• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

Hayaan-Insaan Ya shaitan Story kaisi hai..?


  • Total voters
    177

Jaat boy

Member
334
482
63
Hii Guys !!

Aaj kal Readers ne Comment karna kam kar diye kuchh Regular Readers ko chhod kar...

Guys Daily Update deta hu.....lekin main nahi thakta...

But kuchh readers Daily Comment karne se thak jate hai.......
Agar aapke Comment kam aayenge to main fir inform kaise karunga...

Aap sab ke liye Daily Update deta hu....To Aap bhi mera sath de....!!

Thanks For Comment and Support..!!
Ohk bhai
 

Asif khan

Well-Known Member
6,212
18,512
188
Massssst action update the
Waiting for next
 
  • Like
Reactions: Iron Man and Rahul

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
*Update..No..43*

3rd Round Hayaan V/S Guru Dachen, 2 Guards...
Pari Lok
Swami Aaj Mera Dil Bahut Ghabra Raha hai..
Aisa lag Raha hai Jaise Kuchh Anhoni Hone wali hai...

Rishidhar - Ghabrao Mat Manjula ! Ab Sab thik ho jayega...
AadiGuru bhi wapas aa gaye hai,
Aur Hamari Putri bhi Ab Hamare sath hai..
Sab Achha hi hoga...!!

Manjula - Kintu aaj se Pahle Ye Bechaini Kabhi na huyi...??

Rishidhar - Jo niyati hai Use koi nahi badal sakta,
Jiske bhagya mein jo likha gaya hai wo hoke hi Rahta hai..
Ye sab bhoolkar tum Ishwar se Prarthana Karo... Sab Kushal Mangalmay hoga..!!

Rishidhar aur Manjula Ishwar ki Bhakti mein leen ho Jate hai...

Abhi dono Ishwar ki Araadhna mein leen hi huye the ki Dono ke Hriday bahut tez Peeda hone Lagti hai...

Dono apni Jagah par gir jate hai...
Manjula saamne dekhti hai to Murat ki Aakhon se lagatar Aansu bah Rahe hain...

Manjula khud ko Sambhalte huye Rishidhar ki taraf ishara karti hai kintu...
Rishidhar Waha Par Murchhit pade huye the.....

Akhir Kyu ho Raha tha ye Sab Aaiye Chalte hai Dharti Lok....


Iss waqt Do Logon ke beech bahut hi ghamasan Yudh chal Raha tha...
Hayaan aur Guru Dachen ke beech...
Koi bhi Pichhe Hatne ko Taiyar nahi tha...

Sadanan ji, Dono ko Rukne ka Adesh de rahe the...
Kintu dono Par unki awaaz ka koi Asar nahi Pad Raha tha...

Kabeer Aur Meera ka dil bahut Jorr se ghabra Raha tha Wo bhi chillaye ja Rahe the...

Anaya Hayaan tak Pahuchne ki Bahut Koshish kar rahi thi...
Lekin Koi Anjan Shakti use Uss tak Nahi pahuchne de rahi thi...

Sabka Haal bura tha..
Kuchh bura hone ke sanket mil Rahe the..ki..

Ki Achanak Guru Dachen ke Shareer ka Aakaar badalne lagta hai..
Iss wakt Guru Dachen ne Ek Khoonkhar Danav ka Roop le liya
Aur Hayaan par Aag aur Shaktiyon se Hamla karne lage...

Tabhi Aasmaan mein Tezz Bizli kaundhi...
Hamla hote hi Hayaan ki Chhipi Huyi Shaktiyan Bahar Aa gayi aur Hayaan ne Ek Shaitan ka Roop dharan kar liya...


Uske Shareer Se Aag ki Lapte Nikalne lagi...
Hayaan ka khud par se Control khota chala gaya... Aur khud bhi ek danav ban gaya..



Achanak Mausam Ka Rang badalne laga....
Kaale badal aur Tez hawayein Chalne lagi...


Mausam ne Apna khoonkhar Roop dharan kar liya Aisa lag Raha tha ki Aaj Sare Sansar ko nigal jayega....

Hayaan ne Aage badh kar Guru Dachen ke Upar Ghatak Prahaar karne Shuru kar diye...

Hayaan ka Yeh Roop Dekh kar Kabeer aur Meera behosh ho gaye...
Sabhi ka Yehi haal tha Sab Behosh hokar Apni jagh par girne lage...

Sivay Sadanan ji aur Anaya ke..

Guru Sadanan ji Mantron ka uchcharan karte huye Hayaan ki Taraf foonk Rahe the.... Rokne ka Asfal Prayash kar rahe the..

Tabhi Achanak 3 Danav Aur Aa gaye Aur Hayaan ko Charon taraf se Gher kar Uss par Aag se Hamla karne lage.....

Anaya ko Yeh Nazara Dekh kar Beete huye Sapnon ki Jhalkiyan Yaad aa gayi...
Anaya turant Hayaan ki Taraf bhagi....

Aur Jakar Hayaan ke gale se Lipat gayi...

Tabhi Danavon Ne Kataar nikali aur Hayaan aur Anaya par war karne ke liye aage badhe..
Jaise hi Hayaan aur Anaya par Hamla karne ke ko huye the ki....Achanak....



Achanak Jorr se ek baar badal Garza aur Waha Par Tez Nili Roshni fail gayi....
Aur Tezz Nili Bizzli Hayaan aur Anaya ke Shareer par padi....

Dono ko Bahut Tez Jhatka laga..
Anaya, Hayaan se door ja Giri aur Behosh ho Gayi....

Ab Kahani Hayaan ki Jubani...

Ek Pal ke liye aisa laga Jaise ki Sab kuchh Tham sa gaya ho...
Wo Tezz Bizzliyan Jaise Sidha Mere Shareer par Pravesh kar Rahi thi...
Andar hi andar Jake Puri body mein Failti Ja rahi thi...
Mujhe Atyadhik Dard ki Anubhuti hone lagi...
Main Dard ko Bardasht karne ki koshish kar Rah tha ki...
Bizliyan Garm laave ki Tarah Meri Body pe bahne lagi...

Mere Sharir ki Nashe aur chamdi bahar se Chamakne lagi..
Aisa lag Raha tha ki Jaise kisi ne Garam Pighla Faulad meri Nashon mein bhar diya ho..

Mujhe to Ab bas Anta ka wo Drishya Yaad aa Raha tha Jub Mere upar Bizzliyon ka Kahar Toota aur Anaya Mujhse door ja giri...

Ab Dhire dhire Safed Nili Roshni aur Kala dhuan mere charo Taraf chhane laga..
Aur Meri aakhein band hoti chali gayi Main behosh ho gaya.....

==========================

Idhar Sab kuchh dhire dhire Normal ho gaya....

Sabko ek ek karke hosh aane laga...
Kisi ko Kuchh samajh nahi aa Raha tha ki..
Akhir Abhi hua kya tha...
Sab behosh kaise huye...

Tabhi Kabeer ki Nazar Anaya par gayi..
Jiske paas Sadanan ji baithe the aur use Hosh mein laane ka Prayash kar Rahe the...

Kabeer aur Meera turant uth kar Bhage Anaya ki Taraf...
Anaya behosh padi thi..
Uske Sharir mein Jalne ke Nishaan bane huye the...

Anaya ki Aisi halat dekh kar Donon khud ko Rone se Rok na paye..
Jise Goad mein Rakh ke Pala gaya ho Aaj wo Aag mein jhulsi padi thi..

Tabhi unhein Hayaan ka Khayal aaya...
Ghabrahat mein Rote huye..
Meera - Hayaan kaha hai..??

Kabeer charon Oor dekhne laga...
Lekin Use Hayaan kahi na Najar aaya...
Kabeer - Guru ji ! Yaha par Kya hua tha,
Hayaan kidhar hai..??

Shayad abhi Jo ghatna huyi thi kisi ko kuchh Yaad nahi tha...

Tabhi Zin aur Guru Dachen bhi bhagte huye aaye...
Sab Halaat ko samajhne ka Prayash kar rahe tha e Lekin kisi ko kuchh na Samajh aa raha thea...

Meera - Kya hua Guruji ! Aap kuchh bolte kyun nahi...

Guru ji maun dharan kiye huye baithe rahe...

Kabeer Guru Dachen se..

Aap hi bataon na kya hua tha...??
Kaha hai Mera beta...??

Guru Dachen - Mujhe nahi Pata Hayaan kaha hai..??

Mujhe bas itna Yaad hai ki Hum dono Lad rahe the Ki Tabhi Achanak mujhpar Hamla hua aur main Behosh ho gaya...
.Isske aage kya hua Mujhe kuchh bhi nahi pata...!!

Sabka Yahi Haal tha...
Sabko Hayaan ki Fikar lagi huyi thi...
Hayaan Gayab tha aur Anaya behosh...

Sab Ro Ro ke Apna bura haal kiye huye the...
Meera, Zin, Riya, Maaji, ........

Kabeer ne Sadanan ji ke kandhe ko hath se hilate huye fir se poochhta hai..
Hayaan Kaha hai...??


Sadanan ji - Le Gage use..??
Wo le gahe use....

Kabeer - Kaun kise le gaya guru ji ..??
Sadanan ji - Shaitan le gaye Hayaan ko....Shaitaannnn !!!!


Kabeer aur Meera - Nahiiiii
Jorr se chillate huye behosh ho gaye...


Aaj ke Liye Bas itna hi...

Likes Comments karna mat bhoolna...Jisne Vote na kiya ho kar do..
Suggest me...??
Thanks Guys !!

 
Last edited:

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Nice update , agale ladai m dekhna hai kee hayan apne gusse ko kabu karta hai kee nahi.
Review Night Me Dunga Bhai.
Superb excellent update bhai
Awesome fabulous update
Super fight secen of zin and any
Keep posting
Zabardast update maza aagya ab dekh na ho ga bhai hayan ye ladaai kaise hogi agla update kafi interesting jane wala hai waiting for next

Rizwan bhai..

Next Update posted on..185
 

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Fentastik hayan bhai bhot majha aaya or ye hayan or any ka romance fentastik waiting for next update
Nice update bhai update ka size bada karo sap ka update suru hotey hi khatam ho jata hai
Very nice update ..........
Keep it up bro .........
Waiting for next ..........
wonderfull update bhaiya ji
Nice update brother
Bhai tag hota hi nhi hai
Superb Update Bro...
Waiting For Next

Next Update posted on..185
 
  • Like
Reactions: QUASAR and Rahul
Top