• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
भाई कहानी और उसकी थीम मस्त है, बस जल्दी जल्दी अपडेट छापते रहो।
hahaha .. prakash bhai restart story hai iska matlab ye nahi ki mehnat nahi hai sir.. ulta naya story likhna aasan hai lekin dobara restart ko likhna muskil .. kyonki khani ko thik pichli bar ki tarah post karna hota hai... aur mere pass matr 12 update hain wo bhi .. sequence me nahi :D..

thoda samay lag jata hai ise likhne me
 
nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Update:-8

Par kahte hain na jo jitna jyada pyara hota hai, uske jane par dard kafi asahniya hota hai. Pyar bhare palon ki umr kam thi, aur akelepan ki ek gumnaam gumsum zindgi Nandni ka aage intzar kar rahi thi. Ek aisi zindgi jisme log, haste-bolte-nachte-gate-jhoomte rahte hai. Lekin satya to yah hota hai ki wo bhir me bhi khud ko tanha mehsus karte hain, aur apni tanhaeyon me bas rote rahte hain.

Pyar dosti aur khushhaal zindgi. Nandni ke college ka pahla saal bahut he pyar se gujra. Jahan pahle saal ke shurwat me hi Nandni ko Jivisha mili thi. Aur ek baar jab Nandni ko Jivisha mili, fir uski samanya si chal rahi life ekdum se turn leti adventurous aur suspenseful ho gayi. Agle din kya surprise mil jaye kise pata.

Sal ke madhya tak aate-aate, Nandni ko ek ladka bhi bha gaya tha. Wo bahut jyada to is vishay par khulti nahi thi lekin Nandni ko Saroj acha lagta tha. Halanki abhi izhar-e-mohabbat nahi hua tha Saroj ke sath, lekin dil ne dil ko pasand kar liya tha.

Pahla year chori jindabaad, 55% marks se Jivisha pass hui thi. Chhoti moti paresaniyan aur galtfamiyan Jivisha aur Nandni ke bich hoti rahi, kintu tabtak Nandni aur Jivisha ek dusre ko itna samjh chuke the ki, subah kisi bhi baat par ek dusre se tu-tu main-main karte aur saam ko fir se dono sath shopping aur market ghumne nikal jate....

Baat un dino ki hai jab Nandni ke dil me bhi har ladki ki tarah ye khyal aaya ki uss ka BF usse samne se purpose kare. Lagbhag ek saal se upar ka relation, ab to Nandni ke aakhin ne bhi sapney sajane shuru kar diya tha.

Saroj tha ki kuch samjhne ko taiayar nahi tha, aur natija Nandni kuch chidhi-chidhi si rahne lagi. Wo Jivisha thi jisne bhapa tha ki Nandni thodi paresan hai. Usne college me baat karna sahi nahi samja, isliye wo saam ko ussse milne gayi.

Halanki Jivisha ko pata tha ki iss waqt Nandni, Saroj ke sath ghumti hai lekin fir bhi wo apni jid se milne gayi....

Nandni.... Jisa aisi bhi kya emergency bata to jarra. Mujhe to lagta hai tu mera ghar basne nahi degi....

Jivisha.... Faltu baat karne ke liye nahi aayi hun, uske liye boring class he sahi jagah hai. Main kuch serious issue par baat karne aayi hun.

Nandni.... Jisa aur serious. My god main koi sapna to nahi dekh rahi.

Jivisha... Ho gaya, ab main bolun...

Nandni...... Na kah dungi to kya chup ho jayegi. Bol na baba...

Jivisha.... Nandu tere aur Saroj ke bich sab sahi chal raha hai na.

Nandni..... Haan sab sahi chal raha hai, kyon kya hua so...

Jivisha...... Tumhare ghar par sab thik to hai na.

Nandni.... Haan baba sab thik hai.... Par tujhe kya hua hai. Achanak ye sab kyon puch rahi.

Jivisha...... Kyonki aaj kal tu kuch jyada he chidhi rahti hai. Ab baat kya hai wo batayegi.

Nandni.... Kuch bhi haan. Mujhe kya hoga...

Jivisha.... Tere rag-rag se wakiff hun. Ab tu jaldi se batayegi baat kya hai...

Nandni..... Kuch baat na bhi ho to bhi jabardasti, haan...

Jivisha.... Achha, koi to baat nahi. To thik hai mere sir par hath rakh kar kah to yahi baat....

Nandni.... Chhor na Jisa, chal chalte hain movie dekhne...

Jivisha, apni aakhen dikhati.... "Hunnn... bolo"

Nandni.... Yaar Jisa hum ghumte hai, sath rahte hain. Saroj ke sath rahna mujhe achha lagta hai. Par...

Jivisha.... Par kya Nandu...

Nandni.... Par mere bhi armaan hain. Mera bhi dil karta hai ki wo mujhe apni bahon me le kar, mere najron se najren mila kar, kisi mard ki tarah mujhe purpose kare.

Jivisha.... Oho, to madam iss wajah se chidhi hai ki uss ke lallu ko humari ladli ke feeling ka jarra bhi ehsaas nahi... ruk abhi uski khabar leti hun...

Nandni.... Nahi, Ruk to, sun to... arre nahi Jisa...

Jivisha usse aankhen dikhati.... "Chup, bilkul chup" ... aur phone Saroj ko laga di...

Saroj.... Haan Jivisha kahiye kaise phone kiya.

Jivisha.... Saroj sidhe point par aati hun. Kya tumhe Nandni se pyar hai...

Pahle kuch der to koi jabaw he nahi aaya. Ek pause lene ke baad Saroj..... "Ye kaisa sawal hai"

Jivisha.... Suno Mr. Mujhe jyada baten karne nahi aati. Bas tumhari jankari ke liye itna bata dun ki Nandu ko ab tak 4 ladkey purpose kar chuke hai, un sab ko usne pending me dal rakha hai. Na to "haan" kahi aur na he "na". Iss se pahle ki wo apna irada badal le, tum soch lo tumhe kya karna hai.

Itna kah kar Jivisha ne call disconnect kar diya. Call disconnect hote he Nandni uske sir par marti..... "Pagal, jhalli... tu ne Saroj se jhoot kyon bola"

Jivisha.... Mujhe jo karna tha kar diya, ab tu jaan aur tera Saroj jane. Par mujhe aaj ke baad yadi tu chidhi hui dhikhi to main tera sar phod dungi.

Nandni... Ji samjh gayi.. aur kuch...

Jivisha.... Haan aur ye ki chal movie chalte hain....

Nandni... Movie, nahi abhi mera mann nahi....

Jivisha.... Abhi to tu kah rahi thi ki movie chalte hain, aur thodi he der me mood change.

Nandni.... Wo to tu apni baat ko pakrey baithi thi, isliye maine socha baat ko he ghuma du.

Jivisha...... Kamini in mamlon me main tumhari maa hun. Aise flop idea kisi aur par aajmana, samjhi.

Nandni.... Haan meri maa main samjh gayi....

Dono fir jo ghumte firte baton ka silsila shuru kee, wo raat ko he khatam hua. Haan lekin har aadhe ghantey par Nandni, Saroj ke bare me soch kar ek baar uski charcha kar he deti, jisse sun kar Jivisha usse ulta suna deti.

Nandni ko Jivisha ki sakt hidayat mili. No phone call, no contact, ab jab Saroj samne hoga tabhi koi baat hogi. Agle din Nandni ko college bhi nahi jane di, aur na he Saroj ka phone uthane di.

Uske agle din to mano sab kuch badla-badla sa tha. Jo Nandni apni tarap se pahle Saroj se mila karti thi, aaj Saroj ussi haalat me mil raha tha.... aur miltey he....

Saroj.... Nandni tum mujh se naraj ho kya...

Nandni.... Nahi to, kisne kaha...

Saroj.... Parso saam se ek baar bhi baat nahi hui. Kal college bhi nahi aayi. Phone lagaun to phone bhi nahi uthayi.

Nandni.... Arre batana bhul gayi thi, parso saam ko papa aa gaye the, isliye contact nahi kar payi....

Saroj, bina soche he bol para.... "Uncle aaye the, mujhe bhi milwati na"...

Nandni, chidhi si lahje me bahut rude ho kar kahne lagi..... "Aur kya kah kar introduce karati. Ye hai Saroj, ye BBA kar raha hai, main BCA kar rahi hun. Bas itna he na"...

Nandni chidhi hui iss lahje me apni baat boli ki Soroj fir ruka nahi.... "Hmmm ! Sorry, chalta hun Nandni, kuch kaam yaad hai. Baad me milta hun....

Saroj chala gaya. Nandni ko ehssas hua ki wo kuch jyada he rude ho gayi thi, aur Saroj ka iss tarah se mayus ho kar jana usse achha nahi lag raha tha. Class me bhi aayi to udas-udas he thi.

Jivisha.... Nandu tujhe kya hua, tere chehre par 12 kyon baja hua hai...

Nandni, puri class ke samne chillati..... "Jisa, jyada apnepan dikhane ki jaroorat nahi, leave me alone. Meri problem main khud solve kar sakti hun. Please akela chhor do mujhe".

Jivisha hasti hui dhime se boli..... "Jhagra tu apne bf se kar aur gussa mujh par. Selfish, kahin ki. Khair main to ye kahne aayi thi ki 2/3 din tak main college nahi aaungi.

Nandni ne Jivisha ki baat par kuch react nahi kiya. Jivisha bhi class khatam hone ke baad chup-chap nikal gayi. Ussi din saam ko.....

Jivisha apne kamre me thi. Tabhi uske flat ke bahar tej-tej awaz aane lagi. Band bajne lage aur Saroj mike me chilla kar kahne laga....

"Arre O' Nandu, O'Meri janeman... kahan hai tu nikal bahar"

Nandni sunte he apne balcony me aayi. Saroj wahi pahle din wala dress pahna hua tha, wahi ful hathon me liye, aur thik waise he apne ghutno par baitha hathon me mike liye tha.

Nandni jaise he usse dikhi, pyar se usse dekhte kahne laga...... "Nandni, main tum se uss din se pyar karta hun, jis din tumhe pahli baar dekha tha. Ab tak himmat nahi juta paya tum se kahne kee. Lekin ab chahe jo bhi tumhara faisla ho... but....

Iiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii..... Loveeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee................ Youuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu.......
 
nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Update:-9

Nandni jaise he usse dikhi, pyar se usse dekhte kahne laga...... "Nandni, main tum se uss din se pyar karta hun, jis din tumhe pahli baar dekha tha. Ab tak himmat nahi juta paya tum se kahne ka. Lekin ab chahe jo bhi tumhara faisla ho... but....

Iiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii................ Loveeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee................ Youuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu.......

Nandni ander se chahak gayi. Khushi uske chehre par jhalak rahi thi. Nandni jor se chillayi...... "Aise he rahna, bas 2 min"

Udhar se Saroj ne ishara kiya, usse kuch sunai nahi de raha. Nandni ungliyon se 2 min rukne ka ishara ki aur bhag kar apne kamre me aayi. Nandni ne bhi wahi dress pahan liya jo pahle din pahan kar college aayi thi. Niche jab tak Nandni aayi Saroj khara ho gaya tha....

Nandni..... Khadey kyon huye, abhi maine reply nahi kiya...

Saroj "oh" karta fir se apne ghutno par baith gaya....

Nandni apni aakhen dikhati jor se chillati puchhne lagi.... "Haan to Mr. aap yun public place par apne ghutno par baith kar kya kah rahe the"....

Nandni ka badla reaction dekh kar Saroj ki dharkane badh gayi. Jaise pahle din ghabraya tha thik waise he ghabrahat uske chehre par thi.... Par himmat karta fir bhi bol diya....

"Nandu, I Love you... uss waqt se jis waqt se tumhe pahli baar dekha tha"

Nandni.... Achha ji, to aaj aisa kya ho gaya jo sab ke samne bol rahe ho. Koi muhrrat tha kya aaj he bolne ka.

Saroj apni aakhen sikorta..... "Nervous to na karo na please. Kai baar kahne ki himmat kiya par laga kahin tum "naa" na kah do, isliye tumhe khone ke dar se kabhi kah nahi paya. Nandni main tumhe dil se chahta hun. Mujhe bas tumhare sath rahna achha lagta hai".

Nandni..... Achha ji aisi baat hai. Kahin aur der kar dete kahne me, to kahin tumhara dar sach na ho jata.

Saroj.... Kyon, tum kisi aur ko.....

Nandni..... Buddhu kahin ke.... chhoro abhi ye baten...

Saroj... Nandu, ab main khada ho jaun...

Nandni.... Nahi, bilkul nahi.... abhi mere sawalon ka jabaw do....

Saroj.... Haan puchho....

Nandni.... Ye tumhara sacha wala pyar hai ya tumhe apne liye bas gf chahiye isliye purpose kar rahe.

Saroj.... Ji sacha wala, kaho to main apne daddy ji ko bhejun aap ke daddy ji se shadi ki baat karne ke liye.

Nandni.... Jyada explanatory nahi bas haa-na ya thoda sa explain... Ab batao kya tum mere har nakhre uthaoge...

Saroj.... Main to tumhe he uthana chahta hun, fir tumhare nakhre kya hain....

Nandni.... Huhh !!!!! Mujhe jo pasand hoga wo tumhe bhi hoga kya...

Saroj.... Haan baba jo tum ko ho pasand wahi baat karenge, tum din ko agar raat kaho, hum raat kahenge.

Nandni.... Bas-bas, itna explain nahi chahiye. Tumhe bhi kuch kahna hai to abhi kah do kyonki iske baad main tumhe kuch bolne ka mauka nahi dungi....

Saroj.... Kyon kya hua so....

Nandni.... Because I Love You too, aur main apne bf ko kuch bolna allowed nahi karungi...

Saroj..... Kya ????? You love meeeee.... wowwwww ... woo hooo.... baby I Love You too...

Saroj aisa khush hua ki khadey ho kar usse gale laga liya..... "Saroj kuch to sharm karo hum sadak par khadey hain"

Saroj.... Jisse sharm aaye wo apni aakhen mund le, main apne hone wali biwi ke gale laga hun.

Nandni.... Oye kisne kaha ki main tum se shadi kar rahi hun. Abhi jyada sapney nahi. Abhi main bilkul shadi nahi karne wali. Samjhe...

Saroj..... Haan baba samjh gaya. Waise ye batao kal ka kya programme hai...

Nandni.... Kal se wahi boring classes aur un boaring class ke baad apne entertaning bf se milna bas yahi.

Saroj.... To apne bf ke sath isse pura entertaining karte hain na. Kal subah se ghumne nikalte hain...

Nandni..... Kahan ...

Saroj.... Ab wo main samjhunga na bas kal tum taiyar rahna.....

Agli subah he dono ghumne nikle. Car se long drive par. Jab se izhar hua the dono ki najdikiyan kafi badh si gayi thi. Bahon me bahen dale dono din bahar ghumte rahe, bas ek dusre me kho kar.

Subah se saam tak long drive. Saam ko disco pub fir night show ki ek movie aur finally late night wapsi. Dono ko ek dusre ko bye bolte thodi mayusi ho rahi thi.

Nandni boundary se dhire-dhire ander ja rahi thi, aur Saroj apne car ke pass khada ho kar bas usse jate dekh rahe the.... Tabhi Saroj ne halki si awaz lagayi.... "Nandni"

Nandni uss awaz ko sun kar ruki, mudi aur mud kar khadi ho gayi. Saroj daurta hua uske pass pahuncha, usse bahon me le liya aur bahon me le kar uski aankhon me aaken dal kar dekhne laga. Najren dono ke ek dusre ke najron me jhankti hui.

Iss kadar dekhne se jo pyar umar raha tha usse chhipaya nahi ja sakta tha. Dono ek dusre me samate chale gaye aur pyar ke iss ehsaas s, dhire-dhire Nandni ki aankhen band hoti chali gayi.

Jab chehre par sasen takrayi, dharkane badh si gayi.... aur fir Nandni ke naram se hoton par Saroj ke hoton ka wo pahla asparsh. Jaise sukhe per par pahli barshaat ki fuhaar hui ho, Nandni ka rome-rome khil gaya. Sasen bikhri si ho rahi thi.... aur dhadkane bekabu.

Saroj pyar ke iss ehsas ko todte Nandni se dur hat gaya. Najren ek bar fir ek dusre ko he dekh rahi thi, aur pyar ke iss kamuk mahol me dono ki sasen chadhi aur labz khamosh the. Saroj sayad khud ko jyada der rok nahi pata isliye dhime se “bye” bolkar mud gaya.

Saroj ek kadam aage badha hoga, Nandni ne uske shirt ko khich'ti apne ore wapas mod di. Dono aamne samne khadey. Ek baar fir najren lagatar ek dusre ki najron se milti. Dhakne jor pakdey jaise hilkor mar rahe ho.... Nandni ne ek kadam aage badhaya.... Apne aeriyon par khadi ho kar Saroj ko behatasha chumne lagi.

Chumte huye Saroj ne Nandni ko gode me utha liya. Honton se hont jore, usse siddat se chumte huye dhire-dhire kadam badhate, uske flat ki ore chal diya. Dono flat ke ander aaye. Saroj kiss torta usse bed par lita diya aur wapas jane laga. Ek khumari ke baad jaise Nandni ne apni aakhen kholi ho. Aur jab usne apni aakhen kholi, Saroj gate se bahar ja raha tha.

Nandni daur kar bahar nikli, ek baar fir Saroj ke shirt ko khinch kar apne ore mod li aur kas kar uss ke gale lag gayi. Saroj ke pith par apni mutthi ko aise bhinchi jaise aaj wo usse kahin jane nahi degi.....

Saroj, Nandni ko khud se dur karta dabi si awaz me kaha..... "Raat bahut ho gayi hai, tum so jao"

Nandni, Saroj ke aakhon me dekhti kahne lagi...... "Aaj kahin nahi jao na... please"... aur itna kah kar apni najren niche jhuka li. Ajib he khumari iss raat me. Ek aakarshan jo Nandni ko Saroj ke ore khinch raha tha. Pyar aur samrpan ki ek raat.

Ek hasin jora bahon ki aagosh me leta, biti raat ke pyar ki khumari ke baad agli khili si subah me aakhen kholta. Nandni ki jab aakhen khuli, khud ki haalat dekh kar thodi sharma si gayi. Wo ab bhi bistar par uss ke aagomsh me leti thi.

Aisa najara dekh kar he Nandni ka badan sihar gaya. Apne upar se Saroj ka paun hata kar wo bistar se utarne he lagi thi ki Saroj, Nandni ka hath pakar kar khinchte huye, apne upar lita kar usse bahon me bhar liya.

Bahon me machalte huye, Nandni saroj se kahne lagi.... "Chhoro besharm, mujhe kapdey pahan'ne hain".

Saroj apne bahon ki pakar dhili karta.... "Aise he bahut khubsurat lag rahi ho, tumhe kapdon ki kya jaroorat".

Nandni.... Very funny, ab chhodo bhi, mujhe jana hai...

Saroj, Nandni ke badan par hath ferte.... "Ummmm abhi bilkul chhodne ka dil nahi, raat ki masti fir se ho jaye”.

Nandni apni aakhen dikhati.... "Hatoooo, mujhe college ke liye taiyar hona hai"...

Saam ko jab saroj usse pick karne aaya to Nandni ki chal dekh, hooting karte kahne laga.... "Badle badle se sarkaar ke chal najar aate hain"

Nandni, gusse me dekhti.... Ha ha ha very funny ... Jyada bano mat .. Apne josh me tumhe hosh bhi na raha. Kya haal kiya hai tumne wahan par wo main he janti hun...

Saroj.... Achha dikhana to jarra kya haal hua hai wahan, main bhi to dekhun jarra ...

Nandni.... Smart haan ... Chalo chupchap ab se kuch dekhna dikhana nahi. Tum ne to mujhe bhi behka diya.

Saroj.... Jhuti kahin ki, main to bye bol kar ja raha tha kisne mujhe roka jarra yaad to karna ....

Nandni.... Bas bas... Mujhe kuch yaad nahi karna, chalo chup chap.

Dono ki aapas ke pyare nok-jhonk aur fir ek dusre ko bahon me samate khud ko bhul gaye. Kahte hain pyar jab hota hai, to log duniyan jahan se be-khabar ho jate hain. Nandni ki haalat bhi kuch aisi thi. Sab kuch samarpan kar ke wo saroj ke pyar me aise khoyi jaise baki ki chijen, koi bhuli kahani si ho gayi ho.

Ghar par baat tabhi hoti jab ghar se call aata. Jivisha ki kabhi usse dobara yaad nahi aayi. College lagbhag jana band. Bas subah saam jiski khyalon me dubi rahti, wo tha Saroj. Aisa nahi tha ki ye mamla ektarfa tha, saroj bhi Nandni ke pyar me dub kar bilkul ussi ka ho kar rah gaya tha.

Din bitne laga, saroj aur Nandni jasmani aur mansik taur par ek dusre ke kafi karib aa chuke the. Ishq mohabbat chhipaye kahan chhipte. Dhire-dhire sare college ko unki love story ka pata chal chuka tha.

Nandni ki duniya bas ab sirf simat kar Saroj me he rah gayi thi. Chhoti si duniya jisme Nandni aur Saroj the. Dhire-dhire kuch din aur bite, ab pyar tha ya crush ya dono ki nasamjhi wo bhi samne aane lagi. Jis pyar ki aadat Nandni ko Saroj laga chuka tha ab ussi aadton se wo kabhi-kabhi paresan bhi hone laga tha.

Shuru-shuru me to sab achha tha, Nandni se jarra bhi duri barldast nahi hoti thi aur wahi baad me Saroj ko sab over lagne laga. Galat kise kahe kuch samjh me nahi aata. Jab tak Nandni mili nahi thi tab tak saroj usse pane ke liye din raat ussi me laga rahta tha aur jab aaj ye viswas ho gaya tha ki Nandni usse chhor kar kahin nahi jayegi to sare kaam important ho gaya the siway Nandni ko time dene ke.

Kabhi thoda to kabhi jyada bahas si chhir jati to kabhi baat iss had tak pahunch jati ki Saroj ka hath bhi uth jata. Har baar Nandni roti hui apne pyar ke aage haar kar halaat se samjahuta kar leti, aur Saroj ke najriye se sochti hui uske har kiye ko waqt ki majboori samjh kar manf kar deti.

Saroj ko bhi Nandni se jhagra karna achha nahi lagta tha, par bahas jab chhirti to pyar se jyada pagalpan hawi ho jata. Ek aisa pagalpan jisme ek he soch ubhar kar bahar aati... "Aakhir ye mujhe har baat par tokti kyon hai".

Inke pyar ke izhar ka ye teesra mahina tha, Nandni ka khincha-khincha sa rahna Jivisha se chhipa nahi tha. Halanki Jivisha ne khud ko puri tarah se Nandni se alag kar liya tha, par uske chehre ke dard ko wo bhanp chuki thi.

Nandni ka calss me chup-chap rahna. Kuch bolo to uth kar dusri jagah baitha jana. Aakhir kar Jivisha ne faisla kiya ki wo Nandni se mil kar uss ki iss haalat ki wajah puchhegi.

Agle he saam ko Jivisha, Nandni ke ghar pahunch gayi. Aur uss ne jo apni aakhon se dekha, usse dekh wo bardast nahi kar payi aur gusse me tamtamati Saroj ko ja kar do thappad laga di.

Darsal dono me fir se bahas si chhiri hui thi. Jab Nandni ne Saroj ko apne pregnancy ke bare me bataya, Saroj, Nandni par chillata hua kah raha tha..... "Jab sex karne nahi aata to kyon har raat bula kar uske samne nangi khadi ho jati hai".

Bare he gande aur wahiyat tarike se jab Saroj, Nandni ke baal pakar kar ye kah raha tha, tabhi Jivisha wahan pahunch gayi. Pahunch kar aankhon ke samne aisa najara, usne aaw dekha na tau aur gusse me laal hoti do thappad marte hui kahne lagi..... "Bhag ja kaminey yahan se warna achha nahi hoga. Abhi mera para garam hai, ek min bhi aur ruka to tere liye achha nahi hoga".

Saroj.... Tu hoti kaun hai mujhe thappad marne wali kamini, ye hum dono ke aapas ka mamla hai.

Jivisa ke liye apsabd Nandni se bardast nahi hua..... "You know what Mr. Saroj Sandilya, abhi ke abhi mere ghar se nikal jao warna itne jute parenge ki sir par baal nahi rahenge".

Kuch bhi tha lekin Jivisha ko Nandni dil se manti thi, aur uske liye kahe sabd wo bardast nahi kar payi..... Saroj gusse me uss ghar se nikal gaya, lekin jate-jate ye bhi kahta gaya..... "Iss ladki ke liye tum ne mujhe aisa kaha na Nandu, ab main kabhi wapas laut kar nahi aaunga"...

Saroj ke jate he Nandni fut-fut kar rone lagi. Jivisha usse apne kandhe ka sahara di. Usse chup karate huye usse viswas dilayi ki pregnency ka mamla ko itna seriously na le aur apne kaam par dhyan de, baki sab wo handel kar legi.

Nandni, roti hui kahne lagi..... "Pregnancy ki chinta nahi hai Jisa. Jo kuch bhi hua usme meri bhi marji thi. Bas rula ye raha hai ki wo mujh se naraj ho kar chala gaya".

Jivisha, apni aakhen dikhati....... "Khabrdar jo uss waihsi ke bare me itna socha to. Koi kisi se aise pyar karta hai kya ? Yadi wo tujh se pyar karta hai to usse apni galti ka ehssas jaroor hoga. Warna samjh le wo tere liye mar gaya, uske liye jitna rona hai aaj he ro le".

Waqt bahut bhari tha. Ab tak jo bhi hota aaya tha Nandni aur Saroj ke bich hua tha, par aaj jo kuch bhi hua usme Jivisha bhi samil thi. Upar se Nandni ne aaj gusse me he sahi par dil ki bhadas puri nikal di Saroj ke upar.

Saroj bhi daru ke peg lagata bas Jivisha ke thappad aur Nandni ke kahe sabd he yaad kar raha tha. Usse rah-rah kar baat tir ki tarah chubh rahi thi... "uski Nandni uss se dur ho rahi thi". Khud ke gusse ko kabu karta usne pahle socha Nandni se baat ki jaye aur baad me iss Jivisha ko dekha lunga.....

Nashe ki haalat me dhut wo Nandni ke flat par pahuncha... aur jor-jor se "Nandni, Nandni" pukarne laga.... Nandni to bahar aayi sath me Jivisha bhi bahar aa gayi. Jivisha ko dekh kar Saroj ka para aur chadh gaya.... Jivisha ko jaise he dekha, wo galiyan dena shuru kar diya.... Ye sun kar Nandni ka khun khaul gaya...

Nandni aage badhi he thi usse kuch kahne, tabhi Jivisha ne uska hath pakra aur usse ander khinch kar le gayi. Kuch der aur khadey rah kar Saroj wahan galiyan deta raha. Saroj ki harkat dekh Nandni ko fir se rona aa gaya.

Pyar ka ghinauna roop dekh-dekh kar uska kaleja to pahle se fata hua tha, aaj pyar par se viswas bhi uth'ta ja raha tha. Saroj wahan khadey ho kar thodi der aur galiyan diya hoga... tabhi wahan police aa gayi aur Saroj ko utha kar le gayi.

Saroj ne jab thane me pata kiya ki, kis ki complaine par usse arrast kiya gaya hai to pata chala kisi ladki ki complain thi. Halanki wo complane na to Jivisha aur na he Nandni ne ki thi fir bhi Saroj yahi smajhta raha ki wo complain Jivisha aur Nandni ne he kiye hoga. Baat aur bigar gayi, ab to mamla ego wala ho gaya.

Waqt bit raha tha. Jivisha jaise saye ki tarah har waqt Nandni ko sahara de rahi ho, aur Nandni til-til apne tootey ristey ko bikharta dekh rahi thi. Pyar ka tootna kaisa hota hai ye koi Nandni ke dil se puchhe. Aisa nahi tha ki Nandni kosis nahi kar rahi thi, par jab koi baat he na ho to baat kahan se bane.

Nandni ka dard, Jivisha se bhi nahi chhipa tha. Par Jivisha ke samne Nandni har waqt fiki muskaan he muskurati rahi..... Uss aakhri din, Saroj aur Nandni ke ristey ka aakhri din..... Jivisha se he raha nahi gaya, aur ussi ne call kar ke Saroj ke sath meeting fix ki.

Ek kosis apne dost ko khush dekhne ki, Lekin Saroj ke rawaiyye me koi badlaw nahi tha. Miltey he rob se kahne laga, aisa mano wo koi jung jita ho..... "Kaha tha na ek din tum pachtaogi, tum apne iss pagal dost ke bahkawe me aa kar mujhe jail tak bhej di. Ab aa gayi na akal thikane. Main apne har dard ka badla lunga"

Jivisha.... Jab kahte ho pyar hai to badla kaisa Saroj. Isne to pyar me apna sab kuch tumhe de diya, par kya tumne kabhi iss ki bhawnao ko samjha. Har waqt apna kaam, apne dost, apni padhai, apni taklif. Tumhare pass 100 reason the Nandni ko avoid karne ke, par kya usse samjhne ki ek baar bhi kosis kiye. Pyar hai to usse pyar ke sath jatao. Thoda pyar thoda Haq achha lagta hai. Par pura Haq aur kewal jismani pyar .. pyar nahi bas ek property ban kar rah jati hai. Aur meri Nandu kisi ki property nahi.

Saroj.... Nandu, iss se kah do ye yahan se chali jaye tabhi kuch baat hogi.

Iss se pahle ki Nandni kuch kahti, Jivisha khud he wahan se uth kar chali gayi......

Jivisha ke jate he, Saroj thoda normal hote bolne laga..... "Nandu jo kuch bhi hua usme kuch tumhari, aur kuch meri galti thi. Chalo ek nayi surwat karte hain"

Nandni, chehre par ajib si muskaan ke sath.... "Aur wo nayi surwat kya hogi. Roj raat ko bas 2 ghantey mere liye waqt hoga, aur pura din main tumhari raah takte rahun".

Saroj.... Baby I love you, try to understand my problems.

Nandni.... Aur mere problems ka kya ? Kya mere pass koi problem nahi...

Saroj.... Tumhare pass kya problem hai, mujhe batao. Paison ki koi paresani, ya koi tumhe paresan kar raha hai. Tum kisi baat ki chinta na karo.... main hun na.... bas tum khush raho. Aaram se college jao, ghar par enjoy karo aur main free hote he tum se milne aa jaunga...

Nandni.... You know what Saroj, Jivisha sach he kahti hai, you assume me like your property...

Saroj... Uss kamini ko humare bich mat lao, sara nafrat ka bij ussi ka boya hai. Tum abhi decide kar lo tumhe tumhara pyar chahiye ya wo ghatiya ladki.....

Nandni, hasti hui.... "Decide kar liya"...

Saroj.... Kya ????

Ek jhannatedar thappad Saroj ke gal par... Aisa thappad ki jiski gunj sun kar Jivisha bhi ander bhagi chali aayi....... "Decide ho gaya Mr. Sandilya.... and Don't dare to use any slang language for my friend".....

Nandni, Jivisha ka hath thame Saroj ko alvida kah kar wahan se nikal gayi.....

Nandni ke jahan me sari ghatnayen jaise ek-ek kar ke samne aa gayi ho. Usse Jivisha ka har wo kiya yaad aane laga jo wo uske gum bhulane ke liye kiya karti thi. Khud ka mazak tak banaya sirf Nandni ko hasane ke liye.....

Nandni, roti hui bas unhi pal ko yaad kar rahi thi, tabhi pichhe se Nandni ke kandhe par Jivisha ne apna hath rakha aur ek hath aage badhati uss ke aanshu pochhne lagi......
 
Guffy

Well-Known Member
2,064
2,173
159

Finally i love you ho gaya saroj kar nandni se mast update hai padh kar maza aa gaya ab nandanii kya bolti hai dekho
 
Waah mast update tha pyar huwa iqarar huwa fir ruthe aur fir khafa huwe aur fir alag ho gaye lekin isme har waqt par jivisha sath thi nandni ke isko bolte hai best friend mast update tha bhai Waiting for Next Update
 
mahadev31

Active Member
1,207
3,357
144
2 emotional update......itna padhne ke baad pata chala ki saroj ki ghamand ki wajah se dono alag huye ...sirf raat ko do ghante milte nandini se pyar karne ke liye aur baadme waqt nahi rehta tha ,,, nandini ne to apna sab kuchh de diya tha saroj ko ,,, par itne padhe likhe dono precaution use nahi kiya aur pregnent kar diya ,,, aur agar wakai saroj sachcha pyar karta to pregnent ka sunne ke baad apna ego side me rakhke uski care karta aur ,,abortion to karna hi tha par aise waqt me pyar ka saath hona jaruri hota hai ....
 
mahadev31

Active Member
1,207
3,357
144
jivisha wakai me sachchi dost hai nandini ki ,par ye nandini ko ab samajh aaya jab flashback yaad kiya ,,, sachcha dost aur premi kabhi bure waqt me saath nahi chhodta ....agar wo saroj se shadi karne ki sochegi to wo uski sabse badi galti hogi ,...nice story ....waiting for next update...
 
Top