• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-66



"Mujhe kaise pata wo to main bata hi dungi, lekin Viggo viman chori ho gaya hai iss baat ko, Nischal ko kaise samjhaoge.. Chalo usse to main mana lungi... Jayega kahan apna viman... Lekin baki jin logon ko kah aaye ho… intzar ka fal mitha hota hai... Unko aur intzar karwane ka matlab samjh rahe ho.… Abhi se soch lo kya kahna hai"…


HuYu, wahin niche baith'te… "Bhabhi confuse na karo"


Jivisha apni aankhen sukodte... "Kabhi Shashika, kabhi Jivisha, kabhi bhabhi... Dimagi santulan to thik hai na"


HuYu:- Aapke sath rahne walon ka kabhi kuchh thik hua hai kya... Pahle mujhe batao ki kaun si shakti se pata kar chuki ho ki viman chori hua...


Jivisha, HuYu ke baal ko mutthi me daboch'kar ek ore ghuma'kar dikhati…. "Nandoi ji apne aankhon ki shakti se... Floor par wahan kadmon ke nishan dekho... Kuchh 20 se 25 log honge tabhi pichhe itne sare paun ke Nishan hai. Tum sach me chor the, ya bhare par dusron ko hier karke unke kaarname apne naam kiya karte the"…


HuYu:- Bhabhi ye bejjati karna hua... Ye puri jagah humare purvajon ne hi banvayi hai..... Mere kuchh log maintainence ke liye aate rahte hain... Ab chalen...


"Haan thik hai, chalo"…


Dono lift se niche aaye. Takriban 400 meter niche jane ke baad wo log ek bahut bade base me the... Charo ore saman faila hua tha… purane bhangaar ki bharmar lagi hui thi… "In bekar saman ko itna surakhsit rakhne ka matlab"…


HuYu:- Ye har uss bade yudhh ki nishani hai jo iss universe me lada gaya tha...


Jivisha:- Tumhare hisab se sabse bada yudhh kab hua tha…


HuYu:- Jab far universe ke kisi grah ki sena, middle Universe yani ki humlog ke kshetr me pahunchi thi… har planet ko hi tahas Nahas karke chale gaye the... Har planet ke jivan aur sabhyta sab... Tabhi dur gupt grah ke log aaye the... Sabhi besharon ka sahara ban'ne… Unhone hi wapas se jivan ki asthapna ki...


Jivisha:- Gupt grah ????


HuYu:- Aap logon ka grah... Humare yahan gupt grah kaha jata hai, kyonki ye middle Universe ka ek aisa grah hai jise bahri universe se bahut jyada matlab nahi aur apne ghar me ye bahut majboot hai...


Jivisha:- Waise ye Far Universe ka jikr bahut suni hun... Wahan bhi koi universe traveller nahi jata kya???


HuYu:- Nahi..


Jivisha:- Aisa kyon???


HuYu:- Suna hai bhayanak kaal jiv aur ajib se praniyon ka grah basera hai uss kshetr me aane walon grahon par... Agar wahan kisi galat planet par utar gaye, to fir laut kar wapas bhi nahi aa sakte...


Dono ek chhote se vahan me sawar ho'kar baat karte huye aage badh rahe the... Takriban 10-12 kilometer chalne ke baad, wo khushi ke pal bhi aa gaye... Jab Jivisha khushi ke maare chalti hui gaadi se hi kud gayi...


Dharammm se Jivisha jamin par hi bichh gayi... Kahan-kahan usse chot aaya, khud bhi pata nahi. Lekin daur kar teji se Viggo viman ke pass pahunchi aur body ko chumti hui... Dono haath khol'kar ek baar gol ghumti hui... "Kaise ho computer ji"..


Computer:- Out of order, out of order, out of order...


Jivisha, HuYu ka collar pakadti… "HuYu kya kiya hai jo mera computer out of order ho gaya"…


Computer:- Jhalli Jivisha, main nahi tum out of order ho gayi...


"Sala iss computer ko mute par dalne do... 2 sal se upar ki saja di, fir bhi iska badbolapan na gaya"…


"Tumhare bina main sukoon me tha... Mere aish-mauj ke din bite re bhaiyya, ab dukh aayo re"…


Jivisha, apne computer ko mute karti... "HuYu iska power kaise on rah gaya hai"…


HuYu:- External body ko, solar energy panel se jod diya hai, isliye engine chhod'kar sabhi taknik on hai… Chalen fir apne sahar me...


Jivisha:- HuYu ek baat to man'ni hogi... Engineering aur artitecture me Decca planet ka koi javab nahi... Kya develope kiya hai iss jagah ko... Wo bhi ret ke niche... Itna bada viman tak ko aise kisi kone me rakh diye mano koi chhota sa saman ho..


HuYu, thoda afsos jahir karte…. "Ye pura kshtr jahan aap khadi hain, yahan kabhi jivan basta tha... Pura jeevan ko hi mita diya tha Far Universe walon ne… Uske baad fir yahan jeevan nahi basa.... Hum jahan khade hain yah kabhi iss planet ka satah hua karta tha... Jiske upar lagbhag 200 se 300 meter ka ret jam gaya hai"…


Jivisha:- Ye mere bacchon ka personal planet hoga... HuYu apne logon se sampark kar'ke iss jagah ki puri chhan-bin karwao aur jivan kyon nahi bas raha un karno ka pata lagao... Lekin machino se pata lagane ke liye bolna... Kisi ki jaan na jaye...


HuYu:- Abhi chalen... Aap ki tarah baki loh bhi isse dekhne ke liye tadap rahe honge...


"Main bhi na, baat karne ke chakkar me sab bhul hi jati hun... Jaldi chalo... Computer ji jaldi se darvajjaaaa kholoooooo"…
R

Turant hi viman ka darvaja khula..… dono ander baithe aur computer ji ko viman uddane ka aadesh mil gaya. Udhar jab se Jivisha aur HuYu nikle... Sabhi bahar raste ko hi taak rahe the…


"Ye kaun si jagah hai... Sahara ke registan me to nahi aa gaye" Asis ne mayus najron se charo ore dekhte huye puchha...


"Asis, chalo yahan ka ek walk lekar aate hain"…. Luna apni baat kahti, Asis ko aankh maar di...


"Haan jao yahin ret me beach ka maza le lo... Ye main kahan aa'kar fans gaya"… Abhishek dono ko dekhte huye kahne laga...


Ert, apna muh chadhati... "Ret ke bare me kuchh bhi bura nahi kahna"… ..


"Haan tou universe ki dono bahne jao ret me dubki laga'kar aao"… Abhishek chidhte huye kaha…


"Mere to sense hi khatam ho chuke hai... Ye main kisi film me to nahi ghusa hun"… Kasak ka husband sahil apni manodasha kahte...


Serin:- Bhai tumhe nahi lagta ki tumhari jodi aur tumhari dost ne hum sab ke sath bahut galat kiya hai..


Nischal:- Ab inko galat to nahi bol sakte hain na Serin... Kya karun main to prithvi se aana hi nahi chahta tha... Ek galti jo ho gayi, uska khyal rah-rah kar aa raha... Main soch raha hun jab hum Aizem pahunchenge tab kya hoga...


Serin:- Uss ki poori jimmedari maine li hai na... Tu itna kyon soch raha…


Dono bhai bahan baat kar hi rahe the tabhi wahan ka aasman dhak gaya... Serin aur Nischal bhi utne hi khush the, ya fir Jivisha se bhi kahin jyada... Viggo viman ko dekh'kar ye dono bhai bahan poora chillane lage...


Ye dono to Viman ke control panel me baith'kar samne dekh rahe the... Lekin baki ke sare log jo anjaan the, itna bada aakash ko dhak dene wala viman dekh'kar unhe laga humla ho gaya... Un logon me to bhagdar hi mach gayi.… Ab 200km wala viman sar ke upar ho to fir aise khyal to aane laajmi hain...


HuYu ka ye kabara viman ko jaise hi Viggo viman me upar khincha gaya, fir to sabki sitti-pitti gum.… "Bc ye Hollywood wale sahi dikhate hain… hume bhi Alian ship ne khinch liya... Kha na jaye tandoor me dal'kar"… Abhishek chillate huye kaha...


"Sala main shadi ke hone baad bhi virgin hi marunga... MC Suhaagraat to mana lene dete"…. Asis to lagbhag rote huye kahne laga…


2 hi dialogue complete huye the aur har koi Viggo viman ke ander tha. Sabhi anjaan log ast-vyast ludhke pare huye the, wahin Nischal, Serin, Nandni aur Ansh turant hi bhage wahan se. Unke pichhe Luna aur Ert bhi bhagi. Unhe bhagte dekh, jo log kuchh soch pane ki stithi me nahi the… unhe laga jaan par ban aayi...


"BC jaan par ban aayi to meri patni mujhe chhod'kar bhaag gayi"… Abhishek bhi tej chillate huye bhaga…


"Jinda bacha to iss kamini Luna se main talak le lunga... Aur aaj ke baad meri bahan aur bahnaoi bhi mar gaye... Sala swarthi hai ye duniya"… Asis bhi barbarate huye bhaga...


Idhar anth me bache the Sahil aur Kasak... Sahil kuchh bolta uss se pahle hi Kasak palat'kar Sahil ke upar aa gayi.. Uske honth ko apne honth me jakadti, hui lambaa kiss karne lagi...


Kiss itna lamba tha ki sara dar kahan gayab hua, dono ko pata bhi na chala. Kab se pyase, jab honth se honth lagaye tab aise khoye ki shwans lena hi bhul gaye... Aur jab Kasak kiss ko todti hui apna sar upar ki, Sahil uski aankhon me sawaliya najron se dekhte…


Kasak muskurati hui... "Ab sab yahin karna hai kya??? Mujhe pakka yakin hai ki meri bahan ne humare suhaagraat ka shandar intzam kiya hoga"…


Kasak ki baat sun'kar Sahil ek baar fir se sawaliya najron se dekhte, bus bhavna badli hui thi…. Kasak, Sahil ke mathe par apna hath chipkati… "Arre buddhu, hum kisi maans khau Alian ship me trap nahi huye... Balki ye Viggo viman hai... Nischal aur Serin ka"…


Sahil:- What.. ye unka personal viman hai...


Kasak, Sahil ka hath pakad'kar khinchti... "Ab chalo bhi yahan se"…


Ye dono jab'tak yahan se nikalte tab'tak Jivisha ka computer ji, sabko hall me area me pahuncha diya tha... Har koi kuchh hi antral me wahan pahunche... Tabhi Abhisek jaise hi Ert ko dekha, uske gaal hath tatolte…. "Bhagwan ka lakh-lakh shukr hai tumhe kuchh nahi hua... Jisa tu thik hai"… aur teji se Jivisha ke pass pahunch'kar uske bhi chhu'kar santusti karne laga...


Asis ne jab Abhishek ko dekha, tab usse bhi khyal aaya ki wo bhi thodi chinta dikha de... Aur jaise hi Luna ke pass chinta jahir kiya... "Abe tu to talaq dene wala tha na apni kamini biwi ko, aur bahan-bahnao to mar gaye the na tumhare liye...


Abhishek ki baat sun'kar to jaise mahol me visphot hua ho... Jivisha... "Computer ji yahan kya ho raha hai… ye kis tarah ki baten chal rahi hai"...


Computer ji:- Tum Jhalli ho aur tumhara bhai bahut bada wala case... Apni kahi baat gol kar diya .. lekin ye bhi sahi hai ki dono ladke bechare chah kar bhi apni orignal bhavna na bol sakte... Mere dost don't worry, apni patniyon ko jitna jalil karna ho "request me"...


"Badbola computer silent... Mazak bahut ho gaya... Sab bahut thake hai... 20-20 kilometer dur sabhi couple ki vayvastha karwao... Aur kisi chij ki dikkat na ho"..


Jivisha ne jaise hi oreder diye, sab ke pass vahan pahunch gaye aur sabhi usme sawar..... Sab log wahan se apne-apne honeymoon sweets ke kiye nikal gaye... Idhar Nandni aur Ansh, Jivisha aur Nischal uss hall me bach gaye...


Nandni:- To ab hum aage kahan jane wale hai...


Nischal, Jivisha ke pichhe aa'kar, apni bahn uske sine par lapet kar, apna chehra aage Jivisha ke chehra se milaate... "Yahan se hum sidha Zoren ja rahe hain... Shwetna, Jatin aur Baby teeno ke sath wahan ki poori janta trap hain... Pahle unhe azad karna hai"…

 
Top