• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

Hayaan-Insaan Ya shaitan Story kaisi hai..?


  • Total voters
    177

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Ab..takk..
Geryon Kadeya aur Bella se Milkar,
Antardhyan ho gaya,
Aur Gayab hokar Ek Ghane Jangal mein Prakat hua.....


Update No. 19 (End of Geryon - I )

Abb..Aage....


Jungal Bahut ghana tha, ghane hone ke karan Surya ki Roshni bhi andar nahi pahunch paa rahi thi,
Har taraf se maut ki boo aa rahi thi..
aisa lag raha tha jaise koi khaufnak saya iss jungal ko jakde huye hai...



Har-taraf Unche -Unche Vishaal Kaante Daar Jahrile Pedh lage huye the,
Agar Jara bhi Dhyan vichlit ho to jism ko cheer de,
Bada hi Ajeeb Jangal tha Dusre Jungle se bilkul Alag,
Na janwar Najar aa rahe the Na pakshi,
Jeev-Jantu ka Naam-o-Nishan nahi tha..

Aisa Najara dekhkar Geryon sonch mein pad gaya,
Geryon sonchte huye....
""Dhyan mein to Yehi jagah dikhi thi Kintu mujhe jaha jana hai Nazar nahi aa raha,

Fir se dhyan mein Baithkar Uss jagah pahunchne ka Rasta khojne laga,

Geryon khade hokar Ek baar Kuchh manta padhkar Saamne ki oor foonk diya,


Samne ke Sabhi pedh Dayen - Bayen Ho gaye aur Beech mein Ek Rasta nikal aaya Jiske beech mein se bahut tezz prakash nikalkar failne laga..

Geryon usi Raste ki taraf Chal.pada,

Saamne ek Kaali gufa Najar Jiske muhane par Patthar Rakha hua tha,
Geryon ne use ghoor kar dekha,
aur apni search light ko uss gufa par bhej diya,
Search light punah wapas aa gayi, kuchh bhi na mila,
Geryon ko bada ho Ascharya hua,
Kyuki Dhyan mein to use ek pratibimb najar aaya tha,



Geryon uss patthar ko hatane ke liye Spell bolne laga..
kintu wo patthar Tass se mass na ho raha tha,
Geryon ko gussa bhi aane laga tha, itne powerful hone ke baad bhi Ek Patthar ko nahi hata pa raha tha,
Jub Geryon se aur bardasht na hua to Usne Uss patthar ko Todne ke liye Apni Shakti se Akraman karne sonchi,

Jaise Geryon ne uss patthar par fire blast se Attack kiya,

Geryon ka fire Attack punah wapas aakar Geryon ko hi laga,
Geryon Pedhon ko cheerte huye door ja gira, Halki fulki chontein aayin lekin Kuchh hi der mein fir bhar gayi,

"" Koi Jorr se hansa hahha haha Geryon ke girne par,""

Geryon idhar udhar dekhne laga kintu koi na najar aaya,

Geryon jorr se chillaya Himmat hai to Saamne aao, mukabla karo"
Per koi Awaz na aayi,

Geryon Badi hi vichitra paristhiti mein fans gaya tha,
Use samajh nahi aa raha tha kya kare..??

Geryon ne ek baar fir lighting Volt energy se prahar kiya Gufa par,

Anjaam vahi raha, Fir door ja gira,
Fir kise ke Hansne ki awaz aayi..

Geryon Gufa ke paas gaya aur patthar ke saamne baithke dhyaan mein leen ho gaya aur andar jaane ka rasta talaash karne laga,
Sivay Pratibimb ke kuchh na dikha,



Geryon krodh se uth baitha,
aur Gufa ke saamne khade hokar jorr se chillaya,
""mujhe andar aane ka Rasta do, warna mai iss jagah ko hamesa-hamesa ke liye kaid kar dunga"",

Kintu koi awaz na aayi,

Geryon ne Ek powerful mantra padha aur uss gufa ki oor hath kar diya,

"Tabhi Gufa se kisi ke Jorr jorr chillane ki awaz aayi, mujhe chhod do, mujhe chhod do, mujhe kaid mat karo""

""Chhod dunga pahle saamne aao"" Geryon bola,

Lekin fir se shanti Chha gayi,

Geryon samajh gaya jo kuchh bhi hai kuchh na kuchh to khaas hai,
jise mai prapt nahi kar pa raha,

Lekin ab mai kisi aur ko bhi Nahi Hasil karne dunga,

itna bolkar geryon Ne uss Gufa par apna Suraksha Kawach laga diya Jisse ki wo gufa hamesa ke liye Band rahe, Jub tak Geryon na chahe,

Jabtak Geryon Gufa par Shakti kawach lagata raha Tabtak kisi ke Dard mein tadapne ki Chheekhe aati rahi,

Suraksha kawach lagane ke baad, Geryon fir se Gayab ho gaya,

Aur pahuncha bramhand par Aur apne dhyan mein dekhe gaye Raste ki oor badhta chala gaya,

""Ohh teri ab ye kya chiz hai be pahle to kabhi nahi dekha"" Geryon bola,

Geryon uske andar pravesh kar gaya,

Andar Jub pahuncha to saamne dekhkar Geryon ke dimag ki Maa-Bahen dono ek sath ho gayi..,

Ye kaise ho sakta hai agar ye Yahan hai to fir Uss Gufa par kaun tha...??

Geryon uss jagah se Turant bhaga aur bhagkar Seedha Pari Lok ke bahar pahuncha..,

Geryon - Chillaya Pari Lok ke Bahar khade hokar....
""Elizabeth Bhale hi aaj Main tumhe Khoj pane mein Asmarth hu..Lekin
Mai wapas aaunga....
abse Tumhare Lok ko bhi apne sath Kaid kar dunga..
Koi na Andar ja sakega na bahar....

Geryon Apni Aadhi Shakti ko do bhagon mein Baant kar Pari Lok aur Jin Lok ke Surakcha Kavach ke upar Apna bhi Kavach laga diya,

Geryon thoda dara hua laga raha tha,
Aur wahan se Gayab hokar Seedha Shaitan Lok pahuncha,

Kassdeya - Kya hua bhai, Itne ghabraye huye ho..??


Geryon - Mere sath ekbar fir Shadyantra Racha gaya hai,

Hua kya hai Geryon Saaf saaf samjhao...

Short Flashback

Hua ye tha Ki Jub Geryon Gufa ke baher Dhyan mein baitha tha Gufa ki Shakti ko samajhne ke liye to Use uss ...

1.. Gufa ke andar ek Pratibimb dikhayi Diya,
Jiski Madad se aane wale Kal ko Dekha aur Badla ja Sakta tha...

Kintu Gufa mein pravesh Nahi kar paya...Aur Gufa ki shkti ko Apne kawach se kaid kar diya,

2... Geryon jub Bramhand pahuncha,
Dusri Shakti ko pane Jo dhyan mein dikhi thi,


To Saamne use Bansuri numa (Flute)...Ek lambi si Jagah dikhayi di Jisme bheetar Jaane ke Kayi Raste the,

Pahle Hole se Geryon ne pravesh kiya Kintu Khali hath wapas aa gay,

Aise hi karke dusre mein bhi Gaya,

Jub teesre hole se ghusa to Use Saamne Ek pratibimb dikha,



Jise dekhkar Geryon Ka sar hi chakra gaya,
Geryon to Yaha Jaduyi Talwar Hasil karne aaya tha,

Kintu yaha Gufa mein Dikhayi dene wala Pratibimb dikha....

Talwar kaha gayi....??
Talwar ke bina mai to Bhavisya nahi badal sakta,

Tabhi Pratibimb se awaz aayi,,,

Hahahha murkh ho tum,
tumne sonch bhi kaise Liya ki...
Jo shaktiya ab tak koi na Pa saka Wo tum kaise Hasil kar sakte ho...??

Wo Shaktiya Apne Maalik ke Intezaar mein hai,,

Tumne Uss Gufa mein Talwar ko hi kaid kar diya,. Kintu Uske Malik ke aa jane par Sara Maya Jaal khud hat jayega,,

""Isi Talwar se Hoga Tumhara Ant Ya fir uske Malik ka Ant.. Gerryonnn.. tumne use hasil na karke Apna Mauka Gava diya..!!""

Ab suno tumhara bhavisya...

Flute Hole se gujarne par Jindagi ka ek din Khatm ho jata hai,
Aur tumne Teen baar Prayas kiya,

Jiske karan tum teen din kho baithe ho,,,,,,

Ab Jaldi Jao khud ko Kaid karo, warna Surya ki Roshni padte hi tum Jal jaoge aur Tumhari aatma bhi Nasht ho jayegi,,,

Apna aisa bhavisya sunkar Geryon ko krodh to bahut aaya lekin,
samay kam hone ke karan Wo bache huye Kaam ko Anzaam dene Jaldi se bhaga.....
....Flashback..End.....

Bahut Bada Shadyantra Racha hai Na mere khilaaf,

Iska Badla lene mai Jaroor wapas aaunga Ye mera waada hai,
Ek Devil Promise,,,..!!


Ab mere Paas wakt nahi hai
°Kassdeya"" mere bhai Apne Kartavya ko Nibhana,,

""Ye Lo Iss pratibimb ko Sambhalkar Rakhna Bahut Kaam aayega,
Wo aayega isse lene de dena chupchap Sir jhukakar,.."

Baaki Sab Samaya aane par Pata chal jayega...


Ek Jaruri Baat, Dhyan Rakhna Kassdeya Tumhein Yah Pratibimb Sanket dega...

Wo uss Gufa par Jaroor Aayega.....Uske Gufa pahunchte hi mera Kavach toot jayega...aur tumhein Iss Pratibimb ke jariye Pata chalega.....

""Tab tumhein mera Diya Hua kaam karna hai....??

""Tab hogi mere Badle ki Shuruaat.....??""

Ab mai Chalta hu, Patal lok,

Geryon Pataal Lok pahuncha Jaha Tamulu uska intezar kar raha tha,

Geryon ne Tamulu ko thik se samjha diya kaise yaha ki Suraksha Karni hai,

Aur Khud Anant Gahrayi ki Mein Kood gaya,


Aur Apni Total Energy ko Free kar diya,
Energy Free hote hi Wo Khaayi bhi Gayab ho gayi,

Uss khayi ke Upar Ek Chhota sa Mayavi Pedh Utpann ho gaya,
Jiske Charon taraf Apne aap Paani bharne laga,



Dhire-Dhire paani Visaal nadi ka roop le liya,

Beech mein Pedh Charo Taraf Saaf-Suthra Paani......



Some Imp. ques. for Reader...??
1.Geryon ne kaun sa Shadyantra racha hai..??

2.Kassdeya Prtibimb ke jariye kya karega..??

3.Kaun Hasil karega Sword of B & W Light..??

3.Nadi ka Paani saaf - suthra kyun hai..??

5. Elizabeth Pari Lok mein nahi to kaha hai..??
6. Kya Eblis wapas lautega..??
7. Kassdeya Prithvi Lok kyun Nahi Ja sakta..??

Saare Sawalon ke sahi Jawab Janne ke liye Padhte rahiye....

Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

 

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
  • Like
Reactions: AdityaA and Rahul

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Last edited:

Rahul

Kingkong
60,556
70,670
354
awesome update bhaiya ji update me bahut mehnat ki hai aapne dikh raha hai awesome
 
  • Like
Reactions: Hayaan
Top