• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Hawas aur Badla (completed)

EMPEROR 333

Member
107
257
63
Update 2
Time nikalne lagta hai. Sameer aur Ritika ki dosti ekdum khash hogyi thi. Sameer Ritika se puche bina koi kaam nhi karta. Aur Ritika bhi Sameer ka pura khayal rakhti. Dono ek dusre ke bina ek pal nhi rehte. Ritika ko ek behen bhi hoti hai Ritu.

Ab yeh log high school mein the. Sameer aur Ritika ek hi school mein padhte jaha Sameer ka best friend bana Rishi wahi Ritika ki best friend bani Kajal.

Ekdin Sameer Ritika ke ghar se khel ke wapas aata hai toh dekhta hai uske dadaji ki tabiyat kharab hochuki hai.

Ranjit: Sameer meri ek baat manna. Maine tumhare naam yeh saari property kardi hai. Tum yeh kisi ke naam mat karna khash kar apne pita ke naam. Aur mere baad agar tumhe kahi bhi pyaar naa mile toh tum London chale jaana aur yaha kabhi bhi wapas mat aana jab tak bahot jaruri naa ho.

Sameer: Main aisa hi karunga dadaji.
Rajesh yeh baat sunn leta hai ke uske baap ne saari daulat uske bete ke naam kardi hai. Toh uska gussa saatve aasman mein pahonch jaata hai.

Kuch din baad Ranjit ki death hojaati hai jisse Sameer puri tarah se akela hojaata hai. Ab bas Ritika aur Rishi hi the uske apne.

Rajesh ne Sameer ko property ke liye aur torcher karna start kardiya tha. Ab usko roj maarta. Reshma bhi yehi karti. Sameer ne sab bardaash kiya par property nhi di.

Ab yeh log class 9 mein the. Sameer toh ab Ritika ko pyaar karne laga tha aur yeh baat Rishi bhi jaanta isiliye usne Sameer ko propose kardene ko bola.

Sameer thoda nervous tha. Par usne himmat karke ekdin sabke saamne Ritika ko propose kardiya.

Ritika ne usse ek thappad maardiya.

Ritika: Tumhari himmat kaise hui mujhe propose karne ki. Tum jaise ek looser se main pyaar karungi yeh tumne socha bhi kaise. Tumhare saath thoda time spend karliya, ek dost samaj kiya toh tum iss harqat pe aagaye.

Ritika ki yeh saari baate Sameer ke dil mein chubb rahi thi.

Ritika: Aree jiski maa ne usko janam dete hi chorr diya. Jiska baao usko apna beta nhi maanta yaha tak ki jo dadaji ko pyaar karte woh bhi chale gaye aise insaan se main pyaar karu. Abhi ke abhi meri nazro se durr hojao. Isse pahle main kuch galat kardu.

Sameer ko uske parents aur dadaji wali baat hadd se jyaada buri lagi. Ab uska yaha pe rukhna bahot mushkil horaha tha. Isiliye woh waha se chala gaya.

Ritika ki aankhe bhi nam the. Par woh sab se chupa ke waha se chali jaati hai.
Rishi bhi wahi khada yeh sab dekh raha tha uski aankho mein bhi aansu the.

Sameer waha se sidha ghar aaya. Jaha uske saath ekbaar phir property ko leke torcher hua. Par issbaar usko yeh torcher ka aihsaas nhi horaha tha. Usko Ritika ki saari baate yaad aarahi thi. Phir usko apne dadaji ki baate yaad aati hai. Usne property ke papers liye aur sign kardiya aur bola mujhe yaha nhi rehna mujhe London bhej de.

Rajesh bhi sochta hai agar yaha raha toh kal ko phir se property pe haq jamane ki soch sakta hai. Isse achha hai yeh yaha se kahi durr chala jaaye.

Rajesh ne turant Sameer ke london jaane ki taiyaari kardi. Raat ko Rishi ne Sameer ko call kiya.

Rishi: Sorry bhai meri wajah se yeh sab hogya.

Sameer: Nhi Rishi tune infact thik hi kiya. Aakhir mujhe yeh toh pata chala kaun mera apna hai aur kaun paraya. Maa baap toh hai hi nhi ek Ritika thi aur aaj uska asli roop bhi saamne aagaya.

Rishi: Ab tu school mein usse kaise face karega.

Sameer: Ab main school nhi aane wala. Main kal london jaa raha hu humesha ke liye. Aur ab wahi rahunga.

Rishi: Yaar aisa mat bol. Sab thik hojayega.

Sameer: Mujhe nhi lagta. Aur waise bhi yeh mere dadaji ki aakhri ichha thi. Yeh toh puri karni hi hai.

Rishi aage kuch nhi bolta phir yeh log call end kardete hai.

Sameer subah uth ke London ke liye nikal padhta hai.

Yaha subah school mein.

Kajal: Riti tune kal thik nhi kiya.

Ritika: Kajal usse aisa nhi karna chahiye tha. Woh sirf mera dost tha aur mujhe mere gusse pe control nhi raha.

Kajal: Tere uss behaviour ke baad usko bahot taqleef hui aur isiliye woh aaj school nhi aaya.

Rishi: Aur ab kabhi aayega bhi nhi.

Ritika: Kya matlab kabhi nhi aayega. Sameer mera bestest friend hai main usko samjhaungi.

Rishi: Jab woh yaha hoga tab na tum usse milogi. Woh aaj subah humesha ke liye london chala gaya hai aur ab wahi pe rahega.

Ritika ke aankh mein aansu aajate hai par woh chupa leti hai.

Ritika: Aise kaise chala gaya. Aur woh bhi mujhse bina mile.

Rishi: Tum hoti kaun ho. Jo woh tumhe batayega.

Ritika: Main uski bestest friend hu.

Rishi: Kaun ho jara phir se bolna but uske pahle kal jo bola tha woh yaad karlena.

Ritika ke aankho mein issbaar aansu sab dekh lete hai.

Rishi: Apne yeh jhoothe aansu dikhana band karo. Tumne jo kiya hai woh koi dushman bhi nhi karta.

Yeh bol Rishi waha se chala jaata hai. Ritika bhi waha se apne ghar aajati hai.
Idher london mein Sameer apne dadaji ke ek flat mein shift hota hai. Uska yaha pe ek school mein bhi addmission hochuka tha. Aur uske paas paise bhi de diye the.
Raat ko Sameer ke paas Rishi ka msg aata hai.

Rishi: Pahonch gaya.

Sameer: Haa. Bas saara samaan thik karke sone aaya hu.

Rishi: Maine school mein tere baare mein sabko bata diya hai.

Sameer puchna toh nhi chahta tha but phir puch leta hai.

Sameer: Ritika ne kuch kaha.

Rishi: Keh rahi thi tu usse bina mile chala gaya.

Sameer ki aankho mein thode aansu aajate hai.

Sameer: Chorr jaane de. Ab mujhe kisi se koi matlab nhi.

Phir chat end karke woh sone chala jaata hai. Raat ko baar baar usko Ritika ki yaad sata rahi thi. Par woh apne aap ko control karta hai. Aur India se apne saare rishte khatam karne ka sochta hai. Isiliye usne social media se sabko hataya aur apna social media account delete kardiya. Aur apna sim card bhi todd ke phek diyaa

Sameer: Abse sirf apne liye jiunga. Kisi se koi matlab nhi.

Idher India mein Sangeeta ek party mein jaati hai. Jaha kuch ladies baate kar rahi hoti hai.

L1: Aree aajkal ki maaye toh bachhe ko janam deke hi chorr deti hai.

L2: Haa jab sambhalna hi nhi aata toh janam kyo dete hai. Galti kare khud aur saza mile bachhe ko.

L3: Aur kuch kuch toh divorce leke bachhe ko pita ke paas chorr dete hai phir pita dusri shaadi karta hai aur uss bachhe ka jeena haram kardeta hai. Aisi maa se toh pura jivan baanjh rehna manjur ho.

Sangeeta jab yeh sab sunti hai toh aihsaas hota hai. Usne bhi toh aisa hi kiya hai apne bete ke saath. Bhale hi woh Sameer se durr thi. Par uski khabar milti rehti thi ke kaise Rajesh aur Reshma Sameer ko torcher karte usko maarte. Yeh sab sochte hi uske aankho mein aansu aajate hai aur usko apni galti ka aihsaas hota hai aur samaj aata hai uske saath jo hua usme Sameer ki kya galti jo usne usko aise chorr diya.

Woh fauran Rajesh ko call karke Sameer ka puchti hai toh usko London ka pata chalta hai. Jisse usko rahat milti hai ke woh filhal inn haiwaano se durr hai.

सुंदर अपडेट है ..
 

Alok

Well-Known Member
10,571
26,679
258
Super fantastic awesome update Jaguaar bhai.....

Ab ye kaun ladki hai jo marcus ka saath Sam ko barbad karne ke liye de rahi hai.....
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

EMPEROR 333

Member
107
257
63
Update 3
Idher london mein Sameer subah apne naye school jaata hai. Toh waha ek ladki aati hai.

Ladki: Has Has ke. Abee bhadwe,kutte kamine, behenchod yaha kya karne aaya hai. Chal nikal yaha se warna abhi tujhe nanga karke teri gaand mein danda dalwa dungi

Sameer samaj jaata hai usko foreigner samaj ke yeh aisa bol rahi hai.

Sameer: Muskurata hua. Kya main aapko jaanta hu. Aur jo aapne abhi abhi kaha uska mujhe bura nhi laga.

Woh ladki shock mein thi. Aur uska sir sharm se nichhe jhuk gaya.

Ladki: Tum Indian ho. Aur abhi maine jo jo bola woh sab tumhe samaj aagaya.

Sameer: Ji haa.

Ladki: I am sorry. Mujhe laga tum yehi ke ho aur yaha school mein pahli baar dekha isiliye thodi masti karne ke liye woh sab...... I am sorry.

Sameer: Mujhe pata hai isiliye maine aapse kuch nhi kaha. By the I am Sameer.

Ladki: I am Mahi. Waise yaha Sameer naam nhi chalega. Thoda alag naam rakho.

Sameer: Alag naam. Toh tum hi rakh do.

Mahi: Okk. Toh Sameer ka alag naam aaj se hai Sam.

Sameer: Achha hai. Waise tum bhi meri class mein hai.

Mahi: Matlab. Tumhe kaise pata mera class.

Sameer: Tumhare I-Card se.

Mahi: Smart.

Tabhi Pichhe se ek ladka aata hai.

Ladka: Aree Mahi kya hua itna time kaha laga rahi hai chal class ka time horaha hai.

Mahi: Bas apne naye dost se baate kar rahi thi. Isse milo yeh hai mera best friend Deepak.

Sameer: Hii! I am Sam. Waise yeh naam abhi rakha hai.

Deepak: Abhi rakha hai matlab.

Sameer: Yeh Mahi ne kaha yaha Sameer naam nhi chalega isiliye isne Sam rakh diya.

Deepak: Ooo. Waise yeh mazaak kar rahi hai. Sameer naam yaha chalega.

Mahi: Sorry but main just mazaak kar rahi thi.

Sameer: Nhi koi baat nhi. Waise Sam naam itna bhi bura nhi. Abse mujhe yehi naam pasand hai Sam.

Deepak: Okk then aajse hum tumhe Sam keh kar hi bulayenge.

Mahi: Chalo class mein chalte hai.

Phir yeh log class karte hai recess tak.
Recess mein yeh log canteen aate hai.

Deepak: Waise Sam tum yaha kaha rehte ho.

Sam: Main yaha ek flat mein rehta hu.
Mahi: Aur tumhari family.

Sam: Mera unse koi lena dena nhi hai. Main yaha akela rehta hu

Deepak: Koi nhi. Abse hum dost hai so humari family tumhari.

Mahi: Of course.

Sam: Waise tumhari family mein kaun kaun hai.

Deepak: Mere ghar mein mom dad aur mera pyaara pet RON.

Mahi: Mera bhi same but no pet. Deepak ke kandhe mein haath rakh. Yeh hai naa mera pyaara sa pet. Aur jorr jorr se hasne lagti hai.

Sam bhi hasne lagta hai.

Sam: Waise tumhare parents kya karte hai.

Deepak: Mere aur iske papa scientists hai. Aur saath mein kaam karte hai.

Sam: Great.

Phir recess khatam hota hai. Woh log class karne chale jaate hai. Phir apne apne ghar.

Ghar aakar Sam ko ab khana banana padha. Phir khaake woh rest karne lagta hai.

Ab roj Sam ka yahi routine bangaya subah school waha Deepak aur Mahi se masti phir ghar aakar khaana banake khaana.

Aise hi yeh log aise hi apna school aur friendship enjoy karne lagte hai. Mahi aur Deepak se Sam ki dosti bahot gehri hogyi shayad london mein Indian milne ki wajah se. Ab Sam inke saath hi apna time spend karta. Roj ghumne jaana. Late night parties karna sab karta hai. Ab London hai isiliye inpe koi roktok nhi.

Ekdin Deepak Sam aur Mahi ko uske ghar lunch pe invite karta hai.

Deepak ke Dad Mr. Harish Kumar bhi ghar pe hi the.

Harish Uncle: Deepak bahot baate karta hai tumhare baare mein.

Sam: Aaplog kaise hai.

Harish Uncle And Sanjana Aunty: Humlog achhe hai. Tum kaise ho.

Sam: Ekdum mast.

Mahi: Uncle aunty main bhi aayi hu.

Sanjana Aunty: Tumara toh roj ka aana jaana hai. Yeh first time aaya hai isse toh mile.

Mahi: Ha ha mil lijiye. Mujhe kya. Yeh bol woh sofa pe baith jaati hai.

Sanjana Aunty: Aree yeh toh naraz hogyi. Thik hai iske pasand ki pudding main RON ko de dungi.

Mahi: Koi jarurat nhi hai meri pudding kisi ko dene ki. Aur main koi naraz nhi hu.
Sab hasne lagte hai.

Sam: Waise Uncle Deepak ne bataya aap scientist hai. Toh abhi aap kaunsa research kar rahe hai.

Harish Uncle: Beta filhal toh main ek aise formula pe research kar raha hu jo human body aur brain and senses ko ek alag taqat dega. Aur yeh chiz mein army ke liye bana raha hu. Aur iska naam hai HDX.

( Sam jab yeh naam sunta hai toh usko kuch waqat pahle ki baat yaad aajati hai.

Jab Rajesh ne usko maara tha property ke liye aur woh sofe pe baitha tha. Tab Rajesh call pe baat kar raha tha.

Rajesh: Kya baat kar rahe ho. Aise bhi kahi hota hai kya.

Saamne: Haa hota hai. Tabhi toh Malhotra aur Singhaniya iske pichhe padhe hai.

Rajesh: Kya Malhotra aur Singhaniya.

Saamne: Haa. Aur ab woh log wapas India aarahe hai.

Rajesh: Yaani ab phir se India mein inka raaj chalna hai. Waise iss chiz ka naam kya hai.

Saamne: Kuch HDX karke hai.

Rajesh: HDX. Toh iske pichhe woh dono padhe hai.

Saamne: Malhotra nhi khash kar ke Singhaniya. )

Sam: Uncle issi chiz ke pichhe toh koi Singhaniya aur Malhotra padhe hai.

Harish Uncle: Thoda tension mein. Tumhe kaise pata.

Sam: Kuch waqat pahle maine sunna tha ke woh iske pichhe padhe hai.

Harish Uncle: Dekho beta maine tumhe Deepak aur Mahi ka khash dost samaj ke yeh bataya. Tum yeh kisi ko naa batana. Warna bahot bada khatra aajayega sabke upar. Woh log iss chiz ko leke terrorist ko bechne ka soch rahe hai jiske badle unhe besumar daulat milegi.

Sam: Aap chinta naa kare uncle main yeh kisi ko nhi bataunga.

Tabhi waha Ron aata hai. Ron bahot hi alag kisam ka kutta hai. Uski aankhe neeli hai aur woh bahot hi jyaada active hai woh baakiyon se bilkul alag hai.

Phir yeh log aise hi thodi der baate karke waha se chale jaate hai.

अप्रतिम लेखन .. सैम को 2 दोस्त मिल गये .
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Did the characters feel real to you?

Yes, there are no two opinions that Jaguaar sir ji would pay much attention to the fact that the events and the actions that the characters are doing seem genuine. This is also another reason to read his story. :D

Well let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :10: :10:
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
मस्त कहानी है ,माँ बाप दोनों कुछ काम के नही है ,,और रणजीत को बदला लेना हैं किसी से ,
Thank you
 
  • Like
Reactions: Naik
Top