• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792

Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...

Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....

Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...

Last edited:

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Bhot hi shaandar invention
Ache haathon me raha to acha hi hoga aur bure haathon me laga to pata nahi kya ho sakta hai
Lekin dono pidde piddi ne movie se inspire hokr bhot hi shaandar invention kara
Jo khud ke liye defence me bhot acha hai kisi bhi ciz ko apni taraf aate huye rokega saath hi khatam bhi kar dega
Acha hai Nandu ne saath de diya aur saath me command bhi haath me le liye
Wese to Alexa saath me tha hi but Nandu aa gayi ab sayad wo in dono pidde piddi ki help se kuch esa bana paye jisse ye memory aa jaye ya time traveling type kuch
Khair wo to dekhte hai kya hota hai

Ye Aizem pe inlogo ne macha ke kya rakha hai
Mtlb had hai
Lekin ye Serin ko kya ho gaya jo ladki sirf Science me ghushi rehti thi wo itne besharm ban jayegi aur ye bachche ya to wo lion ya tiger wo hi honge aur ya phir sahi me bachche to nahi hai Serin ke wese bhi bhot badal gayi hai
Kuch bhi ho sakta Nain bhaiya ki story hai
Bada hi shocking update tha Nain bhaiya
Yeppp dono ka innovation kafi kamal ka tha aur kafi waqt bhi laga isse banane me ... Lekin aakhirkar safal bhi huye....

Hahaha.... Surwaati daur iss kahani ka kafi ghatak hai... Sath hi sath kafi intresting bhi... Bahut si nayi chinjen nikal'kar aayegi jo purane behaviour ko bahut had tak counter karegi...

Keep reading ... Dhire dhire sab samjh me bhi aa jayega aur sab settele bhi ho jayega
 
nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Update:-37

Wo 8 log mil to gaye the lekin wahan jakar 3 aur log fans gaye... Sabhi team manthan me thi aur HuYu ko apne bache logon ke sath ye rescue operation pura karna tha... Idhar jahan ek ore Rescue opration par planning chal rahi thi, wahin dusri ore Bade bhaiya trap hone ke liye apna bag pack kar rahe the...

Jivisha ko gaye lagbhag mahine din ho chuka tha. Wo lagataar apni sikhne ki yogyta me aage badh rahi thi. Idhar Zoren aur Aizem se aayi tukdi sangathit ho'kar lagtar apni kshmta sabit kar rahi thi.

Issi kram me un logon ne Surpmarich ke pass fanse Aizem ke 12 logon ko unke changul se nikal liya tha. 8 log kahan fase hain iss baat ka bhi pata laga liya tha.…

Jis waqt Aarsi aur Chirag badle ki raah par ghatak hathiyar banane ki jid par ade huye the, ussi dauran Alexa ne uss tabij ko bhi un dono se khulwaya tha aur ander ke sare micro function samjhne ke liye prerit kiya tha…

Alexa ne Aarsi aur Chirag ko bataya ki yadi wo micro circuit par lagatar kaam karne ki yogyta ko nikharenge tab mann chaha innovation me kafi madad milegi... Uss duran BMF lazer to wo dono nahi bana paye the, lekin uss tabij ki puri nakal jaroor bana liye the... Jiska production ab uss work station se ho raha tha...

Yahan ke work station me bhi aisa lag raha tha Jaal Mahal ka itihaas dohraya ja raha ho. 2 honhar aur kabil bacche ek baar fir ussi Central Autonomus Body (Alexa) ki dekh rekh me prashikshit ho rahe the, jaisa kabhi Jaal Mahal me Nischal aur Serin hua karte the...

Alexa ke margdarshan me dono ne uss micro circuit device ki banane puri vidhi samjh'kar, ab khud banana shuru kar chuke the. Sabhi team alag-alag disha me kaam karte huye ek lakshya ko sadhne me lag chuke the...

HuYu ki team iss waqt sabse majboot aur badi thi. Kyonki Nayla ke sath utri Aizem ki dusri team ke 12 member iss waqt HuYu ke sath the, jiski head Luna thi. Luna yun to thi second worrier aur pura mission Worrior head Puncham lead karta, lekin iska katai arth nahi tha ki Luna ki kshmta ko aanka jaye...

Luna sudhh roop se Nischal ki tranee thi. Jaal mahal ke ander vidhvansak hathiyar ke prashikshan se lekar on field ki traning sab Nischal ne diya tha... Nischal ke jitne bhi tranee the usme ek baat common hua karti thi... Dushman kaise bhi ho nirbhik ho'kar unse aankh milakar baat karne ki pravriti aur Kisi bhi paristhiti me naa haar man'ne wala gun...

Waise sudhh roop se jinhone Nischal se traning lee hoti hai, unme ek baat aur common hua karti thi... Musibat dekh'kar bhaybhit ho jana, aur pure samaj jise kamjor aur nakara samjhti thi, Nischal unhi bacchon ko uthata tha aur shuru se apne dekh rekh me trained karta tha...

Luna kabhi unhi bacchon me se ek hua karti thi... Zoren me jisne khud ko goli mari thi Puncham, wo bhi unhi bacchon me se ek tha...

Teeno team ki meeting chal rahi thi. Prithvi par khoj ke dauran, Shwetna ko pata chal chuka tha ki Narbhakshiyon ki tukdi Alaska ke jungle me apna dera dale huye hain.…

Chhote se badlav ke baad ek baar fir kaam baata ja chuka tha. Luna aur uske 6 worrier, fanse 8 log aur Shwetna ke 3 logon ko nikalne ki jimmedari uthayi.... bache huye Luna ki team HuYu ke sath Alaska ke jungle me investigation ka kaam karti.

Shwetna aur Nayla ab bhi pahle team par najar banaye rakhti lekin HuYu ne jab suna ki Antarctica madadeep me Shwetna ne koi chhanbin nahi ki, tab HuYu ne iss baat se parda uthaya tha ki Nischal aur Jivisha ka aakhri yudhh unhi barf ke kshetr me hua tha.... Isliye uss pure ilake ki jankari hume chahiye….

HuYu ke sujhav ke baad Nayla aur Shwetna ki team ko ek alag hi direction ka kaam mila. Unka ab kaam tha Antartica ko explore karna. Team coordination aur dono team ke backup ka kaam ab Kasak aur Nandu ko he dekhna tha...

Kafi lambi meeting chali thi aur bilkul apne aakhri daur me the, tabhi Nandni ke flat ke darwaje par dastak hui...

Kasak:- Hum sab to yahin sath me hain, fir tere flat me sham ke 8 baje kaun dastak de raha...

Nandni:- Kahin ye tere ghar se to koi na pahuncha... Priya Rajput ya Himanshu Rajput..

Kasak:- Kyon mera bhai nahi aa sakta kya... Abhishek Rajput…

Nandni:- Nah wo nahi hoga... Usne kaha tha wo aunty par line nahi maarta...

Itne me dobara bell baji aur lagatar bajte rahi... "Ja'kar darwaja khol na. Koi doubt hoga to ishara kar dena main screen band kar dungi"...

Hall me lage sofe se Nandni uth'kar darvaje tak aayi. Jaise hi darvaja kholi... "Deva, kitna waqt lagati hai darvaja kholne me"…. Jyoti bhabhi jhatke maar'kar pura darwaja kholi aur sidha ander.

Harbarane ki koi jaroorat nahi thi, kewal Kasak ne dusri ore ke awaj ko mute kar diya... Jyoti bhabhi aa'kar Kasak ke baju me baith'ti…. "Deva mla kaay hote. Mee lutle gele, usdhvast jhaale. Deva, deva, deva"…

Jyoti bhabhi aate hi chhati pit pit'kar apna dukhra rone lagi. Kasak pass baithi hairan ho'kar dekh rahi thi, aur Nandni darvaje ke pass khadi ho'kar. Kasak kandhe par aahiste se hath rakhti... "Kya ho gaya bhabhi"…

"Tumhe kuch khabar bhi hai kya ho raha hai. Ab to yahan Nischal bhi nahi"… Jyoti bhabhi chillati hui itna tej reaction dee ki Kasak khiska'kar ek fit dur ho gayi. Nandni bhakar pahle unhe pani la'kar dee. Kuch der tak unhe shant karwaya…. "Baat kya ho gayi bhabhi wo to batao"…

Jyoti bhabhi:- Aag lage uss Nischal ko. Inko Pormotion dilane ke chakkar me, un janvaron ke safaya ka account inke khate me daal diya. Ab USA me bhi ek waisa hi case hua hai... America walon ne madad ke liye bulaya hai. Wo unka koi agenecy BI hai, ki kya hai, uske director ka phone aaya tha Indian agency ke director ke pass.

Nandni:- Bhabhi wo FBI hai aur wo log bahut capable log hain...

Jyoti:- Ae tu pagal hai kya... Public service me hai mera marad, kisi case me wo madad ke liye jaa rahe, uski samasya nahi hai. Aur na hi koi dusri shanka hai..... Waise bhi achhe kaam karne walon ki suraksha ka khyal to deva rakh lenge...

Kasak:- To kya serial me jane ke liye aise chhati pitne ki acting kar rahi thi...

Jyoti:- Teri shadi nahi hui na isliye kah rahi hai... Upar se ye police wale.… America jakar kahin kisi gori mem ke sath... Devaaa, jatan kra...

Kasak aur Nandni dono hansti hui.… "Sharm karo bhabhi aisa shak karte. 8-10 sal ka baccha hai unka, itni pyari biwi hai. Upar se kitna pyar karte hain aapko. Ye shak aapko chain se jine nahi dega"…

Jyoti:- Are pati par bharosa ho'kar bhi kya kar sakti hun. Jab koi khud samne se chal'kar, khud hi sab kuch pados de. Sawalker kya bhagwan hai jo chadar taan'kar so jayega...

Kahin bahak kar usne kuch ulta sidha kar liya tab??? Baad me Shiwalker ko bhale atmglani ho lekin main to usks khun hi kar dungi.… Mujhe kuch nahi sun'na… Bharat me kahin bhi kaam karne jata... Europe aur America me mere najron ke samne rahe bus...

Nandni:- Bade bhaiya ne kya kaha...

Jyoti bhabhi:- Unka kahna hai "Fir kabhi honeymoon plan kar lenge, abhi iss case par kaam karne ja raha hun, ho sakta hai tumhara dhyan na rakh paun"

Kasak:- Hmmmm ! Maan liya aap ko USA bhej bhi diye tab Laksha aur Konkanee (Jyoti bhabhi aur Salwaker ke bacche) ka kya hoga...

Jyoti bhabhi:- Wo dono apni maasi ke yahan chale jayenge. Apne chacha ke pass rah lenge. Apne nanihal me rahenge... Itna bada khandaan hai… aur sabhi mere dono bacchon ko bahut chahte hain... Uski chinta nahi hai...

Nandni:- Matlab sab soch'kar aayi hain… Thik hai baitho kuch der yahin par, bade bhaiya bhi pahunchte hi honge...

Jyoti Bhabhi:- Wo kyon aayenge...

Kasak:- Kyonki wo Alian dikhte kaise hain, bade bhaiya ko wo tak pata nahi hai.... Bina jankari ke to ja nahi sakte hai na... Isliye ek chhoti si charcha ke liye aayenge hi...

Kasak aur Nandni ka andaja bilkul sahi tha. Bade bhaiya duty khatm kar'ke Ansh ke sath sidha flat hi pahunche... 15 minute ke discussion ke baad tay yah hua ki Jyoti bhabhi bhi ja rahi hai.

Bade bhaiya ko bata bhi diya gaya ki unke target Alaska ke jungle me hai aur wahan chinta ki koi baat nahi thi. Kyonki HuYu, Kov aur Lin ke sath, Luna ki aadhi team pahle se Alaska ke pass hi thi. Lekin Bade bhaiya ke suraksha ke lihaj se nakli Jivisha yani Ert ko bhi plan kar'ke bade bhaiya ke sath laga diya gaya.

Sath hi sath Alexa ke bhi coordination ki jagah badal dee gayi. Ab wo USA se oprate karta… Haalanki wo jagah chhod'kar ja nahi sakta tha, kintu Aarsi aur Chirag ke request par Alexa bhi jane ke liye taiyar ho gaya...

Alaska me dushman se nipatne ki jyada chinta to nahi thi, lekin maujooda haalat me bade bhaiya bahut si baton se anjaan the, isliye unki niji suraksha ka bhi dhyan rakhna tha.… Ert ko sath lagaya gaya aur Chunki puri team hi lagbhag USA me thi isliye Alexa ko coordination tatha backup ke liye wahin bhej diya gaya tha…

Jaise-jaise muhim aage badh rahi thi, ye log bhi sangathit hote ja rahe the. Puri team0 Aarsi aur Chirag ko tab ghurne lagi jab Nayla ne iss baat se parda utha diya ki.…. "Jis hisab ke base par Aarsi aur Chirag kaam kar rahe hain, wahan kam se kam 4 bade sainya viman honge. Ye sainya apne ander kam se kam 20 marak viman ki kshmta wale honge. Uske alawa 2 yatri vahak viman aur kam se kam 10 chhote marak viman uss par honi chahiye... Aur in sab ki jankari unke pass rahti hai jo base incharge hote hain...

Aarsi aur Chirag ne saaf kah diya.… "Base ki koi bhi chij Alexa ki marji ke bina bahar nahi jeyega aur wahi decide karenge ki in mamlon me kya hona hai... Work station ke sab chijon ke bare hume bataya gaya tha. Par master Serin ne saaf kaha tha ki ye tumhari jankari ke liye hai, na ki inhe le'kar urte firte raho".…

Khair, ab team sangathit thi to unke jaroorat ki chijen bhi ussi hisab se muhaiya karwayi ja rahi thi... Issi kram me 15 dino ka samay le'kar UsA me ek bhumigat base banane par kaam chalne laga...

Shwetna ne apne suhuliyat ke hisab se kuch jagah chuni aur Alexa ne suraksha ke madhya najar Miyami ke ilake me hi ek base banane ke liye kaha...

Luna ki team seperately ek sainya viman ke sath Pacific ocean ke liye nikal gayi aur wahan fase logon ko 1 hi din me rescue karke laut aayi thi... Idhar HuYu Alexa ke sath mil'kar technology ki nayi duniya se ru-baru ho raha tha…

Alexa ke pass apna oprating system tha jo kafi conservative system tha... Jisme sirf utne hi logon se sampark kar sakte the, jo Alexa ke oprating system istamal karte… bahar ka koi bhi iss oprating system ke ander nahi ghus sakta tha aur na hi iss oprating system se kisi bahar wale se sampark kiya ja sakta tha...

Bahar ke logon se sampark karne ke liye unka apna alag oprating channel tha.. jiske jariye wo dusron se sampark kar sakte the aur dusre inse..... Alexa akela kafi prabhavi tha, jiske system channel ko bahari yadi bhed'kar inke raaj jan'na chahta to wahan kewal second operating system ke raaj milte, jahan surwat se lekar anth tak kewal Alexa hi dikhta...

Shwetna ke kusal karigar, Kov aur Luna ki sainya base banane ka anubhav... Aur Luna ke team ke kushal engineers... In sab ne milkar 12 dino me jamin ke ander lagbhag 1500 square meter ka ek natural base taiyar kar chuke the, jisme bijli se lekar network tak sab inka khud ka tha...

Natural base isliye kyonki jamin ke niche ek bhi cement aur concreet ki deewar nahi banayi gayi thi... Aur pure base ki suraksha pranali ko Alexa ne apne hisab se desine kiya tha...

Alexa isliye bhi sabko chaunka raha tha kyonki uske pass USA citizenship thi. Technology ke kshetr me badi-badi compnies usse janti thi. Kisi ek company ke sath baithak karke usne matr 3-4 chhoti si technology bechi aur badle me 2000 square meter ki jamin, jisme ek bahut bada alishan ghar tha usse adhigrahit kar liya...

Pet care aur zoo ke liye usse US government se permission bhi mil chuki thi jiske madhya hisse me niche se uska naya bana hua base faila hua tha….

Kahte hain ye Paisa bolta hai. Alexa ussi baat ko sabit kar raha tha. Apni kshmta ke dum par wo Miyami sahar ke ander itni jagah arjit kiya ki jamin ke upar aur niche ke dono hisson ko apne hisab se lok-hit project ke liye develope kar saka...

Nayla aur HuYu, dono ke team me Nilbhut samuday ke log the. Jis karan ye USA ke kisi bhi kshetr se bhumigat ho'kar ander hi ander apne base tak pahunch sakte the... Jiske liye in logon ne kuch bhimigat vahan bhi rakhe the jinhe ye Nilbhut samuday ke log khinch'kar teji ke sath Miyami base tak pahuncha sakte the...

Ek baar base ka kaam samapt ho jane ke baad, sangathit team apne-apne kaam me lag gaye. Shwetna, Nayla ke sath Antartica me thi. HuYu naye samil huye log yani ki Luna ki team ke sath milkar bhumigat the, Alaska ke jungle me aur Zoren ke logon ki har gatividhi par najar banaye huye the...

Idhar bade bhaiya FBI ki team ka kewal margdarshan kar rahe the. Badi hi akdu team thi FBI ki, kyonki wo log bade bhaiya ko kabhi field work nahi diya, balki unke jaankari ke aadhar par kaam kar rahe the...

Dekha jaye to Jyoti bhabhi ke liye khushi ka mauka tha... Kyonki kuch der ke phone calls ke baad Bade bhaiya ka pura samay Jyoti bhabhi ke liye hi hota... Jyoti bhabhi to mann hi mann Kasak aur Nandni ko dhanywad kah rahi thi, kyonki police ki naukri me jisne badi muskil se chutti dekhi ho, uske pass yadi kewal khali samay hota to fislane ka pura chance tha... Aakhir insan hi to hai...
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,260
189

aisa lage ki sab kuch, kuch jaldi jaldi me ho raha hai.. Khair...
lekin bina nischal ke lead ke yeh log kaam har ek kaam itni nipunata se kar rahe wo sach mein kabile tarif hai khash kar Luna.. ye kirdaar kaafi interesting lagi mujhe aur sabse badi baat kabhi haar na maanne aur situation mein khud dhal lene wali baat..
So jyoti bhabhi ko problem ye hai ki sawelkar sir kahi videsh jaake bigad na jaaye.. :D
waise sabse badhiya kaam to aarshi aur chirag kar rahe hai Alexa ke dekh rakh pe chahe jagah koi bhi ho har jagah...
"Base ki koi bhi chij Alexa ki marji ke bina bahar nahi jeyega aur wahi decide karenge ki in mamlon me kya hona hai... Work station ke sab chijon ke bare hume bataya gaya tha. Par master Serin ne saaf kaha tha ki ye tumhari jankari ke liye hai, na ki inhe le'kar urte firte raho".… "
par afsos aaj serin ye bhi yaad nahi shayad ki chirag aur aarshi koun hai aur unke sath bitaye huye waqt ko bhi
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
 
Top