Bhai sorry to ask u in this thread.
Bhai koi baat nahi .
Is pyaar ko kya naam du wali story q close kar di aapne?? Itna accha update aa ra tha us story pe.
Bhai maina Naya mobile liya hai abhi , lekin Sara data stories ka purane mobile phone par tha , toh jab purane mobile ko format Kiya tha toh " Iss pyaar ko kya naam du " Wale story ka backup nahi rakha tha baki iss story aur mera baki story ka backup tha .
Uss file mai maina pura flowchart banaya tha ki aane wale episodes mai kya kya hoga , saath hi saath kuch 20 episodes ka overview likha tha ki kya kya hoga lekin pura file hi delete ho gaya jiske chalte mai confusion mai aa gaya ki kya karu , fir socha ki Iss pyaar ko kya naam du story ko kuch mahino ka liya close kar du
Iska matlab ye nahi ki story wapas nahi aayegi , story wapas sa aayegi bas mujhe thora time do , lekin ek baat bata du ki abki baar jo iss pyaar ko kya naam du story aayega usma bahut kuch changes honge characters same honge lekin iss baar story ka plot par and twist and turns aayenga .
So bas apna college ka work sa thora free ho jau fir mai Iss pyaar ko kya naam du ka new version chalu karunga .
Sorry for this inconvenience .
Thank you for the support
