Update:-70
Zoren Grah Tatkalik Samay...
Kuchh din pahle hui gahtna se mano ek samrajya hila hua sa tha... Hazaron varshon se arjit ki gayi shaktiyan maano dheh si gayi thi aur Surpmarich mahaj ek joker sa ban'kar rah gaya tha…
Ek sandhi jo Surpmarich kar chuka tha, Jivisha aur uske logon ke pichhe na jana.… Aur badle me Jivisha bhi uska rasta nahi kategi... Uss sandhi ke tahat wo Zoren to chhod chuka tha, lekin sath me wo 40 hazar vansaj ki fauj bhi Zoren ki seema me chhod chuka tha, jo Arhcemia ko yahan le'kar aayi thi…
Uss fauj ki ab mukhiya thi judwa bahne Koyyi aur Moyi, jo Hella ki tarah apne sharir ko kosiskaon me pariwartit kar sakti thi, aur jab dono sath me ho fir inhe hara pana lagbhag namumkin.… Astak ke ant'hin fauj ke lakhon chand-sitare me se ek thi ye judwa bahne Koyyi aur Moyi, jo apni shakti samay ke sath sudridh (consolidate) to kar rahi thi, lekin aaj tak kabhi kisi yudhh me, prayog me nahi aaya tha...
Surpmarich, Arhcemia ke sath ek vansaj planet me ja chuka tha aur Astak ke kahne par wo puri vansaj fauj wahin apni sthiti banaye huye thi… Kuchh sandesh Astak, Nischal aur Serin ko dena chahta tha. Shayad sandesh dene aur baki kamo ke liye unhe judwa Koyyi aur Moyi hi behtar vikalp laga hoga, isliye Arhcemia ke waqt jo iss tukdi ko malik thi, Vardaly, usse hata'kar ab bus nigrani ke liye rakha gaya tha.…
Jivisha jaise hi hunkar bhadi, sabhi log uske sath aa'kar khade ho gaye. Wo awaj itni buland thi ki dayre ke bahar sabhi dragon baby halla macha rahe the... Jivisha ne wo 5 kilometer ka dayra bhi khol diya aur sabhi bachhe bilkul Jivisha ko poora gher'kar khade ho gaye...
Serin:- Yahan ke mahol se hum anjaan hai... Apni surakha ghera se jayenge...
Nandni:- Matlab rendom ladai ke liye hum log ja rahe ho...
Nischal:- Kuchh to hume dushman bhi sikha jata hai... Hum apne surakha ghere me jayenge baki dekhte hain kya hota hai... Ert, Nilbhut samuday ko tum suchna do ki poore Zoren ko gher le... Main, Jisa aur Serin bahar honge… Luna ander se tum poora backup dogi...
Kasak:- Makka laye ki nahi… popcorn ka maza lenge action time me...
Luna:- Kasak main video game khelne ka mauka bhi dungi... Bus target lock kar'ke ek chhota sa to button dabana hai...
Sabhi ek sath kahne lage... "Hum bhi khelenge"…
Luna:- Kafi joshili team hai mere pass...
Sabhi log baton ke dauran hi Zoren Planet ke bilkul bich me land kar chuke the… Jivisha apne dono baahn aise failayi mano apne 8400 bacchon ko unme samet rahi ho..… "Tum me se koi bhi bahar nahi aayega warna main kisi se baat nahi karungi"…
Dragon baby ko jaise ye baaten pasand nahi aayi ho, wo sab ke sab apna sar upar karke koi aaj ugalne laga koi barf to koi muh se alag-alag kshmta dikhate, gusse ka izhar karne lage...
Jivisha jor se chillati hui...… "Tum sab ko maine kah di na... Bus wahi karna… chup'chap yahin rahoge aur koi bahar jane ke liye tamasha kiya, usse yahin chhod'kar main chali jaungi"…
Sabhi bacche jaise Jivisha ki baat sun'kar roni soorat bana liye ho. Bilkul mayus aur ab ro hi parenge... Koi Kasak ke gardan par apna sar maarne laga to koi Luna ke... Mano kahna chah rahe ho... "Main bhi bahar jaunga ya jaungi, maa ko kaho tum"…
Viman ke land hote hi Jivisha kuchh pal ka dhyan lagayi aur charo kayi hazar kilometer ke kshetr ko apne aakhon se bhanpne ke baad Nischal aur Serin ke sath niche jane ki taiyari karne lagi...
Luna sabko le'kar sidha control room me pahunchi aur sab ko jode me baithne ke liye bol dee... Turnat hi usne command diya. Hawa me dron se 4 guna size ke udan tastari wahan ke aakash me charo ore fail gaye... Ert bhi wahan se nikal chuki thi... Aur ye teeno (Nischal, Serin aur Jivisha) sari taiyari ke baad apne kadam badhate huye niche utre...
Luna apni najar charo ore banaye hui thi..… Wahin Nandni aur Kasak dono popcorn banane me vyast thi.… Ert bhumigat ho'kar Nilbhut samuday ki seema ke pass hi thi lekin jaise-jaise wo aage badh rahi thi, dil ki bechaini bhi badh rahi thi….
Pratibandhit seema ke pass jab wo pahunchi tab wahan ka najara dekh'kar usski ruh kaanp gayi ho jaise... Ret ke maidan par ek fauj ki tukdi thi, bilkul alag aur bilkul naye... Sambhavtah ye lagbhag 1000 logon ki vansaj tukdi thi, jo ret ke maidan par chal rahe the. Ret ke niche jahan kahin bhi usse jivan mehsus hota apne hath niche le ja'kar jaise hi khinchte, sarp roop me rah rahe Nilbhut samuday ke 8-10 log unke hathon me hote aur agle hi pal utni hi nirdayita se unke muh me... Poora kaccha hi chaba ja rahe the….
Kaleja dahla dene wala ye kashn tha... Ert wahin bhumigat hoti wapas se Zoren ke center point ke liye nikli... Ert ki khabar pahunchne se pahle hi ye dil dahla dene wala najara Luna sabko dikha chuki thi...
Yah ghatna na sirf Nilbhut ke kshetr me ho rahi thi, balki Dridh aayu rastr ke kshetr me bhi jari thi... Fauj ki tukdi rah rahe aam logon ke gala pakad'kar kaccha maans hi chaba rahe the, fir chahe wo insan ho ya jaanvar.…
Nischal aur Serin ke aankhon me jaise khun utar aaya ho.… Dono apna hath thame uss bhumi par khade the...
Jivisha:- Main yahan ke logon ko Surpmarich ke dimagi changul se nikalti hun. Main jab lautun baby to wo sab narbhakshi mujhe iss jagah par jama chahiye, warna main apna aapa kho dungi...
Nischal aur Serin ek sath... "Aur hum bhi"…
Jivisha wahin bhumi par baith gayi aur agle hi pal ek ujla shaya Jivisha ke ander se nikal aur hawa me gayab... Nischal ek baar apni aakhon par hath fera... Mano apne chhalke aanshu ko saaf kiya ho.… Luna ne Nischal aur Serin ki aawaj pahunchane ka intzam kiya.….
Aisa laga Nischal poorn roop se dard aur gusse me ho.… Uski aankhon me poora khun utar aaya tha .. Serin, Nischal ka hath thamti.…
"Yahan na to yudhh hua, na dushman samne se aaya tha... Jis barbarta ka parichay pahle iss grah par tum logon ne Aizem ke sainikon ke sath diya hai, aur ab yahan ke logon ke sath kar rahe…. Wada hai jis din tumhare ant'hin duniya me ghusungi... Tumhara kaleja kaanp raha hoga... Tumhari aankhen badi ho'kar bahar nikal rahi hogi aur main tumhare jinda sarir se kaleja chid'kar, tunhara dil nikal lungi. Aur tab tum khud ko wahin tadapte huye pal-pal marte dekhoge… Wada hai ye mera"….. Serin apni buland aawaj ke jod par unhe ehsas karwayi ki kaun yahan aaya hai.…
Nischal apni aankhen munda. Serin ka hath aur jod se thamte.… "Astak aur uske Vansaj... Astak aur uske Vansaj... Astak aur uske Vansaj...… Ek hi jivan mila hai mujhe... Main kahaniyon me yakin nahi karta... Aur na hi meri bahan Serin yakin karti hai"….
"Hum dono ne bachpan se bahut lashon ka khel dekha hai... Kabhi itne hatash nahi huye... Kyonki hum dono ki maa ne hume jivan sanjona sikhaya tha... Hume shant rahna sikhaya aur hum dono ko sath rahna sikhaya… lekin shayad aaj lagta hai unhone hume thoda galat sikhaya tha... Iss se pahle ki hum dono bhai-bahan ashant ho jaye... Shanti se yahan chale aao"…
"Ek kadam ki jamin, ek chhota bund jitna hissa maans ka, aur ek katra aanshu bhi yahan kisi prani ke bahe, to yahan fir lashon ka khel shuru hoga, jo tabtak nahi thamega, jab tak ki uss Astak ke dhar se uska sar alag nahi kar deta... Aur ye ek Viggo ka wada hai"….
Apni baat kahte huye Nischal ne apne anguthe se apna laal rang lipt naag-dansh bahar nikala aur utne hi gusse me usne bhumi me usse gaad diya... Laal rang ki tej lahar wahan se failni shuru ho gayi...
Mahol jaise poora shant sa ho gaya tha... Khamosh, bilkul khamosh… aisa lag raha tha wahan ki ruki hawyen, apna shwans roke bilkul shanti se apni najren banaye hain… Iss shant se mahol me ek aur viyog ka aabhash hua... Jivhisha apne sharir me jaise hi wapas lauti, agle hi pal apna naag-dansh nikal'kar thik Nischal ke pass wale naag-dansh ke samanantar gaad di...
Nischal ke naag-dansh ki laal raushni aur Jivisha ke naag-dansh ki nili raushni... Dono aamne samne se nikalte huye takra rahe the... Kamosh se mahol me Jivisha apni urja apne shwanson me sameti.… "Main bus tum sab ko yahan aane ka kewal ek minute ka samay deti hun, uske baad humari dharya ki seema tum sab laangh chuke hogeeeeeee"…
Aur apni tej chinkh ke sath apna poora ka poora panja bhumi par de mari... Kampan ki ek tarang poore Zoren me mehsus ki ho jaise sabne... Hath ke uss thap se, nili-laal mishrit wo raushni bhi ek sath hawa me poore Zoren par fail gayi jo Astak ke vansaj ko alag hi bechain karne lagi.…
Serin, Jivisha aur Nischal teeno be-intaha dard aur gusse me khade the, jab 40 hazar ki tukdiyon ke sath Koyyi aur Moyi wahan pahunchi .. Gurur dono judwaa bahan ke rom-rom se jhalak rahi thi...
Pichhe 40 hazar Astak vansaj ki fauj, jiske 10 logon ki chhoti si tukdi ne bhi Dark Universe ke khatrnaak se khatrnaak fauj ko maut ke ghat utar diya ho... Abhi to fir bhi 40 hazar vansaj sena thi, gurur hona to swabhavik tha.…
Gurur aur ahankaar me dubi vansaj tukdi ki sipesalar judwaa Koyyi aur Moyi, apne fauj ke aage khadi thi, jiski najron me 3 bebas insan dard aur gusse me khamosh samne khade the. Aur unme se kisi ek ki jaan le'kar, Astak ka sandesh un tak pahunchana tha… "Vansaj sena ko maarne ka jo dus'sahas tum dono bhai-bahan ne kiya hai, jald hi tum sab ke samuday ka astitv mit jayega"…
Wahin Jivisha, Nischal aur Serin jitne shant khade the, utne hi ander se baukhlaye... Teeno ki lambi khinchti shawans jab dhime se bahar nikalti, wahan ke charo ore kee jalvayu ka mann bhi utna hi aakroshit ho jata. Hawaon ne hi yuddh ka bigul funk diya tha…. Mahadev jaise raudr tandav ko aatur ho aur charo ore bhishan nagade aur damru baj uthe ho, ye khamosh mahol ussi raudra dhun ka aabhash karwa raha tha...
Haan teeno bilkul khamosh khade ho'kar, apne ander uthne wale jwalamukhi se aise hi mahol ka parichay de rahe the… Agle hi pal uss khamosh se mahol me attahas bhadi hansi un judwa bahno ki... Hansi bhi mano aisi, jaise teeno ki vivashta par hans rahi ho.... Uss hansi ko bhedte Nischal ne puchha…. "Kya tum hi iss sena ki tukdi ki sena-nayak ho"
Nischal ki baat sun'kar dono bahane ahanhakri bhade uchh sawar me chinkhi.… "Haan"… Lekin iss se pahle ki "haan" ke aage wo kuchh kah pati... Nischal aur Serin ke ek hath se chain nikal chuki thi aur agle hi pal un 40 logon ko jo najar aaya, wo tha bhumi me gade 2 naag-dansh ke bich se, jale huye kaale awses dhire-dhire upar aa rahe hai aur wo hawa me ghul rahe...
Judwaa bahno ki ek aathas bhadi hansi, uspar Nischal ka ek chhota sa sawal jiska javab me ek sath nikla ahankaar bhadi "Haan". Uske baad ke 2 second ke samay me kya hua, vansaj sena ko usse dekh pane ki naakam kosis aur samjhne kee jaddo-jahat jari thi. Kintu un 2 second me kya hua unhe kuchh samjh me nahi aaya aur antim naitja, Nili aur laal raushni jahan takra rahe the, uske sath hawa me kaale jale huye kan phail rahe the.
"Luna jarra slow motion video chalao, taki yahan sab samjh jaye ki hua kya, fir baat karte hain"… Nischal apna aadesh diye aur slow motion video play hone laga... Iska time frame second ke 1000 we hissa jitna slow liya gaya tha...
Video me jaise hi Koyyi aur Moyi ne haan kaha, agle hi pal Serin aur Nischal ki chain unke ore badh chali… 1 second ke 1000we hisse jitne slow chalane ke baad bhi, kewal hath ke tej jhatke jo Nischal aur Serin ne twins ke ore dee, wo kewal najar aa raha tha...
Chain jitni tej ja'kar Koyyi aur Moyi ko lapeta, utna hi tej khinch bhi liya. Yah itna tej khinchaw tha ki utne slow motion me hone ke baad bhi aisa laga jaise twins Koyyi aur Moyi gayab ho'kar pahunchi ho... Aur takkad hone se pahle hi... Chain ki raftar ko hi match karti Nischal aur Serin ke hath... Jinme ek hath me khanjar to dusre hath me blade thi...
Ek unclassified Viggo Sigma Nischal, to dusri class 1 Viggo Serin… aur kisi bhi speed ko apni khuli aankhon se dekhne ki kshmta... Dono ne raftar me jab apne hathiyar chalana shuru kiye fir to juwdaa bahano ko sochne ka samay nahi diya...
Itne slow motion me video chalne ke baad bhi unke hathiyar chalate hath badi muskil se dikh rahe the... Aur uss raftar se jab dono bhai-bahan ne Koyyi aur Moyi ko kaatna shuru kiya, tab matr 1.5 second me poore sharir ko 0.00001mm² me kat chuke the... Jaise hi dono bhai-bahan ke hath ruke, Jivisha utni hi tej hath ghuma'kar, chidhre udde pure Kate badan ko, dono naag-dansh ke bich khinch'kar le aayi... Jahar ka prabhav iss kadar hawi hua un .0.00001mm² tukdon me, ki uske ander ki har kosiska, jal'kar kali padti un mishrit nile aur laal rang ke sath hawa me bikharne lagi….
Pure 2 second ke video ko lagbhag 15 minute me dekha gaya. Fir bhi Nischal aur Serin itne tej lage ki, Viggo viman me baithe sabhi logon ne aur slow kar'ke chalane ki jid karne lage... Aur idhar vansaj sena ki muh se juban gayab ho gayi thi.…
Nischal:- "Abhi ke abhi ye grah tum sab chhod do.… Dimag ka para high hai aur tumhare sena-naykon ne jo salikha tumhe nahi sikhaya wo main bata deta hun... "Kisi ke yahan jao to tarike me raha karo, warna eklaute tum nahi ho universe me jiske pass ahankapar hai"... Vishwas karo jab hum aham me aayenge... Dark Universe ke 22000 planet me se, jitne bhi vansaj planet hai... Wahan ke har jagah se, aise hi tumhara ghatiya sharir, humare jahar ke sampark me jal'kar, dhuwan ban'kar hawa me udd jayega"...
"Ab bhago yahan se iss se pahle ki main ye bhul jaun ki ye koi yudhh nahi tha aur jab kamjor aur ashaya Astak ke vansaj apne mutthi bhar fauj ke sath yahan aaye, tab humne tumhe dardnak aur khuffnak tarike se maar dala... Tumhare sena nayak ko uski galti ki saja main de chuka... Ab bus uss din tak ji lo, jab hum apne logon ke iss tarah ki ghinauni maut ka badla lene tumhari jamin par khade honge"...
"Aur vishwas mano, jis din hum badla lene tumhari jamin par khade honge, fir tumhare bhagne ke liye pura universe kam par jayega... Aur haan video le ja'kar apne baap Astak ko dikha'kar bolna... "Papa-papa hume ek itni badi sena la'kar dena, jise Nischal jab katne lage to kam se kam mahine din lag jaye, taki lashon ke dher par jab wo hum sab tak pahunche, tab tak hun kuchh mahine aur ji leennn"...
Jab ek sher ki awaj jungle me daharti hai, tab jungle ko apne jhund se darane walon ki jaise ghighi bani rahti hai, thik ussi prakar vansaj sena ka haal tha... Ek nirbhik aur nidar shashak apni jamin se unhe bhaga raha tha jo khud ko shrv'shteth aur khud ko ajay, amar maante the. Unki haalat aisi thi ki jaise hi bhagne kaha gaya, fir lagbhag 40 hazar vansaj fauj pichhe mud'kar nahi dekhe...
Un sab ke bhagte hi Jivisha ladkhada kar wahin jamin par baith gayi.… Uske yahan na hone aur uske logon ko bhojan ki tarah nigal jane ka gum, dil me dard ban'kar chubh raha tha... Jivisha roti hui kahne lagi.…
"Ab bardast nahi hota Nischal.. Ye bhumi mujhe dhikkar rahi hai... Mujhe ab bus badla chaiye... HuYu kahan hai bulao usse... Aur bhej do sandesh Dark Universe me.… Hum jald hi uski jamin par honge..… Yahan liye gaye har jivan ka hisab karne"...
Baaki sab to thik hai.. lade, mare.... astak ke ek fauji tukdi ko lead kar rahe koyyi aur moyi ko jaan se hi maar dala.. lekin nischal ko raftar matlab speed wali shakti to us haramkhor apsyu ne chin liya tha na phir ye raftar kaha se mila nischal ko
Btw apni hi saaliyon ko hi maar diya... ghani dukh ki baat hai

bichari koyyi.. masoom moyi
Achha sila diya tune nischal hella ke pyaar ka...

nischal itna jalim ban jayega, ye to soch se bhi pare hai
bholi hella..
pyari hella..
bichari hella...
Khair let's see what happens next
... Nice update...
