Update:-39
Nischal aur Orja kisi anjaan ki tarah Jyoti bhabhi dekhe, lekin Jyoti bhabhi.… Ek jhannatedar thappad Nischal ke gaal par chipkate, bikul kha jane wali najron se ghurne lagi…..
Jitne gusse me Jyoti bhabhi Nischal ko ghur rahi thi, uss se kahin jyada hairani se Nischal usse dekh raha tha…. "Kya main aapko janta hun"… Nischal apni hairan aakhon se Jyoti bhabhi ko dekhte huye puchha...
"Jivisha ki tarah iska bhi fuse gaya kya, aur ye ladki kaun hai"…. Jyoti bhabhi apne khyalon se ubarti hui khud ko normal karti kahne lagi…. "Shayad mujhe dhoka hua hoga… tumhare jaisa hi kisi ki talash thi, galti se maine tumhe wahi samjh liya"
Ab Nischal, Jyoti bhabhi ko ghurte... "Pagal hai yahan ke sabhi log"… Apni baat kahte huye Nischal ussi ore jane laga jis ore Jivisha nikli thi...
Jyoti bhabhi bhag'kar apni jagah par pahunchi aur sabko connect karti hui kahne lagi.… "Nischal laut aaya hai aur Jivisha bhi ussi jagah hai jahan Nischal hai"…
Kasak, Aarsi, Chirag aur Ansh sab yah sun'kar hairan the aur apni khushi ka izhar kar rahe the… bus uss mahol me ek hi thi jo khamosh rah gayi aur apni bhavnayen chhipati hui bedroom me chali gayi... Nam aakhkon ke sath Nandni ke chehre par khushi bhi utni hi thi...
Shyad apni bhavna wah kisi ko dikhana nahi chahti thi isliye chup-chap screen se hat gayi... Kuch der tak har kisi ki baat hoti rahi.… Aarsi aur Chirag to jid pakad liye ki hum sab unhe lene USA hi aate hain…
Nandni apni bhavnao se ubar'kar wapas screen par aati hui kahne lagi.…. "Yun hi nahi Nischal ussi jagah pahuncha hai jahan Jivisha hai... Dono ko khud samjhne do abhi... Sab unhe akela chhod do. Jahan itne din ruke hain wahan thode din aur sahi"…
Jyoti bhabhi bhi Nandni ki baton ka samarthan karti ek aur khush khabri suna chuki thi... "Nischal ke sath Serin bhi laut aayi hai, raat tak wo humare sath hogi"….
Serin ke bare me sun'kar to Aarsi aur Chirag ko jaise khushi ka double dose mil gaya ho... Idhar HuYu "Gulf of Alaska" me jaise hi apna viman land kar'ke niche utra, samne Serin thi aur ander dil ki bhavnayen…
Serin bhi charo ore ke mahol ka jayja le rahi thi, jab usse samne se dilfek Sahjada HuYu aur worrior Luna dikhi…. Serin iss se pahle ki kich samjh pati, HuYu uske karib ja'kar Serin ko khud me aise sameta ki wo bilkul hairan ho gayi...
Serin ko gale lagana to dur ki baat thi, koi uske marji ke bagair usse chhu bhi le tab uska roop hi kuch aur hota hai. Kintu iss waqt Serin ke ander ki jo bhavna thi wo khud bhi nahi samjh pa rahi thi... Usse kafi sukoon sa mehsus ho raha tha... Aisa laga jaise wo yah sparsh pahchanti hai...
Serin khud ko HuYu se alag karti… "Sahjada HuYu, tumne kaun sa sammohan istamal kiya hai jo main virodh nahi kar payi"…
HuYu:- Mohabbat ka sammohan hai Serin... Mere tadapte dil ki bhavna...
Serin:- Kya??? Kahin tumhe khabar to nahi ho gayi ki meri memory loss hai aur tum mujhe fasane ka koi naya jariya dubdh rahe...
Luna:- Master Serin abhi in baton ka waqt nahi hai... Aap ko pahle yahan ke haalat jan'ne jaroori hai... ..
Serin:- Tumhe dekh'kar bahut khushi hui Luna.… Tumhe kaise pata ki hum yahan prithvi par hain...
Luna:- Master Serin...
Luna kuch bolne hi wali thi ussi bich HuYu usse rokte huye.… "Yahan se pahle apne adde par chalte hain, fir baat karte hain"…
Serin:- Nahi abhi hum kahin nahi ja sakte... Sahjade HuYu apne adde se sampark kar'ke yahan fanse humare dusre logon ki khoj karwao, wo bhi aas-pass hi honge... Hum sab ek sath jayenge tunhare adde par...
Search aur rescue operation me shaam Dhal chuki thi.… Alag-alag kinaron se sabhi Aizem wasiyon ko uthaya gaya... Saanjh dhal chuki thi aur HuYu sab ko lekar adde par lautne ke raste me hi tha...
Tabhi Alexa ka sandesh pahuncha…. "Alaska ke jungle me Narbhakshiyon ke samne masoom insaan fanse huye hain… unki suraksha bhi jaroori hai"…
Jaise hi Alexa ka sandesh gunja, Serin.… "Ye kaun hai jo hume order de raha hai"..
Luna:- Jaal mahal ka Central Autonomus Body... Jise Sahjade Nischal ne insani roop diya hai. Ussi ne aapko dhundha aur baki ke logon ko bhi...
Serin:- Oh to ab ye Alexa sir ban gaye. Bhala main apne master ki baat kaise taal dun... Pran chale jaye to bhi gum nahi lekin uss Jungle me ek bhi masoom ki jaan nahi jani chahiye... Aur koi mujhe batayega ki ye namurad Zoren ke narbhakshi yahan kya kar rahe hain…
Luna:- Zoren ke Shashak aur Shashika ne humare dimag par kabu karke hume apne darbar me bahut Jalil kiya tha aur yahan prithvi par la'kar hume kisi ka gulaam…
Serin:- Busss.. aage nahi... Viman utaro un kidon Makdon ki jagah.…
Kuch hi der me viman Alaska ke jungle me utar chuka tha... Serin ne HuYu aur Luna ko ander rahne ka hidayat de'kar, uss pure ilake ko hi apne vayumandaliya aavran me kaid ki aur teji ke sath aage badhne lagi.…
Bade bhaiya ek Adrishi jaanvar ke niche bus maut se chand faslon ki duri par aur agle hi pal kata hua sir thik bade bhaiya ke muh par gira.… Bade bhaiya ko jab Serin uss janvar ke niche bahar nikali…. Bade bhaiya aakhen badi karte…. "Serin"…
Serin hairani se bade bhaiya ko dekh hi rahi thi ki itne me kayi disha se 7 Adrishi jaanwar kud chuke the. Serin chillati.… "Niche baitho" aur agle hi pal kamar me kasi uske 10 se 12 fit ke patle dono blade Serin ke hathon me the...
Serin apne sharir ko pura dhila chhodti, apne hathon ko sabhi disha me lahrane lagi... Uske hath ke isharon par wo 10 fit lamba blade bhi lahrane laga….. Serin ki lahrati blade har Adrishi jaanvar ka imtihan lena shuru kar chuki thi... Fir kya mazal ki Adrishi jaanvar ki moti chamri usse maans ke lothre me tabdil hone se rok paye...
Hawa ke dhun ki tarah wo blade lahra rahi thi aur har Adrishi jaanvar ke aad-paar wo chidte ja rahi thi.… Bhayawaah najara tha... Issi bich narbhakhiyon ki bhi toli pahunch chuki thi, jo adyadhunik hathiyaron se laish thi...
Sawalker ne jaise hi samne ka gun point dkeha wo khada ho'kar Serin ko dhakka dete huye ek ped ke pichhe le gaya aur agle hi pal wo ped girte huye najar aane laga… dono chhipne ke liye ek ped se dusre aur dusre se teesre ped ke ore bhaag rahe the.….. "Hmmmmm !!! Ye Zoren wale to puri taiyari se aaye hain….. fir meri taiyari kyon adhuri rahe..."…
Serin ne jaise hi ishara kiya Luna aur HuYu viman ke sath un narbhakshiyon par humla bol chuke the... Kintu ye Zoren wale to kuchh jyada hi taiyari karke Pahunche the...
HuYu ka ek marak vimaan ke samne agle hi pal 39-40 Viman aa chuke the.… "Sach me ye log pahle se har sambhavna ke liye taiyar the.… Lagta hai aaj aakhri din hone wala hai"… HuYu samne ka najara dekhte huye kahne laga...
Luna:- Aaj nahi fir kabhi aur marenge janeman.… abhi apni bejjati ka badla liya kahan hai...
Luna ne palak jhapakte hi engine band kiya... Agle hi pal poora viman niche jamin par... Aur thik jamin se ek inch upar engine start...
Luna viman ko teji ke hath thoda uncha hawa me lee. Aur agle hi pal viman ko left mod'kar khadi karti hui pedon ke bich se nikalti, samne hathiyar chala rahe dushnano par canon fire karti hui nikli... Raste me padne wale sabhi narbhakshi aur gulam, dharashahi hote ja rahe the... Aur idhar narbhakshiyon ke sabhi viman upar ke position par hone ke bavjood, pedon ke bich ojhal hoti aur dikhti Luna ke viman par nishana lagane me asmarth the...
Issi bich Adrishi jaanvar ka ek jhund goli ki maar jhelte dayen aur bayen se plan par humla karne hi wala tha, ki tabhi Serin Luna ke viman ke thik niche apne dono hath ke 10 fit blade ko aise lahrayi ki agle hi pal wo sab Adrishi jaanvar dharashahi ho'kar jamin par bikhre pare the... Viman jaise-jaise aage badh rahi thi... Pichhe se Aizem ki force apna hathiyar liye niche kud rahi thi...
Sabhi Luna ke single command par kaam kar rahe the… agle hi pal Serin jis jagah thi wahan paglon ki tarah bomb aur goli barasna shuru ho chuka tha.… Luna teji ke sath cover fire deti viman ko dushmano ke viman ke thik samne aur unse upar le'kar aayi.. Ek hi waqt me multiple target leti wo Zoren ke 5 viman par missile chhod'kar kafi teji ke sath 35-36 viman ke upar se nikal gayi...
HuYu to aakhen fade bus Luna ki pal-pal badalti niti ko hi dekh raha tha. Planning jaisi to koi baat hi nahi thi ki kya karna hai... Luna ko jaisi paristithi dikhi uss hisab se utni hi tej faisle ke sath, viman ko bhi utna hi tej gati se apne isharon par nacha rahi thi, jiska javab dushman sena ke pass bhi nahi tha…
Vimano ke jakhire me 4-5 vimaan dhwast ho chuke the aur Zoren ki puri viman shrinkhla uss ek Luna ke viman ka pichha karne lagi…
Halanki Luna ke viman ki gati, Zoren ke viman beat kar rahe the... Humla karte huye wo Luna ke viman ke karib aur karib pahunchte ja rahe the... Lekin Luna jo viman ke sath kartab kar rahi thi uska koi tod nahi tha inke pass...
Jitni teji se aage badh rahi thi... Utni hi teji se wo aa rahi missile se bachne ke liye flip kar rahi thi... Kabhi viman ko sidhe jamin par to kabhi hawa ki unchaeyon me le ja rahi thi…. Aur ab thi bari aakhri dav ka... Luna auto pilot set ki. Viman ki gati full aur HuYu ko lekar niche jamin par kud gayi...
Jabtak wo dono parachute ke sath niche jamin par land karte…. Hawa me hi ek sath kayi visphot dekhne mil gaye... Darasal jaise hi radar me vayumandaliya aavran aadha km dur dikhne laga, waise hi Luna, HuYu ko le'kar kud chuki thi aur baki sabhi viman uss deewar se ja'kar takra gayi...
HuYu:- Tumhe wo deevar kaise dikh gayi..aur kya tumhe pahle se pata tha ki Serin hawa ki deewar banayengi...
Luna:- Baat jab izzat ki ho tab kisi ko kaise bhagne de sakti thi Serin... Aur Sahjade HuYu jab hum apne hi faile jaal ko nahi pahchane tab to bekar hai apni traning...
HuYu natmastak hua... Aur udhar Serin apne bldae hawa me lahrate katne ka daur ba -dastur jaari rakhi hui thi... Pichhe aur samne se jitne bhi humla karne wale Narbhakshi aur gulaam the, wo ab Aizem ke un sipahiyon ke hatthe chadh rahe the jinhe black hole se nikala gaya tha…
Dekhte hi dekhte wahan puri laash bichhi hui thi aur sabhi Aizem wale ek point par mil rahe the... Serin, Luna ko dekh'kar apna sir jhukati.… "Ek dari si ladki ki samjhdari…. Tum aur Puncham dono ne shuru se prabhavit kiya hai... Puncham ke hote humara itna apman kaise kar gaye ye log"..
Luna:- Humare dimag ko hi kabu kar liya tha… Puncham tab nahi tha humare sath aur jab wo lauta tab humari haalat dekh'kar usne khud ko goli maar lee...
Serin poori tarah se jalti hui.…. "Puncham ka ek bhi doshi yadi bach gaya to main khud apne hathon se apna gala kaat lungi... Lekin pahle mujhe jarra pura mamla samjhne do ki ye dimagi bimari kya hai... Pahle main aur Nischal … aur ab ye sab... Nayla kahan hai"...
Luna:- Master Serin wo Zoren ko sabak sikhane aur sabko aagah karne ke liye aaj hi Aizem ke ore uraan bhari hai...
Serin:- Wo prithvi vashi kahan hai jo mujhe pahchanta tha...
Sawalker:- Yahin hun mai… kya tumhari bhi yaaden gayi hai Jivisha ki tarah...
Serin:- Kya ????
Chaunkna to lajmi hi tha lekin iske aage aur kuch baat hoti... Ek backup viman vayumandaliya aavran ke bahar shor machane laga... Serin hawa ki deevar hata'kar, sabko le'kar viman me sawar ho gayi aur baat karte huye adde tak pahunchi…
Wahin dusri ore Nischal, Orja ke sath beach se ussi ore chal diya jis ore Jivisha gayi thi.…. "Orja mujhe uss ladki ke thik samne wala ghar chahiye taki uss par najar rakh sakun"…
Orja:- Tum mujhe meri shaktiyon ka durupyog karne kah rahe…
Nischal:- Kisi achhe kaam ke liye bus thoda chhal karne kah raha hun...
Orja:- Jaisa tum kaho… lekin najar rakhoge kaise…. Uske liye taknik aur device wo sab lane honge. Par uske liye hume pahle samjhna hoga ki yahan ke logon ka saman bechne ka tarika kya hai...
Nischal:- Haan thik hai. Pahle Jivisha ke samne wala ghar lete hain, aur wahin baith'kar sochenge ki yahan ki duniya me saman kaise kharidte hain...
Nischal, Orja ke sath baat karte huye kisi colony ke shurwaat me khada tha.… "Orja, pata karo wo dono (Apasyu aur Jivisha) kahan hai"…
Orja:- Mujhe pahle se pata hai... Chalo apna kaam ho gaya hai…
Orja, Nischal ko thik samne wale ghar dikhati hui kahti hai.…. "Yahi wo ghar hai... Is ghar me filhaal koi manushya nahi rahta"..
Nischal:- To hum yahan kyon ruke huye hain chalo ander chala jaye…
Orja:- Lekin bina malik ke iZazat ke ghusna.… Kahin kisi ne kuch kaha to...
Nischal:- Had hai tumhare itne sare sawal…
Kahte huye Nischal jaise hi darwaja khola, wahan ka sequrity alarm shor karne laga...… Shor sun'kar Jivisha balcony tak aayi aur samne Nischal ko dekh.… "Mujhe jalane ke liye yahan mere samne rahne aaya hai... Tujhe to ab police le'kar jayegi bacchu"….
Jivisha soch hi rahi thi ki tabhi syren bajati hui police bhi wahan pahunch gayi, aur pahunchte hi pahle I'd hi mangne lagi.… Jivisha dur balcony se sara tamasha hote dekh rahi thi lekin gussa tab aa gaya jab police muskurati hui unhe ishare se ander jane kahne lagi aur wo dono (Nischal aur Orja) ghar ke ander chale gaye... "Hhuhhh !!! Lagta hai mere hathon hi marega"….
Jivisha jhatak'kar gusse me apni baat kahti wahan se ander chali aayi.… "Kya ho gaya, itne gusse me kyon ho mitr"..
Jivisha:- Kuchh nahi samne wo kamina Nischal rahne aaya hai, apni nayi girlfriend ke sath...
Apasyu:- Ha ha ha ha... Agar itni hi samasya hai to ek baar baat kar lo...
Jivisha:- Apni salaah apne pass rakho, aur jis kaam ke liye taiyar huye ho, ja'kar wo kaam karo...
Apasyu, Jivisha ki haalat par hasnte huye usse "bye" kah'kar nikal gaya... Apasyu jaise hi bahar nikla, Nischal.… "Orja tum iss ladke ka pichha karo aur dekho ye kahan ja raha hai, kya kar raha hai"…
Orja, apni aakhen dikhati…. "Tumne samjh kya rakha hai mujhe.….. jab dekho order hi dete rahte ho"…
Nischal:- Yahan mera koi sath dene wala nahi... Tumhe bus ek sathi samjh raha hun jo mere bure waqt me mera sath de rahi hai...
Orja, Nischal ki baat par muskurati…. "Bahut chalu ho, tumhe pata hai ki kaise apna kaam nikalwate hain... Thik hai mai uske pichhe jati hun, lekin tum ye mat bhulna ki aaj raat tumhe fight karni hai, warna yahan par jine ke liye hume jo sabse jyada jaroori hai, "Paise" wahi nahi milega"…
Nischal:- Haan samajh gaya... Ab tum uske pichhe jao.… Aur apna khyal rakhna...
Orja ko Apasyu ke pichhe laga'kar Nischal ghar ke hall me baith'kar sochne laga... "Abhi ghar me akeli hogi Jivisha, ja'kar baat kar lun kya… Ek baar puchhna to banta hai ki aakhir mera intzar kyon nahi ki"…
Dusri ore Jivisha apne ghar ke hall me baithi.… "Rishta to toota hi hua hai, ek baar kam se kam puchh lun ki aakhir uski sacchi mohabbat me kaun si kami rah gayi jo usne kisi aur ko chun liya"….
Update is Nice ,,, super ,,super se bhi upar ,,brahmand ke uss par ,,,mandakini ke bich me,,,,, prakcima century ke bilkul pass,,,ekdam chakit kar dene Wala ,,,,logo ke soch se pare,,,,lajabab,,,,,, brain ki nase hila dene Wala fight,,,iss update ki jitni tarif ki jani chahiye kam hai ,,,iss update me kitna pyar dikhaya gaya hai ,,,kitna romance hai,,,,,kitna Mitra bhav hai ,,,,kitna suspence hai,,,,kitna judai hai,,,,kul milakar ye perfect update hai,,,aisa update hua tha na hoga ,,, aapke lekhani ko Mera naman