Bahut hi umda Update tha
Sandy307 bhai maja hi aa gaya.
Jatin such me hi bahut hi jayada harami tha. Ye to mujhe tiger se bhi kai kadam aage ka laga. Batao female ke liye uske dil me jo badi hui feeling thi wo ab khul kar bahar aa rahi thi. Aur wo unhe apne liye toy smjh raha tha. Bilkul sahi kiya akash ne uske sath. Lakin kya akash ke alawa aur koi use na maar pate ? Jaise abhi ya koi aur ? Abhi sayad maar deta lakin use bhi bahut muskilo ka samna karna pad sakta tha.
Aur agar aise hi lady logo ko akash apne paas rakhta raha tab to uske paas bhi line lag jayengi. Inki. Dekhte hai ye list kaha tak jati hai.
Aur sath me ye bhi puchna cahunga ki greeni ki maa use find nahi kar rahi hogi kya ?
Aur is Upadte se pahle mai sochta tha ki akash Quin city ka base jit skta hai. Lakin aaj ke update me aapne clear kar diya ki abhi aisa possible nahi hai. Aur Akash ka aisa sochna bhi bahut sahi hai ki uske paas 1 nahi 2 army honi cahiye ek uski ek abhi ki. Taki wo kud ki army ke use se bahar ja kar fight kar paye aur apna area bada sake. Jaise ki purane time me karte tha. Aur abhi wali army base me rah kar suraksha kar sake. Warna waha to inke na hone par kuch bhi kar skte hai.
Dekhte hai ye ending wali ladki kon thi. Kahi mita to nahi ya koi aur new girl ye to aage hi pata chlega.