• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Update:-61




Nischal "thankyou Doc" kahte huye nikla aur Nandni Ansh ko khud me bhinchti hui.… "Iss jivan ke liye koti-koti dhanywaad bhagwan"…


Nandni apni haalat thik karti hui lawn me pahunchi. Mehfil dhamaal aur photo session ke bich shadi ka karykram aage badhne laga.


Sabhi jode mandap me baith chuke the, mantro uchharan ka kafi anutha aayojan lag raha ho jaise. 5 pandit alag-alag jagah baith'kar ek lay me mantr uchharit kar rahe the. Poore mahol me hawan aur suddh mantr uchharan ki shuddhta fail rahi thi.


Sandhya ke 6 baj rahe honge. Ghar ke khas logon ko chhod'kar baki sabhi guest apne-apne kamron me ja chuke the. Nandni, Ansh ke sath sabse aage bathi, sabki shadi dekhne me vyast thi. Tabhi Nandni, Jivisha ke pass ja'kar uske kaan me kahne lagi.. "Tera mitr na aaya, main to khas milna chah rahi thi"…


Jivisha hansti hui... "Think of the devil and the devil is here... Le aa gaya bolti hun baat kar lene"…


Shadi samapan ke thik kuchh vaqt purv Saatvik Aashram walon ki entry ho gayi. Wahan maujood sabhi maate, pita, bhrata anuj ke liye ye kafi chaukane wala drishya tha, khas'kar Priya, Himanshu aur Shudhanshu ke liye. Unhe laga Jivisha ko le'kar jo ki gayi bhavishyavani thi, uske chalte ye sab aaye hain…


Teeno hi kafi chinta ke sath teji se sidha Aacharya ji ke pass pahunche... Unke paun me padkar puchhne lage... "Mahatma ji aap kahin humari bacchi ke liye to nahi aaye hain"…


Aarcharya ji un sab ko uthate.… "Aap logon ko humara yahan aana pasand nahi aaya kya, kafi chinta me dikh rahe hain?"


Shudhanshu:- Nahi aisi koi baat nahi hai Mahatma ji, hum tou bus apni bacchi ke liye ki gayi bhavishyavani se thode pareshan hain...


Aacharya ji, Apasyu ko dekhte... "Guru ji aap kuchh kahna chahenge"…


"Guru ji"… Priya, Himanshu aur Shudhanshu ke chehre ki hairan bhavna, kabhi wo log ek chhote se umr ke ladke ko dekhte to kabhi 80 sal ke budhe Aacharya ji ko...


Apasyu muskurate huye bus ek baar Aacharya ji ko dekha aur acchat hath me le'kar, kuchh mantr uchharan ke sath, sabhi mandap par ek-ek karke achhat dalte huye badhne laga. Sabse aakhri me wo Jivisha ke pass pahunch'kar achhat dalne ke baad… "tumne bata diya kya Jivisha"…


Jivisha ka khila chehra mano ek pal me hi utar gaya ho... Apasyu uske chehre ki bhavna padhte huye, "Koi baat nahi, main khud bata dunga. Filhaal meri jigyasa to yahan tumhare pass baithi dost aur uske husband se baat karne ki hai"…


Apasyu ki baat sun'kar, Nandni poori tarah hairan hoti, Jivisha ko dekhne lagi... Tabhi Apasyu aur Jivisha ki hansi nikal gayi.… "Ikchha shakti ka prabhav nahi hai jo tum hairan ho, main jaise hi darvaje par tha, Jivisha ne mujhe bata diya tha ki bina tumse baat kiye main iss jagah se hilun nahi"…


Nandni bhi hansti hui... "Oh dimag se diamg ki baten... Lekin gurudev ye to mujhse baat kar rahi thi"


Apasyu:- Tum mujhe Apasyu kah sakti ho, be jhijhak aur behichak..... aur ye Jivisha hai, ek waqt me mann ke ander bhar har kisi se sampark kar sakti hai…


Nischal:- Nana aap gurudev hi rahoge... Guru ji jaane se pahle mujhe kah gaye the…


Apasyu:- Haan bechare guru Vashudhar… Chal rahi ho Nandni ek walk par... Yadi haan to doctor sahab ko bhi le lo...


Jivisha:- Jaa na.. waise bhi ye hansta jyada hai aur baat bahut kam karta hai...


Nandni:- Tera asar na hua kya ab tak...


Jivisha, hansti hui… "Naaah !!!! Dhit hai"..


Kuchh hi der me Nandni aur Ansh resort ke dusre hisse me the.… "Jivisha ke plan me sath dene ka dhanyawad"… Nandni ne kaha..


Apasyu muskurate huye Nandni ko dekh'kar apni aakhon se abhivadan karte… "maine suna hai tumhare pass kamal ka control hai"…


Nandni:- Matlab…


Ansh:- Matlab ki controll bijli ke jhatke...


Nandni, Ansh ko ghurti... "Ohhh to Delhi hospital me meri buraeyan ho rahi thi. Dekho mere pass koi control nahi, kewal ye mere Nischal ke innovation ka kamal hai"…


Apasyu:- Shakti tou kisi ke pass bhi ho sakti hai.… Wo koi bahut badi baat nahi hai. Lekin shakti ka prayog karna, ye bahut badi baat hai... Tum apna wo gloves nikal'kar dogi..


Nandni, thodi hichki lekin Ansh ne sahmati jatate huye usse dene ka ishara kiya... Nandni bujhe man se wo gloves nikal'kar Apasyu ko badha di... Apasyu uss gloves ko dekh'kar.… "Nayab innovation" aur itna kahne ke baad dono globes ke upar ek patla tape chipka'kar khinch diya....


Bahut dhyan se dekhne ke baad pata chala ki tape jin hisson tak chipka tha, wahan chhote chhote points, kuchh alag hi dikh rahe the... Nandni gusse me wo globes Apasyu ke hathon se leti, apne hatheli par usse chadhati... "Kya kiya hai tumne mere gloves ke sath"


Apasyu:- Tumhe pahle jhatke dene ke liye kisi object ko chhuna padta tha, ab bina chhuye hi jhatke de sakti ho... Bus soch kar ungli dikha do, ya hritik ke "ek pal ke jina" wale dance ki tarah pura panja. Ye bhi same process par kaam karega... Jhatke ki range aur jhatke ka amount sab tumhara dimag control karega"…


Nandni:- Haynnn kuchh bhi, aisa hoga kya???


Apasyu:- Yakin nahi tou try kar lo...


Nandni kuch sochti hui apni ungli thodi dur baithe Nischal ke ore kar di... Aur biljli ka ek chhota jhatka di... "Pahle hi kahi thi kuchh bhi kah rahe... Kahan kaam kar raha"


Apasyu:- Thoda sa concentrate karo... 10 second ka diffrence hota hai...


Nandni:- Matlab..


Apasyu:- Matlab tum jise jhatka dene wali ho, wahan tak bilji ki taar pahle dauregi aur fir uss taar me current. Ab current ke speed ke barabar tou taar bichh nahi sakti na... Isliye kaha 10 second ka difference hota hai...


Nandni:- Ruko ek baar aur try karne do…


Iss baar Nandni kuch der tak ungli ek hi disha me rakhe rah gayi. Halka jhatka mehsus karte Nischal thoda hila aur Jivisha ke kaan me kuch kahte, najren charo ore daurane laga… Idhar Nandni apni hairani jahir karti... "Wowww !!! Ye kaise sambhav hua"


Apasyu:- Kisi bhi medium me na dikhne wale particle jo current ke superb counductor hote hain, wo tumhare hath ke ishare par bound honge aur uske jariye tum current pass karwa sakti ho... Tum ek line se lekar ek jaal tak ki rachna kar sakti ho aur na dikhne wale path ko ek baar create karke 360⁰ tak move karwa'kar current charo ore supply karwa sakti ho... Baki sare precautions same hai...


Nandni Ansh ko dekhti… "Baby ab kuchh kahoge"


Ansh:- Tum to bina gloves ke bhi bijli ke jhatke deti ho Nandni… Main kya kahun...


Ansh surprise par surprise de raha tha... Nandni ki ek baar fir se aankhen badi ho gayi... Lekin Apasyu tha isliye agle hi pal normal ho gayi... Kuchh der teeno wahin baith'kar baten karte rahe. Baton ke dauran hi Nandni apni jigyasa Apasyu ke pass rakhti... "Tum itni kam umr me guru kaise ban gaye, itne purane aur ek sahi sanstha ke"…


Apasyu uski baat sunkar hansne laga... "Bus kismat ka khel hai Nandni. Waise baat kya hai?"


Nandni:- Kuchh nahi bus aise hi khyal aaya to puchh li..


Apasyu:- Khyal to aaya lekin sawal kuchh aur puchh baithi, isliye mujhe tokna para...


Nandni:- Kya tum mera mind read kar rahe...


Apasyu:- Sab sawal ek sath add kar lo...


Nandni:- Wahi mind read, telepaithy, ikchha shakti... Yahi sab dimag me ghum raha... Lagta hai jaise hum normal insano ka koi astitv hi nahi sansaar me... Sab me kuchh na kuchh khas gun paye jate hain…


Apasyu:- Aur Nandni me kya khas gun paye jate hai...


Nandni thodi mayus hoti... "Mayus hona hi khas gun hai... Lagta hai sabhi khas log kisi din ek ho jayenge aur main kahin kisi jagah kinare apni jindgi ji rahi houngi"…


Apasyu:- Doctor sahab aap to itne bade neurologist hain... Aap kuchh science ke facts batayenge kisi insan ke khas aur normal hone par…


Ansh:- Hahaha... Wo kya hai na Apasyu, ghar ka gyan koi lena nahi chahta. Khair mere hisab se ye puri duniya hi normal hai. Koi bhi jiv, na kewal insan, apni kshmtaon ko ek percent bhi nahi janta..… Kshmtayen aur khas gun, sab dimagi upaj hai... Aisi kayi ghatnayen hain jahan ek maa ne khud apna pet kaat'kar apne bacche ko surakshit janm diys... Jabki pet katne ke sath hi usse behosh ho jana chahiye aur kuchh der baad maa aur bacche dono ki maut…


Apasyu:- Kuch samjhi... Ishwar har kisi ko ek saman bhejta hai... Kisi ko dekh'kar khud me sankoch nahi karna chahiye ki wo khas hai aur main aam... Sab ko barabar maano...


Nandni:- Fir wo chhathi indriyan, ikchha shakti, telepaithy.. wo Jivisha jo hathon se jadu kar leti hai...


Apasyu:- Ye sab bus chhanik bhrm hai.. hallucinations… hote hain lekin pukhta kuchh nahi... Thik hai tum telepaithy nahi kar sakti phone hai na... Ek sath 10 logon ke sath confrence karo…

Ikchha shakti yani pahli awaj... Kisi me kam hoti hai kisi me jyada… koi apne ander ki pahli awaj par purn vishwas karte hain aur koi nahi karte… main chahun to din bhar iske upar tumhe samjha sakta hun, lekin itna samjhane se achha hai ek hi baat samjhaun...


Nandni:- Kya?


Apasyu:- "Jo bhi jadu hote hain fir koi hath se kare ya technology se, sabhi utna hi prwbhavi hota hain aur aam ho ya khas sab par barabar asar karta hai. Unse bachne ke liye bhi, aam ho ya khas log sabko mehnat karni parti hai. Koi tumhare dimag me ghusna chahta hai, to tumhare pass bhi utni hi kshmta hai rokne ki... Bus ek hi baat hoti hai... Hum jaroorat parne par kya kar sakte hain aur jo nahi kar pate.. bus itna ka fark hota hai"...

"Suppose tumne mujhe jhatka diya... Bijli Aa to kisi medium se rahi hai na... Main koi badi si ladki ke pichhe chhip gaya.. lo maar do bijli ka jhatka... Bus ye jo lakdi ke pichhe chhipne wali ghatna hoti hai, main uss par focus hun... Hum kya kar sakte hain aur kya nahi kar pate"...

"Presence of mind hi sabse badi kshmta hai... Uss se jyada shaktisali kuch nahi... Kisi ke takat ka tod tumne nikal liya, fir tum paogi ki samne wala asahay hai, kyonki wo apne un kshmtaon par depend karta hai jo unme khas hai… lekin u my dear... Tum me kuch khas nahi.. tum kisi bhi khas gun par depend nahi... Isliye tum kuchh bhi kar sakti ho, jiske bare me khas gun wale kabhi soch bhi nahi sakte... So cheer up.. aur haan waise kuchh khas to tumhare ander bhi hai..


Nandni:- Kya??


Apasyu:- Tum wakai bijli gira rahi ho...


Ansh:- Kya guruji, ja'kar apne dost ko line maro na... Aapke khas gun ke samne kahin mujhe chhod na jaye...


Apasyu:- Wo aap ko nahi chhod sakti, kyonki gun to aapke unmatched hai... Aap kisi ki jaan bachane ke liye, anth tak nahi jaoge, balki anth ke hadon ka dayra bhi badal sakte ho... (Fir Apasyu apna pura sar jhukate) … Aap ke respect me bus itna hi...


Apasyu ne jaise hi apna sar jhukaya, Sabhi sanyasi bhi Ansh ke ore mud'kar apna sar jhuka liya... Ansh aur Nandni ka dil janta hoga ki wo kaisa mehsus kar rahe the... Aisa sam'maan, unhe khud bhi yakin nahi ho raha tha…


Apasyu, apna sar upar karte.…. "Jab ye sab mamla shant hoga, tou hum sab ek group unity vacation par honge... Tab main tum dono ki hi company me rahna pasand karunga"...


Nandni:- Haynnn !!! Iska kya matlab hai...


Apasyu, aage chalte huye… "Jab hoga tab samjh jaogi... Filhaal chalte hain.. shadi samapt ho gayi"…


Apasyu laut aaya... Shadi samapt hote hi Jivisha sabka aashirwad leti Apasyu ke pass pahunch gayi... Dono kinare se gale lage... Jivjsha muskurati hui dhime se kahi... "Aane ke liye thanks... Mujhe laga nahi aaoge"…


Apasyu:- Itni pyari lag rahi ho, ki mujhe mandap ke pass jana para tha..…


Jivisha, muskurati hui... "Oh ho guruji meri tarif kar rahe… tab karna tha na jab main tum par lattu thi"...


Nischal:- Main bhi pass me khada hun... Kyon sine ki jalan badha rahe.…


Jivisha, Nischal ki baat sun'kar khul'kar hansi, fir Nischal ka chehra dekhte-dekhte ek an'chahe mayusi me chali gayi... Wo, Apasyu ke ore minnat bhari najron se dekhti.…. "Please unke hisse ka kaam mujhe hi de do"…


Apasyu:- Tum janti ho aisa nahi ho sakta... Jao sab se milo...


Jivisha:- Main bhi sath chalti hun na please..


Apasyu:- Khud ko sambhalo... Nischal aur Serin tumhare soch se jyada capable hai isliye unki chinta mat karo.. ab jao..


Apasyu jaise hi Jivisha se alag hua Nischal uske pass pahunchte… "Baad me dono ne volume itna low kar diya ki mujhe hi jana para, kya baten ho rahi thi"…


Nischal ka chehra bata raha tha ki wo kya puchhna chah raha tha… Wo to bus Jivisha ke khile chehre ko poora mayusi me doobne ka karan jaan'ne aaya tha...


Apasyu, muskurate huye.… Nischal, Serin ko sath le lo... Ek chhota sa walk tum dono ke sath bhi...


Serin aur HuYu iss waqt Nandita bhabhi aur Jyoti bhabhi ke sath thi... Nischal usse apne pass bulaya… Muskurati wo Nischal ke pass pahunchi... "Kya hua Nischal"..


Apasyu:- Aao mere sath...


Serin aur Nischal, Apasyu ke pichhe chal diye... Dono resort ke bahar andhere ke ore chal diye… "gurudev baat kya hai"… Nischal ne puchha...


Apasyu:- Tum dono par ek sanyasi ke hatya ki saja tay hui hai… kya dono sweksha se swikar karte ho...


Serin, Apasyu ke bilkul samne khadi hoti... "Hamari gayi yadast ki sari planning aapki thi, fir saja hum dono par kaise tay ho sakti hai... Mujhe accept nahi. Humne koi galti nahi ki"…


Apasyu:- Ek sanyasi wahan par nahi marta tab ka natija kuchh aisa hota, tum dono Jivisha ko maar chuke hote aur fir wo Surpmarich tum dono ko... Iss pure khel me sanyasi ki kya galti thi…


Serin:- Haan lekin aap to guruji hain... Aapko sahi galat me fark pata nahi kya... Hum apne bus me nahi the.…


Apasyu:- Har ek ghatna dusre ghanta ko janm deti hai, sab ek shreni me jude hain... Yadi uss waqt Serin tumhare pass hathiyar nahi hota, yadi Nischal ki wo speed aur hathiyar na hota, to tum dono ek sanyasi par hath se humla karne aate"...

"Utna waqt kafi tha usse bachane ke liye... Yahi Jivisha ke liye bhi hota… yadi tum bina hathiyar aur bina speed ke hote tou Jivisha ander aur bahar dono sambhal leti.... Tum karm ke fal se muh nahi mod sakte..… har karm ke sath ek parinaam juda hota hai... Kisi bhi pristhiti me tum uss hatya se muh nahi mod sakte"…


Serin:- Kya aisa Saatvik Aashram me se kisi se hota, kya aap se hua hota to khud ko saja de pate...


Apasyu:- "Karm aur parinaam jaisa ki maine kaha... Guru Vashudhar moh me gaye... Unhe vishesh samuday ko bachana jaroori laga... Iske chalte unhone Prakrit ke niyam ko tod diye.… Vish-Nilayani ke shakti ko ek sharir se dusre sharir me pahunchaya… Saja se wo bhi nahi bache the... Unhe ishwar ne ek lambe kaal ki tadap dee... Unke sampurn samuday ka vinash hua... Sirf ek galat faisla aur saja unhone bhi paya"...

"Aur uss galat faisle ke karan aaj Jivisha tum dono ke samne hai... Tum dono unke margdarshn me ek mahan inventor ho, jiske barabar kya aadha bhi koi nahi hoga.… Lekin Jivisha ke iss shansar me aur tum dono ko kabil banane ke pichhe bhi ek kimat di ja chuki hai. Hum kisi achhe ya bure paristithi ka hawala dekar kiye karmon ke parinaam se nahi bach sakte"...


Serin:- Fir uss Surpmarich ka kya..


Nischal:- Meri jankari me jab wo aaya tabhi se uska astitv manta hun... Aur uske karm ka parinam bhi likha ja chuka hoga... Main fir se dohrata hun... Kya ek sanyasi ke hatya ki saja swikaar karte ho...


Serin:- Haan..

Nischal:- Haan..


Apsyu ne haath ka ishara kiya... 2 aadmi ek safe box se injection ko nikala aur Nischal ke gale me kuchh inject kar diya... "Aaj ke baad tum daur nahi paoge Nischal... Samanya gati hogi tumhari aur apni mehnat se jitna badha sako".


Nischal:- Ye to sarasar galat hai... Bilkul galat…


Serin:- Mujhe to shuru se ye galat lag raha… Khair... Aap kahiye


Apasyu:- Saja tum dono ne swikar kiya hai isliye tum dono kisi bhi paristhiti me hathiyar nahi uthaoge... Aur 5 sal ke liye prithvi ki seema me nahi dikhna... Dono ke pass 10 din ka waqt hai...


Nischal:- Ha ha ha ha... Aapke saja bade nirale hain gurudev. Jee kar raha hai charno me gir jaun, dandvat pranaam kar lun... Main pakke se kah sakta hun ki aap swarthi hai. Waise 5 sal prithvi se dur rahne ki saza, Jivisha tou manegi nahi aur uska gussa bhi mujhe jhelna hoga...


Serin:- Nischal tu kahna kya chah raha hai... Mujhe tou aisa lag raha hai jaise tujhe sab pata tha aur usme kuchh gadbadi kar di guruji ne...


Apasyu:- Bilkul sahi...


Nischal:- Kya bilkul sahi... Mujhe afsos ho raha hai mera tej daurna chala gaya..


Serin, Nischal ko aakhen dikhati.… "Guru ji main iss se badi hun... Aur mujhe jan'ne ka pura haq hai ki ye kya jhol kar'ke aaya hai"...


Apasyu:- Nischal ne tum dono ke ore se, ek sanyasi ke mrityu ki jimmedari lete huye, matth me ek saza ka patstav diya tha, jisme maine fer badal kar diya....


Serin apni aankhen badi karti... "Lekin kyon Nischal?"


Nischal:- Bus laga ki galti hui hai so hui hai... Bus isliye...


Serin, Nischal ka chehra padhti.… "Kya hua, tu ander se itna mayus kyon hai mere bhai... Aaj to teri sacchi chahat bhi mil gayi, fir aisa kyon mehsus ho raha ki tu ander se ro raha...


Nischal:- Tum khush ho Serin apni zindgi se...


Nischal ki baat par Serin aankhen churati hui idhar-udhar dekhne lagi... Nischal ne uss se dobara wahi sawal kiya, aisa laga jaise dil ke dard chhed diye ho... Roti hui wo apne bhai ke gale lagti...


"Dil rota hai bhai... Jindgi ne kabhi khushi ka muh na dekhne diya... Mujhe bhi aam logon ki tarah jina hai, ek normal life... Jaise yahan sab jite hain.... Pariwar ke sath khushiyan baant'te hain... Ek sukoon bhadi zindgi jisme kewal pariwarik chinta ho...


Serin ki baat par Nischal bhi apna dard baant'te.… "Uss sanyasi ka bhi koi parivar hoga... jaise aaj shadi ke baad hum dono ka bhi koi pariwar hoga. Jab se meri yaaden lauti, uska kata sharir meri aankhon ke samne hota hai"...

"Meri aatma roti hai ab khun kharabe ka soch'kar… Main ab lashon ka bojh nahi utha paunga. Isliye maine saza ke roop me aise vichlit karne wale raktpaat bhade jivan se sanyas maanga tha. Mujhe bhi normal jindgi chahiye… nahi chahiye koi power… Mujhe bus apne parivar ka hero ban'na hai".…


Serin:- Gurudev hume humari hi saja dijiye… Nischal ka faisla sahi hai...


Apasyu, apne pass se ek chhoti si potli khol'kar 2 pendent nikala. Kuchh mantr unccharit karte ek-ek pendent dono ke gale me pahnate.… "Ye Saatvik Aashram ka rakshak sutr hai. Tum dono ko har badha se dur rakhegi.… Kuchh sal apne desh chhodne ki saza mujhe bhi mili thi... Atmraksha me ya koi jaan lene aaye tou usse jaan se marne ke liye hathiyar uthana dharm hai. Raksha sutr tumhare pass hai dharm ka palan karna... Tumhari sabhi ikchha purn hui Nischal, jald hi milenge"…

 

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Kya kahu bhai....dil se mafi chahta hu....mere browser se site open nhi ho raha tha kuch dino se....isiliye comment to nhi kar paya update bhi nhi padh paya.....
Thanks for this info sorbo bhai.....jyada samsya aa rahi ho to admin ko pm kar dijiye wo kuchh solutions bata denge...

Baki jald se jald pahunche ... I am waiting
 

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Behtreen update

To aakhir Jivisha pohch hi gayi apne Matrbhumi
Aur Aashram me Apsyu ka milna bhi niyati ka hi khel ho

Ek aur Narsanhaar jisse Kanchanjanga ki sabhyata samapat huyi aur karne wala bhi aur koi nahi Suprmachis
Us samay jab ye hua tab logo ko samjh nahi aya ki kisne kiya lekin ab sab saaf ho chuka hai
Guru Vashudhar ki yaadon se
Ek baat to saaf hai ki usko dar to tha aur hai bhi ki wo khatam ho sakta hai
Dekhte hai kya hota hai

To Dust Particles jo ki Apsyu aur Amy ka Invention hai uski takat ko 1000 gun badhana HuYu ki help se hua ye chor to bada chupa Rustam nikla lekin kuch bhi kaho hai to chor wo bhi ek number ka :lotpot:
Aakhir Suprmachis ki yaadien me jhakne ka mauka mil hi gaya aur kis tahra wo logo ki yaad mita ta hai ye bhi pata chala

To Nainu bhaiya ek baat bataiye jab sab kuch pata tha aur jab yaad gayi to itna wait kyu kara gaya cell replacement therapy se sahi kar sakte the jis tarha abhi kiya ?

To Alexa ka upgrade karne me Amiiee ne bhi help kari :blush1::smarty::love2:
Itni talented ladki aur pata nahi logo ko kya bair hai isse

Acha ye Apsyu ne Nischal ki raftaar kese kum kiya aur uski takat ko ? Mtlb esa kya raj hai ye Prakash daliye Nainu bhaiYa

Aur ye Apsyu ab nahi aane wala is update se to yahi lag raha hai lekin aap ne ek Update ka jhalki dikhayi thi uska kya ?

Ye Nischal aur Jivisha ka Pyaar aur takraar maja aayi lekin pehle jesi nahi

To Guru Vashudhar ab chale gaye
Aur apna Vachan jo unhone Nischal ki maa ko diya tha wo pura kr ke gaye

Behtreen Update Nainu bhaiya
Bada HuYu ke pichhe pade huye hain aap anubhav bhai.... Dhoom 2 ke hritik ko issi HuYu ne trained kiya tha... Tab to hritik ko aao hero banaye fir rahe the :D

Yep everthing was plan ... Bus thodi bahut her-pher hoti rahi hai planning me lekin ab sab 100% sahi to nahi ho sakta na... Baki kahani to abhi shuru hi hua hai...

Cell replacement therepy damage cell ya kisi organ ke kuch dead cell ko badalta hai... Lekin antibiotics thode na hai... Yaadast cell replacement se nahi laut sakti thi... Iska karan pichhe ke update me to tha ....jab Delhi me open mind surgury hui thi aur bataya gaya tha ki ye Surpmarich yaad kaise churata hai... Aap hi to wo churan wala comment kiye the... Ab wahan cell replacement kaise kaam karegi ..

Aree wo to aise hi kahna parta hai .. aayega Apasyu ... Aur Aimee ki khabar bhu milte rahegi... Aimee ko bhi Le aata par yahan Aimee ko koi kuchh kahe ... I don't like it

Baki abhi kahani jari hai aur abhi tak purn baat ka khulasa nahi hua hai... And u should except the change in behaviour of your charecter... Kyonki badi si brain surgery... Dimag ke nader Surpmarich ka tandav l... Yadast jana... Yah sab effect karta hai... So complete pahle jaisa nahi hoga behaviour
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,574
174
Nandu ke mask ko to upgrade kr diya or guru gyan bhi de diya
Nishchal ko saza ke roop me speed hi bandh di
5 saal ka Desh nikala oh sorry planet nikala kr diya
Ab us modified sena ko kaise manage karenge Ye log
Chirag or ansh ko dekhte hai kaise bachate hai sb
Superb update with awesome writing skills
Nainu bhai ka jvaab nhi
 

11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,004
143
Bas iss update ke bare me itna kahana chahunga ki man me bhar bhar ke galiya aa rhi hai yaha likh nhi sakta ...
Haa Maine maan liya pitrahanta apasyu mahan aur nishchal papi hai ...nain sir ka Kya hai aage kah denge ki planning planning khel rahe the ...haa hame pata hai ki iss injection ka asar 5 years letter kahatm ho jayega .aur in 5 years me nishchal ki speed tatha kshamata unmatched ho chuki hogi aur injection ka asar end hone ke baad wo unstoppable ho jayenge but aap Jo bhi in kamo ke liye situation ka use kar rhe hai uske liye aap khud hi 10_12k galiya soch ke apasyu ko de de..abhi filhal iss story ka bakchodi Wala seen chal rha hai ..aur shayad aage bhi chale .. ek baat to conform hai ki story ke end me nishchal aur asatak ya hella ke bich yuddh dikhaya jayega ..aur phir waha bhi bakchodi hogi but koi na ab to bakchodi ki aadat si padane lagi hai ...
Approx half story hone ko aayi hai aur hame mauka Mila hai bas khun jalane ka wo bhi apna ...aage updato me bahut Sara yuddh hone Wala hai so hame khush hone ka mauka nhi milega ...aur last me ek baat ye jiviya bahut achchhi acting kar leti hai iske Mann me laddu phoot rhe honge ki Chalo ab 5 years apasyu ke sath hawas ka khel khelenge...yahi to wo done chahate the ...bas end of discussion in this update...
 

Rawat@7

Bad Is Never Good Until Worse Happens.
573
965
94
Ye apasyu ka story interference bahut jyada ho rha hai chahe wo technology me ho ya neeji matter Mai tang as gaya hai iss tiktok ki beti apasyu se
I agree with you bro.
 

Rawat@7

Bad Is Never Good Until Worse Happens.
573
965
94
Bas iss update ke bare me itna kahana chahunga ki man me bhar bhar ke galiya aa rhi hai yaha likh nhi sakta ...
Haa Maine maan liya pitrahanta apasyu mahan aur nishchal papi hai ...nain sir ka Kya hai aage kah denge ki planning planning khel rahe the ...haa hame pata hai ki iss injection ka asar 5 years letter kahatm ho jayega .aur in 5 years me nishchal ki speed tatha kshamata unmatched ho chuki hogi aur injection ka asar end hone ke baad wo unstoppable ho jayenge but aap Jo bhi in kamo ke liye situation ka use kar rhe hai uske liye aap khud hi 10_12k galiya soch ke apasyu ko de de..abhi filhal iss story ka bakchodi Wala seen chal rha hai ..aur shayad aage bhi chale .. ek baat to conform hai ki story ke end me nishchal aur asatak ya hella ke bich yuddh dikhaya jayega ..aur phir waha bhi bakchodi hogi but koi na ab to bakchodi ki aadat si padane lagi hai ...
Approx half story hone ko aayi hai aur hame mauka Mila hai bas khun jalane ka wo bhi apna ...aage updato me bahut Sara yuddh hone Wala hai so hame khush hone ka mauka nhi milega ...aur last me ek baat ye jiviya bahut achchhi acting kar leti hai iske Mann me laddu phoot rhe honge ki Chalo ab 5 years apasyu ke sath hawas ka khel khelenge...yahi to wo done chahate the ...bas end of discussion in this update...
Satya vachan
 

11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,004
143
Kya Nischal ki speed hamesa ke liye khatm karna jaruri tha......?
Kahani me Hero hi kamjor hota chala ja raha hai.upar se 5 sal ke liye planet nikala.
Apasyu ko Bharat sarkar ne desh nikala ki saja di thi but apasyu ne bharat sarkar ke aadesh ki uhelana karke Bharat me ghum rha hai but ye Nishchal saja ka purn roop se palan karega kyoki nishchal ******hai ( fill in the blank with some memorable galis)
 
Top