne ke liye, Haan! Thik vaise hi jaise endgame me Thanos laya tha.
Ab ek mamooli sa insaan kare to kya hi kare. Lekin tabhi war me entry hoti hai kuchh khas and mysterious logon ki, ye aise log the jinke paas magical powers thi. Ab unke paas ye powers kaha se aai ye ya to unhe pta hai ya phir bhagwan ko, I don't know anything.:idk1:

Kair in logon ki entry ke baad ladai ka mahaul hi badal gaya, war me humans ki position dheere dheere stable hone lgi, but dalkis abhi bhi thode strong the, but chuki humans ab unhe kante ki takkar de rahe the isliye dono pakshon ne milkar faisla kiya ki ab wo ek peace treaty karenge. And that's it, usi peace treaty ki vajah se 5 saal se shanti ka mahaul bna hua hai.

Well, earth par humans bss hi rehte hain, earth par unka dabdaba hai, earth unke baap ki hai!! aisa unhe lgta hai.:D
Basically earth par vampires hain, lekin wo kabhi samne nahi aate, wo log andhero me reh kar apna kaam karna pasand karte hain. Aur rahi baat powers ki to uska Dalkis se koi lena dena nahi, earth par pehle se aise log maujood hain jinke paas powers thi, bss wo log samne nahi aa rahe the. Lekin jab dalkis ne earth ko invade kiya tab gaand to in logo ki bhi phati thi, aur in logo ke paas samne aane aur aam logo ke sath apni power share karne ke alawa aur koi option nahi bacha.

And as for the book, Bhai ye to spoiler hai, book ka apna ek secret hai, isliye apun book ke bare me kuchh nahi bol sakta.:nono:

Dekho bhai, Vikram jab chhota sa tha tabhi uske parents Dalkis ke against war par chle gaye the. Tum yahi lga lo ki usne apne mom dad ka chehra tak nahi dekha, aise me swabhavik hai ki suru se hi Vikram government ki custody me hi raha hai as uske koi relatives bhi nahi hain.
Aur ab to wo 18 saal ka bhi ho Gaya, school khatam, ab government ko usse koi lena dena nahi.

Bss bhai, socha to yahi tha ki one update per week ka schedule rakhenge. Par pta na kyu mujhe hi update dene ki khujli ho rahi thi bss usi khujli me updates dete chala gaya but koi ni ab agla update itni jaldi nahi dene wala mai, phir pta chala bc suru suru mai hi sara shauk pura kar liya aur reh gai story bich me hi. Apna to slogan hi yahi hai - Aaram se chalo! Lamba chalo!! ...Lol :D

Baki once again thanks for this wonderful revo.
Mza aa gaya bc padhkar. 😌

Keep supporting!!
 
Last edited:

DeepHeart💘

Member
272
1,019
138
Finally bc!! Kisi ne to apna muh khola.
Dude you know one thing?? You are a good man actually.
Just kidding brother.😁
Wo kya hai na, is thread par koi comments nahi karta, mostly yaha par mai akela hi rehta hu, khudse bate karta hua.
Aaj ek insaan dekh liya to khudko control nahi kar paya.😅

Baki agar story ki baat ki jaay to ju support karte raho, baki phase aur base mere upar chhod do, tumhe disappoint nahi karunga.

Btw thanks for the comment.🙂
dont worry bro actually generally i dont comment but i liked ur story aand i knw it will be become great one in future so keep it up and plede make sure that story hs to be ended bcoz already a lot story has been stopped by great writer i m feeling bad for them so just go and give ur best for the story
 
  • Like
Reactions: Your Sensei
Top