Naughtyrishabh
Well-Known Member
- 9,684
- 29,050
- 218
Bahut hi behtareen or jabardast update sir jii.
Jis gane ki baat ki h aapne, vo meri favourite geeton me se ek h.
Bahut bahut dhanyawad
Jis gane ki baat ki h aapne, vo meri favourite geeton me se ek h.
Bahut bahut dhanyawad
Ko To Rok Lo {Update - 181}
____________________________
Kuch der tak intejar karne ke bad, keerti ke mobile to chalu nahi huye, lekin priya jarur apne hath me pani ki bottle liye upar aa gayi. Usne ek najar mujhe dekha aur fir pani ki bottle mere pas rakhne lagi.
Maine us se kaha ki, mere pas pani ki bottle pahle se hi hai. Magar usne meri baat ko fir se ansuna karte huye, pani ki bottle mere pas rakhi aur wapas niche chali gayi.
Uske jaane ke kuch der bad, fir keerti ke mobile chalu huye. Lekin mere call lagate hi usne fir se apne mobile band kar diye. Keerti aur priya ki is harkat ko dekh kar mai apna sar peete bina na rah paya.
Ek taraf to dono hi mujhse baat karna chah rahi thi. Dusri taraf dono hi mujhe andekha karti ja rahi thi. Khalid ko lekar mai jitna pareshan nahi tha. Us se jyada ab ye dono mujhe pareshan kar rahi thi.
Kuch ghante pahle mai jaha priya ke sath hansi majak karte huye, keerti ke pas pahuchne ki taiyari me laga tha. Wahi ab mai un dono ki hi narajgi jhelne par majbur tha aur unko manane ki koshish me laga hua tha. Aaj ki subah mere liye jitni jyada ujale bhari thi. Ab raat mujhe utni hi jyada kaali hoti najar aa rahi thi.
Keerti aur priya ki narajgi ko aise hi jhelte jhelte 9 baj gaye. Fir barkha didi mujhe khane ke liye bulane aa gayi aur mai unke sath niche aa gaya. Niche aakar maine sabke sath khana khaya aur uske bad mai aunty se baat karne laga.
Meri aunty se baat chal hi rahi thi ki, priya ne mere hath me, din me kharide huye gift thama diye. Mai uske is ishare ko samajh gaya aur maine un gift me se aunty aur barkha didi ke liye kharide huye gift nikal kar unko de diye.
Mera diya gift dekh kar, barkha diid to khush ho gayi. Lekin aunty ne is gift wali baat par thodi si narajgi jatayi. Magar fir bad me barkha didi aur priya ke samjhane par un ne bhi khushi khushi gift le liya.
Priya ne neha aur hitu ke liye kharida hua gift bhi barkha didi ko dete huye, wo gift unse neha aur hitu ko dene ka kah diya. Iske bad meri un se thodi bahut baten huyi aur fir mai priya ke sath ghar ke liye nikal pada.
Raste me mai priya se baat karne ki koshish karta raha. Lekin wo meri har baat ka sirf haan ya na me jabab de rahi thi. Apne jaane se pahle mujhe uski ye narajgi achi nahi lag rahi thi.
Lekin lakh koshishon ke bad bhi, mai uski ye narajgi door nahi kar saka aur fir 10 baje hum log ghar pahuch gaye. Jab hum log ghar pahuche to, sab khana kha rahe the. Nikki bhi sabke sath khane par baithi thi.
Lekin wo khana nahi kha rahi thi. Priya ne use dekha to sidhe uske pas jakar baith gayi aur us se uske wapas aane ki vajah puchhne lagi. Tab nikki ne bataya ki, mohini aunty ko bhi kal wapas jana tha.
Isliye ajay bhaiya ne unke ticket bhi punit logon ke sath hi karwa diye the. Wo seeru didi logon ke sath yaha ticket dene aayi thi. Lekin mohini aunty ne use wapas hi nahi jaane diya.
Nikki ki ye baat sunkar, priya nikki ko chhod kar mohini aunty ke pas aakar, unse kuch din aur rukne ki jid karne lagi. Magar mohini aunty ne use kisi tarah se samjha bujha kar apne kal wapas jaane ki baat ke liye taiyar kar hi liya.
Sabka khana khana ho chuka tha. Ab sirf baton ka daur chal raha tha aur sab aaj huyi ghatna ke baare me baat kar rahe the. Raj aur riya, meri aaj ki gayi maar peet ke baare me sabko bad chad kar bata rahe the.
Lekin is baat ke suru hote hi priya ne fir se muh fula liya tha. Ye baat nikki se chhupi na rah saki aur usne priya ko tokte huye kaha.
Nikki boli “are jab sab kuch thik ho gaya hai to, fir tera muh aise kyo fula hua hai.”
Nikki ki ye baat sunkar, riya ne hanste huye kaha.
Riya boli “iska muh isliye fula hai, kyoki us samay isne punit ko waha par na rukne aur ghar wapas jaane ke liye samjhane ki koshish ki thi. Magar tab punit itne jyada gusse me tha ki, isne priya ko hi bahut ulta sidha bol diya tha.”
Ye kah kar, riya sabko mere priya par gussa karne ki baat batane lagi. Jise sunne ke bad, sab priya ko gussa na karne ke liye samjhane lage. Jise dekh kar, priya ne apna mood sahi kar liya.
Lekin uska ye mood sirf sabko dikhane ke liye sahi hua tha. Asal me to wo abhi bhi mujhse naraj hi thi aur mujhse koi baat nahi kar rahi thi. Ye baat nikki ke bhi samajh me aa chuki thi.
Isliye ab wo mujhe dekh kar muskura rahi thi. Kal to maine priya ki narajgi ko keerti ki madad se door kar diya tha. Lekin aaj to priya ke sath sath keerti bhi mujhse naraj thi.
Aise me priya ko manane me nikki hi meri madad kar sakti thi. Isliye jab maine nikki ko meri taraf dekh kar, muskurate dekha to, maine use priya ka gussa shant karne ka ishara kiya.
Lekin usne meri is pareshani ka maja lete huye, apne sar ko hila kar aisa karne se saaf mana kar diya. Lekin mai iske bad bhi, use baar baar priya ko manane ke liye ishare karta raha.
Aakhir me usne meri haalat par taras kha kar, muskurate huye, priya ko manane me, meri madad karne ke liye, haan me sar hila diya. Idhar mai priya ko manane ke liye nikki ko taiyar karne me laga tha.
Udhar priya sabko meri taraf se gift dene me lagi huyi thi. Usne yaha par mujhse jude, har kisi ke liye, kuch na kuch gift jarur kharida tha. Lekin khud ke liye usne koi bhi gift nahi kharida tha.
Use ye bhi nahi pata tha ki, maine jo gift tripti ka kah kar kharida hai. Asal me wo gift usi ke liye hai. Mai use ye gift ghar aakar dena chahta tha. Lekin uske pahle hi ye sab lafda ho gaya aur wo mujhse naraj ho gayi.
Lekin ab use sabko gift dete dekh kar, mujhe bhi use apna gift dene ka yahi sahi mauka najar aaya. Maine fauran hi un gift me se priya ke liye kharida hua gift nikala aur priya ki taraf badate huye kaha.
Mai bola “tumne meri taraf se sabko gift to de diye. Lekin tum khud ka gift lena hi bhool gayi. Ye gift meri taraf se tumhare liye hai.”
Priya us gift ko dekhte hi fauran pehchan gayi aur usne itni der me pahli baar mujhse koi baat karte huye kaha.
Priya boli “lekin ye gift to tumne kisi or ke liye kharida tha.”
Priya ki ye baat sunkar, maine muskurate huye us se kaha.
Mai bola “nahi, ye gift maine tumhare liye hi kharida tha. Tumne mujhse apne b’day ki baat chhupayi thi. Isliye maine bhi tumse ye baat chhupayi thi ki, mai ye gift tumhare liye kharid raha hu. Ab hum dono ka hisab barabar ho gaya.”
Meri ye baat sunkar priya gusse me mujhe gurne lagi aur baki sab hasne lage. Thodi der tak hum sab isi baat ko lekar hansi majak karte rahe. Fir 11 baje ke bad, sab ek dusre ko good night bol kar apne apne kamre me jaane lage.
Maine bhi sabko good night kaha aur apne kamre me aa gaya. Kamre me aakar maine kapde badle aur fir keerti ko call laga diya. Lekin usne na to mera call uthaya aur na hi mujhe call lagaya.
Thodi der tak mai use aise hi call lagata raha. Lekin jab usne mera call nahi uthaya to, fir maine use msg karke, call uthane ke liye apni kasam de di. Jiske fauran bad hi uska call aane laga.
Maine call uthate hi, use kuch bolne ka mauka diye bina hi, apni galti ki maafi mangna suru kar diya. Wo meri baat ko ansuna kar, mujh par gussa karne ki koshish kar rahi thi.
Lekin mai use kuch bolne ka mauka hi nahi de raha tha. Ek tarah se mai uske gussa karne ki aadat ko, usko manane ke liye istemal kar raha tha. Mere is tarah lagatar maafi mangte rahne se pahle to, wo chidchidati rahi.
Magar uski ye chidchidahat jyada der tak bani na rah saki aur meri in harkaton se achanak hi uski hansi chhut gayi. Fir usne pyar se aaj ki baton ko lekar gussa kiya. Jisme maine kaan pakad kar apni galti ki maafi maang li.
Jiske bad, usne mujhe is baat ke liye maaf kar diya aur call rakhne ki baat karne lagi. Uske itni jaldi call rakhne ki baat sunkar mujhe laga ki, shayad uski narajgi abhi door nahi huyi hai. Jab maine ye hi baat us se kahi to, usne mujhe call jaldi rakhne ki vajah samjhate huye kaha.
Keerti boli “mai tumse sach me naraj nahi hu. Lekin aaj vaani didi log aa gayi hai. Vaani didi mere ghar na jakar yahi mausi ke pas ruk gayi hai aur unka koi bharosha nahi hai. Wo kisi bhi samay mere kamre me aa dhamak sakti hai. Isliye aaj mai tumse jyada baat nahi kar sakti.”
Mujhe bhi keerti ki ye baat sahi lagi. Vaani ek aisi lailaj bimari thi, jiska ilaj duniya ke kisi bhi doctor ke pas nahi tha. Isliye maine bhi keerti se baat karne ki koi jid nahi ki aur usko good night kah kar call rakh diya.
Vaani ki vajah se keerti se meri jyada baat to nahi ho saki thi. Lekin mujhe is baat ki khushi thi ki, kam se kam ab wo mujhse naraj nahi hai. Keerti ki narajgi to, maine door kar di thi. Magar priya ki narajgi abhi bhi bani huyi thi.
Nikki ne mujhe ishare se uski narajgi door karne me madad karne ka dilasa to, de diya tha. Lekin wo iske liye kya kar rahi thi, iske baare me mujhe kuch pata nahi tha. Isi baat ko janne ke liye maine nikki ko call laga diya. Nikki ke call uthate hi maine us se kaha.
Mai bola “kya hua, aapki priya se kuch baat huyi ya nahi huyi.”
Nikki boli “meri abhi abhi us se baat huyi. Usne mujhe bataya ki, aapne us se kitni buri tarah se baat ki thi. Uski baten sunkar, jab mujhe itna jyada bura laga hai. Tab to uska ye sab sunkar naraj hona banta hi hai.”
Mai bola “mai janta hu ki, galti meri hi hai. Lekin us samay mai bahut gusse me tha aur mujhe priya par is baat ko lekar bhi gussa aa raha tha ki, usne ye baat sabse chhupa kar kyo rakhi. Bas isi gusse me mai usko ulta sidha bak gaya tha.”
“Magar ab mujhe apni galti ka pachhtawa ho raha hai. Lekin wo mujhse baat karne ko taiyar hi nahi hai. Plz aap kaise bhi karke uski ye narajgi door kar dijiye. Warna mere yaha se jaane ke bad bhi, ye baat mujhe pareshan karti rahegi.”
Nikki boli “usko naraj aapne kiya hai to, ab manana bhi aapko hi padega. Mai uski narajgi door karne ke liye kuch nahi kar sakti.”
Mai bola “mai manauga to tab na, jab wo mujhe manane ka koi mauka de. Lekin wo to mujhe kuch bolne ka mauka hi nahi de rahi hai.”
Meri baat sunkar, nikki ne hanste huye kaha.
Nikki boli “wo aisi hi hai. Ek to wo kabhi kisi se jaldi naraj hi nahi hoti hai aur yadi kisi se naraj ho jaye to, fir use manana itna aasan nahi hai.”
Mai bola “aap uske jaldi naraj na hone ki baat kar rahi hai. Lekin wo to mujhse baat baat par naraj ho jati hai. Wo to kal bhi mujhse naraj thi.”
Ye kah kar maine use kal ki priya ki narajgi ke baare me bata diya. Jise sunkar, nikki ne or bhi jyada jor se hanste huye kaha.
Nikki boli “to fir isme mushkil kya hai. Aaj bhi use aisa hi koi gaana suna kar mana lijiye.”
Mai bola “aapko meri baat majak lag rahi hai. Mai koi singer nahi hu. Jo baat baat par gaana gata rahu.”
Nikki boli “ok, ok, ab aap mujhse jhagra mat kajiye. Rukiye mai kuch sochti hu.”
Itna bol kar nikki chup ho gayi. Shayad wo is samay kuch soch rahi thi. Kuch der ki khamoshi ke bad, usne kaha.
Nikki boli “aap ek kaam kijiye. Aap apne kamre ke pas bani sidiyon se sidhe chhat par aa jaiye. Mai priya ko lekar wahi aati hu. Fir aapke upar hai ki, aap use kaise manate hai.”
Nikki ki baat sunkar, maine is baat ki haami bhari aur call rakh diya. Priya ka ghar mera ghuma hua nahi tha. Lekin sidiyan meri dekhi huyi thi. Isliye chhat tak pahuchne me mujhe koi parehshani nahi thi.
Nikki ke call rakhte hi, mai fauran apne kamre se bahar nikla aur sidiyan chadta hua, chhat par pahuch gaya. Sidiyon par light jal rahi thi. Lekin chhat ki light band thi aur mujhe chhat ki light chhalu karne ka kuch pata nahi tha.
Chhat par is samay andhera tha. Lekin aasman par chamak rahe chand taaron aur bahar sadak par jal rahi light ki vajah se ye andhera itna gahra bhi nahi tha ki, is andhere me kisi ko kuch dikhayi hi na de sake.
Isliye maine bhi light ke baare me jyada nahi socha aur chhat par aakar yaha waha tahalte huye, nikki logon ke aane ka intejar karne laga. Kuch hi der me nikki aur priya waha aa gayi.
Nikki aakar mere pas khadi ho gayi. Lekin priya mere samne se hoti huyi, chhat ki balcony me jakar, meri taraf pith karke khadi ho gayi. Nikki ne ek najar priya ki taraf dekha aur fir muskurate huye mujhse kaha.
Nikki boli “ab aap dekh kya rahe hai. Priya aa gayi hai. Ab kah dijiye, jo aapko kahna hai.”
Nikki ki baat sunkar, mai priya ke pas jakar khada ho gaya. Magar mere uske pas jate hi, wo waha se jaane ko huyi, lekin uske pahle hi maine uska hath pakad kar use rokte huye kaha.
Mai bola “sorry yaar, mujhe tumko is tarah se nahi chillana chahiye tha. Ab mujhe sach me apni us galti ka pachhtawa ho raha hai. Plz mujhe maaf kar do.”
Ye kahte huye, maine apne dono kaan pakad liye. Ye dekh kar nikki ne hanste huye priya se kaha.
Nikki boli “dekh, ab to in ne apne kaan bhi pakad liye, ab to inhe maaf kar de na.”
Nikki ki baat sunkar, priya ne pahli baar mujh par apna gussa jahir karte huye, nikki se kaha.
Priya boli “tumko kya lagta hai. Kya mai sirf itni chhoti si baat ko lekar is se naraj hu. Ye baat itni chhoti nahi hai, jitni chhoti tum samajh rahi ho. Kya tumne kabhi ye baat soch kar dekhi hai ki, yadi seeru didi samay par waha na pahuchi hoti to, waha kya ho sakta tha.”
“Tu jara soch kar dekh ki, yadi khalid, ajay bhaiya ka dost na nikla hota to, us samay waha par kya kuch nahi ho gaya hota. Kya wo apne bhai ka khoon bahane wale ko, aise hi jaane deta. Kya ye humare samne aise bhala changa khada rahta.”
Priya ke ye sawal sunkar, nikki ne usko samjhate huye us se kaha.
Nikki boli “teri sab baten sahi hai. Lekin jab aisa kuch hua hi nahi hai to, tu is baat ko itna kyo bada rahi hai.”
Nikki ki baat sunkar, priya ne hairani se uski taraf dekhte huye kaha.
Priya boli “tu bhi ye hi samajhti hai ki, mai is baat ko bevajah bada rahi hu. Kya tujhe malum nahi ki, iski mom iske sath huye hadso ki vajah se kitna pareshan thi aur jate jate bhi wo hum logon se bas iska khayal rakhne ka hi jata kar gayi thi.”
“Unhe hum logon par pura viswas tha ki, hum logon ke rahte is par koi musibat nahi aa sakti. Sirf iska khayal rakhne ki vajah se wo mujhe kitna pyar de rahi thi. Aise me yadi meri vajah se hi iske sath kuch bura ho jata to, mai kis muh se unka samna kar pati.”
Ye baat kahte kahte priya ki aankhen chhalak gayi aur wo apne aansu rokne ki koshish karne lagi. Wahi mai aur nikki ek dusre ko hairani se dekhne lage. Abhi tak hum dono ko aisa lag raha tha ki, priya ki mujhse jo narjagi hai, wo mere us par chillane ki vajah se hai.
Lekin yaha to uski is narajgi vajah hi kuch alag thi aur uski is narajgi ke pichhe, chhupi gahrayi ko jaan kar, kuch der tak na to mujhse kuch kahte bana aur na hi nikki se kuch kahte bana.
Fir jaise hi nikki us se kuch bolne ko huyi, waise hi usne apne aansu ponchhe aur nikki se kaha.
Priya boli “mujhe is se koi narajgi nahi hai. Yadi mai is se naraj hoti to, mujhe iske sath barkha didi ke yaha rukne ki koi jarurat nahi thi. Mai bhi riya didi logon ke sath hi ghar wapas aa gayi hoti.”
Nikki se itni baat kahne ke bad, priya ne palat kar meri taraf dekhte huye kaha.
Priya boli “mujhe sach me tumse koi narajgi nahi hai. Meri yadi kisi se kuch narajgi hai to, wo sirf apne aap se hai. Kyoki meri vajah se hi tumhare upar itni badi musibat aane wali thi.”
“Tumhe kisi baat ke liye mujhse maafi mangne ki koi jarurat nahi hai. Tumse kabhi mera dil dukhane ki galti huyi hi nahi hai. Yadi kisi se ko galti huyi hai to, wo sirf mujhse huyi hai. Mai hi tumhare dil me hamesha jagah banane ki koshish karti rahti thi.”
“Yadi ho sake to, mujhe meri is galti ke liye maaf kar do aur yadi maaf na bhi kar sako, tab bhi mujhe tumse koi shikayat nahi hogi. Mere dil se hamesha tumhare liye dua hi nikli hai aur aaj bhi tumhe dua deti hu ki, tum jaha bhi raho, khush raho.”
Ye baat kahte kahte ek baar fir uski aankhon me aansu aa gaye. Magar is baar usne apne aansu ponchne ki koshish nahi ki aur palat kar humare pas se wapas jaane lagi. Lekin uske waha se jaane ke pahle hi maine uska hath pakad liya.
Wo mujhse apna hath chhudane ki koshish kar rahi thi aur mai us se kuch bolne ki koshish kar raha tha. Lekin uske dard ka aehsas karke, meri aankhon me bhi nami aa gayi thi aur mai chah kar bhi us se kuch bol nahi pa raha tha.
Maine anjane me hi sahi, lekin uske masum dil par gahri chhot pahuchayi thi aur ab uski is chot par marham bhi mujhe hi lagana tha. Jab mujhse us se kuch kahte nahi bana to, fir mere dil se khud-ba-khud ek gaane ke bol nikal aaye.
“Hum Ko Mili Hain Aaj Ye
Ghadiyan Nasib Se
Ji Bhar Ke Dekh Lijiye
Hum Ko Karib Se
Phir Aap Ke Nasib Mein
Ye Raat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulaqat Ho Na Ho
(Mere muh se gaane ke ye bol sunte hi
priya ne apna hath chhudane ki koshish
band kar di aur meri taraf gaur se
dekhne lagi maine use dekhte huye
aage sur me gaate huye kaha)
Lag Ja Gale Ki Phir Ye
Hasin Raat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulaqat Ho Na Ho
Pas Aaiye Ki Hum Nahin
Aayenge Baar-Baar
Baahen Gale Mein Daal Ke
Hum Ro Le Zaar-Zaar
(ye kahte huye maine
priya ko apni taraf khich liya)
Aankhon Se Phir Ye Pyar Ki
Barasat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulaqat Ho Na Ho
Lag Ja Gale Ki Phir Ye
Hashin Raat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulaqat Ho Na Ho.”
Gaana pura hote hote meri aankhen puri tarah aansuon se bhig chuki thi. Wahi priya mere gale se lag kar aansu bahaye ja rahi thi. Lekin ye haal sirf hum dono ka hi nahi tha. Nikki ka haal bhi kuch humare jaisa hi tha. Wo bhi apni aankhon se aansuon ko chhalakne se nahi rok payi thi.
______________________________