• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy GHOST AGENT SHIVAY

ARSH

New Member
16
70
13
India ke ek pahadi gaon me bahut andhera faila hua tha bahan na hi bijali thi aur na hi koi anya adhunik sadhan the
Usi andheri raat me ek ghar me bahut chahal kadami chal rahi thi aur kai aurate ek kamare me baate kar rahi thi aur ek aurat dard se ro rahi thi aur kuchh samay baad us aurat ka rona band ho jaata hai aur ek bachche ki rone ki aabaj aane lagati hai
Tabhi ek aurat us kamare se bahar aati hai aur ek adhed umar ke aadami ke pas jaati hai aur kahati ki mubarak ho mukhiya ji aapko ladaka hua hai
yah sunkar bah aadmi bahut khush hota hai aur bhagaban ko dhanyabad deta hai aur us aurat ko kuchh rupay deta for daudkar apni patni ke pas jaakar uske mathe ko choomata hai aur bachche ko god me le leta hai aur dekhata hai ki bah bachcha bahut kamjor tha lakin uski aankhe blue rang ki bahut sundar thi
aise hi bachche ke sath poori raat beet jaati hai aur subah hote hi poore gaon me yah khabar fail jaati hai ki mukhiya ji ko ladaka hua hai
to sab gaon bale mukhiya ji ko mubarakbaad dene aate hai aur mukhiya ji apne gaon ke pujari ko bulabate hai aur unse bachche ka namkaran karne ke liye kahate hai
to pujari apne kaam karane lagate hai aur mukhiya ji aur unki patni ko bachche ke sath bathate hai aur apni patri dekhane lagate hai jisase bah kisi chinata me kho jaate hai
To mukhiya ji poochate hai kya hua pandit ji
To pandit ji kahate hai ki yah bachcha bahut adbhut hai iske das saal hone ke baad ka ka koi bhavishya nahi dekh paa raha hu jabki ye deerghayu hai
Yah sunkar mukhiya ji kahate hai ki iska kya matalab hua pandit ji
Iska matlab ye hai ki is bachche ki aayu bahut hai lakin yah das saal ke hone ke baad apna bhavisya khud likhega aur das saal ke hone tak yah samanya bachcho se bahut kamjor hoga aur yah jaanbaro se bahut prem karega isliye iska name SHIVAY hoga
 
Top