• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy God and Devil

Sandy307

Broken Till There Is Nothing Left
3,921
12,459
159
Special Skeleton (White Bones) Level 9
Strength: 35
Agility: 23
Vitality:23
Stamina: 16/23
Spirit: 23
Endurance: 23
Skills: 1. Utilizing Bones
2. Reinforced Bones
Itna jyada takatvar ho gya WB Ab to zombie ki khair nhi Chalo akash ne 10 level pr pahuch kr use itna kuchh mila hai sath me novic villege ki jankari bhi vha jo Pahle pahuchega use spacial offer milega or reward bhi ye madam sue to abhi samajh hi nhi rhi ki duniya badal chuki hai inko gun bhi chahiye or kanoon bhi nhi tutna chahiye to akash ne akhirkar fir se Uni ki ladkiyo ko bchane ka faisla kiya or Riya ko bus chlane ko kaha akash or uske dost ka nishana kitna bekar hai sahi hai jivan me kabhi chlai ho to na pta chle, akash pahuch gya girl's hostel Apne promise ko pura karne yha use sirf 1 apple of vitality hi mila zombie ko marte huye... Superb update bhai sandar jabarjast
Thanks For Such A Lovely Review Bhai

Duniya Ke Hisab Se Chalna Pasta Hai Bhai Nahi To Insan Piche Reh Jata Hai, Aur Is Story Me Piche Nahi Rahe Ga Ya To Mar Jaye Ga Ya Zombie Ban Jaye Ga.

Keep Reading
Keep Supporting
 

Sandy307

Broken Till There Is Nothing Left
3,921
12,459
159
Matlab jab tak apne weapon se zombies ko nahi marenge tab tak inko koyi faida nahi hoga WB upgrade ho gaya jo in longo or achchi baat h
Ab dekhte h aage kia hota h
Bahot behtareen shaandaar update bhai
Lajawab
Thanks For The Lovely Review Bhai

Normal Weapons Ka Koyi Fayida Nahi Bhai System Weapons Se Marne Ke Baad Unko Exp Miley Gi.

Keep Reading
Keep Supporting
 

Sandy307

Broken Till There Is Nothing Left
3,921
12,459
159
boht hi zabardast awesome maiendblowing story h maza a gia wese to kai movies dekhi hoi hain

lakin is mai kuch hat k h
jese level upgrades Hona esi boht c cheezain hain
Thanks For The Lovely Comment Bhai

Movies Me Apne Vo Sab Kabi Nahi Dekha Hoga Jo Is Story Me Apko Padhne Ke Liye Milne Vala Hai, Sath Bane Rahiye

Keep Reading
Keep Supporting
 

Sandy307

Broken Till There Is Nothing Left
3,921
12,459
159
Update 18
Differences

“Koyi Uni Ke Ander Ayea Hai! Hame Bachane Koyi Ayea Hai!” School Bus Ke Engine Ka Sound Sunte Hi Charo Ladkiyo Ke Dil Khushi Se Jhum Uthey, Vo Sabi Jaldi Se Bhagti Huye Window Ke Pass Ayi Bahar Dekhne Ke Liye.

“Vo Akash Hai! Akash Hame Bachane Vapis Ayea Hai!” Piya Ko Akash Dikha Bus Ke Ander To Uski Ankho Me Anshu Aa Gaye Aur Vo Khushi Se Anshu Bahate Huye Boli.

Ab Aage

Piya Ki Jo Bachne Ki Ummed Mar Chuki Thi Vo Akash Ko Dekh Fir Jinda Ho Gayi Thi.

Kritika: “Great, Ab Ham Sab Bach Sakti Hai.”

School Bus Ko Dekhte Huye Kiritika Rotey Huye Boli.

Girl’s Hostel Me Fasi Hone Ki Vaja Se Uney Apne Bachne Koyi Chance Nahi Dikh Raha Tha, Kamre Me Khane Aur Piney Ka Sara Saman Khatam Ho Chuka Tha, Bina Khane Aur Pani Ke Vo Kuch Din Hi Jinda Reh Sakti Thi Uper Se Uney Ye Bi Dar Laga Rehta Tha Ki Zombies Kisi Vakt Bi Darwaja Tod Ander Aa Sakte Hai, Agar Charo Ek Dusare Ko Encourage Na Karti To Abtak To Vo Pagal Ho Chuki Hoti.

“Ab Ham Bach Jaye Gi!” Jiya Aur Ying Ek Dusare Ko Pakde Huye Boli Unki Ankho Se Khushi Ke Anshu Nikal Rahe Thay.

Usi Vakt Jab Kamre Ke Bahar Majud Zombies Ne Kamre Se Avaj Ati Suni To Vo Kamre Ke Darwaje Ko Bhuri Tarha Peetne Lage.

Zombies Ke Darwaja Peetne Ki Avaj Sun Charo Ladkiyo Ne Apne Muh Band Kar Liye Vo Apni Jagha Se Hilne Se Bi Dar Rahi Thi, Ek Sath Khadi Vo Darwaje Ki Tarf Darte Huye Dekh Rahi Thi, Akash Ke Unke Pass Aney Tak Darwaja Hi Unke Bachne Ki Akhiri Umeed Tha.

Kuch Der Darwaja Peetne Ke Baad Aachanka Hi Bahar Se Zombies Ki Avaj Ani Band Ho Gayi.

Avaj Ke Band Hotey Hi Charo Ladkiyo Ne Rahat Ki Sans Li, Abi Uno Ne Sans Muh Se Chhodi Hi Thi Ki Kamre Ke Darwaja Hila Aur Darwaje Ke Aage Pade Sare Saman Ko Piche Dhakelte Huye Darwaja Khul Gayea.

Khule Jukamo Se Bahara Sarir, Kali Skin, 2 Meter Lamba Aur Endless Oppression Ko Paida Karte Huye Ek Zombie Kamre Ke Ander Ghus Gayea, Vo L1 Zombie Tha Jo Charo Ladkiyo Ke Samne Aa Ke Khada Ho Gayea Tha, Darwaja Aur Uske Samne Bada Saman Kisi Bi Normal Zombie Ko Ander Aney Se Rok Sakta Tha Par Vo Power Type L1 Zombie Ko Rokne Me Saksham Nahi Tha.

“Ab Ham Nahi Bache Gi!”

Bahayanak Dikhne Vale L1 Zombie Ko Dekhte Huye Charo Ladkiya Ke Cehra Ka Rang Dar Ke Mare Safed Pad Gayea, Usey Dekhte Hi Uney Pata Chal Chuka Tha Ki Ab Vo Apni Mout Se Nahi Bach Paye Gi.

Ying Jo Chote Dil Vali Thi Uski Himmat Javab De Gayi Aur Vo Dar Ke Mare Jamin Par Gir Gayi.

Normal Zombies Ko Kam Dikhayi Deta Tha Vo Sound, Smell Aur Apni Instinct Ka Istemal Karte Thay Apne Shikar Ko Dundne Ke Liye, Zombies Ke Evolve Hone Se Unki Dekhne Ki Samta Kisi Aam Insan Jitni Ho Chuki Thi.

L1 Zombie Ne Jab Apni Vicious Ankho Se Ladkiyo Ko Ghur Ke Dekha To Vo Itna Dar Chuki Thi Ki Unse Apni Jagha Se Hila Bi Nahi Ja Raha Tha,

Piya: “Ek Sath Usey Rokhne Ki Kosis Karo Akash Hame Bachane Ata Hi Hoga!”

Piya Himmat Jutate Huye Apne Danto Ko Bhicte Huye Teeno Ladkiyo Se Boli, Fir Apne Pass Badi Ek Choti Lohe Ki Pail Ko Utha Ke L1 Zombie Ki Tarf Fenka.

Apni Tarf Lohe Ki Pail Ko Ata Dekh L1 Zombie Ne Us Se Bachne Ki Kosis Nahi Ki Aur Aage Badta Raha, Jab Lohe Ki Pail Zombie Ke Sar Se Takrayi To Usey Koyi Fark Nahi Pada Aur Na Hi Uske Aage Badne Ki Speed Kam Huyi,

Ye Dekhte Huye Teeno Ladkiya Aur Dar Gayi.

Kritika Aur Jiya Apne Dhanto Ko Bichte Huye Pass Me Pade Soaps Aur Shampoos Ko L1 Zombie Ki Tarf Fenkne Lagi, Par Usey In Sab Chizo Se Koyi Fark Nahi Pad Raha Tha.

L1 Zombie Jald Hi Unke Pass Ponch Gayea Aur Usne Ying Ko Pakad Liya, Jo dar Ke Mare Jamin Par Padi Huyi Thi, Zombie Ne Apna Muh Khola Aur Ying Ki Neck Par Kat Liya, Uska Hamla Sidha Gale Par Huya Jiski Vaja Se Khoon Bahar Behne Laga.

Gale Par Katne Ki Vaja Se Ying Chila Bi Na Payi Par Uski Ankho Me Dard Saaf Saaf Dikh Raha Tha, Vo Apne Hatho Aur Pairo Ko Hilate Huye Zombie Se Chutne Ki Kosis Kar Rahi, Par L1 Zombie Ki Takat Us Se Kahi Jada Thi Jis Vaja Se Jada Khoon Behne Karaan Jald Hi Uske Hath Pair Hilne Band Ho Gaye.

Itna Bhayanak Scene Dekhne Ke Baad Teeno Ladkiyo Ki Ladne Ki Will Javab De Gayi Aur Vo Teeno Jaldi Se Khidki Ke Pass Ponch Gayi.

“Bahar Kudo! Khud Ko Jinda Khatey Huye Dekhne Se Aacha Ham Kud Ke Apni Jaan De De!” Piya Chilate Huye Boli.

Kritika Aur Jiya Ne Darte Darte Window Se Niche Dekha Aur Niche Kudne Ki Himmat Na Juta Payi.

Ying Ke Galey Ka Mass Khane Ke Baad L1 Zombie Khada Ho Gayea Aur Teeno Ladki Ki Tarf Gurte Huye Aage Badne Laga.

Zombie Ka Khoon Se Bhara Muh Dekhne Ke Baad Teeno Ladkiyo Ko Apni Mout Dikhne Lagi.

Abi Zombie Unke Pass Ponchta Ki Akash Kamre Ke Ander Aa Poncha, Ander Aney Ke Baad Vo Cheetah Ki Speed Se Aage Bada Aur Lighting Ki Speed Se Apni Sword Ko Move Karte Huye L1 Zombie Ki Neck Par Vaar Kar Diya.

Akash Ki Speed L1 Zombie Se Kayi Guna Tej Thi, Zombie Ko React Karne Ke Time Bi Nahi Mila Aur Sword Slash Ki Vaja Se Uska Sar Kat Te Huye Hawa Me Udta Huye Uper Chat Se Ja Takrayea.

Ek Hi Vaar Me Zombie Ka Sar Kat Te Dekh Teeno Ladkiyo Ki Ankhe Badi Badi Ho Gayi Aur Unka Muh Khul Gaye Hairani Se, Jo Zombie Unko Apni Mout Lag Raha Tha Vo Akash Ka Ek Vaar Bi Jhel Nahi Payea Tha.

Us Vakt Khoon Se Sana Hone Ke Bavajud Teeno Ladkiyo Ko Akash Bohat Pyaara Lag Raha Tha.

Akash: “Mere Sath Chalo!”

Akash Ne Teeno Ladkiyo Ko Ek Najar Dekha Fir Bola.

Usne Life Coins Aur Teen White Treasure Box Uthaye Jo L1 Zombie Se Nikale Thay, Bina Ruke Bahar Ke Tarf Chalne Laga, Usne Abi Baki Survivors Ko Bi Bacha Tha Jo Girls Hostel Me Fase Huye Thay Kyoki Usne Unse Vada Kiya Tha Ki Vo Unko Bachane Vapis Aye Ga.

Teeno Ladkiyo Ne Sar Han Me Hilayea Fir Uske Piche Chal Padi, Kritika Us Se Kuch Kehna Chahti Thi Par Akash Ne Uski Tarf Dekha Bi Nahi.

Duniya Ke Badlne Ke Baad Akash Ko Harvakt Tension Lagi Rehti Thi, Uska Dimag Ek Pal Ke Liye Bi Relax Nahi Huya Tha, Na Chahte Huye Bi Usey Vo Kam Karne Pad Rahe Thay Jo Vo Kabi Karne Ke Bare Me Soch Bi Nahi Sakta Tha, Uske Dil Ke Ek Khone Me Dar Paida Ho Chuka Tha Ki Pata Nahi Future Me Keya Hoga.

Kamre Se Bahar Nikalte Hi Teeno Ladkiyo Ek Bhayanak Scene Dekhne Ko Mila, Bahar Hallway Sar Kate Zombies Ki Body Thi Aur Unke Sar Se Bahar Pade Tha, Jaha Tak Unki Nakar Ja Rahi Thi Vaha Tak Zombies Ki Body Jamin Par Bhikri Huyi Thi.

Zombies Ki Disgusting Bodies Ko Dekh Teeno Ladkiyo Ka Bura Haal Ho Gayea Uney Eysa Lag Raha Tha Ki Vo Abi Vomit Kar Deyngi.

“Hamara Liye Ruko!” Akash Ko Aage Badta Dekh Kritika Gabrate Huye Uchi Avaj Me Boli, Uske Bachne Ka Yahi Chance Tha Aur Vo Usey Khona Nahi Chahti Thi, Agar Akash Us Se Dur Ho Jata To Usey Pata Tha Ki Vo Kisi Bi Halat Me Bach Nahi Paye Gi.

Akash Ne Piche Palat Ke Teeno Ladkiyo Ki Tarf Dekha Aur Thode Gusse Me Bola:

“Keya Kar Rahi Ho Tum Sab Jaldi Chalo!”

Akash Ke Dhantne Se Usey Bura Laga Uski Ankhe Laal Ho Gayi Aur Unme Se Anshu Girne Lage, Us Se Aj Tak Kisi Ne Uchi Avaj Me Baat Tak Nahi Ki Thi Sabi Us Se Pyaar Se Hi Baat Karte Thay, Vo Jaha Jati Sab Uski Tarif Hi Karte Thay Aurun Ginat Ladke Uski Khubsurti Ki Vaja Se Uske Piche Lage Rahete Thay, Aj Pehli Baar Kisi Ne Usey Dhanta Tha Vo Bi Itni Buri Tarha Se.

Usi Vakt Piya Chalte Huye Akash Ke Pass Ponchi Aur Boli:

Piya: “Akash Keya Tumne Mujey Pehchana?”

Akash Ne Piya Ki Tarf Dekha Fir Sochte Huye Smile Ke Sath Bola:

Akash: “Piya Ji, Apka Suriya Jo Us Vakt Apne Mujey Tutor Ki Job Dilayi Thi.”

Sonia Ko Tuition Deyne Ki Job Piya Ne Usey Dund Ke Di Thi Aur Uski Vaja Se Sonia Ke Parents Usey Sonia Ko Tuition Deyne Ke Liye Raji Huye Thay, Agar Usey Tutoring Job Na Milti To Uske College Ke Din Bohat Muskil Se Gujarne Thay.

Piya Ko Rahat Mili Aur Vo Smile Ke Sath Boli:

Piya: “Nahi Nahi, Vo Job To Tumahri Mehnat Ki Vaja Se Tume Mili Thi, Agar Tumne Us Little Witch Ko Tumse Tuition Leyne Ke Liye Raji Na Kiya Hota To Main Bi Tumahri Koyi Madad Na Kar Pati.”

Akash: “Piya Ji Apne Pure Din Se Kuch Khayea Nahi Hoga, Ye Lijeya Ye Porridge Can Hai Is Se Apko Kuch Rahat Miley Gi.”

Akash Apne Backpack Se Ek Porridge Can Nikaalte Huye Piya Ko Deyte Huye Bola.

Kritika Aur Jiya Piya Ke Hath Me Pakde Porridge Ke Can Ko Ghur Rahi Thi, Can Ko Dekh Unki Ankhe Badi Badi Ho Gayi Thi, Uno Ne Kalse Kuch Khayea Nahi Tha Jis Vaja Se Uney Bohat Bhookh Lagi Huyi Thi, Agar Vaha Akash Na Hota To Sayad Abtak Vo Piya Ke Hath Se Porridge Ka Can Chin Chuki Hoti.

Piya Ne Akash Ko Madad Ki Najaro Se Dekha Usey Bi Apni Dono Friends Ki Halat Ka Pata Tha.

Akash Ne Ek Baar Fir Apne Backpack Ko Khola Aur Usme Se Do Bread Ke Piece Ko Nikala Aur Kiritika Aur Jiya Ko Dete Huye Bola:

Akash: “Tum Dono Filhal Is Se Kam Chalayo Jab Ham Vapis Ghar Ponch Jaye Gaye To Tum Pet Bhar Khana Kha Sakti Ho.”

Akash Ke Backpack Me Uske Khud Ke Liye Emergency Supplies Thi Jisey Vo Kisi Ko Deyna Nahi Chahta Tha Kyoki Agar Vo Kisi Muskil Situation Me Fas Jata To Vo In Emergency Supplies Ki Madad Se Kuch Din Jinda Reh Sakta Tha.

“Thank You!” Bread Ko Pakadte Huye Jiya And Kirtika Akash Ka Sukriya Karte Huye Boli.

“Uske Liye Piya Ki Importance Mujse Jada Hai!” Kritika Ne Bread Khatey Huye Akash Ki Tarf Dekhte Huye Khud Se Bola, Vo Kisi Pari Ki Tarha Thi Aur Piya Se Kahi Jada Sundar Thi, Piya Ko Akash Us Se Mukable Bohat Aache Se Treat Kar Raha Tha Jisey Dekh Usey Kahi Na Kahi Bohat Bura Lag Raha Tha.

Teen Ladkiya Ke Elava Akash Ko 9 Ladkiya Aur Mili Jab Vo Girls Hostel Ke Baki Ke Kamro Ko Check Kar Raha Tha.

Hostel Me Hundreds Of People Reh Sakte Thay Par Usey Siraf 12 Survivors Mile Thay, Baki Ke Log Agar Zombies Me Nahi Badle Honge To Uney Zombies Ne Kha Liya Hoga.

Akash 12 Surviving Ladkiyo Ke Sath Vapis School Bus Me Aa Gayea, Ander Bethne Ke Baad Riya Se Bola:

Akash: “General Office Ki Building Ki Tarf Chalo.”

Riya Ne Kuch Nahi Bola Aur Bus Ko Start Karte Huye General Office Ki Building Ki Tarf Bada Diya.

Bus Ke Office Building Ke Samne Rukne Ke Baad Akash Aur Abhi Bus Se Niche Utar Aye.

Building Ke Ass Pasa Jada Zombies Nahi Thay To Vaha Ke Zombies Ko Abhi Ke Uper Chhod Vo Khud Wb Ke Sath Building Ke Ander Ghus Gayea.

Building Ke Ander Aney Ke Baad Vo Bhagta Huya Financial Office Ke Aage Poncha.

Financial Office Ka Darwaja Band Tha Aur Uske Ander Kisi Parkar Ki Koyi Bi Halchal Nahi Thi.

Bahar Khada Hone Ke Baad Akash Uchi Avaj Me Chilayea:

Akash: “Main Akash Zhen Keya Tum Ander Ho?”

“Main Ander Hun!” Office Ke Anderse Avaj Ayi Fir Office Ka Darwaja Khula Aur Zhen Surprised Look Ke Sath Akash Ki Tarf Dekhte Huye Bahar Ayea, Usne Socha Nahi Tha Ki Akash Uney Bachane Vapis Aye Ga, Usey To Laga Tha Ki Vo Kabi Aye Ga Hi Nahi.

Zhen Gratitude Ke Sath Akash Se Bola:

Zhen: “Akash Tumhara Bohot Bohot Sukriya Jo Tun Hame Bachane Vapis Aye.”

Akash: “Jaldi Chalo!”

Zhen: “Yes!”

Zhen Ka Group Akash Ke Piche Piche Jald Hi Bus Ke Ander Vapis Aa Gayea.

Riya Ne Zhen Ke Group Ko Bus Ke Ander Vapis Atey Dekha To Usne Akash Se Pucha:

Riya: “Keya Ham Ghar Vapis Ja Rahe Hai?”

Akash Ne Jaldi Se Javab Diya:

Akash: “ Nahi, Chorahe Ke Pass Vali Supermarket Ki Tarf Chalo! Hame Aur Supplies Ki Jarurt Hai.”

Thodi Der Baad School Bus Supermarket Ke Samne Aa Ke Ruk Gayi.

Engine Ke Sound Se Attracted Supermarket Ke Aas Pass Ke Zombie Bus Ki Tarf Badne Laga, Vaha Par Zombie Ki Ginti Kam Nahi Thi.

Zhen Itne Zombies Ko Dekhte Huye Darte Darte Akash Se Bola:

Zhen: “Yaha Par Kitne Sare Zombies Hai, Keya Hamara Yaha Rukna Jaruri Hai?

Glass Vala Ladka Jiska Name Chin Tha Zombies Ko Dekhte Huye Riya Se Bola:

Chin: “Hame Yaha Se Chalna Chahiyea, Ham Kuch Din Ruk Kar Supplies Dund Sakte Hai Abi Yaha Bohat Khatra Hai, Riya Bus Chalo Ham Isi Vakt Yaha Se Nikalna Hai.”

Riya Ne Akash Ki Tarf Dekhte Huye Chin Ki Baat Par Koyi Dheyan Nahi Diya, Usey Aache Se Pata Tha Group Me Kiska Order Follow Karna Hai.

Chin Ne Jab Dekha Uske Sabdo Ko Riya Par Koyi Asar Nahi Huya To Usey Sharmindagi Si Mehsus Hone Lagi.

Akash Ne Unki Baato Par Koyi Dheyan Nahi Diya Aur Bola:

Akash: “Darwaja Kholo!”

Riya Akash Ke Bolte Hi Darwaja Khol Diya.

Bahar Zombie Ko Dekhte Huye Akash Ne Wb Ko Order Diya:

Akash: “White Bones Lag Jayo Kam Pe.”

Akash Ka Order Milte Hi Wb Zombies Ki Tarf Bad Gayea.

Wb Ke Jatey Hi Akash Ne Bus Se Niche Utra Fir Ek Baar Supermarket Ke Ander Ja Kar Usey Aache Se Check Karne Laga, Jab Ander Usey Koyi Zombie Nahi Dikha To Vo Bus Ke Ander Vapis Aney Ke Baad Bus Me Majud Sabi Ko Dekhte Huye Uney Order Deyte Huye Bola:

Akash: “Riya, Priya Aur Sonia Ko Chhod Baki Sabi Jaldi Se Niche Utaro Aur Supplies Ko Transport Karna Suru Karo!”

Ajay Akash Ke Word Sunte Hi Jaldi Se Bus Se Niche Utra Aur Supermarket Ki Tarf Bad Gayea, Usey Akash Ki Personality Ke Bare Me Aache Pata Chal Chuka Tha, Agar Koyi Kam Nahi Kare Ga To Future Me Sabse Pehle Vo Usey Nikaal Dega Jo Koyi Kam Karne Me Help Nahi Karna Chahta.

Ajay Ke Elava Koyi Apni Jagha Se Nahi Hila, Unke Aas Pass Zombies Hi Zombies Thay, Street Khatre Se Bhari Padi Thi Unke Ander Itni Bi Himmat Nahi Thi Ki Vo Bus Ne Niche Bi Utar Sakte.

Akash Frowned Aur usne Sabki Tarf Dekha Fir Cold Voice Me Bola:

Akash: “Agar Tum Sab Supplies Transport Nahi Karna Chahte To Koyi Baat Nahi Par Itna Samj Lo Ki Jo Supplies Transport Nahi Kare Ga Usey Meri Supplies Me Se Kuch Nahi Milne Vala Aur Future Me Tumey Khudke Liye Supplies Khud Dundni Pade Gi.”

Is Post Apocalyptic Duniya Me Akash Ko Jinda Rehne Ke Liye Khud Bi Labour Karni Padti Thi, Jis Vaja Se Vo Eyse Logo Ko Apne Sath Bilkul Bi Nahi Rakhna Chahta Jo Hath Bi Nahi Hilana Chahte.

Piya Jo Samajdar Thi Vo Boli:

Piya: “Chalo! Kritika, Jiya Ham Supplies Transport Kare Ge.”

Kritika Ne Pout Karte Huye Riya, Priya Aur Sonia Ki Tarf Dekha Usko Bohat Bura Lag Raha Tha Par Vo Fir Bus Se Niche Utar Supermarket Ki Tarf Chal Padi Usey Pata Tha Ki Is Vakt Akash Ke Khilaf Jana Uske Liye Aacha Nahi Hoga.

Zhen: “Sabi Aayo Chalo Supplies Ko Transport Karne Me Madad Kare! Is Vakt Ham Sab Ek Sath Bandi Huyi Rasi Ki Tarha Hai, Hame Ekta Dikhate Huye Jinda Rehne Ke Liye Mehnat Karni Chahiye.”

Zhen Bus Me Majud Sabi Ko Kam Karne Ke Liye Samjate Huye Apne Group Ke Sath Supermarket Ki Tarf Bad Gayea.

Piya Aur Zhen Ki Vaja Se Baki Ki Ladkiya Thodi Jhijhaki Fir Vo Bi Bakiyo Ki Madad Karne Lagi Supplies Transport Karne Me.

Akash Abhi Ko Bus Ke Ander Firearms Ko Protect Karne Ke Liye Bol Khud Bus Se Niche Utar Ayea, Vo Sabki Safety Ka Dheyan Rakh Rha Tha Ki Kahi Koyi Zombie Wb Se Bach Ke Unke Pass Na Ponch Jaye,

“Amazing!” Zhen Ne Jab Supplies Transfer Karte Huye Wb Ko Dekha To Uska Dil Shock Se Bhar Gayea.

Wb Apni Ax Ko Ghumate Huye Zombies Ko Lagataar Kat Te Ja Raha Tha, Ek Vaar Aur Ek Zombie Khatam Uska Ek Bi Vaar Abtak Khali Nahi Gayea Tha, Ek Bi Zombie Ke Pass Wb Ke Vaar Ko Jhelne Ki Samta Nahi Thi.

Zhen: “Agar Mere Pass Eysi Ability Hoti To Kitna Aacha Hota.”

Wb Ki Takat Jo Kisi Average Insan Se Kayi Guna Jada Thi Usey Dekhte Huye Zhen Khud Se Bola, Uski Ankho Me Wb Jeysi Ability Paney Ki Mansa Saaf Saaf Dhik Rahi Thi.

Alpen Uni Ke Student Union President Ki Post Par Lagataar Bane Rehna Ki Vaja Se Ye Kaha Ja Sakta Hai Vo Stupid Logo Me Se Nahi Tha, Usey Ye Baat Saaf Ho Chuki Thi Ki Jiske Pass Jitni Takat Hogi Vo Utni Aasani Se Is Post Apocalyptic World Me Jinda Reh Sakta Hai, Takatvaar Ban Ne Ke Liye Uske Pass Ek Hi Rasta Tha Ki Vo Apni Jaan Ko Jokim Me Dal Ke Zombies Se Ladey Par Usme Itni Himmat Nahi Thi.

Sabki Mehanat Ki Vaja Se Supermarket Ki Jada Tar Supplies Bus Me Transport Ho Chuki Thi.

Akash Ne Bus Me Bhari Supplies Ko Dekhte Huye Sabko Bus Ke Ander Vapis Aney Ke Liyr Kaha Aur Fir Riya Se Bola:

Akash: “Ghar Chalo!”

Pure Raste Bina Kisi Muskil Ka Samna Kiye Sabi Riya Ke Apartment Ke Niche Ponch Gaye.

Apartment Ke Samne Bus Rukne Ke Baad Akash Ne Sabi Ko Supplies Aur Firearms Riya Ke Apartment Me Transfer Karne Ke Liye Kaha, Kehne Ke Baad Vo Khud Priya Ko Goud Me Utha Uper Chadne Laga.

Priya Ke Cehre Par Akash Duvara Uthane Se Halki Si Smile Aa Gayi Par Usne Jald Hi Apne Cehre Ko Normal Kar Liya, Akash Ke Piche Wb Ammunition Ke Box Pakde Chal Raha Tha.

Kamre Me Aney Ke Baad Akash Ne Priya Ko Hall Me Padey Sofa Par Lita Diya Aur Usey Rest Karne Ke Liye Kaha Aur Khud Bhara Aa Gayea.

Bus Me Majud Sabi Saman Ko Riya Ke Apartment Ke Ander Move Karne Ke Baad Sabi Jaha Jagha Mili Vaha Beth Apna Pet Bharne Lage.

Firearms Aur Ammunitions Ko Akash Ke Kamre Me Eakha Gayea Tha Jiske Darwaje Ke Aage Wb Khada Usey Guard Kar Raha Tha.

Zhen ek Porridge ka can pakde huye akash ke pass bethne ke baad smile ke saath usne akash se pucha:

Zhen: “ Akash Tumhara Aage Ka Keya Plan Hai? Halong City Enclave Ki Tarf Badna?

Zhen Ko Halong City Encalve Ke Bare Me Gita Se Pata Chala Tha.

Zhen Ke Words Sunte Hi Sabi Survivors Akash Ki Tarf Dekhne Lage, Unki Ankhe Aasha Se Bhari Huyi Thi, Kamre Me Majud Jada Tar Log Yaha Zombies Ke Bich Rehne Ki Jagha Government Duvara Banaye Gaye Halong City Enclave Ki Tarf Jana Chahte Thay, Chahe Vo Saaf Place Par Ponch Chuke Thay Par Unke Dil Me Abi Bi Dar Tha Ki Zombies Pata Nahi Kab Unpar Hamla Kar De.

Akash Apple Of Vitality Kahne Ka Baad Dhere Dhere Bola:

Akash: “Nahi! Filhal Ke Liye Main Puskin City Me Kuch Der Rukna Chahta Hun.”

“Tum Eysa Kese Kar Sakte Ho? Tumhari Vaja Se Baki Sabi Ko Puskin City Me Rukna Padey Ga Jo Zombies Se Bhari Padi Hai! Kyon Na Ham Voting Kare Ke Decide Kare Kon Puskin City Me Rehna Chahta Hai Aur Kon Halong City Ki Tarf Jana Chahta Hai, Dono Options Me Se Jisko Jada Vote Miley Gi Ham Sab Uske According Aage Bade Ge, Jo Halong City Ki Tarf Jana Chahta Hai Apne Hath Khade Karo!” Ek Ladka Jo Dikhne Me Kafi Handsome And Capable Lag Raha Tha Zhen Ke Group Me Se Aur Mahi Name Ki Ek Ladki Akash Ke Words Sun ne Ke Baad Dissatisfaction Ke Sath Bole, Aur Uno Ne Sabse Pehle Apne Hath Khade Kar Liye.

Kuch Samey Tak Kamre Me Shanti Rahi Fir Riya, Priya, Sonia, Ajay, Abhi, Ritika, Gita Aur Madhu Ke Elava Sabi Ne Apne Hath Uper Utha Liye, Koyi Bi Vaha Rehna Nahi Chahta Tha

Itne logo ke hath apne proposal ke response me uthey dekh mahi smile ke sath akash ko boli:

Mahi: “ Adhe Se Jada Lago Ne Yaha Se Jane Ka Fainsala Liya Hai, Proposal Approved.”

“Good!” Akash Ne Apna Sar Ha Me Hilayea.

Akash Ko Apna Sar Han Me Hilata Dekh Jino Ne Apne Hath Uper Uthaye Thay Uno Me Rahat Ki Sans Li, Par Uske Baad Akash Ke Muh Se Nikale Words Ne Uney Aasman Se Sidha Jamin Par Patak Diya.

Akash Sabki Ankho Me Dekhte Huye Deep Vocie Me Bola:

Akash: “Tum Log Yaha Se Ja Sakte Ho! Main Tum Me Se Kisi Ko Nahi Roku Ga, Jatey Vakt Tum Sab Apne Sath 5 Din Ki Supplies Le Jana.”

Akash Ne Unki Jaan Bachayi Thi Kyoki Usne Unse Vada Kiya Tha Unko Bachane Ka Par Unke Loye Itna Hi Kafi Nahi Tha, Logo Ka Nature Hi Eysa Tha Ki Agar Ap Unki Madad Karne Ki Kosis Karo To Vo Ulta Ap Par Ilzam Lagane Lagte Hai, Eysa Logo Ko Vo Apne Sath Nahi Rakhna Chahta Tha Jo Kisi Bi Pal Uske Khilaf Ho Jaye Aur Uski Madad Karne Ki Jagha Uski Musibat Aur Bada De, Is Post Apocalyptic Duniya Me Pehle Hi Bohat Si Musibate Thi Aur Akash Uney Aur Nahi Badana Chhata Tha.

Akash ke word sunte hi sabke cehre ka rang peela pad gayea.

Bahar Duniya Me Zombies Bahare Pade Thay Aur Vo Sab Ordinary Insans Thay Jinke Pass Zombies Se Ladne Ki Takat Nahi Thi Aur Nahi Vo System Ki Madad Se Takatvaar Huye Thay, Jis Vaja Se Ek Kadam Bi Aage Badana Unke Liye Bohat Muskil Tha Aur Supplies Utha Ke Chalna To Unki Musibat Aur Bada Deyta.

Zhen Jaldi Se Mahi Ki Madad Karne Ke Liye Bola:

Zhen: “Akash Majak Mat Karo, Mahi Kisi Ka Nuksan Nahi Chahti, Vo To Bs Sabka Opinion Jan Na Chahti Thi.”

Akash: “Main Majak Nahi Kar Raha, Agar Baat Uthi Hai To Main Saaf Saaf Sabdo Me Sabko Batana Chahu Ga.”

Itna Bolne Ke Baad Akash Ne Sabi Ki Tarf Dekha Fir Serious Hotey Huye Bola:

Akash: “Jo Bi Jana Chahta Hai Vo Ja Sakta Hai Main Usey Nahi Roku Ga, Tum 5 Din Ki Supplies Utha Kar Ja Sakte Ho Par Tume Khud Ki Raksha Khud Karni Hogi, Agar Tum Rukna Chahte Ho To Tume Meri Har Order Ko Mann Na Hoga, Ladko Ko Mere Sath Zombies Se Fight Karni Hogi Vahi Ladkiyo Ko Logistical Kam Karne Hoge Jese Supplies Ko Transport Karna Cooking Karna Cleaning Karna Aur Bi, Agar Ladkiya Logistic Kam Nahi Karna Chahti To Uney Mere Sath Zombie Se Fight Karni Hogi, Meri Team Ko Eyse Kisi Vyakti Ki Jarurt Nahi Hai Jo Kisi Kam Me Bi Madad Nahi Karna Chahta.”

Akash kuch Sec Chup Rehne Ke Baad Fir Dhere Dhere Bola:

Akash: “Maine Is Building Ke Sabi Zombies Ko Clear Kar Diya, Agar Tumne Jane Ka Fainsala Liya Hai To Tum Building Ke Kisi Bi Kamre Me Reh Sakte Ho, Par Main Saaf Saaf Sabdo Me Batana Chahu Ga Ki Main Tum Sabke Liye Jitna Kar Sakta Tha Utna Kar Chuka Hun, Future Me Agar Tumhare Pass Supplies Nahi Hongi To Mujse Mat Mangna Main Tume Kuch Nahi Deyne Vala.”

Ek Khubsurat Dekhne Vali Ladki Jiska Name Mina Tha Vo Boli:

Mina: “Keya Ye Aadmio Ki Duty Nahi Ki Vo Aurton Ki Suraksha Kare? Tumhari Soch Bohat Choti Hai Tum Ek Aadmi Ki Tarha To Bilkul Bi Act Nahi Kar Rahe, Keya Tumne Vo Phrase Nahi Suna ‘ With Great Power Comes Great Responsibility’?”

( Authour Note: “Isne Bi Spiderman Dekhi Lagti Hai.”)

Akash Ne Mina Ki Tarf Dekha Fir Dhere Dhere Bola:

Akash: “Main Tumse Puchna Chahta Hun, Canfri Me Pata Nahi Kitne Hi Logo Ke Pasa Kahne Ke Liye Kuch Nahi Hai, Keya Ye Dukh Ki Baat Nahi Hai?”

Mina Ne Blankly Javab Diya:

Mina: “Bohat Dukh Ki Baat Hai!”

Akash Ne Mina Ki Tarf Dekhte Huye Fir Pucha:

Akash: “Vo Log Itne Garib Hai To Tumne Apni Family Asset Ko Bech Kar Unko Donation Kyon Nahi Di? Past Me Agar Tum Apni Family Ki Sabi Chize Bech Kar Donate Karti To Tum Hundreds Of Canfri Logo Ki Jindigayea Bacha Sakti Thi Ya Us Se Bi Jada, Tumahre Pass Unko Bachane Ki Ability Thi Par Tumne Unki Madad Nahi Ki, Iske Bare Me Keya Kehna Chaho Gi? Tum Pata Nahi Kitna Paise Kharch Karti Ho Ek Cosmetic Ki Bottle Kharidne Ke Liye Tume Andaja Bi Hai Utne Pasie Me Kitne Kilograms Of Rice Aa Sakte Hai Jinse Tum Kitne Ki Canfri Logo Ki Jaan Bacha Sakti Thi, To Tumne Unki Madad Kyon Nahi Ki?

Akash: “Chalo Dur Ki Baat Na Karte Huye Ham Counrtside Ke Bare Me Baat Karte Hai, Vaha Bohat Se Log Eyse Hai Jo Padh Nahi Patey Kyoki Unke Pass School Fees Deyne Ke Liye Pasie Nahi Hai, Tum Itni Mahan Ho To Tumne Apne Adhe Living Expenses Ko Unki Madad Ke Liye Donate Kyon Nahi Kiya? Sayad Tumhare Ek Vakt Ka Dinner Kisi Student Ki Padhne Likhne Ki Icha Ko Pura Kar Pata.”

Mina Mentally Prepared Nahi Thi Eyse Savalo Ke Liye, Akash Ke Saval Sun Uske Muh Se Koyi Word Nahi Nikal Payea

Akash Dhere Se Bola: “Tume Bolne Ke Elava Kuch Nahi Ata, Agar Tum Jo Kaam Nahi Kar Sakti To Tume Kisne Hak Diya Ki Tum Kisi Aur Ko Force Karo Vo Kaam Karne Ke Liye? Main Manta Hun Ki Main Vo Sab Nahi Kar Sakta, Main Ek Ordinary Sa Ladka Hun Aur Main Itna Mahan Nahi Hun Ki Main Kisi Anjan Skash Ki Madad Karne Ke Liye Apna Sabkuch Bech Dun, Aj Se Pehle Ham Dono Ek Dusare Ke Liye Anjaan Thay, Tume Bachane Ke Baad, Tumko Ye Demand Karne Ka Kya Aadikhar Hai Ki Main Tumhari Suraksha Karu? Tum Kisi Eyse Ko Dund Sakti Ho To Tumhari Pura Mann Laga Ke Suraksha Kare, Mujey Maaf Karne Main Vo Nahi Hun.”

Mina Ki Bolti Band Ho Gayi Thi Akash Ke Words Se, Akash Ka Attitude Bilkul Clear Tha Jisme Koyi Badlaav Nahi Ane Vala Tha Kisi Ki Bato Se, Aur Uske Pass Bi Akash Ke Reason Ko Galat Sabit Karne Ke Liye Koyi Javab Nahi Tha

Zhen Ne Kuch Der Sochne Ke Baad Akash Ki Tarf Dehte Huye Us Se Pucha:

Zhen: “Akash Keya Tum Hame Kuch Firearms Aur Ammunition De Sakte Ho? Agar Tum Hame Kuch Firearms Aur Ammunition De Doge To Ham Khud Ko Bacha Aye Ge.”

Sonia Ne Zhen Ki Tarf Dekha Fir Boli:

Sonia: “Tumhari Chamdi Sach Me Moti Hai, Firearms Aur Ammunition Ko Lana Ke Liye Hame Apni Jaan Ko Jokim Me Dalna Pada Tha Ham Tumey Vo Kyon De.”

Zhen Ne Kuch Bola Nahi Par Vo Sonia Ko Ghur Ghur Ke Dekh Raha Tha.

Akash Saaf Mana Karte Huye Bola:

Akash: “Bilkul Bi Nahi! Main Tume Firearms Aur Ammunition Nahi De Sakta.”

“Bina Firearms Aur Ammunition Ke Ham Bahar Jinda Kese Reh Paye Ge? Keya Tum Hame Eyse Hi Marne Ke Liye Chhod Doge?” Ek Ladka Jiska Name Yun Tha Aur Jo Zhen Ke Piche Khada Tha Vo Bola.

Akash Deep Voice Me Bola: “Zombies Ko Marne Se Tume Exp Miley Gi Ye Main Tume Pehle Hi Bata Chuka Hun, Agar Tum Zombies Se Fight Karne Ki Himmat Kar Saku To Tum Takatvaar Ban Sakte Ho, Iske Elava Main Aur Kuch Nahi Kahu Ga, Tum Sab Jaldi Se Fainsala Karo Ki Tum Yaha Rukna Chahte Ho Ya Yaha Se Jana Chahte Ho.”

Yun, Mahi And 2 Aur Students Ne Zhen Ki Tarf Dekha, Jisne Unki Jaan Bachayi Thi Uspar Bharosha Karne Ki Jagha Unko Zhen Par Jada Bharosha Tha Kyoki Vo Unka Friend Tha.

Zhen Apni Jagha Se Khada Aur Sabki Tarf Dekhne Ke Baad Passionately Bola:

Zhen: “Akash Mujey Bachane Ke Liye Tumhara Sukriya, Magar Main Tumhari Soch Se Sehmat Nahi Hun, Har Ek Aadmi Ka Ye Kartaveya Banta Hai Ki Vo Aurat Ki Suraksha Kare, Sabi Meri Baat Dheyan Se Suno Main Jitni Jaldi Ho Sake Utni Jaldi Halong City Me Ponchne Ki Kosis Karu Ga, Agar Jo Bi Mere Sath Ana Chahta Hai To Main Us Se Vada Karta Hun Ki Main Apni Jaan Ko Kaim Me Dal Ke Bi Uski Suraksha Karu Ga, Main Kisi Ka Bi Sath Nahi Chodo Ga Aur Sabko Sukraksit Halong City Me Ponchayu Ga.

Bohat Si Ladkiyo Ki Ankho Me Ajeeb Ki Chamak Thi, Unke Hisab Se Akash Ke Mukable Zhen Apne Inspirational Words, Handsomeness Aur Student Union Ka President Hone Ki Vaja Se Asli Mard Tha.

Girl’s Hostel Ki 12 Ladkiya Jald Hi Do Hisso Me Bant Gayi Ek Group Me Vo Thi Jino Ne Akash Ke Sath Rehne Ka Fainsala Kiya Aur Dusare Group Me Vo Thi Jo Jaha Ek Pal Bi Rehna Nahi Rukna Chahti Thi, Zhen Ke Mukable Akash Ne Kuch Nahi Bola Tha Unko Rokne Ke Liye Aur Unke Liye Akash Ek Gentleman To Bilkul Bi Nahi Tha, Duniya Ko Badle Abi Jada Din Nahi Huya Thay Jis Vaja Se Un Ladkiyo Ki Soch Me Bilkul Bi Change Nahi Ayea Tha Kyoki Unka Samna Abi Tak Duniya Ki Cruelty Se Nahi Huya Tha.

Jald Ki Zhen Ka Group Apne Hisey Ki Supplies Utha Ke Riya Ke Apartment Me Se Bahar Chala Gayea, Unke Bahar Jatey Hi Riya Ne Kamre Ka Darwaja Band Kar Diya.

“Tum Unke Sath Kyon Nahi Gayi?” Akash Ne Mina Ko Kamre Me Dekh UsKi Tarf Curiosity Se Dekhte Huye Pucha. Mina Un Ladkyo Me Se Thi Jisne Uske Fainsale Par Saval Uthyea Tha Usey Laga Tha Vo Bi Zhen Ke Piche Piche Vaha Se Chali Jaye Gi.

Mina Akash Ki Tarf Dekhte Huye Boli: “Agar Zhen Ke Pass Zombies Se Fight Karne Ki Himmat Hoti To Vo Is Vakt Yaha Na Hota, Unke Paas Na Hi Koyi Weapon Hai Aur Na Hi Unme Zombies Se Ladne Ki Takat Hai Unke Sath Jana Marne Ke Barabar Hai, Sirf Bholi Bhali Ladkiya Ki Uski Mithi Mithi Bato Me Fas Ke Uski Bato Par Yakeen Kar Sakti Hai Par Main Unme Se Nahi Hun.”

To Be Continue...

(Author Note – Update Me Apko Koyi Bi Galti Lage, Ya Koyi Word Ya Line Samj Na Aye To Bejijhak Usey Highlight Karte Huye Mujey Jarur Bataye Tan Jo Next Update Main Usey Thik Kar Saku Aur Ek Shandar Story Apke Samne Pesh Kar Saku. Xièxiè)
 
Top