Update 265
Mera ghar ki aur train ka safar suru ho gaya tha, muje pata tha ki me kin ke cabin me hu, wo ek city ki mayor thi, wo apame mobile me busy thi, unke chehre se hi lag raha tha ki wo bahot gambhir hai usme. Anayas hi meri najar unko samajne me chali gayi, me dekh raha tha ki unhone apane mathe par sindur lagaya hua hai. Dressing me saree pehni thi par wo halke rang ki thi, hath me mehnga mobile tha jo unka status bata raha tha, wo apane ghutne mod kar seat par ek takiye se tek lagaye bethi hui thi, nain naks bhi kafi sundar the, bhale hi unhone chasma pehna tha par unki ankhe bata rahi thi ki wo kitni confident hai, aur ho bhi kyu na, ek city ki mayor hona koi chhoti baat to nahi hai. Me unhe dekhne me masgul tha ki tabhi unki nigahe uthi aur hamari najare ek hui, mene turant najare hata li jaise najare chura raha hu.
Mayor : Sorry, wo thoda kaam ka email karna tha. (Unhone safai di, jiski koi jarurat nahi thi, jo bata raha tha ki so kitni manner me rehti hai.)
Shiv : Nahi koi baat nahi, aap itni badi post par ho to kaam to rehta hi hai.
Mayor : (Mobile side me rakhte hue)To tum Udesinhji ke bhatije ho. (Unhone ye baat jor de kar kahi)
Shiv : Ha bhi aur nahi bhi.
Mayor : Me samji nahi. (Unki ankhe peini ho gayi)
Shiv : Ajeeb kahani hai meri bhi, darasal mera naam Shiv hai, aur me xxx saher me anathalay me rehta hu, achank ek din inhone muje kaha ki me unka bhatija hu, jo kuchh barso pehle ek hadse me gayab ho gaya tha. (Meyor sidi beth gayi, unko baat kuchh intresting lagi, me chup hua aur unka reaction dekhne laga)
Mayor : (Jab me kuchh na bola to wo boli)Aage batao. (jaise unko jan ne ki lalsa ho rahi thi)
Shiv : Kya batau, abhi tak muje hi kuchh pata nahi hai.
Mayor : Tumne kaha ki kuchh din pehle inhone kaha ki tum unke bhatije ho, ye nahi bataya ki wo kyu aisa maan rahe hai ki tum unke bhatije ho?
Shiv : Unhone kaha ki meri sakal unke bhai se milti hai.
Mayor : Sirf yahi to wajah nahi ho sakti, aise to kitno ki sakal apas me milti hoti hai. (Unhone apani shanka jahir ki) Koi to thos wajah hongi jiski wajah se unhone tumhe apana bhatija maan liya, kyu ki ye koi chhoti baat nahi hai, wo itne bade aadmi hai, pure rajya me unka naam hai, rajya kya, kendra me bhi unka naam pata hoga, unka bhatija hona matlab yaha karodo-arbo ki baat hai, koi aise hi tumhe apana bhajija nahi bana sakta na. (Unki bato se lag raha tha ki unke dimag me baat bethi nahi hai, aur me unhe wo sab to bata nahi sakta tha ki wo muje kisi maksad ke liye apana bhatija bana rahe hai, aur me ye bhi nahi bata sakta ki kaise Beenamadam ko lagta hai ki me hi unka devar hu, bate itni ulji hui thi ki kya sach hai wo muje bhi nahi pata tha, bas anuman aur viswas hi lag raha tha)
Shiv : wo sab muje nahi pata madam, abhi kuchh din pehle tak to me khud ko anath hi samaj raha tha, ab achanak sab ho raha hai.
Mayor : Ajeeb baat hai, tumhari to lottery lag gayi, kyu? (Unke cherhe par muskan thi)
Shiv : Pata nahi. (Mene normally hi jawab diya)
Mayor : Agar bura na maano to kya sab kuchh muje bata sakte ho, by the way mera naam Jagruti hai, aur me kya hu wo tumhe pata hi hai. (Unhone muskurate hue kaha, me bhi muskuraya)
Shiv : Kya batau jab muje hi kuchh pata nahi hai.
Mayor : Apane bare me to bata sakte ho, tum anathaly me kab aaye, kaise tum Udesinhji se mile, vagerah vagerah. (Mene unhe kuchh kuchh bataya jo batane layak tha, par muje pata tha ki itna sun kar unki uljane aur badhne wali hai, kyu ki mene mere aur udesinhji ke bich ki deal ke bare me nahi bataya tha, mene Beenamadam aur dusaro ke viswas ki baat nahi batayi thi, meri bate sun kar unka muh ajeeb ho raha tha) Ek baat kahu, bura maat maan na, par baat kuchh samaj nahi aayi, jaha tak me Udesinhji ko janti hu, wo ek khatarnak kism ke insan hai (Fir achanak sambhalte hue)Sorry mera matlab wo nahi tha ye to bas muh se nikal gaya darasal me kehna chahti thi ki...(Unko alfaz nahi mil rahe the)
Shiv : Aap fikar maat kijiye, hamari baate hamare tak hi rahegi.
Mayor : Thanks Shiv, wo kya hai na hamare political relation bhi hai, unke bare me sab jante hai par koi kuchh bolta nahi, par jaise tum bata rahe ho, baat kuchh samaj me nahi aayi, koi to wajah hogi jo tumhe batayi nahi ja rahi hai, aise hi koi kaise kisi ko us ladke ki jagah rakh sakta hai jo shayad maar gaya hai, aur dusari aur tumhari kahani hai, agar aisa mana jaye ki tum hi wo ladke ho to tumhari kahani bhi us kahani se mel kha rahi hai, par sirf kahanio ke dum par kisi ko itne bade empier ka varis nahi bana sakte, jaha tak muje pata hai ye sab unke bhai ka hai, kyu ki me mayor hu to kayi kagjat mere pass bhi aaye hai jis se ye pata chalta hai. Aur tum unke bhai ke bete ho to sab tumhara hoga. Par koi kyu samne se apana sab kisi ko de sakta hai. Ek baat kahu Shiv, bura maat maan na par sambhal kar rehna, me sure to nahi hu par muje kisi sajis ki shanka ho rahi hai, (fir khud ko daant te hue)Me kya bol rahi hu samaj me nahi aa raha hai, muje bas tumhari fikar hui isliye mene kaha. (wo thodi tense lag rahi thi)
Shiv : Mene kaha na ki ye bate hamare bich hi rahengi, aap fikar maat kijiye. (wo muskurayi)
Mayor : Bahot intresting carracter ho yaar, pata nahi tha ki aaj tum jaise ladke se milne ka mauka milega. (wo muskurate hue boli)
Shiv : Mujse jyada to aap intresting carracter ho.
Mayor : Kya matlab. (Unhone majakiya andaj me kaha, to me jhemp gaya)
Shiv : Mera matlab hai, ki itni young age me aap is mukam par pahuch gayi, ye koi chhoti baat to nahi hai.
Mayor : Oh aiiiisa, haa, bachpanse hi muje apane faisale khud karne ki aadat hai, muje hamesa se apani pehchan banani thi, papa politics me the to unhi ki wajah se bachpan se politics ke mahol me rahi.
Shiv : Mene to aisa hi puchha tha, aap ne kya samja tha.
Mayor : Aksar mard, ladkio ki tarif karne ke liye usko young kehte hai, mene yahi socha ki tum bhi wahi kar rahe ho, kyu ki bachche ab aunty bulane lage hai. (Unhone muskurate hue kaha)
Shiv : Aap aunty jaisi to nahi lagti. (Mene aise hi kaha tha)
Mayor : to fir kaisi lagti hu. (Unhone aise puchha jaise meri khinchayi kar rahi ho)
Shiv : Wo pata nahi par aunty to nahi lagti aap. (Mene saral tarike se kaha)
Mayor : Wahi to puchh rahi hu, kaisi lagti hu? (Wo jaise muje paresan kar rahi thi)
Shiv : Aap aaaap kafi khubsurat ho. (Mene hichkichate hue kaha, kyu ki wo ek mayor thi)
Mayor : (Muskurate hue) To kya aunty khubsurat nahi hoti? (Wo mera pichha hi nahi chhod rahi thi)
Shiv : Aap mera matlab samaj rahi hai fir bhi meri tang khinch rahi hai.
Mayor : Me kaha kuchh khinch rahi hu, me to shanti se bethi hu.
Shiv : Muje laga nahi tha ki aap aise bhi majakiya ho sakti hai, aap us mukam par bethi hai jaya log expect karte hai ki koi serious type ki vyakti hongi.
Mayor : Wo to me hu hi, kaam ke waqt serious hona swabhavik hai par abhi me thodi na kaam kar rahi hu, aur na hi tum mere kaam ke ho.
Shiv : (Ek baar me fir jhep gaya)Kya keh rahi ho aap?
Mayor : (Haste hue)Mera matlab hai ki tum thodi na mere sath kaam karte ho jo me tumhare sath us tarha se pesh aau, waise konsi class me padhte ho.
Shiv : Ji eleven.
Mayor : Par lagte to aise ho jaise college student ho.
Shiv : Ha wo thoda late suruaat ki thi, aur hight bhi jyada hai.
Mayor : Ha wo to hai, bahot lambe ho tum. Bilkul khambhe ki tarha. (Fir wo hasne lagi)
Shiv : Aap fir meri khinchayi kar rahi hai.
Mayor : Me kyu khinchayi karungi, waise hi itne lambe ho, agar khinchayi karungi to kahi chhat tak na pahuch jao. (wo aur khinchai karne lagi, aur hasne lagi, me jhep gaya, meri halat dekh kar wo aur khus hone lagi)Bura maat maan na shiv, bahot dino baad aaj aise relax feel kar rahi hu, tumne puchha nahi par bata rahi hu, mera naam Jagruti hai. Aur me 30 saal ki hu. (Wo muskurate hue boli, me bas sun raha tha) Waise padhai ke baad kya karne ka irada hai?
Shiv : Filhal to aisa kuchh socha nahi hai, ha athlet ban na chahta hu.
Jagruti : Athlete?
Shiv : Ji. Me daudta hu, state level paar karliya hai.
Jagruti : Kya baat hai (Unke chehre par tarif ke bhaav the) Aur padhayi me kaise ho?
Shiv : Ji tenth me district first tha, school me bhi avval hi aata hu.
Jagruti : Impressive! very good. (wo do pal ruki) Girlfriend valfriend banayi ki nahi. (Wo fir haste hue boli)
Shiv : Ji????(Muje aise saval ki expectation nahi thi)
Jagruti : Simple sa sawal hai, girlfriend hai koi?
Shiv : Ji (Bolte waqt me thoda sharma gaya)
Jagruti : My god! Kaise blush kar rahe ho dekho.(Keh kar wo hasne lagi, fir thodi der bad)Tumhare sath school me padhti hai. (Mene Lata ke bare me kaha tha, par unke sawal ka jawab de kar me aur ulaj jata kyu ki wo fir aur jyada puchhti, to mene koi jawab nahi diya) Tumhara chehra hi bata raha hai ki school me hi hai. Waise nayi baat nahi hai, aaj kal ke ladke ladkia jaise taiyar hi hote hai. Kya naam hia uska? (mene koi jawab nahi diya) batao na.
Shiv : Sorry madam, par me naam nahi bata sakta.
Jagruti : Kyu?
Shiv : Uska naam le kar me usko badnam nahi karna chahta.
Jagruti : Par me kaha usko janti hu, na hi tumhare saher se hu, fir kya dikkat hai?
Shiv : Fir bhi, uska naam le kar me usko ruswa nahi kar sakta.
Jagruti : (Thodi der wo muje dekhti rahi)Baat to tumhari sahi hai, chalo koi baat nahi, me naam nahi puchhungi. Ye to batao ki baat kaha tak pahuchi. (Unke chehre par fir majakiya smile thi, mene is baat ka bhi koi jawab nahi diya)Sorry me kuchh jyada hi personal ho rahi hu. Mene to bas aise hi baat karne ke irade se hi puchha tha. (Achanak unhone ghadi dekhi)Oh itni raat ho gayi pata hi nahi chala.. Chalo so jate hai. (Kehte hue wo apana takiya thik karne lagi aur apane pair ke pass pada kambal kholne lagi. Me bhi wahi karne laga.) Light band kar do na Shiv.
Shiv : Ji. (Mene light band kar di, wo mobile me kuchh dekhne lagi, unke chehre par hi light thi, thodi der baad)
Jagruti : Tumhara saher subah 7 baje ke karib aayega, alarm rakhna ho to rakh lo.
Shiv : Nahi, muje jaldi uthne ki aadat hai.
Jagruti : Thik hia, good night.
Shiv : Good night. (Fir hum so gaye, AC chalu tha to thodi der muje thand lagi par neend aa rahi thi to akhir me so gaya, Subah pata nahi kitne baje the par meri ankh khul gayi, mene mobile me dekha to 5 baj rahe the, mene aas pass dekha to abhi bhi andhera hi tha, bahar light jali hui thi to uski thodi light aa rahi thi, me seat par beth gaya, kyu ki berth par pith akad gayi thi, madam abhi bhi so rahi thi, thand ki wajah so unhone khud ko pura dhaka hua tha, muje peshab lagi thi to mene darwaja kiskaya, aas pass ekha, koi nahi tha, me bathroom gaya aur halka ho kar wapas aaya, aakar mene darwaja sarkaya, aur me ander gaya aur wapas band kar raha tha ki awaj se madam uth gayi,)
Jagruti : kitne baje hai? (Alsayi awaj me)
Shiv : Sava panch hue honge. (Wo ubasi lete hue apane bistar par bethne lagi to mene light jala di)
Jagruti : Kab uthe tum?
Shiv : Abhi abhi utha.
Jagruti : Muje to thik se neend hi nahi aayi, tumhe aayi?
Shiv : Mera bhi wahi haal tha. (Wo abhi bhi kambal lapet kar bethi thi, unke baal bikhare hue the, wo hatho se unhe thik kar rahi thi, Thodi der baad wo uthi aur bahar jane lagi, me samaj gaya ki wo kaha ja rahi hai, thodi der baad wo wapas aayi, wo khidki ke pass fir chaddar lapet kar beth gayi par bahar andhera tha, wo apana mobile dekhne lagi, me bhi wahi kar raha tha, tabhi darwaje par dastak hu)
Jagruti : Kon?
Awaj : Ji catering se hu madam, kuchh chai nasta chahiye?
Jagruti : Tum chai pite ho?
Shiv : Kuchh bhi chalega.
Jagruti : Do coffee lana aur naste me kya hai?
Awaj : Aloo aur gobi ke parathe milenge.
Jagruti : Do aloo ke parathe le aana. (Wo chala gaya, fir hamari general baate hue, wo muje unke saher aane ko kehne lagi, unhone apana card bhi diya, humne nasta kiya, aur bato me time nikal gaya, mera station bhi aa gaya, unko abhi aage jana tha, mene rikshaw li aur anathalay pahuch gaya, jab me gate par pahucha to Gauravbhai bahar hi nikal rahe the)
Gaurav : Are Shiv, aa gaye tum?
Shiv : Ji bhaiya, aap kaha ja rahe ho, duty?
Gaurav : Ha, hume kaha chhutti milti hai, tyoharo ke din to aur duty karni padti hai. Chaliye me chalta hu. (wo chale gaye, me ander gaya, gate khula hua hi tha, me ander gaya, mene dekha to Lata kitchen me kam kar rahi thi, mene chupke se bag rakkhi aur dabe paav unke paas pahuha, abhi thodi hi duri par tha ki wo boli)
Lata : Aa gaye?
Shiv : (Muskurate hue, mene unhe pichhe se baho me bhar liya, wo dar gayi)Kya hua?
Lata : Wo Kamala aunty hai.
Shiv : Kon Kamalaaunty?
Lata : Guaravbhai ki maa.
Shiv : Wo yaha kyu hai?
Lata : Wo aksar yahi rehti hai, aur abhi to Vina aur Ranjan bhi nahi hai to madad ke liye aa jati hai.
Shiv : Wo dono kaha gayi?
Lata : Bhul gaye, tumne hi to picnic par jane ko kaha tha, aaj subah hi gayi hai, raat der se aayengi. Tum hath muh dho lo, me nasta lagati hu. (Tabhi pichhe se aawaj aayi, Shiiiiiiiiiv, me samaj gaya ki ye kon hai, me palta to Saritadidi jaldi se mere pass aayi aur mere gale lag gayi)
Sarita : Kab aaya?
Shiv : Abhi abhi aaya hu.
Shiv apane ghar pahuch gaya tha, wahi dusari aur raat ko Pruthvi der se lauta tha, lagbhag subah hone ko aayi thi, wo nashe me tha,aur thaka hua bhi tha, aa kar ulta hi apane bistar par ludhak gaya tha, Padma bhi jaag gayi thi to usne light jalayi aur apane pati ko dekha, wo ulta hi leta hua tha, kapado me salvate thi, wo khadi hui aur usko sidha karne lagi, Pruthvi bhi tagada tha to usko palatne me hi Padma ki saase ful chuki thi, par jaise taise usne usko sidha kiya, par tabhi uski nigah kahi ruk gayi, wo gusse se bharne lagi, kyu ki usne dekha tha ki uske gale par lipstik ke nisan the aur sabut talasne ke liye usne Pruthvi ka shirt khola to uski chhati par bhi nisan the aur katne ke bhi nisan the, bhale hi wo janti thi ki uska pati ye sab karta hai par kabhi usko aise nishan dekhne ko nahi mile the, par jaise aaj baat kuchh alag thi, usne apane pati ko waise hi chhod diya aur apani jagah ja kar let gayi, subah honewali thi to neend to aane se rahi.
Padma : (Man me)Yaha bivi tadap rahi hai aur inhe apani rangralio se fursat nahi hai, aaj ghar me itna khas mauka tha par fir bhi inhe ghar aana munasib nahi samja, pata nahi kiske sath the ye jo aisi halat hai unki. Mera bhagya hi kharab hai. (Uski ankho se aasu nikalne lage, wo sisakte hue rone lagi par uske pati ko to jaise iski bhanak tak nahi thi, uska maan kar raha tha ki wo apani jaan de de)
Darasal aaj Pruthvi ke liye bhi khas din tha, Aaj wo jiske sath tha uske bare me bhi thoda jaan lete hai. Pruthvi ka ek bussiness partner tha jiska naa tha Akshay, dono ke shauk ek jaise the to dono dost ban gaye the, dono ne sath me rangraliya bhi manayi thi. Akshay ek number ka kamina tha, wo paise aur possition ke pichhe pagal tha, uske chalte wo do number ke dhandho me samil ho gaya tha, wo do number ke dhandhe ek number ke tariko se karta tha, aise me uski mulakat Udesinh se hui thi, usne unke do number ke dhandho ko ligalize tarike se kaise karna hai wo sambhal liya tha, aur Pruthvi se dosti bhi ho gayi thi. Uski ek bahen thi Lavanya, mordern thi par ek achchhi ladki thi, abhi tak kuwari thi. Akshay ko pata chal gaya tha ki Pruthvi ki koi santan nahi hai, aur is baat ka wo fayeda uthana chahta tha. Wo Pruthvi ko kayi baar apane ghar le gaya tha, aur uski mulakat apani bahen se karwayi thi, Pruthvi bhale hi jaisa bhi ho par usne achchhe tarike se hi uski bahen se baat ki thi, Akshay ne apani bahen ko is baat ke liye manaliya tha ki wo Pruthvi se samband banaye.
Lavanya : Ye kya keh rahe ho bhaiya, me unke sath kyu sambandh banau, ek se ek ladke mere pichhe pade hai, muje kya jarurat hai.
Akshay : Tu bahot bholi hai, uske pass bahot paise hai, itne ki tu puri jindagi dono hatho se lutati rahegi na to bhi khatam nahi honge. Me tera badabhai hu, papa ke baad me hi tera khayal rakh raha hu na.
Lavanya : Par wo shadisuda hai?
Akshay : To kya hua, ek baar tu uske bachche ki maa ban gayi, wo apani bivi ko laat mar ke nikal dega aur tu rani ban jayegi.
Lavanya : Aapko sharm nahi aati aisi baat apani bahen ke liye bolte hue.
Akshay : Isme kahe ki sharm, me to apani bahen ka bhala hi soch raha hu na. Aur tumhare aage pichhe ghumne wale bahot mil jayenge, par itna paisa kahi nahi milega, me kuchh soch kar hi tuje keh raha hu na.
Lavanya : Thik hai bhaiya, jo aapko thik lage.
Akshay : Meri pyari behna, tu fikar maat kar, tu us ghar me rani banegi hi, ye tere bhai ka vachan hai tuje.
Us din ke baad wo Pruthvi ko rizane me lag gayi thi, par kabhi koi hint nahi di, Pruthvi bhi apani maryada me hi rehta tha, par do din pehle hi Akshay ne apani chaal chal di thi.
Akshay : Tu mera dost hai is liye tuje keh raha hu, me janta hu ki tu apane gaav ki aurto ko maa banane me laga hua hai, par kya tune socha hai ki wo agar maa ban bhi gayi to tu usnko apane ghar me rakh payega? Apani reputation ka kuchh to khayal karo. (Dono daru pite hue baat kar rahe the)
Pruthvi : Tum nahi samjoge yaar, itni power itna rutba hai ki kisi ko bhi ghutno pe la shakta hu, par ek yahi baat hai jo muje khaye ja rahi hai, log sale pith ke pichhe kya kya boltehonge ye soch kar hi sharm se bhar jata hu.
Akshay : Jitna tumne muje bataya hai us se to yahi pata chalta hai ki khot bhabhi me hi hai. Dekh bura maat maan par yahi sach hai, tune hi bataya tha ki wo apane kisi premi se bhi...(Usne baat adhuri chhod di). Tuje apani hesiyat ki kisi ladki ka sahara lena chahiye.
Pruthvi : Aisi kon milegi (Frustate hote hue wo bola) Mene maa ko bhi kaha ki dusari shadi kar leta hu par wo mana kar rahi hai.
Akshay : Agar tu aisa soch raha hai to meri najar me ek ladki hai. (Wo Pruthvi ko dekhne laga)
Pruthvi : Kon?
Akshay : Lavanya.
Pruthvi : Ye kya keh raha hai tu, teri bahen hai wo.
Akshay : Bahen hai to kya puri jindagi ghar me rahegi, kabhi na kabhi to muje bhi uski shadi karni hi hai na, tu mera dost hai, sath me kaam karte hai, sab janta hu tere bare me. Aur muje koi etraj nahi hai.
Pruthvi : Par maa nahi manegi.
Akshay : Agar tu kahega ki ye teri bivi hai aur maa ban ne vali hai tab bhi nahi?
Pruthvi : Ye kya keh raha hai?
Akshay : Me wahi keh raha hu jo tu samaj raha hai, me tum dono ki mandir me shadi karwa deta hu, jab wo maa ban ne wali hogi tab to unhe maan na hi hoga. Tu dost hai mera, teri paresani meri paresani hai. (Pruthvi bahot bhavuk ho gaya tha, wo utha aur apane dost ke gale mila, uske samne Lavanya ki tasvir ubhar aayi)

Akshay ne apani bahen ko sab samja diya, wo bhi shadi ka sun kar taiyar ho gayi, aaj dopahar ko Akshay ne dono ki shadi karwa di aur photo aur video bhi le liye, Akshay ki bivi bhi pehle nahi maan rahi thi par usko bhi manaliya tha. Dusare kisi ko nahi bulwaya tha, Akshay ne apani bahen se vada kiya ki ek din dhum dham se uski shadi fir se karega.
Lavanya ek padhilikhi ladki thi, modern society me rahi thi to khayalat bhi modern hi the, par fir bhi abhi tak wo kuwari hi thi. Apane mummy papa ko usne ek accident me kho diya tha, tab se uske bhai ne hi sambhala tha usko. Usko apane bhai par pura bharosa tha, wo uske liye kuchh bhi galat nahi sochega, usne Pruthvi ko bhi dekha tha, par jab uske bhai ne usko us tarha se bataya to wo Pruthvi ko alag najar se dekhne lagi, uska balist sharir aur nain naksh bhi akarshak the to wo bhi usko pasand tha, bas uske shadisuda hone ki baat usko khatak rahi thi, par usne sab bhagya par chhod diya. Dopahar me uski shadi bhi ho gayi, sham ko dono ne puja bhi ki. Aaj uski suhag rat thi, jaise kayi ladkio ne sapne dekhe ho waise hi uske bhi kayi arman the. Jab uski bhabhi usko chhodne us kamare me aayi jo saja hua tha to usne apani bhabhi ka hath pakad liya, wo ghabra rahi thi.
Sugandha : Kya hua Lavanya?
Lavanya : Dar lag raha hai bhabhi.
Sugandha : Kuchh nahi hoga, tu daar maat.
Lavanya : Mene suna hai ki bahot dard hota hai.
Sugandha : Thoda sa hoga, tu fikar maat kar, sab thik ho jayega.
Uski bhabhi to chali gayi, par Lavanya ka dil dar raha tha, usko ab pata tha ki kya hota hai kaise karte hai, par kabhi khud kiya nahi tha. Wahi Pruthvi bhi apane dost Akshay ke sath tha, dono ne do peg pi liye the, jab Pruthvi tisara banane laga to Akshay ne rok diya.
Akshay : Ye kya kar raha hai.
Pruthvi : Tension ho rahi hai yaar.
Akshay : Kis baat ki tention?
Pruthvi : Ghar par baval ho jayega jab ye sab pata chalega.
Akshay : Kuchh nahi hoga, me hu na. Aur ha meri bahen ka jara khayal rakhna, wo najuk hai jara. (Pruthvi sharma gaya, Akshay usko aur chidhane laga )Sharma to aise raha hai jaise pehli baar ho.
Pruthvi : Baat wo nahi hai yaar...
Akshay : Sab thik ho jayega, tu fikar maat kar. Tu ja meri bahen tera wait kar rahi hongi. (Pruthvi utha aur kamare ki aur badhne laga, Akshay ne ek aur peg banaya aur usko jata hua dekh raha tha, wo apani chal ko kamiyab hota dekh raha tha, aaj usne ek bahot badi chhalang laga di thi)