- 805
- 5,820
- 123
Update -8
""mummy ab main roj subah 4 baje utha karunga ..."
Ye avi shaam ko mummy ko batata h ...jise sunkar pehle to padma hasti h phir kehti hai
""Dekhu tujhe bukhar to nahi ho gaya kahin . 6baje uthta hai aur nashta b sahi se nahi krta aur bhaag jaata h school ko ...aur ab phirse time se utha karega ""
Padma ke ye kehte hi avi bas sharma jaata hai .
""" Vo mummy mujhe baba ji ne bulaya h 4 baje ...mujhe yog sikhayenge ..main bhi phir sabke jaisa ho jaunga ...aise patla nahi rahunga ...ye lachakila shareer strong ho jayega phir ...""
Padma : okay beta ...lekin school time tak laut aana ...vaise bhi kal sunday h kal dekh lena ...
Avi ab sone chala jaata h ...aaj avi padhai nahi krta ..aur so jaata h agle savere k liye ...kyuki ab uski jindagi badalne wali thi ....guru ji usko kya sikhayenge ye to waqt per depend hai ki vo us siksha ko kis tarah seekhta hai aur kaha prayog karta hai ....aisi siksha ka sabse bada udaharan ye hai ki ye agar galat hatho me chali jaaye to tabahi nischit h ....avi bhi kahatak sahi tha ye to kaal ke garbh me chupa hua hai ...
.
.
""Good morning guru ji ""
Avi aaj subah hi uthkar guruji ke pass chala gaya ...guruji pehle se vaha baithe hue dhyan mudra me the ...avi jaake jab good morning bolta hai tab guruji aankh kholte hai ...aur dekhte hi muskurahat chehre per phail jaati hai ...
""Badi jaldi aa gaye tum to ...kya baat hai ...mujhe lagta hai tum shayad shauk me ye sab seekhna chahte ho ""
Guruji ne uski aur dekhte hue kaha kyuki ve uska man tatolna chahte the ...guruji dekhna chahte the ki unhe jo aajtak nahi mila ve kya uske layak koi dhoondh paayenge jisko vo ye siksha de sake ...
Unke liye ye jaruri tha ki ve is siksha ko kisi aur ko sikhaye ...kyuki unhone gurumarg chuna tha ...guru sirf siksha grahan krke apne tak seemit nahi rakhta .. uske liye ve ek aisa shishya dhoondhte hai ...jise uska sahi prayog sikha sake ....
Avi : guruji ..mera bhai hamesha kehta hai ki shanti taqatwar log sthapit kar skte hai ...kyuki geeta me bhi likha hai shanti sthapit karne ke liye hathiyar uthana avashyak hai ...ek yoddha ko yadi ye karm krna hai tab usko ek hath me daya aur ek hath me astra rakhna hoga ...vo ek hath hanesha kshama karne ke liye uthaye. Aur dusra hath burai ko mitaane ke liye

Guruji ko uske vichaar sunkar aur bhi jyada ruchi badh gai thi avi me ...ve usko aur sunna chahte the kyuki jo cheejo se aajkal log bhaagte hai unhi vicharo ka palan avi kr rha hai ..aakhir ye hi kyu sikhaya h inhe ...aur kaun hai iska bhai ...jo isko abodh balak itni umra me hi ye sab sikha raha hai
"" Bete hum tumhare bhai se milna chahenge kabhi usko bhi leke aao ...hum dekhna chahte hai is modern jamaane me jaha per log in cheejo per dhyan nahi dete vaha per ye geeta aur dharm grantho ki baat kar raha hai ..""
Is baat se pata chalta hai ki guruji avi ke bhai se kitne jyada prabhavit hue hai ...kyuki unhone aajtak kisi ko beta nahi kaha tha ...avi ko aaj unhone samajhne ki kosis ki hai .. varna ve bhi jaha jaate bas apni sanskriti ka prachaar krte hai ...
"" Baba ji mera bhai doctor ban gaya hai ... training ke liye gaya hua hai ...vo nahi aa skta lekin main aapko milaunga jarur ""
Avi bata deta hai ki uski majboori hai ki vo guruji se apne bhai ko nahi milwa skta hai ...lekin aage kabhi jeevan me mulakaat ke liye vo keh deta hai ...
""Koi baat nahi ... chalo chalte hue baat krte hai ...main tumse thoda jankari bhi le lunga ""
Babaji ab yaha se jaane ke liye uth khade hue kyuki vaha per ab unke shishya aane lage the ..
Ab raste me chalte hue baba ji ghoom rahe the aur avi bhi unke sath chal rha tha ....tab guruji ne baat aage badhai ...
"" Ab tum mujhe ye batao ki tumhara bhai tumhe ye sab kyu batata tha ...aisi kya uski ruchi thi insab me jo usne tumhe ye sab sikhaya ...""
Avi : guruji mera bhai isliye un sab cheej me dhyan dene laga ki unhe padhke unka man shant ho jaata tha...aur mujhe jab bhi kabhi apne pita per gussa aata to ve mujhe bhi yahi sab batate the. Tab main sochta tha ki geeta likhne wale ne likhi bhi h aur yuddh tab bhi hua aakhir is sawal ka jawab bhaiyya dete kyu nahi the ...
Guruji samajh jaate hai. . avi ke bhai ne kabhi usko poora sach bataya hi nahi hai ..jab hum kisi bhi cheej se koi seekh lete h to usme hamara najariya depend krta hai ki hum kis tarah seekhte hai ...yadi hum kisi cheej ke dono pehlu dekhe tab hame sach aur jhooth dono pata chal jayega .. lekin iske liye bhi kabiliyat honi jaruri hai ...hum dekhte kis prakaar hai ...dekh kar bhi jhutla dene ki kala bhi sabke paas hoti hai ...sabko pata hai satya kadwa hai aur iska ghoont jo peeta hai vo apna sabkuch khokar bhi vo paa leta hai jo kisi ke pass nahi hota ... guruji aaj itne gehri soch me doobe the ki unhe hila kar avi ne jagaya ...
"" Kya hua guruji ... aapne jawab nahi diya ""
Avi kaafi der se kuch pooch rha tha lekin guruji apni soch me gum the unko jaise aaj kuch aur bhaan na tha ... apne aaspass ki cheejo ko dekhkar ve avi ki taraf sammukh hue ...
"" Vo main aaj kahi kho gaya tha ...vicharo ki nadi me behta hua na jaane kidhar chala gaya tha .. tum batao kya bol rahe the ""
Avi jab ye sunta hai tab usko lagta hai ki guruji shayad andekha kar rhe hai ..ve bas usko baato se hi tarkaana chahte hai .. use thodi mayusi hoti hai ...lekin ek aise guruji se vo siksha le rha tha jiske pass gyaan ka bhandaar tha ... kyuki jindagi ko aise tareeke se jiya tha unhone ...kuch na karke bhi saara bhog liya ho jaise ...hum yahi to karte hai ..jab hame koi bolta h ye kaam nahi krna to hum usko jaruri samajhte h ki karke dekha jaaye na jaane kyu usne mana kr diya ...kisi ko bolke dekho ki peeche mat dekhna to vo bina samay gavaye peeche dekhta h ki usko kya dekhne se mana kiya ...yahi hamari galti hoti h ...mauke ki najakat hoti h ...samne wale ke kehne ke uper hai ki vo jhootha ya sachcha ...
Jabki hame dusre logo ke jeevan me hui ghatnao se seekhna chahiye ki aisa karne se iska parinaam kitna bhayanak ho skta hai ya kitna acha ho skta hai yadi hum dusro se seekh le le to hamara kaafi samay bach jaata hai ..aakhir jindagi hai kitni badi ... guruji ne jindagi dusro ko dekh kar jee li thi aur ab logo ko sahi raste per laane ke liye unhone apna baaki jeevan laga diya tha ...
Avi : guruji aap sirf mujhe baate krne ke liye bulaye hai kya ...aap mujhe kal jaise kuch nahi sikha rahe ho ...
Avi ki ye baat sunke guruji has pade ...aur avi ko dekhne lage ...ki avi ki chapalta uske chehre per dikhai deti ...sanyam hi to hona chahiye jo hum seekhte hai uske liye ... jaruri cheej h hamara dhyaan aur hamare ander ka sanyam ...sabra krne per jo milta hai ...kyuki sabra batata hai ki ab samay aa gaya hai hame jo krna hai usko anjaam dene ka ....
" Bete tum abhi chhote ho is sabke liye ..abhi tumhe ye nahi bataunga main ..tumhara shareer iske liye halka hai ... pehle tumhe yog seekhna hoga ...""
Avi : per baba phir aap chale jaoge ...mai. Kaise seekh paunga
Baba ji avi ko ye nhi dikhana chahte the ki unki ruchi avi me badh gai hai ...phir bhi ve usko bata dete hai ki ve jab agli baar aayenge tab avi ko sab sikha denge ...samay ho gaya tha to baba ji ne avi ko bhej diya ...aur baithke sochne lage ...
Ki avi hi kyu ???
Kya hai avi me aisa jo ve kheenche chale jaa rhe hai ...aisa to kabhi nahi hua ...buddh me manyata rakhne wala insaan aaj usse itna prabhavit kyu ho gaya ...geeta to unhone bhi padhi thi lekin ek bachche ke mukh se ye sab sunke unhe bhaan ho rha tha ki unhe aaj vo mil gaya hai jo chahiye tha ...aisa hi to hota hai ..jab hum kisi ki taraf akarshit ho jaate hai ...baba ji ke brahmcharya ko dharan ke samay unke guru ne bola tha ki dekhlo is sansaar me sukh dukh ka najariya bada ajeeb h ye dono kadi ek sath chalti hai ...sukh aata h dukh jaata h lekin dukh aata bhi h sukh ke jaane k baad. Samay ka antar yahi h bas ....
..
.
"" Omkaar beta ...aaj hame chalna hai pass ke ganv me ...vaha per hansi me koi thakur aaye hai ...jinhone kisi ki jameen per kabja kar liya hai . Gareeb logo per atyachar nahi krna chahiye ...un logo ko sikhana hai ""
Shivraj singh ne omkaar ko bataya tha ki unhe nikalna hai ...omkaar jo aadat ke anusaar kadwa bolta tha ...usne aisa sawaal kiya ki thakur sahab niruttar ho gaye ...lekin nyaay ke liye jaan dena unke asoolo me se ek tha ...
Omkaar : lekin chacha ji ...agar thakur ne baat nahi maani to ...kya aap phir se ek baar vahi sab dohrana chahte hai ...agar usne bhi dushmani karli tab kya aap pehle ki tarah sambhal paoge ...
Shivraj sunke man masos kr reh jaate hai ...kyuki unhe pata tha ab unme vo baat nahi rahi hai. Phir bhi ve muskura kar kehte hai ...ki beta hame jaana chahiye agar ve log nahi maane to hum chupchap chale jayenge .......omkaar bhi haan kr deta hai ...aur jeep nikaal kr chal padta hai ...
Thakur bhaan singh apne bhai dilbagh singh ke sath vahi apne kabje kiye jameen me ghoom rha tha ...ki vaha per ek aadmi usko bulaane jaata hai ..
Ye thakur uttar pradesh ke mirzapur se gaye hue the. Jinko sarkar ne shart per bheja tha kyuki unhone yaha per aatank machaya hua tha ....sarkar ne unhe chetavani di thi ki yaa to ve yaha se chale jaaye varna kanoon ko jabran unhe maarna padega ..
Aisa nahi tha ki bhaan singh darta tha ...uska bhai kitna kattar tha ye sabhi jaante the ...kai policewale maar diye gaye the ...truck se takkar bata kr kanoon kuch na kar saka ...dilbaagh singh hi to tha jo kroor hone ke sath sath badtameej bhi tha ...uske samne koi bhi khada ho vo apne man me aayi baat kehne se chookta nahi tha ...
""Thakur sahab aapko panchayat me bulaya gaya hai ... thakur shivraj singh ji ka bulawa h aapko ...is jameen ke saude ke baare me ""
Thakur dilbagh singh apne bade bhai ki taraf dekhkar has dete hai . Jab dono bhai us bulane wale ki taraf dekhte hai to dilbaag singh keh deta hai
"" Jao jaake kehdo ...bhaan singh aur dilbagh singh dono aa rhe hai ...abhi hum aaram kr rhe hai ...agar vaha per koi nachaniya bulai gai h tab hum aane ko tayyar hai ..nahi to aaram se hum kabhi chookte nahi hai .. isi ke liye to jindagi me itna kuch karna pada taaki aaram se jee sake """
Bulane wala aadmi unki baat sunke chupchap chal deta hai kyuki usko pata tha ye dono bhai dimaag se paidal hai .. aur inko samjane ki jagah deewar me sar maarle admi ...vo jaake jaisa inhone kaha vaise hi panchayat me keh deta hai ..
Jise sunkar thakur shivraj singh bhi soch me pad jaate hai ...
Tab omkar singh jo kehta hai use sunkar Shivraj singh ko yakeen na hua ...
"" Ek baar aur jao ..aur unko boldo thakur shivraj singh ne bulaya hai ...agar nahi aaye to unko iska anjaam bhugatna pad skta hai .. hum bhi thakur hai . Unki tarah thakuro ka naam mitti me nahi mila sakte ""
Shivraj singh bade khus hote hai ...omkaar singh apne beto jo jawan ho chuke the sabko bulwa bhejta hai. Ajay subbu aur ajeet ....ye teeno hi to the jo aajtak shivraj ne chhupa kar rakhe the. Shivraj singh inko rojana kasrat karwata tha .. raghubiri bhi inka khayal ache se rakhti thi ....lekin aajtak inhe insab se door rakha tha ...per aaj omkaar singh ne phir se ek baar bata diya tha ki thakur ki haddiyan aaj bhi majboot hai ... Shivraj singh ka seena chauda ho gaya tha ...
Ek gaadi aati h ....jo ek bargad ke ped ke niche chal rahi panchayat me aa rukti hai ...usme se koi aur nahi ...bhaan singh aur dilbagh singh niche utarte hai ...ek khuli jeep me kuch log aur bhi the ...tagde tagde manshal shareer me ...jinki bhujaye batati thi ki maans ka sevan ache se kiya gaya hai ...ve sab bhaan singh ke aadmi the ...
""" Thakur shivraj singh ...suna hai ki rassi jalne ke baad bhi bal bacha hua hai ...ab tum hamse jameen chheenkar in ganv walo ko doge ...karj ki adayagi na kar paane ki vajah se ye jameen ab hamari hui ...iske liye panchayat mat karo ... thakur ki ladai thakur se achi baat nahi ...yaad hai na ham mishra parivaar ka kya haal karke aaye hai idhar ...."""
Bhaan singh mucchho ko taav deta hua bol rha tha ... Shivraj singh chupchap sun rha tha ....chehra per jhurriyan jarur aa gai thi lekin seena aaj bhi chauda tha ...aur dhoti kurte me baitha hua sirf ek ishara krta hai tabhi peeche se haddiyan kadakne ki aawaj aati hai ...aur jeep me jo aadmi baithe hue the ...ve jameen per pade dhool chaat rahe the ....
Dilbagh singh jab dekhta hai ki 3 jawan ladke jo shareer se bhi kuch jyada tagde nahi lagte ... unhone uske janvar jaise logo ka ye haal kr diya hai ...daanv Pench ka hi to khel hai saara ...varna hathi ka bhi shareer tagda hota hai ...lekin magarmach usko paani me kheech hi leta hai ...vajah yaha bhi saaf thi ...sher ke ilaake me aake sher se gaddari theek nahi ...usko chunauti dena sabse bada galat kaam hua ....
""Bhaan singh ....humne tumhe yaha bhaichare nibhane ke liye bulaya tha ... jitne aadmi tumhare pass hai ..mere bhi kam nahi hai ...lekin main kanoon aur is sanvidhan ki ijjat karta hu .. isliye pyar se baat krta hu. Aur dushman ko bhi chhod deta hu ...ab dhyan se suno ... vo jameen ko chhodkar chale jao ...ya uski sahi keemat do...yahi acha rahega tunhare liye """
Shivraj singh aaj bahut dino baad garje the ...unki aawaj se logo ko saanp soongh jaata tha. . aaj unke chehre per vahi roab dikhai pad raha tha ...jo kabhi hua krta tha ... parivar ko bachane k liye aur logo ki jaan na jaaye isliye ve shant ho gaye the. Kyuki somendra chaudhary seedha takkar nahi le skta tha .. vo chhipkar war krne me mahir tha ...usko bas dushman ko maarna hota tha chahe kaise bhi ho ...lekin kanoon ki notice ke anusaar usko shant rehna tha .. kuch bhi action hone per dono paksh ko saja ho skti thi ... isliye usne time maanga tha. ..sarkar ne mamla gambheer dekhte hue uski baat maanli thi aur 15 varsh tak kuch b na karne ko kehke chhod diya tha ...13 varsh beet chuke the ...aur shivraj singh bhi tayyari me tha ....kyuki usko pata tha somendra chup nahi baithega ....
Thakur bhaan singh bhi chupchap chala gaya kyuki usko pata tha aaj vo fas gaya hai ...lekin uska bhai bhi kameena tha ...usne apne bande laga diye the sab pata karne ke liye ...aur uske hath me information aa chuki thi. ...ki uske paute jo hai ve shivraj ki taqat hai. Lekin Shivraj ke pass uska apna weapon hai .. aakhir vo hai kaun ..jiske dum per shivraj samne takkar lene ko tayyar hai ....
..
.
""Aa gaya beta ...kya bataya guruji ne ...chal khana khale ...aaj to vaise bhi tujhe koi kaam nahi h ...main pooja se baat ki hu .. vo keh rhi thi ki usko kuch jarurat hai ...isliye mujhe jaana hai ...tum sath chaloge yaa yahi rahoge ...shaam ko tumhare papa aa jayenge ...unse darna nahi ..aur na hi kuch galat bolna ... apna behaviour sahi rakhna ...batao ,,,
Padma ne avi ko bata diya ki aaj vo pooja ke pass jayengi ...avi sath jaana nahi bhi chahe to uske liye restrictions thi ...avi sochta hai ki ek mahine baad baba chale jayenge ...har din keemati hai ...isliye shamm ko baba ke pass jayega ...
Avi : mummy main nahi jaa rha ...aap khud chali jao ...vaise bhi guruji ne sham me bulaya hai ...
Padma okay kehke tayyar hone jaati hai aur avi khana khake padhne lagta h .. padma bhi chali jaati h avi sochta hai isse acha mauka kya hoga ...aaj ghar per bhi koi nahi hai . Papa bhi nahi aane wale shaam tak ... isliye vo soniya ke ghar jaane ka sochkar nikal padta hai ...
Abhi vo soniya ke yaha per pahucha hi tha ki uski maa aur bapu kisi baat per lad rahe the ...jisse avi sochta hai abhi iske pass jaana theek nahi ...kitaab mangne ke bahane ishara hi to krna tha avi ko ...lekin yaha masla kya hai jo ye log itne lad rahe hai ...ye sochke avi dekhta hai ki soniya kehti hai aap chup ho jao ...main tayyar hu ...agar is ghar ki halat aise sudharti h to main tayyar hu kamse kam meri behen aur bhai to padh lenge ...kuch kar lenge ..
Soniya ki maa : lekin beti ..

Soniya : maa ...jab mere naseeb me yahi likha hai to main ab kya hi kar skti hu ... aap boldo ki main tayyar hu . Vaise bhi shuru se mujhe yahi sab dekhne ko mila hai ... pehle bhi meri padhai isi vajah se chhoot gai thi ...
Avi ye sab sunke itna samajh gaya tha ki soniya ko kahi bheja jaa raha hai ...lekin kaha ye nahi pata tha ...avi ne ab vaha se nikalna hi thik samjha ...aur ghar aake sochne laga ...ki kya kiya jaaye .... lekin shayad aaj uski kismat meherbaan thi .. ek ghante baad hi soniya uske ghar aa chuki thi ...udaas si lag rhi thi lekin avi ko dekh kar muskura rahi thi ...
""Ghar wale kaha hai ...aunty nahi dikh rhi ...na hi uncle ...kidhar hai sab ..."
Soniya ne jab ghanti bajai tab avi ne gate khola ...vo bada khus hua jab usne dekha ki soniya khud aa gai h ... soniya ne usko dhakka diya aur ghar me aake usse poocha ...
Avi : vo aaj ghar per mai akela hu ...sab bahar gaye h ...shaam ko aayenge
Soniya : are ye to bahut acha hua ...chalo ander chalte hai ...(sharmate hue .) Tumhara room kaunsa hai avi
Avi bhi sankoch kr rha tha lekin usne ishare se bataya ki vo uper kone wala room uska hai ...soniya uska hath pakad kar usko uper le jaati hai...jab ander jaake bed per baith jaate hai tab soniya sikayat krti h
""Tumne to mujhe pani ke liye bhi nahi poocha avi . Kaise ladke ho ek ladki ghar per milne aai h aur tum aise chupchap baithe ho ...jao mere liye kuch to lao ...
Avi ye sunke hadbada jaata hai . Aur niche ki taraf bhagta h ...use kuch aur nahi soojhta to chay bana deta hai aur cup me karke thodi namkeen tray me lekar uper chala jaata hai .. jaha per soniya uske kamre ko aise nihaar rahi thi. Jaise usko chori karni ho ...
"Soniya ...aa jao ...dekho main chay laaya hu ...""
Soniya muskura deti hai aur avi ki aankho me dekhkar bed per baith jaati h ...cup uthakar hontho se laga leti hai ...jaise ek sip leti hai
"Ummm avi ...tum to bahut achi chay banate ho ...kaha se seekhi ""
Avi : mummy ne sikhai hai ...

Jab chay khatam ho jaati h tab soniya avi se kehti hai ki
""""avi chay bahut achi thi man krta hai aur piyu.""
Avi : lekin chay to khatam ho gai ...maine banai bhi 2 cup thi bas ...
Soniya : lao to main yaha se taste kar leti hu.
Soniya avi ke hontho ko dekhkar apne hontho per jeebh fira kar kehti hai aur avi ki taraf badhne lagti hai. Avi ki to jaise dhadkane hi band hone lagti h. . avi ko raju ne bataya sab tha lekin avi ki jindagi me aaj pehli baar aisi ghatna ho rhi thi ...avi ghabra raha tha aur aankhe band kiye hue tha. Soniya ne usko hotho ko choomke chhod diya ...jisse avi ki sanse tej ho gai ...