• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,618
80,603
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,618
80,603
259
nice update bro
chirag - aarsi ne commissioner ko pagal hi lagbhag kr diya
chlo shi wkt pr sambhal gya nhi to mental assylam me hi bhejna pdta use😂😂
wese kamal ki planning ki huyu ne
sala ABCD ke sare alphabet jitne plan bna dale
or planning ke bad bhi kya hua
bnde dawat khane gye esa lgta h
or jinki kidnepping honi h unhone bhi kamal hi kr diya
swagat to ese kiya jese mehman aaye ho😂😂😂
Hahaha... ABCD ... Hahahaha.... Aksar plan ka yahi hota hai... Mujhe Harry Potter deadly hellow part 2 ka dialogue yaad aa gaya ... Jab wo gringofd bank me daka dalkar bhagte hain....

Harry kahta hai .. hume school jana hai... Hermoiny said kuch plan karte hain... And here come epuc reply by Harry...

"Har baar hum plan karte hain aur fir bhi musibat hi musibat"... Inside Harry Potter... (Sidhe ghuskar maa cho dete hain) dekhiye result sbe tha... Mar gaya tha wahan woldermort :D
 

nain11ster

Prime
23,618
80,603
259
Update:-33



Ajib sa natkiya mahol chal raha tha, jise dekh'kar saaf pata chal raha tha ki wahan unke sath mazak ho raha tha…. Shwetna kafi tej chillayi.… Uska chillana itna tej tha ki ghar ke sabhi logon ke sath, jitne suraksha karmi aur kaam karne wale the wo sab hall me pahunch gaye.…


Shwetna dobara chillati hui kahne lagi.… "Apasyu ke pariwar ko uthao, aur chalo yahan se"….


"Kewal Apasyu ka pariwar hai kya, tum sab ka koi pariwar nahi hai"…. Ek robdar awaj uss hall me gunjne lagi... Yah aur koi nahi Apasyu ka bhai Aarav tha..


Shwetna fir kuch bolne ko hui.… Aarav usse hath dikhate.… "Aap sab se mai baat karta hun... Pahle thoda yahan ka mahol shant kar dun.… Lavni sab ko ander le'kar jao"….


Nayla:- Tumhara family drama nahi dekhne aaye hain... Shwetna jo hoga dekha jayega, bhumigat karo sab ko...


Aarav:- Thik hai fir karo kidnape….. maa tum kya khadi sun rahi ho, jao bhi...


Aarav ki maa Nandni….. "Yahan kya ho raha hai mujhe bhi to samjhna hai….. Apasyu kar kya raha hai, kya main nahi jaan sakti"…


Aarav ki pyari patni, Lavni.… "Wo bhaiya ne inke yahan ki kisi ladki ko bhaga le gaye hain"….


"What"????…. Lavni aur Aarav ko chhod'kar baki sabhi log achambhit ho gaye...


Swastika:- Apasayu aur Amiee kisi kaam ko kar rahe hain kya? Aaravvvvv..


Aarav:- Kya hai Naughty, itna chilla kyon rahi ho... thoda shant raho na.… Ander jao sabhi. Main inse baat karta hun...


Idhar Apasyu ke ghar ka family drama chal raha tha. Udhar Nayla jab sabko bhumigat karne boli, tabhi Shwetna harkat me to aayi lekin wo apni jagah se ek inch hil nahi payi. Wo kya baki jitne log the sabhi ka wahi haal tha….


Sabhi ek sath bus hairan ho'kar HuYu ko dekh rahe the.… Uske A se le'kar Z ke poore plan me kahin yah nahi tha ki jinhe kidnap karne ja rahe hain wo bhimigat hone wale Nilbhut samuday tak ko atka denge... Jabki dushman ki takat ke bare me HuYu ka itna hi kahna tha ki aam insan apne ammunation aur paison ke dum par jite hain.…


Kisi ko samjh me hi nahi aaya ki unhe atka kaise diya aur aisa atkaya hai ki muh tak nahi kholne de rahe hai…. Jabki un me se kisi ko pata hi nahi tha ki Aarav highly processed dust particles istamaal kar raha hai, jisne kaiyon ko aise atka diya tha...


Wo log shant khade ho'kar bus iss pariwar ki jugalbandi dekh rahe the. Aarav ki koi suna hi nahi. Jab koi nahi suna tab Aarav ne Apasyu ko live hi dikha diya, jo Tibbath ke Himalaya kshetr me ek shikhar par Mahadev vandna kar raha tha…


Yah visuals baki sab ne bhi dekha. Sabhi ke muh khule huye the…. Itni thand jahan charo ore barf jami hui hai, wahan kaise matr ek patle kapde me Apasyu wahan samay bita raha hai.…


Aarav ne pahle apne logon ko samjha'kar unhe bhej diya... Fir dust particle ko command diya. Kidnappe karne aayi puri team sofe par bith chuke the….. Sabke muh kholne se pahle, Aarav pyar se kahne laga.… "Yahan halla karne se koi fayda nahi hai.… Ek-ek kar'ke aaram se puchhiye, main shayad javab de paun"….


Jaise hi Aarav ne muh khola kewal Shwetna shant thi, baki sabhi machhli bajar banate huye ek hi waqt me sawalon ki bauchhar laga diye.… Aarav unki baat sun'kar hanste huye sabke muh wapas se band kar diya aur kewal Shwetna ka muh khula rakha jo bilkul shant thi...


Shwetna:- Humari Shashika Jivisha kahin dikh nahi rahi thi, wahan kewal tumhara bhai tha...


Aarav:- Mera bhai jaroor kuch aham kaam karne gaya hoga.… Aap ki Shashika Jivisha ki puri jimmedari Apasyu ki hai... Aur wo apne jimmedari ko pura nibhata hai..


Shwetna:- Kya main jo dekh rahi thi wo Sattvik aashram ka hissa tha...


Aarav:- Haan Sattvik aashram ka hissa hai aur aap sab uss aashram ke guru ji ko dekh rahi thi...


Shwetna:- Tum bhi Sattvik aashram se ho kya, aur kisi jadu se hume bandha hai kya???


Aarav:- Nahi main nahi hun kisi bhi aashram se. Aur na hi hum koi jadu tona karte hain... Humari suraksha ke liye bahut si technology kaam karti hai... Unhi me se ek technology ne aap sab ko bandha hai...


Shwetna:- Mere hath kholo, mai maafi chahungi jo guruji ke ghar aayi...


Aarav, Shwetna ko pura kholte.… "Maafi ki koi baat nahi hai… aap sab bhi ussi ki suraksha ke liye chintit hain... Jiske liye Apasyu kaam kar raha hai, aapki Shashika Jivisha... Aap sab ek hi disha me kaam kar rahe hain, kewal mat'bhed itni si baat ka hai ki aap ko Apasyu ne andhere me rakha hai...


Shwetna:- Ab wahi (Apasyu) ujala hai, yadi guru ji andhere me bhi rakhe to koi gum nahi... Ek baar Jivisha ko dikha do...


Aarav:- Sambhav nahi ab... Apasyu ko pata chal gaya hai ki main usse dekh raha hun, sabhi connection cut kar diya hai...


Shwetna:- Kaise...


Aarav:- Meri bhabhi Aimee ne kiya hoga... Ye pura department unka hai…


Shwetna:- Kya ?? Guru ji ki shadi ho chuki hai...


Aarav:- Nahi abhi nahi lekin dono ek dusre ki jaan hai... Apasyu se aage mulakat yadi hogi to meri bhabhi Aimee se bhi ho hi jayegi… ..


Aimee ka naam sun'kar sabhi ek dusre ko dekh rahe the... Aarav unki najar dekh kar hi samjh sakta tha ki ye log kya soch rahe hain... Aarav sabko ek najar dekhte... "Dekhiye hum sab ek ore hain isliye halla nahi kijiyega.… Yahan kisi ne Apasyu aur Aimee ko sal bhar se nahi dekha hai... Aap se jyada bhavuk log yahan hai... Majboori samjhiye"…. Aarav apni baat kah'kar sab ko dobara khola...


Dhime hi sahi lekin bole sab ek sath..... "Hume to bataya gaya tha ki uski lover mar chuki hai"…


Aarav:- Areee nahi Google par marne ki khabar kisi aur Aimee ki hai aur photo meri bhabhi ki laga diye hain... Ussi galatfehmi ke aap sab shikar hain...


Nayla:- Baat jo bhi ho lekin hum sab ki pareshani kam nahi hogi.… Tumhare bhai ko andaja bhi nahi ki wo kya kar raha hai...


Aarav hanste huye.…. "Aap ki chinta jayaj ho sakti hai... Jivisha ko laut aane dijiye fir puri samiksha kijiyega"….


Shwetna:- Mujhe koi gila nahi...… Jivisha pahli baar apni sahi jagah par hai... Bina puri baat jane humne tumhare pariwar ko pareshan kiya, uske liye maafi chahti hun...


Aarav:- Hume koi pareshani nahi hui… aap yahan hai matlab jaane-anjane me hum sab jude hai.… Tang karne jaisi koi baat nahi hai.… Mera contact rakhiye.…… Waise to aap sab yahan aa gaye matlab kafi capable log hai... Nidar hain aur apne dum par bahut kuchh karne ki kshmta rakhte hain... Kabhi humare madad ki jaroorat ho to jaroor kahiyega.…


HuYu:- Haan jaroorat hai na... Ek kamine ko dhundh rahe hain bus ek baar uska pata bata do ehsaan rahega.…


Aarav:- Uss kamine ki puri detail milegi kya.… Agar wo iss prithvi par kahin chhipa hoga to main dhundh nikalunga.…


Nayla:- Nahi kisi kamine ko dhundhne se pahle, mere kuch log nahi mil rahe hai, unhe dhundh dijiye….


Aarav:- Apno ke khone ka dard aap ki baton me hai… mujhe aap samasya bataeye, shayad koi madad kar sakun..…


Nayla:- Koi humare pichhe hai, hum kewal unka naam jante hain ki wo kaun hai, lekin ek naam ke siwa hume kuch pata nahi aur wo humari puri detail janta hai...


Aarav:- Iska matlab hai ki aap sab yahan ho wo ye baat janta hoga...


Shwetna:- Pata nahi, hume koi idea nahi iss bare me... Tumhe koi samsya to nahi hogi yadi unhe pata chal jaye ki hum yahan hai...


Aarav:- Ek galti to aap sabhi kar chuke... Jab dushman ko nahi jante ki kaun hai aur wo aapke pichhe tha to unhe khud se dur nahi karna chahiye tha... Unhe yadi planning se apne pichhe aane dete tab shayad aap sab ko lead hasil ho jati...


HuYu:- Haan to hum ab aisa kar sakte hain...


Aarav:- Nahi kar sakte... Jis waqt aapne apne na hone ka saboot diya, wo samjh gaya hoga ki aapko pata hai ki wo log aapke pichhe hai... Ab wo shant baith gaye... Aapko unke pichhe jane ka nimantran de'kar… uski jagah main hota to main bhi yahi Karta… kaun apne paisa aur logon ko survilence par lagaye aur unse ek chhoti si chuk ho to pura bhed khul jaye...


HuYu:- Nayla apne dusre team ki tasveer do... Wo log mil gaye tab hum kuch sochte hain...


Nayla apni dusri team ki tasveer dene lagi jo prithvi ke liye nikle the.… Aarav ne unhe survilence par dala.… Unme se ek ki tasveer match kar gayi... Aarav unhe screen dikhate... "Ye newyork ke downtown me hai... Jism'faroshi ke dal dal me"...…


Screen par jo ladki thi wah ek swatantr worrier thi... Nayla ko samjhte der na lagi ki ye sab dimagi khel kiska khela hua hai..... Wo Aarav ko dhanywad kahti hui wahan se vidai lee... Shwetna Aarav ke gale lagti kahne lagi.…

"Tumhe pata nahi vichlit mann ko kitna sukoon diya hai... Ab shayad hume pata ho ki kya karna hai, warna ab tak to khud bhi pata nahi tha ki kya karna hai... Hum ek dusre ke sampark me rahenge"….


Shwetna apni baat kahti hui sabke sath wapas chhat par pahunchi... Unki mulakat ek baar fir Vibhav se ho gayi.… Shwetna muskurati hui kahne lagi.… "Maaf karna kuch jyada bol gayi"…


Vaibhav, un sab ko chhota sa tabij dete huye kahne laga…. "Isse bhaiya ne aap sab ke liye diya hai... Pahan lijiye... Buri najron se aap ko bacha kar rakhegi..."


Shwetna:- Ab ye bhaiya kaun hai…


Vaibhav:- Aree guru ji ne diya hai.. Apasyu guru ji ne...


Kasak:- Par wo to tumhare uncle hai na...


Vaibhav:- Hum sab bhaiya hi bulate hain..


Kasak:- Hum sab matlab, aur kitne hain...


Vaibah:- Children's care Delhi type kijiyega samjh jaeyega... Filhaal ye apne gale me daal lijiye...


Sab ek baar hichkichaye jaroor lekin Shwetna ke bharose par sabne uss tabij ko pahan liya... Jaise hi usse sabne pahna usme laga ek chhota sa metal unke gardan se chipak gaya... Balon se 20 guna patle kuch wire skin ke ander se sarir me samane lage... Har koi kuch samay ke liye jaise paralyzed ho gaya ho.…


Sab kamoshi se ek tarah ke device ko apne ander ghuste huye dekh rahe the... Issi bich Vaibhav kahne laga…. "Apasyu bhaiya ne kaha tha ki yah bata dene.… Aap sab jiske pichhe jayenge unke pass aise log hai jo aapke dimag me ghus'kar aise hi aapko paralyze kar denge aur unka kuch sathi aapke sthir sarir ko chid denge ya goli maar denge"...

"Ye device brain me ja'kar brain fluid material banayega jo ek tarah ka anty body ke roop me kaam karega. Jo bhi aap sab ke dimag me ghusne ki kosis karenge, wo asafal hone. Iss sandesh ke satj unhone ye takriban 50 device bole the aap ko de dene... Jo log dimagi humle ka shikar ho chuke hain unhe bahar nikalne ke liye".…


Vaibhav jab tak apni baat kah raha tha, puri device in logon ke ander insert ho chuki thi…. HuYu badi si aakhen kiye bus stabadh khada tha... Kasak aur Nandni kuch kahna jaroor chahti thi lekin wo dono shayad pahle se shant rahna tay kar chuki thi aur pure mamle me bus Kasak ne kewal Vaibav se baat kee thi..


Wahin Shwetna sabko wapas lautne ka ishara karti kahne lagi.… "Ye apna kaam kar rahe hai... Hume bina dhyan bhatkaye apne kaam par dhyan dena chahiye"…


Shwetna wahan se sabko wapas Russia ke work station lekar pahunchi…. Nandni shikayti najron se dekhti hui puchhne lagi…. "Wahan to leader ban gayi thi, aur jo karne gayi wo bhi na kar'ke aayi.… Un logon ko humare bare me itna kaise pata… kahin ye log Surpmarich se to nahi mile hain"…


Kasak:- Baat jo bhi ho par sahi umr me shadi ke baad ladki hamesa khili rahti hai... Lavni ko dekhi thi, kitni pyari lag rahi thi...


Nandni, uske sir par hath maarti.… "Wahhhh !!! Ye yaad hai lekin uske pati ne bejjat kiya wo yaad nahi"…


Kasak:- Wahan to tum bhi thi na lekin wahan to tum kuch boli nahi Nandu....


Nandni chidhti hui…. "Shwetna lead kar rahi thi to pura mamla uss par hi chhod dee thi na... Dekhi nahi wo ladka 4 baar bol gaya ki hum "machhli market" banaye hain"…


Kasak:- Haan yaar... Thodi bejjati type mujhe bhi feel hui... Usne to muh bhi band kar diya tha...


Nandni:- Aur nahi to kya... Sala apni family ko nahi kah raha tha ki wo bhi halla kar rahe the... Usse hum me hi dosh dikh raha tha…. Main chup ho gayi kyonki humari leader ko sab achha dikh raha tha par apni bejjati nahi...


Nayla:- Yahan itna kah rahi ho... Wahan kyon nahi boli...


Kasak aur Nandni lagbhag ek sath bol pari.… "Usne kewal Shwetna ka muh khola tha aur wahi jab in sab mudde me kuch nahi kahi to apne aap me hi bejjati feel ho gayi... Humare sath ke log hi humari feeling na samjhe to gairon se kya kahna... Ussi ko lead karne chhod diya"….


Shwetna:- Main hath jod'kar maafi mamgti hun.… Kahogi to un sab ke guru Apasyu se bhi hath jod'kar maafi mangwa dungi... Lekin abhi kuch baton par baat kar len... Jo ki shyad tum dono ke khyalon se bhi koson dur hai...


Kasak:- Yahi na ki ab hume pata hai ki humari Jivisha ussi aashram me hai jahan se uske purvajon ki shurwaat hui thi…


Nandni:- Yahi na ki uss Apasyu ko hum se jyada aur bahut kuch pata hai.… Aur hum sab ko thoda-thoda gyan hai...


Kasak:- Aur kya gaur karte ki ab newyork downtown jane ki plan kar rahi ho taki apne logon ke pichhe ja'kar uske dimag se khelne wale Surpmarich tak pahunch sako…


Nandni:- Aur yahi Surpmarich bhi chahta hai ki Aizem se jo team uske aankh me dhul jhonk gayi, wo apne logon ke pichhe aa jaye... Isliye usne aise open tasveer load kar rakhi thi...


Kasak:- Aarav ke ek point se bahut si baten clear ho chuki hai ki... Hume safai se apne wahan na hone ke saboot dene se achha tha ki kuch logon ko unke sath jane dena chahiye tha, taki unhe lagta ki unka feka jaal kamyab raha aur sabhi pakde gaye... Jabki apne logon ke pakde jane ke karan hum bahut kuch plan kar sakte the...


Nandni:- Lekin ab wo log bhi apni puri najar yahan se hata'kar newyork par lagaye hain... Thik waise hi jaise Jivisha ke maut ki kahani likhne ke baad unke log yahan se gayab ho gaye... Tabhi to Jivisha apni soyi shaktiyon me kabhi yah pakad nahi payi ki koi dushman aas-pass hai. Jabki kayi lakh kilometer dur baithe Nischal ko wo mehsus kar rahi thi... Hume batane ki jaroorat nahi ki hume kya samjh me aaya aur kya nahi...


Kasak:- Abhi bahut si baten hai jinhe tum sab ko gaur karns hai lekin 100 baat ki ek baat... Bejjati bejjati hoti hai.… Hum bhi apna kaam kar rahe the… lekin kahne gayi kya uski biwi lavni aur uski bahan Kunjal humri tarah wahan fish market banaye hain... Baat anth me wahin ghum fir kar aa jati hai... Shwetna tum lead kar rahi thi aur apne kaam ki baat sun'kar tum humare bejjati ko bhul gayi…. Huhhhhh !!!


Shwetna aakhen badi kiye bus Nandni aur Kasak ko hi ek tuk dekhe ja rahi thi… wahi haal HuYu aur Nayla ka tha... Gusse me jitni baat dono kah gayi, utni samiksha to kisi ne ki bhi nahi thi... Aur itni baton ko jan'ne ke baad bhi dono machhli bajar ki baat ko pakde baithe the... Aarav ne unka band kyon kiya, iss par dono (Kasak aur Nandni) poora ukhde the...


Shwetna, HuYu aur Nayla teeno katar bana'kar apne hath jodte….. "Yun hi nahi sabhi grah vashi kahte hain... Prithvi sabse khatarnak grah hai... Tum sab to Dark Universe ke kurur shashak Astak ko bhi sir dard de do... Mahan hai yahan ke sabhi insan... Aur aap dono to mahan ki shreni se bhi upar uth chuki hain"…
 

nain11ster

Prime
23,618
80,603
259
Let's start the review
Ohh ho Kya bat hai chirag aur aarsi lage raho ..agar ye bata de ki we kaha jakar Kya karte hai to commissioner ko little little heart attack aa jaye ... principal ki chinta aur gussa bhi jayaj hai kyoki ye school bunk karte hai aur inhe kuchchh ko jaye to commissioner principal ko pel dega par wait a minute usse kaise pata ki chirag jamai hai commissioner ka Kya wo jasusi Karne laga hai ab???waise aaj to ansh pura Maja loot rha tha Kya bat hai ansh ko to dekhkar ek bat samjh gaya ki Jo Sharif hota hai wahi sabase bada harami hota hai Sala bhala karo ki bdsm na dekha nhi to nandu ke lag jate
Chirag ko pura bat nhi bataye to usane bhi pahale hi uss chhote pille ko sab bata Diya aur wo chhota pilla kitna bhonk rha hai use shayad apne power par over confidence hai aur waise bhi pille apne Malik ke bal pe bhonkate hai aur shayad use pata nhi ki uska Malik( apasyu) kudh iss story me as a helper hai aur usse marne ki kitni badi mang ho rhi hai
Swetana - kaise log pal rakhe hai re Deva kaya gunda banege ye ..Sala ye kidnap Karne gaye hai ya bhikha magane ya shadi ka nimntran dene
Jaise ishq risk ke character apne aukat gira rhe hai na kahi yaisa na ho jaye ki bhawar wale inke gharo se firauti na mang le... Sala ye ishq risk wale nikmme hi gaye hai ek dhang ki kidnapping na shake to tum sab Kaise maroge itne powerful logo ko
Ghor kalyug aa gaya hai re Deva
Aur jab se ye bhawar wale yaha aaye hai ishq risk walo ko to kuchh bhav hi na de rhe
1- Ishq risk ki heroin bhawar wale hero ke pichhe pagal
2- vish nilayani ka earth par kaha raslila rachai to satvik aashram
3 - bhawar pe ka pilla ishq risk ke sherani par bhaunk rha hai
4 - ishq risk walose kidnapping na ho pa rhi to wo kud kinap ho rahe hai kya beijjti hai Yar
5 - uss 20 sal ki larki sari pahanane ki tips de rhi hai nandu ke maa ne to nandu ko shikhaya nhi tha nandu ko to sari pahane ka style hi aata
Bc ye bat likhate hue bhi Mera khun khaul rha hai pata nhi kab Inka khun khaulega salo balti ka aayojan kiya hai aakar line se dub maro pahale 2jivu 3nandu 4kasak baki ke aage pichhe ho Lena salo dhakka mukki nhi karna ki pahle Mai pahle Mai aur pahle pe wo jisne kidnapping ki plan ki jankari uss pille ko di Sala character khata pita hai ishq risk ka aur chamchagiri karta hai bhawar walo ki tujhe yaha is story se bhaga denge aur dekhate hai bhawar wale tujhhe kab Tak apne story pe rakhate hai sala dhobi ka kutta kahi ka
Ji bade hi nek vichar hai... Har ek shabd aur har point maine note kar liya hai... Ab ye kahani ke uss vishay ko touch kar raha jo kahani ko aage badhane ke baad hi clear hoga ki kahan tak itni baten likhni sarthak tho...

Main najar banaye rakhte huye... Update aage badha raha... Dekhte hain final result ki aata hai
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,895
244
shandar update ...laga hi tha ki apasyu apne family ko yu khula nahi chhodega ,kuch to hoga hi safety ke liye ..
aur waha pe aarav tha jo dust particle ka istemal karke sabko bandh diya ..

aur unko ye bhi pata hai ki dushman mind control karta hai isliye wo taabij bhi di jo machine type hai .....
vaibhav itna chhota hai par baate kaam ki karta hai 😁..

sirf shwetna ko hi baat karne di aarav ne isliye kasak aur nandni naraj ho gaye ki unki beijjati huyi hai waha pe .

aur jitna dono ki baate sabke samne aayi ki kaise villain ka plan hai usse sab chakit ho gaye ..
 

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,113
143
behatrin update nain bhai
to apsyu ne inki suraksha ka intzam kr diya
or arav ne inki sbhi sanka door kr di
or ye amiii ka kuch smjh nhi aaya
wha hokr bhi uski maut ki khabar
kher vaibhav bhi lazwab hi tha
or nandini , kasak ka to kya khne
 
9,478
39,864
218
2018 के अंतिम महिने में या शायद 2019 के शुरू के महीनों में ये फोरम चालु हुआ था । उस समय फोरम शुरूआती के दौर में था ।
हम सभी इस फोरम के पुराने संस्करण से भली भांति परिचित थे । उस समय फोरम पर कहानियों की बरसात हो रही थी । बहुत ही अच्छे अच्छे राइटर्स होते थे । पर दुर्भाग्यवश वो फोरम बंद हो गया । फोरम से जुड़े हुए लोग चाहे राइटर्स हो या रीडर्स सभी दुःखी थे । लोग कई सालों तक गुगल करते थे कि फोरम चालु हुआ या नहीं ।

आखिर में चालु हुआ पर महज गिने चुने राइटर्स की कहानियों के साथ । मुझे याद है उस वक्त शायद दस बारह कहानियां ही रनिंग थी वो भी बहुत ही कम अपडेट के साथ ।
शायद लव १९९४ , केसिनर शुरूआती दौर के राइटर हुआ करते थे इस नये संस्करण के ।

मैं इस फोरम का सायलेंट रीडर था । मैं सिर्फ कहानियां ही पढ़ता था । पहले संस्करण में भी वही हाल था पर दुसरे संस्करण में मैंने पाठकों की प्रतिक्रिया भी देखनी शुरू कर दी कि आखिर में उनका कहानी के बारे में क्या विचार है ।

कई लोग मिले जो कहानी के उपर अपनी अपनी राय रखते थे । कोई कम शब्दों में ही अपनी प्रतिक्रिया व्यक्त कर देता कोई अच्छी तरह से अपनी बात रखता ।
बहुत लोग थे जो कहानी के बारे में समीक्षा करते थे । और अधिकांशतः पढ़े लिखे लोग ही थे ।
उसी दौरान मैंने ' नैना ' का भी रेभो देखा था । उसके रेभो में मुझे जो सबसे अच्छी बात लगी वो था उसका अपना एक अलग स्टाइल और अलग अंदाज ।
जैसे राज कपूर , देव आनंद , दिलीप कुमार , शम्मी कपूर , मनोज कुमार , राज कुमार.... सभी का अपना अलग अलग अंदाज था और वो अंदाज ही उन्हें फिल्मी जगत का लिजेंड स्थापित कर दिया ।
नैना - ये भी कुछ अलग थी । इसका भी बाकी लोगों से हटकर कुछ अलग अंदाज था ।
इसने कभी भी किसी राइटर्स के लिए नेगेटिव कमेन्ट नहीं किया । वो अपने अंदाज से सभी राइटर्स को मोटिवेट करती रही ।
उसने जिस राइटर्स के लिए अपनी प्रतिबद्धता बना ली , उस पर वो हमेशा कायम रही । ऐसा कभी नहीं हुआ कि वो उन की किसी कहानी को बीच में ही अधुरी छोड़ दी ।

राइटर्स की ताकत होती है रीडर्स । और यदि रीडर्स उनके कहानियों पर सकारात्मक प्रतिक्रिया देते हैं तो राइटर्स के लिखने की भुख बढ़ती जाती है । रीडर्स की सकारात्मक प्रतिक्रिया राइटर्स के लिए संजीवनी का काम करता है ।
ऐसी ही है नैना जी । उनका समीक्षा...उनका रेभो...उनका अंदाज किसी भी राइटर्स के लिए प्रेरणा स्रोत होता है...एक अनमोल तोहफा होता है ।

वो पढ़ी लिखी है । पर न जाने क्यों मुझे लगता है कि उन्होंने हास्पिटैलिटी का कोर्स भी किया हुआ है । सभी को खुश करना... किसी से भी विनम्र होकर बातें करना....हर परिस्थितियों में भी अपने चेहरे पर शिकन न आने देना....... गंभीर बातों में भी अपना आपा नहीं खोना......को - ओपरेटिव होना.....
ये विशेषता है नैना में ।
जैसा हम एयर होस्टेस या नर्स के स्वभाव में देखते हैं ।

मैंने उनसे बहुत कुछ सीखा है । शायद यही कारण है कि मैं भी उनका अनुसरण करते हुए एक अलग अंदाज में कहानियों के उपर समीक्षा कर पा रहा हूं ।

उनके लिए मैं यही कहूंगा.... She is Zems .
वो इस फोरम के नवरत्नों में से एक है । इस फोरम की ही नहीं बल्कि.... वो अपने परिवार और अपने दोस्तों के लिए भी एक रत्न है ।
 
Top