• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

BP high

Active Member
755
1,094
123
AB TAK AAPNE PADHA KI VERONICA RUE DWARA GOTHIC ME BOLE GAYE RIDDLE KO TRANSLATE KAR LETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-98

THE FLASHBACK CONTINUOUS


CITY-DEHRADUN

PLACE-UNDERGROUND TUNNEL






"jagah kaafi door hai phir bhi is jagah se us jagah ka VAASTA HAI...

milon door hai magar issi surang ki banawat se hi bana us jagah ka RAASTA HAI...

par raasta samajh bhi gaye toh uspar chalkar sirf jagah milegi,kendra bindu nahi...

kyunki bindu par chalna bhi is surang par chalne JAISA HAI...

sir ghumakar chowdayi dekho toh lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI...

all the best...hope you find what you are looking for...no dead end..."

lagatar screen par dekhne ke beech haath bhi paper par chalne lage the VERONICA ke...

10 minute aur lage par itni der me finally RUE ne jo GOTHIC language me bola tha,usse ussi language me likhne ke baad usse hindi me convert kar chuki thi VERONICA jisse uske saath ARCHAN bhi padh rahe the...

ARCHAN-***as soon as possible...crack it...

3 baj rahe hain abhi...that means we have only 10 ghante hain to retrieve the PLATINUM...

VERONICA ke likhe riddle waale paper ki copies bunker me moujud har shaksh ko diya jaa chuka tha jiske baad sab us riddle ko solve karne me ghus chuke the...

aur sirf us bunker me hi nahi, agle 2 minute ke andar duniya bhar me faile *** ke best logon ke paas bhi electronically is riddle ko forward kiya jaa chuka tha...

VERONICA-i want the complete details of CHENANI NASHRI TUNNEL...every thing about it...

OPERATER-sure...just a minute...

is baar operation ne ARCHAN se kuch pucha nahi aur minute bhar ke andar screen par TUNNEL ki complete details dikhne lagi thi...

saari details ko dhyan se dekhne ke beech us riddle me kahe words ko unse jodne ki koshish karne me lag chuki thi VERONICA...

aur ARCHAN...bhale hi is waqt puri duniya me us riddle ko 1000 se zyada log break karne me lage hue the..

woh khud bhi same chiz kar raha tha par ummid usse sabse zyada VERONICA se hi thi...

kyunki woh jaanta tha ki ye kaarnaama woh pehle bhi do baar kar chuki thi...

par ye asaan nahi hone waala tha...kyunki un 2 baaron me dimag sirf VERONICA ne hi nahi balki uske partner SANEEL ne bhi equally lagaya tha...

phir bhi riddles ko solve karne me acha khasa waqt liya tha dono ne...

par ab sirf VERONICA thi jo pure focus ke saath riddle ko todne me lagi hui thi...

VERONICA -kitna platinum tha un buses me...

kaafi der tak dimag khapane ke baad bhi jab riddle ke basics clear nahi hue toh khudko riddle ki duniya se bahar nikaala tha VERONICA ne...

ARCHAN-a ton...

VERONICA-woooh...means 35 thousand crores... that's a lot of money at stake...

ARCHAN-its not about the money... the security treaty is on line...

VERONICA -with which country...???

ARCHAN-AMERICA...

platinum ke badle we were getting 10 THAAD,5 PAC-3,6 BMD and several other defense missiles...

VERONICA -damn G.O.D...ek teer aur do shikaar... AMERICA and CHINA...

ARCHAN-what does that mean...aur treaty AMERICA se hai,isme CHINA ka kya vaasta...!!!

VERONICA-what did you just say...!!!

ARCHAN-yahi ki treaty...

VERONICA -AMERICA se hai phir CHINA se kya vaasta...!!!

ARCHAN ki kahi baat dohrate waqt aakhein jaise lighten up ho gayi thi VERONICA ki...

VERONICA-waise hi jaise pahunchna kahin aur hai par vaasta tunnel se hai...

i think i got the first part of the riddle...

ARCHAN-really...!!!

VERONICA-yup... what was it...!!!

jagah kaafi door hai phir bhi is jagah se us jagah ka VAASTA HAI...

milon door hai magar issi surang ki banawat se hi bana us jagah ka RAASTA HAI...

tunnel ke banane se...kahan bana hai woh tunnel... it's the highway route N.H 44...

tunnel ke baare me note down kiye saare details par nazar maarte hue kahi thi ye baat VERONICA ne...

VERONICA-NH 44...jahan se tunnel shuru hota hai,us point se jammu and kashmir me total kitne main cities,towns aur village aate hain...

find out...

OPERATER-just a minute...

operater apne computer me busy ho gaya aur VERONICA apni wish ke sahi hone ki prayer me...

OPERATER-us region me total 51 cities, towns aur villages hain par tunnel ke starting points se there are...

VERONICA-please say 44...


OPERATER-44...

ek baar phir aankhein aur face light up hua tha par is baar sirf VERONICA ka hi nahi balki ARCHAN aur uske saath bunker me moujud har kisi ka...

VERONICA-name of the place...!!!

OPERATER-its BEERWAH...

ARCHAN-BEERWAH...ye toh..

VERONICA-yup... it's an administrative division...taaluka hai ye...

sabke chamke chehre wapas tensed ho gaye the joki laazmi bhi tha...

BEERWAH ek bada aur popular administrative division tha jiska matlab tha ki kayi 100 miles tak faile hue bohot se chote mote villages uske antargath aate the...

aise me apne target ko khojna,bhuse ke se sui dhundne jaisa tha...

"PAR RAASTA SAMAJH BHI GAYE TOH USPAR CHALKAR SIRF JAGAH MILEGI, KENDRA BINDU NAHI"..."

riddle ke us part ka matlab ab samajh me aane laga tha sabko...

par VERONICA...uska focus toh jaise ab double ho chuka tha... CHENANI NASHRI TUNNEL ke details ko bar angle se uska dimag scan sa karne laga tha...

kaafi waqt laga par VERONICA ki aankhein us detail parche se bahar nahi aayi thi...

she was thinking, analysing and then repeat aur tabhi...

apne sir ko halka ghumane ke beech details ke do bhaagon me ek saath nazar gayi uski...

"BINDU PAR CHALNA BHI IS SURANG PAR CHALNE JAISA HAI"...

riddle ke is part ko padhte waqt tunnel ki rachna ko dekhne lagi thi VERONICA...

VERONICA-ye TUNNEL baaki tunnels ki tarah single way nahi hai...

OPERATER-haan,because its gigantic...too long...isiliye ye ek 2 lane TUNNEL hai...

VERONICA-clever... really clever...bindu as is BEERWAH...uspar chalna surang par chalne jaisa hai...

target places ek nahi do hain... BEERWAH ke do points par pahunchna hai aur woh do points hain...

ATINU aur BONAHAMA...these two are your target places...

riddle solve kar diya tha VERONICA ne jispar is waqt aankhein faade sab usse hi dekh rahe the...

ARCHAN-how can you be so sure...!!!

ARCHAN ke sawal par ghoor kar dekha VERONICA ne usse jispar hadbada gaya woh...

ARCHAN-look...i just want to be sure...kyunki ab zyada waqt bacha nahi hai... it's already 9...4 ghante bache hain bas...un areas ke sabse paas jo search units hai, unhe bhi un points par pahunchne me kamsekam 1 ghanta toh lagega hi which will leave us with only 3 hours...

so,are you sure...

VERONICA-i am always sure...

riddle ka last line padho...

"sir ghumakar chowdayi dekho toh lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI..."

tunnel ki lambayi...it's 9 kilometres approx...

9...ek maatr aisa number jisse sir ghumakar dekho toh ek naya number nikalta hai...

ARCHAN-6...

VERONICA-yup..aur BEERWAH ke 6th aur 9th village yahi dono hain...

ATINU aur BONAHAMA...

ARCHAN-absolutely brilliant...

man hi man VERONICA ki taarif karne se khud ko rok nahi paaya tha ARCHAN...par directly aisa karne ka filhal waqt tha nahi...

apne targeta achieve karne the taaki platinums retrieve kiye jaa saken isiliye apna phone nikaal orders dene me lag chuka tha...

OPERATER-waise zyada mushkil honi nahi chahiye kyunki ye dono hi jagah sirf naam ke villages hain...

population naa ke barabar hai aur length bhi kaafi choti...

ek se hi jagah hain dono...jungles se ghire hue hain...jungle area bhi zyada bada nahi hai par jitna hai,its dense...

but i dont think ki kuch bhi bada wahan chuppana asaan hoga wahan...

OPERATER ki baat sun confidence kaafi badh chuka tha sabka par agle 2 ghanton me woh badha confidence kam hone laga tha aur 3 hote hote toh frustration sabki badh chuki thi...

ARCHAN-ye ho kya raha hai...!!! where is the bloody platinum...itni choti jagah hai phir bhi abhi tak kuch nahi mila...

aur ab toh sirf ek ghanta hi bacha hai...damn it...

VERONICA-platinum...!!!aap log platinum dhund rahe hain...!!!saalon se G.O.D ki koi robbery yahan india me nahi hui toh unka pattern bhul gaye ho kya...

riddle solve hone ke baad exact target point par agar pahunch jaaya jaaye toh churayi gayi chiz ki location milti hai jahan jaakar you can retrieve it...

ARCHAN-bhul toh shayad aap gayi hain woh bhi apne hi kaarname ko...

riddle solve karne ke baad usme batayi gayi location me jo 2 baar pahunchi hain aap toh target point 5 minute me mila hai...

usse alag se hide nahi kiya gaya tha... phir is baar kyun...!!!???

sahi thi ARCHAN ki baat jispar ek baar phirse us riddle likhe page ko dhyan se dekhne lagi VERONICA...

kayi baar padha par answer milne ke baad bhi jo satisfaction ki khushi milti hai,woh gayah tha...

VERONICA-kya chhut raha hai mujhse...sab toh solve kar diya...

"lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI..."

aur kya bacha... it's the dead endddddd.....

dead end bolte bolte aankhein badi ho gayi VERONICA ki...

REASON...

NO DEAD END....

paheli in teen words ke saath khatm hui thi jisse ab tak baakiyon ki tarah hi sirf ek gesture maan nahi rahi thi VERONICA...

VERONICA-dead end... shit...how did i miss it...

suno,search...in dono jagahon ke chaaron ends me koi khaayi hai kya...!!!

OPERATER-sure...yes...

ATINU aur BONAHAMA...dono hi jagah jo jungles hain,unke piche khayi hai...

elevation bhi ek saa hai...5000 and 5500 feets...

and that's the dead end for both the territories...

operater ke bolne ke beech hi search parties ko call kar chuka tha ARCHAN par ab taklif ye thi ki waqt naa ke barabar bacha tha...

sirf 20 minute bhi baaki the aur jis point par dono hi search parties ko pahunchna tha, there was a jungle in between jisse vehicles par nahi balki by feet paar karna tha...

but they were trained and professionals...

tezi se jungle ki taraf bhaage the sab...achi baat bas ek thi ki raat purnima ki thi aur kyunki ilaaka pahadu thi isiliye chandrama ka ujaala yahan kuch zyada hi bright rehta tha...

badi tezi se aage badh rahe the woh sab...

kareeb 4.5 kilometre ka run tha joki normal circumstances me easy hota par dense jungle ke beech kaafi mushkil saabit ho raha tha...

WE SEE IT...THERE ARE TRUCKS HERE...

kuch der baad dono hi search parties ki taraf se ye news aa chuki thi jisse sun jahan ek taraf ARCHAN aur bunker me moujud baaki sabhi khushi se jhum uthe the wahin VERONICA ki nazar bas apni ghadi par thi...

VERONICA-STOP...

ARCHAN ke phone ko jisse dono hi troops ke commanding officer connected the,chhina VERONICA ne aur chilla uthi...

awaaz me itni authority ki kadam naa sirf us commanding officer ke rook gaye the balki usne baaki sabko bhi rok diya tha...

5,4,3,2,1....BOOM.....

ARCHAN kuch puchta,usse pehle hi VERONICA ne apni watch uske saamne kar di...

1 bajne me bas 5 seconds hi baaki the jiske pure hote hi hua ek tez dhamaka...

khaayi ke edges par khade trucks me hua tha ye explosion jiske impact se jahan ek taraf 20 se 30 metres door khade soldiers ki search unit bhi piche ki taraf gir chuki thi wahin dusri taraf trucks bhi gire the magar khaayi me...

mission fail ho chuka tha...

haath me aayi par mooh na laga waali kahawat sach hui thi aaj...

10 minute...pure 10 minute tak pure bunker me pin drop silence ho chuka tha...

haam,ARCHAN zaroor ministry mw reporting de raha tha par baaki sab apni apni jagah par chup chaap khade the...

bura VERONICA ko bhi bohot lag raha tha... bhale hi ab woh official member nahi thi par ye pura mission uske hi supervision me hua tha...

apni taraf se har chiz sahi karne ke baad bhi end me sab kuch GALATH ho chuka tha...

khair,kuch der tak authorities se baat karne ke baad ARCHAN wapas VERONICA ke saamne the...

VERONICA-mera kaam khatm hua...i will leave now...

ARCHAN-abhi kaam khatm nahi hua ma'am...we have to get our platinum back...

VERONICA-not possible... robbery ko teen din ho chuke hain...itna waqt G.O.D ke liye more than enough hai to escort the platinum out of this country...

ARCHAN-teen din chori ko hue hai ma'am, escort ko nahi...

agar hum given time ke andar un trucks par pahunch jaate the as always,G.O.D would have given us back the platinum...

iska matlab hai ki platinum abhi bhi india me hain..

bas unhe dhundna hai...

VERONICA-aaj se pehle riddle bhale hi sirf 2 baar crack hua hai par aisi robberies bohot kar chuki hai G.O.D...

what's the success ratio of retrieving stuffs after the failure of solving the riddle...

zero...

this time also, there's not gonna be any different story...kyunki bhale hi pehle do din unhone platinum ko touch nahi kiya ho par they keep tracks...

isiliye as for today,jab hum riddle solve karne aur target place par pahunchne mel lage hue the, unhone platinum escort karne ka sabse easy aur efficient tarika dhoond liya hoga...



ARCHAN-par abhi tak kiya nahi hoga...aur itna asaan bhi nahi hone waala...

air,water and road...saare borders sealed kiye jaa chuke hain...

bina *** proper checking ke kuch bhi export nahi kiya jaa sakta...

aur ye checking hum kar rahe hain...ab itna toh yakeen hoga naa aapko hum par ki we will not be tricked...

VERONICA-baat mere bharose ki nahi aapki khudpar hone waale trust ki hai...

aur agar hai toh phir best of luck...khud dhund lijiye,why do you need me...

ARCHAN-kyunki G.O.D ke movements,unke planning ka tarika,aapse behter koi nahi jaanta...

all we want ki agar hume koi lead mile,you help us ho through it...

BEEP...BEEP...

VERONICA kuch bolti ki tabhi ARCHAN ko phone baja jisse uthane ke baad usne khud attend nahi kiya balki VERONICA ki taraf badha diya...

DEFENCE MINISTER...

line ki dusri taraf wahi the jinse baat karne se pehle hi VERONICA samajh gayi thi usse ARCHAN aur uski org ki madad karni ho hogi...

baat ki VERONICA ne minister se jisme mili request ko woh maan gayi par saath hi saath ye bhi clear kar diya ki isse faayda kuch hoga nahi...

aur hua bhi yahi...pure do din tak mile saare leads ko mila 2+2 karti chali gayi VERONICA par jaisa ki usne pehle hi anticipate kiya tha,G.O.D was untouchable...

is beech bas ek baar hi baat hui thi uski SANVY se jisme usne bataya tha ki uttarkhand ke kayi remote areas me bank ke new branches setup me use hone waale alag alag financial schemes ko initiate karne ke liye she will be travelling aur kyunki woh saari jagah remote hai isiliye zyadatar her phone will be unreachable...

and finally after two days of continuous search with no result,VERONICA wapas apne ghar me apne bete ke saamne baithi thi...




FLASHBACK ENDS:-




MAI-kahan kho gaye...!!!???how was your trip...???

MAA-dining table par nahi baithe hain,par kar toh dinner hi rahe hain naa...!!!finish your dinner first, then we will talk...

uske baad dinner bhar baat nahi hui hamari...!!!

dinner finish kar mai plates dhone me lag gaya aur MAA paata saaf karne me...

MAA-MUNSHIYARI jaanta hai...!!!

kitchen ka kaam nipta wapas sofe par baithe the hum dono ki tabhi MAA ne uttrakhand ke one of the most beautiful places me baare me pucha mujhse...

MAI-chopta ke paas waala village hill naa...haan...issi state me hain par abhi tak gaya nahi mai wahan...

suna hai ki it's a beautiful place...

VERONICA-very beautiful..aur ussi chopta ke paas hi first visit tha mera... it's too hilly isiliye network slow hi rehta hai wahan...

munshiyari ke baad CHAUKORI,then PEORA,KAUSANI,LOHAGHAT and finally KHURPATAL...

(NOTE:-places ke baare me bhale hi jhuth bol rahi hai VERONICA par unki ginti ke baare me nahi...in do dino me itne hi jagahon ki leads follow kiye the usne)

MAI-wooh... that's a lot of places...wakayi hectic raha hai aapka ye waala travel...you should get some rest...aur kal office mat jaaiyega...

VERONICA-kal ki chhod aur filhal uth and get your rubik's cube...

MAI-cube...!!!

VERONICA-yup...bohot din ho gaye tere saath MIND TWISTER nahi khela...

(MIND TWISTER GAME...SANVY KE I'Q KE LEVEL KO JAANCHANE KE LIYE VERONICA USKE SAATH KHELTI THI YE GAME...EK REAL TOPIC KA RIDDLE YA PUZZLE JISSE SOLVE KARNA HOTA THA SANVY KO... KABHI TIME LIMIT KE BINA TOH KABHI USKE SAATH...PAR AISA KARTE WAQT USSE APNE RUBIK'S CUBE KO BHI SET KARNA HOTA THA... MATLAB TWO MIND SQUEEZING THINGS AT A TIME)

MAI-really...!!!abhi khelna hai...!!!

VERONICA-yup...mai bhi toh dekhun ki dimag kitna tez chalne laga hai tera...

kuch kaha nahi maine ba utha aur apne room se rubik's cube lekar aa gaya...

filhal rubik's cube ka har section pura jumbled up tha... completely contrasting...

ek baar dekha us cube ko MAA ne aur phir...

MAA-so here it is... CHENANI NASHRI TUNNEL ka naam suna hai...the one in JAMMU AND KASHMIR...

(NOTE:-CHENANI NASHRI TUNNEL ek national heritage hai... it's the mid point to travel to the best tourist spots in kashmir...aise me agar sabko ye pata chalta ki is tunnel me itna bada kaand hua hai toh isse travel karne se parhez karte log...natija, big future financial loses...isiliye government ne news channels aur baaki sabhi media platforms ko robbery spot tunnel ka nahi balki uske aage bana broad 6 lane road bataya tha)

MAI-ofcourse...

MAA-kya jaanta hai...???

MAI-obvio stuff...hamare desh ka sabse bada underground tunnel hai...

bohot si jagahon ko toh ek saath surpass karta hai ye tunnel...

MAA- here are the details...

apne hatheli me pakdi ek parchi jisme tunnel se judi bohot si details thi, meri taraf badha si MAA ne...

MAI-arre waah...ye kab kiya aapne...???

MAA-raaste me...wahin aaya tha ye idea...

MAI-matlab riddle ka trap point ye tunnel hi banaya hai aapne...

MAA-hmm...so,before the puzzle, here's the story...bohot short hai par dhyan se sunana...

tunnel me ek chori hoti hai and the stolen stuff is taken somewhere else par woh jagah jammu and kashmir me hi hai jisse dhundna hai...

aur ussi search me help ke liye, there's a riddle...agar riddle solve kar liya toh you will get the location of the stolen stuff...

MAA ki baaton ke beech us A4 size ke paper ko pura bharte hue tunnel ki details ko dekh raha tha mai...

CHENANI NASHRI tunnel se judi lagbhag saari important info likhi thi us paper me...

MAA-riddle

MAI-piche likha hai...i know...

paper jaise hi palta mai toh mere saamne thi woh riddle jisse solve par stolen stuff point tak pahunch sakta tha mai...

jagah kaafi door hai phir bhi is jagah se us jagah ka VAASTA HAI...

milon door hai magar issi surang ki banawat se hi bana us jagah ka RAASTA HAI...

par raasta samajh bhi gaye toh uspar chalkar sirf jagah milegi,kendra bindu nahi...

kyunki bindu par chalna bhi is surang par chalne JAISA HAI...

sir ghumakar chowdayi dekho toh lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI...

all the best...hope you find what you are looking for...no dead end..."

MAI-MAA...is riddle ke hisaab se i think i will need...

MAA-net surfing...i know...u can use it...par haan,7 hours...the time limit... isiliye morning se shuru karna...

chalo, it's late...let's sleep...

MAI-abhi hi try kar lun...waise bhi exams over ho chuke hain... it's chilling time...

VERONICA-haan,exam time toh bohot mehnet ki tune...chal,kar le...

i am off to bed...

MAI-night...

MAA-g.n...

MAA bedroom chali gayi aur mai ek haath me phone scroll karne ke beech dusre haath me paper pakad riddle ko dobara padhne me lag gaya...

VERONICA room toh chali gayi..
fresh hokar bed par leth bhi chuki thi woh par sirf physically wahan thi woh...

mentally kaafi jigyasa bhari thi usme...abhi sirf 15 minute hi hone ko hue the par phir bhi jaanana chahti thi woh ki kya ab tak SANVY ne thoda hi sahi,kya riddle ka ek bhi sentence crack kiya hai ya phir samjha bhi hai...!!!

restless hone lagi thi woh isiliye bed se uth wapas room se bahar nikal padi woh...

par hall ka scene dekh uski curiousity halke shock me badal chuki thi...

REASON...

SANVY is waqt paper aur riddle me nahi balki t.v me ghusa hua tha...

koi horror show aa rahi thi jisse bade excitement se dekh raha tha woh...

MAA-kya baat hai...itni jaldi first break le liya... aur ye kya...mind twister game ke rules bhul gaya kya tu...!!!

MAI-why do you say that...???

MAA- rubik's cube solve kar liya hai tune par you know the rules naa ki jab tak riddle solve nahi hota,you have to continuously flip the cube...

agar solve ho bhi jaaye toh again jumble up karke waapas solve karna hai...

par tune toh isse....

aage kuch bol nahi paayi thi VERONICA...kyunki bolte hue hi cube utha liya tha usne par aisa karte hi uske neeche dabe papers par nazar padi uski...

papers...maane ek nahi 2 paper the wahan jinme se VERONICA ke handed over paper ke tunnel info side me bohot si jagah par underlines bane the aur dusra page...

unme kuch jagahon ke naam the...

aur jab un underlines ko aur dusre page par likhe naamo ko properly dekha VERONICA ne toh aankhein uski hairangi ki hadh tak faile chuki thi...

REASON...

N.H 44...sabse pehla underline issi point par tha jiska matlab tha ki SANVY ne riddle ka first part crack kar diya tha...

us underline ko dekhne ke baad VERONICA ki nazar dusre page par gayi jisme tunnel ke baad se shuru hokar line se aage badhne waale 44 cities, towns aur villages ke dots bane hue the...

mobile par jammu and kashmir ke map se tunnel ke aage se nikle straight highway ko mark me rakh in jagahon ko dots ki shakal me likha tha SANVY ne...

places aur bhi the par page par sirf 44th jagah aisi thi jahan dot ki jagah capital me likha tha BEERWAH...

samajh gayi thi VERONICA ki is naam ke saath riddle ka second part bhi crack kar diya tha unke bete ne...

wapas aayi woh apne waale page par jisme next underline 2 way lane par kiya tha SANVY ne jiske baad wapas dusre page par aane se pehle hi wahan likhe 2 naam man me gunj uthe the VERONICA ke...

1-ATINU...

2-BONAHAMA...

third and fourth part of the riddle bhi solve kar liya tha SANVY ne par shock usse un dono villages ke naam ke neeche likhe lines par padha tha...

DEAD END=A TRENCH,KHAAI...

hence,the riddle solved...

MAI-am i right or am i right...!!!

MAA ke shocked face par sahi hone ki muhar samajh smile karte hue unhe dekh raha tha mai...

VERONICA-ye trench..khaayi kaise figure out kiya tune...

MAI-arre ussime toh thoda time laga...warna baaki sab toh aise hi figure out kar liya tha maine...

kyunki baaki ka pura riddle phir bhi specific hi tha par ye jo last me likha tha aapne...

"all the best...hope you find what you are looking for...no dead end..."

riddle challenge ki tarah hota hai jisme no nonsense lines likhi hoti hain...

aise extra motivational lines ka kisi riddle me hone ka logic sirf tab hi ho sakta hai jab woh lines bhi riddle ka part ho...

isiliye i googled those two mentioned villages...jaankar ajeeb laga ki village hokar bhi jungles type jagah hain dono...

isiliye map me dono ki puri geography dekhne laga mai...jhopdi aur jungle ke alawa sirf ek cheez common thi...khaai...

ab jungle stop toh ho sakta hai par dead end..it has to be the trench...

hence proved,i think...

MAA-absolute genius...ummh...

jahan ek taraf SANVY ke dimag ki man me taarif ki thi VERONICA ne aur uska maatha chum muskurate hue wapas apne room me chali gayi wahin dusri taraf mai bhi smilw karte hue wapas t.v ki taraf ghoom chuka tha...

par hum dono hi apne smile aur khushi ke beech abhi abhi khudke pair par maari kulhadi se bilkul anjaan the.....




.......................................................................




TRRIIIINNNGGGG...

G.O.D-HMM...

2ND-HE SOLVED THE RIDDLE...

G.O.D-TIME...!!!

2ND-10 MINUTES...

G.O.D-HAHAHAHAHA...MATLAB, IT'S TIME...

2ND-THAT MEANS VERONICA...!!!

G.O.D-VERONICA...MY FAVOURITE GIRL...IS FAVOURISM KE CHALTE HI TOH USKI YE LIFE LEASE PAR CHAL RAHI HAI...

AB TAK USKE HAATHON ME ZINDAGI KI LAKEER MERI MARZI SE KHEENCHI HUI THI...

PAR AB BAS.....


MERI MARZI KHATM...


VERONICA KHATM...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Fantastic update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,094
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF GIVEN TIME ME SOLDIERS TARGET TAK NAHI PAHUNCH PAATE WAHIN DUSRI TARAF JIS RIDDLE KO SOLVE KARNE ME VERONICA KO 6 GHANTE SE ZYADA WAQT LAGA THA,USSE SANVY 10 MINUTE ME HI SOLVE KAR DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-99

FLASHBACK






HELLO SANEEL...!!!LONG TIME...

ek kharkharati hui awaaz padi thi SANEEL ke kaano me jisse sun ek thandi leher doud padi thi uske pure sharir me...

SANEEL AHARYA...one of the most powerful person of the country...

upar se aisa international influence ki superpowers ke national secret agencies ke top ranking officers bhi uske samman me khade ho jaayen...

one of the sharpest mind in the whole planet...

hazaaron ki bheed me bhi apne kisi bhi dushman ki minor activity ko bhaamp lene ki nazar aur khatre waali kisi bhi halki awaaz ko bhi clearly sun react karne ke liye ever ready rehne waala SANEEL...

har waqt kisi bhi tarah ke negetive situation ko bohot positively handle karne ka hunar tha SANEEL me par jo awaaz abhi phone par ubhri thi,usse sun dimag jaise ek pal ke liye blank ho gaya tha SANEEL ka...

SANEEL-CYPHER...

CYPHER-yaa SANEEL... CYPHER...your biggest fan...

(NOTE:-CYPHER...ONE OF THE MAIN PILLER OF G.O.D...JAISE ZILLA THI,WAISE HI CYPHER BHI THA...PAR JAHAN VERONICA KI TARAH ZILLAH BHI EK COMBAT GOD THI,WAHIN CYPHER SANEEL KA CONTEMPORARY THA...A GENIUS...G.O.D KE TOPMOST OPERATIONS KA MASTER MIND THA CYPHER...APNE SAATH SAATH DUSHMAN KE BHI HAR FUTURE MOVE KO 99 PERCENT TAK SAHI PREDICT KARNE KA HUNAR THA CYPHER KE PAAS...PAR PEHLE YE PREDICTION PERCENTAGE 100 THA...99 HUA SANEEL SE TAKRAAV KE BAAD...SANEEL IS THE ONLY PERSON IN THE PLANET JISNE G.O.D KE OPERATION JISSE KHUD CYPHER HANDLE KAR RAHA THA,NAAKAM KAR DIYA THA...ITNA HI NAHI,US OPERATION KO APNE PLANNING SE BACKFIRE KAR G.O.D KA NUKSAAN KIYA THA...EK AISA KARNAAMA JO NAA G.O.D BHULA THA AUR NAAHI CYPHER...)

"JAB BHI HUM MILENGE,HAMARI WOH AGLI MULAAKAT HAMARI AUR TERI,SANEEL AHARYA KE ZINGADI KI AAKHRI MULAAKAT HOGI..."

CYPHER ke call ne uske kahe ye aakhri shabd SANEEL ke man me wapas jeevant kar diye the...

CYPHER-surprised haan...you know what,mai bhi...3 saal,2 mahine 7 din...waqt itni jaldi guzar jaayega,socha naa tha maine...

SANEEL-i hope ki call tune apne sadhe b grade dialogues sunane ke liye nahi kiya hoga...

CYPHER-now that's what i like about you SANEEL...always,straight to the point talk...

CYPHER-mera waada toh yaad hi hoga tujhe... time toh fulfill it...

address samajh aur jitni jaldi ho sake, pahunch...akele...

apne saaye(VERONICA)ko saath laane ka sochna bhi mat...

ab scene sun...tu aayega,akele aayega...

aur jaisa maine bola tha,saamne aate hi tu,the legend SANEEL AHARYA will die...

par agar kisi tarah tu bach gaya,then i promise,tere raaste me kabhi nahi aaunga mai...

par aisa hoga nahi,kyunki...

SANEEL-scene tu likh raha hai...!!!hahahaha...jaise last time likha tha...

CYPHER-nanananana...hone waala scene maine nahi,khud G.O.D ne likha hai...

CYPHER ki baat sun SANEEL ki smile puri tarah gayab ho chuki thi...

aur reason bhi obvious tha...G.O.D.as in the spear head of there organization...

ek aisa vyakti jo apne ohde ki hi tarah ka rutba rakhta tha... uski baaton ko GALATH saabit karne se badi galathfehmi kuch nahi thi...

aur iska sabse bada example khud SANEEL aur VERONICA the...

kyunki aaj agar ye dono apne org ke saath nahi the, jaipur me nahi the toh iska kaaran tha G.O.D ka order...

bas ek baar kaha usne aur naa baat maanane ki keemat bina dhamki diye hue bhi kuch aisi lagayi ki apna kaam aur ohda chhodne me ek pal ka waqt bhi nahi lagaya tha un dono ne...

CYPHER-kya hua...hasi ki jagah soch ne le li...

mat soch zyada, teri meri aukaad nahi G.O.D ke lagaye ganith ko solve karne ki...

tu bas ek kaam kar...tere ghar ke bahar lage P.O box ko open kar...

flight ki ticket rakhi hai wahan...raat 11.30 baje ki hai...flight me baith aur aaja...

aur haan,tere aane waali flight wahi honi chahiye warna itna toh pata hai naa tujhe ki G.O.D dhamki nahi dete...

kyunki woh jo karte hain,uske aage har dhamki maamuli lagti hai...

aur is cheez ko tune toh bohot closely feel kiya hai naa...chal,see you....for the last time...


KAUN THA...!!!

SANEEL-CYPHER...


phone hang up kiya hi tha SANEEL ne ki tabhi piche khadi VERONICA ke sawal par jawab de ghuma woh uski taraf...

VERONICA-and...!!!

SANEEL-delhi bulaya hai... bahar p.o box me shaam ke flight ki ticket bhi rakhwa di hai usne...

VERONICA-cool...mai apni ticket book kar leti hun...

SANEEL-akele bulaya hai...tum nahi aa sakti...specifically bola hai ye...

VERONICA-toh....how does that matter...mai saath chal rahi hun...

SANEEL-bol bhale hi CYPHER raha tha par shabd uske nahi,G.O.D ke the...

flight book karne ke liye agent ko phone karne hi lagi thi SANEEL par uske aakhri shabd sun rook gayi woh...

VERONICA-CYPHER ho ya phir khud G.O.D...akele tum sirf unki wajah se toh jaane ka soch rahe hoge nahi...

do you think it's about...

SANEEL-i don't think,i know it...kyunki aur koi chiz nahi jiske dum par CYPHER itne confidently apne trap me mujhe aane ka direct invitation de...

VERONICA-jab pata hai ki wahan trap hoga toh soch bhi kaise sakte ho tum ki akele jaane dungi mai tumhe...!!!

SANEEL-cool then...chalo...kar lo book apni ticket...

SANEEL ki manzoori ke baad bhi VERONICA chupchaap khadi rahi jispar...

SANEEL-i know tum nahi aaogi kyunki tumhe pata hai ki G.O.D ki baat naa manane ka option nahi hai hamare paas...

stake par kya hai,you and me very well know it...

VERONICA-sirf ek hi baat pata bai tumhe...baat toh ye bhi hai naa ki akele mai tumhe wahan jaane dungi nahi...

SANEEL-we cant take any help from ***... unofficially bhi nahi...

VERONICA-unki zaroorat bhi nahi hai...

waise bhi filhal wahan aisa koi nahi hai jo G.O.D ko match kar sake...

aur jo hai,woh bhi ab hamari hi tarah EX hai...

aur VERONICA bhale hi nahi par VERONICA jaisa zaroor hai...

SANEEL-VEER...par usne kasam khaayi..

VERONICA-aur us kasam ka thikana delhi ho sakta hai... isiliye hi toh jaa rahe ho tum bhi...

apni baat bolne ke beech phone laga chuki thi VERONICA VEER ko...

kuch der baat karne ke baad phone hang up kiya usne...

SANEEL-kahan hai woh...???

VERONICA-toronto...

SANEEL-wahan se delhi...15 se 20 ghante lag jaayenge usse...

he will be late...

VERONICA-nahi hoga... turant nikal raha hai woh and he is flying in his jet...non via 13+ ghante me cover ho jaayega...

abhi 11 baje rahe hain that means 12.30 se 1 ke beech land ho jaayega woh delhi me...

same time tum bhi land karoge... he will be tracking you...bottom line jahan bhi pahunchna hai,spot par ek saath pahunchoge dono...



NEXT DAY:-

TIME-8 AM


VERONICA-kahan ho tum dono VEER...naa tumhara phone lag raha tha aur naahi SANEEL ka...

i swear ki agar abhi tumhara phone nahi aaya hota naa toh delhi ki agli flight board kar leti mai...

B.B.HABB.HI...

VERONICA-hello VEER...kkya hhaa...rro kkyun rrahe ho...!!!

VEER-bbhabhi wwoh bbhaiya...

VERONICA-bhaiya kya...!!!speak properly VEER...

VEER-bhaiya nahi rahe bhabhi...he is dead...

THAKKKK...


FLASHBACK ENDS:-




DATE-1 DAY TO DIE




SANEELLLLLLLLLL........


ghar ke saamne garden me apne arm chair par baithi shaam ki chaay joki ab thandi ho chuki thi, haath me pakdi ateeth ke us dardnaak panne ko aankhein band kar dobara padh rahi VERONICA ki aankhein apne late husband ke naam man me hi lene ke saath ek jhatke me khul chuki thi...

lambi lambi saanson ke beech aankhein uski laal ho chuki thi par agle hi pal un laal aankhon me halka surprise dikhne laga joki laazmi bhi tha...

saamne ek aur chair lagaye RANJANA MATTHEWS baithi usse hi dekh rahi thi...

VERONICA-tu kab aayi...???

RANJANA-kaafi der ho gaya...ab bhi us din ke sapne aate hain tujhe...!!!

VERONICA-tujhe kaise pata...???mere dreams ka visual mere face par dikhta hai kya...!!!

RANJANA-tu bhul rahi hai ki bhale SANEEL jitna nahi par chizen aur situations ko sahi predict karna mera bhi hunar hai...

par filhal us hunar ki zaroorat nahi padi...halki si bhi movement ko feel kar leti hai tu...

par tere saamne itne der se hun mai aur tujhe andaza bhi nahi hua...

aisa toh ek hi condition me ho sakta hai...

VERONICA-chai peeyegi...

RANJANA-naa,i am good...VEER ke baare me baat karne aayi hun...!!!

itne dino ke baad VEER ka zikr... hairangi ek baar phirse dikhne lagi thi VERONICA ke face par...

VERONICA-uska kya...!!!theek toh hai naa woh...!!!

RANJANA-bilkul theek hai...bas scene repeat ho raha hai...jo kuch din tere saath hua,same chiz uske saath bhi ho rahi hai...!!!

VERONICA-matlab...!!!***ne usse bhi kisi mission me lapeth liya hai kya...???

RANJANA-yup...

PARAIBA TOURMALINE waali news suni ki nahi...!!!

VERONICA-brazil waali naa...ohho,now i get it...

G.O.D ke involvement ki wajah se there government has requested the only organization jisne pehle bhi aisi chori ko prevent kiya hai...

ab kyunki tu pehle hi unke last mission me participate kar chuki hai aur saath me warn bhi kar chuki hai,not to drag you in future isiliye they opted for the best contemporary of yours...

VERONICA-VEER...aur woh maan gaya...!!!

RANJANA-tujhe bhi pata hai ki agar *** insist mode par aaye toh phir mana nahi kiya jaa sakta...

kahan kho gayi...!!!

VERONICA-kahin nahi...arsa guzar gaya VEER ko dekhe... infact teeno ko...

RANJANA-tujhse bura haal uska hoga...aur SANVY...agar tujhme,apni bhabhi me MAA ko dekhta hai woh toh phir SANVY apni sagi aulaad se badhkar hai uske liye...

liye kasam ki wajah usse nahi dekh sakta isiliye apni beti se bhi door ho gaya woh...

itne saalon se tadap raha hai woh...puri duniya me jitna bada naam hai uska,pehchaan uthi hi chuppi hui...

VERONICA-pata nahi kyun par kuch sahi nahi lag raha mujhe...!!!

ek hi mahine me pehle mera wapas field me jaana aur ab VEER...

something is off...i can feel it...

hey SONU...arre,itna stressed kyun lag raha hai...SANVY...kya hua...???itni hadbadi kyun...???and why that face...???kuch hua hai kya...???




5 MINUTES BACK:-



SAALE ABHI 5 BHI NAHI BAJE HAIN AUR PHONE KA GALA PHAADNA SHURU KAR DIYA TUNE...

ADHA GHANTA BAAKI HAI NAA ABHI...

ABBE CHUTIYE AA JAAUNGA TIME SE...

mobile jiski is baar teesri continuous ring thi,sun irritate ho finally receive kiya tha maine...

5.30 ko chilling point cafe me milne ka plan tha hum sabka aur phir dehradun ki outskirts me bornfire overnight camping ki planning thi...

par kyunki mai har baar late hota hun isiliye hi time yaad dilane ke liye SONU call kiye jaa raha tha,aisa assume kiya tha maine joki GALATH tha...

SONU-bbhai...

MAI-kya hua...???

dar aur dard,dono tha SONU ki awaaz me jisse sun shirt ki button lagana rook gaya tha mera...

SONU-bhai wwoh chutki kka(NITS LITTLE SIS) accident ho ggaya hai...

MAI-shit...kaun sa hospital...

SONU-m.m.i...mmai aa rraha hun...2 mminute me ppahunch jaaunga...ttu bahar nnikal...

MAI-ye KHANAK ko bhi bataya hai kya...???

SONU-nnahi ttoh...kyun...???

MAI-call aa raha hai uska... chhod ye,pahunch jaldi...bahar hi hun mai...

haan hello KHANAK...can we talk later...thoda...

KHANAK-SANVYYY...

ro rahi thi KHANAK jisse sun dimag thanka mera...

MAI-kya hua...???

KHANAK-mall road waale axis atm me aaye the mai aur RASHI...

paas ki shop me kuch bande the...they started commenting on us aur phir thoda bohot physical bhi hone lage...

so RASHI slapped one of them... bhadak gaye woh log and they took RASHI with them...

MAI-what the fuck...!!!???

KHANAK-maine try kiya unhone rokne ka but one of them slapped me too...

woh sab toh mujhe bhi uthane lage the par tab tak bohot se log hamare paas aane lage the isiliye sirf RASHI ko hi apni car me daal nikal gaye woh sab...

mujhe samajh me nahi aa raha mai kya karun...!!!dad se bhi baat hui hai meri....he is contacting the officials par SANVY mujhe bohot dar lag raha hai...

woh log dangerous lag rahe the...

RASHI ko jis bande ne uthaya tha,jacket daala tha tshirt ke upar usne aur uske andar i peeked a gun...

MAI-gaadi ka number note kiya hai...!!!

KHANAK-haan,i snapped it's video from the back...

grey colour ki artiga thi...

MAI-mall road se kis taraf nikle hain woh aur kitna time ho gaya...???

KHANAK-civil line ki taraf...abhi 5 minute bhi nahi hue hain...

MAI man me-matlab ya toh highway niklenge ya phir ghadi chowk se round about lekar city ke andar...

MAI-bhej photo aur chill kar tu...kuch nahi hoga RASHI ko...

i promise...

phone kaata maine aur turant MAA ke room ki taraf badh gaya...

bed ke side rakhe table par do laptops rakhe the par nazar meri sirf black colour ke dell xps 13 par thi...

MAA ka personal laptop tha ye jispar kuch time se dehradun ke har local area ke c.c.t.v camaras ko hack kiya hua tha unhone...

nahi chahti thi woh ki mai dekhun isse par dekh liya tha maine...

reason unhone wahi G.O.D CABAL bataya tha...

wahi syndicate jiske logon se mai aur MAA school ke TULIP GARDEN me bhide the...

kahin aur G.O.D members toh nahi aa dhamke hamare sheher me isiliye she was doing it...

us unknown CABAL ke liye MAA ki curiosity kaafi zyada thi...i had sensed it par kyunki MAA ka past line of work joki ab bhi mere liye ek puzzle hi tha,uske baare me itna toh pata hi tha mujhe ki it was dangerous aur us line of work ke radar me G.O.D linked tha isiliye is complete city hacking par zyada sawal jawab kiya nahi tha maine...

aur acha hi hua...MAA ki ye nigrani aaj mere kaam aane waali thi...

password pata tha mujhe isiliye laptop lock clear karne ke turant baad live futtege par chal pada tha mai...

MAI-there you are... right on time...bas ek baar right ghum jaa...

exactly...aa raha hun behen ke chodon... loundi uthane ka bada shouk hai...

dekhen zara lounda uthane ka guda hai ki nahi gaand me...

futtege dekhne ke beech KHANAK ka bheja video dekh liya tha maine...

car identify kar chuka tha mai aur luckily is waqt civil line se highway ke raaste me sirf ek hi grey colour ki artiga dikh rahi thi...

acha hua tha ki abhi tak highway me ghumi nahi thi woh kyunki hack maa ne sirf city ke sabhi important entries aur exits ko kiya tha par highway ke kisi camara ke visuals nahi the isme...

khair, highway me pahunch right hi ghumi thi woh car joki plus factor thi mere liye aur woh isiliye kyunki woh N.H 52 waala road tha...

meri colony highway egde par bani thi aur woh highway N.H 52 hi thi...

anyways,jis point se N.H 52 par kati thi woh car,wahan se speed bhi chali gaadi tab bhi mere colony ke edge par pahuchne me 5 minute lagne hi the usse...

VIBRATE....

tezi se room ke bahar aaya hi tha mai ki tabhi phone par mere SONU ka call aa gaya, matlab bahar pahunch chuka tha woh...

MAA-hey SONU...arre,itna stressed kyun lag raha hai...SANVY...kya hua...???itni hadbadi kyun...???and why that face...???kuch hua hai kya...???

SONU joki garden me hi khada tha,uske paas tezi se pahuncha hi tha mai ki tabhi right as in garden area se MAA ki awaaz aayi...

MAI-good evening ma'am...

SONU-good evening ma'am...

MAI-woh MAA,chhutki ka accident ho gaya hai...

MAA-what...!!!???

RANJANA-chutki...???

MAA-NITENDRA ki sister... she is like a daughter to me too...

tu car se aayi hai naa...!!!

RANJANA-haan...

MAA-chal phir...chhutki hospital me hain naa...!!!

SONU-jee aunty...M.M.I me hai...

MAA-lets go then...

MAI-aap dono car se nikliye...hum bike se aate hain...

MAA-arre saath chalte hain naa...

MAI-wahan bike ki zaroorat padh sakti hai... waise bhi,bike me hospital ke shortcuts lene me asaani hogi...

MAA-thik hai...tum dono niklo...hum piche piche pahunchte hain...

bahar SONU apne dad ki bike pulsar 180 me aaya tha...dekh liya tha maine aur jo situation thi,uske hisaab se highway ke liye best shortcut bike se hi possible tha...

main gate cross karte karte hi SONU se bike ki key le li thi maine...

VROOMMM...VROOMMM...

MAA aur ma'am abhi tak saamne nahi aaye the isiliye SONU ke piche baiththe hi bike 360 degree skeed karte hue ghuma di maine...

SONU-bbhai araam se...aur yye kkis ttaraf se jjaa rrahe hhain hhum...

gglobe chowk ttoh ddusri taraf hai nna...

RASHI ke saath kya hua tha,bataya maine SONU ko jisse sun dimag satak gaya uska...

SONU-bbhaga bbhai...mmai baaki ssabko inform kkarta hun...

MAI-rehne de... matlab nahi kuch...faaltu ka panic ho jaayenge...

RASHI ko bacha len pehle, phir toh sabko pata chal hi jaana hai...

SONU-ppar bhai ttu bata raha tha kki unme se ek bbanda armed hai...!!!

MAI-shayad baaki sab bhi hon par filhal usse use karne ka chance kam hone waala hai...

N.H 52 busy highway road hai aur is waqt toh aur zyada...

agar profesionals nahi hue toh gun use nahi karenge,darane ke liye dikhayenge bas...

SONU-aur hue toh...!!!

MAI-bataya naa, heavy traffic...ussi ka faayda lena hai hume...bas unse pehle gudiyari chowk pahunch jaayen hum...

(gudiyari -n.h.52 highway connecting spot)

SONU-grey artiga batayi thi naa tune...!!!dekh,ek aa rahi hai...

ek grey sedan aur usse thoda piche sedan ko cross karne ki houd me lagi s.u.v ke beech jo jagah thi,wahan se ek artiga hamare hi taraf aa rahi thi...

kyunki traffic thodi zyada thi isiliye speed normal thi uski...

filhal kareeb 60 se 70 metre door thi woh car humse par s.u.v ke piche hone ki wajah se number uska dikh nahi raha tha...

par chance toh lena hi tha jiske liye time abhi hi sabse suitable tha...

MAI-kuch pakad le...

VROOM...

SONU-behenchod...aaj mmar ggaye louda...

tezi se bike aage bhaga di thi maine aur woh bhi white side line par nahi balki highway ke centre par...

wrong side tha aur upar se hamari hi taraf aa rahi vehicles ki bharmaar...

meri speed bhi 70 cross kar chuki thi jispar gandiya hi fat gayi SONU ki...

gaali bakne ke baad apni aankhein band li thi usne par mujhe rukne ya bike slow karne ke liye nahi kaha...

wahin woh grey sedan aur usse overtake karne ke liye uske baaju me aa chuki s.u.v chalane waale drivers ne jab apne saamne ek bike ko yun tezi se aate dekha toh...

CHRRRR...CHRRRR... CHRRRR...

speed brakes apply kiya unhone aur agle hi pal halka skid karne ke baad un dono ki cars beech highway par rook chuki thi...

par ye sudden brakes ka lagna un dono cars ke just piche bohot hi kam distance maintain kar aage badh rahi ERTIGA ke liye bohot zyada risky ho chuka tha par driver kaafi sahi tha...

brakes usne bhi perfect time par maare the jis wajah se sedan ko chhute chhute woh car rook chuki thi...

baaki cars halke distance me piche the isiliye bina joi dikkat woh sab bhi rook chuke the...

bike waale jaa sakte the par free me tamasha dekhna sense kar liya tha sabne isiliye woh sab bhi rook gaye the...

ABBE PAGAL HAI KYA BHOSDIKE...SAALE AAJ KAL KE LOUNDE...JHAANT KE BAAL THEEK SE UGE NAHI PAR BIKE ME DHOOM BANANE KI CHUL UGNA ZAROOR SHURU HO JAATI HAI...

mai aur SONU wahi beech highway par bike stand par laga chuke the jiske baad mujhse pehle SONU joki thodi der pehle gun waala risk point mujhe bata raha tha,ab bina kisi parwah ke tezi se ERTIGA ki taraf badhne ko hua tha...

par hamare bike se utarte tak s.u.v aur sedan ke drivers bhi utar chuke the...

ghussa toh dono ke hi faces me dikh raha tha par sedan waala banda kuch zyada hi bhadka hua tha...

mid thirties me 6 feet ka hattha katta aadmi tha woh jisne hume gaali bakne ke beech jaise hi SONU uske saamne pahuncha toh uske collar ko pakad liya usne...

AHHHH...

collor pakad SONU ko mukka maarne hi waala tha woh ki tabhi aisa feel hua usse jaise uska woh haath pankhe me tabdil ho gaya ho...

it went light...

MEDIAN NERVE.

wrist area me ubhri hui nas hoti hai ye joki puri hatheli ko control si karti hai...

us nerve ko hi zor se dabaya tha maine jiske asar se kuch seconds ke liye uska pura haath non functional ho chuka tha...

wahin nas dabane ke baad us bande ki kalayi tezi si mod ek jhatke ke saath usse pura ghumate hue car par uske sir ko hit kar chipka diya tha maine...

itni tezi se hua tha ye sab ki jahan ek taraf dard ki wajah se chikhne se pehle hi us bande ko concussions aane lage the wahin ye sab dekh s.u.v se hamari taraf aane waala banda wahin rook gaya tha...

khair,ek second baad sedan waale bande ki gardan chhod piche khadi ERTIGA ki taraf badh chale tha mai par tabhi...

SONU joki mujhse pehle hi aage badh chuka tha,usne ertiga ke bahar khade usse chalane waale bande ka collor pakad liya...

BANDA-abbe pagal hai kya..???ek toh wrong side me bike ghusate ho aur phir ulta yun harras karte ho...!!!

SONU-hharas...bhosdike, harassment wwoh jjo tere aur jjaise harami kkarte hhue aa rahe ho...

tteri ttoh saale...

MAI-SONU chill...ye woh car nahi hai...

SONU-mmatlab...grey artiga hi ttoh boli tthi naa tune...

MAI-abbe pure sheher me ek hi grey colour ki ertiga ghum rahi hai kya...!!!

gaadi aur uske colour ke saath saath car ka number bhi toh bataya tha tujhe...ek baar pehle woh bhi dekh leta...

us bande ko dharne ke chakkar me abhi tak SONU ne naa toh gaadi ke bahar uska number dekha tha aur naahi andar ka scene...

dusri car thi ye jisme wahi bas ek hi banda tha...

aur ab jab in sabhi chizon par dhyan gaya SONU ka toh haath us bande ke color se dheele padh chuke the uske...

MAI-sorry sir... actually aisi hi same colour ki ertiga me hamari ek dost ko kuch log utha kar le gaye hain...

issi taraf badhi hai woh car...

isiliye ye sab...sorry...

SONU ke haath hatathe hi us bande ne apna mobile nikaal liya tha,to call the cops...

isiliye sach bataya maine and it worked...ek pal mujhe dekh phone wapas apne jeb me rakh liya tha usne...

SONU-ab kya karen yaar...???

MAI-dekhte hain...filhal yahan se nikal...

BANDA-ek minute...same colour ki ertiga...!!!

last traffic signal me ek aisi hi ertiga mere side me rooki thi...

signal green hone par mai toh sidha aa gaya par woh log right ki taraf kat gaye the...

SONU-ram mmandir waale ttraffic signal ki bbaat kar rrahe hain ye...

par wahan se toh koi road nahi kaththi...

MAI-shit...sidhe nahi aur naahi city ki taraf...par traffic se u turn len toh 50 metres me hi ek gaddhon waali kacchi road nikalti hai...

SONU-arre haan...ppar wahan ttoh bade ggaddhe hain isiliye gaadiyan nnaa ke bbarabar hi nikalti hai udhar..

MAI-haan par precisely choti hatch backs...

par M.P.V'S araam se nikal sakti hai...

waise bhi gaddhon waale area bas 200 metres ke hain uske baad road bhale hi kacchi hai par smooth hai kaafi...

SONU-llekin us ttaraf se bbas ek aur u tturn hai jjisko lene se wwapas wahin sse niklenge jahan sse highway kke liye mmoode the...

MAI-agar u turn liya toh...!!! par agar sidhe badhte rahe toh it's a shortcut to...

SONU-sshit...MAX FUN RESORT...(SAM'S RESORT)

hum dono baat karte hue hi aage badh rahe...bike le ghoomte hue right side of the highway me bhi aa chuke the hum aur jaise hi resort ka naam mere dimag me click hua tha,wahan ke liye sabse best shortcut ki taraf ghuma di thi bike maine...

SONU-abbe woh rrahi...wahi hai naa...!!!

10 acres me faile MAX FUN resort ki entry porsh se pehle hi ek 100 metre ki lambi run in thi...

ussike last edge par hume dikhi ek grey colour ki ertiga jisse dekhte hi bike tezi se aage badha di maine par aage badhte hue saamne ke scene ko dekh kuch yaad aaya mujhe jisse halki tention bhi hone lagi thi mujhe par saath hi saath ek ummid bhi jagi thi...

REASON...

"THE LOHIA AND WADIA FAMILY WELCOMES YOU"...

aaj MAX FUN resort me uttarkhand ke do important power house families,THE LOHIAS ke groom and the WADIA family ke bridegroom ki shaadi thi...

abhi tak ke uttrakhand ke itihaas ki sabse mehengi shaadi thi ye jiska budget 75 crore plus tha...

beete dino newspaper me padhi thi maine ye news...SAM ke resort ko mili thi ye marriage arrangement ki deal...

waise toh SAM ki family ke liye 75 crores koi bohot zyada huge amount nahi par business aur marketing point of view se dekhen toh it was a big deal...

is shaadi ki khabren live chal rahi thi local news channels me jiska matlab tha ki resort ko bohot badi publicity free me mil rahi thi...

sabhi channels ke news reporters ke liye venue ke andar spot ready kiya gaya tha jahan se is marriage ke sabhi events ko capture kar rahe the woh sab...

SHRAVYA CHANDER kuch aur chain of resorts kholna chahti thi jiska bench mark banane waala tha ye wedding...

yahi wajah thi ki security gate se hi A plus type ki thi... yahan tak ki koi gadbadi naa ho isiliye police ka bhi intazam kiya gaya tha...

ek police van wahin side me khadi thi jiske bahar 3 thulle khade hue the...

waise ye entrance main nahi tha...maine entrance resort ki taraf aane waale pakke road ki taraf waala tha...

yahan se bas resort hired cars aur local listing people hi andar aa jaa rahe the isiliye bheed naa ke barabar thi par phir bhi security behadh strong...

yahan se bhi bina valid pass ke andar jaaya jaa sakta tha nahi isiliye hi tention hui thi mujhe aur ummid ka reason bhi same hi tha...

pass ke saath saath checking bhi ho rahi thi vehicles ki...normal peeping par itna hi kaafi tha...

RASHI ko security dekh len toh sab easy ho jaana tha par agle hi pal meri ye ummid toot gayi...

bas do second ke halt ke baad woh ertiga resort ke bade se entry gate ke andar badh chali thi...

HEHEHEHE....OYEE....KAAHAN GHUSE CHALE JAA RAHE HO...!!!

bike maine bhi tez kar di thi par as expected entrance me moujud guards ne aage aate hue raasta block kar diya tha hamara...

MAI-andar...jahan woh ertiga bina proper checking ke ghusne di tune...

GUARD-checking...!!!woh inslisted car thi aur tu hai kaun be sawal jawab karne waala...

chal nikal yahan se...normal party crashing venue nahi hai ye...kahin aur try kar...

SONU-abbe nnaya aaya kkya bbe...!!!kkayi baar aa cchuke hain is ttaraf hum...

SAMEER CHANDER kke as in is rresort kke owner kke classmates hain hum ddono..

ARRE WAAH... SANVEER AHARYA KE REHTE AAJ MERI PEHCHAAN KA SHOW OFF...

SAM tha ye...apne mom dad,dono ke business ko future me yahi handle karne waala tha aur is uske liye aaj ke event se behter training usse kahan mil sakti thi...

kyunki business bhale hi koi bhi ho par base moto sabka ek hi hota hai...to keep your clients happy...

aur is tactic ko sikhne ke liye aisi exotic shaadi se acha learning venture aur kuch ho sakta tha nahi...

MAI-dekh dude...tere hamare problems alag baat hai...par yahan baat alag hai...

kuch logon ne RASHI ko utha liya hai aur woh log abhi resort ke andar gaye hain...

they are in an ertiga... number...UK04ML****

in logon ne bina proper check kiye hi andar jaane diye hai us car ko...

SAM-us as in ye...iski baat kar raha hai...

apne haath me pakde iPad ko hamari taraf kiya SAAM ne...

ipad par video streaming chaalu thi...har car jo is gate se andar gayi thi,uski video recording captured thi us pad me...

is waqt jis gaadi ki baat mai kar raha tha,ussiki video dikh rahi thi par surprisingly,jo jo baatein maine kahi thi, visual bilkul ulat tha uska...

SAM-so you were saying...!!!bande...abbe ek hi banda hai gaadi me and he is driving...

ek aur baat...woh gaadi resort ki hi hai jo gayi thi laal chowk market to collect some stuff...

maine hi bola tha isiliye koi loophole nahi hai...

happy now...chalo niklo ab...aaj sirf vvips allowed hai yahan...

tum jaise fatichar,not allowed kids...now back off...

MAI-SAM...tu car ko kahin jaane ki permission de sakta hai par uske baad usme kya activity ho rahi hai, it's not in your control aur naahi pata chalna hai tujhe...

ek baar hume khud check kar lene de,sab clear ho jaayega...

SAM-kuch blur hoga toh clear karega naa tu...jo tu bol raha hai, sirf assumptions hai aur kuch nahi...

MAI-SAM,it about RASHI...

SAM-toh...why should i give a fuck...aur koi hota toh meri sympathy bhi hoti par that girl...

jisne meri mom ke baare me GALATH bola tha...

yahan nahi hai woh,that i can guarantee...aur yahan ko chhod jahan bhi hai,jo bhi ho uske saath,i dont give a damn about that slut...

DHAKKK....DHAKKK...DHAKKK...AHHH...

aage bolne layak chhoda nahi tha maine SAM ko...pehla punch uske gaal par,dusra uske chin par aur phir ek raipta uski kanpatti par...

khade khade hi unconscious mode par chala gaya tha SAM aur ye dekh 12 guards jo moujud the wahan, turant badhe meri taraf par unse tez mai chaka tha unki taraf...

aage ki taraf hawa me hi rotate hote hue aage waale guard ke mooh par kick jad thi maine aur uske baad niche jhukte hue dusre guard ki jhaang par fist hit kiya...

dard se karahate hue neeche jhuka woh jispar uske peeth se jump lete hue 4th guard ke chest par arial leg hit maar chuka tha mai...

ye sab itni tezi se hua tha ki baaki sabhi guards boukhla se gaye the aur yahi toh chahiye tha mujhe...

mujhe mila time jisko use me laate hue gate ki taraf tezi se badha mai par tabhi...

ROOK JAA LOUNDE VERNA THOOK JAAYEGA...

INSPECTOR RAJESH MISHRA tha ye jo main gate se bahar as in hamari taraf aa raha tha...

par taajub ki baat ye thi ki uske saath ek S.I,ek A.S.I aur 8 constables the...

aisa lag raha tha jaise normal gashti nahi balki gherabandi ke liye nikle hon sab...

RAJESH-ek reputative resort ke owner par haath uthaya tune aur woh bhi blood hits...

tututututu... khud hi ki gaand maar li lounde tune... section 307 aur 308 ipc jaanta hai...

MAI-attempt to murder...

RAJESH-yeh... dekha BASANT...(constables)...ye hota hai jaankar criminal hone ka faayda...

niyam kaanun pata hote hain...bakchodi me time waste nahi hota...

chal bhai...cooperate kar aur baith jaa gaadi me chupchaap...

MAI-baith jaaunga par pehle ***" number ki ek grey ertiga gayi hai andar...usse check karo aur usse chalane waale se strict puchtaach karo...

hamari ek friend ko us gaadi se yahan laaya gaya hai...

RAJESH-aisa hai beta...ki complaint police station me ki jaati hai...spots par criminal handovers hote hain jaise abhi ho raha hai...tu...

SONU-ppar ssir...hhamari ek ffriend kko yahin llaya ggaya hai... zabardasti...

RAJESH-oye hakle...issi ke saath hai naa tu...

SONU-hhaan...

RAJESH-ttoh bbhai...ddaalo,isse bbhi ggaadi mme...

MAI-haath laga ke dikha madarchod...

BASANT-kya bola re...

DHAPPP...

aage badh hi raha tha woh constable ki tabhi padi meri laath uske seene me aur agle hi pal he was in the ground...

KTCHHH...

aisa hua hi tha ki tabhi RAJESH aur uske piche khade S.I aur A.S.I ne apni apni pistol nikaal mujhpar point kar di thi...

RAJESH-ye hui naa baat...ek charge me maza nahi aa raha tha...par ab koi tention naa hai...

ab toh 353 bhi lag gaya tere pe... assault on a police officer...woh bhi on duty...

MAI-kaanun ki ghuti agar theek se padhi hai tune toh ye jaan le pehle ki jis ladki ki baat kar raha hun mai,she is an N.R.I...

agar hua usse kuch bhi toh international case banega aur fasega tu hi...

kyunki vaardaat ki jaankari maine forehand di hai tujhe par tu kuch kar nahi raha...

RAJESH-woh kya kehte hain angrezi me...i will take my chances...

aur ab bina panchayat ke chalega tu kyunki agar aisa nahi kiya toh tere saath tere is dost ko bhi yahin thok dunga mai...

aur yakin maan...koi case nahi hoga...resort owner ko maara hai tune...tere aur tere dost ke saath kuch bhi ho jaaye,yahan moujud koi bhi kuch nahi batane waala...

sir aapko thodi der ke liye hi sahi par case file karne station aana padega...

SAM-it will be my pleasure...aur jab bhi ye chhute, make sure ki tab haalath iski aisi ho ki kutta bhi isse zyada insaan lage...

RAJESH-gazab dialogue sirji...aisa hi hoga...

chalen ya jo bola,woh karna padega...

apne holster me haath fasa kahi thi ye baat RAJESH ne...

bohot kam aisa hota hai jab mere paas option nahi hote... jaise ki aaj...

sirf baat meri hoti toh saalon ko kabbadi khila chuka hota mai par saath mere SONU tha...

mai kuch karta toh RAJESH usse nuksaan pahunchata...

MAI-aag jalayi jaati hai,uske beech haath daalkar uske saath khela nahi jaata...jalne ka khatra hota hai...

tu toh pura hi odhne chala hai is aag ko...

chal...aaj din tera hai...par din ki toh khaasiyat hi ye hoti hai ki woh taarikh ke saath badal jaata hai...

waada hai mera, jaise hi taarikh badli,tera waqt badal dunga mai...

jis andaz me apni baat kahi thi maine,ek thandi leher si doud gayi thi RAJESH ke reedh ki haddi me par chehre ko saamanya hi rakha usne...

RAJESH-waqt toh badal chuka hai...ab bas tera huliya badalna baaki hai...

chal thaane...aisa huliya badlunga tera ki chehere aur sharir ke nakshe ke saath saath tever bhi badal jaayenge tere...

kisi manje hue criminal ki tarah mere aur SONU ke haathon me hathkadi laga di thi RAJESH aur uske S.I ne...

is harkat par SONU phir kuch bolne ko hua tha par maine ishare se usse chup rehne ko kaha...

hume lete hue RAJESH apni police scorpio ke paas pahuncha par gaadi ke andar daalne se pehle ruka woh aur mujhe lete hue piche RESORT ki taraf ghuma...

RAJESH-kismat bhi apni dharti ki tarah hi hai...gol...

yaad hai, hamara kissa yahin issi resort me shuru hua tha... aur tab kya kaha tha maine tujhse...

"YE DIN NAHI BHULNE WAALA MAI...YOU HAVE TO PAY FOR THIS...YOU WILL PAY FOR THIS"...(UPDATE-21)

finally aa hi gaya woh din...




akad toh bohot dikhayi hai tune,ab utni hi tadap DIKHAYEGA...

apni hadhen bhul gaya hai tu, koi nahi,aaj ye RAJESH tujhe teri sahi aukaad SAMJHAYEGA...

jo tune kiya tha woh zara saa bhi nahi bhula hun mai aur aaj...

mere aage tu apne us karni ki KEEMAT CHUKAYEGA...








AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Fantastic update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,094
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF CHHUTKI KA ACCIDENT HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF MAX RESORT ME SANVY AUR SONU KO RAJESH MISHRA HIRAASAT ME LE LETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA BLACK UPDATE-100


(PART-1)

DATE-THE "GALATH" DAY


CITY-DEHRADUN

PLACE-VIKAS NAGAR POLICE STATION






HAAN DEEPANKAR SAHAB...(JAIDEN'S SECRETARY)

DEEPANKAR-kahan hai ladka...!!!???

RAJESH-lockup me...abhi toh daala hai usse aur uske dost ko...

bas,khaatirdaari ke liye jaa hi raha tha ki aapka phone aa gaya...

DEEPANKAR-isiliye hi phone kiya hai... uske dost ko release karne ke baad hi apna haath chhodna ladke par...

DEEPANKAR-kyun sir...uska dost bhi kam shaana nahi hai...pardon my language sir par us harami ki zubaan bhi bohot chalti hai...

kuch dande toh uske pichwade me bhi maarunga mai...

DEEPANKAR-bhul gaye shayad sir ne kya kaha tha tumse... influence ki kami us ladke ke paas bhi nahi hai...

apne carrier ke sake ke liye uske dost me apne khilaaf koi strong evidence mat banao...

get rid of him first aur woh bhi turant kyunki apni bhadaas nikaalne ke liye zyada waqt nahi hai tumhare paas...

2 ghante me kuch log aayenge thaane... handover kar dena SANVY ko unhe...

RAJESH-kaun log sir...???

DEEPANKAR-kuch aise log jinse aur jinke baare me sawal khud JAIDEN CHOWDHARY bhi nahi karte...

baaki i hope ki tum khud samajhdaar ho...

phone hang up kar diya tha DEEPANKAR ne jiske baad kuch bhi dhang se naa samajh paane waale confused expressions ke saath apne baal khujlaate hue RAJESH andar waale lock-up jahan is waqt SANVY aur SONU ko rakha gaya tha,badh gaya...

RAJESH-chal lounde...lucky din hai tera...chhut gaya tu...

aage kya karna hai, kaise karna hai,ye saare sawal non stop alag alag sentences ke through puch raha tha mujhse SONU jispar RAJESH ki awaaz ne full stop laga diya tha...

RAJESH-ab khud niklega ki uske liye bhi khadedna padega tujhe...

SONU-aaur SANVY...!!!

RAJESH-oh dosti ki murat...upar waale ka shukr mana ki tu chhut raha hai...

chal ab nikal jaldi...

SONU-mmai SANVY ke bbina kkahin nahi jjaa raha...

RAJESH-abbe iski MAA ka...ae,bahar feko re isko...aur agar noutanki kare toh gaal sekte hue nikaalna bahar...

MAI-mujhe kuch nahi hoga... chupchaap nikal tu...

SONU-ppar bhai ttu...

MAI-kaha naa kuch nahi hoga mujhe...tu bas MAA ko info de dena...

SONU-woh ttoh bbataunga hi bbhai...

MAI-abbe sab batana... RASHI ke baare me bhi...uski MOM se baat karne ko bolna...N.R.I hai woh... investigation turant hoga aur authentic hoga...

chal ab nikal...

SONU ko cell se bahar dhakelne ke liye RAJESH ne apne do constables ko ishara kar diya tha...

bahar nikaalne ke chakkar me kahin haath na chhod den woh dono SONU par isiliye thode ghusse me usse jaane ko bola tha maine par SONU ne RAJESH ke ishare aur un constables ko dekh liya tha...

SONU-jja rraha hun mmai...ppar agar kkuch kkiya naa mmere bhai kko,yaad rrakhna, SIRIUS kke students hain hhum...

tere ssaath ssaath tere is ppolice sstation kko bbhi jjala ddenge...

RAJESH-iski behen ka louda... jhaant theek se uge nahi bhosdike aur police waale ko dhamkaye tu...

teri toh...

AHHH...

apni baat bol SONU ko maarne ke apni laath chala di thi RAJESH ne par uski is action ka reaction usse half me hi mil gaya tha...

RAJESH ka pair abhi strech hokar SONU ke chest me lagne hi waala tha ki tabhi uske ghutne ke back part muscle me mera foot hit kar gaya...

ghutne mudte chale gaye the RAJESH ke...aisa feel hua usse jaise sudden hamstring pull aa gayi ho uske pure right leg ki jodon me...

ladhkadhate hue neeche gir gaya tha woh...

current me dard bhale hi RAJESH ko ho raha tha par meri is harkat ne mera near future painful bana diya tha...

dard ke beech bhi JAIDEN ke secretary ki baat yaad thi RAJESH ko isiliye jaise hi constables mujhe maarne ke liye apna apna danda hilate badhe meri taraf toh rok diya usne un sabko...

RAJESH-bahar feko isse... turant...

agle hi pal ek constable SONU ko pakad lock-up se bahar nikaal aage badh chuka tha...

wahin mujhe ghusse se ghurne ke beech apne pairon ko jhatak khada hua RAJESH...

RAJESH-aaj teri saari charbi nikaal dunga ladke...

MAI-isiliye hi juvenile ke piche hone ke baawjud yahan adults lock-up me laaya hai mujhe...

police station ke just piche juveline custody bar tha jisse yahan aate waqt dekh liya tha maine...

RAJESH-dimag aur aankhein jitni tez hai teri, ummid hai ki sharir utna hi sakht hoga...

warna todna me maza nahi aayega mujhe...

THAKK...

saath khade constable ke haath se uska danda lete hue badi tezi se mere pair par chalaya tha RAJESH ne jispar hila bhi nahi mai...

bas apne pair ko jisme is waqt shoes the,tilt kar diya maine...

shoes ke sole par hi pada tha danda uska...

MAI-aaahh...nice shot...par thoda toh dum laga...dekh,dhool bhi dhang se nahi jhari...

kaan laal ho gaye the RAJESH ke jiske baad bina rooke aur jagah dekhe dande chalane laga tha woh...

par faayda kuch hua nahi...uske har swing ko bohot asaani se dodge karte jaa raha tha mai aur ye dekh RAJESH ke saath saath cell me moujud constables ka para bhi lagatar chadhne laga tha...

5 aur constables ke saath S.I aur A.S.I bhi aa chuke the yahan jiske baad meri taraf badhne lage the woh sab...

ab sirf defense kaafi nahi tha...bachne ke liye i have to attack par police officers ko maarna woh bhi police station me, it's not good...

mai toh bas time kaise bhi karke paas karne ki koshish kar raha tha kyunki i knew ki ek baar MAA aa jaaye,uske baad i am out of here...

par kuch toh karna hi tha isiliye...

jaise hi agli baar RAJESH ne apna danda ghumaya,usse mid air me hi pakad mere paas aa chuke constable ki taraf kar diya maine...

hadbada kar apne haath dande ki taraf kiya usne jispar danda chhod uske chest ko ek tez push kiya maine...

push satik aur forceful tha jiske asar se uske piche se meri taraf badh rahe sabhi police karmiyon ke upar gir gaya woh...

THKKKK...

DHAKKK...

RAJESH-bhosdike..

constables aur S.I ko gutham guthha hokar girte dekh paara hadh se zyada chadh gaya tha RAJESH ka jiske baad usne kuch aisa kiya jo totally unexpected tha mere liye...

he shot at me...kisi major organ par nahi...kyunki bohot kareeb tha mai isiliye mere kisi bhi body part par aim karna easy tha uske liye...

mere right hand ke edge par shoot kiya tha usne jiske baad goli mere bisceps ke tissue ko tear karte hue nikal gayi...

internal damage toh halka bhi nahi hua tha mujhe par goli ke tissue tear karte hi jalan hadh se zyada hui thi...

ek second ke andar hi puri body garm ho gayi thi mujhe par body se zyada garam dimag hua tha mera aur saath hi saath surprised bhi...

aakhir ek juveline case tha mai jisse normal way me interrogate karna hi allowed nahi tha...

aise me mujhpar goli chalayega RAJESH,socha nahi tha maine...

wahin dusri taraf RAJESH ne goli chalane ke baad hi bas nahi ki thi...

goli chalane ke saath hi apna pair meri chest par chala diya tha usne...

aur kyunki mai pehle hi goli chalne aur mujhe lagne se hairan tha,i was unable stop the hit...

uski laath badi tez hit ki thi mere chest par jiske asar se mai piche cell ke sakht wall se takraya...

par peeth ke saath saath hit mera back head bhi ho gaya tha isiliye sir puri tarah chakta gaya mera...

aankhon ke aage kuch palon ke liye andhera chha gaya tha mera aur issi ka faayda uthathe hue A.S.I joki kaafi hatha katta tha,aage badha aur agle hi pal mere piche pahunch mere dono baahon se haath aage nikaalte hue mujhe daboch liya tha usne...

abhi usne aisa kiya hi tha ki 2 constables bhi pahunche mere paas aur mere locked dono haathon ke wrists ko marod diya...

AHHHH...

bohot painful tha ye twist...par abhi toh ye shuruat thi...

wrists ke twist se utha pain,par more importantly, haathon me shrug off hui goli se tees maar rahi taklif ko hand lock ke zariye aur badhate A.S.I ko cross kar do constables ne piche se mere dono pairon ko pakad hawa me utha diya mujhe...

ab bhale hi mai in sabhi bandon se zyada flexible aur tez tha, technical combat skills me ye sab milkar bhi mere barabar ke nahi the par ek sach ye bhi tha ki filhal meri sharirik taakat in sabse kam thi...

bohot kam...mai in sab par ek saath araam se bhaari padh sakta tha par sirf tab jab inke haathon se khudko door rakhun par saath hi saath physically aur mentally perfectly balanced rahun...

par pehle goli aur phir back head spinning ki wajah se mere dono hi core powers hile hue the...

aur yahi wajah thi ki aaj cheekh mere opponents ke mooh se nahi balki mere mooh se nikalne waali thi...

AHHHHHH....

RAJESH ne mere back leg par dande se ek zor ka hit kiya tha...

hit itna tez tha ki beintehan tez dard ke agle hi pal mere pair sun padh chuke the...

RAJESH-ahhahahahaha....itne logon ki gaand todi hai maine...

sabhi cheekhein hain, chillaye hain,par tere dard se jo sukoon mil raha hai naa,uski baat hi kuch aur hai...

MAI-middle class samajh ke GALATH bhid gaya tu...

jitna maarna hai maar le par itna samajh le...taklif utni hi dena jitni baad me khud seh sake...

RAJESH-behenchod... sharir hawa me hai toh akad bhi aasman me...

koi nahi lounde... sharir ke saath saath tera ghamand bhi tod dunga mai aaj...

letao re patiya pe...

THAKKKK...THAKKK....THAKKK...

AAHHHHHHHHHHHHHHHHH....

mujhe thandi patiya par lethathe hi zoron se chalne laga RAJESH ka danda aur uthi hi tez nikalne lagi thi meri cheekhein...




PLACE-M.M.I



YEH SANVY KAHAN REH GAYA...???

third ring lagayi thi VERONICA ne SANVY ko par pehle so calls ki hi tarah is baar bhi ring puri gayi par phone nahi uthaya unke bete ne...

situation har din ki hi tarah normal thi par pata nahi kyun,negetive vibes aa rahi thi VERONICA ko...

VERONICA-laptop bhi ghar me chhod diya hai...

ARE YOU SURE...!!!

ek baar phir apne bete ko call lagane hi jaa rahi thi VERONICA par tabhi chhutki ke paas se uth room se bahar aayi RANJANA ki hairat se bhari awaaz ko sun palti woh uski taraf...

hairat ke saath tention bhi dikh rahi thi RANJANA ke face par jisse dekh VERONICA ke man me paida hui negetive vibe aur strong ho gayi...

VERONICA-kya hua...???

RANJANA-RUE,KANO,MAGNUS...teeno ek saath spot hue hain...

G.O.D me RUE ki hi tarah KANO aur MAGNUS bhi

RANJANA ki baat sun aankhein hairat se badi ho chuki thi VERONICA ki...

because ek saath in teen legendary super sharp assassins ke saath hone ka matlab tha mission...

aur aisa bohot kam hua tha ki G.O.D ko kissi mission ek mission ke kiye bhale hi woh mission kitni hi badi kyun naa hon,un teeno ki ek saath zaroorat padi ho...

VERONICA-kahan...!!!???

RANJANA-kuch der pehle DELHI me identify kiya gaya unhe par identification live nahi hui thi...

they were in 30 percent of prosthetic...kisi aur ne toh nahi par *** ke database se un teeno ko identity kar liya gaya...

par now they have jumped out of the radar...currently kahan hai,what are they up to....!!!

koi idea nahi...

TRINGGG...

RANJANA ki baat puri hui hi thi ki tabhi baja VERONICA ka cell...

SONU ki call thi jisse turant uthaya VERONICA ne...

VERONICA-hello...

hello...bas itna hi nikal paaya tha VERONICA ke mooh se kyunki uske baad SONU ne jo bataya,usse sun kuch kehne ko bacha hi nahi VERONICA ke liye...

shuru se lekar ab tak jo jo bhi hua tha,sab silsilevar batata chala gaya tha SONU jisse sun saara scene clear ho chuka tha uske dimag me...

VERONICA-tum tention mat lo beta...mai dekh lungi...

SONU-aur aunty RASHI...

VERONICA-relax...bola naa maine,mai dekh lungi sab...

RANJANA-kya hua...???

VERONICA-RUE,KANO, MAGNUS...i know kahan hain or thodi der me kahan hone waale honge woh teeno...

RANJANA-kahan...???

VERONICA-yahan.... DEHRADUN...

they are here for SANVY and me...which means, it's time...

VERONICA ki baat sun shock ke saath saath dar aur tez uttejana ne ghar karna shuru kar diya tha RANJANA ke man me...

BEEP...BEEP...

BHABHI SE KEHNA KUCH NAHI HOGA UNHE AUR NAAHI MERE BETE KO...

MAI AA RAHA HUN...

kuch kehti RANJANA VERONICA se ki tabhi uska phone jisse silent me rakha hua tha usne,vibrate hue...

number unknown tha jisse uthate hi jo awaaz RANJANA ke kaano par padi usne VERONICA ki baat ko sach bata diya tha...

it was VEER...apne aane ki baat batane ke baad kuch aur baatein kahi usne aur phone kaat diya...

VERONICA-VEER tha naa...!!!

RANJANA-hmm...aa raha hai woh...bas kuch ghanto me he will be here...

par tab tak ke liye bhi usne arrangements kar di hai...

VERONICA-kaise...???

RANJANA-that mission...jiske liye *** ko usne haan ki thi...

G.O.D ke NASHRI TUNNEL waale kaand aur phir tere involvement ki khabar thi usse...

isiliye jab same sequence uske saath bhi dohraya toh *** ko brazil jaane ki ek sharth bhi rakhi thi usne...

ki uske piche there agents will guard you and SANVY...

abhi jo ho raha hai,he is aware of it too isiliye usne *** combat specialists ki ek tukdi ko uske aate tak tum dono ko protect karne ke liye kaha hai...

VERONICA-hum dono ko nahi,sirf mere bete ko...i will handle myself...

tell the agents to secure every part of that police station's parameters...

RANJANA-done...

VERONICA ke bolne ke beech hi RANJANA apne dusre as in official phone se text kar chuki thi...

RANJANA-but you know right ki VEER ke condition ki wajah se *** G.O.D ke logon bhale se SANVY ko bachayenge par jis matter ki wajah se SANVY lock-up me hai,usme involve nahi honge woh...

because ab tum *** unka hissa nahi ho isiliye they can't interfere in your legal matters...

VERONICA-i know...hissa hoti toh kisi bhi rank ke police officer me itni power nahi thi ki woh mere bete ko chhu bhi sake...

station mai jaa rahi hun...

RANJANA-hum...aur tujhe *** ke log nahi chahiye,koi baat nahi...but mai tere saath rehne waali hun...

VERONICA-nahi...tu bhi un sabke saath SANVY ke liye rukegi...

RANJANA-hell no babes...the DISCIPLES are here...woh bhi teen teen...

i know you are better then all of them par ek saath teen DISCIPLES...

VERONICA-still i am better...yaad hai meri har field operation me hone waali fights ke baad kya kehti thi tu...

RANJANA-haan...its your best fight ever...

VERONICA-aur mera jawab kya hota tha hamesha...!!!???

RANJANA-ki my best is yet to come...

VERONICA-today is the day...bohot gumaan raha hai G.O.D ko apni taakat par...

VERONICA se toh pehle bhi takrayen hai woh par aaj woh ek MAA se bhidenge...

aur MAA ke saamne toh asli GOD tak ne ghutne teke hain, phir ye saale toh bas naam ke G.O.D ke hain...

RANJANA-but VERZ...

VERONICA-please...maan jaa aur promise kar ki mere bete ko kuch bhi nahi hone degi tu...and he is not walking away with G.O.D...

RANJANA-promise...

baat karte hue RANJANA ki car tak pahunch chuke the dono aur jaise hi RANJANA ne promise kaha,driver seat me baithi VERONICA ne ek normal honda city sedan ko formula one car me badal douda diya tha...




BACK TO HERO:-

PLACE-VIKAS NAGAR POLICE STATION



RANJANA-*** are here...12 agents hain...

police station ke bahar car park karne ke baad neeche utarte hi aas paas ki dukaano aur road par casually ghum rahe *** agents ko verify kar liya tha RANJANA ne...

VERONICA-14 hain...aage chaurahe ke dono taraf lage poles par peeth tikaye khade hain 2...

RANJANA-baaki sabke liye toh theek hai par DISCIPLES ke liye kaafi nahi hain itne...

VERONICA-ladne aaye bhi nahi hain ye...they are here just to block...

G.O.D kabhi rebel gang ki tarah khulle me nahi ladte...

woh yahan aa rahe hain to negotiate with my son...

trade his worth...

RANJANA-and that's the main question right...why will SANVY ever accept anything from them...

aisa kya leverage ho sakta hai unke paas...but i know ki jawab SANEEL,VEER ya tujhse naa pehle mila hai mujhe aur naahi ab milega...

VERONICA-kabhi naa kabhi milega...be sure about it...

bohot late ho gaye...

apni watch par nazar daalne ke beech station ke compound ko joki bohot bada tha,aadha cross kar liya tha dono ne...

MMI dehradun ke northern outskirts me bana tha jabki VIKAS NAGAR POLICE STATION uske complete opposite southern outerskirts me...

doori dono jagahon ke beech 30 kms ke aas paas thi upar se is waqt rehne waali heavy traffic...

par phir bhi 20 minute me hi ye doori tay kar li thi VERONICA ne
OH MADAM...

KAHAN GHUSSE CHALE JAA RAHE HO...!!!???

constable tha ye jo VERONICA aur RANJANA ko station ke complaint section ko cross kar piche cell area ki taraf badhte dekh unke aage pahunch rok chuka tha...

VERONICA-30 minute pehle mere bete ko yahan laaya gaya hai...SANVEER AHARYA...

juvenile hai phir bhi ek adult station me rakha gaya hai usse...

kis cell ke me hai mera beta......???

CONSTABLE-is naam ka koi nahi laaya gaya hai idhar... juveline hai toh piche building hai uski,udhar check karo...

mil gaya toh theek nahi toh missing complaint 24 ghante ke baad hi likhi jaati hai...

abhi jaaoooooo...

AHHHHHH...

haath upar kar jaane ke liye bol hi raha tha woh constable par tabhi usse pata bhi nahi chala ki kab uska woh utha haath uski peeth par lag chuka tha...

khud ulta ghoom chuka tha woh aur pain itna zyada hua ki dard bhari aah ke beech chhatpatane laga tha woh...

VERONICA-kahan hai mera beta...???

CONSTABLE-aage...aakhri me daayin waali cell...

dard se chhatpataate constable ko dhakaa de side me girate hue tezi se aage badh chuki thi VERONICA aur RANJANA...

CHNNNN...

A S.I-ab rehne dete hain sir...aur maara toh kahin internally damage naa ho jaaye saale ko...

S.I-haan...waise bhi kaunla hai lounda...jis umar me haddi mazboot hoti hai,aapne jade hila di hain puri iski...

RAJESH-abhi toh hilayi hai...ukhaadna baaki hai...

S.I-mar jaayega sir...

RAJESH-woh bhi hai par ek aakhri round toh banta hai...

VERONICA aur RANJANA tez kadmo se chalte hue aakhri cells ke paas pahunche hi the ki tabhi daahine taraf ke aakhri cell ka darwaza khula aur teen log ek ke baad bahar aaye...

aur unki baat jo woh andar cell me haskar dekhte hue keh rahe the,sun dimag thanak gaya tha dono ka...

wahin dusri taraf RAJESH ke saath saath A.S.I aur S.I,teeno ki hi nazar saamne se apni taraf aa rahi do do apsaraon par padh chuki thi...

un dono ki aur khaaskar VERONICA ki unparalled beauty ko dekh ek pal ke liye pure scenerio ko bhul hi chuke the teeno...

RAJESH ne toh in pic, VERONICA ko dekha bhi tha...pic me bhi kaafi sundar dikh rahi thi woh half tilted pic thi woh isiliye uski beintehan khubsoorati theek se kaid nahi ho paayi thi us photo me...

par ab saakshat VERONICA ko saamne se dekh dil aur imaan, dono hi ek saath dolne laga tha uska...

par S.I aur A.S.I ki hi tarah woh bhi filhal apni maryada me tha...

aura hi kuch aisa tha VERONICA aur RANJANA ka ki unse battamizi ya chhedkhani karne se jhijhak rahe the teeno...

par un teeno ki ghurti nigaahon se bekhabar VERONICA aur RANJANA ki aankhein toh jaise cell ke andar atak si gayi thi joki laazmi bhi tha...



REASON...

(THIS SCENE:-WRITERS POINT OF VIEW)


SANVY...

gaal dono taraf se foole hue the...thodi bhi halki suji thi dikh rahi thi...

casual denim jacket joki tshirt ke upar daali thi SANVY ne,woh toh kab ki utar chuki thi...aur tshirt...aadhi se zyada fath chuki thi jiske andar belt ki maar se pade anginat red marks saaf dikhayi de rahe the...

jeans bhi kaafi zyada fath chuki thi aur jitni jagah khuli thi,woh ubhar kar dikh rahi thi...

dando ki chot ki wajah se sooj jo chuki thi woh sabhi jagah...

khoon nahi nikala tha par ek rapist, murderer ya drug peddler ko third degree interrogation ke waqt jaisa maara jaata hai,aisi hi
condition thi is waqt SANVY ki...

neeche zamin par gira haanf raha tha woh...khada hona chahta tha par ghutno par padi maar aur usse hue soojan ki wajah se khade hone ki condition me nahi tha SANVY...

chupchaap cell ki salakhon ko thaam apne bete ko dekh rahi thi VERONICA...

A.S.I-kaun hain aap dono aur aise yahan cell area me kaise aa gayi...

CONSTABLE-sir...is madam ne haath uthaya mujhpar...

wahi constable jiska haath ghumaya tha VERONICA ne, kuch aur saathi thullo ke saath douda hua aaya tha is taraf...

aur jo hasr VERONICA ne us thulle ka second bhar me kar diya tha,uski wajah se 3 constables ne 12 Bore double barrel shotgun jisse hindi me hum donaali bhi kehte hain,pakda hua tha...

khair, us constable ki baat sun jaise RAJESH ko VERONICA aur RANJANA ke saath battamizi aur chhedkhani karne ka mouka mil gaya tha...

RAJESH--ye kya harkat hai...!!! shakal se toh ache ghar ki lagti ho aur police station me hi gundagardi...

lagta hai andar jaane ki bohot chul hai dono ko... koi nahi,abhi chul mita dete hain...

AHHHH....AHHHH....

ishara kiya RAJESH ne apne A.S.I ko jiska shayad intazar hi kar raha tha woh...

VERONICA aur RANJANA ke kandhe ki taraf apna ek ek haath badhaya hi tha A.S.I ne ki agle hi pal uske woh dono haath ghum chuke the...

usse ulta ghumate hue uske gaand ke dono bhaagon par ek ek laath jadh diya tha VERONICA aur RANJANA ne...

RAJESH ki taraf badi tezi se aayi thi A.S.I ki body par furti RAJESH me bhi thi...

chhati par haath rakh rok liya tha usne A.S.I ko aur tabhi...

KDHKKK...

ek taraf S.I ne apne holster se gun aur dusri taraf woh 4 constables jinke haathon me donali thi, taan diya tha VERONICA aur RANJANA par...

45,55,60,75...

gun khud par tana dekh unhe hold kiye constables ke body angles ek pal me hi ghum chuke the VERONICA ke dimag par...

wahin dusri taraf RANJANA ke saamne toh bas ek hi target tha...woh S.I.

DHAKKK....

sateek hit...

apne pairon ko ghumate hue 45 degree right par khade constable ke shoulder par itni tezi se ghumaya VERONICA ne ki jab tab usse kuch samajh aata, ladkhadate hue apne saatho ke upar gir chuka tha woh...

aur uska woh saathi...woh bhi apne saathi se takrane par disbalanced hote hue teesre bandukh dhaari se bhid pada tha...

bas ek donali pakda banda bacha tha jo jab tak kuch samajhta,uske gun ki nali ko pakad upar utha chuki thi VERONICA...

is beech RANJANA bhi move kar chuki thi jiska natija ye hua tha ki jitni tezi se S.I ne apne holster se gun nikala tha,usse doguni speed se woh gun uske haathon se chhitak neeche gir chuki thi...

par tabhi kuch aisa hua ki ek pal me hi pura scenerio badal gaya...

VERONICA aur RANJANA ki fight dekh RAJESH jo ab tak chup khada tha, bhadak gaya...

tezi se aage badha woh aur VERONICA jisne last constable ki gun upar uthayi hui thi,uske paas pahunch apne haath badha diya usne...

kheenchna woh piche se VERONICA ke baal chahta tha par VERONICA ne apne piche movement feel kar li thi usne aur isiliye ghumte hue apna pair laath maarne ki position ke utha liya tha usne par uska ye sudden turn hi GALATH ho gaya...

VERONICA ke ghumne ki wajah se RAJESH ka haath joki uske baalon ko hold karne jaa raha tha slip in hote hue uske seene ke upar padh gaya...

infact,kurti pehni hui thi abhi VERONICA ne aur RAJESH ki ungliyan kurte ke centre par lage button ko jakadte hue unhe todne lagi thi exposing her breasts...

jahan aisa hote hi RAJESH ke chehre par ek smile naach uthi thi wahin VERONICA ka utha laath rook chuka tha...

apne kurte ke beech breast ke upari skin par RAJESH ki ungliyan feel kar pehle toh shock hui VERONICA par phir paara uska bhi chhadh chuka tha...

pair neeche karne ke beech RAJESH ke ussi badhe haath ko pakad todne ka man bana chuki thi woh par woh aisa kar paati ki tabhi...

HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAAHAHAHAHAHAHA.....AHAHAHAHAHAAHAHAHAHAHAHAHAHAHAH....

ek khankhanti si awaaz jo badi paas se aayi thi par sunane me aisa laga jaise kahin chhupa hua koi shaitan kuch cheer bahar aane ke beech apne azaad hone ki khushi manate hue has raha hai...

ye SANVY tha...par kya ye wakayi SANVY tha...!!!

jab tak sidha has raha tha,phir bhi pehchan me tha par phir uske mooh se hichki ki sound me nikalti ulti hasi...

aankhein band,cell ki deewar se sir tika VERONICA as in apni MAA ki taraf hi tha uska chehra par aankhein band thi filhal...

par un band aankhon ke andar tez leheren paida kar rahi tsunami ko saaf mehsoos kiya jaa sakta tha...

aur uski hasi...reedh ki haddi me ek aisi kampkapi paida hui thi ke apne apne reedh ki haddi ko jamta sa mehsoos kiya tha sabne...

aur phir...ek jhatke me khuli SANVY ki aankhein aur aisa hote hi RAJESH aur baaki sabhi thullo ko gaand bhi khul chuki thi...

jaise haathon me lakire hoti hai,waise hi khoon se bani patli patli lakeeron ki chain si bani hui thi is waqt SANVY ke aankhon me...

chehre ko darindo waali hasi thi par aankhein utni hi khaali...naa moh,naa maaya,naa ghussa naa dard...

ek tak RAJESH aur uske haath jo ab bhi VERONICA ke kurte me fasa hua tha,dekh raha tha SANVY jispar turant apne aap hi uska woh haath kurte se hath neeche ho chuka tha...


SANVY-GHAR JAAIYE... KUCH NAHI HOGA AAPKE BETE KO...I PROMISE...

SUBSUPERCONSCIOUS STATE OF MIND...

BOHOT HI SHAKTISHALI SOCH PAR AGAR BURE KAARAN SE PRERIT JO JAAYE TOH ISSE KHATARNAK KUCH NAHI...

SANVY ko dekhte hi uske personality ke sach se waakif ho chuki thi RANJANA par ye gyan abhi adhura tha...

SANVY filhal kya tha aur kya ban sakta tha,iska andaza naa RANJANA jaisi psychological gem laga sakti thi aur naahi koi aur...

MAINE KAHA GHAR JAAIYE...ABHI...

bola nahi order sa diya tha SANVY ne aur aise diya ki VERONICA aur RANJANA ek second bhi nahi ruke wahan...

turant nikle woh dono wahan se aur ye dekh fati padi apni apni gaand ko silte hue RAJESH un dono ko rokne me liye bolne hi waala tha ki tabhi...

SANVY-ae RAJESH...jo jaa raha hai,usse mat rok...maa ka doodh piya hai toh jo yahan hai,usse thok...

bol raha tha naa tu, ek aur round toh banta hai...shuru kar phir aur haan,mard hai toh taklif honi chahiye mujhe...

agar cheekh nahi nikli meri toh pant kholna aur apne lund ko khud hi kaatkar alag kar lena...

SANVY ki baat sun jhaantein andar tak sulag gayi thi RAJESH ki...

RAJESH hi kya,uske saath khade A.S.I aur S.I bhi bhadak uthe the...

RAJESH-bohot bol raha hai bhosdike...apni MAA ko dekh padi hui maar bhul gaya lagta hai...

koi nahi...teri MAA aur uski dost ko toh kabhi bhi utha lunga par abhi teri yaddasht aur akad theek karta hun...

paas hi pade dande ko uthate hue teeno ek ke baad ek cell ke andar ghuse...

constables bhi andar ghuse the jiske baad...

RAJESH-letao re sil par firse...

DHAKKK....DHAKKK...DHAKKK...

AHAHAHAHAHAHAHAHAAHAHAHA....

constables ne milkar wapas SANVY ko sil par ulta leta diya tha jiske baad uske talve par joki pure thighs aur knees ki tarah hi sooja hua tha, pehli maar maari thi RAJESH ne par jo reaction SANVY ke mooh se nikla,usse sun RAJESH ke saath baaki sab bhi hathprabh reh gaye the...

ek zehrili hasi jiska bramhand ki hi tarah koi ant naa ho,hasne laga tha SANVY jisse sun shock hone ke baad aisa ghusaa chaddha RAJESH ke saath A.S.I aur S.I ko ki kandhe se lekar pair tak kayi dande maarte chale gaye teeno par mooh se karah toh door,chehre par dard ki ek halki si lakeer bhi nahi kheench paayi thi SANVY ke...

SANVY-ek kaam karo... bacha ke maarna chhodo...khoon dikhne ka jo dar sata raha hai naa tumhe,azaad karta hun mai tumhe usse...

koi official complaint nahi hogi tum logon ke khilaaf...mai karunga hi nahi...

bohot din hue dekhe apne khoon ko...madad karo zara...kya hua...maar naa...ek kaam kar...pehla waar sir par kar...khol mere magaj ko...

arre khol naa...mai madad karun...

DHAKKK...


SANVY ki baat sun stabdh se khade reh gaye the sab aur tandra unki tab tooti jab sil ke patthar par apna hi sir de maara SANVY ne...

saamne se halka sir fata uska jiske agle hi pal khoon ki ek lakeer maathe se nikal naak ke raaste neeche jaane lagi...

A.S.I-abbe ppagal wagal toh nahi hai...

MAI-paagal hota toh apna nahi tera sir phodta...mujhe toh bas sanak hai...khoon ki...teri filhal nikaal nahi sakta toh apna hi sahi...

DHAKK...

ek baar phir patka sir apna sil par aur natija bhi same nikla...ek baar phir khoon ki nayi lakeer sir se neeche raasta banane lagi apna...

aur ye sab dekh S.I,A.S.I aur RAJESH ke saath saath saare constables ki gandiya bhi fatne lagi thi...

kahan ab tak SANVY ko alag alag tariko se maarne par tule hue the sab par ab jo SANVY unke saamne tha,usse maarna toh door chhune se bhi ghabrane lage the woh...

aur uski harkaton se dar bhi rahe the sab aur khaaskar RAJESH...

kyunki kuch der pehle JAIDEN CHOWDHARY ke secretary ki baat jisme kaha tha usne ki influence ki kami SANVY ke paas bhi kam nahi hai,yaad thi usse...

aise me SANVY ka khudko bleed out karna,bohot risky ho gaya tha uske liye par woh kare kya,ye samajh nahi aa raha tha usse...

lekin uski pareshani SANVY ka sharir bohot jald door karne waala tha...

kyunki SANVY ke dorsal posterior insula(part of brain that controls pain) ne bhale hi is waqt SANVY ke body ko dard mehsoos karne se block kiya hua tha,par iska ye matlab toh bilkul bhi nahi tha ki itni saari maar ka impact uske baaki ke dimag par hua tha nahi...

every part of his body was trembling aur uske baaki ka dimag, khaaskar uska HIND BRAIN jiski wajah se SANVY ab tak hosh me tha,samajh chuka tha ki is condition me SANVY ka zyada der tak conscious rehna sahi nahi tha...

isiliye lagatar hasne ke beech SANVY ki aankhein bhaari hone lagi thi aur jaise hi usne apne head par second hit maari,HIND BRAIN ne uske sabhi conscious nerves ko dheela karna shuru kar diya...

natija,kuch hi seconds me SANVY behosh ho chuka tha...








AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,094
123
MEGA BLACK UPDATE

PART-2




RANJANA-dont worry...magistrate signature ke liye lawyer pahunch chuka hai par abhi he is in a meeting...

jaise hi meeting over hoti hai,we will get the required signature...max 1 hour...SANVY bahar hoga yahan se...

Police tation se nikalte hi call hang up kar hui baat batane lagi thi RANJANA...

VERONICA-woh meeting lambi chalegi...jaiden ne karaya hai ye sab warna jaise scenerios bane hain,aise ittefaq hote nahi...

uttarkhand me VEER ka legal kaam abhi bhi MR ANUPAM GHOSH hi sambhal rahe hain naa...!!!

RANJANA-haan...

VERONICA-SANVY ko police custody me rakha gaya hai,ye toh VEER ko pata hai par yahan jo kuch bhi SANVY ke saath ho raha hai,iska bilkul andaza nahi hai usse...

normal juvenile home ke andar custody me baitha hoga SANVY, aisa hi samajh raha hai woh...

aur jo is taraf aa rahe hain,unse uski safety ke liye ye acha hi hai...meri tarah woh bhi yahi soch raha hoga...

isiliye sirf external security ke liye *** ko bahar lagaya hua hai usne...

tell him what's going on inside...MR GHOSH agar chizen handle karen toh magistrate ki woh lambi meeting turant rook jaayegi...

RANJANA-true...saath hi saath woh police officers bhi turant suspend ho jaayenge...

VERONICA-nopes...aisa nahi hona chahiye...VEER ko ye bhi bata dena...

RANJANA-what...!!!kyun...???

VERONICA-DEVIL saza dilwata nahi hai, khud deta hai...aur andar toh aisa devil hai jiski saza ke saamne mout bhi rehem lage...

aaj bohot dino baad maine raw SANVY ko dekha hai...bohot saawdhani se jis dhaanche ko SANEEL aur maine taiyar kiya tha, ek jhatke me toot gaya aaj woh...

baat karte hue car ke paas pahunch chuke the dono...

RANJANA-mai saath aa rahi hun aur tu rokegi nahi mujhe...yahan station ke bahar protection hai par meri gut feeling keh rahi hai ki DISCIPLES se khatra SANVY se zyada tujhe hai...

waise bhi bas aaj raat ki hi baat hai...G.O.D ne apne exclusives ko bhejkar is visit ko official **" bana diya hai...kal se pura dehradun *** ke saath saath INDIA ke sabhi intelligence agencies ka chhawni ban jaayega...

isiliye tu kuch bhi keh le but i am coming with you...

VERONICA-filhal mai rokungi bhi nahi tujhe...i have to give you something and guide you too..par uske baad,tu loutegi yahan wapas...

haan yahan *** ke log moujud hain par i can't trust them as i can trust you...

ab chal jaldi...

car ke baith dono nikal chuke the jiske baad jahan ek taraf aaj ki puri ghatna rewind hone lagi thi VERONICA ke dimag me wahin dusri taraf RANJANA VEER ko call laga chuki thi...


.....................................................



SHE IS OUT AND RANJANA IS WITH HER TOO...14 *** AGENTS HAIN BUT THEY CAN BE DEALT EASILY...

WE CAN CONFISCATE THE BOY EASILY...

vikas nagar police station se kareeb 100 metre door ek under-construction mall tha jiske fourth floor par khadi ek khubsurat naagin ke mooh se nikli thi ye baat...

SEND 20 CORPS TO DEAL WITH *** AGENTS AND YOU THREE,WITH REST OF THE CORPS,GO FOR VERONICA...

EXTERNAL HELP IS ALSO ON THE WAY...

saamne se mile order ko sun line par silence chaa gaya tha jispar...

QUESTIONS RUE...YOU CAN GO FOR IT...

RUE-PARDON FOR MY DARE **** par 20 corps to collect just one single package...!!!

GALATH...!!!20 CORPS to collect no package at all...

its just to ensure that VERONICA has no external help...

VEER nikal chuka hai par usse pehle uski team nikli hai...infact they have already landed in dehradun...

they should feel ki target hamara sirf SANVY hai, VERONICA nahi...

woh sab,puri team,wahan station me indulge honi chahiye...

RUE-and we will rectify VERONICA...

HAHAHAHAHA...startergize and try...tum teeno me se jisne bhi THUNDERBOLT ko rectify kiya,they will qualify for being one of us...

THE GENESIS...

now hurry up..zyada waqt nahi milega hume...

RUE se ho rahi conversation ek open line thi jisse comms me uske saath khade baaki dono disciples bhi sun rahe the...

aur aakhir me jo reward bataya gaya tha,usse sun sharir me khushi ki kampkapi daud uthi thi sabke...

bohot suna tha un teeno ne VERONICA ke baare me...is puri duniya me VERONICA akeli thi jisne G.O.D ke top rankers as in GENESIS tak ke 3 membership ko battle me haraya tha...

G.O.D ke itihaas me aisa kabhi nahi hua tha isiliye RUE aur baaki dono disciples ko jab mission"RECTIFY THUNDERBOLT"mila toh kaafi andar se kaafi nervous ho gaye the teeno...

par ab jis reward ki baat hui thi,usne saare nervousness ko ek jhatke me chuppa sa diya tha...


RUE-SAALON TAK WAIT KIYA HAI IS MOMENT KA...

WE ARE COMING SO CALLED THUNDER BOLT...AAJ BHI BIJLI GIREGI PAR WOH HUM GIRAYENGE,TUM PAR...





PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





MAA...!!!

VERONICA-ANI...

ghar ke saamne car park kar bahar aayi hi thi VERONICA ki tabhi ANI ek jhatke me saamne aayi aur usse dekh tention me aa gayi thi VERONICA...

aur ye laazmi bhi tha...the DISCIPLES were here...VERONICA ko apne safety ka assurance tak nahi tha,aise me ANJALI ko bhi secure rakhna,bohot zyada mushkil tha...

wahin dusri taraf ANJALI bhi VERONICA ke saath apni PRINCI ko dekh hadbada gayi thi...

VERONICA-beta tum yahan...is waqt...

ANJALI-baaki sab bhi the...abhi abhi gaye hain...mai toh mom dad ke saath SAMEER ke resort me thi to attend the party...snaps na liye jaayen isiliye phones allowed nahi wahan...

party se nikli toh SONU aur KHANAK ke bohot se missed calls the...baaki sabke bhi the...

call kiya toh pata chala what happened...

SONU ne bataya ki aapne police station jaane sabko mana kiya hai and you are bringing him home...

kahan hai SAN MAA...saath nahi laaye usse...

VERONICA-nahi...par woh aa jaayega...aaj hi... don't worry...

tum ghar jaao...uske wapas aate hi,i will call...

ANJALI-nahi MAA...jab tak SAN wapas nahi aa jaata,mai kahin nahi jaa rahi and please mujhe force mat kijiyega...

VERONICA jaanti thi ki ANI kitni ziddi hai aur khaaskar tab jab baat SANVY ki ho...par ANI ka yahan rookna, ye bilkul bhi safe nahi tha uske liye...

helpless condition me thi woh jisse RANJANA samajh rahi thi...

RANJANA-ANJALI...raat hone lagi hai...late tak bahar rehna thik nahi...your parents will get worried...

abhi tum jaao...SANVEER ke ghar aate hi VERONICA will inform you...

ANJALI-mai ghar par sab bata chuki hun ma'am...

infact mom ne authorities ko call bhi lagaya tha...

but police waalon ne SAN ko pakadne waali baat se mana kar diya tha...

isiliye i came here...mom ne bhi kaha tha ki sach jaankar call karne ko...

SONU ne bataya ki MAA handle kar rahi hai...

maine bataya mom ko...she said to be here only...

ab bolne ke liye kuch bacha tha nahi par ANI ke yahan rehne se khatra aur badh chuka tha VERONICA ke liye...

VERONICA-thik hai...andar chalo...

ANI aur RANJANA ke saath ghar me enter ho gayi VERONICA...

VERONICA-ANI... ma'am ko paani pilao...

ANI-jee MAA...

VERONICA-aur kaafi din guzar gaye tere haathon ki chaay peeye hue...pila de aaj...

ANI-sure MAA...

RANJANA-aisa hai paani rehne do...raaste me hi peeya tha...mai bhi chaay piyungi...

ANI-sure MA'AM...

muskurate hue ANI kitchen ki taraf badh gayi aur VERONICA tezi se apne room ki taraf...

RANJANA bhi piche hi thi uske...usse pata tha ki VERONICA apne laptop ko open karne jaa rahi hai...

surveillence must jo tha abhi...

kuch hi der me laptop par 8 divided screens dikh rahe jinhe 4 baar aur flip kiya jaa sakta tha...

matlab dehradun ke best 32 points ka surveillance dekh sakte the dono ek saath...

ek ke baad ek flip karte hue rook rook kar sabhi city points ko dekhne lage the dono...

3 baar flip kar chuki thi VERONICA aur finally chowthi baar kiya jiske ek screen par vikas nagar police station ke aage lage c.c.t.v ki live streaming chaalu thi...

RANJANA-everything seems fine...

RANJANA ki baat par kuch kaha nahi VERONICA ne,bas dhyan se us screen ko dekhne lagi aur tabhi kuch atapata sa lagne laga usse...

turant us screen ko wide kar bada kar liye usne jiske baad aankhein badi ho gayi uski...

VERONICA-it's a fluke scene...10 second ka time lapse create kiya gaya hai...

matlab kisine live streaming ko tamper kiya hai...see....

ye jo saamne bargadh ka pedh hai...patta gir raha hai isse...par har 10 second me lagatar gir raha hai woh bhi same...

sach thi VERONICA ki baat...

digital age manipulation...live c.c.t.v video tampering ko issi term se bulate hain...

watermark sensors...kisi bhi video ko uski authenticity wapas karne ka software tha VERONICA ke paas jisse turant use me laaya usne...

use hue software se video tampering ki chhedkhani theek hone me 1 minute ka waqt lagta tha joki bar percentage ke through dikhne laga tha screen par...

ANI-here...aap dono ko chaay...

VERONICA/RANJANA-thanks beta...

ANJALI ke room me aate hi laptop screen se thoda aage aakar khade ho gaye the dono...

ANJALI-MAA,pakka SANVY aaj hi release ho jaayega naa...!!!

VERONICA-kitne baj rahe hain abhi...!!!

ANJALI-8...

ANJALImidnight tak ghar par hoga SANVY...promise...

ANJALI-ye sab us inspector RAJESH ne kiya hai...!!!apni purani khundak nikali hai usne SANVY se...

i promise MAA,i will not leave him...maine MAA ko bol diya hai ki usse suspend karwa de and she has promised to make it happen...

ANJALI ki baat sun uske sir par halke se haath fer diya tha VERONICA ne...

ANJALI-arre haan...MAA,what about RASHI...woh toh abhi tak nabi mili...!!!

VERONICA -mil jaayegi...woh bhi sahi salamat...dont worry...

ab tak samajh chuki thi VERONICA ki RASHI bas ek bait thi SANVY ko jail bhijwane ke liye...

G.O.D has no intention in hurting the girl...bas usse uthwaya hai unhone to block SANVY jisme successful ho chuke the woh...

it was just a matter of time ki G.O.D will leave her...

ANJALI-kya time me ho raha hai ye sab...SONU,KHANAK aur baaki sabne call kiya tha aunty ko par her mobile was not reachable...

ghar gaye toh pata chala hai ki out of country hain woh...aaj subah hi nikli hain...

VERONICA-ek internal art gallery exibition ke liye paris ke liye nikli hain woh...

via U.A.E flight hai isiliye abhi tak pahunchi tak nahi hongi woh...she doesn't have any idea ki unki beti kidnap hui hai...

BEEP...BEEP...

RANJANA-yeh tere bank se koi mail hai... check kar le...

RANJANA lagatar percentage bar ko hi dekh rahi thi aur jaise hi woh bar full hua, VERONICA ko awaaz di usne...

VERONICA-beta,ye cup kitchen me rakh de zara...

ANJALI-arre,abhi toh aadhi bachi hui hai...achi nahi bani kya...???

VERONICA-tere haathon ki chaay buri ho hi nahi sakti...

thandi ho gayi hai bas, isiliye man nahi ho raha...

ANJALI-toh garam karke le aati hun naa...

RANJANA-beta,meri bhi kar dogi...???!!!

ANJALU-sure ma'am aur,aap request nahi order hi dijiye...wahi acha lagta hai...

jahan smile karte hue dono se cups le kitchen ki taraf badh gayi ANJALI wahin uske jaate hi turant apne laptop ki taraf badh gayi VERONICA...

visuals authentic the ab.aur sirf us certain video screen ke liye nahi balki saare 32 hacked futteges ke liye

BOOMMM...

par us authentic live futteges ko dekh ankhein badi ho chuki thi VERONICA aur RANJANA ki...

REASON...

8th aur 32th screen jisme wahi tha jo nahi dekhna chahte the dono...

CORPS...

8th screen VERONICA ke ghar ke aage waala futtege tha aur 32nd me police station waala...

G.O.D ki personal surveillance aur close battle army ke kuch log joki pure area ko scan sa karte hue apne target place ki taraf badh rahe the..

VERONICA ka ghar ab unki radar se bas 50 metres hi door tha aur station 100 ke kareeb...

RANJANA-this is not good...mai *** ko inform karti hun...we need backup here...

VERONICA-wait...the actual scene is more than what's meeting in the eye...

hamare ghar ke bahar bas 6 dikh rahe hain par station ke paas itne zyada corps...

and no sign of any DISCIPLES jabki wahan ka actual scenario negotiate karne ka tha...

RANJANA-wahan *** agents moujud hain...i am sure ki corps se pehle hawkers ne un sabko identity kar liya hoga...

VERONICA-but they all are not capable to deal with even half of the corps who are present there...

RANJANA-true...par itne saare G.O.D CABAL members ka yahan hona,intel pahunch chuki hogi *** ke paas ab tak isiliye unhone ab tak ek puri fouj rawana kar di hogi...

toh unse nipatne ke liye quantity is important...aur sabse important baat...VEER KI TEAM...woh bhi yahan pahunchne waale hain aur tujhe toh pata hai...

CORPS se bhidna aur jeetna,no body is better than them...not even ***...

VERONICA-we are talking about G.O.D RANJANA...

aise khule me nahi bhidte woh aur agar woh bhidne me utre toh pura dehradun with authorities sirf ek ghante me apne ghutno par hoga...

ab tak VERONICA ke ghar se thoda aage moujud corps ek jagay par aakar rook chuke the...

waise toh waqt abhi zyada nahi hua tha par hamesha ki tarah is waqt bhi VERONICA ke aas paas ka mahoul shaant aur halka sunsaan tha...

reason bhi obvious tha...

VERONICA ka ghar colony ke is chhor ke end par bana tha...iske baad dusre sector ke liye road shuru hota tha joki kaafi broad aur khaali rehta tha...

dusri aur saamne ke taraf bhi ghar nahi sirf plots the joki abhi as in raat ke waqt halke andhere me doobe rehte the...

unhi side plots ke andhere me khud ko chhupaya tha CORPS ne...

waise bhi dress abhi unki black thi jiski wajah se movement unki dikhne se rahi thi...

RANJANA-side waale rain water pipes ke through chhat par toh nahi chhadna chahte yeh...

VERONICA-chhat...!!! shit...

RANJANA-what...!!!???

kuch shak hua tha VERONICA ko jiski pushti ke liye room se turant bahar aayi VERONICA...

RANJANA bhi uske piche thi...

aur bahar nikalte hi gallery ke saamne pahunch jab saamne ka scene dekha VERONICA ne toh jabde zakh ho chale the uske...

wahin RANJANA ki aankhein badi ho chuki thi...

REASON...

main door joki locked tha...uska locked part bina awaaz kiye dheela padta jaa raha tha aur ye bohot badi baat thi...

kyunki waise toh woh door wood ka tha par uska pura lock edge metal se banwaya tha SANEEL ne...

aur woh bhi maamuli metal combinations se nahi...

bismuth, cobalt, molybdenum, titanium, selenium, tellurium, lead, boron, sulfur, nitrogen, zirconium and niobium....

basically kisi bhi reinforced metal ko banane me jo ho elements lagte hain,usse apne mathematical science portions se se apply kar un edges ko taiyar kiya tha SANEEL ne...

door edge jis diwaar se attached tha, uska wall baaki walls se 8 inches extra covered the aur andar se woh bhi reinforced part tha wall ka...

bottom-line ye tha ki woh door itna zyada strong tha ke agar koi bulldozer bhi usse takraye toh ek baar me pura naa tod paayega...

par abhi bina ek push ke bhi woh door khulne ke kagaar par tha woh bhi bina halka bhi shor kiye...

kaise...???

hydrochrolic acid...naa,naa ye use nahi kiya gaya tha...

haan,hydrochrolic acid metals ko bhedne ke liye sabse beheterin option hai par ye itna zyada powerful hota hai ki iske istemal se tutega bhale darwaza hi magar awaaz kisi bomb explode hone ka aayega...

Aqua regia!!!yahi istamal kiya jaa raha tha is waqt...aqua regia asal me hydrochloric acid aur nitric acid ka mixture hota hai jo dheere dheere metal ke har hisse me ghuskar andar se pighalte hue usse bina koi awaaz tod deta hai...

par aisa karne ke liye bhi regia ki exact quantity ke use hone ka ganit pata hona bohot badi baat thi...

aur aisa live ho raha tha abhi...jiska sirf ek hi matlab ho sakta tha...

RUE...

ek saath nikla tha ye naam VERONICA aur RANJANA ke mooh se...ye kaarnama bas wahi anjaam de sakti thi...

RANJANA-agar ye RUE hai toh...

VERONICA-KANO aur MAGNUS bhi yahin hain...

RANJANA-teeno DISCIPLES yahan... matlab...

VERONICA-they are here to end me...

sach ka ganit samajh is baar RANJANA ke jabde sakhti se bheench gaye the par andar se woh tention me bhi aa gayi thi...

ANJALI-yahan khade door ko kyun dekh rahe hain aap dono...???

arre,ye door ka palla kaise phool raha hai...???

G.O.D ke chakkar me ANJALI bhi ghar me thi,kuch palon ke liye is sach ko VERONICA aur RANJANA bhul se gaye the par kitchen se nikal ab jab woh unke beech khadi unhiko tarah door ko ghurne lagi toh laga unhe jhatka...

RANJANA-ANJALI beta,andar chalo...

VERONICA-usse koi faayda nahi hoga...chal mere saath...

ANI-what...???aap itna tention me kyun hain...???

haath pakad ANI ka wapas kitchen ki taraf badh chali thi VERONICA aur ausa karne ke beech uske face par pehli baar dar dekh hairan reh gayi ANI...

RANJANA-30 seconds, max VERZ...

door ki taraf dekhte hue piche se kahi thi ye baat RANJANA ne jispar kadam aur tez ho gaye VERONICA ke...

wahin ANI usse lagatar sawal puch rahi thi par jaise hi kitchen entrance par left taraf bane wooden scoop(kadchi)stand par tike dono kadchiyon ko pakad ek jhatka diya usne toh mooh band aur aankhein badi ho gayi ANI ki...

REASON...

kadchiyon bilkul ek lay me kul teen baar ghume the aur aisa hote hi saamne utensil rack vibrate hone lagi aur dekhte hi dekhte sarakte hue ek gap banane lag gayi...

par woh rack akele nahi sarki thi balki apne saath jispar woh teeki thi,piche waali diwal ka pehla chhilka bhi uske saath gayab sa ho gaya tha...

ab wall ka second part saamne tha jispar ia waqt ek 6 inch broad eye sensing smart security system dikhne laga tha...

us security system ke saamne aate hi ANI ko le VERONICA uske aage pahunchi aur agle hi pal usne sensor ke aage apni aankhein kar di thi...

2 seconds aur ek clicking sound ke saath us wall ke chaaron taraf edges dikhne lage the...

as in woh wall ek door me badalne laga tha...

agle 5 seconds me woh naya bana door ek taraf se sarakte hue apne dusre sire me ghus chuka tha...

ab ANI ke saamne neeche ki taraf as in underground jaane ke liye sidhiyan thi jiske pehle 4,5 steps hi dikh rahe the...

baaki stairs filhal andhere me doobe hue the...

ANJALI-MAA,ye sab...!!!

VERONICA-jawab waqt ke saath SANVY de dega beta...

abhi bilkul bhi waqt nahi bacha...andar jaao...you will be safe...

UMMHHH...just remember,kokh kisi ka bhi raha ho,hai tu meri hi beti...and i am very,very proud of you...

ANJALI ko hairat me daale rehne ke beech uske maathe ko chumte hue kuch seconds gale lagane ka baad usse us hidden door ke andar usse push kar diya...

push halka tha par itna napa tula tha ki ANJALI us door ke andar pahunch first stair ke edge par ladhkhada si gayi thi...

par woh neeche fisli nahi...control kar liya usne khudko par tabhi woh secret door band ho gaya...

KTKKKK...

RANJANA-VERZ...

yahan private door band hua aur wahan ghar ke main door ka knob ek slow sound ko paida karte hue toot gaya...

is beech kitchen me sab kuch pehle sa set hone ke beech VERONICA bhi RANJANA ke baaju mw aakar khadi ho chuki thi...

KUCH NAHI HOGA BHABHI AAPKO...BAS, PAHUNCH HI RAHA HUN MAI...

VEER ka voice message joki RANJANA ke mobile par aaya tha,usse play kar diya tha usne jisse sun ek halki si smile naach uthi thi VERONICA ke face par...

VERONICA-RANK 1 agent raha hai par aaj bhi mujhe dhang se jhooth nahi bol paata...

VEER ki awaaz me jisse usne apne dar aur dard, dono ko chhupane ki bohot koshish ki thi,in dono hi bhavon ko feel kar liya tha VERONICA ne...

khair,VEER ka message pura hua hua hi tha ki tabhi main door ko laga ek napa tula jhatka aur agle hi pal pura khul chuka tha woh...

ussi by code ujli furry gunslinger jacket jiske piche lagi hoodie ne is waqt sir ko pura dhaka hua tha,dono haath saamne ki taraf baandhe door ke beechobeech khadi thi RUE...

aur agle hi pal same get up me do aur saaye uske left aur right me aakar khade hue...


KANO aur MAGNUS the ye dono...DISCIPLES ki tigdi us khule hue darwaze par thi jisse dekh jahan ek taraf VERONICA ek thairav liye un teeno ko dekh rahi thi wahin dusri taraf RANJANA ne turant VEER ko call laga liya tha par tabhi...

KRRRR...

call laga hi nahi...network jammer lagaya tha G.O.D ne upar terrace par jiska matlab tha ki communication ka ab koi tarika nahi tha RANJANA ke paas...

FINALLY... IT'S AN HONOUR TO MEET YOU THUNDERBOLT...

hoodie cap ko neeche karne ke beech apne apne kadam VERONICA aur RANJANA ke taraf badha diye the teeno disciples ne par kareeb 8 metre pehle hi rook bhi gaye the teeno...

teeno ki hi chamakti aur curious nazrein scan sa kar rahi thi VERONICA ko joki laazmi bhi tha...

VERONICA was a legend...ek aisi warrior jisne G.O.D ke top rankers jinke aage duniya jhukti hai,apne aage jhukaya tha...

aur un jhuki gardano me se ek gardan G.O.D ki us warrior ki thi jiske aage naa pehle kisi ki chali thi aur naa ab chalti thi...

bas ek VERONICA hi thi jisne USSE harane waala impossible kaam possible banaya tha...

khair, lagatar ghurne ke beech jab teeno DISCIPLES ne dekha ki VERONICA bas chupchaap bina kisi bhaav ke khadi hai toh...

RUE-is galathfehmi me toh nahi ho ki help aane waali hai...!!!

aisa kuch nahi hoga... here's the proof...

baat karne ke beech piche khade chaaron corps me se ek se uska hold kiya tab liya MAGNUS ne aur feka usse VERONICA ki taraf...

VOIP...as in voice over internet protocol...issi software ke through jammer ke frequency ko over power karte hue tab par net activate tha..

aur filhal us tab par SANVY waale police station ki live futtege chal rahi thi jispar nazar padte hi situation puri clear ho gayi thi VERONICA aur RANJANA ke dimag me...

station ke bahar moujud *** AGENTS kuch CORPS ke saath close combat kar rahe the aur kuch silent arm fighting...

scene kaafi intense tha par kyunki ek toh ye sab station se 50,60 metres door ho raha tha woh bhi bina kisi extra loud noise create kiye aur dusri baat station city ke starting edge par tha isiliye aas paas ka mahoul shaant tha...

khair, CORPS ki ginti 20 ke aas paas thi aur itne CORPS se 14 *** agents ka bhidna aur jeetna impossible tha par ho isse ulta raha tha...

REASON...

"THE TIMBERS"...

VEER ke personal combat battalion ke 8 pillers me se 4 moujud the *** agents ke saath...

in TIMBERS ko joki VEER ke saath BRAZIL nahi balki canada me the, pehle hi bhej diya tha usne yahan isiliye sahi waqt par dehradun pahunch gaye the woh chaaron...

aur kyunki numerous G.O.D ke bando ko SANVY ke aas paas dekha gaya tha isiliye priority un sabka station ho gaya tha...

RUE-tum wakayi thunderbolt hi ho naa...???i am seriously doubting it...

maine toh suna tha ki dushman ko palak jhapakne tak ka waqt nahi deti hai thunderbolt...

ye naam bhi isiliye hi mila tha...par yahan toh barf se bhi zyada akdi hui lag rahi ho mujhe tum...

THAKKK...THAKKK....THAKKK....

GALATH insaan se GALATH baat woh bhi GALATH tarike se, GALATH anjaam ko agaaz dene ke liye kaafi hota hai...

aisa hi hua kuch abhi...woh bhi itni tezi se ki RUE,MAGNUS aur KANO ke saath saath RANJANA tak shocked ho gayi thi...

VERONICA ke one hand distance par ek base table tha jispar white artificial lily ka base rakha hua tha...

achanak se hi VERONICA ka haath us taraf badha aur agle hi pal woh flower base kisi goli ki tarah rotate hote hue RUE ki taraf badh chuka tha...

par saamne RUE thi...a bloody DISCIPLE jisse goli ki tarah kya,goli tak ko ek baar dodge dene ki technique pata thi...

aur hamesha satark rehna toh uske liye saans lene jaisa tha...yahi wajah thi ki badi tezi se apni taraf badhte base ko naa sirf dekh liya tha usne balki halki si bhi panic nahi hui woh...

bas apna right leg anti clock mode me gol sa ghumaya usne...base uske shoe tip par laga aur chhitak kar door gir gaya...

par agar defense me RUE thi toh offense me VERONICA thi...aur kyun usse thunderbolt bolte the,kyun G.O.D ke top ranker as in ek GENESIS member ko doubt tha ki teen teen DISCIPLES milkar bhi ek VERONICA ko maar nahi paayenge,ye live dikhane waali thi abhi woh...

base hit toh bas ek distraction tha,asal game waar ka hathiyar toh base ke andar moujud the...

woh duplicate plastic lily flowers ko sirf sajane ke liye base par nahi rakhe gaye the,balki unke down tip ko dhaardhaar steel blades ka akaar dekar unhe wahan rakha gaya tha...

base ke low point ko hit kiya tha VERONICA ne jispar ghumte hue aage badha tha woh par aage badhne se pehle ulta hote hue un flowers ko neeche gira diya tha usne...

kuch 6 lilies the jinke base se nikalne ke baad unke alag hone se pehle hi apne haath ko aage kar un sabko samet liya tha VERONICA ne...

par ye us magic ki bas shuruaat bhar thi jiske anginat kaarnaame dikhane ke liye mashoor thi THE THUNDERBOLT AKA VERONICA...

un 6 lilies ko hold karne ke saath hi unme se teen ko apne ring aur little finger ke beech daba liya usne aur bache teen lilies uske thumb,index aur middle finger ke beech ek khaas angle liye fas chuke the...

ye sab hone ke dauran jahan wk taraf apni taraf badhe base ko hit karne mw concentrated thi RUE wahin dusri taraf uske saath khade MAGNUS aur KANO ka dhyan bhi us base ki taraf tha...

aur ab baari thi un teeno ke chownkne ki...

base ke side haththe hi jab tak un teeno ki nazarein wapas VERONICA par aakar tiki,apne asal attack ki shuruaat already kar chuki thi woh...

pehle teeno fingers me fasi lilies ko ek khaas andaz se apne shoulders ko jhatakne ke beech fek chuki thi VERONICA aur aisa hote hi ek saath do chizen hui...

pehli toh ye ki un teeno hi plastic petals ne VERONICA ke haathon ko chhodte hi apna apna raasta badla tha...

teeno hi DISCIPLES ki taraf ek ek lilly kisi goli ki raftar ko pakad badhi thi...

MAGNUS-THE MEDITERRANEAN DRAW...

THE MEDITERRANEAN DRAW... ancient greek aiming technique joki 1400 BC jitni purani thi... sateek aur ghaatak hit ka ek aisa karishmayi technique joki aaj ke zamane me use karna
toh door shayad koi jaanta tak nahi hoga,abhi abhi 100 percent authenticity se use kiya tha VERONICA ne...

teeno hi DISCIPLES me MAGNUS hi aisa tha jisse ancient fighting techniques jinka mukabala aaj ke koi bhi combat styles nahi kar sakte the,jaanane aur sikhne ka shouk tha...

VERONICA ke grabed lilies style aur unhe throw karne ke tarike ko dekh,uske dimag ke fraction of a second me hi us attack ka naam gunj utha tha...

khair, VERONICA ka attack itna zyada tez tha ki agar koi aur saamne hota toh petals ke steel pointers uske sharir ko bhedh chuke hote par saamne koi aur toh tha hi nahi...

they were the DISCIPLES jinki ginti world ke elite fighters me shumaar hoti thi...

pehle toh VERONICA ke move ko dekh woh hadbadaye par ye un teeno ki khubi hi thi ki us shock state of mind me unka dimag kam nahi balki aur tezi se kaam karne laga tha...

yahi wajah thi ki bijli ki gati se apne apne left aur right ki taraf ghume the teeno hi...

AHHHH...

disciples toh bach gaye woh bhi bohot hi baarikh margin se par same chiz unke piche khade teen CORPS nahi kar paaye...

ek ke centre chest,dusre ke shoulder aur teesre ke peth me ek inch tak ghus gaya tha woh steel pointer...

teeno CORPS ki dard bhari awaaz DISCIPLES ne suni jiske baad unki taraf palatne lage hi the woh par tabhi unke sixth sense ne unhe warn kiya...

turant nazar unki wapas VERONICA ki taraf ghum chuki thi par us baar thodi der ho hi gayi...

VERONICA ke ring aur little finger me fase lillies uske anghute aur index ke beech me fas chuke the...

ek aur throw kar chuki thi VERONICA aur is baar ki throw pichle throw se double tez thi...

MAGNUS-THE THUMB TECHNIQUE...IMPOSSIBLE...

AAHHHH....
AAHHHH....
AAHHHH....

ancient greek ke aiming techniques me se sabse mushkil technique hoti hai THE THUMB TECHNIQUE jisse half way perfectly use karna bhi kaafi kathin hota hai par us technique ke perfect use ka live demonstration abhi abhi diya tha VERONICA ne...

aur is baat ka saboot tha teeno hi DISCIPLES ke mooh se nikli chikhen...

apne unimaginable quick reflexes ki wajah se itna kam time window hone ke baawjud move toh kar gaye the teeno par puri tarah se dodge nahi de paaye woh sabhi..

jahan MAGNUS aur RUE ke gardan ko chillti hui nikal gayi thi steel blades wahin KANO ke jacket ko pierce karte hue uske kandhe me halki dhans gayi thi blade...

WOW...

vismay se bhar VERONICA ke move ko dekh rahe CORPS ne man me aur baaju me khadi RANJANA ke mooh se nikla tha ye alfaaz jispar uski taraf dekh wink kiya VERONICA ne...

smile naach uthi thi RANJANA ke face par joki laazmi bhi tha kyunki this was something VERONICA has always craved upon...

bohot si fights VERONICA ke saath khade ho ladh chuki thi RANJANA...

infact,uske khud ke fighting skills ko nikhaarne me sabse badi inspiration VERONICA hi thi...

uske guidence aur khudse bhi hours of practice kar apne fighting skills ko nourish kiya tha RANJANA ne...

par world ki top psychologists me se ek hone aur anginat talents ko perfect karne ke baad bhi she was not even a 10 percent of VERONICA...

kisi bhi combat fight me VERONICA ke aankhon ka painapan aur dridhta ek alag hi level par pahunch jaaya karta tha...

ladhte waqt VERONICA naa kisi ki biwi hoti thi,naa kisi ki MAA aur naahi kisiki dost...

woh sirf VERONICA hoti thi...AKA THUNDERBOLT jiske chapet me aana matlab 440 volt ke jhatke ko chhuna...

aur aaj se pehle bhi kayi baar G.O.D se saamne hua tha VERONICA ka par woh akeli hi aisi thi jiske aage G.O.D bhi mortal ban jaaya karte the...

khair,jitne der me RANJANA ki smile uske honthon ke daayre ko pura stretch kar paati,saamne se teen CORPS joki VERONICA ke paas pahunch chuke the,unko unhike move me fasa zameen par leta chuki thi VERONICA...

aur same chiz agle 10 seconds me bache hue corps ki bhi kar chuki thi VERONICA...

bache the 6 corps joki is waqt ghar ke bahar chhup kar khade kisi bhi exterior action ko anjaam dene ke liye ready the...

waise,CORPS aur unke saath saath DISCIPLES bhi armed the par sirf do nihatthe logon ke saamne unka use karna,it would have been an insult to the there whole CABAL...

DHAKK...

apne kandhe se woh steel blades nikaal ek 360 round forward jump maara tha KANO ne...

jump dekhne par aisa laga tha maano apne shoulders par neeche giregi woh par yahi toh is attack ka main trick tha...

flat side angle par girne se just pehle KANO ka ek pair zameen par aaya tha aur ussi pal ke us pair ke sahare ghumte hue apni laath VERONICA ke breast par chala di thi usne...

pair successfully laga tha, iska saboot tha woh awaaz jo VERONICA ke sharir se aaya tha aur jispar smile ki shuruaat hone hi lagi thi KANO ke face me par ye expression shuru hote hote hi khatm bhi ho gaya...

hit laga nahi,khud par lagwaya tha VERONICA ne...

REASON...

RUE aur MAGNUS joki KANO ke left aur right se VERONICA ke paas pahunchne hi lage the...

isiliye KANO ke us right pair ko pakad apni taraf kheencha tha usne jiske baad jaise hi uska left leg disbalanced hua,right leg ko pura kheench KANO ke thigh ko pakad 360 ghum gayi VERONICA...

ghumte hue KANO ko RUE ki taraf feka tha usne aur khud rotate hone ke beech apni taang MAGNUS par chala chuki thi woh...

brilliant moves par jaisa ki pehle kaha tha maine,saamne DISCIPLES the who were terribly fast...

jahan ek taraf pura piche ki taraf strech kar apne sir ko neeche zameen par tika diya tha RUE ne jiske kaaran KANO ki body uske upar se nikal gayi thi wahin dusri taraf VERONICA ke leg swing ko anticipate karte hue apne dono haathon ko saamne cross kar block position le liya tha MAGNUS ne...

pair VERONICA ka sidhe us hand block par hi pada tha..

bach gayi tha MAGNUS par uske is block ko VERONICA ne apne naye attack move ka neev bana liya...

pair uska jaise hi MAGNUS ke block hands par pada toh foot apna hataya nahi VERONICA ne balki ussi block ke andar apne pair ko turant fasaya usne aur kheencha apni taraf...

ye kuch zyada hi unconventional aur non anticipated move tha jiske kaaran MAGNUS hadbadate hue aage ki taraf ladhkhada gaya aur tabhi...

uski taraf jump kar apne panje se uske face par pressure daal balance banate hue apni taraf badh rahi RUE par leg swing hit ghuma diya VERONICA ne...

ye move bhi hadh se zyada non anticipated tha par MAGNUS ke mukaabale zyada satark thi RUE...

par phir bhi VERONICA ka ye superfast leg swing dodge theek se nahi kar sakti thi woh par agar ye swing uske face par lag jaata jo lagne hi waala tha toh RUE ka pura chowkhta bigad jaane waala tha...

jaanti thi is baat ko RUE isiliye jitna ho sake, piche hone ke beech apne shoulder ko halka right ki taraf aage kar diya usne...

natija, VERONICA ka pair uske kandhe par laga aur impact itna tagda tha ki KANO ke baaju me girne ke beech hi uska woh haath halka sun padh chuka tha...

wahin VERONICA RUE ko hit karne par hi nahi ruki thi...uska woh haath joki ab tak MAGNUS ke mooh par tha,usse sikodte hue hawa me hi balance bana pura ghum gayi thi VERONICA aur MAGNUS ke piche pahunch jaise hi neeche zameen par aayi woh toh turant hi uska woh haath MAGNUS ke face se uske gale me aa chuka tha...

DHAKKK...

apne gale se VERONICA ke haath ko hatane ke liye move karne hi waala tha MAGNUS par usse pehle hi VERONICA ne uske peeth se khud ko sata ek jhatka sa diya...

agle hi pal MAGNUS ki body piche ki taraf 360 ghumte hue ud si gayi thi...

RUE aur KANO saath hi uth rahe the par tabhi MAGNUS ki body un dono ke shoulders se takrayi thi...

natija...

MAGNUS ke saath RUE aur KANO bhi wapas zameen par the...

UNBELIEVABLE...

ab tak kisi darshak ki tarah pure fight scene ko dekh rahi VERONICA ke mooh se nikli thi ye baat...

khair,jahan ek taraf MAGNUS ko dhobi pachad dete hue teeno hi DISCIPLES ko zameen par letane ke baad VERONICA apne haath baandhe un teeno aur CORPS ko ghur rahi thi wahin ek saath milkar bhi VERONICA se paar nahi paane ka frustration saaf dikh raha tha unke faces par...

RUE-bohot hua...

HAND AND GLOVE...

is catch word ko bol kisi jaanwar ki tarah chaar pairon waale position se hi VERONICA ki taraf jump lagayi thi RUE ne aur ye jump wakayi prashanshiya tha...

reason tha elevation aur hight jo khud ko strech karte hue haasil kiya tha RUE ne...

THE ANIMAL SUBSTYLES KUNGFU...

specific style-THE LEAPARD CLAW SCRATCH...

imperial combat arts ke antargat aane waale is animal kunfu style ko use me laaya tha RUE ne joki wakayi hairat angez tha...

apne nails ko claw ki tarah use me laate hue VERONICA ki taraf kudi thi RUE par same time me do aur chizen bhi hui thi...

ek toh MAGNUS aur KANO ke moves jo unhone RUE ke jump ke saath hi execute kar diya tha...

jahan ek taraf MAGNUS THE CANTON DOG TECHNIQUE ko use me laate hue zig zag pattern me move kar VERONICA ke legs ki taraf badh chuka tha wahin dusri taraf KANO THE PANTHER KUNGFU ko use me laaya tha...

roll over sa hote hue VERONICA ke kareeb pahunch raha tha woh...

dusri taraf the CORPS jo do lines bana VERONICA ko dono taraf se ek time par gherne ke liye badh chuke the...

in saare attacks ka ganith VERONICA je saath saath RANJANA bhi samajh rahi thi...

aur isiliye...

white long kurti ke neeche jean daali hui thi RANJANA ne jiske mid portion par turant haath gaya uska aur agle hi pal wahan fasi kaali belt ek jhatke me kheench bahar nikaal li usne...

CLKKK...

ek button jaisa spot sa tha belt ke bakkal ke side me jisse dabaya usne aur uske aisa karte hi belt ke dono taraf lage chamkile dots ke beech se choti choti keel nikal bahar aa gaye...

SATAKKKK..SATAAKK...SATAAAKKK...

jahan RUE chaar pairon waali position se kudi thi wahin gallery ke patte par pair rakh upar jump liya RANJANA ne aur agle hi pal hawa se hi apni belt ka waar shuru kiya usne...

right se aa rahe CORPS ki line par chalaya tha usne ye belt jispar pehle waale corp ne belt ko pakadne ka soch haath aage kiya par ye koshish uspar hi ulti padh gayi...

uske pure hatheli ko bhedne ke beech us corp ke maans me dhans si gayi woh belt jiska sahara lete hue left taraf waale CORP ke chehre par kick jadh diya RANJANA ne...

par aisa karne ke beech is belt wapas kheench dusre corp ke pair par chala chuki thi woh aur waisa karte hue uske pair ko belt se lapeth left waale corp line ki taraf pull kiya RANJANA ne usse...

dekhte hi dekhte 4 corps zameen par the aur bache dono corps ko bhi belt aur swing hits se leta diya tha RANJANA ne...

par tabhi...

teesra corp uth khada hua tha aur isse pehle ki RANJANA apne belt ka use karti,uske behadh kareeb pahunch gaya woh...

DHAKKK...

lightning speed se uske breast ke upar palm hit kiya tha corp ne jisse bach toh nahi paayi RANJANA par piche ki taraf ladhkadane ke beech ua CORP ke hatheli ko pakad ghuma diya tha usne...

jahan woh corp 360 ghumte hue neeche gira tha wahin breast par chadhe pain ko sehte hue kisi tarah khudko girne se rokne ki koshish karne lagi RANJANA...

pura toh nahi par ulta ho dhakke ki speed ko neutralize karte hue zameen par baith khudko girne se roka tha usne par aisa karne ke beech jab saamne chal raha scene dekha usne toh aakhein hairat se badi ho gayi thi uski...

MAGNUS ke CANTON DOG TECHNIQUE ko hawa me kalabazi khaakar dodge dene ke beech KANO ke PANTHER move me use kiye swift foot straight hit ko apne fist se ek unique offensive block maarte hue finally RUE ke leopard ke claw hit se khudko bachane ke liye apne wrist ko ek khaas andaz me ghumaya tha usne...

par yahin halki si chook ho gayi thi VERONICA se...LEOPARD technique ka main motto sirf fast attack ka hi nahi hota balki asli khel hota hai deception ka...

dhoka jisse saamne waale ko ek move me fasa uspar dusra move use karna hota tha...

aur yahi kiya tha RUE ne abhi...haath apna VERONICA ke fist se bas touch hi kiya tha usne...

hit nahi kiya tha...apne hit energy ko conserve kiya tha usne jisse VERONICA ke block move ke baad use me laayi RUE...

DHABBBB...DHAKKKK...

apne us hatheli ko jisse VERONICA ke wrist se touch kiya tha usne,hold kar apne dusre haath ko us wrist ke andar se nikaala usne...

RUE ke next obvious move ko intercept kar apne dono crossed wrist ko neeche uske haath par hit karne waali thi VERONICA par tabhi apne hand movement ko rok stance ko solid kar upar wrist par ek jhatka sa push kiya usne...

DECEPTION...

ek alag move tha ye jisse anticipate nahi kar paayi thi VERONICA...

RUE ke sudden hand push se uske wrist turant khul gaye aur aisa hote hi RUE ka ek straight jack kick hit ghum gaya VERONICA ki taraf...

par apne unimaginable reflexes ka ek aur namuna dikhate hue halka side ho gayi thi VERONICA par uske is reflex move ko bhi anticipate kar liya tha RUE ne...

aur isiliye straight jack kick hit par rooki nahi thi woh balki us move ke saath hi ghumte hue ek back 180 kick bhi ghuma di thi usne...

is baar uska hit sidhe VERONICA ke breast ke upar pada tha...

DHAKKKKDKKKK....

gallery par lage wooden wall ko tod VERONICA udti hui si hall me sofe par ulat hokar giri thi...

DHAKKK...

is beech wapas CORPS se bhid chuki thi RANJANA jisme result 60/40 aa raha tha...

corps ki kuch hits RANJANA ko lag rahi thi par zyada haawi RANJANA hi thi par tabhi MAGNUS suddenly pahuncha uske saamne...

MAGNUS ko dekh hadbadayi nahi RANJANA aur turant ek straight punch ghuma diya apna par MAGNUS ka yun saamne aana bhi ek DECEPTION move tha...

RANJANA ke haath ko block karne ke baad usse return hit maarne ke bajaye side hath gaya woh aur tabhi aayi KANO ki teer angle me body uski taraf...

DHAKKK...

agle hi pal theek VERONICA ki hi tarah RANJANA ki body bhi udte hue wall se takrayi thi...

RANJANA ko but most importantly, VERONICA ko successfully down karne par ek proud smile naach uthi thi teeno hi DISCIPLES ke faces par lekin ye smile shanik hi thi...

REASON...

THE FAVOURITE KILL TOY OF VERONICA...

"COLD STEEL CHAOS BOWIE KNIVES"...

VERONICA-dekhen phir DISCIPLES...kitne tez ho tum...!!!

RUE ke first hit se bachne ke beech uske second hit ko anticipate kar liya tha VERONICA ne aur saath hi saath ye bhi samajh gayi thi ki agar us hit ko dodge kar bhi gayi woh toh KANO jo uske side me pahunch RUE ke strikes ko over hone ka hi wait kar rahi thi,uske hit se khudko nahi bacha paayegi...

aur isiliye hi RUE ki second hit saamne se li VERONICA ne par waisa hote waqt she made sure ki uske piche ki taraf gallery wood ho...

hit ke impact se un woods ko tod piche hall ke sofe par slide out hona hi plan tha VERONICA ka...

sofe ke neeche girne ke baad kuch seconds liye the VERONICA uthne ke liye par ye time usne recover hone me nahi balki kisi aur wajah se li thi aur woh wajah thi uske favourite knives jinka ek set usne sofe ke neeche hi chipkaya tha...

is waqt 2 BOWIE knives uske haathon me chamak rahe the aur baaki ke usne apni body me alag alag jagah par set kiya hua tha...

BOWIE KNIVES aur VERONICA...kitne deadly combination hain ye dono,suna tha teeno disciples ne...

yahi wajah thi ki itne der me pehli baar apne apne guns jisse jacket ke side vest me fasaya tha teeno ne,uspar haath chala gaya tha unka par faayda kuch tha nahi...

kyunki VERONICA ki knife skill kisike shooting skill se bhi tez thi jiska namuna agle 3 second me sabhi ke saamne aa chuka tha...

SOOBHHH...SOOBHHH...SOOBHHH...

AHHHHHH....

ek ke baad ek teen baar kandhe jumbish se hue VERONICA ke...feka usne knives teen baar tha par dekhne waalon ko aisa laga jaise ek hi baar knife haathon se chhuta ho...

aur nishana, hamesha ki tarah ek dum sateek...RUE,MAGNUS aur KANO...teeno ke hi move ho rahe kandhon par dhasi thi knives...

turant apne ghutno par aa gaye the RUE,MAGNUS aur KANO...

woh toh shukar tha un thick layers of clothes ka jinki wajah se woh tez tarrar knife bhi kandhe ke andar tak pierce nahi kar paaye the...

wahin dusri taraf jaise hi teeno DISCIPLES apne apne ghutno par aaye,CORPS ne bhi apni apni gun nikaal li thi par usse use karne se pehle hi RANJANA ki kaantedaar belt 5 corps ke sharir ko chhed chuki thi...

par 6th CORP ne gun RANJANA ki taraf point kar diya tha lekin tabhi...

KHACHH...

goli si tez BOWIE knife uske bheje ko bhedh chuki thi...

awaaz bhi nikaal nahi paaya woh corp aur praan chhodne ke beech hi zameen par dher ho gaya...

us CORP ki mout dekh jahan ek taraf jadh se ho gaye the baaki ke corps wahin teeno ho DISCIPLES ki aankhon ke khoon utar aaya tha...

MAGNUS aur KANO dribble se hue ground par aur agle hi pal unke haathon me unki REDHAWK ALASKAN aur DESERT EAGLE chamak uthi thi...

in dono hi handguns ki sabse khaas baat thi inpar lage additional silencer block jinki wajah se naturally bhi inse hui shooting ki awaaz zyada nahi hoti thi...

KDKKK...THAKK...THAKKK...

par faayda kuch hua nahi un hand guns ka jiska reason thi RANJANA...

BOWIE KNIVES ke saath saath sofe ke neech 2 hand guns with 10 magazines strap on ki hui thi VERONICA ne aur unhi me se ek is waqt RANJANA ke haathon me chamak rahi thi...

REMINGTON MAGNUM thi ye gun jisse VERONICA se catch karte hi MAGNUS aur KANO par chala di thi usne...

ab jaise VERONICA ki knife aiming sateek thi waise hi RANJANA shooting me expert thi...

goli sidhe MAGNUS aur KANO ke guns se takrayi thi jiske agle hi pal apne khaali sun padh chuke haath ko jhatak rahe the dono...

par in sabke beech RUE par dhyan nahi gaya tha RANJANA ka joki usse zyada door nahi thi...

PECULIAR PINS as in POISON COATED PINS...

Batrachotoxin liquid se coated pin joki close combat me ek khaas hathiyar tha RUE ka,woh uske fingers ke piche chamak chuka tha...

aur jaise hi RANJANA ne gun MAGNUS aur KANO ki taraf point kiya,uske kareeb pahunch chuki thi RUE...

is beech fingers ke piche chuppi woh poisonous pin ek khaas andaz me ghuma saamne kar li thi RUE ne aur agle hi pal badi tezi se RANJANA ke pair ki taraf haath badha diya tha usne par tabhi...

RANJANA ne bhale hi RUE ki movement ko thodi der se feel kiya par VERONICA ne ye kaam RUE ke hilne se pehle hi bhaamp liya tha...

isiliye isse pehle ki RUE RANJANA ke paas pahunch paati,VERONICA uske piche pahunch gayi thi aur jaise hi RUE ka haath aage badha,VERONICA ka haath uske wrist joint ke paas pahunch chuka tha...

THAKKK...

pin toh fingers se chhuta hi chhuta par saath hi saath VERONICA ke punch se RUE ki wrist bhi puri hil gayi thi...

DHAKKK...

theek tabhi ek laath shoulder joints par maar RUE ko door kar diya tha RANJANA ne...

pehle wrist aur ab shoulder smash,in double hits ki wajah se dard ke baawjud jab face saamne uthaya RUE ne toh uske face par dikh rahe smile ko dekh chownk uthe VERONICA aur RANJANA...

RUE-tumhari tarah ek saath teen naa sahi par do throws toh mai bhi kar sakti hun...

wink karte hue kahi thi ye baat RUE ne jiska ganith RANJANA ke saath turant toh VERONICA ko bhi samajh nahi aaya tha par agle hi pal apne halke ghumte sir ko feel kar sab kuch samajh aa gaya usse...

PECULIAR PIN ek nahi, do chuppa kar rakhe the RUE ne...RANJANA ko lagne waala pin bhale hi rok diya tha VERONICA ne par us hit ke dauran dusra pin VERONICA ke haath par slide on kar diya RUE ne...

pin pura toh andar nahi ghusa tha par itna zaroor chubh kar skin par hi atak gaya tha ki behosh hone lagi thi VERONICA...

turant apne ghutno par aayi aur phir zameen par bicchte bicchte aankhein band ho chuki thi VERONICA ki...










ABHI KE LIYE ITNA HI...







AAPKA APNA V...J...
Wonderful update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,094
123
MEGA BLACK UPDATE

(PART-3)





DHAKKK...


jaise hi VERONICA ki senses blurry hone lagi aur woh neeche zameen par giri,RUE uski taraf aur MAGNUS,KANO RANJANA ki taraf badh chuke the...

aur ye dekh RANJANA turant fighting stance me aayi par faayda iska kuch tha nahi...

saamne do do DISCIPLES jo the...

jahan kuch der pehle half unconscious VERONICA bas ek hi waar block kar paayi thi RUE ka wahin ek saath do do disciples se ladh kar jeetna impossible tha RANJANA ke liye...

kuch blocks aur return hits ke baad woh dono bhaari padne lage us par...

natija,KANO ke curved punch se honth phath chuke the RANJANA ke aur neeche zamin par padi haanf rahi thi woh...

DHAKKK...

RUE-kya hua "THUNDERBOLT"... current flow khatm ho gaya...

kuch seconds aankhein band rakhne ke baad lambi lambi saansein lete hue kisi tarah khade hone ki koshish kar hi rahi thi VERONICA par tabhi uske saamne khadi RUE ne maara uske stomach par ek zor ka laath...

impact strong tha jiski wajah se just piche moujud deewar se takra neeche giri thi VERONICA...

diwaar se takra turant uthi nahi woh par kaaran body nahi tha...

is waqt sharir ka dard bhi ghoom rahe sir ki wajah se feel nahi ho paa raha tha...

lekin jaanti thi woh ki aisa hi chalta raha tha minute bhar me behosh ho jaayegi woh...

THAPPP...

RUE-what the hell...!!!

jabde bheench lete lete hi floor par apna sir de maara tha VERONICA ne...

khoon ki ek patli lakeer uske maathe ke beech se neeche girne lagi thi...

normal condition me aise hit se chakkar aate hain par yahan pura ulta hua...pehle se ghum raha VERONICA ka sir us sudden hit se turant stable ho gaya...

ye situation temporary thi,infact serious bhi kaafi thi par abhi ke liye zaroori thi...

zyada lamba window tha nahi uske paas, ye jaanti thi VERONICA aur isiliye jaise hi sir ghumna band hua uska,ek full circle maarte hue khadi hui woh...

VERONICA-current flow artificial thunderbolt ka khatm hota hai,natural ka nahi...

DHAKK...BHAKKK...BHAKK...BHAKK...BHAKKK...

apni baat bolte hue zigzag pattern me move hui VERONICA aur agle hi RUE aur baaki dono disciples ki hi fighting techniques as in IMPERIAL COMBAT ARTS ke antargath ANIMAL KUNFU style ko use me laaya usne...

aur aisa laaya ki maar khaate khaate bhi RUE usse actual ANIMAL KUNFU kaise use karte hain, sikhne lagi thi...

GOLDEN RAT technique ko use kar pehle apni movement ko samajhne nahi diya VERONICA ne aur phir IMPERIAL LION technique ko use me laate hue pehle head thrust maara usne RUE ko aur phir turant uske haath ko jakad wapas apni taraf kheenchte hue elbow punches aur palm slaps uske face aur up chest me kiya VERONICA ne...

terrifying moves the ye sab jinke impact se girne ke turant uth nahi paayi thi RUE...

wahin dusri taraf VERONICA ko uththe dekh RANJANA bhi turant uthi aur wapas bheed gayi KANO aur MAGNUS se...

MAGNUS ko toh phir bhi thrust punch se neeche bitha diya tha usne par aisa karne ke kaaran KANO ko hit karne ka ek open time mil gaya...

FINGER PIERCE hit ka ek ghatak attack kar diya tha usne RANJANA par jisse bach nahi sakti thi woh par kuch bhi nahi hua usse...

reason...

PALM BLOCK...jisse use me laate hue VERONICA ne pehle toh KANO ke hit ko neutralize kiya aur phir agle hi pal itni tezi se aage ghoomti chali gayi uski body ki ladhkadhate hue lagatar piche hatne lage the KANO aur MAGNUS par kabtak...

main door se kuch kadam door pahunch back flip maarne ke beech VERONICA ke dono foot KANO aur MAGNUS ko hit kar gaye the...

udte hue woh piche main door joki aadha khula tha,takrane waale the par tabhi...

DHAKKK...

KANO aur MAGNUS,dono ki bodies takrayi zaroor main door ke aaju baaju se par is beech unke beech me se ek saaya udti hui si chhalang ke saath unke beech me se nikalte hue VERONICA ki taraf badha tha...

back flip maarne ke kaaran us saaye ko dekh nahi paayi thi VERONICA aur jab mehsoos hua,tab tak us saaye ki laath uske breast aur gale ke beech padh chuki thi...

udte hue woh bhi thoda piche giri thi par girte hue floor flip maar waapas runners position me baith chuki thi woh...

leather jean aur strechable upper suit ke saath saamne haath baandhe smile karte hue ek chehra moujud tha jisse dekh jabde wapas sakhti se bheench gaye the VERONICA ke...

YAAD HAI KYA KAHA THA MAINE..."HAMARI AGLI MULAAKAT ME TU MERE SAAMNE GHUTNO PAR HOGI"...

ARCHANA BATRA...

apni baat keh woh bilkul casually khadi ho gayi thi...

VERONICA-i dont wanna hurt you ARCHANA... palat aur nikal le...

behoshi ka asar wapas chaddhne laga tha uske brain cells par jis wajah se halki bhaari hone lagi thi uski aankhein...

kya ho raha tha VERONICA ke saath,jaanti thi ye baat ARCHANA isiliye...

ARCHANA-Batrachotoxin ke asar ko jhelne ka record time already bana chuki hai tu VERONICA and i am not surprised...

par ab bas...you cant fight it more...araam se mar jaa...i promise dard nahi hone dungi...

SSSSSSDHAPPP....DHAPPP...KHBBBB...KHBBBB...DHABBBB...

AHHHH...

behoshi chhaane ke kaaran sir neeche jhukta chala gaya tha VERONICA ka...is beech uske saamne aakar jhukte hue kah hi rahi thi apni baatein ARCHANA ki tabhi ek tez head to head punch maara VERONICA ne usse...

hit itna sateek aur powerful tha ki pain jaagne se pehle ARCHANA ke senses temporarily so gaye the...

wahin hit maarte hi ek baar phir left right hote hue senses middle me aane lage the VERONICA ke jiska pura faayda uthaya usne...

isse pehle ki ARCHANA ladhkadhate hue piche girti, VERONICA ne pakda uska haath aur aur diya ek zor ka jhatka...

shoulder bone dislocate ho chuka tha ARCHANA ka jispar chilla bhi paati woh usse pehle hi usse ghumate hue floor par patak uske dono haathon ke beech ae apne pair nikaalte hue sir ko lock position me hold kar chuki thi VERONICA...

ye sab itni tezi se hua ki corps trigger dabane ke liye aim bhi theek se nahi kar paaye the...

wahin neck hold karne ke baad jo pressure feel ho raha tha ARCHANA ko,bas ek halka aa hand movement aur gardan toot jaayegi uski,samajh gayi thi woh...

khudko chhudana toh door, hilne tak ki jagah nahi di thi VERONICA ne usse...

yahan se sirf ek hi future apna dikh raha tha ARCHANA ko... maut jiski wajah se dehshat se bhar uthi thi uski aankhein...

VERONICA-gun down or i will break her neck...

VERONICA ke order ka turant paalan hua tha... guns neeche ho chuki thi...

VERONICA-same offer tere liye bhi hai...gardan tod deti hun..
dard hone se pehle jaan nikal chuki hogi...

halka pressure neck par dene ke beech kahi thi ye baat VERONICA ne jispar boli toh kuch nahi ARCHANA par dard aur dar ke mixture se paida hone waali body shake ko saaf feel kar paa rahi thi VERONICA...

VERONICA-relax...nahi maar rahi mai tujhe...aur reason hai teri beti jisse dil se beti maana hai maine...

sirf uske liye,chhodti hun tujhe...

kutte ki dum hai,maanegi toh nahi par phir bhi kehti hun,waqt hai abhi bhi,sudhar jaa...ek adarsh MAA ban aur sahi raaste me chalte hue guzaar apni life...

tell them to take off the jammer...

ARCHANA-ab faayda nahi uska kuch...!!!

RANJANA-faayda nuksaan hum dekh lenge... you just tell them...

ARCHANA-they are not bound to me...aur guns bhi unhone isiliye neeche nahi ki kyunki meri life stake par thi...

isiliye ki kyunki they are ordered not to kill you...yeh kaam kisi aur kaa hai...

RANJANA-matlab...!!!

BHAKKK...

RANJANA ki baat ka jawab dena nahi pada ARCHANA ko kyunki jawab main door se andar jo aane waala tha...

ek baar phir jhatke se door khula jiske baad back to back 10 CORPS do lines left aur right ka banakar andar aaye...

un sabko dekh jahan ek taraf RANJANA satark hote hue apni gun hold kar saamne point kar di thi wahin VERONICA ka lock jo ab bohot hi dheela kar liya tha usne,usse ek jhatke se azaad ho ghumte hue aage crawl kar gayi ARCHANA...

uske yun chhutne par VERONICA thodi hadbadayi par ye hadbadahat shock me agle pal tab badha jab ARCHANA apne dislocated shoulder ko pakde pakde left taraf se khade first corp ke baaju me unhiki position me sidhe khadi ho gayi...

HEY VERZZZ...

JAIDEN CHOWDHARY...

JAIDEN tha ye jo face par ek ajeeb si smile ke saath chalta hua andar aaya tha...

VERONICA-tere liye itni izzat kabse dene lage ye sab...!!!???

JAIDEN-mout ke kagaar par khade hokar bhi itni akad...aise toh sirf tum hi ho sakti ho VERZZZ...

RANJANA-back off JAIDEN...!!!ek second lagega mujhe to knock your head off...

JAIDEN -oh,i would love you to try that...show me what you got RANJANA but lucky you,mai chahkar bhi abhi ladh nahi sakta...

nadi hun mai aur badi hi sahi par samandar ke saamne kya aukaat meri...

hey, hosh me raho tum...thodi der aur...uske baad toh hamesha ke liye aankhein band karna hi hai...

khudko hosh me rakhna ab bohot hi mushkil hone laga tha VERONICA ke liye...woh toh bas issi ummid me thi ki kisi tarah VEER yahan pahunch jaaye kyunki ab bas wahi tha jo usse aur RANJANA ko bacha sakta tha...

par chhati behoshi ki wajah se woh ummid bhi tootne lagi thi...

sir ko lagatar jhatak apni blur ho rahi sight ko kisi tarah wapas theek kiya hi tha usne par tabhi saamne ka scene dekh ek second ke liye hairan hui woh...

JAIDEN bhi ARCHANA ki hi tarah left se corps ke side me khada hua pehle aur phir baaki sabke saath ghutno par aa gaya...

ZILLAH...

sir se lekar pair tak black FLAK JACKET,BALLISTIC NYLON FABRIC ki super flexible pants aur STUDDED BLACK CUT CROCO TEXTURED LEATHER BOOT jiske ird gird ek patli par super sharp chain latki hui thi,pehen sabke beech se behadh hi sade kadmo se enter ho rahi thi ZILLAH...

hamesha ki tarah chehra ek khaas kism ke mask se covered tha jisse asaani se kheencha bhi nahi jaa sakta tha...

example iska VERONICA se hui uski last aur ek maatra fight thi jisme VERONICA ne use hara toh diya tha par uske face par chaddhe mask ko utaarne me nakamiyab ho gayi thi woh...

kaamiyab ho jaati par usse pehle G.O.D ka backup pahunch chuka tha jiski wajah se usse back out karna pada tha...

anyways,apni LIEGE ko saamne dekh RUE jo wapas VERONICA ko hit karne ke liye khudko ready kar rahi thi,behadh hadbada gayi aur MAGNUS,KANO ke saath hi apne ghutno par turant aa chuki thi...

wahin dusri taraf ZILLAH ko dekh VERONICA samajh chuki thi ki ab kuch nahi ho sakta...

ZILLAH ka kahin khud moujud hone ka matlab hi ye hota hai ki woh pura area G.O.D se secure kar diya gaya hai aur jab tak ZILLAH us area me hoti hai,no one can trespass the location...

wahin ZILLAH ke aate hi uski identity ke baare me VERONICA bhi dheere se RANJANA ko bata chuki thi jispar dar ki ek thandi leher doud uthi thi uske sharir me...

INTERPOL se lekar RAW tak har wanted list me top 5 criminals ke andar shumaar hone waali unidentified shakshiyat thi ZILLAH...

she was a huge name jiska khud yahan hona, GALATH,kuch bohot GALATH hone ka pure indication tha jisse saaf feel kar paa rahi thi RANJANA...

aur isiliye apni gun joki uske right taraf thodi door par giri hui thi,jhapti woh par tabhi kuch aisa hua ki hadbada uthi RANJANA...

isse pehle ki uska haath gun ko chhuta,ZILLAH ke pair gun ko daboch chuke the...

aur ZILLAH...woh jhuki hui apni paini aankhon se RANJANA ko behadh kareeb se dekh rahi thi...

ZILLAH-RANJANA MATTHEWS...*** super agent hone ke saath saath ek world renowned psychologist...

suna hai dimag kamal ka read aur evaluate karti ho tum... but this is not the place babes...

kyunki dimag tum insaano ka read kar sakti ho,but we are bloody fucking G.O.D...

we create brilliant minds...ah...ah..
ah...relax VERONICA...

isse bachane ki koshish mat karo...agar mujhe isse maarna hota,ab tak mar chuki hoti hai ye and you know it...

isse toh jeena hai...*** ke itihaas ki sabse kaabil agent ko apne saamne marte dekh kuch naa kar paane ki demotivational kahani sunane ke liye zinda rehna hai isse...

taaki dobara koi VERONICA ban G.O.D se takrane ki jurrat naa kar sake...

DHAKKK...

apni bol bolte hue bolte hi lightning speed se move hua ZILLAH ka right knee...pata bhi nahi chala ki kab woh knee RANJANA ke side head se strike hua aur aisa hote hi black out hote hue behosh ho gayi RANJANA...

ye dekh ghura VERONICA ne ZILLAH ko jispar...

ZILLAH-what...!!? maarungi nahi bola, behosh nahi karungi,ye toh nahi kaha tha...

fikr mat karo, tumhare marne tak hosh aa jaayega isse...

abhi isiliye behosh kiya kyunki kisise milwana hai tumhe and it has to be private...

LEAVE...

apne logon ke liye tha ye order jisse sun DISCIPLES, CORPS,ARCHANA aur JAIDEN turant bahar nikal gaye...

JAIDEN VERONICA ko marte hue dekhna chahta tha par ZILLAH ke order ki naafarmaani nahi kar sakta tha woh...

ZILLAH-lagta hai arm chair kaafi relaxing hai yahan ka...so toh nahi gaye...

THAKKK...
THAKKK...
THAKKK...

hall ki taraf dekh kahi thi ye baat ZILLAH ne jiske baad wahin sofe ke right me lage arm chair jiska face dusri taraf tha,usse utha ek shaksh...

pichle 5 minute se woh shaksh ghar me sneek in karkar wahan us ulte pade arm chair me sir neeche kar baitha tha aur kisi ko khabar tak nahi hui thi...

aisa sirf ek hi sneeker kar sakta tha jiski sacchayi jaanti thi VERONICA...

ZILLAH ki hi tarah hidden face aur body ke saath tha woh he was open infront of her...

aur naa sirf samjhi thi balki us sneaker ke har badhte kadam par aankhein uski laal hoti chali gayi thi...

har second jawab de rahi uski body me ek aisa adrenaline rush paida hone laga tha ki uski dull hoti senses jo jaise koi sanjeevaani mil gaya tha...

aur in sabka kaaran...woh sneaker koi aur nahi balki CIPHER tha...

again a GENISIS member par more importantly,the guy who had killed SANEEL...

abhi bhi zameen par thi VERONICA par abki baari woh ek sherni ki tarah thi jo apne shikaar ko paas aate hue ghoor rahi thi...

aur jaise hi woh VERONICA se 5 metre door pahuncha,she jumped...

par ye jump CIPHER par nahi balki uske side ke wall edge par kiya tha VERONICA ne...

kisi lizard ki tarah diwal se nano seconds ke liye chipak gayi thi uski body...

aisa usne CIPHER ki defence timing ko block karne ke liye kiya tha jisme successful bhi hui woh...

VERONICA. ko dodge dene ke liye halka neeche jhuka tha CIPHER par uske jhukne ke just baad uspar kudi thi VERONICA...

aur agle hi pal CIPHER ka sir uske ghumte haathon me tha...

kabse CIPHER se saamna hone ka intazar tha usse aur ab jab aisa ho chuka tha toh ek second bhi usse zinda nahi chhodna chahti thi VERONICA...

ghumte hue CIPHER ka sir bhi ghuma dena chahti thi woh aur agar CIPHER ki jagah koi aur hota toh aisa hone se rok bhi nahi sakta tha but again,koi aur toh tha nahi...

CIPHER tha saamne jiska dimag sharir se zyada tez chalta tha...

jaise hi usse VERONICA ki move samajh aayi,woh khud bhi hawa me rotate ho gaya...

VERONICA ke saath saath hi woh bhi zameen par land sa hua tha par tabhi...

DHAKKK...

ek tez laath maari VERONICA ne uske chest par jiske impact se sidhe ZILLAH ke pair ke paas gira CIPHER...

BHAKKK... DHAKKK DHAKKK..DHAKK...

CIPHER ZILLAH ke pair ke paas gira hi tha ki tabhi VERONICA bhi uske paas pahunch chuki thi...

VERONICA ko apne saamne dekh turant ek round leg spin kick hawa mw ucchalte hue maara ZILLAH ne...

koi aur hota toh us kick ko dhang se dekh bhi nahi paata par VERONICA ne naa sirf nano seconds me us move ko dekh liya tha balki ZILLAH ke advanced speed ka istamal ussike khilaf use karte hue ek angle me khudko tilt kiya usne aur agle hi pal uske ek haath ke VERONICA ka moved leg tha aur dusre me uska stomach...

movement ke beech hi pressure create karte hue ZILLAH ko hawa me hi kisi gendh ki tarah jispar kuch der pehle woh takrayi thi,us wall par fekh diya VERONICA ne...

ek tez back impact ke baad wall se takrayi thi ZILLAH... impact itna zyada strong tha ki neeche girne ke baad wapas uth hi nahi paayi woh...

ek time window mil chuka tha jisse zaaya nahi jaane dena chahti thi VERONICA...

DHAKKK...BHAKKK...UGHHRRR...

jaise hi ZILLAH ko feka VERONICA ne toh theek ussi pal usse piche se dabochne ke liye haath badha diye the CIPHER ne par VERONICA ne uske movement ko pehle hi feel kar liya tha...

isiliye uske haathon ko mid way ki push kar ek back kick ghuma diya VERONICA ne but CIPHER anticipated that move too...

isiliye khud hi piche jump sa kar khudko bacha liya usne...

infact,back jump ke baad back to back teen ulti cart wheel maarte hue woh gallery ke edge par pahunch chuka tha...

this was CIPHER'S style to fight...uski flexibility aur speed unparalled thi... offensive me bhale hi woh VERONICA se nahi jeet sakta tha par uska defense aur block itna zyada solid tha ki kayi minutes tak woh VERONICA ko dodge de sakta tha...

aur time hi toh nahi tha VERONICA ke paas...kabhi bhi behosh ho sakti thi woh,feel hone lag gaya tha usse aur isiliye she decided to end it...

turant apne chuppaye 4 BOWIE KNIVES bahar nikaal liye usne jisse dekh mask ke andar CIPHER ki aankhein badi ho gayi...

SOOBHHH... SOOBHHH... SOOBHHH...SOOBHHH...

ek pal ZILLAH ko dekh joki abhi bhi ladne ki haalath me nahi thi,zigzag pattern me aage badhte hue knives throw karna start kiye usne...

wakayi kamaal ke reflexes the CIPHER ke...goli ki speed se aa rahi un knives ko bhi kisi tarah dodge dene me kaamiyab ho raha tha woh...

par puri tarah se nahi...do knives se toh kisi tarah bach gaya woh par teesri knife itnw kam range aur zyada speed se feki thi VERONICA ne ki pura bach nahi paaya woh usse...

uske hand area me upper arm aur lower arm ke beech as in elbow ke upari bhaag ka pura hissa skin ke saath kaat diya tha VERONICA ke third knife ne...

apna woh wounded haath pakde halka jhuk gaya tha CIPHER par tabhi VERONICA ne ussi wounded haath ko jhatakte hue sidha kar diya...

aakhri knife haath me tha VERONICA ke jisse apne dahakte aankhon ke saath utaarne waali hi thi woh CIPHER ke dil me par tabhi...

kuch dikha VERONICA ko...ussi udhdi skin area ka pura kapda nikal chuka tha jis kaaran lower arm se zara upar kuch jaana pehchaana imprint sa dikha tha usse jiske baad ek ajeeb si anxiety aur ghabrahat ne ghar kar liya tha uske face par...

CHRRRR...

turant us cloth ke fate part ko pakad kheench diya usne aur aisa karte hi pakda chaaku chhhut gaya uske haathon se...

REASON...

VERZZZ...

yahi guda hua tha us lower arm me jisse padh ladhkadhati zubaan se ek shabd nikla VERONICA ke mooh se...

SANEELLLLLL....

ZILLAH-thats right baby...woh CIPHER nahi,SANEEL hai... tumhara SANEEL...

ab tumhari jaan lene ka hakh tumhari jaan se zyada aur kiska ho sakta hai bhala...!!!!

palti nahi VERONICA aur itni der me pehli baar VERONICA ka dhyan CIPHER ki aankhon par gaya tha...

aur jab gaya toh ek baar phir kaamp utha tha VERONICA ka sharir...

he was SANEEL... VERZ SAN...

VERONICA-kyun...???

SANEEL-jaankar kya karogi...marne waali ho...???

ZILLAH-mai bataun...ek shabd nahi bolungi par tum sab samajh jaaogi...

turant ghumi VERONICA ZILLAH ki taraf par ghumte hi jadh si hokar reh gayi woh...

ZILLAH ne apna complete mask utaar diya tha aur ek smile ke saath usse dekh rahi thi...

dhadakte dil ke saath kisi besudh si haalath me ZILLAH ki taraf dheere se badhne lagi thi VERONICA par tabhi...

ZILLAH-its no time for melodrama...its time to die VERONICA...

THAKKK...

RANJANA-VERONICA...

SANEEL ne piche se chalayi thi goli jisne VERONICA ke maathe ke beechobeech ek badi si bindi bana di thi...

jisne kabhi VERONICA ke maathe ko sindoor se laal kiya tha,aaj usne phir sa maatha rang diya tha uska par is baar ki laali khoon ki thi...

avishwas se bhari aankhon ko band karne ke beech apni saanson ki dor hamesha ke liye chhodte hue neeche gir chuki thi VERONICA...

theek tabhi RANJANA ki bhi senses wapas aayi thi...

VERONICA ko neeche girte dekhte hue khud girte padte uski taraf badh gayi RANJANA...

ZILLAH aur CIPHER toh VERONICA ko goli maarte hi nikal chuke the...

they were aware ki kisi bhi waqt ab VEER apni private army ke saath yahan pahunchne waala tha...

khair,thartharate haathon se VERONICA ki bejan sharir ke bagal me baith gayi RANJANA...

duniya ki top PSYCHOLOGIST ne kaampte hue VERONICA ko aisa chhua maano yakeen ho usse ki woh bas leti hui hai aur chhute hi apni aankhein khol degi...

RANJANA -VERZZZ...AE VERZZZ...uth naa VERZZ...tu kaise mar sakti hai yaar...you are bloody immortal damn it... uth naa yaaarrrrrrrrr....

kya jawab dungi mai SANVY ko...woh jeete ji mar jaayega tere bina...anath mat kar usse...uth naa please...

sir VERONICA ka apni godh me rakh usse zor se jhakjhor diya tha RANJANA ne par murde bhi kabhi harkat karte hain bhala...

naa VERONICA ab kuch bol sakti thi aur naa hi RANJANA ke paas bolne ke liye kuch bacha tha...

chaa gayi thi ghor shaanti par haan,us sannate ke har zarre se ek gunj zaroor uth rahi thi...

gunj ki...



jo kabhi koi naa kar saka,WOH us KAAM KO KAREGA...

ab tak log dar se darte aaye hain,ab dar ek SHAKSH SE DAREGA...

VERONICA ki mout kora kaagaz hai aur uske khoon ke chhiten us par lage dastakhat...

saboot is baat ka ki pehli baar insaan bhagwan se nahi balki G.O.D INSAAN KE HAATHON MAREGA...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,094
123
AB TAK AAPNE PADHA KI LADHAYI ME SANEEL VERONICA KO BULLET HEAD SHOT KE THROUGH JAAN SE MAAR DETA HAI.

AB AAGE:-


(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

CHAPTER 1


LAST UPDATE (PART-1)

DATE-1ST APRIL



CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE






ANJALIIII...CCOME...


us bade se underground room me lagbhag pichle 45 minutes se vichlit si idhar udhar ghum rahi ANJALI ke kaano me finally RANJANA ki familiar awaaz padi thi...

45 minutes pehle jab VERONICA ne usse us secret door ke andar push kar darwaza wapas lock kiya toh ANJALI gehre andhere me kho si gayi thi jispar dar lagne laga tha usse par ye dar sirf kuch 2 seconds ke liye hi tha...

2 seconds guzre hi the ki tabhi woh pura stair case light se jagmaga utha tha...

ghumti hui sidhiyan neeche ki taraf jaa rahi thi jispar confusion, anxiety aur fear ke beech neeche utarne lagi ANJALI...

aur jaise hi stairs complete hue toh wapas ANJALI ka saamna 2 palon ke andhere se hua tha...

complete presence alarm lighting system thi us underground jagah ki isiliye hi ANJALI ke room me kadam rakhte hi woh pura room roshni se jagmaga utha tha...

par aisa hote hi ANJALI ki aankhein vismay se bhar uthi thi...

bade bade screen computers se bhara hua tha woh 1800 metres bada room...

matlab jitna ghar ka surface area tha,utna pura area use kiya gaya tha us room ko banane me...

GAJT NULL FORMING SYSTEM se updated the is room ke saare screens jiska matlab tha ki duniya ka sabse tagda jammer bhi yahan ke signal frequency ko block nahi kar sakta tha...

ek unknown satellite se direct connected the yahan ke system... agar VERONICA aur RANJANA ki ladhayi yahan hoti toh DISCIPLES unhe communicate karne se rok nahi paate...

par ek sach ye bhi tha ki VERONICA marna pasand karti par G.O.D ke kisi bhi pyaade ko yahan aane kabhi nahi deti...

khair,room me chaaron taraf chipke un screens ko dekhne ke beech ANJALI ki nazar do aur blocks par bhi gaye the...

ek me heavy arms bade salike se waise hi rakhe gaye the jaise kisi millitary ammunition room me rakhe jaate hain...

aur dusre block me the close combat fights me use hone waale traditional weapons jaise ki sword,katana,naan chaaku,blunt staves e.t.c...

in sab chizon ko dekh toh dimag aur zyada ghumne laga tha ANJALI ka par aisa hone ka ek kaaran aur bhi tha...

"SHAYAD DOBARA MIL NAHI PAAUNGI BACCHA TUJHSE MAI....PAR HAAN,SAAMNE NA SAHI,PAR DIL ME HAMESHA RAHUNGI"...

push karne se pehle VERONICA ke usse kahe aakhri shabd the ye jinka logic bhale hi naa samajh me aaya ho usse,par yahan is room ka mahoul dekh aur yahan aane se pehle ghar ke entrance door me ho raha fluctuation...

ek ajeeb se dar ne gher liya tha ANJALI ke man ko jo har guzarte lamhe ke saath aur badhta chala jaa raha tha...

and finally ab RANJANA ko dekh dil ne jaise ek pal ke liye dhadakte se mana kar diya tha ANJALI ke...

bikhre kapde aur chehre par bruises aur khoon ki chand lakeeren liye nirjeev si haalath me khadi apni PRINCI ko dekh vision clear hokar bhi kaala ho chala tha ANJALI ka...

aise bhi kabhi dekhegi woh apni PRINCI ko,socha jo nahi tha kabhi usne par more importantly,jo baat kuch der pehle VERONICA ne kahi thi ANJALI ko,un shabdon ne ab dar ka ek behadh gehra kohra bana diya tha uske dilo dimag me...

ANJALI-MA'AM,aapki ye haalath...!!!aur MAA...woh kkahan hai...!!!

VERONICA-come...

dheeme kadmo se chalne ke beech apne sawal puche the ANJALI ne jiske jawab me bas usko kandhon se sahara dekar wapas upar ko taraf chal padi RANJANA...

par is sahare ne aur akela kar diya tha ANJALI ke man ko...dimag uska,kuch anisht,bohot anisht hone ka warning de raha tha jisse uske dil ka positive side laakh koshishon ke baad bhi jhutla nahi paa raha tha...

in 50 stairs ki chadhayi mount everest chadhne se kam nahi thi ANJALI ke liye par kuch hi der me ye lamba safar tay ho hi gaya...

SHRAVYA UDASI-BETA...

MAAAAAAAAA...........

20 se zyada unknown log moujud the is waqt hall area me par un anjaan chehron ko beech ANJALI ke mom aur dad bhi khade the...

RANJANA ne hi bulaya gaya tha un dono ko...jaanti thi woh ki abhi unka ANJALI ke saath hona bohot zaroori tha...

par shayad kaafi nahi tha ye...kitchen ke hidden door ko bahar se guard kar rahe 3 unknown logon ke beech se hote hue jaise hi ANJALI RANJANA ke saath bahar aayi toh sabse pehle uski nazar gallery me dead padi VERONICA par hi padi...

safedh chaadar joki ab tak uske gale tak hi dhaki thi,usse uske sir ke upar tak daala hi jaa raha tha par aisa ho,usse pehle hi nazar ANJALI ki VERONICA ke chehre par tik chuki thi...

SHRAVYA UDAASI aur uske husband jaise ghamandi logon ke aankhon me bhi is waqt VERONICA ki laash ko dekhte hue aansu the aur apni beti ki cheekh sun palte woh uski taraf...

dono hi turant badh chale the woh ANJALI ki taraf par ye kadam turant tez bhi ho gaye the...

REASON...

dheere se shuru hui kampan ANJALI ki lagatar tez hone lagi thi aur mahaz paanch second baad apni pathar ho chuki aankhon ko band karne ke beech neeche gir gayi woh...

SHRAVYA-BETA...

pura girne se pehle ANJALI ko sambhal toh waise RANJANA ne hi liya tha par uske paas pahunchte hi turant godh me rakh liya tha SHRAVYA ne apni beti ko sir...

RANJANA-HYPOVOLEMIC SHOCK...gehra sadma laga hai isse...ghar le jaaiye isse...don't worry...i think hosh me aane ke baad theek ho jaayegi ye...

ANJALI ke pupils check karne ke baad raay di thi RANJANA ne jispar turant amal hua tha par in sabke beech RANJANA ke "I THINK" shabdon ko dhyan se suna nahi un dono ne...

VERONICA ki dead body dekh hypovolemic shock toh aaya tha ANJALI ko par ye shock minor nahi major tha jisse samajh jo chuki thi RANJANA...


.....................................................




SANEEL NAHI RAHA...G.O.D...THEY KILLED MY BROTHER...


hall me aaya hi tha nanha sa SANVY ki tabhi apni mom ko landline par mile is tooththi aur lagatar sisakne ki wajah se slow aur unclear audio message ko uske tez tarrar kaano ne clearly sun liya tha...

the first panic attack of my life...

behosh hone ke baad pichle kuch mahino se jo kuch bhi hua tha mere saath,saare scenes behadh tez flashes ke saath ek sapne ki tarah ghumne lage the mere dimaag me...

par ye flashes sirf un scenerios ke nahi the jinhe dekha tha maine balki un sabhi scenes ke piche chuppe hue raazon ke anginat sameekaran ke bhi ganit lagane me lag chuka tha mera dimag...

yahi nahi,saare kirdaar aur unke maamuli se maamuli harkaton ko bhi is waqt mera dimag behadh slow motion me zoom in sa karke dikha raha tha...

aur jab us ujle prakash ke beech woh saare scenes complete hue toh finally aaj najaane kitne waqt ke baad merr dad ke death ki khabar mujhe jaise pata chali thi,woh scene bhi ghum gaya tha mere dimag me...

waise toh ye scene mujhe normally bhi yaad rehta tha par dad ko mout ki baat batane ke baad waali line joki bilkul dheemi aur unclear thi,aaj jaakar gunj si uthi thi mere dimag me...

ye wahi naam jiske baare me MAA ne bataya tha mujhe us din school ke garden me,wahi naam liya gaya tha call par jisse sun man hi man ek current sa laga tha mujhe...

G.O.D...


TANNN...TANNN...TANNNNN....



(PROLOGUE UPDATE,READ SCENES WITH SOME ADDITIONAL LINES)...



CHAL RE LADKE.. KISMAT WAKAYI ACCHI HAI TERI...KAAFI SASTE ME CHHUT RAHA HAI TU....


police station ke piche bane before hearing TEMPORARY JUVENILE HOME joki kisi normal adult jail se kam nahi thi,uske ek cell ki salakhon par pehle apne ruler se maarne ke baad lock kholte hue kahi thi ye baat hawaldar ne jispar cell ke andar diwaar se tik kar behosh baitha ladka as in mai,soyi padi aankhein khul gayi meri aur bina koi pratikriya diye bas dheere dheere apni jagah se uthne laga mai...

lekin tabhi...


AHHHHH....


uthne ki koshish me pair ladhkhada gaye mere jiski wajah se mai neeche girne laga par tabhi us hawaldar ne mere ek haath ko thaamte hue support diya aur fir ussi haath ko apne kandhe ki taraf ghumakar rakhte hue mujhe pakad sahara dekar aage badhne laga but ye chota sa safar bhi asaan na tha..

padi maar ki wajah se kapde jagah se phate hue us ladke ke jinke andar jhaanke se sharir par pade asankhya chot aur ghaav saaf dekhe jaa sakte the...



maasum chehre ke kayi hisson par khoon se sukhe dhabbe saaf bata rahe the ki behosh hone ke baad bhi face par bohot se tez tamaache aur mukke padh chuke the..



dando ki asankhya maar ki wajah se dono pair aur khaaskar ghutne bhi kaafi suje hue the aur issi wajah se mai thik se chal nahi paa raha tha...

is beech adhkhuli aankhon se jo bhi dikh raha tha,usse samajh gaya tha mai ki ye woh jagah nahi thi jahan behosh hone se pehle rakha gaya tha mujhe...

ye hawaldar bhi alag tha jiski duty shayad yahin juveline ki hi thi...

behoshi hone ke baad mujhe station ke piche bane juvenile me transfer kar diya gaya tha...

par fark mujhe kuch feel hi nahi ho raha tha...ek ajeeb ee blank spot se tha is waqt mera dimag...

aisa lag raha tha jaise mujhe kuch sochne samajhne se rok raha tha mera apna dimag....kisi robot ke jaise thi is waqt meri haalath jiska wajood hokar bhi nahi tha...

par is hypnotize situation me bhi itni zyada maar padne ki wajah se sharir par aaye dislocations se uth raha dard apna ehsaas dilwa raha tha...

sahara milne ke baad bhi mere face par dikh rahe pain ko dekh us hawaldar ko bhi us mujhpar kaafi taras aa raha tha..

aur ye bhaavna sirf abhi hi nahi jaagi thi balki subah se jab se mujhe JUVENILE CUSTODY ke naam par is cell me bharti kiya gaya tha aur uske baad jo kayi ghanton tak lagatar mujhe kisi rapist ya maas murderer ki tarah maara gaya tha,woh sab dekh kar hi is hawaldar ko behadh taklif hui thi par apne chote ohde ki wajah se woh kuch kar nahi paaya tha...



khair, kisi tarah sahara dete hue woh hawaldar mujhko liye us JUVENILE HOME ke front hall me bane chamber ki taraf badha hi tha ki tabhi....



ARE YOU EVEN LISTENING TO ME INSPECTOR....2005,JUVENILE JUSTICE CARE & PROTECTION ACT KE ACCORDING KISI BACHE KI UMR AGAR 18 SAAL SE KAM HO TOH USSE POLICE REMAND PAR NAHI LE SAKTI AUR RAKH TOH BILKUL NAHI SAKTI..



AND DON'T EVEN DARE TO TRICK ME BY SAYING KI YE EK TEMPORARY JUVENILE HOME HAI KYUNKI YE JAGAH BHI BY LAW "GALATH"....





CHRRRRR....



chamber ke dono darwaze khulne ki wajah se chamber me khade us aadmi ka sentence pura nahi ho paaya aur woh turant palta aur aisa karte hi jab uski nazar door se enter hue hawaldar ka sahara lekar khade mujh half consciousness ladke par padi toh uski aankhein hairani aur ghusse se badi ho gayi aur..





AADMI-is this "SANVEER AHARYA"....





ye bolte hue woh turant meri taraf lapka par jaisi meri maansik haalath thi is waqt,us aadmi ki awaaz theek se suni bhi nahi thi maine ya phir ye kahun ki meri tooti phuti haalath aur dono hi kaano ke piche dikh raha sookh chuka khoon mujhe kuch bhi sunanane ke liye filhal temporarily non compitant kar chuka tha..



mere paas pahunch hawaldar ko side hata us aadmi ne khud mujhko sahara diya aur aisa karne ke baad jab uski ghusse se bhari aankhen saamne chair par baithe inspector ki taraf gayi jo ab bhi ghaagh ki tarah muskura raha tha toh woh kuch bolne ko hua par tabhi..


INSPECTOR-MR ANUPAM GHOSH....mai jaanta hun ki aap kaun hain..yahan ke sabse bade lawyer hain aap...



is JUVENILE HOME ke bahar aapke assistants ki lambi line aapke powerful hone ki baat par bhi bina bole mohor laga rahe hain but the thing is ki aap kuch nahi kar sakte...



jaante hain kyun....???



JAIDEN CHOWDHARY....



muskurate hue bhar ye ek naam hi liya us inspector ne par shayad itna hi kaafi tha...


naam sun ek pal ke liye LAWYER ANUPAM GHOSH ke chehre par shikan aaya but phir sakhti se bhar utha unka bhi face...



BEEP...BEEP...



ANUPAM GHOSH kuch kehte ki tabhi unke mobile ki message tone baji...



"JUST BRING THE CHILD"....



yahi likha tha us messege me jisse padh khudko shaant kiya ANUPAM GHOSH ne aur inspector ki taraf dekh...


ANUPAM-naam toh ek mere paas bhi hai,jisse agar le lun toh tumhari khudko safe samajhne ki galatfehmi abhi ke abhi door ho jaayegi but mai aisa karunga nahi..

sahi waqt aane tak tumhara ye over confidence barkarar rehna zaroori hai...



jahan ye bol half conscious mode me khade mujhko sahara dene ke beech ANUPAM GHOSH wapas moodte hue us chamber se bahar nikal gaya wahin uski baat sun woh inspector bas pehle ki hi tarah ghaagh ki tarah muskurate hue apne revolving chair me baith chuka tha...





NNNNNNNNNNNN.....





15 minute ke car drive ke baad ANUPAM GHOSH ki car ek bade se half opened gate ke saamne ruki jiske baad usne mujhko wapas sahara dete hue car se utara...



is 15 minute ke safar ke dauran mai bas apni aankhen band kiye chup chaap baitha hua tha..



but jab car rooki toh itne waqt me pehli baar naa sirf meri aankhein khuli but saath hi saath mere sthir aur emotion less aankhon me ek halki si hi sahi,khushi dikhne lagi thi..

lekin usse ulat jab ANUPAM ne meri aankhon me khushi dekhi toh uske face par dukh ke bhaav aa chuke the...



ANUPAM jaanta tha meri aankhon me dikh rahi khushi ka reason...



but woh ye bhi jaanta tha ki woh reason,woh khushi ka shroth ab mujhe kabhi nahi milne waala...



khair, jab ANUPAM ka sahara lete hue mai car se utra par tabhi mere kaano me padi gate ke khulne ki awaaz joki ANUPAM ke assistant ne kholi thi par ye awaaz familiar nahi thi isiliye hi meri aankhein jhat se upar uthi aur aisa hote hi jo nazara mere saamne aaya,usse dekh SANVEER ki aankhein badi ho gayi...



"GOD'S ACRE"....



dehradun ka ek maatr catholic GRAVEYARD tha ye jisse dekh dil dhakk sa kar gaya tha mera...



graveyard ko dekh itne waqt me pehli baar meri nazarein turant ANUPAM ki taraf ghumi jiske face me is waqt negetive bhaav the jinhe naa sirf padh gaya tha mai balki agle hi pal mere kadam ladhkhada gaye...

girne laga tha mai par ek baar phir ANUPAM ne sambhala mujhe aur bina kuch kahe meri baanh se mujhe apne saath liye GRAVEYARD ke andar daakhil ho gaya...



DHAKKK...DHAKKKK...DHAAKKKK...



anishichiththa ko bhaampne ke beech tezi se dhadakte dil ke saath meri khamosh zubaan liye aage badh raha tha mai...



pairon ke jodon me multiple fractures the mere but abhi jaise mujhe kuch feel hi nahi ho raha tha...


april ka pehla din tha aaj...garmi ki shuruat ho chuki thi but kaale baadal aur tez hawayein aaj fizaon me kuch aisi ghuli hui thi maano aaj ke din ko manhoos ghoshit kar rahi hon...



aur jaise jaise mere kadam apne us anchaahe manzil ki taraf badh rahe the,waise waise woh tez chalti hawayein apne saath paani ke bauchaaron ko bhi kuch yun tezi se fekne lagi thi maano aisa kar woh mere view ko block karna chah rahi hon taaki jo woh dekhne waala hai,usse waisa karne se rokna chah rahi hon...


khair,in saare odds ke beech mujhe saath liye ANUPAM GRAVEYARD ke ek taraf kaafi aage badh chuka tha but tabhi...



DHAKKKK....



kaampte pairon ke beech ek second ke liye rooka mai par phir ek dhakka sa diya ANUPAM ko maine ne jiske asar se woh piche ki taraf gir gaya..

wahin us ek second ke pause ke baad pairon me multiple fractures hone ke baawjud badi tezi se aage badh chala tha mai aur lambi lambi saans lete hue ek fresh grave ke theek aage pahunch ruka...



HHHHH...HHHHHHH...HHHHHH....HHHHHH.....



meri already tez chal rahi sansein aur tez ho chali thi par jaise hi meri nazar us grave ke piche gade gravestone me likhe naam par padi,woh naam jiske dhundle andeshe ki wajah se hi maine ANUPAM GHOSH ko dhakka diya tha,ab woh dhundla andesha saaf hone ke baad bhi meri ki zindagi ko kaali kar chuka tha...

naa sirf meri tez chalti saansein ek jhatke me mere dil ki dhadkano ke saath tham si gayi par saath hi saath meri aankhein bhi badi hote hote apni aakhri hadh tak pahunchte pahunchte pathra si gayi....


VERONICA PAUL AHARYA....


meri MAA ka naam....

yahi likha tha us gravestone par...

jo condition SANVEER ki RANJANA maam ne police station me dekhi thi,jis psychological disordered attitude ko feel kiya tha,usse dekh samajh gayi thi woh ki agar maine MAA ki laash ko dekha toh kuch aisa ho sakta hai jisse sochna bhi bas me nahi ho sakta tha kisi ke liye...

isiliye hi MAA ka funeral pehle hi karwa diya tha unhone aur mujje sidhe unke gravestone ke paas laaya gaya tha...

bohot se log the is waqt yahan is GOD'S ACRE me par SANVEER ke enter hote hi sabko MA'AM aur baaki authorized logon ne ek distance me clear kar diya tha...

is bheed me mere dost aur fellow mates bhi the...unke parents bhi...

KHANAK,NAISHA,RAJAT,EKPREET,SONU aur NITS...

class ke bohot se bacche bhi saath khade the unke...

aansu toh waise sabhi ke aankhon me the par SONU aur NITS ki condition bohot zyada kharab thi...

hoti bhi kyun naa...jahan baaki sabke liye VERONICA unke dost ki MAA bhar thi wahin un dono ke liye VERONICA unki apni MAA se kam naa thi...

woh toh z security ki tarah chaavni banaye khade security ke protocols nahi hote toh woh dono VERONICA ke grave se chipke baithe hote...

waise grave waala part puri tarah khaali bhi nahi tha...kabr ke side me ghutno ke bal jhuki baithi hui thi safedh suit me ek meri hi umr ki ladki...

filhal uski peeth thi meri taraf...

par saamne aur aas paas le mahoul se mujhe koi matlab tha nahi...

pathrayi aankhon se apni MAA ke naam ko lagatar padhne laga tha mai maano ummid ho mujhe ki padhte padhte achanak se hi woh naam apne aap badal jaayega....


par kuch seconds baad jab meri pathrayi aankhon ke beech panap raha paani chalka toh ye bhram bhi us paani ki tarah mera saath chhodta chala gaya aur...



MAAAAAAAAAAA............





dil ko asaani se cheer de,aisi cheekh nikli mere mooh se....

is cheekh me aisi shiddat thi ki graveyard me moujud har shaksh ka dil ek baar phir meri awaaz ke beech ro pada tha...

chaaron taraf khade BLACK JADED commando jinka focus har baahri khatre par tika tha,meri cheekh ko sun un sabka bejod concentration bhi kuch palon ke liye toot gaya tha...

par mera ye response chand seconds ka hi tha...

us lambi cheekh ke beech kuch hua mere dimag me jiske baad 10 seconds ke andar hi mujhe shaant karna shuru kar diya tha mere brain ne...

pehle ki tarah ek baar phir bas ek tak dekh bhar raha tha mai apni MAA ke kabr ko par is baar dard aur bechaini,dono hi nahi thi mere andar...

ek ajeeb sa thairav tha jisse dekhne waalon ko aisa lagne laga jaise shock me chala gaya hun mai...

DALVEER...

mere kandhe par haath rakhne ke beech aaj 9 saal baad is naam se kisine pukara tha mujhe jisse sun meri thehri aankhein ek pal liye band ho gayi thi...

MAI-YODA...

VEER AHARYA... badi personality waale mere chote dad,mere YODA,as in mere personal JEDI MASTER...jab se bolna aur cheezen samajhna sikha hai joki baaki intelligent bacchon ke mukable bhi 10 guna tez raha hai mera, unke hairat angez fighting skills ko dekha hai maine...

ek aisa fighter jinke mukaabale ka dusra aur kahin milna bohot mushkil tha aur ab toh aur mushkil kyunki jo inhe takkar de sake,woh mitti ke neeche dafan ho chuki thi...

anyways,mera naam lene ke beech mere saamne aakar khade ho gaye YODA... formal funeral ceremony white me bhi unki personality one in a million thi...

a true champ par filhal unki aankhon me ek pure looser dikh raha tha...

apne bhai ke baad aaj apni MAA samaan bhabhi ko naa bacha paane ki taklif aur sharmindagi saaf dikh rahi thi unke face par....

kaafi time se apne aansuon ki baandh roke hue the woh, par mujhe dekh aakhir chhalak hi pade unke aansu...

mujhe apne chowde seene ke beech chippa khud rone lage the woh...

BHAI...

kuch seconds baad jab alag hua mai YODA se toh ek aur jaani pehchaani mere saamne se aayi...

ye wahi ladki thi jo MAA ke kabr ke sirahane baithi thi...

apni sundar par bheegi palkon se dekh rahi thi woh mujhe jispar mai bhi usse ek tak dekhne laga tha...

ro ro kar aankhein soojh chuki thi uski par aansu ab bhi aankhon ko puri tarah ghere bas chhalakne hi waale the...

BHAI MAI...

MAI-9 saal 2 mahine...

3346 din...

mai anjaano ke saath bitaye waqt tak nahi bhulta toh tujhe,apni behen ko kaise bhul sakta hun...

AARNA...

AARNA-MAA...

gaal par haath fera tha maine AARNA ke jispar mujhse lipaththe hue ek baar phirse rulayi phoot padi thi uski...

MAI-SHHHH...koi naa...jo ho gaya,so ho gaya...tere aansu unhe wapas nahi laane waale... sambhal khudko...

chal...YODA...ghar chalenge...

jahan AARNA ko saath lagaye hue hi palath aage badh chuka tha mai wahin meri baatein aur mere shaant face ko dekh ab tak paas aa hamari baat sun chuki RANJANA ma'am ki aankhein apni aakhri hadh tak badi ho chuki thi...

(WRITER'S PERSPECTIVE)



aur ye laazmi bhi tha...jo ladka apni MAA ko ek kharoch tak ko bardaasht nahi kar sakta tha,aaj uski wahi MAA guzar chuki thi jiski khabar bhi SANVY ko abhi abhi lagi thi...live...

uspar aisa reaction... har baar ki tarah us world renowned psychologist ko ek baar phir SANVY ke body language aur attitude ne confused chhod diya tha...

hairat se bhar SANVY ko piche se jaata hua dekh rahi thi woh...

VEER-8 saal ho gaye par ab tak apne toughest psychological subject (SANVEER)ko halka bhi samajh nahi paayi naa tum...!!!

RANJANA-how is this even possible...???

VEER-everything is possible when it's about SANVY... filhal tumhe uski kis baat ne hairat me daala hai...???

RANJANA-SEVEN STAGES OF GRIEF...

pehla stage SHOCK...woh laga tha SANVY ko jab usne pehli baar apni mom ka grave dekha...

phir woh cheekha jisme pain ke saath dusra stage"ANGER" bhi tha...

GRIEF ke ye dono hi stages turant feel hote hain jo usse hue par baaki ke paanch stages...

1-BARGAINING...
2-DEPRESSION...
3-ACCEPTENCE...
4-HOPE...
5-PROCESSING GRIEF...

in paanchon stages ko jeene aur cross karne ke liye mahino lagte hain aur kabhi kabhi toh saalon...

but he...aisa laga jaise kuch palon me hi usne in paanchon stages ka safar tay kar liya...

VEER-ALBERT EINSTEIN ka I.Q nearly 160 tha...but there are people who have surpassed the i.q of Einstein...

starting with you...161...adhara perez-162...jacob barnett,judit polgar-170...evangelos katsioulis-190...rick rosner-192 se 198 ke beech...sho yano-200

and the one with the world record...marilyn vos savant-228...

RANJANA-i know them all...SAVANT se toh mili bhi hun mai...pure genius...but what's the point...!!!???

VEER-jab SANVY ne 7th passout kiya tha,tab tak har saal woh aur bhabhi summer vacations me london jaate the...

specifically...(CANTAB)...

ek baar phir aankhein badi hui thi RANJANA ki aur is baar ka jhatka aur zyada tha...

vacations me jaate the VERONICA aur SANVY...ye toh maalum tha RANJANA ko par sabse chhup london jaate the woh dono,iska zara bhi andaza nahi tha usse...

and that too CANTAB...as in cambridge neuropsychological test automated block...

aisi jagah jahan duniya ke best i.q's check hote the...

RANJANA-what's the I.Q of SANVY...???

VEER-last checked(7th grade)...it was 328...

328...100 more than the world record holder...

maatha hi pakad liya tha apna RANJANA ne par ab us ghumte hue sir me SANVY ke thought process ka ganith kuch hadh tak hi sahi,clear hone laga tha...

I.Q as in intelligence quotient jitna zyada high hota hai,E.Q as in emotional quotient utna hi kam ho jaata hai...

aur SANVY ke saath bhi yahi hua tha par ek khatarnak twist ke saath...

sirf apne kareebi aur pasandida logon ke liye attract aur protective hota tha SANVY par utna hi cold hearted woh baaki sabke liye aur unke liye tha jo usse dhoka ya direct,indirect pain dene ki koshish karte the...

par uske dimag ki sabse khatarnak aur ajeeb khubi thi to process situations and take toughest decisions...

aam aadmi se 1000 times tez SANVY ka dimag situations ko fast forward karte hue sab kuch analysis kar khudko shaant karta tha but more importantly, negetive situations me us haalath ko banane waala saara ganith uska dimag kisi gutthi ki tarah solve karne me lag jaata tha...

VEER-logon me bhavnayen utni hi normal hoti hai jaise ki swaans lena...

par DANVEER ke maamle me aisa kuch nahi tha...pure 7 saal tak kisi programme ki tarah emotions ko uske man me,dimag me feed kiya gaya hai....

dil se woh zaroor human hai par dimag se DANVEER kisi A.I system ka human version hai...

tum ab tak usse isiliye read nahi kar paayi kyunki...

RANJANA-he is a miracle but a curse as well...agar kuch SAHI ho raha ho toh SANVEER normal rehta hai...bahar se bhi aur andar se bhi par agar kuch GALATH ho jaaye toh waise react karega,ye jaanana ya predict nahi kiya jaa sakta...

VEER-true...G.O.D is a big deal...infact biggest deal of this planet...unke saamne bhale hi aaj DANVEER ka kadh bohot chota hai par iske dimag ki unchayi ka koi hadh nahi...

VEER-iska potential jiske baare me isse khud nahi pata,agar andaza hota G.O.D ko toh isse zinda nahi chhodte woh...

unki nazar me ye bhi baaki sabki tarah bas ek pyada bhar hai par nahi jaante woh ki DANVEER woh pyada hai jo RAJA ko maath dene ke kaabil hai...

VEER baat kar hi raha tha ki tabhi yard ke main gate ke paas pahunch chuka SANVY palta unki taraf piche...

kuch kaha nahi usne par ek aisi patthar si sakhti thi uske face par jisse dekh RANJANA aur VEER turant uski taraf aage badh chale the...

DHABBB...

M.P.V ke centre section me baith palte RANJANA aur VEER jahan AARNA ke saath pichli seat par sir piche kiye aankhein band rakh leta hua tha SANVY...

VEER-ghar jaane ki zaroorat nahi hai beta...anything and everything you need,will be picked up from there...

MAI-meri MAA ko kahan maara gaya tha...???

mere sawal ko sun kuch palon tak car me sannata chhaya raha...

meri MAA ke saath koi haadsa nahi hua hai balki unko maara gaya hai,is baat ki aashanka nahi dikhayi thi maine balki statement ke saath sawal pucha tha jispar hamesha confident aur ever ready answer ke saath rehne waali RANJANA ki nazar bhi YODA ki taraf ghum gayi thi...

ghar par...

MAI-toh ghar jaana zaroori hai...unki death ka HATHIYAR ab bhi wahin hoga,i have to have it...

waise bhi,bohot se sawal hai mere...aur jahan mujhe ab tak chuppa kar rakha gaya,chizen khulne ke liye bhi wahan se zyada sahi jagah dusri nahi ho sakti...

gaadi already aage badh chuki thi jiske beech aankhein band kiye bohot hi shaant tarike se baat kar raha tha mai par meri sthir awaaz ne bhi RANJANA ma'am ke dil aur dimag ko asthir kar diya tha...

padh toh woh mujhe pehle bhi nahi paati thi par aaj jo SANVY unke saamne tha,aisa lag raha tha jaise pehli baar mil rahi hon woh mujhse...

ek gazab ki negetive vibe thi jo bas yahi keh rahi thi ki...




jisse hazaron baar padhkar bhi naa samajh paayi,aaj woh aise NAAM KO DEKH RAHI THI...

jo zameen ko dhakega nahi balki usse nigal lega,aise AASMAN KO DEKH RAHI THI...

chehre par sukoon aur shaanti hi nazar aa rahi thi magar unhe...

jo har kisike sukoon-e-shaanti ko tehes nehes kar dega,lag raha tha unhe ki woh aise TOOFAN KO DEKH RAHI THI...










AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Unbelievable update bhai
Yeakin nehi ho raha k ek saal hogaya last update ko. Janta hu kafi muskil paristhi se gujar rahe ho aap. Fir bhi bich bich me aake aap ni takli share ki he aap ne. Jo mujhe bohot achha laga kiu ki dard hamesa aapno se bat te he hum or aap ne hame aapna manahe. Aap bhi koi ger nehi ho aap ko bhi aapna mana he. Hamara rista sirf ek writer or reader ka nehi he bhaio ka he, dosto ka he. Aap ne aapne sukh dukh batke is rishte ko jo respect di he wo sar aankhon par rahega. Dua karta hu aap ke sare dukh dard dur ho aap ki jindegi khusio se bharjaye or hame hamara dost hamar bhai wapas miljaye.
Thank you bhai for the wonderful story
Please keep writing
Waiting for next
 

BP high

Active Member
755
1,094
123
AB TAK AAPNE PADHA KI LADHAYI ME SANEEL VERONICA KO BULLET HEAD SHOT KE THROUGH JAAN SE MAAR DETA HAI.

AB AAGE:-


(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

CHAPTER 1


LAST UPDATE (PART-1)

DATE-1ST APRIL



CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE






ANJALIIII...CCOME...


us bade se underground room me lagbhag pichle 45 minutes se vichlit si idhar udhar ghum rahi ANJALI ke kaano me finally RANJANA ki familiar awaaz padi thi...

45 minutes pehle jab VERONICA ne usse us secret door ke andar push kar darwaza wapas lock kiya toh ANJALI gehre andhere me kho si gayi thi jispar dar lagne laga tha usse par ye dar sirf kuch 2 seconds ke liye hi tha...

2 seconds guzre hi the ki tabhi woh pura stair case light se jagmaga utha tha...

ghumti hui sidhiyan neeche ki taraf jaa rahi thi jispar confusion, anxiety aur fear ke beech neeche utarne lagi ANJALI...

aur jaise hi stairs complete hue toh wapas ANJALI ka saamna 2 palon ke andhere se hua tha...

complete presence alarm lighting system thi us underground jagah ki isiliye hi ANJALI ke room me kadam rakhte hi woh pura room roshni se jagmaga utha tha...

par aisa hote hi ANJALI ki aankhein vismay se bhar uthi thi...

bade bade screen computers se bhara hua tha woh 1800 metres bada room...

matlab jitna ghar ka surface area tha,utna pura area use kiya gaya tha us room ko banane me...

GAJT NULL FORMING SYSTEM se updated the is room ke saare screens jiska matlab tha ki duniya ka sabse tagda jammer bhi yahan ke signal frequency ko block nahi kar sakta tha...

ek unknown satellite se direct connected the yahan ke system... agar VERONICA aur RANJANA ki ladhayi yahan hoti toh DISCIPLES unhe communicate karne se rok nahi paate...

par ek sach ye bhi tha ki VERONICA marna pasand karti par G.O.D ke kisi bhi pyaade ko yahan aane kabhi nahi deti...

khair,room me chaaron taraf chipke un screens ko dekhne ke beech ANJALI ki nazar do aur blocks par bhi gaye the...

ek me heavy arms bade salike se waise hi rakhe gaye the jaise kisi millitary ammunition room me rakhe jaate hain...

aur dusre block me the close combat fights me use hone waale traditional weapons jaise ki sword,katana,naan chaaku,blunt staves e.t.c...

in sab chizon ko dekh toh dimag aur zyada ghumne laga tha ANJALI ka par aisa hone ka ek kaaran aur bhi tha...

"SHAYAD DOBARA MIL NAHI PAAUNGI BACCHA TUJHSE MAI....PAR HAAN,SAAMNE NA SAHI,PAR DIL ME HAMESHA RAHUNGI"...

push karne se pehle VERONICA ke usse kahe aakhri shabd the ye jinka logic bhale hi naa samajh me aaya ho usse,par yahan is room ka mahoul dekh aur yahan aane se pehle ghar ke entrance door me ho raha fluctuation...

ek ajeeb se dar ne gher liya tha ANJALI ke man ko jo har guzarte lamhe ke saath aur badhta chala jaa raha tha...

and finally ab RANJANA ko dekh dil ne jaise ek pal ke liye dhadakte se mana kar diya tha ANJALI ke...

bikhre kapde aur chehre par bruises aur khoon ki chand lakeeren liye nirjeev si haalath me khadi apni PRINCI ko dekh vision clear hokar bhi kaala ho chala tha ANJALI ka...

aise bhi kabhi dekhegi woh apni PRINCI ko,socha jo nahi tha kabhi usne par more importantly,jo baat kuch der pehle VERONICA ne kahi thi ANJALI ko,un shabdon ne ab dar ka ek behadh gehra kohra bana diya tha uske dilo dimag me...

ANJALI-MA'AM,aapki ye haalath...!!!aur MAA...woh kkahan hai...!!!

VERONICA-come...

dheeme kadmo se chalne ke beech apne sawal puche the ANJALI ne jiske jawab me bas usko kandhon se sahara dekar wapas upar ko taraf chal padi RANJANA...

par is sahare ne aur akela kar diya tha ANJALI ke man ko...dimag uska,kuch anisht,bohot anisht hone ka warning de raha tha jisse uske dil ka positive side laakh koshishon ke baad bhi jhutla nahi paa raha tha...

in 50 stairs ki chadhayi mount everest chadhne se kam nahi thi ANJALI ke liye par kuch hi der me ye lamba safar tay ho hi gaya...

SHRAVYA UDASI-BETA...

MAAAAAAAAA...........

20 se zyada unknown log moujud the is waqt hall area me par un anjaan chehron ko beech ANJALI ke mom aur dad bhi khade the...

RANJANA ne hi bulaya gaya tha un dono ko...jaanti thi woh ki abhi unka ANJALI ke saath hona bohot zaroori tha...

par shayad kaafi nahi tha ye...kitchen ke hidden door ko bahar se guard kar rahe 3 unknown logon ke beech se hote hue jaise hi ANJALI RANJANA ke saath bahar aayi toh sabse pehle uski nazar gallery me dead padi VERONICA par hi padi...

safedh chaadar joki ab tak uske gale tak hi dhaki thi,usse uske sir ke upar tak daala hi jaa raha tha par aisa ho,usse pehle hi nazar ANJALI ki VERONICA ke chehre par tik chuki thi...

SHRAVYA UDAASI aur uske husband jaise ghamandi logon ke aankhon me bhi is waqt VERONICA ki laash ko dekhte hue aansu the aur apni beti ki cheekh sun palte woh uski taraf...

dono hi turant badh chale the woh ANJALI ki taraf par ye kadam turant tez bhi ho gaye the...

REASON...

dheere se shuru hui kampan ANJALI ki lagatar tez hone lagi thi aur mahaz paanch second baad apni pathar ho chuki aankhon ko band karne ke beech neeche gir gayi woh...

SHRAVYA-BETA...

pura girne se pehle ANJALI ko sambhal toh waise RANJANA ne hi liya tha par uske paas pahunchte hi turant godh me rakh liya tha SHRAVYA ne apni beti ko sir...

RANJANA-HYPOVOLEMIC SHOCK...gehra sadma laga hai isse...ghar le jaaiye isse...don't worry...i think hosh me aane ke baad theek ho jaayegi ye...

ANJALI ke pupils check karne ke baad raay di thi RANJANA ne jispar turant amal hua tha par in sabke beech RANJANA ke "I THINK" shabdon ko dhyan se suna nahi un dono ne...

VERONICA ki dead body dekh hypovolemic shock toh aaya tha ANJALI ko par ye shock minor nahi major tha jisse samajh jo chuki thi RANJANA...


.....................................................




SANEEL NAHI RAHA...G.O.D...THEY KILLED MY BROTHER...


hall me aaya hi tha nanha sa SANVY ki tabhi apni mom ko landline par mile is tooththi aur lagatar sisakne ki wajah se slow aur unclear audio message ko uske tez tarrar kaano ne clearly sun liya tha...

the first panic attack of my life...

behosh hone ke baad pichle kuch mahino se jo kuch bhi hua tha mere saath,saare scenes behadh tez flashes ke saath ek sapne ki tarah ghumne lage the mere dimaag me...

par ye flashes sirf un scenerios ke nahi the jinhe dekha tha maine balki un sabhi scenes ke piche chuppe hue raazon ke anginat sameekaran ke bhi ganit lagane me lag chuka tha mera dimag...

yahi nahi,saare kirdaar aur unke maamuli se maamuli harkaton ko bhi is waqt mera dimag behadh slow motion me zoom in sa karke dikha raha tha...

aur jab us ujle prakash ke beech woh saare scenes complete hue toh finally aaj najaane kitne waqt ke baad merr dad ke death ki khabar mujhe jaise pata chali thi,woh scene bhi ghum gaya tha mere dimag me...

waise toh ye scene mujhe normally bhi yaad rehta tha par dad ko mout ki baat batane ke baad waali line joki bilkul dheemi aur unclear thi,aaj jaakar gunj si uthi thi mere dimag me...

ye wahi naam jiske baare me MAA ne bataya tha mujhe us din school ke garden me,wahi naam liya gaya tha call par jisse sun man hi man ek current sa laga tha mujhe...

G.O.D...


TANNN...TANNN...TANNNNN....



(PROLOGUE UPDATE,READ SCENES WITH SOME ADDITIONAL LINES)...



CHAL RE LADKE.. KISMAT WAKAYI ACCHI HAI TERI...KAAFI SASTE ME CHHUT RAHA HAI TU....


police station ke piche bane before hearing TEMPORARY JUVENILE HOME joki kisi normal adult jail se kam nahi thi,uske ek cell ki salakhon par pehle apne ruler se maarne ke baad lock kholte hue kahi thi ye baat hawaldar ne jispar cell ke andar diwaar se tik kar behosh baitha ladka as in mai,soyi padi aankhein khul gayi meri aur bina koi pratikriya diye bas dheere dheere apni jagah se uthne laga mai...

lekin tabhi...


AHHHHH....


uthne ki koshish me pair ladhkhada gaye mere jiski wajah se mai neeche girne laga par tabhi us hawaldar ne mere ek haath ko thaamte hue support diya aur fir ussi haath ko apne kandhe ki taraf ghumakar rakhte hue mujhe pakad sahara dekar aage badhne laga but ye chota sa safar bhi asaan na tha..

padi maar ki wajah se kapde jagah se phate hue us ladke ke jinke andar jhaanke se sharir par pade asankhya chot aur ghaav saaf dekhe jaa sakte the...



maasum chehre ke kayi hisson par khoon se sukhe dhabbe saaf bata rahe the ki behosh hone ke baad bhi face par bohot se tez tamaache aur mukke padh chuke the..



dando ki asankhya maar ki wajah se dono pair aur khaaskar ghutne bhi kaafi suje hue the aur issi wajah se mai thik se chal nahi paa raha tha...

is beech adhkhuli aankhon se jo bhi dikh raha tha,usse samajh gaya tha mai ki ye woh jagah nahi thi jahan behosh hone se pehle rakha gaya tha mujhe...

ye hawaldar bhi alag tha jiski duty shayad yahin juveline ki hi thi...

behoshi hone ke baad mujhe station ke piche bane juvenile me transfer kar diya gaya tha...

par fark mujhe kuch feel hi nahi ho raha tha...ek ajeeb ee blank spot se tha is waqt mera dimag...

aisa lag raha tha jaise mujhe kuch sochne samajhne se rok raha tha mera apna dimag....kisi robot ke jaise thi is waqt meri haalath jiska wajood hokar bhi nahi tha...

par is hypnotize situation me bhi itni zyada maar padne ki wajah se sharir par aaye dislocations se uth raha dard apna ehsaas dilwa raha tha...

sahara milne ke baad bhi mere face par dikh rahe pain ko dekh us hawaldar ko bhi us mujhpar kaafi taras aa raha tha..

aur ye bhaavna sirf abhi hi nahi jaagi thi balki subah se jab se mujhe JUVENILE CUSTODY ke naam par is cell me bharti kiya gaya tha aur uske baad jo kayi ghanton tak lagatar mujhe kisi rapist ya maas murderer ki tarah maara gaya tha,woh sab dekh kar hi is hawaldar ko behadh taklif hui thi par apne chote ohde ki wajah se woh kuch kar nahi paaya tha...



khair, kisi tarah sahara dete hue woh hawaldar mujhko liye us JUVENILE HOME ke front hall me bane chamber ki taraf badha hi tha ki tabhi....



ARE YOU EVEN LISTENING TO ME INSPECTOR....2005,JUVENILE JUSTICE CARE & PROTECTION ACT KE ACCORDING KISI BACHE KI UMR AGAR 18 SAAL SE KAM HO TOH USSE POLICE REMAND PAR NAHI LE SAKTI AUR RAKH TOH BILKUL NAHI SAKTI..



AND DON'T EVEN DARE TO TRICK ME BY SAYING KI YE EK TEMPORARY JUVENILE HOME HAI KYUNKI YE JAGAH BHI BY LAW "GALATH"....





CHRRRRR....



chamber ke dono darwaze khulne ki wajah se chamber me khade us aadmi ka sentence pura nahi ho paaya aur woh turant palta aur aisa karte hi jab uski nazar door se enter hue hawaldar ka sahara lekar khade mujh half consciousness ladke par padi toh uski aankhein hairani aur ghusse se badi ho gayi aur..





AADMI-is this "SANVEER AHARYA"....





ye bolte hue woh turant meri taraf lapka par jaisi meri maansik haalath thi is waqt,us aadmi ki awaaz theek se suni bhi nahi thi maine ya phir ye kahun ki meri tooti phuti haalath aur dono hi kaano ke piche dikh raha sookh chuka khoon mujhe kuch bhi sunanane ke liye filhal temporarily non compitant kar chuka tha..



mere paas pahunch hawaldar ko side hata us aadmi ne khud mujhko sahara diya aur aisa karne ke baad jab uski ghusse se bhari aankhen saamne chair par baithe inspector ki taraf gayi jo ab bhi ghaagh ki tarah muskura raha tha toh woh kuch bolne ko hua par tabhi..


INSPECTOR-MR ANUPAM GHOSH....mai jaanta hun ki aap kaun hain..yahan ke sabse bade lawyer hain aap...



is JUVENILE HOME ke bahar aapke assistants ki lambi line aapke powerful hone ki baat par bhi bina bole mohor laga rahe hain but the thing is ki aap kuch nahi kar sakte...



jaante hain kyun....???



JAIDEN CHOWDHARY....



muskurate hue bhar ye ek naam hi liya us inspector ne par shayad itna hi kaafi tha...


naam sun ek pal ke liye LAWYER ANUPAM GHOSH ke chehre par shikan aaya but phir sakhti se bhar utha unka bhi face...



BEEP...BEEP...



ANUPAM GHOSH kuch kehte ki tabhi unke mobile ki message tone baji...



"JUST BRING THE CHILD"....



yahi likha tha us messege me jisse padh khudko shaant kiya ANUPAM GHOSH ne aur inspector ki taraf dekh...


ANUPAM-naam toh ek mere paas bhi hai,jisse agar le lun toh tumhari khudko safe samajhne ki galatfehmi abhi ke abhi door ho jaayegi but mai aisa karunga nahi..

sahi waqt aane tak tumhara ye over confidence barkarar rehna zaroori hai...



jahan ye bol half conscious mode me khade mujhko sahara dene ke beech ANUPAM GHOSH wapas moodte hue us chamber se bahar nikal gaya wahin uski baat sun woh inspector bas pehle ki hi tarah ghaagh ki tarah muskurate hue apne revolving chair me baith chuka tha...





NNNNNNNNNNNN.....





15 minute ke car drive ke baad ANUPAM GHOSH ki car ek bade se half opened gate ke saamne ruki jiske baad usne mujhko wapas sahara dete hue car se utara...



is 15 minute ke safar ke dauran mai bas apni aankhen band kiye chup chaap baitha hua tha..



but jab car rooki toh itne waqt me pehli baar naa sirf meri aankhein khuli but saath hi saath mere sthir aur emotion less aankhon me ek halki si hi sahi,khushi dikhne lagi thi..

lekin usse ulat jab ANUPAM ne meri aankhon me khushi dekhi toh uske face par dukh ke bhaav aa chuke the...



ANUPAM jaanta tha meri aankhon me dikh rahi khushi ka reason...



but woh ye bhi jaanta tha ki woh reason,woh khushi ka shroth ab mujhe kabhi nahi milne waala...



khair, jab ANUPAM ka sahara lete hue mai car se utra par tabhi mere kaano me padi gate ke khulne ki awaaz joki ANUPAM ke assistant ne kholi thi par ye awaaz familiar nahi thi isiliye hi meri aankhein jhat se upar uthi aur aisa hote hi jo nazara mere saamne aaya,usse dekh SANVEER ki aankhein badi ho gayi...



"GOD'S ACRE"....



dehradun ka ek maatr catholic GRAVEYARD tha ye jisse dekh dil dhakk sa kar gaya tha mera...



graveyard ko dekh itne waqt me pehli baar meri nazarein turant ANUPAM ki taraf ghumi jiske face me is waqt negetive bhaav the jinhe naa sirf padh gaya tha mai balki agle hi pal mere kadam ladhkhada gaye...

girne laga tha mai par ek baar phir ANUPAM ne sambhala mujhe aur bina kuch kahe meri baanh se mujhe apne saath liye GRAVEYARD ke andar daakhil ho gaya...



DHAKKK...DHAKKKK...DHAAKKKK...



anishichiththa ko bhaampne ke beech tezi se dhadakte dil ke saath meri khamosh zubaan liye aage badh raha tha mai...



pairon ke jodon me multiple fractures the mere but abhi jaise mujhe kuch feel hi nahi ho raha tha...


april ka pehla din tha aaj...garmi ki shuruat ho chuki thi but kaale baadal aur tez hawayein aaj fizaon me kuch aisi ghuli hui thi maano aaj ke din ko manhoos ghoshit kar rahi hon...



aur jaise jaise mere kadam apne us anchaahe manzil ki taraf badh rahe the,waise waise woh tez chalti hawayein apne saath paani ke bauchaaron ko bhi kuch yun tezi se fekne lagi thi maano aisa kar woh mere view ko block karna chah rahi hon taaki jo woh dekhne waala hai,usse waisa karne se rokna chah rahi hon...


khair,in saare odds ke beech mujhe saath liye ANUPAM GRAVEYARD ke ek taraf kaafi aage badh chuka tha but tabhi...



DHAKKKK....



kaampte pairon ke beech ek second ke liye rooka mai par phir ek dhakka sa diya ANUPAM ko maine ne jiske asar se woh piche ki taraf gir gaya..

wahin us ek second ke pause ke baad pairon me multiple fractures hone ke baawjud badi tezi se aage badh chala tha mai aur lambi lambi saans lete hue ek fresh grave ke theek aage pahunch ruka...



HHHHH...HHHHHHH...HHHHHH....HHHHHH.....



meri already tez chal rahi sansein aur tez ho chali thi par jaise hi meri nazar us grave ke piche gade gravestone me likhe naam par padi,woh naam jiske dhundle andeshe ki wajah se hi maine ANUPAM GHOSH ko dhakka diya tha,ab woh dhundla andesha saaf hone ke baad bhi meri ki zindagi ko kaali kar chuka tha...

naa sirf meri tez chalti saansein ek jhatke me mere dil ki dhadkano ke saath tham si gayi par saath hi saath meri aankhein bhi badi hote hote apni aakhri hadh tak pahunchte pahunchte pathra si gayi....


VERONICA PAUL AHARYA....


meri MAA ka naam....

yahi likha tha us gravestone par...

jo condition SANVEER ki RANJANA maam ne police station me dekhi thi,jis psychological disordered attitude ko feel kiya tha,usse dekh samajh gayi thi woh ki agar maine MAA ki laash ko dekha toh kuch aisa ho sakta hai jisse sochna bhi bas me nahi ho sakta tha kisi ke liye...

isiliye hi MAA ka funeral pehle hi karwa diya tha unhone aur mujje sidhe unke gravestone ke paas laaya gaya tha...

bohot se log the is waqt yahan is GOD'S ACRE me par SANVEER ke enter hote hi sabko MA'AM aur baaki authorized logon ne ek distance me clear kar diya tha...

is bheed me mere dost aur fellow mates bhi the...unke parents bhi...

KHANAK,NAISHA,RAJAT,EKPREET,SONU aur NITS...

class ke bohot se bacche bhi saath khade the unke...

aansu toh waise sabhi ke aankhon me the par SONU aur NITS ki condition bohot zyada kharab thi...

hoti bhi kyun naa...jahan baaki sabke liye VERONICA unke dost ki MAA bhar thi wahin un dono ke liye VERONICA unki apni MAA se kam naa thi...

woh toh z security ki tarah chaavni banaye khade security ke protocols nahi hote toh woh dono VERONICA ke grave se chipke baithe hote...

waise grave waala part puri tarah khaali bhi nahi tha...kabr ke side me ghutno ke bal jhuki baithi hui thi safedh suit me ek meri hi umr ki ladki...

filhal uski peeth thi meri taraf...

par saamne aur aas paas le mahoul se mujhe koi matlab tha nahi...

pathrayi aankhon se apni MAA ke naam ko lagatar padhne laga tha mai maano ummid ho mujhe ki padhte padhte achanak se hi woh naam apne aap badal jaayega....


par kuch seconds baad jab meri pathrayi aankhon ke beech panap raha paani chalka toh ye bhram bhi us paani ki tarah mera saath chhodta chala gaya aur...



MAAAAAAAAAAA............





dil ko asaani se cheer de,aisi cheekh nikli mere mooh se....

is cheekh me aisi shiddat thi ki graveyard me moujud har shaksh ka dil ek baar phir meri awaaz ke beech ro pada tha...

chaaron taraf khade BLACK JADED commando jinka focus har baahri khatre par tika tha,meri cheekh ko sun un sabka bejod concentration bhi kuch palon ke liye toot gaya tha...

par mera ye response chand seconds ka hi tha...

us lambi cheekh ke beech kuch hua mere dimag me jiske baad 10 seconds ke andar hi mujhe shaant karna shuru kar diya tha mere brain ne...

pehle ki tarah ek baar phir bas ek tak dekh bhar raha tha mai apni MAA ke kabr ko par is baar dard aur bechaini,dono hi nahi thi mere andar...

ek ajeeb sa thairav tha jisse dekhne waalon ko aisa lagne laga jaise shock me chala gaya hun mai...

DALVEER...

mere kandhe par haath rakhne ke beech aaj 9 saal baad is naam se kisine pukara tha mujhe jisse sun meri thehri aankhein ek pal liye band ho gayi thi...

MAI-YODA...

VEER AHARYA... badi personality waale mere chote dad,mere YODA,as in mere personal JEDI MASTER...jab se bolna aur cheezen samajhna sikha hai joki baaki intelligent bacchon ke mukable bhi 10 guna tez raha hai mera, unke hairat angez fighting skills ko dekha hai maine...

ek aisa fighter jinke mukaabale ka dusra aur kahin milna bohot mushkil tha aur ab toh aur mushkil kyunki jo inhe takkar de sake,woh mitti ke neeche dafan ho chuki thi...

anyways,mera naam lene ke beech mere saamne aakar khade ho gaye YODA... formal funeral ceremony white me bhi unki personality one in a million thi...

a true champ par filhal unki aankhon me ek pure looser dikh raha tha...

apne bhai ke baad aaj apni MAA samaan bhabhi ko naa bacha paane ki taklif aur sharmindagi saaf dikh rahi thi unke face par....

kaafi time se apne aansuon ki baandh roke hue the woh, par mujhe dekh aakhir chhalak hi pade unke aansu...

mujhe apne chowde seene ke beech chippa khud rone lage the woh...

BHAI...

kuch seconds baad jab alag hua mai YODA se toh ek aur jaani pehchaani mere saamne se aayi...

ye wahi ladki thi jo MAA ke kabr ke sirahane baithi thi...

apni sundar par bheegi palkon se dekh rahi thi woh mujhe jispar mai bhi usse ek tak dekhne laga tha...

ro ro kar aankhein soojh chuki thi uski par aansu ab bhi aankhon ko puri tarah ghere bas chhalakne hi waale the...

BHAI MAI...

MAI-9 saal 2 mahine...

3346 din...

mai anjaano ke saath bitaye waqt tak nahi bhulta toh tujhe,apni behen ko kaise bhul sakta hun...

AARNA...

AARNA-MAA...

gaal par haath fera tha maine AARNA ke jispar mujhse lipaththe hue ek baar phirse rulayi phoot padi thi uski...

MAI-SHHHH...koi naa...jo ho gaya,so ho gaya...tere aansu unhe wapas nahi laane waale... sambhal khudko...

chal...YODA...ghar chalenge...

jahan AARNA ko saath lagaye hue hi palath aage badh chuka tha mai wahin meri baatein aur mere shaant face ko dekh ab tak paas aa hamari baat sun chuki RANJANA ma'am ki aankhein apni aakhri hadh tak badi ho chuki thi...

(WRITER'S PERSPECTIVE)



aur ye laazmi bhi tha...jo ladka apni MAA ko ek kharoch tak ko bardaasht nahi kar sakta tha,aaj uski wahi MAA guzar chuki thi jiski khabar bhi SANVY ko abhi abhi lagi thi...live...

uspar aisa reaction... har baar ki tarah us world renowned psychologist ko ek baar phir SANVY ke body language aur attitude ne confused chhod diya tha...

hairat se bhar SANVY ko piche se jaata hua dekh rahi thi woh...

VEER-8 saal ho gaye par ab tak apne toughest psychological subject (SANVEER)ko halka bhi samajh nahi paayi naa tum...!!!

RANJANA-how is this even possible...???

VEER-everything is possible when it's about SANVY... filhal tumhe uski kis baat ne hairat me daala hai...???

RANJANA-SEVEN STAGES OF GRIEF...

pehla stage SHOCK...woh laga tha SANVY ko jab usne pehli baar apni mom ka grave dekha...

phir woh cheekha jisme pain ke saath dusra stage"ANGER" bhi tha...

GRIEF ke ye dono hi stages turant feel hote hain jo usse hue par baaki ke paanch stages...

1-BARGAINING...
2-DEPRESSION...
3-ACCEPTENCE...
4-HOPE...
5-PROCESSING GRIEF...

in paanchon stages ko jeene aur cross karne ke liye mahino lagte hain aur kabhi kabhi toh saalon...

but he...aisa laga jaise kuch palon me hi usne in paanchon stages ka safar tay kar liya...

VEER-ALBERT EINSTEIN ka I.Q nearly 160 tha...but there are people who have surpassed the i.q of Einstein...

starting with you...161...adhara perez-162...jacob barnett,judit polgar-170...evangelos katsioulis-190...rick rosner-192 se 198 ke beech...sho yano-200

and the one with the world record...marilyn vos savant-228...

RANJANA-i know them all...SAVANT se toh mili bhi hun mai...pure genius...but what's the point...!!!???

VEER-jab SANVY ne 7th passout kiya tha,tab tak har saal woh aur bhabhi summer vacations me london jaate the...

specifically...(CANTAB)...

ek baar phir aankhein badi hui thi RANJANA ki aur is baar ka jhatka aur zyada tha...

vacations me jaate the VERONICA aur SANVY...ye toh maalum tha RANJANA ko par sabse chhup london jaate the woh dono,iska zara bhi andaza nahi tha usse...

and that too CANTAB...as in cambridge neuropsychological test automated block...

aisi jagah jahan duniya ke best i.q's check hote the...

RANJANA-what's the I.Q of SANVY...???

VEER-last checked(7th grade)...it was 328...

328...100 more than the world record holder...

maatha hi pakad liya tha apna RANJANA ne par ab us ghumte hue sir me SANVY ke thought process ka ganith kuch hadh tak hi sahi,clear hone laga tha...

I.Q as in intelligence quotient jitna zyada high hota hai,E.Q as in emotional quotient utna hi kam ho jaata hai...

aur SANVY ke saath bhi yahi hua tha par ek khatarnak twist ke saath...

sirf apne kareebi aur pasandida logon ke liye attract aur protective hota tha SANVY par utna hi cold hearted woh baaki sabke liye aur unke liye tha jo usse dhoka ya direct,indirect pain dene ki koshish karte the...

par uske dimag ki sabse khatarnak aur ajeeb khubi thi to process situations and take toughest decisions...

aam aadmi se 1000 times tez SANVY ka dimag situations ko fast forward karte hue sab kuch analysis kar khudko shaant karta tha but more importantly, negetive situations me us haalath ko banane waala saara ganith uska dimag kisi gutthi ki tarah solve karne me lag jaata tha...

VEER-logon me bhavnayen utni hi normal hoti hai jaise ki swaans lena...

par DANVEER ke maamle me aisa kuch nahi tha...pure 7 saal tak kisi programme ki tarah emotions ko uske man me,dimag me feed kiya gaya hai....

dil se woh zaroor human hai par dimag se DANVEER kisi A.I system ka human version hai...

tum ab tak usse isiliye read nahi kar paayi kyunki...

RANJANA-he is a miracle but a curse as well...agar kuch SAHI ho raha ho toh SANVEER normal rehta hai...bahar se bhi aur andar se bhi par agar kuch GALATH ho jaaye toh waise react karega,ye jaanana ya predict nahi kiya jaa sakta...

VEER-true...G.O.D is a big deal...infact biggest deal of this planet...unke saamne bhale hi aaj DANVEER ka kadh bohot chota hai par iske dimag ki unchayi ka koi hadh nahi...

VEER-iska potential jiske baare me isse khud nahi pata,agar andaza hota G.O.D ko toh isse zinda nahi chhodte woh...

unki nazar me ye bhi baaki sabki tarah bas ek pyada bhar hai par nahi jaante woh ki DANVEER woh pyada hai jo RAJA ko maath dene ke kaabil hai...

VEER baat kar hi raha tha ki tabhi yard ke main gate ke paas pahunch chuka SANVY palta unki taraf piche...

kuch kaha nahi usne par ek aisi patthar si sakhti thi uske face par jisse dekh RANJANA aur VEER turant uski taraf aage badh chale the...

DHABBB...

M.P.V ke centre section me baith palte RANJANA aur VEER jahan AARNA ke saath pichli seat par sir piche kiye aankhein band rakh leta hua tha SANVY...

VEER-ghar jaane ki zaroorat nahi hai beta...anything and everything you need,will be picked up from there...

MAI-meri MAA ko kahan maara gaya tha...???

mere sawal ko sun kuch palon tak car me sannata chhaya raha...

meri MAA ke saath koi haadsa nahi hua hai balki unko maara gaya hai,is baat ki aashanka nahi dikhayi thi maine balki statement ke saath sawal pucha tha jispar hamesha confident aur ever ready answer ke saath rehne waali RANJANA ki nazar bhi YODA ki taraf ghum gayi thi...

ghar par...

MAI-toh ghar jaana zaroori hai...unki death ka HATHIYAR ab bhi wahin hoga,i have to have it...

waise bhi,bohot se sawal hai mere...aur jahan mujhe ab tak chuppa kar rakha gaya,chizen khulne ke liye bhi wahan se zyada sahi jagah dusri nahi ho sakti...

gaadi already aage badh chuki thi jiske beech aankhein band kiye bohot hi shaant tarike se baat kar raha tha mai par meri sthir awaaz ne bhi RANJANA ma'am ke dil aur dimag ko asthir kar diya tha...

padh toh woh mujhe pehle bhi nahi paati thi par aaj jo SANVY unke saamne tha,aisa lag raha tha jaise pehli baar mil rahi hon woh mujhse...

ek gazab ki negetive vibe thi jo bas yahi keh rahi thi ki...




jisse hazaron baar padhkar bhi naa samajh paayi,aaj woh aise NAAM KO DEKH RAHI THI...

jo zameen ko dhakega nahi balki usse nigal lega,aise AASMAN KO DEKH RAHI THI...

chehre par sukoon aur shaanti hi nazar aa rahi thi magar unhe...

jo har kisike sukoon-e-shaanti ko tehes nehes kar dega,lag raha tha unhe ki woh aise TOOFAN KO DEKH RAHI THI...










AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Unbelievable update bhai
Yeakin nehi ho raha k ek saal hogaya last update ko. Janta hu kafi muskil paristhi se gujar rahe ho aap. Fir bhi bich bich me aake aap ni takli share ki he aap ne. Jo mujhe bohot achha laga kiu ki dard hamesa aapno se bat te he hum or aap ne hame aapna manahe. Aap bhi koi ger nehi ho aap ko bhi aapna mana he. Hamara rista sirf ek writer or reader ka nehi he bhaio ka he, dosto ka he. Aap ne aapne sukh dukh batke is rishte ko jo respect di he wo sar aankhon par rahega. Dua karta hu aap ke sare dukh dard dur ho aap ki jindegi khusio se bharjaye or hame hamara dost hamar bhai wapas miljaye.
Thank you bhai for the wonderful story
Please keep writing
Waiting for next
 
Top