• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Update:- 69





Jivisha khushi se uchhalti hui har naam likhe darwaje ke button ko khol'kar dekhi. Matr kapdon ka section chhod'kar baki sare section ki banawat ek jaisi thi. Takriban 200 fit ki lambai aur 16 fit ki chaurai me tha kapdon ka section, jahan pahan'ne ke hisab se kaun se kapde nahi the…


Jivisha ko apni aakhon par yakin nahi ho raha tha. Wo apne hath me kuch kapde samet'kar pane sine se lagaye, bade hi pyare andaj me khud se hi kahne lagi… "Hay, sapno jaisa lag raha hai ye to Nischal.. Uamaaahhh ! Love u baby"..


Jivisha kapde ke section se jaise hi bahar nikli samne Nischal khada tha… "Tum naha do kar ab tak taiyar nahi hui"..


Jivisha uchhal'kar Nischal ke gale lagti…. "Oh my god, Oh my god, Oh my god… Baby iss jagah ka interior kitna shandar hai, isse banwane me to bahut paise kharch huye honge"..


Nischal:- Jisa, ab please naha kar aa bhi jao… hume wapas bhi jana hai warma Mukhiya ji panchayat laga denge…


Jivisha:- Oh haan baby, lekin Nischal, suno na..


Nischal:- Haan sun raha hun main…


Jivisha:- Tumne yahan itne sare section aur itni sari chijen rakhi hain ki dekhne me main confuse ho gayi.. baby tum mere liye kapde aur jaroorat ke sara saman nikal loge kya.


Nischal:- Ji ho jayega Maim bus apna size to batati Jao..


"Kaise nikamme lover ho, jo abtak mera figure pata nahi kiye. 2 minute me sara saman nikal'kar, ye jagah khali milni chahiye."… Jivisha aage se hansti hui bathroom me ghusi aur dharam se darwaja band kar lee.


Jivisha jab ander dekhi, uss ke liye yakin kar pana muskil tha. Aisa lag raha tha jaise Nischal ne koi sapno ki duniya uske liye taiyar ki hai. Jivisha jabtak bathroom dekhne me vyast thi thik ussi waqt wahan lage machine se awaz aayi… "kripya nahane ke baad iss box ko khole.".. Jivisha jaise hi wo awaz suni, "Samrt haan, sab kuch high tech banaya hai"..


Jivisha apne sare kapde nikal'kar jaise hi shower li, achanak hi thand se kanp gayi. Shower se nikla to pani hi tha, lekin ye itna thanda hoga… Jivisha ne bahut kosis ki lekin wo shower band nahi hua. Darwaja khol'kar nikalna chahi lekin wo bahar nahi nikal saki.


Aisa lag raha tha wo jam jayegi.. aur hua bhi aisa hi. Dhire-dhire uska sharir akadne laga, wo apni jagah sthir hone lagi. Dimag jaise deep freeze ho chuka tha. Tapman sunya se 10 digree niche ja chuka tha aur Jivisha ke dimag me subah ki sari tasveer dhire-dhire saaf hone lagi. Jaise-jaise wo tasveere saaf ho rahi thi, waise-waise wahan ka jama barf bhap banne laga.


Dhire-dhire Jivisha ka sarir samanya hone laga. Uss pani jaise liquid ka tapman ab bhi shunya se 10 digree niche hi chal raha tha... Wo pani jaisa dravya jab Jivisha ke sharir par parta, usse maza aa jata…


Tabhi wahan par fir se machine se awaz aayi… "aur thanda anubhaw ke liye isse niche ki ore press karen".. aur jahan se awaz aa rahi thi wahan ek khiskane wali button dikhne lagi. Jivisha usse pahle ek paydan niche lekar aayi…


Jivisha har 2 minute par tapman ko niche lekar jane lagi. Tapman niche hote hote shunya se 60⁰ niche aa chuka tha. Kafi sukun se nahane ke baad Jivisha ka bus itna kahna tha.. "ab bus bahut naha liya"… aur shawer band ho gaya…


Jaise hi shower band hua dekhte hi dekhte wahan sisha aur baith'kar taiyar hone ki puri vaywastha… Jivisha aaine me khud ko dekh rahi thi aur khud ko dekh'kar chaunk gayi. Uska pura badan chamak raha tha… pure badan se halki raushni aur uski kali aakhen puri nili ho chuki thi.


Kuch der tak khud ko dekhne ke baad, apne aaschrya ke bhaw ko muskan me badal'kar box ko kholi. Nischal dwara apne liye select dress ko dekhti…. "Oh ho, to baby mujhe pencil dress me dekhna chahte hain… Not bad Mr. Nischal.. mere liye itne tight outfit selection.."


Jivisha ne undergarments uthaye pahle, hathon se ulat-palat karti wo jaise hi bra pahni, shocked se apni aakhen bhadi kiye…. "Badi hi chalu chij hai ye to, itne prefect size ki bra dhundhne me to mere sirdard ho jaye, isne 2 minute me puri dress with maching. Ruko nikal'kar aane do fir hisab kitab leti hun. Ab bra itni fit hai dress ke bare me mujhe sochna hi nahi hoga."..


Jivisha puri taiyar hokar nikli. Ummid anusar, Nischal ussi jagah baith'kar darwaje ko taak raha tha.. dono ki naron se najren takrai aur chehre par muskan tair gayi.… "Ab bus bhi karo, kitne ghuroge"


Nischal:- Ufffff ! Ghayal kar rahi ho Jisa..


Jivisha:- Acha ji, tumhara ghayal hona to samjhi, lekin ye aise itne tight dress mere liye select kiye.. Yadi pure din har jagah isme ghumti rahi to pura bajar ghar tak chhodne aayega…


Nischal:- Lekin aaj tumhe kahin jane dunga to na koi aur tumhe dekhega…


Jivisha:- Oh ho, aur Mukhiya ji… unka kya?


Nischal:- meri Malkia ke liye Mukhiya ji se nipatna koi muskil kaam to nahi hoga ..


Jivisha:- Eeeeeeee Agar fir se mujhe ye Malkia kaha to dekh lena… tum mere ander jhank kar bhi mujhe yahi kah rahe the na subah…


Nischal:- Hmmmm ! Matlab deep freeze ne apna pura kaam kar diya.


Jivisha:- Baby baten baad me, pahle mujhe jodon ki bhukh lag rahi hai…


"Kyon nahi chalo chalte hain"… kuch button press kiya Nischal ne aur jahan khade the wahin patri si ban gayi aur un patri se ek doble sitter baggi unke samne aakar ruki. Dono baggi par sawar ho gaye aur baggi jis-jis section se gujar rahi thi, Nischal har section ke bare me batata chal raha tha….. kaun sa section me kya kiya jata hai…


Thodi hi der me dono khane ke table par the… Jivisha soup ka ek niwala piti… "Kamal ka soup hai ye, kya lajwab test hai. Kis chij ka soup hai baby"..


Nischal:- Ye Musk deer aur blue sheep ke meat ka soup hai..


Jivisha idhar-udhar dekhi aur kitchen ke besin mein.. waykk waykkk… "Arre bus bhi karo, main mazak kar raha tha. Ye Himalaya me paya jane wale herb aur corn mix soup hai"…. Jivisha gusse me samne para kuch glass aur saman khinch kar Nischal ko marna shuru ki, Nischal uski iss harkat par jor-jor se hanste huye…. "Dono saheli ke bich ye achha connection hai. Dono kitchen ke saman ko fek kar marne me itna viswas kyon rakhti ho"..


Jivisha, Nandni ka naam sun'kar aur bhadkti hui… "Bechari ke chehre par kal subah likha tha ki tunhara jana usse akhadega, wo padesan thi aur usse bich sadak par chhod aaye. Bhagta kidhar hai machhar, ruk abhi batati hun.."


Najron ke ishare se hi wahan ka sara saman hawa me aur ek sath sabhi bartano ki barish karwa di Jivisha ne... "Aaoooo.. Malkia, shant, sar phut jayega"….. "Huh jaan kar chidha rahe.. oye idhar ke oprater jara kuch bhadi saman nikalo, iski tange hi tod deti hun. Na rahegi tang na bahgega ye"..


Nischal teji dikhate Jivisha ke piche aaya aur usse bahon me bhinch'kar, gale par kiss karte huye… "Bus re baba bus, itna gussa. Ab maanf bhi karo"…


"Chhodo mujhe… abhi chhodo, aur samne aao"…. Jivisha ki baat maan kar Nischal uske samne khada ho gaya… Jivisha, Nischal ko najar bhar dekhti rahi. Uski tej shwans dhire-dhire samnya hui… "Haan ab thik hai. Aaenda khane me non-veg ki baat kiye to main tumhe hi paka kar kha jaungi. Yahan ka pura kachra saaf karke jaldi nasta lagao. Pahle kuch sawalon ke jawab lekar, tumhari class bhi lagani hai"..


2 minute me hi dono khane ke table par the… "Ye meri aakhon ka rang badal kaise gaya, aur mere badan me aisa kaun sa tube light laga diye jo chamak raha tha. Aise mera chehra chamkta rahe to main bahar kaise ghumungi"


Nischal:- Badan ka chamakna, to dawa ki wajah se hai, aur aaj subah hi tumne apne body me kuch unknown extra fluid active kiye hain, jiske karan aakhen nili ho gayi. Yah ek samanya prakriya hai aur andruni harmonal change ko tumhara body accept karke upar kuch badlaw dikha raha hai.


Jivisha:- Haynnnn ! Aisa bhi hota hai kya?


Nischal:- 2 baten batana chahunga… Pahla to ye ki jivan ki utpatti ke dauran bahut se rahasya chhipe the, jiska aanshik hi kewal hume pata hai aur dusra ye ki sabse jyada rahasya prithwi par hi chhipa hai, isliye pura universe prithvi ko sabse majboot aur shantipriya grah manta hai.


Jivisha:- Sabse majboot, lekin tumhe dekho, tumhara to yahan koi mukabla hi nahi…


Nischal:- Tum nahi samjhogi abhi. Tumhare hisab se main tumhe bahut shaktisali dikh raha hun, lekin viswas mano meri lagbhag 70% kshmta iss prithvi ki den hai.. ab tum samjh sakti ho yahan ke rahsyon ke bare me.


Jivisha:- Fir mera rahasya kya hai.. kahan se aayi mere ander ye shaktiyan… kya koi bhut ya ruh hai mere ander, ya mera puarjanan hua hai…


Nischal:- Ye bahut aage ka sawal hai, jiska jawab mujhe pata nahi, lekin hum dono chalenge kahin dur, iss rahasya se parda uthane…


Jivisha:- Thik hai to wapas pahle sawal par aati hun… Dawa ka aur meri body ka kya sambandh hai, jo aise chamak raha hai? Aise kaun si chamatkari dawa istamal kiye?


Nischal:- "Main tumhare man ki bechaini ko samjh raha hun.. lekin main Google thode na hun ki sab bata dun. Waise tumhare body colour aur chamak ka raaj kewal dawa nahi hai, bus tumhare ander ke jo extra harmonal activity hai wo ab tak trigger nahi huye the, isliye ab tak wo badlaw nahi dekhne mile the.

"Rahi baat wo chamatkari dawa ki, to wo koi chamatkari dawa nahi, balki zahar tha, jo tumhare liye ek asardar dawa hai. Jise tum ander kuch soya samjh rahi thi, wo actully kuch soya nahi tha, balki kuch aise extra body fluid hai, jo tumhare ander shuru se thi. Zahar tumhare body me thik waise hi kaam karta hai, jaise kaam se thaka insan koi painkiller aur multivitamin leta hai. Zahar tumhare in fluids ke work load ko normal karke strength deta hai, jise tumne aaj subah apne ander active kiya hai.


Jivisha:- Oh matlab mere aakhon ka rang sharir me active huye un khas takat ki wajah se hai. Bulb ki tarah chamakna aanshik hai wo dawa lete waqt rahega… iske alawa koi badlaw mere body colour me....


Nischal:- Bulb ki tarah to chamak kewal dawa ke wajah se hogi jo 10/15 minute se jyada nahi rahega, lekin tumhari skin me thodi chamak rahegi jo auron se tumhe alag karegi..


Jivisha:- Nah mujhe normal dikhna hai.. special nahi.. koi upay....


Nischal:- Kitna bhi normal kar lo abhi jaisi ho uss se niche nahi laya ja sakta.


Jivisha, apna chehra aaene me dekhti… "Yaar skin se light reflecte kar rahi.. chhodo, main powder aur cream ke niche isse dhak lungi… mujh par kitna zahar istamal kiya wo nahi bataya..
 

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Update:-70





Jivisha, apna chehra aaene me dekhti… "Yaar skin se light reflecte kar rahi.. chhodo, main powder aur cream ke niche isse dhak lungi… mujh par kitna zahar istamal kiya wo nahi bataya..


Nischal:- Kya karogi jaan kar rahne do..


Jivisha:- Nahi mujhe janna hai..


Nischal:- samjh lo 1 bund zahar se 1 lakh logon ko mara ja sakta hai..


Jivisha chaunkti hui…. "Aur kitne bund mere liye normal dawa ki tarah kaam karta hai.. aur ye mere liye painkiller hai ya multivitamin"..


Nischal:- 4 bund zahar… ye tumhare liye pain killer hai aur multivitamin dusra hai.


Jivisha:- Mujhme jadu bhi aaya hai kya, jo main samjh gayi ki tum seriously apna gala katne ka rahe ho?..


Nischal:- Jadu to nahi hi hai, lekin ye dimag ke kisi jagah ki utapatti hoti hai, jo samne wale ke dimag se anjane me hi connect hokar uski soch ko capture karke ek purwanuman deta hai .. .


Jivisha:- Hammm ! Tum mere dimag me ghuse the na.. wo tumne kaise kiya, aur kya main dusre ki soch ko ek purvanuman ke jariye capture kar sakti hun to kya main har kisi ki soch ko padh sakti hun aur tumhare tarah kisi dusre ke dimag me bhi ghus sakti hun kya ?


Nischal:- Google samjh liya hai kya? Kitne sawal daagti ho..


Jivisha, Nischal ko chhudi dikhati… "Chup chap batao"..


Nischal:- "Dekho prakriti ne khud suchna aur prasar ki tarange banayi hai, aur un tarangon ke madhyam se jab tumhari ye wireless dabbe (Mobile phone) chal sakte hain, to kya ek brain se dusre brain me, suchna aur prasar ke madhyam se ghusa nahi ja sakta.. bus yahi theory hai.

"Rahi baat tumhari purvanuman ki, to yah dimag ki achet awastha ka ek prakriya hai, jispar khud ka koi niyantran nahi hota, isliye aisa kahna galat hoga ki tum kisi ki soch ko padh sakti ho. Haan aane wali kuch bure ya bahut bure ghatna ko tum pahle hi bhanp logi. Fir chahe wo ghatna kisi ke dimagi upaj ke karan hone wali ho ya fir prakriti me… kyonki har jagah suchna aur prasar ki tarange faili hai".

"Jahan tak baat hai ek dimag se dusre dimag me ghusne ki kala, to ye bhi ussi theory se hota hai, suchna aur prasar ke madhyam se, jo telepathy ke jariye connection banati hai. Jahan purvanuman mastishk ke achet awastha ki ek prakriya hai, wahin telepathy jagrit mastisk ke purn dhyan aur iss vidhya ke purn prasikshan se aati hai. Yeh ek jatil vidhya hai jise varsho tak sikhne ke baad bhi aap isme nipun ho jaye iski koi guarantee nahi. Mujhe iss vidhya ko mere janm ke chauthe varsh se mere guru ne sikhana shuru kiya tha…"


Jivisha:- Haan mujhe pahle se pata thi ye sari baaten. Main to bus dekh rahi thi ki tumhe aata hai ki nahi ye sab. Sidha sidha ab mukhya sawal, kya tum mujhe yahan maroge ya antriksh me kahin aur…


Nischal:- Oye pagal, ye kya bakwas hai ye.. Kahin koi side effect to nahi hua dawa ka…


Jivisha:- Bakwas ka kya matlab hai… mujh me dark shakti hai. Mere ander 4 lakh logon ke marne jitna zahar dawa ke roop me kaam karta hai. Jab mera dimag jama aur puri tasviren saaf hui tab maine khuli aakhon se dekha ki maine bina jane hi kitna bhay ka mahol bana rakha tha. Masoom log jinki koi galti nahi thi… janwar, Panchhi, ped-paudhe, aisa laga jaise main shakal vinash ka irada banaye hun. Uspar se sabse majedar baat, jab main ye pura kand karne ke baad jaagi to mere liye mahaj ye sapna tha…


Nischal:- Dhat teri ki.. bewakoof !


Jivisha:- Ab aisa to na bolo na…


Nischal:- "Ak47 sena ke pass bhi hota hai aur terrorist ke pass bhi. Ek ethical hacker hota hai to dusra illegal hacker. Koi doctor jaan bachata hai, to koi doctor Keeney nikal'kar bech leta hai… Ab bewakoof na kahun to kya kahun… Koi power bura ya bhala nahi hota, bura ya bhala un powers ko istamal karne wale hote hain."

"Haan wo alag baat hai ki takat ka nasha itna andha kar deta hai ki ek aham ki stithi paida ho jati hai, jisme power ke nashe me chur insan ke liye, "kewal wahi sahi hai aur uski baten sarvopari".. ye vichar hamesa uske man me hota hai aur apne faisle wo khud le leta hai, fir chahe wo faisla achhe ke sandarv me ho ya bure ke sandarv me"..


Jivisha:- Agar tumhari baten sahi hai to fir mujhe kuch acha karna chahiye tha na, fir bura kyon ho gaya…


Nischal:- Kyonki tumhe laga, koi tumhare ajij ko marna chahta hai aur tum baukhlahat me sab tabah karna chahti thi. Tum ye tak bhul gayi ki Nischal hi Nischal ko marna chah raha tha.


Jivisha:- Lekin baby main jab kisi ka bura nahi chahti, fir mera aawesh me aana hanikarak kaise ho gaya?


Nischal:- Aawesh me ho ya pyar me, ya fir koi anay wajah, jabtak tumhe un powers ko control karna nahi aayega, wo aniyantrit power hoga. Aur kuch bhi aniyantrit hamesa bhayankar nuksan deta hai.


Jivisha:- Hmmmm ! Main kuch der pahle gusse me thi tab maine chaku aur bartan ko hawa me utha liya tha.. abhi wahi karne ki soch rahi hun, lekin nahi ho raha…


Nischal:- Ussi ki to traning kar rahe hain…. Aaj se tum hamesa mere nigrani me rahogi, jab tak tum purn niyatran na sikh lo…


" Oh ho to mujh par najren rakhi jayegi. Nischal babu har waqt mujhe dekhenge, jaisa kuch der pahle mujh par najar rakhe the, jab main bathroom me thi, kyon baby. Waise kaisa tha mera live show, aakhen chaudi karke, bade maze se popcorn khate huye, bade screen par tum to maze le rahe hoge"… Jivisha aakhen dikhati hui puchhne lagi…


Nischal:- Nahi nahi nahi… tum jaise hi ander gayi maine uss section ka camra off kar diya tha…


Jivisha:- Huhhhh ! Chahe prithvi ho ya universe, jahan kahin bhi ye ladke honge, sab ek jaise hi honge.. mauka mila nahi ki taak jhank shuru..


Nischal:- Kasam se Jisa maine nahi dekha, yakin kyon nahi karti…


Jivisha:- Ohk maan leti hun. Waise bhi mujhe koi aitraj nahi tha agar tum dekhte bhi ho to.. mana thode na kar rahi thi. Main to bus puchh rahi thi. Mujhe laga tum mujhe nahi dekhoge to kise dekhoge. Khair ab to mauka gawa diya. Tum ye batao mere liye itne perfect size ke bra kaise nikal laya? Bahut chalu chij ho tum Nischal.


Nischal:- Na na, tum galat ho Jisa, mujhe thode na tunhare figure ke bare me pata hai. Room me body scanner lage hai.. bus screen par apne item select kar lo… prefect size ke hisab se nikalna machine ka kaam hai..


Gusse me Jivisha pura pani ka jug Nischal ke sar par uddelte… "Huhhhh ! Main tumhari gf hun yaar kuch to aisa jawab do lage haan.. sunkar aisa lage ki kuch ikchhayen tumhari bhi hai"…


Nischal, apna chhota sa muh banate… "Sorry main abhi kacha hun"…


"Hay kya masumiyat hai baby ke chehre mein"... Jivisha khyalon me sochkar muskurai aur Nischal ke pass jakar uske gode me bait'ti hui…. "Koi baat nahi, dhire-dhire pakke ho jaoge"…



Hasin lamha tha aur dur tak khamoshi. Ek dusre mein doobne ke liye iss se behtarin mauka kya ho sakta tha. Dono ek dusre me khoye se apne pyar bhare pal batne lage.


Pure din Jivisha ko Nischal apna yaan dikhata raha. Kayi din bhi kam par jate waise to uss viman ko pura ghumne mein, lekin uss viman ki mukhya jagah aur total control Jivisha ke dimag me chhap chuki thi. Sham ke lagbhag 5 baj gaye the, jab dono bahar mukhya dwar par aaye, wahin se fir Nischal ne Jatin ko bhi bahar aane kaha…


Jaise hi Jivisha, Jatin ko dekhi, uska pura asli roop najron ke samne tha…. "Ye kitna ajib dikh raha hai… Tum Shresh ke sathi ho na aur Kasak ko tumne hi apne pyar ke jaal me fasaya tha"..


Jatin apne ghutne par baith'te…. "Malkia aap ne sahi kaha"..


Jivisha:- Oye, mujhe iss naam se pukara to main tumhara khun kar dungi. Baby ye to wahi narbhakshi hai, lekin abtak ye jinda kyon bacha hai.


Nischal:- Jivisha, rahne do. Kuch to achi baat rahi hogi jo ye jinda bhi hai aur yahan hai humare sath… Jatin chalo hume wapas chalna hai…


Viman taiyar tha aur teeno nikal liye… Pune pahunch'kar Nischal aur Jivisha aam logon ke bhid me jaise hi samil huye, Jivisha jahan se gujarti, har koi usse hi dekhta. Aisa lag raha tha jaise uska chehra sabko apni ore aakarshit kar raha hai.


Jivisha, Nischal ko kopche me leti… "Huhhhn ! Har koi mujhe ho ghur raha hai. Aisa jina bhi koi jina hai. Main nahi janti ki tum kya karoge baby, lekin iska upay dhundho, abhi to ghar bhi nahi pahunchi hun.. pata na wahan ka reaction kaisa hoga.


Jivisha ki baat par Nischal khyalon me chala gaya aur Jivisha ke ghar ki panchayat ke bare mein sochkar hi sihar gaya.. Nischal, Jivisha ko uske ghar tak chhod'kar khiskane ka prayas kar to kar raha tha, lekin Jivisha usse kahin khiskane kahan dene wali thi…


Baahri badha'on se kitna bhi nipat liya jaye, lekin ye ghar ke log .. annhhhh ! Na jane kaun si ghutti pi kar aate hain. Kitna bhi samjha do unhe lekin ye ghar wale apne hi point ko pakad kar baithe rahenge.


Khair ab to Nischal ke kismat me yahi pariwar tha aur issi ko jhelna tha umr bhar, bus inhi khayalon ke sath wo sab sun liye aur muskurate huye wahan se laut aaya. Ab to har subah Thar ka maruasthal koi yudhh ka maidan hota. Nischal ke sath Jivisha har badha ko dhire-dhire safalta purwak paar karne lag gayi. Nischal ka pyar bhara sath Jivisha ke liye sab kuch tha. Wo ek slow learner thi, lekin Nischal ke liye Jivisha khuch bhi khushi se kar leti aur uski sari baton ko jaise dimag me chhap kar utar leti.


Lagbhag 6 mahine bit chuke the. Ek kushal prasikshak aur apne pyar ke sath Jivisha ne na sirf apne ander nihit shaktiyon ko purn roop se niyantran karna sikha apitu visam se visam paristhiti me bhi khud par kabu rakhkar faisla lene ki baudhik vikas ka srijan bhi hua tha… Jivisha ko Nischal ne yah baat ghor kar pila dee thi ki……



"Yadi hum marne par aate hai to sirf lashen hi bichhi milegi, isliye mirtudand ek mahadand hai. Ek purn aanklan aur purn samiksha ke baad hi kisi ko mirtu dand dene ka faisla lena chahiye, kyonki kisi bhi vidhi se ek mirt sarir me wapas jaan nahi dala ja sakta".


Thar registan aur prashikshan ka adhyay ab samapt ho chuka tha.. Nischal aur Jivisha befikr hokar apne dost aur pariwar ke bich khatti-mithi nok-jhonk ke sath samay bita rahe the. January ka mahina tha aur mauka tha Nandni ki shadi ka. 10 din pahle hi dono, Nandni ke sath indore pahunche the.


Indor ka naam sun'kar hi Nischal aur Jivisha ke chehre par hansi aa gayi. Dono ke mann mein sabse pahla khyal Nandni ki maa Durga Devi ka hi aaya, jise Jivisha ke wajah se kafi padesani jhelni pari thi...
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Yeh kya... itne dino baad sirf ek update :tantrum:
do aur update chaahiye abhi ke abhi :tantrum:
Waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting :tantrum:
Haan thik hai maim .. itna hadbadi kyon macha rahi hai... Deta hun na ek ke baad ek update .. aap jabtak yahan ispar dhyan dijiye na
 

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
nandini se chhoti si baat ke liye kyu naaraj ho gaya ....aur andrea ka matter bhi mast hai aisa lagta hai .
Naraj kahan hua hai.. bus gussa kar bhag gaya... Nandni emo thi aur Nichal samjha raha tha ki jab alag honge tab dekh lenge... Bus wo nahi samjhi to abhi hi alag ho gaya...

Andrea to bus ek college girl.. ab main ek ladki ya dusri ladki likhne se acha naam hi likh deta hun taki samjhne me aasan rahe
 
Top