• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

Hayaan-Insaan Ya shaitan Story kaisi hai..?


  • Total voters
    177

amita

Well-Known Member
6,870
16,683
144
Koi baat nahi intezar karenge
Pure 7 din se busy hu.....
But Update deta Raha Bcz....
Maine pahle se hi 10 Update Backup bana ke rakhe the....
Lagatar busy hone ke karan aage ke update na likh paya...
Aur Update likhne ke liye Free mind chahiye warna story bekar ho jayegi....
Bas wahi khoj raha Free time..
 

Shahrukh

Well-Known Member
4,904
13,909
158
Pure 7 din se busy hu.....
But Update deta Raha Bcz....
Maine pahle se hi 10 Update Backup bana ke rakhe the....
Lagatar busy hone ke karan aage ke update na likh paya...
Aur Update likhne ke liye Free mind chahiye warna story bekar ho jayegi....
Bas wahi khoj raha Free time..
Koi baat nhi bhai take your time jub time mile to jis jis din update nhi diya us din ki khaser puri kerde na Okk
 

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Update..No..48*
MeGa..UpDatE

Abb..Aage..

Ab Teesri Sabse Jaruri Baat tumhein Aage Kab aur kaise Samna karna hai...??

AadiGuru - Ek Baat Ka Dhyan Sadaiv Rakhna Anaya ko kabhi bhi khud se Alag mat karna....

Tumhare Andar chhipi burayi aisa Karne ke liye Badhya karegi...
Yadi Tumne Anaya ko khud se Alag Kar diya to...
Tumhare Andar Sirf burayi bachegi Arthat Shaitan ki Jeet hogi aur Vo tum Haavi ho jayega... Fir Shuru hoga ka Shrishti ka vinash.....

AadiGuru - Putra Hayaan ! Ab tum ek Insaan nahi rahe Ek Shaitaan ban chuke ho,
Tumhare Dono Roop Ab khulkar Saamne Aa jayenge...
Din mein Insaan to Raat mein Ek Shaitan..!!

Main - Lekin Guruvar main to bilkul thik hu Raat mein bhi.... Agar aisa hota to ab tak main Ek Danav ban chuka hota....??

AadiGuru - Abhi tum insaan Roop mein iss liye ho kyuki tum Abhi Dharti Lok se bahar ho...
Yeh Dohra Roop tumhein Prithivi par Dikh jayega...

Tumhara dusra Roop Tumhare Vash mein nahi hoga...
Wo bahut hi khatarnak aur Nirdayi hoga..
Uss Roop mein Tum Apne aur Paraye Sabko nuksan pahuncha doge...

Issliye Ab Se tumhein Pratidin Shaam hone se pahle Yaha aakar Apne Shaitani Roop par Kabu Pane ke Liye Prashikshan Lena hoga...
Isse kuchh hadd tak tumhare Sochne - Samjhne ki Shakti Jagrit ho jayegi...
Aur Tum Sahi Galat ka faisla kar sakoge...
Nahi to tum Apne hi Hathon se Apno Ki Zindagi Chheen loge..

Main - Jub Aap sab Jante the Unka Shadyantra bhi Samajh chuke the...
Mujhpar hamla hone ke Parinam se Avgat the to Aapne Mujhe Pahle hi kyun nahi bachaya...
Ye sab Kyun hone diya..??

AadiGuru - Putra ! Tumhara kahna Uchit hai ki Mujhe sabhi Dush Parinamon ki Jankari thi...
Kintu Niyati Ke Aage Main Mazboor tha...
Kuchh Chize Hum kabhi Nahi badal sakte...
Mujhse Jitna ho saka utna kiya...

Main - Agar wo Apne Shadyantra mein Kamyab ho jate aur Main Shaitan ban jata to Kya hota...??

AadiGuru - Tab to tum Iss Prithivi Lok ke Vinash ka karan bante...
Kuchh Hadd Tak to Kamyab ho hi chuke hai...,

Lekin Ab Yeh Tum par Nirbhar karta hai ki Kaun si Raah Chunte ho Achhai ki Ya fir Burayi ki...??

Main - Thik hai Guruvar! Jaisa Aapko anuchit lage waisa kijiye...
abhi Main Insani Roop mein Hu Faisla Kar sakta hu...
Mujhe Achhai ki Raah Par Chalna Aap Mera margadarshan kijiye....

Kintu ab main Apni Zindagi ko Apne Tarah Se Jeena chahta hu,
Kya Ab bhi Mere Parivar par koi khatra hai...??

AadiGuru - Putra ! Khatra to hamesha hi bana Rahega Kintu ab utne Paripakv ho chuke ho ki tum uss khatre ka saamna kar sako..
Main Sirf Raah dikhaunga Chalna tumhein hi hoga...

Main - Guruvar ! Mujhe Swapn aate hai,
Jaise koi mere liye Ro Raha ho..

AadiGuru - Jaise ki maine tumhe pahle bataya ki kuchh Paheliyan tumhein khud hi Suljhane hongi,
Wahi Tumhari Pariksha bhi hogi...

Shayad Ab Tumhare Sabhi Prashno ka Uttar Prapt ho gaye hai...
Jitna bhi Abhi Tumein Janna Avashyak tha Maine Sab Bata diye...
Baki Samay Aane par Swatah Gyat ho Jayega..
To Prashikshan ke Liye Taiyar ho Ab...??

Main - Dhanywad Guruvar ! Mujhe mere Jeevan ke Uddeshya se Avgat karane ke liye....

Main taiyar hu GuruVar....

Jaanna to bahut kuchh tha..
Lekin Dhire dhire sab samjh aa jayega...

Ek baat Na samajh Aayi Main hi Kyun..??

Meri Iss baat par Guruvar muskurane lage..
AadiGuru - "Main hi Kyun" Prashn mein to Tumhare Jivan ki sachayi aur Uddeshya Chhipa hai...
Jiss din tumne Iska Uttar Khoz liya Putra ! Uss din Iss Manushya Jaati ka Uddhar ho Jayega..!! Ek Baar Punah Shanti aur Sukh-Samridhi iss Lok mein Laut aayegi..!!

Chalo Putra ! Ab tumhein kuchh Jaruri kriya samjh leni chahiye...

Ek lambi Vartalap ka Samapan hua...
Kuchh Prashno ke Uttar mile to Kuchh Naye Prashno ne Fir se gher liya...

Main sabhi baton ko Ek side rakh Guruvar ke sath unke Ashram mein bane Ek khule Maidan pe aa gaya....

AadiGuru - Putra ! Kya tumhein Dhyan lagana aata hai..??
Main - Ji Guruvar ! Kintu jyada der tak nahi laga pata.. Na jane kyun..
Aisa lagta hai koi Ajeeb si Shakti mujhe aisa karne se rokti hai...??

AadiGuru - Wo uchit samay nahi tha..
Ab Prayash karo Aa jayega...
Pahle kuchh Jaruri batein samajh lo..
Dhyan kya hai..??
""Dhyaanvastha mein hamein apne Aap ko dharti se Judd Kar dharti me samai Urja Shakti se apne aapko jo jodna hota hai..
Parampita paramatma Yani ki Ishwar Ek aisi Shakti hai jisse iss Sampoorn brahmand ka nirman hua hai.

Tum apne aaspaas Jo kuch bi dekh rahe ho ye sab unki hi Shakti ka chhotha sa ansh hai..
issliye hume iss dharti se judne ki koshish karni chahiye kyuki yahi hamari palan haar hai,
Dharti ke andar basi Urja Shakti se hi ham is kaabil bante hai ki apna jeevan Jee sakein..

Ye dharti sirf Urja ka shtroth hi Nahi balki ye hamare MAA saman hai,

issliye hum dhyan Kar na sirf Apne aap ko unse jodte hai Apitu dhyan mein rah Kar unki aradhna bhi karte hain,

Jab sab kuch us Parampita ka hi ansh hai to Ek prakar se hum unki bhi to aradhana Kar hi rahe h...
Aisa karne ke Pashchat hi Uss Ishwar tak Pahuchne ka marg milega...
Kuchh samjhe...??

Main to Guruvar ki Vani mein mantra-Mugdh ho gaya tha..
Kitne Achhe se Iss kriya ko samjha rahe the...
Dhyan ka path padhate padhate...
Ishwar ki Prapti ka marg hi mujhe samjha diya...

Main - Koti koti Dhanyawad Guruvar ! Aapne to Dhyan ke Jariye mujhe Ishwar ki Prapti ka marg bata diya...
Main puri Nishtha se Dhyan mein Uss Urja tak Pahuchne ki Koshish karunga....

AadiGuru - Ati uttam Putra !
Mera Ashirwad tumhare sath hai...
Safal hokar hi dhyan se uthna....
Ab tum iss kriya ka Aarambh kar sakte ho...

Guruvar ki Anumati milte hi main Dhyan mein baith gaya......

Is baar mera Mann shant tha kyuki Mujhe mere sawalo ke jawab mil chuke the…

Main dhyan mein Baithte hi jaise hi khud ko dharti ki Urja Shakti se joda to mujhe Bahut hi jyada Urja Shakti ka ehsash hone laga ,



ab main dharti ke andar ki urja shtroth ko dekh pa Raha tha Jo ki behad Chamakdar aur Manmohak najar aa raha tha..
Main dhire shire uss Roshni ki taraf badhne laga..



Aisa lag Raha tha ki Jaise main kisi aur duniya mein Aa Gaya hu..

Uss Roshni ke Kareeb pahuchte hi Mujhe Bahut hi sukhad Ahsas ki Anubhuti hone lagi..

Mujhe Ahsas hua ki Shayad shayad yahi h wo Dharti ke andar ki urja shakti ka shtroth jiske bare me Guruvar ne bataya tha...

AadiGuru Hayaan ke paas baithe use dhyan se dekh Rahe the...
Abhi Hayaan ke chehre par ek manmohak muskaan thi aur sath me uske Charo taraf halki halki safed roshni faili Hui thi. Wo roshni dheere dhere badhne lagi...
wo roshni ek Urja k Roop me dhire dhire Hayaan ke Sharir mein samahit hone lagi...


idhar....
Main uss Roshni ke Kareeb pahunch kar Uss Shakti punj ko mahsoos karne ke kiye jaise Haath badhaya....


Achanak hi wo Shwet urja Mere Sharir ke charo Oor ghumne lagi aur Mujhe khud mein gher liya...

Dhire - dhire wo sampoorna Urja Mere Sharir mein Sama Gayi aur Main dhyan se bahar aa gaya...

Saamne Guruvar mujhe dekh kar muskura rahe the..
AaduGuru - Ati Uttam Putra ! ab tum is dharti se Judd chuke ho.
Iss dharti mein Rahne wale Pratyek Jeev - Jantu se tumhara sampark jud gaya hai...

Tum shaktiyan dharan karne layak ho chuke ho..
Ab tum jo bhi shaktiya arjit Karoge tumhara sharir unhe sambhal sakega.

AadiGuru - Putra Hayaan ! Ab tum jitna Jyada mehnat aur kathin Tapasya karoge usi ke anushar hi tumhein Shaktiyan Prapt hogi....

Main - Jaisa Aap kahe Guruvar !
kintu Ab mujhe karna kya hoga...??

AadiGuru - Paap...??
Main - Kkkyyyaaa...?? Paaap !!


Aaj ke liye bas itna hi....
Busy hu..Jitna ho saka de diya.. AadiGuru topic thoda sa aur bacha hai...

Maafi Chahunga Daily Update nahi aa payenge...

Thanks for reading and Support...

Ho sake Comment karte rahna taki...Taki Meri story Backend pe na chali jaye..

Thanks All off you..
Story complete hogi..




 
Top