If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Anupama: Ye tumne kya kiya Krithi, kal tumne us jahil ladke ko apna friend banaya aur aaj apna bhai bana liya?
[Anupama ne apni bahan Krithi par gussa dikhate huye boli.]
Krithi: Arjun jahil nahi hai didi aaj se mera bhai hai aur aapka bhi aap ye jitni jaldi accept kar logi utna hi achha hai.
Anupama: Bhai wo jahil mere juti ke barabar bhi nahi hai mera bhai hona to dur ki baat hai.
Krithi: Aap sab ladke ko ek jaisa kyon samajhti ho didi Arjun sabse alag hai.
Krithi ne aage kaha.
Krithi: Dekha nahi aapne uske chhoti si galti ke liye aapne itna kuchh suna diya lekin usne aapko palat kar jawab nahi diya bas apni beizzati sahta raha.
Anupama: Uski aukaat nahi hai mujhe ulta jawab dene ki samjhi tum.
Krithi: Sayad aapko achhe se uske bare mein samajh nahi aaya didi, Kajal mam jiski maa ho, Kriti mam jiska pyar ho aap soch bhi ho sakti ho aise ladke ke character ke bare mein aur uski kya power aur position hogi.
Krithi: Wo jaisa hoga yakin maniye didi aap bhi use apna bhai maan lo didi aapko bhi meri jitni hi khusi hogi.
Anupama: No, never wo kamina mera bhai kabhi nahi ho sakta hai ye baat tum jitni jaldi samajh jaogi utna hi achha hai tumhare liye.
Krithi: Humare dad bhi ek mard hain didi jisse aap sabse jayada pyar karti hain.