• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792

Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...

Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....

Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...

Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-51

Abhishek aur Asis ka engagement wahin Delhi me hi sampann hua. Delhi se Pune lautne ke agle din hi Jivisha ne sabko khabar bhijwa diya ki Apasyu se meeting fix ho gayi hai, bade logon ko shadi ki taiyari karne do aur hum sab Apasyu se milne ki taiyari karte hain...

Kayi shadiyan ek sath sampann honi thi. Nischal aur Jivisa ke sath, Kasak-Shahil, Serin-HuYu, Abhishek-Ert aur Asis-Luna ki shadi honi thi. Ek bade paimane par shadi ki taiyari honi thi iske liye wedding planner ko bulwaya gaya tha.

Sara cost aur calculation samjhane ke baad wedding planner ne kuch prastav rakhe jisme se un sab ne "Kaisah Parvat Marg" par shadi ke liye raaji huye the. Ye sara plan Jivisha ka tha, aur iss destination wedding ko Tibbath ke uss mathh se 32 kilometer pichhe ek hill station par rakha gaya tha, jahan Jivisha, Apasyu ke sath thi...

Sabhi family 1 hafte pahle uss jagah par pahunch gaye the. Kayi tarah ki rashem aur geet-sangeet ke bich log shadi ka pura luft utha rahe the. Ek taraf shadi ki umang thi tou dusri ore sabke pass suchna pahunch chuki thi ki kal subah hi Apasyu se milne mathh me jayenge.… yah shadi ke 2 din purv ki meeting thi...

Nischal aur Serin pichhle 10 dino se iss ghadi ka intzar kar rahe the. Apni taiyariyon ko un logon ne aur bhi pukhta kiya... HuYu, Luna, Ert aur rescue me bache takriban 25 soldier ki team raat ko hi mathh ke liye rawana ho gayi. Takriban ek kilometer ke kshetr me un logon ne apna pura jaal faila diya...

Subah ke 8 baje pahle Jivisha nikli, aur pichhe se bakiyon ko aane ke liye kahi. Takriban 9 baje Nischal, ne Serin ko bakiyon ke sath pichhe se aane ke liye kaha, jabtak wo Apasyu se baat karta…. Yadi kuchh gadbad dikhta to extra backup ke liye Serin aur baki ke sabhi log hote... ..

Nischal apni poori Raftaar se, shwet chadar odhe bhumi par bhagna shuru kiya aur palak jhapakte hi Nischal mathh ke khali maidan me aa'kar ruka, jahan Apasyu bich maidan me lakdi ki ek khubsurat chair par baitha hua tha, aur thik samne dusra khali chair laga hua tha...

Nischal ko aisa laga mano Apasyu pahle se uska intzar kar raha ho... Nischal aaram se paidal chalte huye aa'kar khali chair par baitha... Dono ek dusre ko ek najar dekhe.…

"Subah subah iss universe ke sabse takatwar yodhha se milne ka mauka mila... Amezing"… Apasyu ne muskurate huye apni baat kahi...

"Subah-subah tum jaise se milna par raha hai. Disgusting"…. Nischal bhi apni mansa jahir kar diya ..

"Kafi gusse me lag rahe ho tum Nischal"…

"Mujhe "tum" kahne ki tumhari aukaad nahi, dhongi"…

"Kamal hai main aaram se baat kar raha aur tum, naa maaf karna, aap... Aap kafi gusse me lag rahe sir"…

"Na re main gusse me nahi hun... Tujhme mere gusse sahne ki bhi aukaad nahi hai"…

Dono dikhne se to bilkul shant hi najar aa rahe the, lekin jaise fijaon me hi ek alag tarah ka dwand chhida hua tha… Har baar apni-apni baat kah'kar dono ek dusre ko aise dekh rahe the, mano apni baat kahne ke baad apne chehre se kahe gaye shabd ki gahrai ko samjhane ki kosis kar rahe ho...

Issi bich Apasyu apni jagah se khada hote.… "Kafi nafrat bhari hui hai... Iss nafrat ki vajah"…

"Tu hai kaun jis'se pyar ya nafrat ki koi vajah honi chahiye... Bus mere kuchh sawalon ka jawab de de"…

"Respect… mujh se kuchh janna hai tou respect ke sath aana hoga"…

Nischal apna khanjar nikal'kar, uss par hath ferte.… "Meri juban se jyada meri khanjar respect deti hai... Aur jab ye khanjar respect deti hai tou samne wale ka square inch maans ka lothra, uske ghar wale shraddha purwak aur poore respect ke sath unka antim sanskaar karte hain"…

"Kamal ka attitude hai... Bina kisi ko jane, parakhne ki adbhut kalaa hai"…

"Tujhe parakhne ki jaroorat hi kya hai... Tere shakl par dhongi likha hai"…

"Hmmm ! Dimag me pahle se itna nafrat bhar'kar mujh se kuchh jan'ne ki aas me aaye ho... Itna vishwas aata kahan se hai"…

"Janta hai tu jinda kyon hai, kyonki meri pyari patni ko lagta hai ki tum koi alokik purush ho. Wo batayi nahi kabhi lekin uski aankhon me tumhare liye jo samman aur izzat uski yaden jane ke waqt ki thi, wo yaden wapas aane ke baad aur bhi jyada badh gayi hai"...

"Meri bahan ka kahna hai ki tum koi mayavi ho... Jaise yahan ke purani kathaon me hote the na mayavi raakshas, waisa. Kya main apni bahan ki baat par yakin karta hun... Haan bilkul... Tum hi wo insan ho jisne meri patni ki chahat ko mujhse dur le gaye".

"Jab se suna ki tumhe uski gayi yadast ke bare me pata tha, ussi waqt tumhe chidne ka dil kar gaya, kyonki tu uss Surpmarich ka chela hai jise sab pahle se pata tha…. Waise to jaan bakshna meri aadat nahi, lekin mujhe tu uss Surpmarich ki puri yojna bata de aur bacha le apni gandi si jaan. Aur bhul'kar bhi dobara kabhi mere samne mat aana, warna jis ghadi meri najar tujh par pari agle kshan teri kati hui lash ko tere log samet rahe honge, jaise kuchh din pahle samet rahe the"…

Baat karte-karte aakhir me Nischal iss kadar garja ki uski gunj se wahan ke sthir parvat tak bhaybhit ho jaye.... Dahakti aag si Nischal ke aakhon me uth rahi thi...

"Ye garjane wale badal"…. Kahte huye Apasyu ne apne dono hath se tej dhakka diya aur Nischal ko laga uske sine par 10-12 hathiyon ne ek sath pure jod se laat maar di ho... Wah kitni dur ja'kar gira usse khud bhi pata nahi....

Idhar Apasyu apne hathle par lage kisi device ko bahar nikal'kar kursi par rakh diya... Aur apni jagah par aankh munde khada ho gaya... Usse ek aniyantrit hawa ka kafi tej jhona mehsus hua... Jo dhire-dhire nahi balki ek pal pahle kahin dur to agle hi apne karib pahunch chuka tha.

Nischal jo apni raftaar ke liye jana jata hai... Palak jhapakte hi Nischal ke pass tha aur agle hi pal uska khanjar Apasyu ke gardan me ghusne ko taiyar. Itni gati ke samne Apasyu ke tej reflexes kisi kaam ke nahi the. Mauka nahi tha iss waar se bachne ke liye, isliye kewal apne gale ko bacha'kar pura khanjar apne kandhe me liya.

Khanjar jaise hi Apasyu ke kandhe me ghusa uski dard bhari chinkh charo ore fijaon me gunj gayi..... Nischal ab kahan rukne wala tha... Ab to bus khanjar dayen kandhe se niche sine, pet aur dayen paun ko chidte huye nikalta...

Lekin Nischal ka khanjar kuch inch niche gaya, tabhi Apasyu, Nischal ki kalai pakad liya, aur dusre hath uske kandhe par dal'kar piche ke ore dhakelne laga...

Jaise hi Apasyu ne kalai thama, Nischal ke liye yah pahla aaschrya tha, kyonki khanjar se uski pakad dhili padne lagi thi... Nischal ke kandhe ke jis hisse par Apasyu ne apna hath rakha, wahan se kapde bilkul gayab ho gaya aur wahan uss hisse me ajib sa dard hona shuru hua.

Achanak hi Nischal apna hath jhatka aur idhar Apasyu ne charo ore kewal dhuwan hi dhuwan kar diya.… "Tumhe kya lagta hai, bal se tum jit loge"…… Dhuyen ke bich Nischal, Apasyu ki awaj par palta lekin agle hi pal uske pith par Apasyu ka panja para.… Nischal ko mehsus hua jahan hath para wahan ke kapde bhi gayab the aur skin par kuchh to ho raha tha... Nischal kuch samjhta uss se pahle…

"Tumhe kya lagta hai, tumhara tej daudne ko koi rok nahi sakta"…. Aur fir se dono hath ke panje dono paun par... Nischal kewal ghum ghuma'kar charo ore awaj ka pichha kar raha tha… aur Apasyu lagatar apna kaam kar raha tha...

"Kya hua, tumhari wo awaj kahan gayi Nischal... Sare yudh niti kahan dhari rah gayi…. Chalo aaoo aaooo aaooo bhi ab Sahjade"….

Nischal samajh chuka tha ki yahan wo trap ho'kar rah gaya hai... Usne apni aankhen mundi aur agle hi pal wo charo ore dekh pa raha tha… Samne hi Apasyu khada tha... Nischal ka kalpnik sharir jaise hi Apasyu ke ore badha... Wo saaf taud par dekh pa raha tha…

Apasyu ke ander se uska aadha kalpnik sharir bahar aaya... Aur aadha Apasyu ke ander hi samaya tha… bilkul shwet dhuwa'numa sharir, jo kamar ke upar se Apasyu ke sharir se bahar nikla hua tha... Uske dono hath lahrate huye Nischal ke mathe se tike...

"Laut jao jahan se nikal kar aaye ho... Tumhari telepathy aur teleportation yahan kisi kaam ki nahi"… itna kah'kar Apasyu ne Nischal ke shwet sharir ko itna tej pichhe jhatka diya ki agle hi pal Nischal ki aankhen khul chuki thi..

Dhuwan pura chhnat chuka tha aur Nischal ko samne Apasyu najar aane laga tha... Nischal kafi tej daud'kar mano uske sharir ko bich se hi faad'kar nikalne ki kalpna kar raha ho... Shwans khincha aur daur ke liye wo taiyar hua, lekin wah apni gati se daur nahi paya balki samanya gati thi...

Gati bhale hi samanya rahi ho lekin aakrosh to utna hi tha... Mann me jarra bhi khyal nahi ki Nischal ki gati kahan gayab hui... Wo bus aaram se Apasyu ke pass pahuncha aur agle hi pal Apasyu ke dono hath ka rod chal chuka tha... Ek Nichal ke ghtno par aur dusra bayen gardan par.… Wo humla itna tej tha ki Nischal ladkhada gaya, wah ghutno par aa gaya tha...

"Kya hua kuchh asahay sa mehsus kar rahe ho kya... Tumhara backup plan kaam nahi kar raha, active karo apne logon ko"…

Apasyu ki baat sun'kar Nischal apne charo ore dekha. Ek ore Luna aur uski puri team thi to dusri ore Serin ke sath Nandni, Kasak aur baki ke log the...

Aannkhon me jaise khun utar aaya ho. Nischal kafi teji dikhate huye khada hua aur utni hi gusse se apni puri kshmta apne mukke me sameta... Aur badh chala...

Apasyu ke ek tej rod ka waar, nishana kanpatti, lekin agle hi pal Nischal apne forearm ko, rod aur kanpatti ke bich la'kar, khud ko save kiya aur pure bahubal ke sath Apasyu ke chehre par apna punch chala chuka tha...

Apasyu ka tej reflexes. Dusre hath ke rod ko niche le ja'kar jamin se tikaya aur aadha sharir pichhe... Chhanik malma tha.. jaise hi punch ka waar khali gaya, Apasyu sidha khada ho'kar apne dusre hath ka rod itna tej uski pasliyon par mara ki Nischal bechara chatpata gaya.…

Serin, Nandni aur Kasak teeno hi apne aankho ke samne ye sab hota dekh rahe the. Ander se khun khaul raha tha. Nischal ko maar khate aur karrahate huye mehsus kar aankhon me aanshu the, lekin chah kar bhi uski madad karne me asamarth rahe...

Kahna galat nahi hoga ki iss baar Apasyu ka beraham rod chal raha tha... Lagatar aur bina ruke... Aisa lag raha tha jaise police kisi gunde ko dande se pitai kar rahi ho...

Kuchh der Nischal khud ko bachate huye Apasyu par humla karne me laga tha... Lekin sab vyarth. Kuchh kosison ke baad Nischal kewal aur kewal uss rod ke dard ko sahta raha.….. Ghutno par baitha Nischal jab bhi khada hone ki sochta... Rod itni gati se uske dono ghutno ke niche parte... Satakkk.. satakkk... Aur Nischal wapas ghutno par...

Nischal ghutno par baitha bilkul asahay sa tha... Haalaat uske paksh me nahi the, fir kuch jaise yaad sa aaya ho aur usne apne pure badan ko dhila chhod diya... Apni puri shawans ander khinchte, bachpan ke kuchh palon ko yaad kiya... Jise yaad kar'ke uske chehre par muskaan faili thi... Wahin dusri or Apasyu apne pass aaye mehaman ke charity me koi kasar nahi chhod raha tha...

Rod itna tej, uske pith aur badan par lagataar chala raha tha ki chamri udher kar rakh di ho... Ek baar fir Nischal khada hua... Apasyu ne fir se ghutno par maara... Lekin iss baar ka khada hona kuchh alag tha... Nischal wapas se ghutno par nahi gaya... Rod teji se badan par barasne ke liye teji se badhe…

Na to Nischal ke pass koi gati thi aur na hi purv wala bahubal. Bilkul samnya kisi manushya ki tarah tha... Aur jitni bhi kshmta ke sath wo ladta kisi samanya manushya ki kshmta anusar ladta...

Nischal jaise hi apna ek kadam aage liya... Apasyu ne ek hi waqt me dono hath ke rod se, badi teji ke sath chalaya... Ek ka nishana Nischal ke ghutne par aur dusra upar pasliyon par..

Nischal kafi teji ke sath apne dusre paun ke aeri ko, rod aur gutno ke bich laya aur thik ussi pal apne forearm se upar ke rod ke humle ko roka... Nischal, Apasyu ke najron se najren milaye muskura raha tha... Nischal ka chehra mano ishara kar raha ho... "My turn"…

Apasyu apni puri kshmta se rod chalata raha aur Nischal uske sabhi humle ko nakam karte, ek baar fir apne punch me pura josh bhada... Ek baar aur nishana Apasyu ka chehra. Ek baar fir Nischal ka jordar punch chala. Apasyu ne reflex pichhe ke ore liya aur jaise hi sidha ho'kar apne dono rod counter attack me chalaya, Nischal bade pyar se dono rod ka maar jhelte apna ek puch fir se chala diya. Jiske jawab me Apasyu ne apne face ko pura bayen ore reflex liya... Par iss baar Nischal bhi taiyar tha...

Apasyu ne lagbhag na dikhne wali gati se reflex liya tha, lekin Nischal ke najron ke samne jaise sab kuchh slow motion me ho raha ho… yun Apasyu ne apna kandha aur gardan ko bayen ore jhukaya.. aur agle hi pal Nischal apne bayen hath se Apasyu ka gala dhar dabocha...

Samaya se bahubal aur ussi bahubal ke sahare Nischal ne badi hi aasani se Apasyu ko apne 1 hath se hawa me utha'kar uska chehra apne chehre ke pass laya... Pith par rod par rahe, kise fark parta tha... Dard to ho raha tha lekin dard ka pata nahi chal raha tha...

Agle hi pal Nischal ne apna chaku Apasyu ke kandhe se nikal'kar kamar me dala aur apne dayen hath ke anguthe ko kandhe surakh me dal'kar aisa dabocha ki Apasyu ke hath kaanp gaye. Apasyu jab dard se chhatpata raha tha, thik ussi pal Nischal apne sar se aisa takkar maara, Apasyu ki rashbhari (khun), naak se chhar-chhar karke bahne lagi... Uska naak buri tarah se toot chuka tha...

Apasyu ne apne paun ka sahara le'kar ek tej dhakka mara aur dono jamin par gire huye the... Apasyu ki haalat dekh'kar Nandni hooting karti hui kahne lagi... "Chhodna mat Nischal… chid daal"…

Nischal muskurate huye apne logon ko ek baar dekha. Sabki najren Nischal ko protsahan de rahi thi. Dono uth khade huye… apni-apni jagah se ek dusre ko dekhte jaise lalkaar rahe ho....

Sukr hai Nandni ka kewal muh khula hua tha jis wajah se wo kewal kaan faad hooting hi kar rahi thi. Kahin pura badan aazad hota tab wo nachne na lag jati… Idhar Apasyu aur Nischal ek dusre ko parakhte, ek-ek kadam aage badha rahe the…

Dono ki najren, agle humle ki lagbhag yojna bana chuki thi… Humla ke liye badhe hi the tabhi ek jod ki seety ne dono ka dhyan khincha.…. "Match over... Match over"… Alexa chillate huye dono ke bich khada tha aur ussi ore se nikal kar aa rahi thi Jivisha...

Ujle rang ka poshak pahne… jiski ek lamba sa kapda hawa me dur tak lahra raha tha... Mathe par badi si naag ke nishan ki bindi... Chehra bilkul chamkta hua jo halke nile rang ka pratit ho raha tha... Bhavya drishya tha Jivisha ka, jise dekh'kar aisa lag raha tha koi alokik shakti muskurati hui wahan par chali aa rahi ho...

Nischal jab wo pahli jhalak dekha... Bus dekhta hi rah gaya... Najron se tab'tak wo Jivisha ko dekhta raha, jab'tak ki uska dhyan Alexa ne nahi khincha... "Tunhari hi biwi hai"…

Alexa ki baat sun'kar Nischal muskuraya. Tab'tak baki ke log bhi apne atke sharir se azad ho chuke the… jaise hi Nandni unke bich pahunchi… gusse se Alexa aur Jivisha ko ghurte...

"Kamini jab Nischal maar kha raha tha tab seety nahi baji... Khali ek baar naak kya tod diya... Tabhi ladai rok dee... Jab'tak barabar ki kutai nahi hoti, tab'tak ladai nahi rukegi... Areee iss kamine Apasyu ne to dhoka kiya... Nischal ko chhal se roka... Warna Nischal yadi apni puri kashmta me hota, to ye Apasyu ka baccha ek second nahi tikta... Chaho to aajma'kar dekh lo"…

Jivisha muskurati hui... "Aisi baat hai kya"…

Jivisha ne ek chhota sa ishara kiya aur ek-ek kar'ke log uske pichhe aate gaye... Sabse aage Jivisha khadi thi aur uske pichhe Apasyu, Ert, HuYu, aur Aizem ke wo sabhi log, jo black hole rescue me bachaye gaye the. Sab ke sab Jivisha ke pichhe khade the...

"Nandu.. aazma'kar ek baar dekhe kya?"….

11 ster fan

Lazy villain
2,964
7,008
158
Ye Kya bakchodi hai ...bas jivisha ke liye gussa aa rha hai itna ki mobile patak du bas koi gali na nikal jaye munh se isliye xf se ja rha 2 din ke liye aur jab Mai aau to ye jiviya aur apasyu bas mare hue mujhe chahiye Sala gussa me hath kamp rha hai ...hat bc Mai ja rha mujhase ye randipana bardasht nhi ho rha
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304

So akhir Kar sachhai samne aa hi gayi... jiviya ke liye nischal bas naam ka hi pati hai..:lol: jiviya to pyar kare apsyu se hi :mahboi:
upor se hawas ki aag is kadar lagi hai ki aaj apni bahan kasak aur besti nandu se bhi zyada importance dene lagi apsyu ko :akshay: :party1:
apne yaar ko bachane bich mein kud padi.. aisa kiya apsyu ne iske sath raat raat bhar us ashram mein aur miayani beach pe... jo iski deewani ban baithi :akshay:
Kamal hai main to aaj tak Chutiyadr sahab ki story kirdaar kaajal ko sabse badi bewafa maanti thi.. lekin ye jiviya to :mahboi:
kam se kam kaajal bewafayi jarur karti thi lekin apne pati ke liye jaan dene piche nahi hati.. aur ek ye hai jo thoda khoon kya dekh liya apsyu ke naak se behte, are re re kamini tadap uthi :D
Well... meko kya . :popcorn: ab jisko jo pasand :D.. tulshi is sanshar ke bhaanti bhaanti ke log :lollypop:
bas hanshi aa rahi khud par hi ki kabhi kisi jamane mein jivu meri favorite kirdaaro mein se ek hua karti thi.. kosti hu us pal ko jab isko apni favorite kirdaar maan baithi thi..
Khair... waise is baat pe bhi hanshi aa rahi ki Nischal... jisko samne dekh ek se badhkar ek param shaktisali yodha thar thar kaanpe.. mahamahim bhi uske aage chinti badabar hai.. yahan tak ki lag bhag lag bhag suprmachis ko takkar dene wala... usko pit diya us apsyu ne :lol:

Khair... ab kare bhi to kya kare.. writer sahab to pehle hi bol diye ki wo hai is story ke boss.. unki hi marzi chalegi..
So ashambhav ko hi sambhav bana diya :mahboi:
( oh haan.. nothing personal, just a simple revo ;))
 
Last edited:

11 ster fan

Lazy villain
2,964
7,008
158
Ya to aap dono ko maar do ya apasyu ko koma me bhej do mere wapas aane Tak nhi to I am sorry to say but Mai aapki iss story ke liye silent reader ban jaunga ya leave kar dunga ..Sala ab pata nhi kyo bardasht nhi ho rha mujhase ye sali jiviya ka dogalapanti ...kahati hai Babu tumse hi pyar karti hu tumhe heart hote nhi dekh sakti aur udhar sali apasyu ka bed garam karti hai .. uss nalle ko nishchal ki kamjori kisne batai to jabab hai uss kutiya ne ..ye uski dhulai karnge ye bat pahale hi kisne batai to uss 2 take ke larki ne ..Sala pichala bar nhi ye dogalapanti hua tha jiviya ke khandan se Sala khun hi ganda hai ..ek chot Kya lag gayi uss nalle ko jiviya ke pran satak gaye ki ab rat ko raslila kaise hoga ...ye itna harami jat hai janbujhkar math ke pas le gayi shadi ka karykarm Taki isse bed garam. Karne me koi problem na ho aur ye nalla unko watch karke plan banaye ..agar aapko lagata hai ki Mai jyada bol Diya to aap galat hai ye Mai aapki tread hai bas isliye control karke likh rha hu bas Mai ekdam nafarat se bhar utha hu is jiviya aur uss nalla se ..bas aaj ki rat Meri kali ho gayi aur Puri rat nind nhi aayegi bas uss 2 take ke larki ki wajah se
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Main kya kahun aapke hasne ke emotions hain aur kayi logon ne chita bhi saja dali thi... Kyon Naina ji
Oh ho aisa kya...
Jiviya ki khujli aur apsyu tharki
mile jab dono
dekho kaise hawas ki aag bharki :mahboi:
 
11 ster fan

Lazy villain
2,964
7,008
158
Phir se last Wala seen read kiya sali kaise muskara rhi hai ..bas nishchal tuu sabko chid de bhad me gayi story bhad me pyar Sala aisi jindgi bhi kya jindagi jisme apmanit hokar jina pare ..aur tu sale nishchal aur serin iss jiviya ki sun kahe rhe ho be sabko pel do bas happy ending Sala Mai Kya kah du aur Kya kar du mujhe samjh nhi aa RHA ..jitni bar ye bat mejhe yaad aayega utni bar munh se gali niklega ...
 
11 ster fan

Lazy villain
2,964
7,008
158
Ek minute ye main viman ko na lane ka idea uss kutiya ka hi tha na Taki nishchal technology me uss kutte se aage na nikal jaye ..isse to achchha super bhikhari astak aadi hai bc Jo karte hai wo apne hawas ke liye to nhi karte ...iss jiviya ko komalrani ke hatho saump do wahi iske sath mohe rang de Wala khel khelgi
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Phir se last Wala seen read kiya sali kaise muskara rhi hai ..bas nishchal tuu sabko chid de bhad me gayi story bhad me pyar Sala aisi jindgi bhi kya jindagi jisme apmanit hokar jina pare ..aur tu sale nishchal aur serin iss jiviya ki sun kahe rhe ho be sabko pel do bas happy ending Sala Mai Kya kah du aur Kya kar du mujhe samjh nhi aa RHA ..jitni bar ye bat mejhe yaad aayega utni bar munh se gali niklega ...
are shaant gadadhari pehelwan shaant :popcorn:
aise khoon jalane se kya faida jo hona tha wo chuka hai :D
Jiviya pehle hi us gatar ke kide, 1000 najayaz baap ki ek aulad apsyu ki ban chuki thi jab uske sath bhagi thi :mahboi:
sukar karo cuckold nahi banaya bechare nischal ko :mahboi:
 
Top