• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Koi To Rok Lo {Update - 001}
_______________________________

Mera naam punit hai. Mai 24 saal ka hun aur meri height 5’7” ft hai. Dekhne me kisi hero ki tarah handsome to nahi hu. Lekin fir bhi itna jarur hai ki, yadi koi ladki mujhe dekhe to, ek baar apne dil me, ye baat jarur sochegi ki, kash ye ladka mera boyfriend hota.

Mai dekhne me aisa hi hu. Apna parichay to mai bad me karwa duga. Sabse pahle mai apne ghar ke un sadasyon ka parichay karwa du. Jinke ird gird meri is kahani ko ghumna hai.

Sabse pahle mai aapka parichay mere ghar ke mukhiya se karata hu. Mere ghar ke sabse pahle sadasya mere papa amarnath roy hai. Unki umar 48 saal hai aur is umar me bhi wo apne aapko bahut maintain karke rakhte hai.

Isliye 48 ke hone ke bad bhi wo bilkul chust durust dikhte hai. Unki is chusti ka raz bhi mujhe bahut bad me pata chala. Jo aapko bhi aage chal kar story me pata chal jayega.

Mere papa ek businessman hai aur unka business dusre sahron me bhi faila hua hai. Jis vajah se hamare yaha paiso ki koi kami nahi hai aur hamara parivar amir parivaron ki ginti me aata hai.

Mere parivar ki dusri sadasya meri maa sunita hai. Unki umar 36 saal hai. Dekhne me wo bilkul shilpa setty ki tarah dikhti hai aur 2 betiyon ki maa hone ke bad bhi badi hi smart personality ki malkin hai.

Ab meri maa ki umar 36 saal aur meri umar 24 saal dekh kar, aapke man me ye sawal jarur aayega ki aisa kaise ho sakta hai. To mai aapko bata du ki, sunita meri sagi maa nahi hai.

Meri sagi maa ka dehant to, tabhi ho gaya tha, jab mai bahut chhota tha. Sunita meri sauteli maa hai aur mai unhe chhoti maa kah kar bulata hu.

Chhoti maa ke bad mere parivar ki teesri sadasya meri sauteli bahan amita hai. Amita abhi 12th me pad rahi hai. Wo bachpan se hi bahut shant swabhav ki aur samajhdar ladki hai.

Amita dekhne me dubli patli hai aur puri tarah se chhoti maa par gayi hai. Wo mujhse kuchh saal chhoti hai. Sab use pyar se ami bulate hai aur mai use pyar se ami ke sath sath betu bhi bulata hu.

Amita ke bad mere parivar ki chauthi sadasya meri sauteli bahan namita hai. Namita abhi 10th me pad rahi hai. Wo bachpan se hi chanchal aur natkhat swabhav ki ladki hai.

Gussa to uski naak par hi baitha rahta hai. Namita dekhne me bhare badan ki ladki hai. Magar moti bilkul nahi hai. Wo mujhse kuchh saal chhoti hai. Sab use pyar se nimi bulate hai aur mai use pyar se nimi ke sath sath chhoti bhi bulata hu.

Mere parivar ka panchwa sadasya mai khud hu. Meri padai puri ho chuki hai aur ab mai apne papa ke sath unka business sambhalta hu. Mujhe sab pyar se punnu bulate hai.

Ye mere chhote se parivar ka parichay tha. Ab mai apni kahani par aata hu. Ye kahani tab suru hoti hai. Jab mai pahli class me padta tha aur meri maa ka dehant huye kuch hi samay hua tha.

Meri dekh bhal mere papa aur mere ghar me kaam karne wali chanda mausi kiya karti thi. Papa ki umar us samay 30 saal rahi hogi. Ek din unke office me ek ladki sunita job ke liye aayi.

Uski umar us samay 18 saal rahi hogi. Papa sunita ko dekhte hi uske roop par mohit ho gaye aur pahli hi mulakat me uske samne job ki jagah, shadi ka prastav rakh diya.

Achanak se papa ki taraf se ye shadi ka prastav pakar sunita ke kuch samajh me nahi aaya. Wo ek madhyam parivar ki ladki thi aur papa ek rahish khandan ke ekloute ladke hone ke sath sath, ek company ke malik bhi the.

Isliye sunita ne thoda bahut sochne ke bad, papa ke shadi ke prastav ko manjur kar liya. Kuch hi dino me papa ki shadi sunita ke sath ho gayi aur sunita meri sauteli maa bankar mere ghar aa gayi.

Unki shadi ke 1 saal bad meri sauteli bahan amita aur 3 saal bad namita ka janam hua. Lekin ye kahani amita aur namita ke janam se bhi pahle, papa ki shadi ki pahli raat se suru hoti hai.

Us samay papa ki umar 30 saal aur sunita ki umar 18 saal thi. Meri sauteli maa ka pati, matlab ki mere papa unse 12 saal bade the aur unke pati ka beta, matlab ki mai unse 12 saal chhota tha.

Mujhe ache se yaad hai ki us samay mai papa ke sath hi soya karta tha. Magar jab papa ne shadi ki pahli raat, mujhe meri sauteli maa se milwaya to, mujhse kaha ki, “ye tumhari nayi maa hai. Aaj se tum inko hi mummy kahoge aur aaj se tum dusre kamre soya karoge.”

Iske bad mere sone ki vyavastha, ek dusre kamre me kar di gayi. Us samay mujhe itni samajh to thi nahi ki, mai papa aur nayi maa ke ek sath sone ka kuch matlab samajh pata.

Mujhe apne papa me aaya ye badlaw jara bhi pasand nahi aaya aur is baat ka mere nanhe man par bura asar pada. Us raat mujhe us naye kamre me akele sone me jara bhi nind nahi aayi.

Mujhe aisa lag raha tha, jaise ki meri maa ki maut ke sath hi, meri khushiyan bhi khatam ho gayi ho. Mai saari raat apni mari huyi maa ko yaad karke rota raha aur mujhe pahle din hi apni nayi maa se nafrat ho gayi.

_______________________________
Nice intro and update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Ko To Rok Lo {Update - 002}
_______________________________
Us samay papa ki umar 30 saal aur sunita ki umar 18 saal thi. Meri sauteli maa ka pati, matlab ki mere papa unse 12 saal bade the aur unke pati ka beta, matlab ki mai unse 12 saal chhota tha.

Mujhe ache se yaad hai ki us samay mai papa ke sath hi soya karta tha. Magar jab papa ne shadi ki pahli raat, mujhe meri sauteli maa se milwaya to, mujhse kaha ki, “ye tumhari nayi maa hai. Aaj se tum inko hi mummy kahoge aur aaj se tum dusre kamre soya karoge.”

Iske bad mere sone ki vyavastha, ek dusre kamre me kar di gayi. Us samay mujhe itni samajh to thi nahi ki, mai papa aur nayi maa ke ek sath sone ka kuch matlab samajh pata.

Mujhe apne papa me aaya ye badlaw jara bhi pasand nahi aaya aur is baat ka mere nanhe man par bura asar pada. Us raat mujhe us naye kamre me akele sone me jara bhi nind nahi aayi.

Mujhe aisa lag raha tha, jaise ki meri maa ki maut ke sath hi, meri khushiyan bhi khatam ho gayi ho. Mai saari raat apni mari huyi maa ko yaad karke rota raha aur mujhe pahle din hi apni nayi maa se nafrat ho gayi.

Raat ko rote rote kab meri nind lag gayi, mujhe pata hi nahi chala. Subah subah meri nind papa ki aawaj se khuli. Papa mujhe nind se jaga rahe the. Meri nind khuli to papa ne kaha.

Papa bole “punnu jaldi se uth jao, nahi to school ke liye der ho jayegi.”

Maine aankh khol kar dekha to, nayi maa bhi papa ke sath khadi muskura rahi thi. Unhe hansta hua dekh kar, mai man hi man jal raha tha.

Mai bina kuch bole, fresh hone chala gaya. Nahane ke bad mujhe roj ki tarah, mere ghar me kaam karne wali chanda mausi ne taiyar kiya aur fir mai school chala gaya.

School me bhi mai sare samay udas raha. Mujhe udas dekh kar, mere dost mehul ne mujhse kaha.

Mehul bola “suna hai tere papa, tere liye nayi maa laye hai.”

Mai bola “haan yaar, laye to hai, par nayi maa jara bhi achi nahi hai. Aate hi usne mujhe papa ke kamre se bahar nikal diya. Kal pahli bar mai akele soya.”

Ye kahte kahte mai ro pada. Mehul mujhe chup karata raha aur fir mujhe samjhate huye kahne laga.

Mehul bola “dekh punnu, sauteli maa bahut gandi hoti hai.”

Mehul meri hi umar ka tha. Lekin mere andar uski jitni samajh nahi thi. Maine uski is baat ko sunkar, bade hi bholepan se us se puchha.

Mai bola “ye sauteli maa kya hota hai.”

Meri is baat ke jabab me, mehul ne kisi bade bujurg ki tarah mujhe samjhate huye kaha.

Mehul bola “jab kisi ki maa mar jati hai aur uske papa jo nayi maa late hai, use sauteli maa kahte hai.”

Mehul ki baat sunkar, mere man ki utsukta bad gayi. Maine us se sawal karte huye kaha.

Mai bola “tujhe kaise pata ki sauteli maa gandi hoti hai.”

Mehul bola “mere pados me ek ramu naam ka ladka rahta hai. Uski bhi sauteli maa hai. Uski sauteli maa ne uska school chhudwa diya hai aur us se ghar ka saara kaam karwati hai. Apne bachchon ko to khub acha acha khana deti hai, par ramu ko bacha hua khana deti hai aur kabhi kabhi to use bhukha bhi rakhti hai.”

Mai bola “kya ramu ke papa sauteli maa ko aisa karne se nahi rokte.”

Mehul bola “pahle to rokte the, par jab se sauteli maa ke bachche huye hai. Tab se wo un bachchon ko pyar karne lage aur ramu ko apni maa aur bhai bahno ke sath mil kar na rahne ke liye gussa karne lage hai. Bechara ramu bilkul akela ho gaya. Tab uske nana ramu ko apne sath le gaye. Ab ramu apne nana ke sath hi rahta hai.”

Ramu ke uske nana ke sath jane ki baat sunkar, na jane kyo mujhe bahut khushi huyi aur maine mehul se kaha.

Mai bola “kya ab ramu apne nana ke yaha khush hai.”

Mehul bola “nahi yaar, wo bechara to waha bhi khush nahi hai. Waha uske nana nani ke sath uske 3 mama aur mami bhi rahte hai. Uski mamiyan bhi use pareshan karti hai. Bas fark itna hai ki, uske nana nani use bahut pyar karte hai. Isliye wo waha se wapas aana nahi chahta hai.”

Mehul ki baat sunkar mujhe bahut nirasha huyi aur kuch kuch sauteli maa ke naam se dar bhi lagne laga. Maine apne isi dar ko mehul ke samne jahir karte huye kaha.

Mai bola “yaar ab mai kya karu. Meri nayi maa bhi to sauteli maa hai. Kya wo bhi mujhe ramu ki tarah dukh degi.”

Mujhe pareshan hote dekh kar mehul ne mujhe dilasa dete huye kaha.

Mehul bola “yaar tu dukhi mat ho. Mai kuch na kuch rasta dud nikaluga.”

Mehul ki baton se mujhe kuch shukun mahsus hua aur fir hum log apne apne ghar ke liye nikal liye.

_______________________________
Nice update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Ko To Rok Lo {Update - 003}
_______________________________

Ramu ke uske nana ke sath jane ki baat sunkar, na jane kyo mujhe bahut khushi huyi aur maine mehul se kaha.

Mai bola “kya ab ramu apne nana ke yaha khush hai.”

Mehul bola “nahi yaar, wo bechara to waha bhi khush nahi hai. Waha uske nana nani ke sath uske 3 mama aur mami bhi rahte hai. Uski mamiyan bhi use pareshan karti hai. Bas fark itna hai ki, uske nana nani use bahut pyar karte hai. Isliye wo waha se wapas aana nahi chahta hai.”

Mehul ki baat sunkar mujhe bahut nirasha huyi aur kuch kuch sauteli maa ke naam se dar bhi lagne laga. Maine apne isi dar ko mehul ke samne jahir karte huye kaha.

Mai bola “yaar ab mai kya karu. Meri nayi maa bhi to sauteli maa hai. Kya wo bhi mujhe ramu ki tarah dukh degi.”

Mujhe pareshan hote dekh kar mehul ne mujhe dilasa dete huye kaha.

Mehul bola “yaar tu dukhi mat ho. Mai kuch na kuch rasta dud nikaluga.”

Mehul ki baton se mujhe kuch shukun mahsus hua aur fir hum log apne apne ghar ke liye nikal liye.

Mai ghar pahucha to, nayi maa hall me baithi Tv dekh rahi thi. Mujhe school se aaya dekh kar, nayi maa ne mujhe apne pas bula kar puchha.

Nayi maa boli “tumhari school kitne baje chhut’ti hai.”

Unke is sawal se mai saham gaya. Mujhe laga meri chori pakdi gayi hai. Maine dhimi si awaaj me kaha.

Mai bola “jee 1 baje chhut’ti hai.”

Meri baat sunkar, un ne mujhe gusse me ghurte huye kaha.

Nayi maa boli “tab fir tum 2:30 baje ghar kyo aa rahe ho. Itni der kaha the aur kya kar rahe the.”

Maine unko apni safayi dete huye kaha.

Mai bola “school to 1 baje chhut gaya tha, par mai apne dost mehul se baat karne laga tha, isliye mujhe aane me der ho gayi.”

Nayi maa boli “thik hai, aaj mere samne tumne pahli baar aisa kiya hai. Isliye mai tum par koi gussa nahi kar rahi hu. Magar kal se aisa nahi chalega. Kal se samay par ghar aana. Ab jao aur jakar kapde badal kar khana kha lo.”

Mai bola “jee nayi maa.”

Itna bol kar mai sarpat apne kamre ki taraf bhag gaya. Jise kal raat hi mere liye taiyar kiya gaya tha.

Raat ko dinner par, nayi maa ne papa ko, mere school se der se aane ki baat bata di. Papa ne mujhe bahut gussa kiya. Jis vajah se mere man me, nayi maa ke liye nafrat aur bhi gahri ho gayi.

Us raat bhi mai, apni nayi maa ko koste huye soya. Agle din maine mehul ko saari baat batayi. Jise sunne ke bad, mehul ne mujhse kaha.

Mehul bola “dekha, teri sauteli maa ab dhire dhire apna rang dikhane lagi hai. Tu us se darna band kar aur usko sabak sikha. Varna ek din tujhe bhi ramu ki tarah dukh sahne padege.”

Mehul ki ye baat mujhe sahi lag rahi thi. Lekin mai nayi maa ko sabak kaise sikhau, ye meri samajh me nahi aa raha tha. Isliye maine mehul se puchha.

Mai bola “yaar, baat to teri sahi hai. Lekin meri samajh me ye nahi aa raha ki, mai nayi maa ko sabak sikhane ke liye kya karu.”

Meri is baat ke jabab me mehul ne mujhe samjhate huye kaha.

Mehul bola “sabse pahle to, tu us se darna band kar aur usko har baat ka jabab dena suru kar de. Aakhir wo ghar, tera hi to hai aur fir wo koi teri sagi maa to hai nahi. Jo wo tujh par is tarah se hukum chalayegi. Jaise wo teri sikayat tere papa se karti hai. Tu bhi uski sikayat apne papa se kiya karna.”

Mehul ki ye baat mujhe jam gayi. Aakhir chhote bachchon ki soch bhi to chhoti hi hoti hai. Mujhe mehul ki ye baat bahut jyada pasand aayi aur maine fauran hi us par, amal karna bhi suru kar diya.

Jiska natija ye nikla ki, ek hafte ke andar hi, mere aur meri nayi maa ke bich tanav pahle se bhi jyada bad gaya. Fir ek din wo ho gaya, jo mere chhote se dimag ne kabhi socha bhi nahi tha.

_______________________________
Nice update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Ko To Rok Lo {Update - 004}
____________________________

Mai bola “yaar, baat to teri sahi hai. Lekin meri samajh me ye nahi aa raha ki, mai nayi maa ko sabak sikhane ke liye kya karu.”

Meri is baat ke jabab me mehul ne mujhe samjhate huye kaha.

Mehul bola “sabse pahle to, tu us se darna band kar aur usko har baat ka jabab dena suru kar de. Aakhir wo ghar, tera hi to hai aur fir wo koi teri sagi maa to hai nahi. Jo wo tujh par is tarah se hukum chalayegi. Jaise wo teri sikayat tere papa se karti hai. Tu bhi uski sikayat apne papa se kiya karna.”

Mehul ki ye baat mujhe jam gayi. Aakhir chhote bachchon ki soch bhi to chhoti hi hoti hai. Mujhe mehul ki ye baat bahut jyada pasand aayi aur maine fauran hi us par, amal karna bhi suru kar diya.

Jiska natija ye nikla ki, ek hafte ke andar hi, mere aur meri nayi maa ke bich tanav pahle se bhi jyada bad gaya. Fir ek din wo ho gaya, jo mere chhote se dimag ne kabhi socha bhi nahi tha.

Hua ye ki papa ne nayi maa ke janamdin ki party rakhi thi. Lekin un ne kabhi mere janam din ki koi party nahi rakhi thi aur aaj nayi maa ke janamdin ki party kar rahe the. Jo mujhe jara bhi acha nahi lag raha tha.

Isliye mai party me nahi gaya aur apne kamre me hi book khol kar padne ke liye baith gaya. Taki koi aaye to use lage ki, mai padayi kar raha hu. Mera sochna bilkul thik nikla.

Kyoki kuch hi der bad kisi ne mere kamre ka darwaja khatkhataya. Maine darwaja khola to samne nayi maa khadi thi. Unhe darwaje par khada dekh kar maine un se kaha.

Mai bola “ji nayi maa.”

Nayi maa boli “ghar me itni badi party chal rahi hai. Tum yaha kamre me baithe baithe kya kar rahe ho. Chalo jaldi se kapde badlo aur party me aa jao.”

Mai bola “nayi maa, mujhe party pasand nahi hai. Mai party me nahi aauga aur mujhe padai bhi karni hai.”

Nayi maa boli “dekho party hum logo ne di hai, isliye party me hamare parivar ke sabhi logo ka hona jaruri hai. Tum chaho to thodi der bad vapas aa jana aur apni padai kar lena. Ab der mat karo aur taiyar hokar jaldi se party me aa jao.”

Ye kahkar nayi maa chali gayi. Lekin maine unki is baat ko ansuna kar diya aur mai party me nahi gaya. Kafi der tak mai party me nahi gaya to, nayi maa fir se vapas mujhe bulane aayi. Magar maine aane se saf mana kar diya. Tab nayi maa ne mujhe samjhate huye kaha.

Nayi maa boli “dekho, party me hamare sabhi rishtedar aaye hai. Yadi tum party me shamil nahi hoge to, vo tarah tarah ki bate karege. Jo tumhare papa ko achi nahi lagegi aur ho sakta hai tumhare papa apna sara gussa tum par utar de. Isliye behtar yahi hoga ki tum kuch der ke liye party me aa jao.”

Itna kah kar nayi maa chali gayi. Magar mujhe to nayi maa ki baat na manne aur unko nicha dikhane ka junun sawar tha. Isliye maine is baar bhi unki baat par koi dhyan nahi diya aur mai party me nahi gaya.

Der raat ko party khatam huyi. Tab papa aur nayi maa mere kamre me aaye. Mai apne bistar par leta hua, sone ka natak kar raha tha. Papa ne 2 baar mujhe awaaj di, par mai chupchap leta raha.

Tab nayi maa boli “dekho padai karte karte so gaya hai. Mai to pahle hi kah rahi thi ki, wo padai karte karte so gaya hoga. Lekin aap meri baat maan hi nahi rahe the.”

Magar papa meri vajah se bahut gusse me lag rahe the. Un ne nayi maa ki is baat ke jabab me kaha.

Papa bole “ye ladka bahut hi bigad gaya hai. Ise sudharne ka ab bas ek hi rasta hai ki, ise boarding school me dal diya jaye. Warna ek din ye ladka hamare hanth se nikal jayega.”

Papa ki baat sunkar nayi maa ne unhe samjhate huye kaha.

Nayi maa boli “nahi, ye thik nahi hai. Abhi ye bahut chhota hai. Itni si umar me ise boarding school me dalna, thik nahi rahega. Ye thoda bada ho jayega to, khud hi har baat ko samajhne lagega.”

Papa bole “nahi, ye bahut dheet ho gaya hai aur yadi hamne ise apne sath rakha to, iska dheetpan aur bhi badta jayega. Iske liye yahi thik hoga ki, ye boarding school me rahe.”

Itna kah kar papa nayi maa ke sath wapas chale gaye. Lekin unki ye baat sunkar to, meri sitti pitti gum ho gayi thi. Ab mai us ghadi ko kos raha tha, jab maine nayi maa ki baat na maan kar, party me na jane ka faisla kiya tha.

Maine khud hi apne liye ek pareshani khadi kar li thi. Lekin ab ho bhi kya sakta tha. Mere dimag me to kuch aa hi nahi raha tha. Isliye maine socha ki, ab jo bhi kar payega, mehul hi kar payega aur fir ye sab sochte sochte mai so gaya.

Dusre din mai papa ka samna kiye bina hi school nikal gaya aur fir lunch me maine mehul ko saari baat batayi. Tab mehul ne kaha.

Mehul bola “yaar, ye to bahut badi musibat ho gayi hai. Iske liye to ab hume mummy hi koi rasta bata sakti hai.”

Mai bola “to fir chal, ghar chalte hai aur aunty se hi rasta puchhte hai”

Iske bad humne lunch se hi school se chhutti maar di aur hum dono, mehul ke ghar ke liye nikal pade.

Mehul ki mummy, richa aunty 26 saal ki atyant hi sundar mahila thi. Jab se meri mummy ki Death huyi thi. Tab se wo mujhe bahut hi jyada pyar karti thi aur jab bhi mai unke ghar jata tha. Wo mujhe bina khana khaye nahi jane deti thi.

Wo mehul ke hath se bhi hamesha mere liye, kuch na kuch bhejti rahti thi. Isliye mai unhe bahut pasand karta tha aur apni mummy ki tarah hi unhe pyar bhi karta tha.

Mehul ke ghar pahuchne par jab richa aunty ne darwaja khola to, hume dekh kar chaukte huye puchha.

Richa aunty boli “tum log itni jaldi ghar kaise aa gaye.”

Tab mehul bola “mummy, punnu pareshan hai aur usi pareshani ka hal aap se janne aaya hai.”

Richa aunty boli “thik hai, pahle tum dono kuch kha lo. Uske bad mai punnu ki pareshani bhi sunugi aur use hal karne ka rasta bhi bataugi.”

Ye kah kar aunty hum dono ko ghar ke andar le gayi. Un ne hum dono ko baithne ko kaha aur khud hamare liye khana lene rasoi me chali gayi.

____________________________
Nice update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Ko To Rok Lo {Update - 005}
____________________________

Mehul ki mummy, richa aunty 26 saal ki atyant hi sundar mahila thi. Jab se meri mummy ki Death huyi thi. Tab se wo mujhe bahut hi jyada pyar karti thi aur jab bhi mai unke ghar jata tha. Wo mujhe bina khana khaye nahi jane deti thi.

Wo mehul ke hath se bhi hamesha mere liye, kuch na kuch bhejti rahti thi. Isliye mai unhe bahut pasand karta tha aur apni mummy ki tarah hi unhe pyar bhi karta tha.

Mehul ke ghar pahuchne par jab richa aunty ne darwaja khola to, hume dekh kar chaukte huye puchha.

Richa aunty boli “tum log itni jaldi ghar kaise aa gaye.”

Tab mehul bola “mummy, punnu pareshan hai aur usi pareshani ka hal aap se janne aaya hai.”

Richa aunty boli “thik hai, pahle tum dono kuch kha lo. Uske bad mai punnu ki pareshani bhi sunugi aur use hal karne ka rasta bhi bataugi.”

Ye kah kar aunty hum dono ko ghar ke andar le gayi. Un ne hum dono ko baithne ko kaha aur khud hamare liye khana lene rasoi me chali gayi.

Aunty ne hum logon ko aalu ke paranthe banakar khilaye aur jab hum logon ne paranthe kha liye to fir un ne mujhse puchha.

Aunty boli “haan beta, ab batao tumhe kya pareshani hai, jisko hal karne ka rasta tum mujhse janna chahte ho.”

Maine aunty ko, apne raat ko nayi maa ki b’day party me na jane aur papa ki mujhe boarding school bhejne wali baat bata di. Jise sunne ke bad aunty ne kaha.

Aunty boli “beta, jab tumhari nayi maa ne tumhe party me aane ko bola to, tum party me kyo nahi gaye. Ye to tumhari hi galti hai aur is baat par tumhare papa ka gussa karna jara bhi galat nahi hai.”

Mujhe aunty ki ye baat sunkar bahut jyada nirasha huyi aur mai udas ho gaya. Mujhe udas dekh kar, aunty mere pas aakar baith gayi aur un ne mere sar par pyar se hanth ferte huye kaha.

Aunty boli “beta, meri baat ka bura mat mano. Mai jo bhi kahugi, tumhare bhale ke liye hi kahugi. Ab mai tumse jo bhi puchhti hu, tum uska sahi sahi jabab do. Tabhi to mai tumhari pareshani ko door karne ka koi rasta bata sakugi.”

Mujhe aunty ka yun pyar se hanth ferna aur unki baat dono bahut ache lage. Maine khush hote huye aunty se kaha.

Mai bola “aap puchhiye aunty, mai aapki har baat ka sahi sahi jabab duga.”

Aunty boli “acha ye batao, kal raat ko apni nayi maa ke baar baar kahne par bhi, tum party me kyo nahi gaye the.”

Mai bola “mujhe nayi maa bilkul bhi pasand nahi hai. Isliye kal maine unki baat nahi maani.”

Aunty boli “kyo, tumhe nayi maa kyo pasand nahi hai.”

Aunty ki is baat par mai mehul ki taraf dekhne laga to, mehul samajh gaya ki, ab aage ki baat batane ki baari uski hai aur fir usne pahle din se lekar abhi tak huyi sari baat aunty ko bata di. Jise sunne ke bad aunty ne kaha.

Aunty boli “tum logo ko ye kasie laga ki, jo ramu ki maa ne ramu ke sath kiya hai. Wahi punnu ki nayi maa punnu ke sath karegi. Ramu ki maa to ek achi aurat nahi hai. Isliye wo ramu ko pareshan kiya karti thi. Lekin punnu ki nayi maa bahut achi aurat hai, isliye wo punnu ko kabhi pareshan nahi karegi.”

Aunty ke muh se nayi maa ki tarif sunkar bhi, mujhe aunty ki baat par viswas nahi aa raha tha. Maine aunty se kaha.

Mai bola “aunty, aapne to nayi maa ko dekha hi nahi aur jab aap unhe janti hi nahi hai to, fir aap ye kaise kah sakti hai ki nayi maa ek achi aurat hai aur wo mujhe kabhi pareshan nahi karegi.”

Meri baat sunkar aunty hansne lagi aur fir mujhe samjhate huye kaha.

Aunty boli “beta, ye tumse kisne kah diya ki, mai tumhari nayi maa ko nahi janti. Maine tumhari nayi maa ko dekha bhi hai aur mai unhe ache se janti bhi hu. Wo meri saheli ki chhoti bahan hai. Isliye mujhe malum hai ki, wo bahut achi hai.”

Aunty ki ye baat sunne ke bad bhi mai nayi maa ko acha manne ko taiyar nahi tha. Maine aunty se kaha.

Mai bola “aunty yadi nayi maa achi hai to, fir un ne mujhe papa ke kamre se bahar kyo nikalwaya.”

Aunty boli “dekho abhi tum chhote ho. Isliye is baat ko nahi samajh sakte ho. Fir bhi mai ik dusre tarike se tumko ye baat samjhati hu. Dekho tum aur mehul ek barabar ke ho. Mehul bhi pahle mere aur apne papa ke sath, hamare kamre me sota tha. Magar fir ye school jane laga to, humne iske sone aur padai ke liye ise ek alag kamra de diya.”

“Ab tumhari maa to thi nahi. Fir tumhare liye ye sab kaun karta. Magar jab tumhari nayi maa aayi to, un ne tumhare liye wahi kiya, jo maine mehul ke liye kiya tha. Ab yadi tumhare liye aisa karne se tumhari nayi maa achi nahi hai to, fir maine bhi to mehul ke liye aisa hi kiya hai. Kya tab mai bhi achi nahi hu.”

Ye kah kar aunty meri taraf dekhne lagi. Mujhe unki baat samajh me aa rahi thi. Fir bhi mai nayi maa ko acha manne ko taiyar nahi tha. Maine fir se aunty se sawal karte huye kaha.

Mai bola “aunty, yadi aisi hi baat hai to, fir nayi maa ne mujhe us din, mehul ke sath der tak school me rahne par, gussa kyo kiya tha.”

Aunty boli “dekho beta, us din unka tumhare ghar me pahla hi din tha aur tum us din samay par ghar nahi pahuche to, unhe tumhari chinta ho rahi hogi. Isliye un ne tumhe der se aane ke upar se gussa kiya. Us din to maine bhi mehul ko gussa kiya tha. Tum chaho to mehul se puch sakte ho.”

Aunty ki baat sunkar mai mehul ki taraf dekhne laga. Tab mehul ne kaha.

Mehul bola “haan, us din mummy ne bhi mujh par gussa kiya tha.”

Mehul ke muh se ye sachchai janne ke bad bhi maine apni baat aunty ke samne rakhte huye kaha.

Mai bola “aunty, chalo mai aapki ye baat bhi maan leta hu ki, nayi maa ne us din mujhe, meri chinta hone ki vajah se gussa kiya tha. Lekin iske bad un ne meri shikayat papa se kyo ki thi. Papa ne unki shikayat sunkar mujh par bahut gussa kiya tha. Jab wo khud mujh par is baat ke liye gussa kar chuki thi. Tab unhe papa se meri shikayat karne ki kya jarurat thi.”

Aunty boli “dekho beta, abhi wo tumhare ghar me nayi hai. Us ne socha hoga ki, yadi usne tumhare school se der se aane ki baat tumhare papa se na batayi aur kal ko tumhe kuch ho gaya to, sab yahi kahege ki sauteli maa thi, isliye ladke ka khayal nahi rakha. Ab wo nayi hai to, use tum logon ko samajhne me kuch samay to lagega hi hai.”

Mai bola “chaliye aunty, mai aapki ye baat bhi maan leta hu. Lekin mujhe itni si baat ke liye boarding school kyo bheja ja raha hai. Ye to bilkul ramu ki tarah hi ho gaya hai. Use uski nayi maa ke aane par uske nana ke ghar jana pada tha aur mujhe meri nayi maa ke aane par boarding school jana pad raha hai.”

Ye kah kar mai aunty ki taraf dekhne laga. Aunty ne mujhse puchha.

Aunty boli “tumhe boarding school bhejne ki baat kya tumhari nayi maa ne ki thi.”

Mai bola “nahi, papa ne ki thi.”

Aunty boli “tab tumhari nayi maa ne kya kaha.”

Mai bola “un ne kaha ki ye boarding school ke liye abhi bahut chhota hai. Ise boarding school me nahi dalna chahiye.”

Aunty boli “dekho beta jis baat se tum pareshan ho. Us baat ke liye tumhari nayi maa ne tumhari tarafdari li hai. Mai manti hu ki tum me abhi ache bure ki pahchan nahi hai. Lekin tum itna to samajh hi sakte ho ki, jo tumhare bhale ki soche wo bura nahi ho sakta.”

Mai bola “aunty, aapki sab baat sahi hai. Lekin aap mujhe boarding school jane se rok lo. Mai boarding school nahi jana chahta.”

Aunty boli “tum chinta mat karo. Mai tumhe boarding school nahi jane dungi. Magar iske liye pahle tum khud koshish karo. Yadi tum se kuch nahi hua to, fir mai tumhari nayi maa se bat karke, tumhara boarding school jana rukwa dugi.”

Aunty ki baat sunkar mai soch me pad gaya. Jab mere kuch samajh me nahi aaya to maine aunty se puchha.

Mai bola “aunty, mai bhala kya kar sakta hu. Meri baat bhala kaun manega.”

Aunty boli “sab se pahle tum apni nayi maa ko bura manna band karo aur jaise meri har baat ko mante ho, waise hi apni nayi maa ki baat bhi manna suru kar do. Fir dekho wo khud tumhe boarding school nahi jane degi.”

Mai bola “aunty wo mujh se hamesha gusse me baat karti hai. Isliye mujhe bhi un par gussa aa jata hai.”

Aunty boli “beta wo suru se hi gusse wali hai aur yadi koi uski baat nahi manta to, use aur bhi gussa aa jata hai. Magar jab tum uski baat manoge to, wo tum par jara bhi gussa nahi karegi.”

Mai bola “lekin aunty, nayi maa to mujhse kal ki baat ko lekar naraj hogi. Wo bhala mujhse koi baat kyo karegi. Jab wo mujhse koi baat nahi karegi to, fir mai unki baat kaise manuga.”

Aunty boli “sabse pahle tum use nayi maa ki jagah chhoti maa bolna suru karo. Aaj ghar jate hi sab se pahle use kal ki galti ke liye sorry kahna aur birthday wish karna. Uski saari narajgi khud hi khatam ho jayegi.”

Mai bola “thik hai aunty, ab mere ghar jane ka time bhi ho raha hai. Mai ghar jata hu.”

Fir maine aunty aur mehul ko bye bola aur ghar ke liye nikal pada. Magar ab mere man se boarding school jane ka dar nikal gaya tha. Aunty ne mere dimag me nayi maa ki jo tasvir banayi thi, wo mujhe achi lagne lagi thi. Mai bas isi baare me sochte sochte apne ghar ki taraf chala ja raha tha.

____________________________
Nice update bhai
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Ko To Rok Lo {Update - 006}
____________________________

Aunty boli “beta wo suru se hi gusse wali hai aur yadi koi uski baat nahi manta to, use aur bhi gussa aa jata hai. Magar jab tum uski baat manoge to, wo tum par jara bhi gussa nahi karegi.”

Mai bola “lekin aunty, nayi maa to mujhse kal ki baat ko lekar naraj hogi. Wo bhala mujhse koi baat kyo karegi. Jab wo mujhse koi baat nahi karegi to, fir mai unki baat kaise manuga.”

Aunty boli “sabse pahle tum use nayi maa ki jagah chhoti maa bolna suru karo. Aaj ghar jate hi sab se pahle use kal ki galti ke liye sorry kahna aur birthday wish karna. Uski saari narajgi khud hi khatam ho jayegi.”

Mai bola “thik hai aunty, ab mere ghar jane ka time bhi ho raha hai. Mai ghar jata hu.”

Fir maine aunty aur mehul ko bye bola aur ghar ke liye nikal pada. Magar ab mere man se boarding school jane ka dar nikal gaya tha. Aunty ne mere dimag me nayi maa ki jo tasvir banayi thi, wo mujhe achi lagne lagi thi. Mai bas isi baare me sochte sochte apne ghar ki taraf chala ja raha tha.

Tabhi raste me mujhe ek chudiyon ki dukan dikhayi di. Jise dekh kar mere chehre par muskurahat aa gayi. Maine bade pyar se nayi maa ke liye laal rang ki chudiyan kharid li.

Udhar hi mujhe ek greetings ki dukan bhi mil gayi to maine waha se ek sorry aur ek birthday wish ki greeting bhi le li. Maine un greeings me punnu ki chhoti maa ko punnu ki taraf se likhwa diya.

Sab saman apne bag me ache se rakhne ke bad, mai aane wale pal ki kalpna karte huye khushi khushi apne ghar ke liye chal pada. Ghar pahuchte hi mujhe nayi maa dikhayi de gayi.

Wo hall me hi sofe par baithi thi aur unki najar darwaje ki taraf hi thi. Maine unko dekha to muskura diya. Magar un ne mujhe aata dekh kar, apna chehra dusri taraf ghuma liya.

Maine unki najron ka pichha karte huye, un ne jis taraf apna chehra ghumaya tha, us taraf dekha to, mere pairon se jamin hi khisak gayi. Waha papa khade the aur gusse se mujhe hi ghoor rahe the.

Mai dhire dhire kadam badate huye table ke pas aaya aur apna bag table par rakh diya. Tab tak papa mere pas aa chuke the. Un ne gusse me mujhe ghurte huye mujhse puchha.

Papa bole “tu kaha se aa raha hai.”

Mujhe papa ka ye sawal karna kuch ajib laga. Kyoki mai to roj ke time par hi ghar aaya tha. Lekin unke is sawal se mai samajh gaya tha ki, kisi ne papa ko bata diya hai ki, mai lunch time se hi school se nikal aaya hu.

Magar ab mai unki is baat ka kya jabab du. Ye mujhe samajh me nahi aa raha tha. Isliye mai sar jhukaye chup chap khada raha. Meri khamoshi se papa ka gussa aur bhi bad gaya. Un ne mere baal pakad kar mera chehra apni taraf ghumaya aur fir gusse me puchha.

Papa bole “kaha se aa raha hai tu. Jabab kyo nahi deta.”

Magar mere pas unko dene ke liye koi jabab hota to, mai unhe koi jabab deta. Mere pas unhe dene ke liye koi jabab nahi tha. Isliye mai chup hi khada raha aur papa ke dar se rona suru kar diya.

Mere koi jabab na dene aur rona suru kar dene ki harkat ko dekh kar papa ka gussa bad gaya aur un ne khich kar ek thappad mere gaal par jama diya. Thappad padte hi mera rona tej ho gaya.

Wahi nayi maa ne jab mujhe thappad padte dekha to, wo fauran apni jagah se uth kar humare pas aa gayi aur mujhe apne pichhe karke, papa ko samjhate huye kaha.

Nayi maa boli “itni chhoti si baat ke liye itne chhote bachche ko marna achi baat nahi hai.”

Nayi maa ki is baat ke jabab me papa ne gusse me kaha.

Papa bole “ye tumhe chhota sa bachcha lagta hai. Jara iska shaitani dimag to dekho. School ka time milakar ghar aa raha hai. Agar iske principal ne hume na bataya hota to, hume pata hi nahi chalta ki, ye lunch time me hi school se bhag aaya hai.”

Ye kahte huye papa ne nayi maa mere aur unke bich se bich se hataya aur fir se mere baal pakad kar mujhse puchha.

Papa bole “bata, abhi tak kaha tha tu aur school se kyo bhaga tha.”

Lekin mai kuch bolne ki haalat me nahi tha. Kyoki papa ki is baat ka koi jabab mere pas nahi tha aur jab mai kuch nahi bola to, papa ne mujhe marne ke liye fir se hanth uthaya.

Magar is baar fir nayi maa bich me aa gayi. Un ne ek baar fir mujhe apne pichhe chhupa liya. Unke aisa karne se papa kuch shant padte najar aaye. Magar un ne gusse me bhare huye kaha.

Papa bole “ye saala aise nahi sudhrega. Iske sudharne ka bas ek hi rasta hai ki, ise boarding school bhej diya jaye.”

Papa ke muh se boarding school ka naam sunte hi mujhe bhi gussa aa gaya aur maine isi gusse me wo sab kuch bol diya, jo na to maine kabhi socha tha aur na hi kabhi mere dimag me aaya tha.

Maine rote huye kaha “haan haan, bhej do mujhe boarding school. Taki jaise dusri bibi le aaye ho, waise hi dusra bachcha bhi le aao.”

Meri is baat ne ek sath do bomb ka kaam kiya tha. Ek bomb maine apni nayi maa par giraya tha. Jo meri is baat ko sunkar sann rah gayi thi to, dusra bomb maine mere papa par giraya tha, jisne unhe manav se danav banne par majbur kar diya tha.

Meri ye baat sunte hi papa mujhe peetne ke liye utawle ho gaye aur mujhe peetne ke liye aage bade. Lekin nayi maa mujhe apne pichhe chhupaye huye thi aur mujhe unse bachane ki koshish kar rahi thi.

Wo papa aur mere bich se alag hi nahi ho rahi thi. Magar papa gusse me manav se pure danav ban chuke the aur aisa lag raha tha ki, aaj ye danav mera vadh karke hi shant hone wala tha.

Papa ne jab nayi maa ko mere aur unke bich se alag hote huye nahi dekha to, un ne apna ye gussa nayi maa par hi utar diya. Un ne gusse me nayi maa ke dono hath pakde aur unhe itni jor se dusri taraf dhakela ki, nayi maa table ke pas jakar giri aur table ka kinara badi jor se unke mathe par laga.

Ek pal ke liye wo apni sudh budh kho baithi. Unke mathe se khoon aane laga aur vo achet si hokar wahi baith gayi. Lekin papa ne nayi maa ki taraf jara bhi dhyan nahi diya.

Nayi maa ke hamare bich se hatte hi, papa ne meri ruyi ka tarah dhunayi karna suru kar diya aur maine maar se bachne ke liye chillana suru kar diya. Chanda mausi aur driver bhi wahi khade the.

Meri piatyi dekh kar unki aankhon se bhi aansu bahne lage. Magar papa ko rokne ki kisi ki himmat nahi pad rahi thi. Wo bebas aur lachar se khade ye tamasha dekh rahe the.

Mai mujhe pad rahi maar se, jor jor se chilla raha tha “are koi to bacha lo mujhe. “Koi To Rok Lo” papa ko. Are koi to bacha lo mujhe. “Koi To Rok Lo” papa ko”

Meri cheekh pukar sunkar nayi maa ki chetna jaagi aur wo fauran hi uth kar bhagti huyi humare pas aa gayi. Wo papa ke hathon se mujhe chhudane ki koshish karne lagi.

Lekin jab papa ne mujhe nahi chhoda to, nayi maa ne mujhe pakad kar jor se apni taraf khicha aur mai papa ki pakad se chhut gaya. Papa ki pakad se chute hi, mai jakar nayi maa se lipat gaya aur unhe badi jor se pakad liya.

Papa dobara mujhe pakadne ki koshish karne lage. Lekin nayi maa ne gusse se unka hath jhatak diya aur kaha.

Nayi maa boli “bas bahut ho gaya. Itne chhote se bachche ko koi itni berahmi se marta hai kya. Log to yahi kahege na ki, sauteli maa ne aate hi apna rang dikhana suru kar diya. Ye koi nahi dekhega ki bap ne hi bete ko janvaron ki tarah peeta hai.”

Papa ka gussa abhi bhi shant nahi hua tha. Un ne gusse me bhadakte huye kaha.

Papa bole “ise samjha do. Mere ghar me rahna hai to mere tarike se rahe, nahi to iske boarding school jane ka rasta khula hai.”

Itna kah kar papa wapas office chale gaye. Papa ke jane ke bad nayi maa ne mujhe apne se alag karte huye kaha.

Nayi maa boli “jao apne kamre me jakar aaram karo.”

Itna kah kar wo sofe par apna sar pakad kar baith gayi. Unke sar par khoon laga hua tha. Mai rote huye andar kamre me gaya aur dawai ka box lekar aaya aur nayi maa se kaha.

Mai bola “chhoti maa, aapke sar se khoon nikal raha hai. Dawa laga lijiye.”

Ye pahla mauka tha, jab maine apni nayi maa ko chhoti maa kah kar pukara tha. Lekin unke upar meri is baat ka koi asar nahi pada. Wo apna sar pakad kar baithi rahi aur unki aankhon se aansu bahte rahe.

Shayad meri dusri shadi aur dusre bachche ki baat se unhe bahut jyada dukh pahucha tha. Isliye un ne gusse me mujhse kaha.

Nayi maa boli “mujhe koi dawai vavai nahi lagana hai. Tum apne kamre me jao aur mujhe mere haal par chhod do.”

Nayi maa ki baat sunkar mujhe or bhi jyada rona aa gaya. Mai waha ek pal bhi na ruk saka aur sidhe apne kamre me aa gaya. Kamre me aakar mai takiye me apna muh chhupa kar rone laga. Mai rote rote ye sochne laga ki, koi mujhe pyar nahi karta. Yahi sab sochte sochte mera rona aur bhi tej hota chala gaya.

____________________________
Nice update bhai
 
Top