Update 270
Mene Vina aur Ranjan ko manchahe kapade dilwaye, dono bahot khus ho gaye, uske baad unko mene ghar chhod diya taki Sarita aur Lata ko bhi kapade dilwa saku, wo dono hi mana kar rahi thi par mene jabardsasti ki aur unhe achchhe kapade dilwaye, humne dusare bachcho ke liye bhi kharidari ki, Lata mujse jyada kharcha karne se mana karne lagi par mene usko aswasan diya ki sab thik hai, uske baad hum ghar aa gaye, raat ko humne diye jalaye aur patakhe bhi jalaye, yaha mene Lata ki baat mani thi aur jyada kharcha nahi kiya tha, par utne to jalaye hi ki bachche khus ho gaye, waise bhi kuchh logo ne donation me patakhe bhi diye the to muje jyada kharcha nahi karna pada tha. Uske baad me, Vina aur Ranjan party ke liye nikal gaye, dono pehlibar aisi party me ja rahi thi to khus thi, aur mere sath hone se unhe aur bhi achchha lag raha tha, wo naye kapado me kafi sundar dikh rahi thi, mene jab unhe ye bataya to wo dono aur bhi jyada khus ho gayi, hum bike se hi waha pahuch gaye, bethne me thodi paresani hui kyu ki dono ko hi side me bethna pada tha, mene bike park ki, waha bike bahot kam thi, takriban sab badi badi gadiya hi thi, roshni se achchhi tarha se ghar sajaya gaya tha, bahar kuchh log patakhe jala rahe the, dekhne se hi pata chal raha tha ki inhe patakhe jalane ke liye rakkha gaya tha. In paisewalo ka bhi ajeeb hota hai, inhe sirf dikhawa hi karna hota hai, akashme futnewale patakhe chal rahe the to un dono ko dekhna tha to hum kuchh der waha khade rahe, fir ander gaye, waha ka chowkidar muje pehchanta tha to usne hume ander jane diya, ander jane ke raste ko dono taraf se sajaya gaya tha, ye sab dekh kar undono ko thoda sankoch hone laga par mene unhe dilasa diya aur hum sab ander aa gaye, kayi log group bana kar bethe hue the, waha sab apaneapane group me lage hue the aur kuchh log thahaka mar kar has rahe the, kahi aadmio ka jamavada tha to kahi aurto ka jamavada tha, muje samaj nahi aa raha tha ki me kya karu, mene aas pass najar daudayi par muje na Vaiswi dikhi na Swarnaji dikhi, hum tino ek side me khade ho gaye aur unme se kisi ka intejar karne lage, tabhi ek waiter ne humare samne tray badhayi, hum tino ne mana kar diya, wo chala gaya.
Mikky apane dosto ke sath kone me khada daru pi raha tha, kisi ke hath me cane the to kisi ke hath me glass the, sab aas paas tad te hue mazak masti kar rahe the, jagah kafi badi thi aur kayi log waha banaye gaye bar ke pass khade the aur hath me glass liye hue bate kar rahe the, tabhi mikky ka ek dost waha aaya.
Dost : Sun yaar, wo fartichur bhi yaha aaya hua hai.
Mikky : Abe kis ki bat kar raha hai? (Wo haste hue bola)
Dost : Wo Shiv...
Mikky : (Uski hasi gayab ho gayi)Kaha hai?
Dost : Us taraf khada hai, uske sath do ladkiya bhi hai.
Mikky : Kon ladkiya?
Dost : Wo muje nahi pata.
Mikky : Chal bata, kaha hai? (Wo sab Shiv ki aur badhne lage, Mikky ko Shiv dikh gaya, wo dopahar se hi gusse me tha, Vaiswi usko ghas dal nahi rahi thi aur upar se wo uske sath ghum rahi thi, ye dekh kar uska para waise bhi chadha hua tha, wo Shiv ki aur badh hi raha tha ki tabhi Swarna bhi Shiv ki aur badhi)
Swarna : Kab aaya tu?are tum bhi dono aayi ho (Muskurate hue) (Mene unhe happy diwali kaha aur un dono ne bhi kaha, Shiv ko gale lagate hue)Happy diwali. (Swarna ko aise Shiv ko gale lagate dekh Mikky ruk gaya)
Mikky : Ruko (Sab usko dekhne lage)Bad me dekhte hai usko. (Keh kar wo mud kar jane laga aur jaha se aaya tha usi taraf gaya aur jate jate ek aur glass utha ke gaya)
Dost : Kya hua boss (wo bhale uske dost the par naukaro se kam nahi the, sirf Mikky ke paiso par ais karne ke liye hi uski chaplusi kiya karte the)
Mikky : Koi plan banana padega, aise direct ladne jayenge to mera hi bura dikhega, aur mene socha tha ki ye Vaiswi ke sath padhta hai uske liye uska dost hai, par yaha to Swarnabhabhi bhi us ke gale lag kar baat kar rahi hai, hume kuchh sochna padega. (wo sab waha plan banane lage)
simple image upload tool
Swarna : (Wo bahot jyada khubsurat lag rahi thi, bahot achchhi tarha se taiyar hui thi, kapde to kafi mehnge the hi, unhone jwellery bhi pehni hui thi aur hairstyle bhi kiya hua tha, saree ka gualbi rang unke glow me char chand laga raha tha)Tum log aise hi kyu khade ho, kuchh, khao pio.
Shiv : Apne bulaya tha to hum milne chale aaye..... (Me abhi bol hi raha tha ki koi unke pass aaya aur unhe diwali ki badhayi dene laga aur unki pregnancy ki baat karne laga, uska pati bhi khada tha aur bachche bhi, bachcho ko to koi intrest nahi tha bas idhar udhar dekh rahe the, unka pati bas muskurate hue unki bato ka samarthan kar raha tha, thodi der baad Swarnaji ne unhe bethne ke liye kaha to wo aage chale gaye)
Swarna : Tum betho aur kuchh khao pio... (Tabhi koi aur aaya) Are Mrs. Sharma aaiye aaiye. (fir wahi unki bate chali, wo unki saas ke bare me puchhne lagi to swarna ne unhe sab bataya, thodi der baad wo bhi chali gayi) Sorry, wo sab guest aa rahe hai na.
Shiv : Me bhi aapse yahi keh raha tha, hum Vaiswi aur sab ko mil kar fir nikal jayenge.
Swarna : Aise kaise nikal jaoge, tum ruko me Vaiswi ko bulati hu. Aur ha muje bina bataye jana nahi, (Kehte hue wo ander ki aur chali gayi, hum tino ek dusare ko dekhne lage, yaha hume koi pehchanta nahi tha to thoda awkward lag raha tha, bahot se log the aur kayi bachche bhi the, sath me kuchh ladke ladkia bhi the)
Swarna ne Vaiswi ko bataya ki Shiv aaya hai, Vaiswi us waqt taiyar ho kar hi nikali thi, uski chut me ho raha mitha dard usko dopahar ka sansarg use reh reh kar yaad dila raha tha, jis se wo asahaj ho rahi thi kyu ki uski chut gili ho rahi thi, wo Shiv ko hi yaad kar rahi thi, Shiv bhi aane wala tha to wo achchhe se taiyar ho rahi thi, aur uske bahar aate hi Shiv ki khabar bhi us tak aa gayi, wo sharmati lajati bahar ki aur jane lagi, uska dil joro se dhadak raha tha, raste me kayi log usko hi hello kar rahe the par wo bas aise hi jawab dete hue bahar ki aur chal padi, bahar aate hi uski nigahe Shiv ko dhundhne lagi, par Mikky ki nigah us par pad gayi, wo waise hi dopahar se gusse me tha, par apane gusse ko kabu karte hue apana glass apane dost ko thamate hue wo Vaiswi ki aur lapka, aur kuchh hi pal me uske pass pahuch gaya.
Mikky : Hi, (Vaiswi ne palat kar usko dekha aur usko dekhte hi uska mood bigad gaya) Happy diwali. (Mikky ne bhi ye dekha par fir bhi khud par control karte hue hath aage badhate hue wo bola)
Vaiswi : (Usne bhi apana hath be man se aage badhaya aur boli)Happy diwali.
Mikky : Bahot khugsurat lag rahi ho. (Usne Vaiswi ko upar se niche tak dekhte hue kaha, wo gulabi rang ki ghaghra choli me jalidar dupatta lliye hue thi, uske bade bade boobs kisi ka bhi dhyan apani aur khinchne ke liye paryapt the, Vaiswi ko uska aise dekhna pasand nahi aaya, aur wo idhar udhar hi najar dauda rahi thi aur Shiv ko dhundh rahi thi, tabhi uski nigah dur khade Shiv par pad gayi)
Vaiswi : Excuse me. (Kehte hue us aur badh chali, Mikky ne bhi Shiv ko dekha aur wo dant pista reh gaya, uska maan kiya ki abhi ja kar wo Shiv ko pit de, par wo aisa nahi kar sakta tha, wo Shiv se pehle bhi pit chuka tha, wo aise hi us ke sath nahi ulaj sakta tha, wo gusse me tamtamaya hua apane dosto ki aur chala gaya, wo saaf dekh raha tha ki uske dost usko kaise dekh rahe hai, wo apani hui beijatti ko mehsus kar raha tha, usne glass liya aur ek hi ghut me apane gale se niche utar diya)
Vaiswi : (Wo sambhal kar chal rahi thi kyu ki usko dard ho raha tha par fir bhi wo teji se Shiv ki aur badh chali, ek aur usko sharm bhi aa rahi thi, par Shiv akela nahi tha uske sath me Vina aur Ranjan ko dekh kar usko achchha laga, wo unke hote hue sahajta se Shiv ke sath reh sakti thi, jaise hi wo unke karib pahuchi Shiv ki najar uske upar pad gayi, Vaiswi ko bahot sharm aa rahi thi par fir bhi wo Shiv ki aakho me dekhna chahti thi ki wo usko kaisi lag rahi hai to usne najare jhukane ke baad bhi ek baar fir Shiv ki ankho me dekha,
uski ankho me dikh raha tha ki wo usko dekh kar bahot khus ho raha hai aur usko upar se niche tak dekh bhi raha hai, wo sharmati lajati unke karib pahuch gayi)Hi. (Usne Ranjan ki aur dekhte hue kaha)
Ranjan : Happy diwali.
Vaiswi : (Hath milate hue)Happy diwali. (fir Vina ko bhi kaha, ab bari Shiv ki thi par wo pehle hi usko achchhe se Wish kar chuki thi to uski aur nahi dekha) Kab aaye tum log?
Ranjan : Abhi thodi der hui (Usko dekhte hue)Bahot khubsurat lag rahi ho tum.
Vaiswi : Thank you (Kehte hue anayas hi uski najar Shiv ki aur gayi par ek pal ke liye hi)Tum bhi bahot khubsurat lag rahi ho, aur tum bhi (Vina ko bhi kaha) Tum aise hi kyu khade ho, kuch khana nahi hai? (Koi kuchh nahi bola to wo boli)Chalo udhar bethte hai. (Kehte hue usne ek khali jagah ki aur issara kiya jaha table ke aass pass kurshiya lagi hui thi. (Mana karne ka to sawal hi nahi tha to sab udhar gaye, Vina aur ranjan sath me bethe, Shiv Vina ke baju me tha, char hi kurshi thi to Vaiswi Shiv ke baju me hi beth gayi, par wo uski aur dekh nahi rahi thi, tabhi ek waiter udhar se veg kabab le kar ja raha tha to Vaiswi ne usko bulaya aur waha rakhne ko bola)ye bas starter hai, bate karte hue time pass ke liye. (Sab khane lage, music band ke gane chal rahe the, dusari aur bade patakhe aasman me jale to unki awaj se sab ka dhyan us aur gaya)
Ranjan : Tum patakhe nahi jalati?
Vaiswi : Nahi, muje dar lagta hai. (Usne muskurate hue kaha)
Ranjan : Isme darnewali kya baat hai, hum to abhi bahot sare patakhe jala kar aaye, kyu Shiv. (Shiv ne muskurate hue ha me issara kiya)
Vaiswi : Me to bas aise hi dekhti hu, papa patakhe late hai tu naukar fodte hai. (Usne masumiyat se kaha, tabhi singer ne gana gaaya, Tuuuuu meri jindagi hai, tuuuu meri har khusi hai, tu hi pyar tu hi chahat tu hi aashiqi haii.....Vaiswi ne Shiv ko dekha jaise wo hi ga rahi ho, Vina aur Ranja ka dhyan patakho kar tha, bich bich me aati patakho ki awaj se gana disturb ho raha tha par dono apana kaam kar rahe the)
Char panch ladkiya dur khadi kuchh khate hue unsabki aur hi dekh rahi thi, khas kar Shiv ko.
Ek ladki : Chal na Vaiswi se baat karte hai.
Dusari ladki :Vaiswi se baat karni hai ki us handsom se? (Wo uski khinchayi karte hue boli)
Ek ladki : Jo tu samje, aana hai to chal warna me ja rahi hu.
Dusari : Me bhi chalti hu na. (Wo sab udhar aa gayi)Hi Vaiswi, Happy diwali.
Vaiswi : Oh! Sakshi, Happy diwali (Kehte hue wo khadi ho gayi)
Sakshi : Tum to hame bhul hi gayi ho lagta hai, bhale hi ham kabhi kabhar milte hai par dost to hai na?
Vaiswi : Ha ha bilkul, (Dusari sab ladkio ne bhi wish kiya)
Sakshi : Sorry, tumhe disturb to nahi kiya na? (Shiv aur sab ko dekhte hue)
Vaiswi : Are nahi.
Sakshi : Apane dosto se introduce nahi karwaogi?
Vaiswi : Ha, kyu nahi. Ye Vina hai, ye Ranjan hai aur ye... Shiv hai. (Sakshi ne Vina aur Ranjan ko dur se happy diwali kaha par Shiv najdik tha to uski aur hath badhate hue happy diwali kaha to Shiv ko khada hona pada aise bethe bethe kehna achcha nahi lagta)
Shiv : Happy diwali.
Sakshi : Wow! Tum to bahot lambe ho.
Shiv : (emberess feel karte hue)Ji.
Sakshi : (Vaiswi ki aur dekhte hue)Tumhare sath padhte hai?
Vaiswi : Shiv mere sath padhta hai.
Sakshi : Aur ye dono?
Vaiswi : Wo Shiv ke sath hai.
Sakshi : Sisters?
Vaiswi : (Vaiswi ko pata tha ki ye sab batane me fir se usko ye batana padega ki Shiv anath hai vagairah vagairah to usne baat badalne ke irade se kaha)Tuje kya kaam hai, kyu itni puchhtachh kar rahi hai?
Sakshi : Me to bas aise hi puchh rahi thi. (Vaiswi ka aisa reaction usko samj me nahi aaya, par usko to Shiv me intrest tha to Shiv ki aur dekhte hue wo boli)Tumhari koi girlfriend hai kya?
Vaiswi : Ye kya betukha sawal puchh rahi ho?
Sakshi : Isme kya betukha? Me to bas puchh rahi thi ki single hai kya? (Wo muskurate hue boli aur apani sahelio ko dekhne lagi to wo sab bhi hasne lagi, Vaiswi ko gussa aa raha tha par usne khud par kabu kiya)
Vaiswi :Ye mera friend hai, aur tumhe kya ki ye single hai ki nahi hai?
Sakshi : Friend hi hai na, boyfriend to nahi hai, (Kehte hue usne apani saheli ko tali mari)Aur tu gussa kyu ho rahi hai? Kahi ye....
Vaiswi : Kyu paresan kar rahi hai usko, wo waisa nahi hai.
Sakshi : Waisa nahi hai se kya matlab hai tera, kahi.....(Wo fir majak karne lagi)
Vaiswi : Ye kya bakwas kar rahi hai?
Sakshi : Are yaar me to bas majak kar rahi thi, me to bas ye jan na chahti thi ki koi girlfriend to nahi hai agar nahi hai to chance le sakti hu na.
Vaiswi : Tera to already boyfriend hai na?
Sakshi : Uski kya tulna is se, agar ye ha kahe to ek pal me usko dafa kar du. (Wo apani ankhe nachate hue Shiv ko dekhte hue boli)
Shiv : Ji nahi deviji, meri girlfriend hai aur me bahot khus hu us se.
Sakshi : Very sad (apana muh banate hue wo boli, par Vaiswi bahot khus ho gayi aur Ranjan aur Vina shiv ko dekh ne lagi ki ye kiske liye bol raha hai) Agar fir bhi tumhara irada badalta hai to offer abhi bhi khula hai. (Sakshi bhi kafi khubsurat thi)
Shiv : Sorry.
Vaiswi : (Sabko waha se bhagane ke iirade se) Kya bekar ki baate le kar beth gayi tum, Tumne gol gappe khaye kya?
Sakshi : Nahi.
Vaiswi : chalo fir khate hai. (shiv aur sab ki aur dekhte hue)Chalo tum bhi.
Shiv : Muje nahi khana hai, tum log kha aao.
Vaiswi : (shiv ka ye jawab usko achchha laga kyu ki wo nahi chahti thi ki Sakshi aur Shiv ke sath rahe, wo Vina aur Ranjan ko le kar sab ladkio ke sath waha lage stall ki aur chali gayi, Shiv akela betha tha aur un sabki aur dekh raha tha, ladkia kaise gol gappe ke pichhe pagal hoti hai wo waha lagi bhid se najar aa raha tha, golgappe parosnewale do tin log the par fir bhi ladkia aur aurte itni jyada thi ki sabko wait karna pad raha tha. Shiv ko akela dekh kar Mikky aur uske dost waha aa gaye aur Shiv ke table ki ass pass khade ho gaye, Shiv ne ek najar Mikky par dali aur fir uske dosto par)
Mikky : apane aapko bahot bada hero samajta hai? (Shiv usko dekh raha tha par kuchh bola nahi na hi apani jagah se utha) Vaiswi se dur reh, warna... (Shiv fir bhi kuchh nahi bola, par jis tarha se Mikky bol raha tha aas pass khade kuchh log unko dekhne lage)Behra hai kya ya humko dekh kar muh sil gaya.
Shiv : Tum sawal hi aise kar rahe ho ki jawab kya du yahi soch raha tha. Tumne puchha ki khud ko hero samajte ho to ye to tumhare upar depend hai ki tum muje kya samajte ho, agar tumhe lagta hai ki me hero hu to hu aur rahi baat Vaiswi se dur rehne ki to mene to Vaiswi ko nahi kaha ki mere pass aao, aur agar tumhe koi dikkat hai to us se baat karo.
Mikky : Tuje pata nahi hai ki meri pahuch kaha tak hai, agar khud ko takatwar samajta hai to bhul ja, muje bhi tujse ladne ki jarurat nahi hai, marwa ke kaha fikwa dunga pata bhi nahi chalega.
Shiv : Dekh bhai, tuje jo karna hai kar, yaha kisi ke ghar me function hai, kyu mahol bigad raha hai, agar kuchh baat hai to bahar kabhi mil le.(Shiv ne aass pass dekhte hue kaha, wo nahi chahta tha ki yaha koi panga ho)
Mikky : (Shiv ka gireban kapad kar khinchte hue)Khud ko bahot shana samaj raha hai kya?
Shiv : (Khade hote hue)Kyu baat ko badha raha hai, tuje agar koi dikkat hai to baad me baat karte hai na. (Shiv yaha kisi bhi prakar ka bakheda karna nahi chahta tha, music chalu tha aur ladkio ka dhyan golgappo me hi tha to kisi ko yaha ho rahe lafade ke bare me bhanak tak nahi thi, Mikky waise bhi thode nashe me tha aur upar se uske kayi dost bhi the aur wo jaise apane hi ghar me tha to uski himmat abhi satave aasaman par thi)
Mikky : Me sidhe sabdo me tuje bata raha hu samaj me nahi aata? Vaiswi ke ass pass bhi dikha to teri wo halat karunga ki teri saat purste bhi yaad rakkhe gi, harami sala. (Shiv ko gussa aaya aur uske hatho ne mukka bana liya par jald hi usne khud par kabu kiya aur khud ko shant kiya, Shiv ko kuchh na bolta dekh Mikky ki himmat aur badhne lagi) Aur abhi tu yaha se nikal, tere jaise fartichuro ke liye ye party nahi hai, aur itne achchhe kapade kis se mang kar laya hai? (apane dosto ki aur dekhte hue)waise bhi iski aukat nahi hai aise kapade pehan ne ki bhkhari kahi ka. (Shiv ne jor se uske hath ko dhakka diya to uske hath gireban se chhut gaye.
Shiv : Tuje jo samajna hai samaj, muje tujse koi baat hi nahi karni hai. (Keh kar wo waha se jane laga)
Mikky : Bhagta kaha hai sale, aaj to teri gaand yahi fadunga sale. (Kehte hue usne Shiv ko dhakka mara to Shiv ek do kadam aage ho gaya aur abhi Mikky ki aur muda hi tha ki mikky ne usko mukke se marna chaha to Shiv side me ho gaya to uska mukka hawa me hi reh gaya, log waha ikattha hone lage) dekh kya rahe ho salo, maro isko, aaj iski haddi pasali ek kar do. (Uske dost bhi Shiv ko marne ke liye badhe par Shiv unke var rok raha tha, usne abhi tak kisi ko mara nahi tha, par ye halla hota dekh music band ho gaya aur ladkio ka dhyan udhar gaya)
Ranjan : (Uski najar Shiv par padi)Shiiiiiiv. (Kehte hue wo wo apani plat fenk te hue us aur daudi, dusari ladkio ka dhyan bhi gaya, Vaiswi ka dil bhi ghabra gaya wo bhi us aur dodi tab tak Vina to Ranjan ke pichhe hi daud padi thi, Ranjan bina kuchh soche samje sidhe un ladko ko dhakka dete hue unke bich pahuch gayi aur Shiv ko apane pichhe chhupate hue khadi ho gayi aur chillayi)Aiiiii, kya kar rahe hooooo.
Shiv : (Ranjan ke kandhe pakadte hue)Tu kyu bich me aa rahi hai, lag jayegi tuje. (Vina bhi Ranjan ke sath khadi ho gayi thi aur un logo ko dekh rahi thi jo Shiv ke sath jagda kar rahe the, gusse me to wo bhi thi)
Mikky : Ye dekho, namard sala, ladkio ke pichhe chhup raha hai.
Vina : (Gusse se)Namard kisko bol raha hai kamine, agar isne marna suru kiya na to teri mardangi tere pichhwade me ghusa dega.
Mikky : (Gusse me uski aur badhte hue)Saliiiii, kya boli tu...(Kehte hue wo uska gala pakadne gaya to Shiv ne turant uska hath pakad liya aur joro se uska panja pichhe mod diya mikky dard ke mare chillaya Shiv ne uska hath chhod diya apane hath ko pakad kar aaah aaah karne laga)
Vaiswi : Kya ho raha hai ye sab (Wo mikky ko dekhte hue gusse se boli aur Shiv aur uske bich khadi ho gayi)
Mikky : Ye sab teri wajah se hi ho raha hai (Wo bhi gusse me bola, par in sab bakhede ki wajah se Prakasgrao aur Kamalnath bhi waha aa gaye, dusare bade log bhi waha the)
Prakashrao : Kya ho raha hai ye sab? (Usne Mikky ko dard se aahe bharte dekha aur Shiv ke samne khadi un tin ladkio ko dekha)
Mikky : Uncle aap is jaise furticharo ko party me kyu bulate ho, aise logo ko apani party me bulwa kar kyu apani ijjat kharab kar rahe ho.
Prakashrao : (Shiv ko dekh kar gusse se)Tuje kisne yaha bulaya? (Prakashrao subah se bahar tha to usko kuchh pata nahi tha, wo raat ko hi lauta tha)
Vaiswi : Bhabhi ne aur mummy ne bulaya hai ise. (Vaiswi ne Shiv ka bachav kiya)
Prakashrao : Swarna ne bulaya, usko kitni baar mana kiya hai ki aise logo ko muh na lagaye aur teri mummy ne bhi kaha, kaha hai teri maaa. (wo gusse me idhar udhar dekhne laga, baat ghar ke ander tak bhi pahuch gayi thi to wo sab bhi bahar aa rahe the) Sandhya (Apani bivi ko dekhte hue)Tumne bulaya hai iseee. (Sabke samne apane pati ko aise gusse me bolte dekh Sandhya ne apni bahu ki aur dekha to Prakashrao uske upar bhi gussa hone laga)Tumhe mana kiya hai na mene, agar charity karni hai to ghar ke bahar, aise logo ko ghar me bulane ki kya jarurat hai? (Mikky ki aur dekh kar)Kis baat par jaghda kar raha tha ye?
Mikky : (Mikky ne aas pass dekha, wo ye sabke samne bolna nahi chahta tha par baat bahot aage badh chuki thi) Uncle ye aaj dopahar ko Vaiswi ko lekar ghum raha tha to mene isko kaha ki us se dur rahe to kehne laga ki jo hota hai kar lo aur jaghda karne laga.
Prakashrao : (Apani beti ka naam aise sabke samne uchhalta dekh wo aag babula ho gaya)Tuje kaha hai na ki aise haramio se dur raho kya jarurat hai aise logo ko muh lagane ki, inke pass to khone ko hai nahi kuchh par meri samaj me ijjaat hai, aur tumse bhi keh raha hu (Swarna ko dekhte hue) aage se kabhi is se mili ya kabhi usko bulaya to wo tumhara akhari din hoga is ghar me (Apane bete ko dekhte hue)Samja de apani bivi ko Aakash warna teri bhi khair nahi hai. Aur tuje bhi keh raha hu, (Shiv ko dekhte hue) apani aukat me reh, tum jaiso ki fitrat me khub samajta hu, bade ghar ki ladkio ko apani jaal me fasate ho taki uska paisa mil jaye tumhe.
Swarna : (Himmat kar ke)Babuji meri baat to suniye.
Prakashrao : Tumhe bolne ki koi ijajat nahi hai, tumhe apane ghar ki ijjat ka to khayal raha nahi mere ghar ki ijjat kya khak karogi, ye meri aakhari chetavani hai aise do take ke ladko ko apane ghar me lane ki jarurat nahi hai. (Shiv ki beijjati hote hue dekh Swarna ko gussa aa raha tha par usko apana ghar bhi sambhalna tha is liye wo chah kar bhi kuchh nahi bol pa rahi thi) (Apane security walo ko bulwate hue)Dhakke mar kar nikalo unhe aur agar dobara ise ghar ke ander aane diya to tumhe bhi naukari se nikal dunga.