spritemathews
Well-Known Member
- 4,164
- 8,317
- 158
Mind blowing updateKo To Rok Lo {Update - 203}
____________________________
Lekin jab wo humare pas wapas aayi to, wo bahut jyada ghabrayi huyi si lag rahi thi. Unhe ghabraya hua dekh kar, hum sabka man bhi kisi ashanka se bhar gaya. Nisha bhabhi ne humare pas aate hi, chhoti maa se kaha.
Nisha bhabhi boli “sorry aunty, mujhe aur barkha ko abhi hi mumbai wapas lautna hoga. Waha achanak hi priya ki tabiyat kharab ho gayi hai.”
Nisha bhabhi ki ye baat sunte hi, mohini aunty ne ghabrate huye kaha.
Mohini aunty boli “meri priya ko kya hua. Mai to use acha bhala chhod kar aayi thi.”
Mohini aunty ki is baat ke jabab me nisha bhabhi ne kaha.
Nisha bhabhi boli “aunty, abhi mujhe khud bhi sahi se kuch nahi malum hai. Abhi abhi mere pas aman ka call aaya tha. Usne hi bataya ki, priya achanak coma me chali gayi hai.”
“Use lekar, is samay waha sabhi pareshan hai. Isliye aman ne mujhe waha fauran laut aane ko kaha hai. Ab priya ko kya hua hai. Ye baat to hume waha pahuchne par hi pata chal sakegi.”
Nisha bhabhi ki is baat ne, mere sath sath waha khade, sabhi logon ke pairon ke niche ki jamin khiska di thi. Priya ke coma me chale jaane ki baat ne, ek hi pal me hum sabke dil aur dimag ko hila kar rakh diya tha.
Mere liye priya kya thi, ye to mai khud bhi nahi janta tha. Mai bas itna janta tha ki, use khush dekh kar, mujhe khushi hoti thi aur use kisi dard me dekh kar, mujhe us se bhi kahi jyada dard hone lagta tha.
Aisa hi kuch abhi bhi mere sath ho raha tha. Priya ke coma me jaane ki baat sunte hi, meri aankhon me priya ka hansta muskurata chehra ghumne laga aur mujhe aisa lagne laga, jaise ki uski ye muskurahat mujhse door ja rahi ho.
Is baat ka aehsas hote hi, meri aankhon me aansu jhilmilane lage. Keerti mere pas hi khadi thi. Usne jab meri aankhon me jhilmilate aansuon ko dekha to, mere kaandhe par hath rakhte huye kaha.
Keerti boli “apna dil chhota mat karo, priya ko kuch bhi nahi hoga. Wo jaldi hi hume pahle ki tarah hansti muskurati najar aayegi. Lekin abhi tum mumbai call laga kar baat kar lo. Tumhare baat karne se un logon ko bhi kuch hausla milega.”
Mujhe keerti ki ye baat sahi lagi aur maine mumbai call lagane ke liye apna mobile nikala. Lekin tabhi mere mobile par shikha didi ka call aane laga. Mere call uthate hi, shikha didi ne ghabrate huye kaha.
Shikha didi boli “bhaiya, aap thik to hai na, waha sab thik thak to hai na. Aapko kahi koi chot to nahi aayi.”
Shikha didi bahut ghabrayi huyi lag rahi thi aur un ne ek hi saans me mujhse dher saare sawal kar daale the. Unko ghabraya hua dekh kar, maine unko dilasa dene ki niyat se kaha.
Mai bola “didi, aap jara bhi pareshan mat hoiye. Mujhe kahi koi chot nahi aayi hai aur baki sab bhi yaha puri tarah se thik hai. Yaha kisi ko bhi koi chot nahi aayi hai.”
Lekin meri aakhiri baat sunte hi, shikha didi ne meri baat ko kaatte huye kaha.
Shikha didi boli “bhaiya, mujhe jhutha dilasa dilane ki koshish mat kijiye. Maine Tv par waha ki saari news dekhi hai aur mujhe pata hai ki, aapko bachate huye, kisi mahila ko goli lagi hai.”
“Mai ye bhi achi tarah se janti hu ki, nisha didi aur barkha aapke pas hi gayi hai. Aap sab ne mujhse is hadse ke baare me chhupa kar, jara bhi acha nahi kiya. Kya mujhe is musibat ki ghadi me bhi, aapke pas rahne ka koi haq nahi hai.”
Itna kah kar, shikha didi ne rona suru kar diya. Unhe rote dekh kar, maine unhe samjhane ki koshish karte huye kaha.
Mai bola “didi, plz aap rona band kijiye. Mujhe bas isi baat ka dar tha ki, aap is khabar ko sun kar, ghabra jayegi aur fir surat nahi ja payegi. Mai aapko khushi khushi apni sasural me kadam rakhte dekhna chahta tha.”
“Isliye maine hi nisha bhabhi ko apni kasam dekar, aap sabko ye baat batane se rok diya tha. Isme nisha bhabhi ya kisi ka koi dosh nahi hai. Mai sach me bilkul thik hu. Yadi aapko meri baat par yakin nahi hai to, aap khud barkha didi se puchh lijiye.”
Ye kahte huye maine barkha didi ko mobile thama diya. Barkha didi ne call par aate hi, shikha didi se kaha.
Barkha didi boli “didi, aap punit ki bilkul fikar mat kijiye, wo bilkul thik hai. Is hadse me uski mausi gayal huyi hai. Mai nisha didi ke sath, unhi ko dekhne yaha aayi thi aur ab uski mausi bhi khatre se puri tarah se bahar hai.”
Lekin barkha didi ki baat sunkar bhi, shikha didi kuch samajhne ko taiyar nahi thi aur rote huye, barkha didi ko hi ulta sidha bolne lagi. Wo bechari kisi ki baat ko samajhti bhi to, kaise samajhti.
Apne ek bhai ko to, wo pahle hi ek hadse me kho chuki thi aur aise me jab unhe mujh me apna bhai najar aane laga tha to, meri jaan par bhi hamla ho gaya tha. Yahi ek baat unhe kisi ki bhi koi baat samajhne nahi de rahi thi.
Jab barkha didi unhe samjha kar haar gayi to, un ne wapas mobile mujhe thama diya. Maine mobile liya to, mujhe fir shikha didi ke rone ki aawaj sunayi dene lagi. Aise me mujhe unhe chup karane ka sirf ek hi rasta dikhayi diya aur maine usi raste ko apnate huye sikha didi ne kaha.
Mai bola “didi, plz aap rona band kijiye, aapko meri kasam hai. Mai yaha bilkul thik hu. Vaani didi ne mujh par hamla karne wale sabhi mujrimo ko pakad liya hai aur ab mujhe yaha kisi baat ka koi khatra nahi hai.”
Meri kasam ne shikha didi ke upar asar dikhyaa aur unka rona tham gaya. Lekin ab un ne mere pas aane ki, jid karte huye kaha.
Shikha didi boli “thik hai, mai nahi roti. Lekin aapko dekhe bina mujhe chain nahi aayega. Isliye mai abhi waha aa rahi hu.”
Mujhe shikha didi ke yaha aane se koi pareshani nahi thi. Lekin is samay priya ki tabiyat kharab hone ki vajah se mujhe shikha didi ka uske pas jaane ki jagah, mere pas aana kuch thik nahi lag raha tha. Maine apni isi baat ko unke samne rakhte huye kaha.
Mai bola “didi, aapke yaha aane se bad kar, mere liye aur kya khushi ki baat ho sakti hai. Lekin shayad aapko pata nahi hai ki, abhi achanak priya ki tabiyat bahut jyada kharab ho gayi hai.”
“Nisha bhabhi aur barkha didi bhi isi vajah se thodi hi der me wapas mumbai ke liye nikalne wali hai. Aise me mujhe aapka priya ke pas jaane ki jagah mere pas aana kuch thik sa nahi lag raha hai.”
Lekin shikha didi ne meri is baat ko bich me hi kaatte huye kaha.
Shikha didi boli “mujhe nikki se priya ki haalat ka pata chal chuka hai. Mai bhi priya ke pas ja rahi hu. Lekin uske pas jaane se pahle, ek baar mai aapko sahi salamat dekh kar, tasalli kar lena chahti hu.”
Shikha didi ki is baat ke bad, mere pas unko samjhane ke liye kuch nahi tha. Isliye maine un se nisha bhabhi se baat karne ko kah kar, mobile nisha bhabhi ki thama diya. Un ne shikha didi ko samjhate huye kaha.
Nisha bhabhi boli “shikha, mai jo kah rahi hu, use samajhne ki koshish karna. Mai tumko yaha punit ke pas aane se rokna nahi chahti hu. Lekin tumko is baat ko samajhna hoga ki, abhi priya ki tabiyat sahi nahi hai.”
“Tum ye bhi achi tarah se janti ho ki, priya ka jo blood group hai. Us group ka blood kitni mushkil se milta hai. Priya aur aru ka blood group ek hi hai. Lekin is samay aru tumhare sath hai.”
“Aise me yadi priya ko achanak hi, kisi vajah se blood dene ki jarurat pad gayi to, uske liye bahut mushkil ho jayegi. Isliye is samay tum logon ka yaha aane se jyada jaruri, priya ke pas pahuchna hai.”
“Ab yadi ye sab janne ke bad bhi, tum priya ke pas jaane ki jagah yaha aana chahti ho to, mai tumko yaha aane se bilkul nahi rokugi. Tum jo bhi karna thik samjho, tum wo kar sakti ho.”
Nisha bhabhi ki is baat ne shikha didi ke dil par teer ki tarah asar kiya aur wo yaha aane ki jagah, mumbai jaane ke liye taiyar ho gayi. Shikha didi se baat hone ke bad, nisha bhabhi isi baare me ajay aur seeru didi se logon se baat karne lagi.
Nisha bhabhi ke bad, meri aur chhoti maa ki bhi ajay aur seeru didi logon se thodi bahut baat huyi. Un sab se baat karke call rakhne ke bad, maine nisha bhabhi se kaha.
Mai bola “bhabhi, yadi priya ko blood ki jarurat hai to, kya mai blood dene ke liye aapke sath chalta hu.”
Meri baat sunkar, nisha bhabhi ne muskurate huye kaha.
Nisha bhabhi boli “nahi, tumhe blood dene ke liye mere sath jaane ki koi jarurat nahi hai. Maine to blood ki baat sirf shikha ko samjhane ke liye kahi thi. Yadi sach me hi priya ko blood ki jarurat hoti to, aman khud hi aru ko wapas bula leta.”
Meri aur nisha bhabhi ki is baat ko sunte hi, vaani didi ne humari baat ko bich me hi kaatte huye, mujhse kaha.
Vaani didi boli “tum priya ko blood kaise de sakte ho. Kya tumko pata bhi hai ki, kisi ko blood dene ke liye, dono ka blood group ek sa hona jaruri hai.”
Vaani didi ki is baat ke jabab me maine unse kaha.
Mai bola “didi, mai priya ko blood de sakta hu. Kyoki mera aur priya dono ka blood group ek sa hi hai.”
Meri is baat par nisha bhabhi ne bhi apni sahmati dete huye kaha.
Nisha bhabhi boli “ye thik kah raha hai. Iska, priya aur aru, teeno ka blood group AB- (AB negative) hi hai.”
Nisha bhabhi ki is baat ko sunkar, vaani didi kuch soch me pad gayi aur fir un ne mujhse kaha.
Vaani didi boli “ye priya wo hi ladki hai na, jiske baare me maine tumse video dekhti samay puchha tha.”
Mai bola “ji didi, wo hi sundar aur hansmukh si ladki priya hai.”
Meri ye baat sunkar, vaani didi ne kuch sochte huye kaha.
Vaani didi boli “kya tum priya ki janam tarikh aur janam sthan ko jante ho.”
Vaani didi ka ye atpata sa sawal sunkar, mere sath sath baki sab log bhi chauke bina na rah sake. Fir bhi maine unke is sawal ka jabab dete huye kaha.
Mai bola “didi, mujhe priya ke janam sthan ka to, pata nahi hai. Magar uska janamdin, mere janamdin ke ek din bad padta hai. Wo mujhse sirf ek din chhoti hai.”
Meri ye baat sunte hi, vaani didi ne mohini aunty ki taraf dekhte huye, unse kaha.
Vaani didi boli “aunty, aap to priya ki chachi hai. Aapko to pata hi hoga ki, priya ka janam sthan kya hai.”
Vaani didi ka aise mauke par, priya ke baare me ye sab sawal karna, kisi ko bhi acha nahi lag raha tha. Lekin wo apni aadat se majbur thi aur kisi baat ke unke dimag me aane par, wo usko jaan kar hi rahti thi.
Unki is baat ko sunkar, mohini aunty kuch pareshan si ho gayi. Lekin fir un ne apne aapko sambhalte huye, vaani didi se kaha.
Mohini aunty boli “priya ka janam hospital me hua tha.”
Lekin ye baat bolte bolte, mohini aunty ke chehre se pasina chhutne laga tha. Unke chehre se pasina chhutte dekh kar, vaani didi ne thoda gambhir hote huye kaha.
Vaani didi boli “aunty, asal me baat ye hai ki, priya ko video me dekh kar, mujhe apne ek khas parichit ki yaad aa gayi thi. Bas isi vajah se mai priya ke baare me ye sab janna chahti thi.”
“Mere sawal ko sunkar, aapko jara bhi pareshan hone ki jarurat nahi hai. Mai bhi aapki beti ki tarah hu aur yadi aap mujhe is baare me kuch batana nahi chahti to, mai bhi aapke sath koi jabardasti nahi karugi.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, mohini aunty kuch soch me pad gayi aur fir un ne apni khamoshi todte huye kaha.
Mohini aunty boli “priya ka janam kolkata ki hi ek hospital me hua tha. Lekin us se bhi bada sach ye hai ki, priya meri bhatiji nahi hai.”
Mohini aunty ki ye baat sunte hi, hum sabko ek jordar jhatka laga. Lekin chhoti maa aur richa aunty is baat ko sunte hi, fauran mohini aunty ke agal bagal aakar khadi ho gayi. Richa aunty ne hadbadate huye mohini aunty se kaha.
Richa aunty boli “fir priya aap logon ko kaise mili.”
Richa aunty ki is baat ko sunkar, mohini aunty kisi gahri soch me pad gayi. Unhe khamosh dekh kar, chhoti maa ne bechain hote huye kaha.
Chhoti maa boli “bataiye na didi, priya aap logon ko kaise mili.”
Chhoti maa ki baat ko sunkar, mohini aunty ne ek najar sabki taraf dekha aur fir apni khamoshi ko todte huye kaha.
Mohini aunty boli “ye baat nitika ke janam ke bad ki hai. Nitika ke janam hone ki khabar sunkar, mere sasur aur jeth jethani bhi use dekhne yaha aaye the. Us samay meri jethani padmini ka bhi aathwa mahina chal raha tha.”
“Jis vajah se mai unse apne pas hi rukne ki jid karne lagi. Mere sasur ko bhi meri ye baat sahi lagi. Un ne faisla kiya ki bachche ke janam hone tak wo aur meri jethani yahi par rukege.”
“Mere jeth ji, ko bhi unka ye faisla sahi laga aur wo un dono ko mere pas chhod kar, wapas mumbai chale gaye. Iske kuch din bad, meri jethani ne yahi ke ek hospital me ek ladki ko janam diya.”
“Meri jethani ladki ko janam dene ke bad, behosh thi aur mai hospital ke phone par sabko ladki ke janam ki khabar dene me lagi thi. Jab mai apni jethani ke pas wapas aayi to, wo abhi bhi behosh hi thi aur jhule me unki bachchi nahi thi.”
“Ye dekhte hi, mai ghabra gayi aur jaise hi pichhe palti to, kamre ki diwar se sat kar, ek aadmi ek bachchi ko apni god me lekar chhup kar khada tha. Uske hath me bachchi ko dekhte hi, maine uske hath se bachchi ko chhin liya aur shor machana suru kar diya.”
“Mujhe shor machate dekh kar, wo ghabra kar, bachchi ko chhod kar bhag gaya. Maine bachchi ko wapas apni jethani ke pas lakar lita diya. Lekin ab mujhe hospital walon ki is laparwahi par bahut gussa aa raha tha.”
“Tabhi mere sasur aa gaye. Maine unhe saari baat batayi aur fir gusse me hospital walon ki khabar lene kamre se bahar nikal aayi. Mai abhi kamre se nikal kar, thodi hi door gayi thi ki, tabhi ek nurse mere pas aayi.”
“Usne mere pas aakar, ek bachchi ko meri god me dete huye bataya ki, ye aapki bachchi hai. Bachchi ki maa behosh thi aur aap phone par baat karne gayi thi. Isliye mai bina bataye hi, bachchi ko nahlane ke liye le gayi thi.”
“Itna bol kar, wo nurse chali gayi. Lekin ab mai apni god me apni jethani ki bachchi ko dekh kar, soch me pad gayi ki, yadi ye meri jethani ki bachchi hai to, fir wo maine jabardasti kiski bachchi ko chheen liya hai.”
“Abhi mai in sab baton ko sochne me hi lagi thi ki, tabhi achanak fir se wo aadmi aa dhamka aur mere hath se meri jethani ki bachchi ko, wo dusri bachchi samajh kar, mujhse chheen kar le gaya.”
“Mai usko pakadne ke liye shor machaya. Lekin tabhi hospital ke dusre hisse se bhi kisi bachchi ke gayab hone ki aawaj aane lagi. Ye aawaj sunkar, mere sasur bhi mere pas aa gaye.”
“Maine unko ab tak huyi saari ghatna batayi to, wo bhi gahri soch me pad gaye. Lekin fir un ne gambhir faisla karte huye kaha ki, padmini ke to pahle hi ek ladka aur ek ladki hai. Wo apni bachchi ko khone ka dard apne dusre bachchon ko dekh kar sah sakti hai.”
“Lekin jis maa bap ki ye bachchi hai, pata nahi unki koi dusri aulad hai bhi ya nahi hai. Hume unki bachchi ko, unke hawale kar dena chahiye. Bhagwan ne chaha to, humari bachchi hume jarur wapas mil jayegi.”
“Apne sasur ki ye baat sunkar, mai us bachchi ko lekar uske maa bap ke pas chali gayi. Lekin jaise hi mai unke kamre ka darwaja khatkhatane ko huyi. Mujhe ek aadmi ki aawaj sunayi di.”
“Wo shayad is bachchi ka bap tha aur kisi aurat se kah raha tha ki, wo meri ek bachchi ko lekar bhaga hai. Meri koi badi bhari jaydad nahi le gaya. Mere andar jab tak mardangi hai. Tab tak mai aisi kayi bachchiyan paida kar sakta hu.”
“Us aadmi ki ye baat sunkar, meri use bachchi saupne ki himmat nahi huyi aur mai apne sasur ke pas wapas aakar, saari baten batane lagi. Tabhi meri jethani ko hosh aa gaya aur wo apni bachche ko dekhne ki jid karne lagi.”
“Mere sasur ne wo bachchi meri jethani ki god me daal di aur mujhe ye baat meri jethani ko batane se mana kar diya. Tab se wo bachchi meri jethani ki beti ban kar hi, humare parivar me pal rahi hai aur wo bachchi priya hi hai.”
Itna kah kar, mohini aunty chup ho gayi. Lekin unki is baat ne baki sab ki bhi bolti band kar di thi. Sab unhe hakke bakke se dekh rahe the aur kisi ko kuch bhi nahi sujh raha tha.
Wahi vaani didi, chhoti maa, anuradha mausi aur richa aunty ek dusre se aankhon hi aankhon me baat kar rahi thi. Mujhe bhi priya ke baare me ye sab jaan kar, bahut dhakka pahucha tha.
Lekin is samay mujhe in sab baton ko janne se jyada, priya ki tabiyat ki chinta sata rahi thi aur isi vajah se maine sabki baton par khijte huye kaha.
Mai bola “aap logon ko sirf is baat ki fikar sata rahi hai ki, priya kiski beti hai aur kiski beti nahi hai. Kisi ko bhi priya ki tabiyat ka jara bhi khayal nahi hai. Yadi aap log aise hi bahas karne me lage rahe to, aap logon ko faisla karne ke liye priya nahi, uski laash hi milegi.”
Mai abhi itna hi bol paya tha ki, chatakkk ki aawaj ke sath meri bolti band pad gayi. Mere gaal par vaani didi ka ek jordar tamacha pada tha. Jiske padte hi, mere sath sath, baki sab bhi vaani didi ko dekhne lage.
Wo bahut hi jyada gusse me mujhe ghoor rahi thi. Unko itne gusse me dekh kar, ek pal ke liye to, mai bhi saham gaya. Wahi vaani didi ne mujh par apna gussa utarte huye kaha.
Vaani didi boli “tere muh me jo kuch bhi aata hai, bina soche samjhe bakta chala jata hai. Ab yadi priya ke liye ek bhi galat shabd tere muh se bahar nikla to, mai abhi ke abhi tera muh tod dugi.”
“Tu janta bhi hai ki, yadi mohini aunty ki ye baat sahi nikalti hai to, fir priya se tera kya rishta niklega. Mohini aunty ki is baat ke sahi nikalne ka matalab hai ki, priya teri judwa bahan hai.”
Vaani didi ki is baat ko sunte hi, mai, keerti, mehul, barkha didi aur mohini aunty chauk kar rah gaye. Lekin chhoti maa, anu mausi, richa aunty aur nisha bhabhi ke chehre ke bhav kuch alag hi the. Jinhe mai samajh nahi pa raha tha.
Mere samne meri jindgi ke ek aise raz ka khulasa hua tha. Jiski kalpna maine kabhi apne sapne me bhi nahi ki thi. Mere sath ye sab kuch itna achanak hua tha ki, mai kuch bhi samajh nahi pa raha tha aur kisi sadme ki haalat me sa, vaani didi ko dekhe ja raha tha.
______________________________
Wow very very beautiful updateKo To Rok Lo {Update - 204}
____________________________
Mai abhi itna hi bol paya tha ki, chatakkk ki aawaj ke sath meri bolti band ho gayi. Mere gaal par vaani didi ka ek jordar tamacha pad tha. Jiske padte hi, mere sath sath, baki sab bhi vaani didi ko dekhne lage.
Wo bahut hi jyada gusse me mujhe ghoor rahi thi. Unko itne gusse me dekh kar, ek pal ke liye to, mai bhi saham gaya. Wahin vaani didi ne mujh par apna gussa utarte huye kaha.
Vaani didi boli “tere muh me jo kuch bhi aata hai, bina soche samjhe bakta chala jata hai. Ab yadi priya ke liye ek bhi galat shabd tere muh se bahar nikla to, mai abhi ke abhi tera muh tod dugi.”
“Tu janta bhi hai ki, yadi mohini aunty ki ye baat sahi nikalti hai to, fir priya se tera kya rishta niklega. Mohini aunty ki is baat ke sahi nikalne ka matalab hai ki, priya teri judwa bahan hai.”
Vaani didi ki is baat ko sunte hi, mai, keerti, mehul, barkha didi aur mohini aunty chauk kar rah gaye. Lekin chhoti maa, anu mausi, richa aunty aur nisha bhabhi ke chehre ke bhav kuch alag hi the. Jinhe mai samajh nahi pa raha tha.
Mere samne meri jindgi ke ek aise raz ka khulasa hua tha. Jiski kalpna maine kabhi apne sapne me bhi nahi ki thi. Mere sath ye sab kuch itna achanak hua tha ki, mai kuch bhi samajh nahi pa raha tha aur kisi sadme ki haalat me sa, vaani didi ko dekhe ja raha tha.
Mai apni jindagi ke ek aise sach se samna kar raha tha. Jis par yakin karna mere liye itna aasan nahi tha. Lekin mere aas pas is samay jo kuch ghat raha tha, use itni aasani se jhuthlaya nahi ja sakta tha.
Mohini aunty ki baat se mai itna to samajh chuka tha ki, hospital me un ne jis aadmi ki apni mardangi dikhane wali baat suni thi, wo koi dusra nahi, balki mera kamina bap hi tha.
Kyoki apni aulad ke kho jane par bhi, uske liye dukh manane ki jagah apni mardangi ki shokhiyan bagharne jaisi nich harkat mere bap ki jagah koi dusra insan nahi kar sakta tha.
Ye baat dimag me aate hi, maine is baat ki sacchai janne ke liye palat kar chhoti maa ki taraf dekha. Is samay unki najar mujh par hi tiki huyi thi. Lekin jaise hi maine unki taraf dekha, un ne apne sar ko jhuka liya.
Unki aankhon me is samay nami aur chehre par pareshani saaf dekhi ja sakti thi. Shayad wo is baat ke is tarah se khul jaane ki vajah se is sab ka samna karne ke liye khud ko taiyar nahi kar pa rahi thi.
Unhe shayad is baat ka dar sata raha tha ki, ab is baat ke khul jaane se pata nahi kya kya sawal karuga. Mai unki kisi pareshani ko badana nahi chahta tha. Isliye maine apne man ke har sawal ko apne man me hi dabaye rakhna thik samjha aur chhoti maa ke pas aate huye kaha.
Mai bola “chhoti maa, aapne suna ki, vaani didi kya kah rahi hai. Ye kah rahi hai ki, priya bhi aapki beti hai. Yadi inki baat sahi nikli to, aap usko kaise sambhalegi. Wo to hum sabse jyada shararti hai.”
Meri ye baat sunte chhoti maa ki aankhon ki nami aansuon me badal gayi. Un ne mujhe apne seene se laga liya aur fut fut kar rona suru kar diya. Unke ye aansu kisi dukh ke nahi, balki is khushi ke the ki, unka beta unko samajhne laga hai.
Magar ye haal sirf chhoti maa ka nahi tha. Is samay waha khade sabki aankhen aansuon se bhigi huyi thi. Un ne mere pas aakar, mere mathe chumte huye chhoti maa se kaha.
Richa aunty boli “sonu, humara beta sach me bahut bada ho gaya hai. Ye ab sab kuch samajhne laga hai. Tujhe ab iski fikar karne ki jara bhi jarurat nahi hai.”
Ye kahte huye, un ne bhi mujhe apne gale se laga liya. Mai thodi der aunty se milta raha. Fir maine chhoti maa se kaha.
Mai bola “chhoti maa, humari baten to, bad me bhi hoti rahegi. Abhi nisha bhabhi ka mumbai wapas lautna bahut jaruri hai. Hume inke jaane ka intejam kar dena chahiye.”
Meri baat sunkar, chhoti maa ne fauran hi, nisha bhabhi se kaha.
Chhoti maa boli “aap log chinta mat kijiye. Mai abhi hi aap logon ki wapsi ki ticket karwa deti hu.”
Magar vaani didi ne chhoti maa ki is baat ko kaatte huye kaha.
Vaani didi boli “mausi, aapko inki ticket ke liye pareshan hone ki jarurat nahi hai. Ab mai bhi mumbai ja rahi hu. Ye log mere sath hi chali jayegi. Aap yadi mere sath chalna chahti hai to, befikar hokar chal sakti hai. Anu mausi aur richa mausi milkar, yaha chanda mausi ka khayal rakh legi.”
Vaani didi ki is baat ki sahmati, anu mausi aur richa aunty ne bhi de di. Jiske bad chhoti maa vaani didi ke sath jaane ko taiyar ho gayi. Chhoti maa ke mumbai jaane ki baat sunte hi, keerti ne bhi fauran bich me kudte huye kaha.
Keerti boli “mausi yadi aap mumbai jayegi to, fir mai bhi aapke sath mumbai chalugi. Warna mai aapko bhi mumbai nahi jaane dugi.”
Keerti ki ye baat sunte hi, mai use ghoor kar dekhne laga. Lekin us par mere is ghurne ka koi farak nahi pada aur wo ulta mujhe hi ghoor kar dekhne lagi. Wahin dusri taraf chhoti maa ne use samjhate huye kaha.
Chhoti maa boli “nahi, abhi teri tabiyat sahi nahi hai. Aisi haalat me mai tujhe apne sath mumbai nahi le ja sakti.”
Chhoti maa ki baat sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi aur mai keerti ko chidate huye dekhne laga. Lekin wo abhi bhi mumbai jaane ki jid par adi huyi thi. Keerti ko mumbai jaane ki jid karte dekh, nisha bhabhi ne chhoti maa se kaha.
Nisha bhabhi boli “aunty, mujhe lagta hai ki, keerti ko piliya hua hai. Yadi mera ye andaza sahi hai to, aap befikar hokar ise apne sath mumbai le chal sakti hai. Iske piliya ko puri tarah se thik karne ki jimmedari meri hai.”
Nisha bhabhi ki baat sunkar, chhoti maa use bhi apne sath le chalne ko taiyar ho gayi aur mai muh bana kar keerti ko dekhne laga. Sabke mumbai jaane ki baat ko sunkar, mohini aunty ne kuch sankoch sa karte huye vaani didi se kaha.
Mohini aunty boli “vaani beta, kya mai bhi tum logon ke sath mumbai chal sakti hu.”
Mohini aunty ki is baat ke jabab me vaani didi ne muskurate huye, unse kaha.
Vaani didi boli “aunty, isme puchhne wali kya baat hai. Aap bhi humare sath mumbai chal sakti hai. Lekin aap apne chalne ki taiyari jaldi kar lijiye. Kyoki hume abhi hi yaha se nikalna hai.”
Abhi vaani didi ki mohini aunty se baat chal hi rahi thi ki, tabhi fir se mera mobile bajne laga. Maine mobile dekha to, nikki ka call aa raha tha. Mere call uthate hi, nikki ne rote huye kaha.
Nikki boli “wo priya… pata nahi priya ko kya ho gaya hai. Wo kisi se baat nahi kar rahi hai. Plz tum jaldi yaha aa jao. Hum sab yaha bahut pareshan hai.”
Nikki ka rona sunkar, meri aankhon me bhi nami chhane lagi. Fir bhi maine khud ko sambhalte huye, nikki se kaha.
Mai bola “tum ro mat, humari priya ko kuch bhi nahi hoga. Wo jaldi hi thik ho jayegi.”
Lekin nikki par meri is baat ka koi asar nahi pada aur usne fir se rote huye kaha.
Nikki boli “mujhe ye sab nahi sunna. Mai ye sab sunte sunte thak gayi hu. Plz tum fauran yaha aa jao. Mujhe pura yakin hai ki, tumhare uske pas rahne se wo jaldi hosh me aa jayegi.”
Nikki ko is tarah rote dekh kar, mera hausla jabab de raha tha. Fir bhi maine khud par kabu paane ki kosis karte huye nikki se kaha.
Mai bola “haan, haan, tum chinta mat karo, mai fauran hi waha aa raha hu. Humari priya ko kuch bhi nahi hoga.”
Magar itna kahte hi, meri aankhon ke samne priya ka chehra ghoom gaya. Ek taraf priya ke muskurate huye chehre ne aur dusri taraf nikki ke lagatar rone ki aawaj ne mujhe tod kar rakh diya tha.
Meri aankhon se aansuon ka samundar bah nikla aur mujhse nikki se iske aage kuch bhi kahte nahi bana. Meri is haalat ko dekhte hi, nisha bhabhi ne mujhse mobile le liya aur wo nikki ko samjhane lagi.
Wahin dusri taraf barkha didi ne mujhe apne kandhe se laga kar, mujhe dilasa dete huye kaha.
Barkha boli “mere bhai, us ladki ne hanste hanste bahut bade bade dard sahe hai. Aise me ye dard uska kuch bhi nahi bigad payega. Yakin rakho, wo jaldi hi thik ho jayegi.”
Barkha didi ki is baat se mujhe thoda hausla mila aur maine apne aansu ponchh liye. Lekin ab bhi meri aankhon me priya ka chehra ghum raha tha.
Mai fauran hi priya ke pas jaana chahta tha.
Magar chanda mausi ko aisi haalat me chhod kar jaane ko bhi mera dil ganwara nahi kar raha tha. Udhar nisha bhabhi ne nikki ko samjhane ke bad, call rakhte huye mujhse kaha.
Nisha bhabhi boli “mujhe lagta hai ki, tumhe bhi humare sath, mumbai chalna chahiye. Tumhare waha hone se sabko hausla milega.”
Lekin maine nisha bhabhi ke sath mumbai jaane se mana karte huye kaha.
Mai bola “bhabhi, priya ka khayal rakhe ke liye to, wahan bahut se log hai aur ab chhoti maa bhi wahan ja rahi hai. Magar yahan chanda mausi hosh me aate hi, mujhse aur chhoti maa se milna chahegi.”
“Ab chhoti maa ke yahan na rahne par, mera chanda mausi ke pas rahna bahut jaruri ho gaya hai. Wo mere parivar ka ek hissa hai aur mai unko aisi haalat me akela chhod kar, nahi ja sakta.”
Meri is baat ke samarthan me chhoti maa ne bhi nisha bhabhi se kaha.
Chhoti maa boli “ye thik hi kah raha hai. Chanda mausi se bhale hi humara koi rishta na ho, lekin fir bhi wo humare parivar ka ek hissa hi hai. Mai to iski jindgi me bahut bad me aayi hu. Lekin chanda mausi iske janam se hi iske sath hai.”
“Jab ise sambhalne wala koi nahi tha. Tab wo hi ek maa ki tarah hi iska khayal rakhti thi aur aaj jab iske pas iska khayal rakhne ke liye hum sab hai, tab bhi wo ek maa ki tarah hi iska khayal rakh rahi hai. Hum sab unhe, ghar ke kisi bade bude ki tarah hi, pyar aur samman dete hai.”
“Jis tarah is samay priya ke parivar ka uske pas rahna jaruri hai. Usi tarah chanda mausi ke parivar ka bhi unke pas rahna jaruri hai. Isliye jab tak mai mumbai se wapas nahi aa jaati, tab tak ye aur iski dono bahne yaha chanda mausi ke pas rah kar, unka khayal rakhege.”
Chhoti maa ki is baat ko sunkar, nisha bhabhi ne bhi mere yahi rukne ki baat par sahmati de di. Jis samay humari ye baat chal rahi thi. Us samay vaani didi mumbai jaane ki taiyari kar rahi thi.
Humhari baat khatam hote hi, un ne chhoti maa, keerti aur mohini aunty se apne chalne ki taiyari karne ke liye kah diya. Jiske bad, chhoti maa keerti ke sath aur mohini aunty mehul ke sath ghar chali gayi.
Vaani didi ne keerti se apne kamre se unka saman bhi le aane ko jata diya tha. Unke jaane ke bad, vaani didi ki nisha bhabhi aur barkha didi se baat chalti rahi. Kuch hi samay bad, chhoti maa, keerti aur mohini aunty wapas aa gayi.
Mohini aunty ke sath nitika bhi thi. Wo priya ki tabiyat ki vajah se bahut pareshan lag rahi thi. Usne vaani didi se unke sath mumbai chalne ki baat puchhi to, vaani didi ne use bhi sath chalne ke liye haan bol diya.
Iske bad, hum sab airport ke liye nikal gaye. Mujhe keerti ke mumbai jaane ki baat par bahut gussa aa raha tha. Lekin pata nahi, use mumbai jaane ki kaisi dhun chadi thi ki, wo mere gusse ki koi parwah nahi kar rahi thi.
Usne mujhse mumbai wali sim bhi le li thi aur mumbai pahuch kar usi se baat karne ki baat kah rahi thi. Mai uske jaane se khush to nahi tha, lekin uski khushi ke liye, mai use hanste hanste mumbai ke liye vida kar raha tha.
Khair 8:30 baje unki flight ka samay ho gaya aur sab humse vida lekar flight ki taraf bad gaye. Unki flight ke chhutte hi, mai aur mehul, ami nimi ke sath wapas hospital aa gaye.
Nisha bhabhi aur barkha didi ko to, wapas jaana hi tha. Lekin unke sath sath, chhoti maa, vaani didi aur keerti ke bhi chale jaane ki vajah se mujhe bahut khali khali sa lag raha tha.
Jabki vaani didi ke chale jaane se mehul bahut hi jyada khush najar aa raha tha. Usne hospital wapas aate hi, richa aunty se kaha.
Mehul bola “mummy, nisha bhabhi ne kaha hai, chanda mausi ko der raat ko hi hosh aayega. Isliye aap log ami nimi ko lekar ghar chali jaiye aur hum dono ke khane ke liye kuch ko bhej dijiyega.”
Richa aunty ko mehul ki ye baat sahi lagi aur un ne mehul se kaha.
Richa aunty boli “tu thik kahta hai. Ami nimi din bhar se pareshan ho gayi hai. Mai abhi inko lekar ghar chali jati hu aur inhe subah jaldi lekar aa jaugi. Punnu bhi humare sath ghar jakar hi khana kha lega.”
Richa aunty ki baat sunkar, mehul ne bhi unki baat ki sahmati dete huye kaha.
Mehul bola “thik hai, aap ise apne sath le jaiye aur mere liye khana yahi bhej dijiyega.”
Mehul ki is baat ko sunkar, richa aunty ne use dhamakte huye kaha.
Richa aunty boli “vaani tera khana kal subah tak ke liye band karke gayi hai. Yadi tune kal subah ke pahle kuch bhi khane ki kosis ki to, mai vaani ko teri sikayat kar dugi. Tujhe kal ke pahle kuch bhi khane ko nahi milega.”
Richa aunty ki ye baat sunte hi, mehul ki saari khushi gayab ho gayi. Wo richa aunty ko manane ki kosis karne laga. Lekin un ne mehul ki koi bhi baat nahi suni aur mujhe apne sath lekar ghar aa gayi.
Humare sath sath anu mausi bhi khana khane aayi thi. Unhe raat ko chanda mausi ke pas hi rukna tha. Isliye wo apne ghar nahi gayi thi. Hum richa aunty ke ghar pahuche to, waha par uncle ke pas kamal ke sath sath shilpa bhi thi.
Shilpa ko itne samay waha dekh kar, jitni hairani mujhe ho rahi thi, utni hi hairani richa aunty aur anu mausi ko bhi ho rahi thi. Lekin kamal ne humari is hairani ko door karte huye, richa aunty se kaha.
Kamal bola “aunty, shilpa didi aaj raat ko nitika didi ke pas ruk kar padne aayi thi. Magar nitika didi yaha thi to, ye bhi yaha chali aayi. Ye dono mil kar, humara khana taiyar kar rahe the ki, tabhi mehul bhaiya aa gaye.”
“Un ne aakar nitika didi ko priya ki tabiyat aur unki mummy ke mumbai jaane ki baat batayi to, nitika didi bhi mumbai jaane ki jid karne lagi. Jiske bad mehul bhaiya ne unse chalne ki taiyari kar lene ko kaha aur nitika didi apne ghar chali gayi.”
“Jab nitika didi apni mummy aur mehul bhaiya ke sath hospital jaane lagi to, wo shilpa didi se humara khana taiyar karne ki baat kah gayi thi. Jis vajah se ye khana taiyar karne yahi ruk gayi thi.”
“Humara khana taiyar karne ke bad, ye akeli hi ghar jaane lagi to, maine inko rok liya tha. Maine inse kaha tha ki, jab koi ghar wapas aa jayega to, mai inko inke ghar chhod aauga.”
Itna bol kar kamal chup ho gaya. Lekin uske ek hi saans me itni lambi chaudi baat bol jaane se, mai itna to samajh gaya tha ki, iske pichhe bhi mehul ka hi hath hai. Wo bas thodi der ke liye hi, ghar aaya tha.
Magar usne us thodi hi si der me kamal ko sab kuch samjha diya tha aur shilpa ka bhi uske ghar ki rasoi me pravesh karwa kar, ghar walon ke dil me ghar banane ka rasta khol diya tha.
Ab jab usne itna kar diya tha to, rahi sahi kasar maine bhi puri kar dene ki baat sochi aur shilpa se kaha.
Mai bola “aap to apne ghar se aaj raat ko nitika ke ghar rukne ka bol kar aayi thi aur ab raat bhi jyada ho gayi hai. Yadi aapka ghar wapas lautna jaruri na ho to, aap aaj raat ko yahi ami nimi ke pas ruk jaiye. Ye dono aaj yahi rahne wali hai.”
Meri ye baat sunte hi, kamal ne fauran meri haan me haan milate huye kaha.
Kamal bola “haan didi, aap yahi ruk jaiye. Mai subah aapko ghar chhod duga.”
Meri aur kamal ki baat sunkar, shilpa uncle aunty ki taraf dekhne lagi. Jab uncle ne bhi us se yahi ruk jaane ki baat kahi to, wo iske liye taiyar ho gayi. Iske bad, aunty log khana lagane lagi.
Hum sabne sath mil kar khana khaya. Khana khane ke bad, maine ami nimi ko kuch jaruri baten samjhayi aur fir mai anu mausi ke sath wapas hospital ke liye nikal gaya.
Hum log jab hospital pahuche to, mehul maje se apne dost atul ke sath baitha khana khane me laga tha. Atul wo hi ladka tha, jo mere accident ke samay, mehul ke sath, mujhe aur keerti ko lene aaya tha. Mehul ko atul ke sath khana khate dekh kar, mujhe laga ki, atul hi mehul ke liye khana lekar aaya hai. Ye dekhte hi, maine atul se kaha.
Mai bola “tumne iske liye khana lakar, bahut badi musibat mol li hai. Yadi vaani didi ko ye baat pata chal gayi to, wo iske sath sath tumhari khatiya bhi khadi kar degi.”
Meri baat sunte hi, khana khate khate, atul ke hath ruk gaye aur usne safayi dete huye kaha.
Atul bola “mai kaha iske liye khana laya hu. Mai to bas is se milne aaya tha. Ye khana kha raha tha aur isne mujhse khana khane ko kaha to, mai bhi iske sath khane ke liye baith gaya.”
Mai bola “to fir ye khana kaun lekar aaya.”
Meri baat sunkar, humare pas khade pritam ne kaha.
Pritam bola “ye khana mai lekar aaya tha. Vaani madam jaati samay bol kar gayi thi ki, unke gusse ki vajah se yadi aunty mehul ko khana khane se mana kar de to, mai isko khana lakar de du.”
Pritam ki baat sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine pritam se kaha.
Mai bola “humari vaani didi bhi kamal hai. Ek taraf khud hi ise khana khane se mana kiya tha aur dusri taraf khud hi ise khana dene ki bhi bol kar gayi hai.”
Meri baat sunkar, pritam ne kaha.
Pritam bola “madam ne mehul ke hospital me rahne ki vajah se hi, aakhiri samay me iski ye saza maaf kar di hai. Warna wo aisa karne ke mood me bilkul nahi lag rahi thi.”
Mai bola “hum logon ka khana to ho gaya hai. Lekin aapke khane ka kya hua.”
Pritam bola “mai to apne ghar jakar hi khana khauga. Abhi kuch der me vishwa aa jayega. Uske aate hi, mai ghar chala jauga.”
Pritam se itni baat karne ke bad, mai chanda mausi ko dekhne andar chala gaya. Chanda mausi ko abhi bhi hosh nahi aaya tha. Thodi hi der bad, anu mausi aa gayi to, mai uth kar bahar aa gaya.
Bahar aane ke bad, maine sabse alag thalag jakar, nikki ko call laga diya. Nikki ke call uthate hi, maine use nisha bhabhi ke sath, chhoti maa, vaani didi aur keerti ke aane ki baat batane laga.
Lekin jab use mere na aane ki baat pata chali to, wo mujh par gussa hone lagi aur usne isi gusse me call riya ko pakda diya. Maine riya se priya ka haal chal puchha aur use bhi chhoti maa aur keerti ke waha aane ki baat bata di.
Iske bad meri raj se thodi bahut baat huyi aur fir raj ne wapas nikki ko call thama diya. Maine apne waha na aa pane ki baat par nikki ko apni safayi dena chaha. Lekin usne mujhe koi safayi dene ka mauka diye bina hi call rakh diya.
Mai nikki ki is narajgi ko achi tarah se samajh sakta tha. Wo is baat ko lekar naraj thi ki, priya mujhe apni jaan se bhi jyada pyar karti hai aur mai uski aisi haalat ki baat sunkar, bhi uske pas nahi aaya.
Lekin wo is hakikat se anjan thi ki, mai sirf priya ka pyar hi nahi, balki uska bichhda hua judwa bhai bhi hu. Magar is wakt mere liye priya se jyada chanda mausi ke pas rahna jaruri tha.
Kyoki priya ke pas to, is samay uska saara parivar tha. Lekin chanda mausi ke liye to, unka saara parivar mai hi tha. Un ne ek maa ki tarah sirf meri dekh bhal hi nahi ki thi, balki aaj meri taraf badne wali maut ko bhi apne upar le liya tha.
Mai unki mamta ke is karz ko to, kabhi nahi chuka sakta tha. Lekin is samay unke pas rah kar, ek bete ka farz to nibha hi sakta tha. Yahi vajah thi ki, mai chahte huye bhi priya ke pas nahi ja paya tha.
Lekin mere priya ke pas na jaane ka ye matlab hargij nahi tha ki, mujhe priya ki fikar bilkul bhi nahi thi. Priya ko lekar is wakt mere dil me ek aisa dard tha, jise mai chah kar bhi kisi ke samne bayan nahi kar pa raha tha.
Jab se mujhe pata chala tha ki, priya meri bahan hai. Tab se mai kisi ke samne dil khol kar, priya ki is haalat par ro bhi nahi pa raha tha. Mujhe apne dard se jyada, mere apno ka dard mehsus hone laga tha.
Ek tarah se priya khud to besudhi ki nind me soyi huyi thi. Lekin wo apni jhuthi muskan, apni dard chhupane ki aadat mujhe de gayi thi. Mere andar jo baat baat par ro dene wala chhota sa baccha tha, wo na jaane kaha kho gaya tha.
Aaj bhale hi meri aankhon me aansu nahi the. Lekin aaj mai mehsus kar pa raha tha ki, priya apne muskurate huye chehre ke pichhe kitna jyada dard chhupa kar rakha karti thi.
Priya ka chehra baar baar meri aankhon ke samne ghoom raha tha aur mere uske pas na jaane ki vajah se, jo dard mujhe ho raha tha, us dard ka aehsas nikki to kya koi bhi nahi kar sakta tha.
Mai apni yahi haalat nikki ko batana chahta tha. Magar usne mujhe apni koi baat kahne ka mauka hi nahi diya tha. Mai nikki se jara bhi naraj nahi tha. Lekin priya ke liye pareshan jarur tha.
Meri isi pareshani ne mujhe mere dil ki baat nikki se kahne par majbur kar diya aur maine jindagi me pahli baar apne dil se kuch likh kar nikki ko bhej diya.
Mera Sms “Aaj Acchi Si Koi Saza Do Mujhe.Chalo Aisa Karo Aaj Rula Do Mujhe.Usko Bhoolu To Maut Aa Jaye Mujhe.Apne Dil Ki Gahrayi Se Ye Dua Do Mujhe.”
Nikki ko Sms bhejne ke bad, mai aankh band karke baith gaya aur priya ki baton ko yaad karne laga. Thodi hi der bad, mere pas nikki ka Sms aa gaya.
Nikki ka Sms “Ek Parinde Ka Dard Bhara Fasana Tha.Tute The Pankh Aur Udte Huye Jana Tha.Toofan To Jhel Gaya Par Hua Ek Afsos,Wahi Daali Tooti Jispe Uska Ashiyana Tha.”
Ye Sms mujhe nikki ne bheja tha. Lekin is Sms me mujhe priya ka chehra aur uski bebasi najar aa rahi thi. Priya ki bebasi aur uske dard ko mehsus karte hi, mai chah kar bhi, apni aankhon ko chhalakne se na rok saka aur meri aankhon se aansuon ki barsat hone lagi.
______________________________
3-4 update nahi sirf 2 update taki, ami ki baat ek sath aapke samne aa sake aur juhi ke baare me bhi kuch janne ko mil sake. Ummid hai ki, dono update aapko pasand aayege.Ye kya hai ek sath 3-4 uodaye ka plan hai kya


ZabardastKo To Rok Lo {Update - 0255}____________________________Mehul ki ye halat dekh kar, shilpa, keerti aur neha hasne lagi. Wahi ami nimi maje se gulab jamun khane me lagi thi. Ye dekh kar chhoti maa ne mehul se kaha.Chhoti maa boli “tu chinta mat kar, mai tere liye dher saare gulab jamun bana dugi.”Chhoti maa ki ye baat sunkar, mehul bhi khush ho gaya. Abhi hum sab ki ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi chhoti maa ka mobile bajne laga. Ye dekh kar keerti fauran chhoti maa ka mobile lene chali gayi. Keerti ne chhoti maa ko unka mobile thamate huye kaha.Keerti boli “mausi, vaani didi ka call aa raha hai.”Keerti ki ye baat sunte hi chhoti maa ne keerti ke hath se mobile liya aur fauran hi vaani didi ka call uthate huye kaha.Chhoti maa boli “hello, vaani tu kaisi hai. Mumbai me ye sab kya chal raha hai. Hume teri chinta ho rahi hai.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne unhe samjhate huye kaha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, mai bilkul thik hu. Aap meri jara bhi chinta mat kijiye. Mai jaldi hi apna kaam pura karke wapas aa jaugi.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne thoda ghabrate huye kaha.Chhoti maa boli “ye tera kaun sa kaam chal raha hai. Mujhe bhi to bata. Yaha Mumbai ke haalat sun sun ke humara dil dara ja raha hai.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, aap jara bhi mat dariye. Mumbai ke saare haalat mere kabu me hai. Aap kisi bhi apwah par mat jaiye. Mai Mumbai inhi aatankwadiyon aur Mumbai mafiya ka safaya karne aayi hu. Aap yakin rakhiye mai apna kaam jaldi hi pura karke aaugi.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.Chhoti maa boli “vaani, mujhe sach sach bata ye chal kya raha hai. Tu Mumbai kya karne gayi hai. Kya ami sach kah rahi thi.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne hanste huye kaha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, aap sach me bahut bholi ho. Meri jasus bahan ne meri saari pol aapke samne to, khol ke rakh di thi ki, ab mai ek raw officer hu. Fir aapko chinta karne ki kya jarurat hai. Mai jaldi hi apna kaam nipta kar aati hu. Tab tak aap aaram se juhi ki shadi me jaiye aur yaha par kisi baat ki chinta mat kijiye.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne thoda pareshan hote huye kaha.Chhoti maa boli “lekin yaha par Mumbai ki koi news tak nahi aa rahi hai. Isliye hum sab yaha pareshan chal rahe hai.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne unhe samjhate huye kaha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, aap chinta mat karo, maine kaha na ki Mumbai me sab mere kabu me hai. Maine hi yaha aate hi, saare news channel par ye lagam laga di thi ki, koi bhi news channel Mumbai ka live coverage nahi karega.”)(“Kyoki jo news aap kog dekh rahe hoge, wahi news aatankwadi aur Mumbai mafiya ke log bhi dekh rahe hoge. Is se unhe humare saari karyawahi ki jaankari hoti rahti. Isliye aaj saare news channel band kar diye gaye hai.”)(“in news channel me itni samajh hi nahi hai ki, kya khabar dikhani chahiye aur kya khabar nahi dikhani chahiye. Isliye is baar maine inhe bhi sabak sikha ke rakh diya hai. Ye sab apni news dikhane ke liye bhatak rahe hai.”)(“mai isiliye kah rahi hu ki, aap kisi bhi apwah par viswas mat kijiye, yaha Mumbai me sab mere kabu me hai. Mai koi raw ki sadharan undercover agent nahi hu, balki desh ki sabse badi raw officer hu aur raw ke saare undercover agent mere hath ke niche kaam kar rahe hai.”)(“isliye aap puri tarah se nishchint rahiye aur news channel ki kisi bhi bakwas par yakin mat kijiye. Unke pas dikhane ke liye koi bhi news nahi hai. Abhi desh par khatra mandra raha hai. Isliye Unke saare adhirkar abhi samapt chal rahe hai.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne thoda ghabrate huye kaha.Chhoti maa boli “vaani, tu ye sab bekar ke kaam kyo apne jimme le leti hai. Tu nahi janti ki, teri in sab harkaton ki vajah se hume teri kitni chinta hoti hai.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani boli “……………..” (“mausi, apne parivar ke liye ye sab karna hi padta hai. Aap janti hai ki, mere bhai, bahan mujh par kitna naaz karte hai. Us par jab meri naukri gayi to, unhe is baat ka kitna dukh tha. Un ne is baat ko lekar mujhe kitni baten sunayi.”)(“mujhe unke liye ye naukri karna hi thi. Ab naukri ki hai to, fir wo kaam kyo nahi karti, jis se mere bhai bahan mujh par naaz kar sake. Aap chinta mat kijiye, mujhe kuch nahi hoga. Mai jaldi hi apna kaam khatam karke wapas aa jaugi. Ab aap ye bataiye ki, juhi ki shadi me shamil hone ke liye aap log kab nikal rahi hai.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne vaani didi ki baat ka jabab dete huye kaha.Chhoti maa boli “hum sab ka sham ko yaha se nikalna tay hai. Anu didi aur chanda mausi bas waha nahi ja rahi hai. Isliye anu didi yaha ghar par chanda mausi ke sath hi rahegi.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne chaukte huye puchha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, chanda mausi ka to, mujhe pata hai ki, wo apni tabiyat ki vajah se waha nahi ja sakegi. Lekin anu mami aap logon ke sath kyo nahi ja rahi hai.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.Chhoti maa boli “anu didi ko juhi ke sasural wale pasand nahi aaye hai, isliye wo shadi me nahi ja rahi hai. Un ne iske liye geeta se pahle hi mana kar diya tha.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani didi boli “……………..” (“achchha mausi, ab mujhe call rakhna hoga. Mujhe jaise hi dobara mauka milega, mai aapko fir call lagaugi. Aap meri atarf se nishchint rahiye.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.Chhoti maa boli “thik hai vaani, apna khayal rakhna.”Vaani didi boli “……………..” (“ji mausi, ab mai call rakhti hu.”)Ye kahte huye vaani didi ne call rakh diya. Vaani didi ke call rakhne ke bad chhoti maa hum sabko vaani didi se huyi baten batane lagi. Chhoti maa se vaani didi ke desh ki sabse badi raw officer banne ki baat sunkar hum sabko bahut khushi huyi.Ami nimi ye baat sunkar khushi se fuli nahi sama rahi thi. Chhoti maa ne ami nimi ko ye bhi bataya ki, wo dono vaani ko tv me dekhne ke liye tv ke samne na baithi rahe. Vaani ne sabhi news channel ke live coverage par rok laga kar rakhi huyi hai. Isliye abhi tv me Mumbai ki koi bhi news nahi aayegi.Hume chhoti maa ki ye baat sunkar thoda hairani huyi. Kyoki Mumbai ki news to hum bhi dekhna chahte the. Tab chhoti maa ne hume vaani didi ke aisa karne ka matlab samjhaya. Jo hume bhi sahi laga.Hum chhoti maa se vaani didi ke baare me abhi aur baat karna chahte the. Lekin chhoti maa ne hum sabko samjhate huye kaha.Chhoti maa boli “sham ko hume juhi ki shadi ke liye nikalna hai. Isliye ab tum log apne shadi me jaane ki taiyari puri kar lo.”Chhoti maa ki ye baat hume bhi sahi lagi. Chhoti maa ki baat sunne ke bad, maine mehul se kaha.Mai bola “kya, teri juhi didi ki shadi me jaane ki taiyari ho gayi hai.”Mehul bola “haan, meri shadi me jaane ki saari taiyari hai. Vaani didi ne humare liye jo shopping ki thi. Usme mere bhi kapde the. Maine wahi shadi me pahanne ke liye rakh liye hai.”Mehul ki baat sunkar, mai use dekhta rah gaya. Mehul sahit sabhi ki shadi me jaane saari taiyari ho chuki thi aur abhi maine ek rumal tak ki taiyari nahi ki thi. Mujhe is tarah mehul se shadi ki taiyari ki baat karte dekh kar keerti ne kaha.Keerti boli “tumhare shopping ke kapde ami nimi ne tumhare kamre me rakh diye the. Kya wo tumhe mile nahi.”Keerti ki baat sunkar, maine us se kaha.Mai bola “mere kamre me to, mujhe koi kapde najar nahi aaye.”Meri baat sunkar, keerti ne ami nimi se puchha.Keerti boli “ami nimi, tumne shopping wale punnu ke kapde kya punnu ke kamre me nahi rakhe hai.”Keerti ki baat sunkar, ami ne kaha.Ami boli “nahi didi, bhaiya ke wo kapde humare kamre me rakhe hai.”Ami ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “acha thik hai, tum wo kapde punnu ke kamre me pahucha do.”Keerti ki baat sunkar, ami ne kaha.Ami boli “thik hai didi, hum abhi wo kapde bhaiya ke kamre me pahucha de rahe hai.”Ye kah kar ami nimi upar apne kamre me chali gayi. Ami nimi ke apne kamre me jaane ke bad, shilpa ne keerti se kaha.Shilpa boli “keerti ab mujhe ghar jana chahiye. Ghar me mummy mera rasta dekh rahi hogi.”Shilpa ki baat sunkar mehul ne us se pcuhha.Mehul bola “kya tumne abhi tak apne ghar phone laga kar bataya nahi hai ki, aaj tumhari jaldi chhutti ho gayi hai aur tum yaha par ho.”Mehul ki baat sunkar, shilpa ne kaha.Shilpa boli “maine mummy ko call laga kar bata diya tha ki, aaj humare school ki jaldi chhutti ho gayi hai. Mai yaha par keerti aur ami nimi ke sath unke ghar par hu. Mai 12 baje tak ghar wapas aa jaugi.”Shilpa ki baat sunkar, mehul ne kaha.Mehul bola “haan, 12 to baj gaya hai. Ab tumhe apne ghar nikalna chahiye. Tum aisa karo, keerti ke sath apne ghar chali jao. Keerti tumhe tumhare ghar chhod degi.”Mehul ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “tum chinta mat karo. Mai shilpa ko uske ghar chhod aaugi.”Ye kahte huye keerti ne chhoti maa ko jataya ki, wo shilpa ko iske ghar chhodne ja rahi hai. Fir wo shilpa ke sath ghar ke bahar nikal gayi. Keerti aur shilpa ke jaane ke bad, mehul bhi apne ghar jaane ki baat bol kar apne ghar ke liye nikal gaya.Mehul ke jaane ke bad, mai chhoti maa ko jata kar apne kamre me aa gaya. Mere kamre me ami nimi baithi mere aane ka intejar kar rahi thi. Mujhe kamre me aaya dekh kar ami nimi mujhse shopping wale kapde dekh lene ke liye kahne lagi.Unki baat sunkar, maine shopping wale kapde dekhe. Vaani didi ne mere liye do Jodi kapde liye the aur dono Jodi kapde bahut sundar the. Ami nimi ko wo kapde dikhane ke bad, mai juhi didi ki shadi me jaane ki apni taiyari puri karne me lag gaya.Ami nimi chup chap mujhe shadi me jaane ki taiyari karte dekh rahi thi. Kuch hi der me meri taiyari puri ho gayi to, maine ami nimi ke pas baithte huye kaha.Mai bola “ye lo, meri bhi juhi didi ki shadi me jaane ki taiyari puri ho gayi.”Meri baat sunkar, nimi ne khush hote huye kaha.Nimi boli “haan bhaiya, aapne badi jaldi apni saari taiyari puri kar li.”Nimi ki baat sunkar, mai muskurane laga. Tabhi ami ne mujhse kaha.Ami boli “bhaiya, juhi didi aapko shadi me aaya dekh kar bahut khush hogi. Aap jab Mumbai me uncle ke sath gaye the. Tab juhi didi ki shadi ki baat pakki huyi thi. Juhi didi is shadi ke khilaf thi. Unhe ye shadi karna hi nahi thi.”“Jab unki shadi ki baat pakki huyi to, wo aapko call karke saari baat batana chahti thi. Magar aap Mumbai jaane ke pahel apna mobile number badal chuke the. Juhi didi aapko call laga rahi thi, magar aapka call lag nahi raha tha.”“Juhi didi ko aapka naya mobile number malum nahi tha aur wo samajh rahi thi ki, aap mobile band karke rakhe ho. Geeta aunty unhe shadi ke khilaf dekh kar unhe ghar se nikalne nahi de rahi thi.”“Juhi didi ki shadi pakki hote hi, geeta aunty ye baat batane ghar aayi thi. Us samay richa aunty yahi par thi aur geeta aunty ne anu mausi ko bhi yahi par bula kar hum sab logon ke samne hi juhi didi ki shadi pakki hone ki baat batayi thi.”“Geeta aunty ko juhi didi ki shadi itni jaldi pakki karte dekh, mummy, anu mausi aur richa aunty ke sath sath keerti didi ne bhi geeta aunty ki is baat ka virodh kiya tha. Lekin geeta aunty ne sabko bataya ki, juhi didi ke liye ye rishta papa ne duda hai.”Ami ki is baat ne mere dimag me ek bomb sa fod diya. Mere bap ka kiya hua koi bhi kaam mujhe jara bhi pasand nahi aata tha. Aise me is kaand me bhi apne bap ka hath dekhkar mera dimag ghoom gaya. Fir bhi ami ki baat mai khamoshi se sunta rah gaya. Ami ne apni baat aage badate huye kaha.Ami boli “Us samay papa bhi wahi par the aur un ne kaha ki, geeta ka ye faisla jara bhi galat nahi hai. Isliye tum sab geeta ke is faisle me apni taang mat adao. Geeta ne apni beti ke liye jo faisla liya hai, bilkul sahi liya.”“Papa ki baat sunkar, geeta aunty ne papa se kaha ki, juhi is shadi ke khilaf hai aur punit uska khas hai. Juhi punit se milkar is shadi ke liye bagawat karna chahegi. Lekin punit to is samay Mumbai me hai.“Ye baat juhi ki shadi ke liye bahut achi hai. Mai chahugi ki, punit ko juhi ki shadi pakki hone ki abhi baat pata na chale. Geeta aunty ki ye baat sunkar, papa ne geeta aunty se kaha ki, tum chinta mat karo, inme se koi bhi punit ko is baare me nahi batayega.”“Mai mehul ko bhi call karke kah duga ki, juhi ki shadi ke baare me abhi punit ko kuch pata na chalne de. Tum punit ka mobile number juhi ke mobile se hata dogi to, juhi ki punit se baat bhi nahi ho sakegi.”“Papa ki ye baat sunkar, mujhe gussa aa gaya aur maine papa se kaha ki, bhaiya ne to Mumbai jaane ke pahle naya mobile number liya hai. Wo number shayad juhi didi ke pas nahi hoga.”“Meri baat sunkar, geeta aunty ne khush hote huye kaha, ye to aur bhi achi baat huyi hai. Tum log punit ka naya number juhi ko mat dena. Punit se baat nahi hogi to, kuch hi din wo khud sahi ho jayegi.”“Geeta aunty ki ye baat sunkar, anu mausi ko bhi gussa aa gaya. Un ne geeta aunty se saaf kah diya ki, geeta tumne jo ladka juhi ke liye dekha hai, wo aur uska khandan mujhe jara bhi pasand nahi hai.”“Sath hi mai apne bhatije ki itni jyada burayi nahi sah sakti hu. Isliye mai to juhi ki shadi me shamil nahi ho sakugi. Anu mausi ne keerti didi par bhi gussa karte huye kaha ki, tujhe in sabke sath juhi ki shadi me jana hai to, jam agar is baare me punit se kuch bhi kahne ki jarurat nahi hai.”“Anu mausi ki ye baat sunkar, papa aur geeta aunty ne unhe manane ki bahut koshish ki, lekin anu mausi, juhi didi ki shadi me shamil hone ke liye bilkul bhi taiyar nahi huyi.”“Iske bad geeta aunty juhi didi ki shadi ke baare me saari taiyari ke baare me bata kar aur sabko shadi me aane ke liye jata kar chali gayi. Geeta aunty ke jaane ke bad, papa ne mehul bhaiya ko juhi didi ki shadi pakki hone ke baare me bata diya aur ye baat aapko batane se saaf mana kar diya.”“Iske bad papa office chale gaye. Papa ke chale jaane ke bad, richa aunty ne anu mausi se kaha. Anu tune juhi ki shadi me jaane se mana kyo kar diya. Wo bhi teri beti jaisi hai.”“Richa aunty ki baat sunkar, anu mausi ne kaha ki, unhe geeta ki ye baat pasand nahi aayi ki, wo apni beti ki shadi ki baat humse to bata rahi hai, magar har baat punit se chhupa rahi hai.”“Jabki sab jante hai ki bachpan se juhi sabke samne punit se shadi karne ki baat kaha karti thi. Mai manti hu ki, ab bachche bade ho agye hai aur bachpan ki wo baten ab koi mayne nahi rakhti hai.”“Lekin geeta ko ye bhi nahi bhulna chahiye tha ki, abhi punit mehul ke sath Mumbai gaya hai aur apni jababdari nibha raha hai. Ab wo itna chhota nahi hai ki, bhale bure ko na pehchan sake.”“Aise me yadi wo koi baat juhi ki shadi ke baare me kahta to, sirf juhi se dosti ki naate kahta. Aise me geeta ka punit se ye sab baten chhupana mujhe bura laga hai. Lekin tu yakin kar ki, yadi punit ne Mumbai se aakar juhi ki shadi ke baare me koi lafda kiya aur uski shadi tudwa di to, mujhe is baat ka jara bhi bura nahi lagega.”“Mai apne bhatije ke khilaf nahi ja sakti hu. Isliye maine juhi ki shadi me jaane se mana kar diya. Waise bhi juhi ki shadi tak punit aa hi jayega. Tab mujhe dekhna hai ki, wo apni is dost ke liye kya karta hai.”“Anu mausi ki ye baat sunkar, mummy ne kaha ki, didi punnu Mumbai se aakar bhi juhi ki shadi ko lekar kuch nahi kar payega. Uske papa ko ye sab pasand nahi hai aur mai use uske papa ke khilaf dekhna bhi nahi chahugi.”“Isliye aap log bhi punnu se juhi ki shadi ko lekar kuch nahi kahegi. Us se job hi kahna hoga, mai hi kahugi. Ye kahte huye mummy ne mujhe, nimi aur keerti didi ko bhi dantte huye kaha ki, tum teeno bhi punnu se is baare me koi baat nahi karogi.”“Mummy ki baat sunkar, us samay to, hum logon ne unki haan me haan mila di. Lekin fir iske do din bad juhi didi humare ghar aa gayi. Un ne mummy ko apni shadi pakki hone ke baare me saari baat bata di aur ise tudwane ke liye mummy ki madad mangne lagi.”“Lekin mummy ne unse kah diya ki, geeta aunty ne unke baare me jo socha hai, galat nahi socha hai. Ab tumhari umar shadi layak ho gayi hai. Yadi aise me geeta tumhari shadi jaldi kar dena chahti hai to, kuch bura nahi chahti hai.”“Mummy ki ye baat sunkar, juhi didi se fir iske aage kuch kahte nahi bana. Mummy se baat karne ke bad juhi didi ne keerti didi se kaha ki, wo punnu ka number laga rahi hai, magar uska number lag nahi raha hai.”“Maine mehul ko bhi call kiya tha, lekin usne kah diya wo punnu ke sath hai nahi, isliye wo us se meri baat nahi karwa sakta hai. Maine mehul se punnu ka number manga to, usne mujhe fir wahi number thama diya, jo lag nahi raha tha.”“Kya punnu ne wo number band kar diya hai. Juhi didi ki baat sunkar keerti didi ne bhi juhi didi se jhuth kah diya ki, didi hum sab to punnu se isi number par baat karte hai. Fir aapka number kaise nahi lag raha hai.”“Keerti didi ki baat sunkar, juhi didi se unse bhi kuch kahte nahi bana. Iske bad juhi didi ne mujhse aur nimi se kaha ki, tum dono mujhe apna kamra nahi ghumaogi.”“Juhi didi ki baat sunkar, hum juhi didi ko apna kamra ghumane ke liye apne sath apne kamre me le aaye. Humare kamre me aate hi, juhi didi mujhe aur nimi se lipat kar jor jor se rone lagi.”______________________________