• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

Hayaan-Insaan Ya shaitan Story kaisi hai..?


  • Total voters
    177

Last benchers

Well-Known Member
3,069
6,808
158
Update- 2

Karodo Saal Pahle Bramhand nahi tha, Sirf Andhkar tha.
Achanak Ek bindu ki Utpatti huyi,
fir uske andar Bhayanak Parivartan hone lage aur is bindu ke andar hua Ek Bhayankar Visfot Jisse Bramhand ka Nirman hua.

Is bramhand ke andar Mukhytah do prakar ki Shakti ka Jam hua...

1. Sakaratmak Shakti Jise Hum Ishwariy Shakti Or Divya Shakti kahte hai.

2. Nakaratmak Shakti Jise Hum Shaitani Shakti ke naam se Jante hai.
Dono ka Apni-Apni Jagah par alag Mahatv hai,
Yehi don Shaktiyan Aatma aur Duratma ke roop mein Alag-alag Jagah par waas karti hai.
Jo kuchh bhi astitva mein hai un sab mein Ishwar Vidyaman hai..
Ishwar kisi par nirbhar nahi wo Sarvashaktiman hai.

Nakaratmak Shakti ko manne wale ko Shaitan kahte hai.
Jise Hum iss kahani mein Eblis ke naam se Pukarenge.

Waise Shaitan bhi Pahle Ishwar ko manne wale tha,
Shaitan Banne se Pahle Eblis Ishwar ka priya Angel tha,
Ishwar ne Eblis ko Sabse jyada power di thi Kyuki wo Ishwar ko Sabse jyada manta tha Hamesa ishwar ki bhakti me leen Rahta tha,
Jisse khush Hokar Ishwar Lord of Angel bana diya,
Eblis Sabse Taqatwar Aseem Shaktiyon ka Malik aur Bahut chalak aur Shant swabhav ka tha,
Jiske karan use Sabhi Prakar Adhikar prapt the,

Ishwar ne Dharti lok ka nirman kiya waha Rahne ke Jeev-Jantu aur Prani ka nirman kiya,

Jub dharti par manusya paida huye to Unhe Eblis se bhi Jyada uncha Darja diya gaya,

Insano ko itni Jyada uncha darza Eblis ko Pasand nahi aaya,

Jiske karan Eblis ne Ishwar ke kiye gaye Faisle par Bagavat kar di,
Jiska parinam ye hua ki Ishwar ne Eblis ko Swarg se nikal diya,

Swarg se nikale jaane ke baad Eblis ko bahut gussa aaya,
kintu wah shant raha,

Dridh nishchay kiya ki Jiss Insano ke liye mujhe ishwar ne khud se alag kar diya hai,
wo unko barbad kar dega,

Ishwar ne jis bhi Uddesya se Insaan ka nirman kiya wo unhe Uss Karm se bhatakayega,

Swarg se nikale jaane ke Baad Eblis ne khud ki Ek duniya banayi,

Aur apni shakti ke dam Vishaal Danav sena ka nirman kiya Jinka sirf Ek hi uddesya tha, Insaan ke Dil me lalach, Hawas, Krodh, Beimani, Burayi Paida karna,

Lord of angel se badalkar Ab wo Devil angel ban gaya,
Ab ishwar chah kar bhi use khud nasht nahi kar sakte the Kyuki ab Eblis Khud ishwar ki Aadhi Shakti ka Malik ban gaya tha,



Aur aaj bhi shaitan insano ko ishvar se door karne ki koshish karta rahta hai aur apni dushmani nibhata hai,

Taaki uske saath-saath hum bhi Narak men jaaye. 'shaitan insano ka khula dushman ban gaya'.
Shaitan ke pass itni beshumar Kaali- Shaitani taakat hai ki wo insano ke dil-dimaag mein bure-bure khayal daalta hai. Bure kaamo ke liye dil ko tayyar karta hai.

Acche kaam karne se insan ko rokta hai. Insan ke blood saath behta hai.


Eblis khud ko Sahi Sabit karne ke liye Chalen chalne laga,
Har taraf andhkar hi andhkar faila rakha tha,
Pure brmhand me Kewal apna Varchasva Sabit karne mein lag gaya,

Jub Eblis ka man insano ko satane na bhara to vo aur duniya me bhi apna samrajya ka vistar karne laga...


Dhire-dhire Shaitan( Eblis ) ki Power aur badhti gayi aur usne Pishach lok par Hamla bol diya

Jo ki sabse kam takatvar the aur Pisach lok ko apne shaitani taqat se apne bas me kar liya sari shaitani sena ne pisach sena ko apna gulam bana liya aur striyon ko apni hawas ka shikar banakar Shaitani sena ka bistar karne.

Eblis ka ka kahar din pratidin badhta ja raha tha jispar koi lagam nahi tha......
Congratulations for new story ..
Apk story starting Attitude story ka jaisa hai ..us story Mai v yahi hua tha. But V.J Bhai ke likhne or sochne ki skill us story ko char Chand lg gye..
Anyway Bhai aage padh KR review deta hu
 
  • Like
Reactions: RAAZ and Hayaan

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Abb..takk...
Meera aur Rachna ne Kabeer ko samjhane ki bahut kosis ki, ki iss tarah achanak ghar chhodna thik nahi....
Lekin kabeer apne faisle par Adig raha...
Mazburan dono ko Kabeer ki baat manni padi...


Update No..14

Abb...Aage....
Dopahar ho chuki thi
Kabeer kisi bhi waqt aane wala tha,

Meera aur Rachna ne sara jaruri samaan pack kar liye the...jitna ho saka unse...

Tabhi Kabeer aur Shankar Chacha aate huye dikhe....

Kabeer - Ma ji Sara saman bandh gaya kya...??
Rachna - Ha lalla jitna ban saka humne bandh liya,
Ab sab thode na le ja sakte hai....

Kabeer - Shakar chacha,
Hum ab ye Ganv chhodkar ja rahein hai,
Ye lijiye Iss ghar ki chabhi Aapko Rahna ho to raho Ya fir kisi aur ko de dena....Ab ye sab aapka hai...
Hum log kabhi-Kabhar ghoomne aate rahenge.....

Shankar - Par beta aise kaise ganv chhod rahe ,
Tum rahoge kaha,
Pahle jakar ghar khoj lete fir saman lekar jaate,

Kabeer - Chacha ji bahut mushkil se mai Raazi hua hu,
Yeh Ganv chhodne ke liye,
Ab aur Ruka to Sayad mai nahi ja paunga...

""mujhe maaf karna chacha ji!!""

Shankar - thik hai beta jaisi tumhari marji !!
Bas aate rahna...Apna aur Meera bitiya ka Khayal rakhan !!

Ghar ke bahar bheed jama thi....Kabeer ke ganv chhodne khabar fail chuki thi,

Kabeer, Meera aur Rachna Sabhi Logon se mel-milap karne lage...

Kabeer kuchh logon ki Madad se Samaan ko Gufa ke bahar tak le gaya Jaha Ek gadi khadi thi usi mein laad diya...

Gaadi mein baith gaye...
Gaadi chal padi....
""Mai apni yadon mein kho gaya....har beeta hua pal Yaad aane laga..""

""शहर की उस भीड़ में जा तो रहा हूँ....
ज़ेहन में, पर गांव का नक़्शा छुपाये रखा है..!!""


Gaadi dhire-dhire aage badh rahi thi aur Ganv, Log, Ghar sab peechhe chhoota ja raha tha..... Mai apni adhedbun mein khoaya hua tha, tabhi....

""Hum kahan Ja rahe hai Kabeer"",Meera boli,

Kabeer - Mujhe nahi pata, samajh nahi aa raha Kaha Jaun,
kaise karenge Shuruaat...

Meera - Ek Ray du,
Kabeer - Kya..??

Meera - Deharadoon chalte hai, Rashmi Didi ke paas,
Sur kisi shahar mein to koi pahchan ka bhi nahi,

Rachna - Ha Lalla, Meera Sahi kah rahi,
Rashmi ke Yaha ruk kar thande deemak se Rasta nikal aayega....
Abhi sab jaldi-Jaldi se budhi kam nahi kar rahi hogi...

Kabeer - thik hai Maa ji Deharadoon hi chalte hai,
wahin se shuruaat karenge...

""Bhai Gadi ko deharadoon ki taraf Rajpur Road le chalo""

Driver ne Gadi ko deharadoon ki oor le chala.... hum 1.30hrs baad pahunch gaye..aur Gaadi Rajpur road ki tarf badhti chali ja rahi thi.....Shaam dhal chuki thi..

Sadak ke dono kinare sundar pedh aur Bageeche



chaude Baramde aur Sundar Dhaldar chhaton wale Bangle,

Ghantaghar se aage tak faila hua Rangeen Paltan Bazar,

Ghantaghar...


mere dhyan ko akarshit kar rahe the,
mai waha ki Nayi khubsurti ko nihar raha tha,

Tabhi Meera bol padi,
""bas bhaiya Gadi yahin Side mein laga do,
Gadi Rajpur Road sthit ek chhote se bangle samne ruk chuki thi,


Hum sab gadi se utarkar us bangle ki taraf badh gaye,

Meera ne jakar door bell bajayi....
Rashmi Didi


Thodi der baad ek 28 saal ki Lady ne darwaja khola,
Jise dekhte hi Meera daudkar jake gale lag gayi...

""Meera tu Yaha, achanak"" ladki boli,

""Are mausi aap bhi mujhe to sach Mein Vishvas nahi ho raha""

""Aaiye sabhi andar chaliye...""
mai bhi unke sath andar chal diya....

""Aap log baitho mai abhi aati hu,""itna bolkar wo dusre kamre mein chali gayi,

Mai ghar ko dekhne laga, Pakka makan tha, ghar mein sajavat ki huyi thi, Jyada bada to nahi, lekin 10 log aaram se rah sakte hai""
Mai sab dekh hi raha tha ki....

""Chaliye Sab fresh ho jao mai nashta lagati hu,""

Hum charon Nashta karne lage,
Meera ne baton-Baton mein Sab bata diya, meri bhi Pahchan karwa di,

Rashmi - Chaliye bahar ke room mein Gadi se saman utarkar rakh dete hai,

Hum sabne milkar saman ko bahar bane ek room mein rakh diya,
Main Gaadi wale ko Kiraya diya jaane ko kaha aur wo chala gaya,
Hum andar chal diye,


Rachna - Rashmi beti, Vijay nahi dikh raha,

Rashmi - Abhi wo office se nahi aaye,
Raat 10 bje ke baad aayenge,
Maine aaj chhutti kar rakhi thi,

Raat ke 9 baj chuke the Hum sabne milkar Khana khaya

Achha Meera tum log uss kamre mein Jao aur Rest karo Kal Subah Sab milkar baat karte hai..

Kamre mein do bed lage the,
ek bed mein mai let Gaya aur dusre mein Meera aur Maaji let gayi,
Anjan shahar, naya ghar,
safar me thake hone ke karan nind aa gayi aur hum so gaye.....

Abhi ke liye Bas itna hi...
Give me your Suggestion and Valuable Review.....

 

Last benchers

Well-Known Member
3,069
6,808
158
Update-3 Dharti Lok

हिमालय की खूबसूरती को शब्दों में बयां करना मुश्किल है. हिमालय की वादियां इतनी मनमोहक है, जो किसी को भी दीवाना बना सकती हैं. यहां देश-विदेश से टूरिस्ट आते हैं. लेकिन एक ऐसी जगहभी है जिसका नाम माणा है.




माणा गांव बद्रीनाथ से तीन किमी आगे समुद्र तल से 18,000 फुट की ऊँचाई पर बसा है. माणा, भारत-तिब्बत सीमा सुरक्षा बल का बेस है.


माणा गाँव में कई देखने लायक जगह हैं. गाँव से गणेश गुफा और व्यास गुफा नजर आती है. व्यास गुफा के बारे में कहा जाता है कि इसी जगह वेदव्यास ने पुराणों की रचना की और वेदों को चार भागों में बाँटा था.

व्यास गुफा और गणेश गुफा यहाँ होने से इस पौराणिक कथा को सिद्ध करते हैं कि महाभारत और पुराणों का लेखन करते समय व्यासजी ने बोला और गणेशजी ने लिखा था.

गुफा में एंट्री करते ही एक छोटी सी शिला नजर आती है. इस शिला पर प्राकृत भाषा में वेदों का अर्थ लिखा है.

इसके पास भीमपुल है. इसी पुल की मदद से पांडव अलकापुरी गए थे. अब भी कुछ लोग इस स्थान को स्वर्ग जाने का रास्ता मानकर छुपकर चले जाते हैं.

इसी रास्ते पर वसुधारा पाँच किमी की दूरी पर है. इस जगह तक पैदल पहुंचा जा सकता है. यह झरना 400 फीट ऊँचाई से गिरता है.ऐसा कहा जाता है कि इस पानी की बूँदें पापियों के तन पर नहीं पड़तीं.


घूमने के अलावा यह जगह अनेक प्रकार की जड़ी-बूटियों के लिए भी मशहूर है.

माणा गाँव की आबादी चार सौ के करीब है. गांव में सिर्फ 60 घर हैं. घर को बनाने में लकड़ी और पत्थर का इस्तेमाल किया गया है. यहां के मकान भूकम्प के झटकों को झेल सकते हैं. मकानों में ऊपर की मंजिल में घर के लोग और पशुओं को नीचे रखा जाता है.
इसी गांव की रहने वाली थी हमारी
मीरा ( उम्र-19)....




कोरे कंगना कवारे सवारे कलाई
जिसकी रूह की महक से
ये वादियाँ गुनगुनाई
घनेरी ज़ुल्फों की लहर
जैसे गंगा की आरती
मदहोश फ़िज़ाए भी
जिसके रूप को सवांरती,
Lovely update bhai
Apki writing skills bahut hi achi hai.
Apne story ke liye kafi mehnat ki hai
Apke kuch point movie SE milti hai .
Avi to introduce hi cl aage dekhte hai story Mai kiy hota hai
 
  • Like
Reactions: Naina and Hayaan

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Congratulations for new story ..
Apk story starting Attitude story ka jaisa hai ..us story Mai v yahi hua tha. But V.J Bhai ke likhne or sochne ki skill us story ko char Chand lg gye..
Anyway Bhai aage padh KR review deta hu
Ho Sakta hai bhai Attitude story jaise bhi..
But maine Insan aur Shaitan ki Shaitan ki Utpatti ko Muslim Community Ke base par liya tha, aur edit karke Mixup karke ek new fantasy banane ki kosis ki....

Sayad V.J. bhai ne bhi liya ho but meri story bilkul different hai...wo bahut achhe writer hai, Mai to ek Reader hu..

Agar Aap Attitude story se compare karke padhenge to sayad Meri story bekar lagegi....kyuki mai utna achha nahi...


But Anyway Thank you so much given your comment and Support...
Keep reading and supporting...
 

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Lovely update bhai
Apki writing skills bahut hi achi hai.
Apne story ke liye kafi mehnat ki hai
Apke kuch point movie SE milti hai .
Avi to introduce hi cl aage dekhte hai story Mai kiy hota hai
Achhi baat hai mere liye to kam se kam story ko padhke movie Jaisa to feel ho raha hai. ....
Thanks for comment and support
 
  • Like
Reactions: AdityaA and RAAZ
Top