• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

Hayaan-Insaan Ya shaitan Story kaisi hai..?


  • Total voters
    177

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Abb..takk..
Hamari Van Maana Ganv ke liye nikal gayi dhire - dhire aaram se....
Security Guard se bhari huyi Ek gaadi Van ke aage aur ek gaadi Van ke piche chal rahi thi....


Update No. 26
Abb..Aage..

""पर्दे में रहने दो ....पर्दा न हटाओ,
पर्दा जो उठ गया...तो भेद खुल जायेगा..!!""


Van Mein Gaana Baj raha tha...

Kareeb 2.5 hrs ke baad Hamari Gadiya Maana Ganv Pahunch gayi...

Jub hum Vyas Gufa mein Pahunche to Hamare Rahne ke liye
Pahle se saara intezam ho rakha tha,

Sadanan ji ne Hume hamare Rahne ke sthan bataya....

Sadanan ji - Kabeer in aadmiyon ko kaho ki dhoti aur kurta pahan kar Rakhavali kare,
Apna bhesh badalkar Jisse ki kisi ko bhi shaq na ho Aur inse apne Hathiyaron ko Gadi mein chhipakar rakhne ko kaho....

Mai - Jaisa aap kahe Rishivar ...

Saare Guards apna bhesh badalkar kutiya ki Raksha karne lage....

Kal MahashivaRatri thi...Kintu Abhi tak Guru Maharaj ke darshan nahi huye the...

Raat ke 8 baje ke Samay Meera ko fir Dard utha maine Sadanan ji ko bulaya...

Unhone Meera ke upar Gangajal chhidka aur Kuchh matra Padhe....jisse aaram mila...

""RishiVar Kya meri Bhent GuruMaharj se ho sakti hai...mujhe bahut jaruri baat karni hai.."

Dhairya Rakho Kabeer !!
Jub uchit Samay aayega Guruvar Khud tumhare Samaksh Prastut honge aur tumhe sari chintaon ka hal bhi denge...

Ab mujhse Meera ka Yah Haal bardasht ke bahar ho raha tha...

Na jane kaise Sah rahi thi Roj Roj ye dard
Aaj to Meera Ka pet bhi Roj ki apeksha jyada bahar ko nikla hua pratit ho Raha tha....

Na jane kaun sa infection ho gaya tha...
Doctor ko dikhate to sayad kuchh samajh bhi aata
Parantu MahaGuru ki Vachno ke karan mai khud ko roke huye hu....

Mai meera ke Baju mai baitha Meera ka dard baant ne laga,

Meri Jub bhi nanhi Gudiya ke Chehre pe Najar padti sare dukh dard door ho jate the....

Aise hi waqt gujarta ja raha tha Paas baithe huye....

Ratri 11.30 baje
GuruMaharaj kutiya mein Padhare...
Maine unhe Pranam kiya aur gidgidane laga Meera ke dard nivaran ke liye...

AadiGuru - Sanyam rakho putr Sab achha hi hoga...

Fir MahaGuru Meera ke Bed ke chakkar lagate huye Mantra Jaap karne lage...
Aur Hathon me liye Lal rang ke powder se Bed ke Charo Oor ek Ghera bana diya...
Mai chupchap khada sab dekhne laga

AadiGuru - Putra Kabeer iss kanya ko apni Goad mein lo, aur Meera ke Paas baith jao...
Maaji ki taraf ishara karte huye..
Tum bahar Jakar pratiksha karo...
Jub tak meri Anumati na ho koi bhi Andar ya bahar mat Jana...

AadiGuru ne ekbaar Meera ke sar par hath fera Fir mujhe Gudiya ke sath Meera ki Dahini taraf baitha diya...

Khud Meera ke Kareeb Ek table mein baithkar mantron ka ucharan karne lage....

Yeh sab lagbhag 15 min chala aur GuruMaharaj uthe aur bahar ki taraf ishara kiya....

Bahar se 1 Rishi Kanya aayi jo Meera ke Delivery ke dauran thi...
Guru ji ne unhe kuchh samajhaya....

Aur fir Dhyan mein baithkar Mantron ko Jorr se padhne lage....

Bahar se bhi Mantro aur Keertan ki Dhvani goonjne lagi....

Rishi kanya - Gudiya ka Dahina hath Meera ke pet mein rakho....

Maine Gudiya ka Dahina Meera ke pet par rakha..

Tabhi Meera ko Tej dard utha wo jorr Jorr se chillane lagi....
Hathon ko patakne lagi...Aankhein dard se bahar ko aane lagi...aansu lagatar bahne lage..

Mai to fati aankhon se Meera ke iss dard bhare Roop ko dekh raha tha....na jane kitna asahniya Dard sah rahi thi iss wakt Meera...

Mantron ki Goonj aur Meera ke Dard ki Dardnak cheekh aur tez ho gayi....

Tabhi AadiGuru uthe Aur Meera ke pet Par hath rakhkar mantra padha aur punah apni Jagah mein dusri Taraf Muh karke Baith gaye....

"Gudiya ko Meera ke dahini taraf Litakar shighr hi bahar jao aur intezar karo....." Rishi kanya jorr se kaha..

Mai bahar aa gaya...
Bahar bhi kuchh ajeeb rangat thi..
khushnuma Mahaul...
Aur Sath meri pareshaniyan..

Bahar kutiya ke bahar Lagabhag 7 Rishi kanya aur 15 Rishivar iss waqt baithe Mantra padh rahe the unchi awaaz mein tabhi.....

Achanak se mere Seene Mein Dard uthne laga...
Saans lene mein Takleef hone lagi...

Chandni Raat Amavasya ki Khauf Naak Kaali Raat ka roop le liye,
Hawa bhi Ruk gayi...
Ye sirf mera hi Haal nahi tha...
Maaji bhi Apne seene ko Pakde tez tez Sans lene ki Koshish kar rahi thi....
Bahar baithe Rishi bhi khud ko sambhalte huye Mantron ka Ucharan kar rahe the...

Saare guards wahi par Chhati pakde baithe huye the..

Har taraf Sannata Pasar gaya...
Agar kuchh sunayi de raha tha to Sirf Meera ki Cheekh aur Mantro ki dhvani...

Thik 12 baje achanak Tezz Hawa aur Bijli chamakne lagi....Mausam ne achanak Apna Raudra roop le liya....
Tabhi tezz bijli chamki aur udhar Meera ki bahut dardnak Cheekh sunayi padi...

Achanak se Mujhe, Maaji aur Guards ko Tez Jhatka laga Hum Sabhi Kutiya se door ja gire...
Aisa laga kisi Saaye ne hume uthaa kar door fenk diya aur Khud Kutiya ki taraf gaya..

Fir Achanak Har Taraf shvet Prakash Fail gaya...Jo Kutiya ke bheetar se aata Prateet ho raha tha...
Achanak Wo Prakash band ho gaya...
Har taraf Ghupp kala andhera...

Uss shvet Prakash ke failne se waha par kisi ki dard bhari Cheekh gunji aur aur achanak Aag mein Jalta hua koi Aasman ki taraf udd gaya...

Fir Mujhe andar se Gudiya ke Rone ki awaaz sunayi di.....

Main Turant uthkar Kutiya ki taraf bhaga...
kintu andar na Ja paya...
Ab Sab kuchh thik ho chuka tha Maaji bhi thik thi aur Guards bhi...
Sab Iss vichitra ghatna se Parshan to the lekin Sab chup the...
Sawaal to hajar the kintu Jawab ek bhi nahi..

Kareeb 30 min baad Rishi kanya bahar aayi
aur Mujhe bas andar jaane ko kaha
Maaji ko bahar hi Rukne ko bola...

Mai Turant andar gaya Meera ke Paas....
Jub Meera ke Kareeb Pahuncha to Darr ke Mare Meri Cheekh nikal gayi.....


Shaitan Lok

Wahin Dusri taraf Shaitaan Lok mein....
Kassdeya Dhyaan mein bitha tha...
Ki achanak uski aakhein khul gayi..
Uski Aakhein Khushi se Chamak rahi thi...
Aur Chehre pe Ek Vijayi mushkan dikh rahi thi....

""Hahahah haha Waqt aa gaya hai...
jiski mujhe na Jane Kab se Pratiksha thi..."", Kassdeya bola.

Demon 1 - Kya hua Maalik ?
aaj kitne dino ke Baad aapke chehre pe Hansi..??

Kassdeya - Kya karu baat hi itni khushi ki hai..
Jao Sare Shaitan Lok ko khabar kar do ki Aaj bahut khushi ka din hai...
Jashn ki taiyari karo...
Bahut Jald Sab kuchh badalne wala hai...??

""Bumalin !!""Kassdeya Jor se Chillaya...

Bumalin turant Kassdeya ke Samaksh prastut ho gaya...

""Kya Khabar Laye ho waha se.."" Kassdeya bola,

Bumalin - Malik Mujhe Waha bahut hi badi Kaali Shakti ka Shrot Mahsoos hua,
Kintu Jub main Waha uss Shakti ke pichhe pahuncha to Waha ka Najara hi badal gaya...

Jahan Pahle mujhe Black Power ki Strong Energy Mahsoos ho rahi thi..

Ki achanak Mere Kareeb Pahunchte hi Wo Black Energy White Energy mein Badal gayi...
Main uss shakti tak nahi pahunch paya
Aur Mujhe uss shkti se door bhagna pada...
Warna mai Jalkar Khakh ho jata...

Kassdeya - Ohh to ye baat hai...
Akhir kab tak ke liye..??

Aur Kassdeya jor jorr se hansne laga...

Kassdeya - Bumalin Ek Kaam karo..??

Bumalin - Huqm kijiye maalik,
mere liye kya karya hai. ??

Kassdeya - Jo kuchh bhi maine samjhaya tha,,
Uska Waqt aa gaya hai..

Ab se tum Apne kaam lag jao..
Bilkul Savdhani se...
Bina kisi ke Najar mein Aaye...


Kassdeya - Jashn ki Shuruaat karo...


Pari Lok Mein...
Rishidhar kuchh to Bura ho raha hai...??
Kintu Ye Achhe Sanket kaha se aa rahe hain...??


Aaj Ke liye Bas itna hi...

""Jo Apna WaadenPoore karne ka Rakhe Dhyaan......Wo mai hu !! Aapka Dost Hayaan..!!""

Ame Yaar Ek Like to to banta hai na...

 

janu2016

Well-Known Member
2,827
4,341
159
Inti achi kahani ke lekhak ko support to hamesha he rahega bhai...
Keep writting... :hug:
 
  • Like
Reactions: Hayaan

janu2016

Well-Known Member
2,827
4,341
159
Update 25
:superb:

Meera ko kya pareshani ho gayi ab :hmm2:

May be ab waqt aa gaya h asli khel ke asli kirdaar ke samne aane ka :applause:

:reading: next...
 
  • Like
Reactions: Hayaan

Rahul

Kingkong
60,556
70,669
354
:reading:
 
Top