• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aapka sabse favourite female character?

  • Kajal

    Votes: 181 61.1%
  • Rashmika

    Votes: 97 32.8%
  • Anu

    Votes: 39 13.2%
  • Kriti

    Votes: 58 19.6%
  • Krithi

    Votes: 39 13.2%
  • Rashi

    Votes: 38 12.8%
  • Anupama

    Votes: 36 12.2%
  • Sriya

    Votes: 35 11.8%
  • Shivangi

    Votes: 27 9.1%
  • Divya

    Votes: 23 7.8%
  • Shreya

    Votes: 27 9.1%
  • Nadhiya

    Votes: 28 9.5%
  • Ravina

    Votes: 84 28.4%
  • Nayanthara

    Votes: 32 10.8%
  • Anushka

    Votes: 28 9.5%

  • Total voters
    296

park

Well-Known Member
13,295
15,932
228
Update 161
We ain't killers ⁠

Previously ~ The Ghost: Okay boss! Lekin ek samasya hai kya Rohit fight karega, kyunki usne fighting chhod diya hai???

The Nightmare: Wo jarur fight karega, jab usko ye baat pata chalega ki Smith tumhara representative hai.

The Ghost: Okay! Main aapka ishara samajh gaya.

The Nightmare: Jis din Smith aur Rohit ki fight hogi usi din Rachit aur uski maa ki maut honi chahiye.

The Ghost: Okay! Iske liye main The Invisible ko bhej deta hoon.

The Nightmare: Attack 10 days ke interval par hota rahega.

The Ghost: Okay boss.

The Nightmare: You may leave now.


Now Next: >>>

[[Raveena Home]]

Raveena ke ghar par Raveena, Akhil, Nithya, Divya aur Seetha sabhi ek sath evening mein garden mein baithe huye the.


images-2

Raveena: Kya baat hai Akhil tum mujhe aise itni gaur se kyun dekh rahe ho???

Akhil: Bhabhi main uss maa ko dekh raha hoon jisne apne darpok bete ke liye kabhi dusra bachha karne ka plan nahi kiya aur aaj wahi darr* mein jeene wala ladka sabhi ki dukh ko dur kar raha hai.

“Arjun abhi bhi kisi ki dukh ko dur karne ka paryas kar raha hai aur mujhe apne Arjun par pura bharosa hai ki wo apne maksad mein jarur kaamyaab hoga.”

Raveena: Kisko dukh hai jo wo dur karne ka paryas kar raha hai?

Akhil: Jo bhi hai uska koi apna hi hai.

Raveena: Theek hai tumne bataya nahi hai ab tak ki tum yahan par kitne din tak ke liye ho??? Aaj yahan par tumhe lagbhag 13 days ho chuka hai.

Akhil: Main abhi kahin nahi jane wala hoon bhabhi maa. Mujhe ji bhar kar aapke hathon se bhojan karna hai. Main iss baar ek lambi chhutti ke liye ghar par hoon.

Raveena: Bilkul! Jab se tumne IPS join kiya hai kabhi bhi theek se mere paas lagatar 7 days tak nahi rahe ho, jaise Arjun mera beta hai waise hi tum mere liye beta ke saman ho.

Akhil: Bilkul bhabhi mujhe aapse hi ek maa ka pyar mila hai, maa ka chehra mujhe theek se yaad bhi nahi hai.


images-3

Seetha: Akhil beta kya hum dono ne tumhe maa ki tarah pyar nahi diya hai??? Kya hamare pyar mein koi kami hai??

Akhil: Sorry! Aap dono se bhi mujhe bhabhi maa jaisa hi pyar mila hai.


images-4

Nithya: Chachu mujhe bhi shooting sikha dijiye. Divya nani ko theek se target nahi dikhta hai, nani ab buddhi ho rahi hai, hahaha 😂😂😂.

Akhil: Achhi baat hai bolo kab se seekhna hai????

Nithya: Aaj se hi sikha dijiye.

Akhil: Aaj se nahi ho sakta hai Nithya beti.

Nithya: Kyun?? Kya aaj shubh muhurt nahi hai kya???

Akhil: Kyunki abhi mere paas gun nahi hai jisse hum practice kar sake, kal main tumhare liye gun ki vyavastha karta hoon. Main abhi apne dost ko bol deta hoon wo tumhari practice ke liye gun lekar aa jayega.

Nithya: Thank you! Arjun sach bolta hai aap duniya ke sabse best chachu ho.

Akhil: Tum Arjun ke chakkar mein mat pad jana.

Nithya: Kyun apne hone wale pati ki baat nahi sunna chahiye??

Akhil: Shayad tumhe pata nahi hai, ek din wo tumhari mom se kahega aap duniya ki sabse best sasu maa ho aur agle hi din Kriti ki mom ko bolega wo duniya ki sabse best sasu maa hai.


images-1

Divya: Theek usi tarah se jaise Arjun mujhe duniya ki sabse best nani maa bolta hai aur jab wo Nadhiya ji ke sath hota hai tab usko sabse best nani maa bolta hai.

Seetha: Aur jab mere paas hota hai tab mujhe sabse best nani maa bolta hai.

Raveena: Aur jab mere paas hota hai tab mujhe bolta hai main duniya ki sabse best mom hoon aur jab wo Kajal aur Rashmika ke sath hota hai tab unn dono ko sabse best mom bolta hai.

Akhil: Samajh aaya tumhe kuchh Nithya beti???

Nithya: Ha yahi ki Arjun bahut jhutha hai.

Akhil: Bilkul nahi, kyunki wo jis samay jiske paas hota hai uss par hi apna sara pyar nyochhawar kar deta hai.

Nithya: Samajh gayi main.

Raveena: Kya samajh gayi Nithya beti???

Nithya: Yahi ki Arjun sabhi ko itna pyar deta hai ki koi uske prem jaal se bach nahi pata hai.

Raveena: Jaise usne tumhe apne prem jaal mein phasa liya hai, hahaha 😂😂😂.

Nithya: Mujhe aaj tak yahi lagta tha ki maine usko apne prem jaal mein phasaya hai, lekin ab mujhe samajh aa raha hai main khud hi uske prem jaal mein phas gayi hoon.

Seetha: Bilkul theek, jaise usne hum sabko apne bholepan aur mitthi mitthi baaton se phasa liya hai.

Divya: Theek hai ab ghar ke andar chalte hain.

______


[[The United States of America]]

Lily apne kamre mein ek chair par baith kar John ki yaadon mein itna khoyi huyi thi ki usko apne kamre mein John ke enter hone ka pata hi nahi chala.

John ne apne dono hathon se Lily ka aankh band kar diya, jaise hi Lily ko touch ka feel hua usko samajh aa gaya ki ye koi aur nahi balki uska premi John hai.

Lily ki aankhon se khushi ke maare ek baar phir se aansu nikal pada.

John ka hath hatne ke baad Lily ne apni gardan ko tedha kar pichhe ki aur dekha, kisi tarah usne apni emotions par control kar kaha.

Lily: John tum yahan kaise aa gaye??

John: Sorry baby main kuchh der ke liye apne raste se bhatak gaya tha. Kisi ne mujhe apni bhul ka ehsaas kara diya, tumne theek kaha tha ki Arjun begunah hai.

John ne Lily ko apne aur KAAL ki conversation ko explain kiya.


images-8

Lily: Mujhe khushi hai ki tum kisi begunah ki jaan lene se bach gaye. God ne meri pukaar sun liya aur tumhe surakshit mere paas wapas bhej diya.

John: Ye sab tumhare pyar ke karan sambhav hua hai. KAAL ne mujhe tumhare prem ka ehsaas kara diya, isliye main god ka nahi balki KAAL ka shukriya ada karta hoon.

Lily: Yadi tum nahi aaye hote toh main Priya ke dad ko company ka ownership dekar khud ko samapt karne wali thi. Main tumhare bestfriend se kabhi shaadi nahi karne wali thi.

John: Itna pyar karti ho mujhse ki tum mere bina jeevan ki kalpana bhi nahi karti ho.

Lily: Apni jaan se bhi jyada, par inn sab chakkar mein tumne army chhod diya.

John: Koi baat nahi ab main hamesha tumhare sath rahunga. Ab tum mujhse koi complaint nahi karogi, isliye jo hua usko ek bura samay samajh kar bhul jao.

Lily: Kya tum Priya se mil kar aaye ho, wo bhi Karnataka ke Diamond City mein hai???

John: Nahi! Phir kabhi hum dono sath chalenge usse milne ke liye.

Lily: Hmmmm! Ab mujhe company jane do, jab se tum gaye the* tab se ek din bhi main company nahi gayi hoon. Bye! See you in the evening.

John: Bye Lily.

[((Tum dhanya ho KAAL, tum ek sath kai The Ghost ko maarne ki takat rakhte ho phir bhi tumne mere gusse aur badle ki bhavna ko shant karne ke liye tumne mujhe apna shish dena chuna. Ye sirf bharat ke log hi kar sakte hain.

Tumne sach kaha tha Lily, India is a beautiful and great country lekin isko sundar aur mahan banati hai wahan ke log. Main hamesha India ka aabhari rahunga jahan mujhe ye pata chala ki balidaan, prem aur tyag kya hota hai. Jahan har gunehgar ko saja di jati hai aur har nirdosh ko maafi.))]

[Lily ke kamre se bahar jaane ke baad John apni purani yaadon mein chala gaya jiske karan wo yahan surakshit wapas aa paya tha.]

***


Tamilnadu,
Time - 10:47 pm
A Few Days Ago ~


John injection ka pahla dose lene ke 14 days baad Rohit se fight ke liye apna naam register karwane ke liye Tamilnadu se Mumbai jaane ke liye railway station ki aur ja raha tha jab uske pichhe se usko ek aawaz sunayi diya.

Ruko John! Mujhe tumse kuchh jaruri baat karni hai.

John ne apne pichhe palat kar dekha usko apne samne ek BLACK SHADOW dikhayi diya, jiske back par 2 sword latak rahi thi.

John ko aisa laga jaise koi sher uske samne aakar khada ho gaya hai, raat ke andhere mein bhi John apne samne wali shadow ke face par glow ko dekh pa raha tha.

John: Who are you?? How do you know my name?? We haven't met before.

“Mera naam KAAL hai, mujhe tumse kuchh important baat karni hai.”

John: Theek hai boliye, kya bolna hai aapko???

KAAL: You are a soldier, am I right??

John: Yeah!

KAAL: Kya ek soldier kabhi ek begunah ki jaan leta hai???

John: No! Never.

KAAL: Phir kyun tum Rohit aur Rohan ko maarna chahte ho???

John: Kyunki Arjun dono ka bhai hai aur Arjun ne mere bhai Williams ko jaan se maara hai. Bhai ki maut ka badla bhai se liya jayega.

KAAL: Kya kisi gunehgar ko saja dena koi gunah hai???

John: Nope!

KAAL: Phir kyun tum Arjun ko saja dena chahte ho uss vyakti ke kahne par jo pure world ka dushman hai. The Ghost pure underworld ka betaaz badshah hai, wo puri duniya ka muzrim hai phir kyun tum uske kahne par Arjun ko peeda dena chahte ho jisne koi gunah hi nahi kiya hai??

KAAL ne apni baat continue rakhte huye aage kaha.

“Ye tum bhi jante ho ki tumhare bhai Williams ne galat tarike se kitne hi logo ka jaan liya hai aur Ranjan ko bhi usne galat tarike se maara tha. Kya Arjun ka tumhare bhai Williams ko saza dena gunah hai???”

KAAL ki baaton se John ka sar niche jhuk gaya.

KAAL: Shayad tumhe ye baat pata nahi hai, The Ghost ka bhi ek boss hai jiska naam hai The Nightmare usne Arjun ki bahan ki puri family ko jinda jala kar maar diya hai.

KAAL ne apni baat aage continue rakhte huye kaha.

“Kya tum aise vyakti ka sath dena chahoge??? The Ghost sirf tumhara use kar raha hai apne fayde ke liye. You are just a puppet for him, isse jyada kuchh nahi.”

John iss baar bhi kuchh nahi bol paya.

KAAL: Yadi tum Arjun ko dukh dena chahte ho toh ye lo meri talwar aur abhi mere sar ko dhad se alag kar do, sirf itna hi nahi tum Arjun ke sabhi family members ki jaan le lo, main tumse promise karta hoon Arjun ke har ek parivar ka sadasya tumhe kuchh bhi nahi kahega.

KAAL ne apni baat aage continue rakhte huye kaha.

“Arjun ka pura parivar usse bahut pyar karta hai aur Arjun sabhi se. Tumhe pata hai jab Arjun ko ye baat pata chali thi ki Williams ne dhokhe se uske bhai Ranjan ko maara hai toh wo kai dino tak na theek se so paya tha, na hi theek se padh pa raha tha aur na hi wo theek se khana kha pa raha tha.”

“Pata hai uski ek ladki se shadi ho chuki hai aur aage 2 ladki se hone wali hai, tum iss baat se anuman laga lo ki sabhi usse kitna pyar karte honge. Unn teeno ka kya hoga, tumne bhi kisi se pyar kiya hoga, yadi tumhe kuchh ho gaya toh kya wah khush rah payegi??? Ek baar apne pyar ke baare mein soch kar dekho.”

John iss baar bhi kuchh nahi bol paya.

KAAL: Arjun ne The Ghost ke pure empire ko samapt karne ka pratigya liya hai, kya aise ladke ko dukh dena sahi hoga wo bhi uske liye jo sirf maut deserve karta tha????

“Yadi Arjun *The Ghost* ke pure empire ko samapt kar deta hai toh ye tumhare desh ke liye bhi achha hoga, iss tarah se tum army se dur rah kar bhi apne soldier hone ka farz pura kar paoge. Ek saccha soldier wahi hota hai jo sabse pahle apni country ke baare mein sochta hai.”

“Bas kijiye main aur nahi sun sakta hoon aapki baat. Aapki baatein meri kaan aur seene mein kisi needle(sui) ki tarah chubh rahi hai.”

KAAL: Phir kya decision liya hai tumne???? Tumhe Arjun se badla chahiye ya phir wapas America jana hai??? Yadi tumhe Arjun se badla chahiye phir maine tumhe option diya hai, meri talwar tumhare hath mein hai mere sar ko dhad se alag kar do aur kar lo apna badla pura.

John: Mujhe apni bhul ka ehsaas ho gaya hai. Aapne theek kaha hai meri bhi ek girlfriend hai *LILY* jo mujhse bahut pyar karti hai. Lekin yadi main wapas chala gaya toh main kahin bhi chhup jaunga The Ghost mujhe khoj kar jaan se maar dega.

KAAL: Tum *The Ghost* ki chinta chhod do, kyunki jiske sath main hoon usko ek The Ghost kya, kai The Ghost mil kar bhi uska kuchh nahi kar sakte hain.

“The Ghost khud ko world ka betaaz badshah samajhne laga hai, kyunki The Ghost uss mendhak(frog) ki tarah hai jo kisi well(kuwen) mein rah kar ye samajhne lagta hai ki duniya sirf itni hi badi hai. Lekin jab wo uss well(kuwen) se bahar aata hai tab usko duniya ka vastvik aakaar ka gyan hota hai.”

John: Shukriya aapka jo aapne mujhe galat karne se rok diya.

KAAL: Shukriya karna hai toh apni girlfriend Lily* ka karna jo tumse bahut karti hai, isliye mujhe tumhare paas aana pada.

John: Kya aap mujhe Arjun ki koi help karne ki permission doge?? Main bhi Arjun ka iss fight mein sath dena chahta hoon aur main aap sabko The Ghost ka location bhi bata sakta hoon.

KAAL: Nahi John uski koi jarurat nahi hai, tum apna badla bhul kar wapas ja rahe ho yahi Arjun ki sabse badi help hai tumhari aur se.

John: Theek hai main chalta hoon, mujhe surakshit dekh kar meri girlfriend Lily bahut khush ho jayegi. Main uske face par smile dekhna chahta hoon, main abhi flight ki ticket book kar leta hoon.

KAAL: Uski koi jarurat nahi hai, ye lo tumhari flight ki ticket.

John: Matlab aapko pata tha ki main wapas jaane wala hoon???

KAAL: Ha mujhe pata tha ki ek soldier kuchh der ke liye apne raste se bhatak sakta hai par hamesha ke liye nahi, usko ek din apni bhul ka ehsaas ho hi jata hai jaise aaj tumhe ho raha hai.

John: Ek baar phir se aapka bahut bahut dhanyawad KAAL ji.

KAAL: Koi baat nahi ab tum jao, usse pahle meri talwar wapas kar do, mujhe iski bahut jarurat padne wali hai. Aur ha* jo tumne power increase karne wali dawa liya hai uska apne bhai ki tarah galat istemaal mat karna, warna phir se koi Arjun ban kar tumhe saza dene ke liye aayega, *smiles*.

John ne sirf apni sar hila kar ha* kaha aur wah KAAL ki talwar ko uske hath mein dekar aiport ki aur badh gaya.

John ke dil mein pichhle kai mahino se badle ki jo aag jal rahi thi wo ab shant ho chuka tha, wapas jate samay John ke face par ek smile aur bholapan tha jo uski girlfriend Lily ko pasand aata hai.

_____


[[Amika Home]]

Anu: Priya, KAAL ne John ko apna sar(head) dena kyun chuna jabki wo John ko easily maar sakta tha???

Priya: We ain't killers, chhoti maa. We are protectors, John sirf apne raste se bhatak gaya tha. Jahan pyar se kaam ho sakta hai wahan par fight ki kya jarurat hai??? Phir John ki girlfriend Lily hai jisne god se pray kiya ki Arjun aur John dono ki fight kabhi na* ho phir main uska bharosa kaise tutne de sakti thi???


images

Anu: Samajh gaya tum ab tak sirf isliye chup thi ki tum mujhe Lily aur John ki love story batana chahti thi.

Priya: Smiles! Ha chhoti maa aapne bilkul sahi samajha, John apne bhai Williams se bilkul alag hai, yadi Williams burai ka sathi tha toh John achhai ka rakshak hai. Phir Lily ko main vidhwa kaise hone de sakti thi jo bilkul meri mata Kalpana ki tarah hai.

Anu: Thank you tumhara Priya ki tumne mujhe John aur Lily ki prem katha dikhaya.

Priya: Koi baat nahi chhoti maa, aap teeno ki ek din mulakaat bhi hone wali hai.

Anu: Main itna toh samajh chuka hoon ki jisko Arjun aur **The Nightmare** ke yuddh mein nahi marna hoga, tum usko marne nahi dogi.

Priya: Aapne bilkul sahi samajha lekin Rohit bhaiya aur baki 2 log ko main bhi nahi bacha sakti hoon.

Anu: Lekin kyun???

Priya: Sabka yahan dharti par aane ka ek uddeshya hota hai wo pura hone ke baad usko dharti chhod kar jaana hi hota hai. Main kisi ki destiny ko change nahi karna chahti hoon.

Anu: Matlab hum sabke upar ek toofan aane ko hai.

Priya: Ha, isliye apni kaleja ko majbut kar lijiye.

Anu: Main sirf apne saviour ke liye pareshan hoon.

Priya: Usko bhi ye dard sahna hi hoga. Ye story aaj se bahut pahle Srinidhi didi ne bol diya tha aur unki dwara bola gaya koi bhi baat jhutha nahi ho sakta hai.

Anu: Samajh gayi meri toh abhi se hi halat kharab ho rahi hai.

Priya: Sorry! Isliye main aapko bahut cheezein nahi batati hoon jisse aapko kam peeda ho.

Anu: Kya tumhe peeda nahi hoti hai Priya???

Priya: Kyun nahi hogi chhoti maa, Arjun ko jitni peeda hoti hai utni hi peeda mujhe aur Srinidhi didi ko bhi hoti hai, sath hi sath Rashi aur Rohan ko bhi kyunki hum pancho(5) ek hi hain.

Anu: Tum mujhe ye kab batane wali ho ki Rohan aur Rashi tumse judi huyi hai???

Priya: Jab sahi samay aayega.

Anu: Theek hai ab so jao.

Priya: Good night chhoti maa.

______


[Mumbai
Fighting Ring]


Smith *The Ghost* ki instructions par aaj Mumbai ke underground fighting ring mein tha.

Fight organiser: Who are you?? Kya chahte ho tum???

“I am Smith, the representative of The Ghost, main aaj se 9 days ke baad Rohit se fight karna chahta hoon, hum dono ki match fix karo.”

Dhiru Bhai(Fight organiser): Lekin Rohit ne bahut pahle se fighting chhod diya hai.

((Dhiru Bhai ne ye baat darte darte kaha.))

Smith: Tum Rohit tak ye message pahucha do, wo mujhse fight karega ya nahi tum uske upar chhod do. Yadi uss tak tumne mera message nahi pahuchaya toh phir tum ek ek fighter ko marte huye dekhoge isse tum kangali ki halat tak pahuch jaoge, tumhara biwi aur bacche kisi road par pade honge, choice is yours what you want to do.

Dhiru Bhai: Theek hai main uss tak aapka ye message pahucha dunga.

Smith: Theek hai phir main chalta hoon, aaj ke 9 days ke baad phir se mulakat hogi.

Smith ke jate hi Dhiru Bhai ke mathe se pasine ki boonde nikal aaya wah samajh chuka tha ki The Ghost ka aadmi Rohit se sirf normal fight nahi chahta hoga.

Wo situation ki seriousness ko samajh raha tha ki yadi usne ye fight fix nahi kiya toh jo bhi Rohit se jude huye hain sabhi ka bahut bura hone wala hai aur khud The Ghost uske aur uski family ke sath kya karega ye soch kar hi uska kaleja andar se pura kaanp gaya.

Finally usne bahut soch vichar karne ke baad Rohit tak ye information pass karna hi sahi samjha aur Rohit ko call laga diya.

______


Iron City
Anath Aashram
Time - 9:45 pm ~


Rohit sabhi ke sath bhojan karne baitha hua tha jab uska phone baj utha.

Rohit ne phone receive karna chaha par ashram ki Amma Roopa ne usse kaha ki wo bhojan samapt karne ke baad call receive kar le. Rohit ne bhi call par samne wala ka naam dekh kar mana nahi kiya.

5 baar lagatar ring hota raha lekin Rohit ne call receive nahi kiya.

*Beep*

Agle hi pal uske phone par message ki ghanti sunayi diya.

Rohit ne bhojan samapt karne ke baad message padha.


[Message]

((Ek aadmi hai jiska naam Smith hai, wo khud ko The Ghost ka aadmi bol raha hai, wah aaj se 9 days ke baad tumse ring mein fight karna chahta hai. Main tumse ye nahi kahunga ki tum ye fight karo, kyunki main janta hoon ki wo tumse sirf apni superiority prove karne ke liye fight nahi karna chahta hai. Yadi tum ye fight nahi karte ho toh main barbaad ho jaunga aur yadi tumne ye fight kiya toh shayad main tumhe zinda nahi dekh paunga.))

Rohit message padh kar pareshan hone ki bajaye uske face ki smile badh gayi.


images-5

Sara: Kya hua Rohit ji message mein aisa kya likha hai jo aap smile kar rahe hain???

Rohit: Aapko kuchh dino ke baad khud pata chal jayega Sara ji. Main aaj se 9 din ke baad Arjun se milne Diamond City jane wala hoon, mujhe Arjun aur Rohan se kuchh jaruri baat karni hai.

Sara: Theek hai phir mujhe bhi apne sath le chalo, kyunki uske agle hi din mera aur Shivangi ka birthday hai.

Rohit: Bilkul le chalunga aapko bhi, by the way aap bahut achha khana banati ho, aapke hath se bana bhojan kar mann aur aatma dono tript ho jati hai.

Sara: Thank you Rohit ji, aaj itne dino ke baad aapne mere bhojan ki taarif kiya hai.

Rohit: Good night Sara ji, hum subah mein milte hain.

Sara: Good night Rohit ji.

Rohit aur Sara dono ne aage kuchh nahi kaha aur dono apne apne kamre ki aur badh gaye.

[((Main tumhare paas aa raha hoon jaan, jaldi hi hum dono ki phir se mulakat hogi. Mujhe khushi hai ki mujhe apne chhote bhai ki ladai mein apna balidaan dene ka pahla mauka mil raha hai, Rohit ne apne mann mein kaha aur chain ki neend so gaya ye jante huye ki uske sath 9 days ke baad kya hone wala hai. Rohit ne apni destiny chun liya tha.))]

Sone se pahle usne Dhiru Bhai ko ek text message kar diya ki wo fight ke liye ready hai.

Dhiru Bhai jo kab se Rohit ke reply ka wait kar raha tha, Rohit ka message padh kar uski aankhon se swata 2 boond aansu tapak pada.

“Kyun tumne ye fight chuna dost, ho jaane dete mujhe barbaad kam se kam tumhari jaan toh bach jati??”

Lekin wo bhi janta tha ki ye possible nahi hai, kyunki uska fighting ring nahi toh koi dusra fighting ring, lekin ye fight hokar hi rahega aur yadi ye fight nahi hua toh The Ghost* Rohit se jude sabhi logo ko jaan se maar dega.

Aaj wo khud ko bahut hi bebas feel kar raha tha ki na* wo Ranjan ke liye kuchh kar paya tha aur na* hi Rohit ke liye kuchh kar pa raha hai.

Dhiru Bhai ne apne Fighting Ring mein kitne hi fighters ko niche se upar aur upar se niche aate huye dekha tha, lekin usko aaj tak koi bhi Ranjan aur Rohit jaisa fighter nahi mila tha.

Rohit aur Ranjan dono ne kabhi fighting mein kisi opponents fighter ki jaan nahi liya tha, phir chahe unke opponents ne unhe kitna hi ghav kyun na* diya ho.

Dhiru bhai ke liye Ranjan aur Rohit dono hi dost jaise the, isliye Dhiru Bhai ne dono ko kai baar apne ghar par dinner ke liye invite kiya tha.

Jaise jaise Dhiru Bhai Ranjan aur Rohit ke sath bitaye huye pal ko yaad kar raha uske dil mein hal pal peeda badhti hi ja rahi thi aur badhti hi ja rahi thi uski aankhon se aansu ki dhara.

Aaj wo feel kar raha tha ki ek mard hona kitna kathin hota hai ki apni peeda kisi se share bhi nahi kar sakta hai.

*Click*

Usne apni car ko start kiya aur apne ghar ki aur chal diya aur chhod diya usne apne aankhon se bahte huye aansu ki dhara, kyunki wo apni wife aur bachhon ko apni peeda nahi batana chahta tha.

______


Kajal Home
9 Days Later


Arjun aur Kajal dono college ja chuke the jab Rohit aur Sara dono ghar mein dakhil huye.

Rashmika: Bahut sahi samay par aaye ho tum dono, hum bhojan karne hi wale the. Kya baat hai Rohit aaj se pahle maine tumhare face par kabhi aisi smile nahi dekhi hai???

Rohit: Pahle khana khila dijiye mausi, aaj aap sabke hath se bana bhojan karne ko milega isliye maine abhi tak raste mein kuchh bhi nahi khaya hai.

Rashmika: Achha kiya tumne.


images-7

Shreya: Baith jaiye Rohit ji main sabke liye khana lekar aati hoon, aap bhi baith jaiye Sara didi.

“Ab batao kya baat hai, sabhi ke bhojan karne ke baad Rashmika ne Rohit se kaha??”

Rohit: Main aaj Mumbai jana chahta hoon aur apne sath Rohan ko bhi lekar jaana chahta hoon, kal raat tak wapas laut aaunga.

Rashmika: Lekin Rohit abhi situation kharab hai, pata nahi kab The Ghost ka attack hum par ho jayega??? Agar jaana bahut jaruri hai toh kal ke baad chale jaana kyunki kal Shivangi aur Sara ka birthday hai.

Rohit: Isliye main Arjun ko apne sath lekar nahi ja raha hoon mausi. Aap sab chinta mat kijiye main jaldi hi wapas laut kar aap sabke paas aa jaunga. Agar mera jaana jaruri nahi hota toh main jarur ruk jata.

Sara: Chhod dijiye mausi koi fayda nahi hai. Maine Rohit ji ko bahut baar kaha hai lekin Rohit ji ne mujhe har baar taal diya ye bol kar ki jab wo ghar wapas aayenge tab hum sabko Rohit ji par bahut hi garv hoga.


images-6

Rashmika: Theek hai lekin jab sab theek ho jayega tab mujhe bhi kabhi apne sath Mumbai lekar chalna, main kabhi bhi Mumbai ghumne nahi gayi hoon. Arjun aur Rohan dono ek baar tumhare sath ja chuke hain.

Rohit: Theek hai agli baar aap sabko apne sath le chalunga. Abhi aap Arjun ko ek text message kar dijiye ki wo apne sath Rohan ko lekar aayega.

Rashmika: Theek hai Rohit main Arjun tak tumhara ye message deliver kar deti hoon.

***


[[Time 2:20 pm]]

Arjun, Kajal aur Rohan jaise hi gate se andar dakhil huye unhe Sonu se information mil gaya ki Rohit aur Sara ghar par aaye huye hain.

Rohan aur Arjun jaise hi ghar ke andar dakhil huye Rohit dono ko apne gale lagane ke liye apni bahon ko khol kar khada tha.

Arjun aur Rohan dono Rohit ke gale se ja lage.

Arjun: Kya baat hai Rohit bhaiya aaj aap bahut khush nazar aa rahe hain??? Aapne dusri shaadi karne ka plan bana liya hai kya???

Rohan: Ha bhaiya ye aapne bahut galat kiya hai, aap apni dulhan hume khojne ka mauka dete.

Rohit: Nahi chhote bhai main tumhari bhabhi se itna pyar karta hoon ki kabhi kabhi mann karta hai ki uske paas chala jaun, lekin chinta mat karo agle janam mein tum dono ko ye mauka jarur prapt hoga.

Arjun: Aisi baat mat kijiye bhaiya aap sabke sath hone se mujhe himmat milti hai???

Rohit: Main hamesha tumhare dil mein rahta hoon. Arjun, kya main tumhare dil mein nahi rahta hoon???

Arjun: Bilkul! Mere dil mein aapke liye utna hi respect aur pyar hai jitna ki Ranjan bhaiya aur Rachit bhaiya ke liye hai.

Rohan: Lekin baat kya hai Rohit bhaiya ki aaj aapko hum dono par kuchh adhik hi pyar aa raha hai???

Rohit: Kyunki aaj aur abhi main tumhe apne sath Mumbai lekar jana chahta hoon, jisse tum dono mujhe maaf kar sako ki main Sara ji aur Shivangi ji ki birthday par nahi rah paunga.

Arjun: Jaana jaruri hai parso chale jate dono ke birthday ke agle din???

Rohit: Yadi jaana jaruri nahi hota toh main apne chhote bhai ko kabhi mana kar sakta hoon kya?? Aur phir tum mere ghar aane ka intezaar karna, maine aaj tak tumhare liye koi bada kaam nahi kiya hai, jab main ghar wapas aaunga tab tumhe mujhe par itna garv hoga ki tum mere surprise ko apne jeevan bhar kabhi nahi bhul paoge.

Arjun: Yadi aisi baat hai toh aap jarur jaiye, main aapka surprise dekhna chahta hoon. Shivangi ji aur Sara ji ka birthday hal saal aata rahega.

Rohit: Bilkul mere chhote bhai ab tum dono jara muskura do, tum dono ka murjhaya hua chehra mujhe bilkul bhi achha nahi lagta hai.

Arjun: Smiles!

Rohan: Smiles!

Rohit: Ab mujhe jaane ki permission do aur apni car de do. Main Rohan ke ghar ki aur se hi Mumbai ke liye nikal jaunga. Ye meri car ki key apne paas rakho aur Sara ji aur Shivangi ji ki birthday ki taiyari karo.

Arjun: Theek hai bhaiya.

Rohit ne Rashmika, Kajal, Nadhiya aur Madhuri sabhi ki paon bari bari se chhu kar ashirwad liya.

Arjun: Rohan bhaiya ki suraksha main tumhe de raha hoon, jis tarah se bhaiya ko lekar ja rahe ho usi tarah se wapas lana, aaj kal sabki suraksha ke liye mera dil bechain rahta hai. Maine ek bhai ko kho diya hai aur ab dusre bhai ko khone ki himmat nahi hai mujhme.

Rohan: Tum chinta mat karna Arjun, main bhaiya ko kisi bhi haal mein safe rakhunga. Main bhaiya ko kuchh nahi hone dunga. Rohit bhaiya ke upar koi bhi khatra aane se pahle uss khatra ko mujh se paar pana hoga.

Arjun: Ab jaldi jao jitne der aap dono yahan rahoge utna hi main aap dono se yahan rukne ki request karunga. Mujhe bhi shopping mall jaana hai kal ki birthday ki taiyari ke liye.

Rohan aur Rohit dono smile pass kar ghar se nikal gaye.

______


[[Location Unknown]]

The Ghost and The Nightmare ek kamre mein baat kar rahe the.

The Ghost: Boss aapne Rohit, Rachit aur Rachit ki mom ke liye kal ka date kyun chuna hai??? Kya main jo samajh raha hoon waisa hi aapne socha hai????

The Nightmare: Tum bilkul sahi samajh rahe ho, kal Arjun aur usse jude huye logo ki khushiyon ko main dukh ke sagar mein badal dunga.

The Ghost: Jab jab Shivangi aur Sara ka birthday ka din aayega, dono ko khushi nahi balki peeda hogi aur dono kabhi apni birthday mana nahi payenge.

The Nightmare: Nahi tumne thoda theek se nahi samjha hai, jab jab Jogendra aur Arjun se judi kisi ka bhi birthday aayega sabhi ko Rohit, Rachit aur Rachit ki mom ki yaad aayegi aur koi bhi apna birthday celebrate nahi kar payega jeevan bhar.

The Ghost: Wow* Boss! Sach hai aapka badla bada bhayankar hota hai jo ek vaar mein sabko maat de deti hai.

The Nightmare: Yahi hoga hamari aur se KAAL, Arjun aur Jogendra ko tohfa jo usne hamare ek fighter The Invincible ko maara hai.


***

______________________________________________________________________________________


That's all for this episode, the update comprises 5.2k words. I hope that you guys will enjoy the update. Bye bye till the next episode comes. Pichhle update mein John ki story ko nahi bata paya tha ki uska kya hua, wo maine iss update mein pura kar diya. Aasha karta hoon ki aap sabko Lily aur John ka as a guest character pasand aaya hoga.
Nice and superb update....
 
  • Like
Reactions: dhalchandarun

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
6,002
18,095
174
Update 162
Restless

Previously ~ The Ghost: Jab jab Shivangi aur Sara ka birthday ka din aayega, dono ko khushi nahi balki peeda hogi aur dono kabhi apni birthday mana nahi payenge.

The Nightmare: Nahi tumne thoda theek se nahi samjha hai, jab jab Jogendra aur Arjun se judi kisi ka bhi birthday aayega sabhi ko Rohit, Rachit aur Rachit ki mom ki yaad aayegi aur koi bhi apna birthday celebrate nahi kar payega jeevan bhar.

The Ghost: Wow* Boss! Sach hai aapka badla bada bhayankar hota hai jo ek vaar mein sabko maat de deti hai.

The Nightmare: Yahi hoga hamari aur se KAAL, Arjun aur Jogendra ko tohfa jo usne hamare ek fighter The Invincible ko maara hai.


Now Next: >>>

[[Location Unknown]]


The Ghost: Aur yahi hoga hamari aur se The Invincible ko sachi shradhanjali.

The Nightmare: Bilkul kyunki hum villain hain thoda alag dhang ka, hum ek teer se kai shikar karte hain. Hum apne har sathi ka sath bade dil se dete hain aur uska badla bhi aisa lete hain ki samne wala humse dushmani karne se pahle kam se kam 1000 baar jarur soch le.

((*Hahaha*))

Kamre mein The Ghost aur The Nightmare ki hasi gunz utha.

The Ghost: Bilkul boss lekin hum Arjun, Rohan aur KAAL ko halke mein nahi le sakte hain jaisa ki maine aapko abhi tak information diya hai jo hume The Invisible se pata chala hai.

The Nightmare: Achha hai, achha hai, aaj tak mujhe bhi koi takkar ka yoddha nahi mila hai. Khel ka asli maza tab aata hai jab samne wala khiladi bhi apne takkar ka ho, jis khel mein kuchh khone ka darr* nahi ho uss game ko khelne mein mujhe maza nahi aata hai.

The Ghost: Abhi KAAL se sirf David hi fight kar sakta hai jiske paas 160 logo ki takat hai, Smith ke paas abhi sirf 40 logo ka strength hai jabki Mike ke paas sirf 80 logo ki strength hai.

The Ghost ne apni baat ko continue rakhte huye aage kaha.

“Arjun aur Rohan dono Daniels ki bullets ko escape kar chuke hain, dono ki strength kya hai hume kuchh nahi pata hai, hume sirf KAAL ke strength ke baare mein itna sa pata hai ki uske paas 100 logo se jyada ki strength hai jiske karan wah The Invincible ko fight mein hara saka tha, hume KAAL ki bhi real strength ka abhi tak koi gyan nahi hai.”

“Aur sabse badi baat KAAL ke paas jo sword thi usko Smith, Mike, David aur The Invisible charo(4) mil kar bhi utha nahi paye the jisko KAAL badi aasani se apni peeth par lekar chalta hai, sath hi hume ye bhi nahi bhulna chahiye ki usne sirf ek dagger se hamari electric field defence system ko tod diya tha.”

The Nightmare: Abhi inn sabke baare mein sochne ka waqt nahi hai. Abhi sirf Rohit, Rachit aur uski maa par dhyan do. Yaad rahe jis samay Rohit ki maut hogi uske theek thodi der baad Rachit aur Rachit ki maa ki maut honi chahiye. Jogendra ne The Invincible ko maar kar yuddh ki shuruaat kar diya hai jiska jawab hum usi ki bhasha mein usko denge.

The Ghost: Okay boss jaisa aap kaho, main The Invisible tak aapka ye sandesh pahucha dunga aur apne kaam ko kis tarah se anjaam dena hai wo bhi bata dunga.

The Nightmare: Good! Ab jao yahan se, mujhe apni research ko continue karne do. Mera ye research puri duniya ke liye ek Ajooba hoga jiske baare mein aaj tak kisi ne nahi socha hoga, isliye maine uska naya naam *The Ajooba* rakha hai.

The Ghost: Okay boss as you wish!

Iske aage dono ki koi baat nahi huyi. The Ghost kamre se bahar nikal gaya.

Dekhte hain mere *The Ajooba* se kaun fight kar sakta hai, The Nightmare ne apne mann mein kaha aur wah apne lab ki aur chala gaya, jahan uske sath har din duniya ke 100 best doctors pichhle 4 years se uske new research *The Ajooba* par kaam kar rahe hain aur 100 se bhi adhik doctors dusre alag alag project par kaam kar rahe hain.

***

Kamre ke bahar jaate hi The Ghost ne The Invisible ko call laga diya.


[[Phone Conversations]]

The Invisible: Hello The Ghost sir.

The Ghost: Hello.

The Invisible: Mere liye kya order hai sir???

The Ghost: Kya tum Zinc City pahuch gaye ho???

The Invisible: Yes sir abhi kuchh der pahle main Zinc City pahucha hoon.

The Ghost: Good! Ab main jaisa kahta hoon bilkul waisa hi karna hai tumhe???

The Invisible: Okay sir! Bataiye kya order hai mere liye???

The Ghost: Main jab tumhe call karunga tab mere order par tumhe Rachit aur uski maa ko jaan se maarna hai na* usse pahle aur na* hi uske baad.

The Invisible: Got it sir.

The Ghost: ……..

Aage The Ghost ne The Invisible ko plan ko kaise execute karna hai wo explain kar diya.

The Invisible: Okay sir! Bilkul waisa hi hoga jaisa ki aapne kaha hai.

The Ghost: Good.


[[Call Disconnected]]

_____

[Planet Plutonium]

Acharya aur Srinidhi aapas mein ek kamre mein baat kar rahe the.

Acharya: Mujhe Rohan ke liye bura lag raha hai Srinidhi beti, Rohan chah kar bhi Rohit ko bacha nahi payega, wah sirf dekhne ke alawa aur kuchh nahi kar payega. Kaise dekh payega Rohan wo manjar??? Mujhe darr* hai ki yadi Rohan ne apna dhairya kho diya toh uske krodh ke karan Smith ke sath sath wahan jitne bhi log upasthit honge sabhi maare jayenge.

Srinidhi: Bura toh mujhe bhi lag raha hai Acharya, lekin Rohit ne jo chuna hai uska wo balidaan usko amar kar dega jise chah kar bhi koi nahi bhul payega. Aur rahi baat Rohan ka toh usko bhi khud par control rakhna padega.

Acharya: Ek sath teen logo ki maut ka dukh kaise jhel payega Arjun??? Pata nahi wo KAAL ke sath kya karega, jab usko ye pata chalega ki usne Rachit aur uski maa ko kyun nahi bachaya????

Srinidhi: Arjun ko samajhna padega ki usne jo rasta chuna hai wo balidaan ka hai, yuddh mein sirf dushman ki bali nahi chadhti hai balki apno ki bhi jaan jaati hai tab jakar jeet aur nyay milta hai.

Srinidhi ne apni baat ko aage continue rakhte huye kaha.

“Phir hume ye bhi nahi bhulna chahiye ki uske samne jo shatru hai wo The Nightmare aur The Ghost hai jise Arjun, KAAL, Rohan, Priya aur Rashi ke alawa koi dusra nahi hara sakta hai. Dono akele hi dharti ki puri sena ko khatam karne ka samarthya rakhte hain.”

Acharya: Aapne bilkul sahi kaha queen of queens. Main kuchh der ke liye dhyan sadhna karna chahta hoon, main nahi dekhna chahta hoon apno ko marte huye.

Queen: Ji Acharya jaisi aapki wish! Mujhe toh ye peeda sahna hi hoga, har wo peeda jo Arjun ko hoti hai wo mere dil ko bhi utni hi peeda dekar jati hai.

Aage Acharya ne kuchh nahi kaha aur kamre se bahar nikal gaye apni dhyan shadna ke liye, jabki Srinidhi apne Arjun ke sath bitaye huye palon mein kho gayi.

_____


[Kajal Home
Time - 3:25 pm]


Rohan aur Rohit ke ghar se jaane ke baad Arjun aur baki sabhi ne bhojan kar liya tha.

Arjun: Mausi main kal ki birthday celebration ke liye Rashi, Krithi didi aur Nivetha didi ke sath shopping mall ja raha hoon. Aaj hi shopping kar leta hoon, kal college ke baad Kriti mam ke ghar par bahut saari taiyari karni hogi.


images-4

Rashmika: Okay! Koi baat nahi tum college chale jaana main sab kuchh handle kar lungi.

Arjun: Kya mom bhi aa rahi hai kal yahan par???

Rashmika: Nahi! Pearl City se koi nahi aa raha hai. Akhil jiju ne sabko ghar par rahne ke liye mana liya hai.

Arjun: Ye bahut achha kaam kiya hai chachu ne, kyunki mom mujhse jitna dur rahegi wahi achha hai hum sabke liye.

Rashmika: Okay! Ab tum jao jaldi se, sabhi tumhara wait kar rahe honge.

(Nods!)

Arjun ne aage kuchh nahi kaha sirf ha* mein apna sar hila kar bahar nikal gaya, iss baat se anjaan ki jis birthday ke liye wo shopping karne ja raha hai wo kabhi pura hone hi nahi wala hai.

Arjun: Sonu bhaiya aapko kuchh chahiye kya???

Sonu: Nahi Arjun main apne liye khud kharid lunga, tum sirf bhabhi ke liye ek sari kharid lena aur mujhe kuchh nahi chahiye. Akhil sir ne jaate samay mujhe kuchh paise diye the bachhon ki shopping ke liye.

Arjun: Okay jaisa aap kaho Sonu bhaiya.

Arjun ne Sonu ko ek smile diya aur apni car se college ki aur nikal gaya.

***


[[15 Minutes Later]]

Arjun ki car college ke bahar jakar ruki. Krithi aur Nivetha jo kab se college ke bahar Arjun ka wait kar rahi thi dono car mein baith gayi.

Krithi Arjun ke paas baith gayi jabki Nivetha pichhe ki seat par baith gayi, car nikal padi Rashi ke ghar ki aur.


images-1

Krithi: Kya hua bhai tumne bahut late kar diya aane mein??? Hum kab se yahan par tumhara wait kar rahe the.

Arjun: Oh sorry! Rohit bhaiya aur Sara ji ghar par aaye huye the, isliye thodi der ho gayi. Aur aapne shayad excitement mein dhyan nahi diya ye car meri nahi balki Rohit bhaiya ki hai.

Krithi: Oh! Shivangi bhabhi ka birthday ke liye aaye hain kya???

Arjun: Nahi Rohit bhaiya ko aaj Mumbai jaana tha, Rohan bhi unke sath chala gaya hai.

Krithi: Matlab wo dono party mein nahi rahenge????

Arjun: Nahi unhe kaphi late ho jayega wapas ghar aane mein.

Krithi: Koi baat nahi kaam bhi jaruri hota hai, birthday phir se agla saal aa jayega.

Arjun: Yeah! Unhone kaha hai ki koi bahut important kaam hai, isliye unko jaana pada. Wo wapas aakar hum sabko koi surprise dena chahte hain.


images-2

Nivetha: Arjun aage dekho kahan dhyan hai tumhara, Rashi ka ghar aa chuka hai???

Arjun ne jaise hi car roka Rashi aur Anushka dono taiyaar hokar bahar aa gayi.

Ek baar phir se car shopping mall ki aur badh gayi.


images-3

Anushka: Kya baat hai Arjun tumne aane mein badi der kar diya??

Krithi: Dekh lo bhai ye dono bhi pahle se hi taiyar thi.

Arjun: Ha* ha* dekh raha hoon, main hi late ho gaya hoon.

Krithi: Anushka bhabhi ghar par Rohit bhaiya aur Sara ji aaye huye the, Rohit bhaiya ke sath Rohan bhi Mumbai chala gaya hai. Rohit bhaiya ko vida karne mein bhai ko thoda time lag gaya.


images

Rashi: Oh! Isliye Arjun ko message kar Rashmika mausi ne Rohan ko apne sath lane ke liye kaha tha.

Arjun: Yup! Tumne bilkul sahi samajha Rashi.

Rashi: Dekh lo kahin Shivangi bhabhi naraz na ho jaye, ab apni wife ko tumhe hi manana padega.

Arjun: No worries! Shivangi ji khud samajhdaar hain, unko mujhe kuchh bolne ki jarurat nahi padne wali hai.

Rashi: Okay! Let's see.


[[15 Minutes Later]]

*Screech*

Arjun ki car ek bade se shopping mall ke paas pahunch gayi.

Krithi: Bhai Shivangi bhabhi ke liye kya lena hai kuchh socha hai tumne???

Arjun: Yadi mujhe hi sab sochna hai phir aap charo mere sath kyun aayi ho???

Nivetha: Koi baat nahi betu, hum sab milkar Shivangi bhabhi ke liye achha sa gift kharid lenge.

Rashi: Yup!

Anushka: Ab mall ke andar chale?

(Yup!)

Sabhi ne ha* mein apna sar hila diya aur mall ke andar chale gaye.

Nivetha: Anushka bhabhi main kya bolti hoon, sabse pahle jewellery shop mein chalte hain.

(Yup!)

Anushka ne apni right thumb dikha kar permission de diya aur sabhi jewellery shop ki aur badh gaye.

***


[[At The Jewellery Shop]]

Shop par 2 girls thi, dono hi bahut hi beautiful thi, shayad shop owner ne dono ki sundarta ko dekh kar hi appoint kiya tha jisse mard log dono ki aur attract hokar jaye aur jewellery kharide.

Par Arjun ki najar apne sath ki beauties par tha jo dono girls ko bilkul bhi achha nahi laga.

Dono girls ko aisa feel hua jaise samne wale ladke ne dono ki khubsurti ka apmaan kiya ho.

“Hello mister! Kya chahiye tumhe? Kya naam hai tumhara, dono mein se ek ladki ne kaha??”

Arjun jaise hi apna naam bolne wala tha ki Rashi ne Arjun ko bich mein hi rok diya.

Rashi ko pura mamla samajh aa gaya ki dono girls ke mind mein kya chal raha hai.

“Hello beauty queen! I am Rashi. Tumne hum charo se naam kyun nahi puchha jabki hum pahle bhi ek baar aa chuke hain iss shop par uss samay bhi tum dono hi thi shop par??”

“Oh main, oh main….”

Rashi: Oh main, oh main… kya?? Aage main batati hoon. Tum dono ko ye baat bilkul bhi achha nahi laga ki ye ladka tum dono ko nahi dekh raha hai, jabki sabhi mard jo yahan aate hain tum dono ki khubsurti ka apni aankhon se tarif karte hain. Ye ladka tumhe nahi dekh raha tha toh tum dono ko aisa laga jaise ye tum dono ki sundarta ka apmaan kar raha hai, kya maine sahi kaha beauty queen??

Dono shop girls ka sar sharam se niche jhuk gaya.

Rashi: Aap dono ka jhuka hua sar ye bata raha hai ki maine jo kaha hai wo sach hai.

“Sorry bahan mujhe apni sundarta par bada hi naaz tha.”

Rashi: It's okay! Ye baat hamesha yaad rakhna sabhi ladke ek jaise nahi hote hain. Ye ladka hum sabka bodyguard hai, iska naam hai Arjun. Ab chunki ye hum charo ka bodyguard hai isliye yadi isne hum charo(4) ke alawa kisi aur ko dekha toh main iski aankhein nikaal lungi, hahaha.

Arjun ke sath sath Krithi, Nivetha, Anushka aur dono ladkiyaan Rashi ko apni badi badi aankhon se dekhne lagi.

Rashi ko aisa laga jaise sab usko nazron se hi kha jayengi.

Rashi: Chill friends, I am just kidding. Ab Arjun kisi ladki ko dekhe usse mujhe kya??? Main kaun sa Arjun ki girlfriend hoon, mera boyfriend yahan aaya hi nahi hai. Mera boyfriend Arjun se kahin jyada handsome and tall hai.

[Kamini kahin ki Arjun ka lund le chuki hai aur yahan Rohan ki tarif kar rahi hai, Anushka ne apne mann mein kaha.]

[You bitch! Tum mere betu ki burai kar rahi ho, Nivetha ne apne mann mein kaha.]

Arjun aur Krithi dono ke chehre par ab bhi smile thi.

Rashi: Once again sorry friends. Jaisa ki aap sabko pata hai Arjun ko apni tarif ka shauk nahi hai aur na hi isko apni burai se koi fark padta hai. Ye mere aur Arjun ke bich ki baatein hain, isliye koi bhi mujhe apne mann mein gali na de, kyun Arjun???

[Ye baat Rashi ne Nivetha aur Anushka ki aur dekhte huye kaha, dono ko samajh aa gaya ki Rashi ko dono ke mann mein chal rahi baat samajh aa chuki hai.]

Arjun: Bilkul, my hottie girlfriend. You are the most beautiful girl on this earth.

Rashi: Chalo ab baatein samapt karo aur shopping karte hain.

“No worries! Aap sabki nok jhok hum dono ko pasand aaya, unme se ek girl ne kaha.”

“Aap sabko kya dekhna hai, unme se dusri girl ne kaha???”

Nivetha: Hum sabko apni bhabhi ki birthday ke liye koi achha sa earrings, bangles and necklace dikha do.

“Ye dekhiye ye sabhi latest designs ke hain. Aaj kal inka hi market mein demand hai.”

Nivetha, Rashi, Krithi aur Anushka sabhi ne apne apne pasand ke earrings, bangles and necklace pasand kar liya.

“Arjun sir! Inn sabki pasand alag alag hai, aap hi inme se koi ek select kar lijiye.”

Arjun: Koi baat nahi sabhi pack kar dijiye aur bill bana dijiye aur ha aap dono mujhe mere naam Arjun se bula sakti hain.

“Okay Arjun!”

Dono girls ne necklace, bangles and earrings ke char set ko pack kar diya aur jo Sara aur Shivangi dono ke liye tha.

Krithi: Bhai bhabhi ke liye bill main pay karungi.

Arjun: Okay! Mujhe pata hai mera mana karne ka koi fayda nahi hai, aap meri baat nahi sunne wali ho.

Rashi: Ha* ha* aap hi bill pay kar lo, aap hum sabki credit card jo ho.

“Ab sari aur baki cheez kharidne ke liye chalte hain, Krithi ne bill pay karne ke baad kaha.”


[[Cloth Section]]

Arjun ka pura group cloth shop ke andar tha.

((Whisper Talking))

Rashi: Shivangi bhabhi ki bra size kya hai???

Arjun: I don't know! Mujhe tumhara pata hai, smiles*.

Rashi: Kamine bhabhi ko kyun itne dino se tadpa rahe ho, wo bechari kab se tumhara pyar pane ke liye tadap rahi hai???

Arjun: Kriti mam ne Shivangi ji ki birthday par hum dono ko Ooty bhejne ka plan banaya tha, iske liye unhone train ki first class AC tickets bhi book kar liya tha magar ye The Ghost bich mein aa gaya, isliye ye plan cancel karna pada.

Rashi: Okay! Ye ladai samapt hone ke baad Shivangi bhabhi ko apna pyar de dena as soon as possible.

Arjun: Okay! Jaisi meri hottie girlfriend ki wish!

Rashi: Abhi main apne mann se *bra* select kar rahi hoon tum sirf colour batao, lekin agli baar sab kuchh khud kar lena.

Arjun: Okay! Abhi tum pink colour ka select kar lo.

Rashi: Kamina kahin ka tumhe sirf pink colour hi pasand aata hai kya???

Arjun: Ab meri hottie girlfriend ki pink pink hai toh mujhe pink colour hi pasand aayega na.

(Arjun ne smile karte huye kaha.)

Rashi: Blushes!

“Tum dono kya akele akele baat kar rahe ho, Anushka ne kaha??”

Arjun: Nothing!

Anushka: Theek hai phir tum bahar car mein wait karo, hum sab shopping karke aate hain.

Aage Arjun ne kuchh nahi kaha aur car mein jakar baith gaya.

65 minutes ke baad jab sabhi shopping kar wapas aaye toh Arjun car mein jhapki le raha tha.

______


Kajal Home
Time - 8:20 pm


Arjun jab shopping karke wapas ghar aaya toh raat ho chuki thi wo seedha apne kamre mein jakar so gaya, uski neend tab khuli jab usko bhojan karne ke liye uthaya gaya.

[Sara ko Rashmika ne Shivangi ke paas chhod diya tha.]

Arjun jab bhojan karke wapas apne kamre mein aaya toh time raat ka 10 baj raha tha.

Arjun aaj apne room mein akela so raha tha, wah baar baar ghadi par raat 12 bajne ka wait kar raha tha.

Aaj Arjun ko har ek second gujarna mushkil lag raha tha. Khair samay kisi ke liye nahi rukta hai aur Arjun ke liye bhi nahi ruka.

Arjun janta tha ki Shivangi ko bahut logo ka calls aur messages jaane wala hai, isliye usne apni wife ko ek message drop kar diya.


((Message))

[Main aapki birthday par aapse pahle bhi mil chuka hoon, main pahle bhi aapko birthday wish kar chuka hoon, tab kabhi ye nahi socha tha main aapko apni wife ke roop mein birthday wish karunga, HAPPY BIRTHDAY MY JAAN.]

“Udhar se Shivangi ka bhi reply aa gaya, THANK YOU MY DEAR HUBBY! Talk to you later, abhi sabhi ke messages ka reply karna hai.”

Aise hi Arjun ne Sara ke liye ek birthday wish likha aur sone ki koshish karne laga, kintu na jaane kyun aaj Arjun ko neend nahi aa rahi thi.

Arjun apne bistar par sirf idhar udhar karvat badal raha tha, kintu uske aankhon se neend gayab thi.

Arjun ne apni hath mein pahni huyi ghadi par time dekha toh pata chala raat ka 2 baj raha hai.

Arjun ne Rohit bhaiya ko ek message kiya ki dono surakshit Mumbai pahuche hain ki nahi.

Udhar se Rohit ka reply aa gaya ki wo dono jaldi hi hotel mein check in karne wale hain.

Arjun ko phir bhi neend nahi aaya toh usne apni super queen ko ek whatsapp message kar diya, udhar se Rashmika ka bhi instant reply aa gaya shayad usko bhi aaj neend nahi aa rahi thi.


[[WhatsApp Messages]]

Arjun: Are you awake???

Rashmika: Yeah!

Arjun: Mujhe neend nahi aa rahi hai.

Rashmika: Mujhe bhi neend nahi aa rahi hai.

Arjun: Mere kamre mein aa jaiye, mujhe aapki jarurat hai, shayad mujhe aapki bahon mein neend aa jaye.

Rashmika: Okay! I'll be there in the next 2 minutes.

Arjun: Okay! I am waiting.


[[WhatsApp Chat Ends]]

“Kya hua tumhe neend kyun nahi aa rahi hai, Rashmika ne Arjun ko apni bahon mein bharte huye kaha??”

Arjun: I don't know. Kuchh ajeeb sa darr* lag raha hai, aisa lag raha hai jaise kuchh bahut bura hone wala hai.

Rashmika: Kuchh nahi hoga jo sabke sath achha karta hai uske sath kuchh bura kaise ho sakta hai, ab tum so jao main tumhare paas hoon.

Arjun: Hmmm!

Par Arjun ko ab bhi neend nahi aa rahi thi, ye pahli baar ho raha tha jab usko apni mausi ki bahon mein bhi neend nahi aa raha tha.

Rashmika: What happened?? You are still awake.

Arjun: Pata nahi kyun mujhe aaj aapki bahon mein bhi neend nahi aa raha hai.

Rashmika: Mujhe bhi neend nahi aa rahi hai, lagta hai subah se birthday ki taiyari karni hai wahi soch soch kar neend nahi aa rahi hai. Kya main tumhe kuchh physically madad karun sone mein, like kissing or blowjob???

Arjun: No! I don't need this right now.

Rashmika: Okay!

Arjun ko jab bahut der tak phir bhi neend nahi aaya toh wah Rashmika ke sath bahar garden mein chala gaya running ke liye.

Arjun ne kisi tarah se time spend kiya aur subah apni queen Kajal ke sath college chala gaya, jabki Rashmika ke sath Shreya, Madhuri, Shruti aur Nadhiya sabhi Kriti ke ghar chale gaye birthday celebration ki taiyari karne ke liye.

College mein bhi usko chain nahi aa raha tha isliye wah baar baar apne paon se Rashi ki paon ko touch kar raha tha.

Rashi ko Arjun ke behaviour se pata chal gaya ki Arjun bechain hai, isliye usne Arjun se kuchh nahi kaha aur lecture ko attend karti rahi.

______


Zinc City
Rachit Home
Time - 9:30 AM


Kal raat jab Rachit apne ghar mein enter hua tha tabhi The Invisible uske sath ghar mein enter ho gaya tha, raat bhar uske hi ghar mein raha jiska pata dono maa aur bete ko bilkul bhi nahi hua.

Aaj subah ka samay 9:30 AM ho raha tha. Rachit apni duty par jaane ke liye nikal chuka tha, Rachit ke jaan ke baad The Invisible ne Rachit ki maa Ganga ki sari phad kar usko ek chair par baandh rakha tha aur uska half muh tape se band kar diya tha aur uss par apni gun taan kar uske samne ek chair par baitha tha.

The Invisible: Chal budhiya ab tum mujhe Arjun ka address aur apne bete ka number bata de, main tumhe zinda chhod dunga.

Ganga: Kabhi nahi main tumhe na Arjun ka address dungi aur na hi apne bete ka number dungi, chahe tum meri jaan le lo.

The Invisible: Achhi baat hai mujhe pahle se pata tha tumhara jawab, *smiles*.

*Beep*

Agle hi pal Rachit ke phone ke message ki ghanti baji jo The Invisible ne pahle se type karke rakha tha sirf send nahi kiya tha jo Ganga ka jawab milte hi usne send kar diya.


((Message))

[Apni maa ko zinda dekhna chahte ho toh apni maa ke room mein aa jao, agar koi hoshiyari karne ki koshish bhi kiya toh meri gun ki bullet sidha tumhari maa ki khopdi ke aar paar chali jayegi.]

Rachit jo abhi police station pahucha bhi nahi tha bich raste se hi wapas ghar laut aaya.

“Apni dono hath apne sar par pakad kar niche ghutno ke bal baith jao, jaise hi Rachit ghar wapas aaya uske kaan mein The Invisible ki ek khaufnak aawaz sunayi pada.”

“Rachit situation ko samajh kar apne ghutno ke bal baith gaya aur bola kaun ho tum??? Kya chahiye tumhe mujhse???”

The Invisible: I want nothing from you. Mujhe sirf Arjun ka pata de do, main tum dono maa bete ko zinda chhod dunga.

Ganga: Nahi Rachit beta aisa mat karna, mujhe iske irade theek nahi lag rahe hain.

*Bang* *bang*

“Sh! Sh! Sh! Chup budhiya maine tumse ye baat puchha hai, jab koi mujhe iss tarah se disturb karta hai toh mera mood kharab ho jata hai. The Invisible ne Rachit ke dono kaan ke bagal se 2 bullets fire kar diya jo sidha jakar kamre ki wall se takra kar apna dum tod gayi.”

The Invisible: Mujhe pata hai tum dono mujhe Arjun ka address nahi doge. Lekin tum dono ko ye baat pata nahi hai ki mujhe Arjun ki puri family ka address aur routine sab kuchh pata hai. Main sirf tum dono ki test kar raha tha jise tum dono ne pass kar liya hai.

Rachit: Yadi tumhe pata hai phir kyun hum dono ko yahan iss tarah se rakha hai??? Yadi tujhme dum hai toh jao aur Arjun ka samna karo.

*Bang*

Ek aur bullet chali jo sidha Rachit ke sar par uski cap ko hawa mein udati huyi chali gayi.

The Invisible: Yadi agli baar maa ne kuchh bola toh meri gun ki agli bullet bete ki khopdi ke paar jayegi aur yadi bete ne kuchh bola toh meri agli gun ki bullet maa ki khopdi ke paar chali jayegi. Ab tab tak chup baitho jab tak main kuchh nahi bolta hoon.

______


Mumbai
Hotel Room
Time - 9:00 AM ~


Rohan aur Rohit dono naha dhokar fresh ho chuke the.

Rohan: Rohit bhaiya hum yahan kyun aaye hain abhi tak aapne mujhe bataya nahi hai???

Rohit: Tumhe kuchh der mein khud pata chal jayega thoda sa aur wait karo, ab hum apni destination par ja rahe hain jiske liye hum yahan aaye hain ab main car drive karunga.

Rohan: Okay! Mujhe bhi thoda aaram mil jayega. Pura rasta maine lagatar 11 ghante tak car drive kiya hai, aapne pura rasta aaram se maja kiya hai.

Rohit: Koi baat nahi ghar jaate waqt bhi tumko hi car drive karna padega, hahaha 😂😂😂.

Rohan: Okay! Main car drive kar lunga. Main apne bhaiya ko aaram nahi dunga toh aur kisko dunga.

Rohit(Smiles): Phir chale apni manzil ki aur??

Rohan: Yup!

Rohan ne apni right thumb se permission ka sign de diya.


[[20 Minutes Later]]

Rohan aur Rohit dono underground fighting ring ki location par pahuch gaye.

Rohit ke pichhe pichhe Rohan bhi fighting ring mein enter ho gaya.

Rohan: Rohit bhaiya hum yahan kyun aaye hain???

Rohit: Kyunki aaj meri ek fight hai agle 30 minutes mein.

Rohan: What the hell??? Kisse aapka fight hai???

Rohit: Smith, the representative of The Ghost.

Rohan ne jaise hi ye naam suna uske dimag ne kuchh pal ke liye kaam karna band kar diya, kyunki Rohan ko KAAL se Smith ke baare mein information mil chuki thi.

Rohan: Aapki jagah main ye fight karunga bhaiya, maine aapko surakshit rakhne ka promise kiya hai Arjun se. Main aapko ye fight nahi karne de sakta hoon.

Rohit: Nahi Rohan ye meri fight hai ise mujhe hi ladna hoga, jis past ko maine varsho pahle chhod diya tha wo past aaj mujhe phir se wahi par le aayi hai. Log sach kahte hain, THE PAST ALWAYS FOLLOWS YOU!!

Rohan: Jo bhi hai main aapko ye fight nahi karne dunga, aapki suraksha ki responsibility Arjun ne mujhe diya hai.

Rohit ne Rohan ko Dhiru Bhai ka wo message dikha diya.

Rohit: Rohan usne mujhe fight ka challenge diya hai, isliye mujhe hi ye fight karna hoga.

Rohan: Nahi bhaiya aap nahi jaante ho ye ek trap hai, aap nahi jaante ho ki ek injection ki wajah se Smith ke paas 40 logo ka strength hai.

Rohit: Rohan kya tum ye sah paoge ki koi tumhare bhai ko *kayar* kahe jo ek fighter hokar fight ki challenge sun kar pichhe hat gaya??? Mujhe nahi pata hai ki uske paas 40 logo ka bal hai ya phir 1000 logo ka bal hai, mujhe sirf ye pata hai ki dushman ne samne se hume fight ki chunauti diya hai jise main taal nahi sakta hoon.

Rohan: Bhaiya please!!

Rohit: Tum sirf mere ek sawal ka jawab do, yadi kisi ne tumhe fight ke liye challenge kiya toh kya tum pichhe hat jaoge sirf isliye ki tumhare paas samne wale se kam physical strength hai ya phir uska mukabla karoge??? Ek fighter kabhi ye nahi dekhta hai ki samne wala opponent kitna powerful hai.

Rohan: Silence.

Rohit: Rohan mere bhai ye pahli baar nahi ho raha hai jab yuddh mein khud ka balidaan karna padta hai. Aaj samay shayad mujhe apna balidaan dene ke liye kah rahi hai, aaj samay mujhe tum sabke dil mein hamesha hamesha ke liye zinda rahne ka mauka de rahi hai aur main ye mauka chhodna nahi chahta hoon, kya tum mujhse ye khushi chhin lena chahte ho????

Rohan: Silence.

Rohit: Yadi maine ye fight nahi kiya toh main khud ki nazar mein gir jaunga aur jab koi fighter apni self respect haar jata hai toh samajh lo wo jinda rah kar bhi ek laash ke saman hai, kya tum mujhe ek laash ban kar zinda rahna dekhna chahte ho???

Rohan: Silence.

Rohit: Jab Nivetha ko ye baat pata challegi ki maine uske revenge ke liye challenge accept nahi kiya, tab main kaise Nivetha se nazar mila paunga ki main kaisa bhai hoon jo apni chhoti bahan ke revenge ke liye ek chhoti si challenge ke liye pichhe hat gaya?? Kya tab tum Nivetha ke samne mera jhuka hua sar dekh paoge???

Rohan: Silence.

Rohit: Dushman ko bhi ye baat pata chalne do ki tumhara bhai ek VEER yoddha hai jo dushman ki lalkaar sun kar kabhi pichhe nahi hat sakta hai. Kya tum mujhse ye gaurav chhin lena chahte ho???? Yadi Nivetha ke liye tumhe apni jaan dene ka mauka milega toh kya tum pichhe hat jaoge?? Aaj mujhe ye avsar mila hai mujhse ye avsar mat chhino.

Rohan: Silence.

Rohit: Rohan koi kisi ki suraksha nahi kar sakta hai, yadi aaj meri maut Smith ke hathon likha hai toh wo hokar rahega aur yadi mera jeevit rahna likha hai toh mujhe Smith kya khud Yamraaj bhi nahi maar sakta hai.

Rohan: Silence.

Rohit: Yadi aaj meri maut ho jati hai toh mujhse bada saubhagya kisi ka nahi hoga. Mujhe khushi hogi ki maine apni bahan ke liye apna balidaan diya hai. Main Arjun ke liye isse bada aur koi kaam nahi kar sakta hoon, mujhe Arjun ki nazar mein ek HERO banne ka mauka do, kya tum mujhse ye gaurav chhin lena chahte ho???

Rohan: Silence.

Rohit: Aaj mujhe ek bhai aur ek dost hone ka farz ada karna hai, kya tum mujhse ye gaurav chhin lena chahte ho??? Yadi aaj main mar gaya toh tum sabko mujh par garv hoga, sath hi Dhiru Bhai ko bhi mujh par garv hoga ki maine unki family ke liye ye fight kiya hai.

Rohan: Silence.

Rohit: Yadi maine hamesha apni wife se schha pyar kiya hai, yadi maine hamesha apne dost hone ka farz ada kiya hai aur yadi maine hamesha tum dono ke bada bhai hone ka farz ada kiya hai toh tum dono ko mera ashirwad hai, tum dono bhai ko fight mein koi bhi hara nahi payega.

*Tap*
*Tap*
*Tap*

Rohan aur Dhiru Bhai jo kab se Rohit ki baatein sun rahe the, dono ki aankh se aansu chhalak padi.

Dono ko Rohit par garv ho raha tha ki kisi ka itna bada dil kaise ho sakta hai, jo apno ke liye apni jeevan ka balidan itni aasani se has* kar karna chahta hai, jiske dil mein maut ka thoda sa bhi darr* nahi hai.

Rohan: Bhaiya.

Rohit: Sh! Sh! Sh! Jab tak main zinda hoon main tumhari aankhon mein ye aansu nahi dekhna chahta hoon. Mujhe promise karo ki jab tak fight mein meri saans chalegi, tab tak tumhari aankhon mein aansu ki ek boond bhi nahi aayegi.

Rohan: Nods!

Rohit ne Rohan ko apne gale se laga liya.

Rohit: Dhiru Bhai ab tak Smith kyun nahi aaya hai aur aaj koi audience kyun nahi aaya hai???

“Main yahi par hoon, main kab se tum dono bhai ki family drama dekh raha tha, Smith ne ARENA ke andar aate huye kaha, jiske sath ek aur aadmi tha, DAVID.”

Dhire dhire audience bhi aa gayi aur apni apni seat par jakar baith gayi, 10 minutes ke andar pura seat full ho gaya.



***
______________________________________________________________________________________


That's all for this episode, the update comprises 5.5k words. I hope that you guys will enjoy the update. Iss update mein maine shopping ko bahut details mein isliye likha hai, kyunki iske baad jaisa ki aap sabko pata hi kya hone wala hai. Ye story ke liye bilkul bhi achhi baat nahi hai jitna jaldi main update deta hoon utna hi aap log ka response kam aata hai. Ye ek kadwa sach hai iss forum ka, jis writer ne bhi samay par ya usse pahle update diya hai uski story par kam like aur reply milta hai.
 
Last edited:

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
6,002
18,095
174
Besabari se intezaar kar rahe hai next update ka dhalchandarun bhai....
Update 162 has been posted friends!!!
I am felling bad for rachit and rohit par rohit ka maa ka kya kassor par story ki demand hai to kya kar sakte hai par aisa karne se the ghost apni mout ko jaldi nahi bula raha kyu ki arjun jab tak sahnt hai to satranj ka hati hai or rohit or rachit vo pyade jo use shant rakhte hai par jab satranj ki chal me hathi ke samne wale payde marte hai to hathi bahut tabahi machata hai

Nice update....

nice update

Bahut hi badhiya update diya hai dhalchandarun bhai....
Nice and beautiful update....

Nice update....

Bahut hi badhiya update

Bahut hi shandar update

Superb :superb: :applause::applause: Bhaut Hee Shandar Aur Jabardast Update Diyaa Hee 🔥 🫀 🫦 💗:love3::love2::perfect::balle::ecs::wave:
Keep It Up 👍👌🖐️🤟🙋‍♂️

Shaandar Update 👌

Nice and superb update....

 
Top