• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Rajesh

Well-Known Member
3,308
7,871
158
puri kahani pata hai unhe... thrilling situations ko lekar apne input bhi deti rehti hai jisse kisi bhi laayak b.f ki tarah ek kaan se sunkar dusre se nikaal deta hun mai.😁😎
Gazzab ka hunar hai bhai aapme to bhabhi ji kabhi pareshan nahi hoti hai kya aapse
 

The king

Well-Known Member
4,243
15,466
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY JAANBUJH KAR DIMPLE SE SHARTH HAAR JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF CHARVI DIMPLE KA ACCIDENT KARWA DETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-78

DATE-9TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





GUYZZZ,CHILL...

MAMULI CHOTEN HAIN, NOTHING SERIOUS...

AUR COMPETITION ME OUT OF LINE JAANA BOHOT COMMON HOTA HAI...

IT'S PART OF THE PACKAGE...


bohot casually DIMPLE
saamne baithe sabhi doston ko joki uske bandaid elbow ko dekhte hue ghusse aur tention me lag rahe the,unhe cool down kar rahi thi...


NAISHA-tumhe us CHARVI aur PARAG par ghussa nahi aa raha hai...!!!

DIMPLE-apni galtiyon ke liye dusron par ghussa nahi kiya jaata...

balki mile hue lesson ko sikha jaata hai...


CHARVI ne pehle hi mujhe dhamkaya tha par uski warning ko uske race skill ki tarah ordinary maanane ki bhool kar baithi mai...

jabki mujhe alert rehna chahiye tha...kabhi kabhi pyada bhi badi chaalen chal jaata hai,ye bhoolne ke bhul kar baithi thi mai par ab nahi...

chaahun toh un dono loosers ko unki hi bhaasha me bohot ache se samjha sakti hun par usme kya maza...

unki saari planning ka core reason, interschool championship ka woh race jab jeetungi mai toh jo pain unhe feel hoga,that will be my answer...


baat toh sahi kahi thi DIMPLE ne...ye interschool championship ya aisa koi bhi bada event kabhi bhi fair and square nahi khela gaya tha...

har baar jo jeet ka sabse bada hakhdaar hota tha,usse baaki schools ke bande event se pehle hi knockout karne ki hamesha se koshish kiya karte the jinse bachte hue jeetne waale ko hi yahan true champion maana jaata tha...

quote me kahun toh...

"everything is fair in love,war and COMPETITION ka destination tha yahan dehradun ka high octane school life jisme kal CHARVI aur PARAG ne wahi kiya jo jeetne ke liye unhe sahi laga tha"...


NITS-what about SANVY...??? socha hai jab usse pata chalega toh kya hoga...???


NITS ki baat sun ek gehri saans chhodi DIMPLE ne...

SANVY...!!!the guy of his life jisse kal hue incident ko ab tak chhupaye hue thi DIMPLE...

aur is hide and seek game me apne saath saath baaki sabhi friends ko bhi shaamil kar liya tha usne...


DIMPLE-i don't know...!!!jab tak chuppa sakti hun,try karungi chhupane ki aur agar pata chal gaya usse toh any how convince karungi ki let me handle it in my way...


NITS-dusre point ka toh pata nahi par tumhari pehli baat i think GALATH hai...


first floor ke stairs par baithe sab...bas DIMPLE hi thi jo cross hokar side me stair pipe ke sahare khadi hui thi...

saamne par neeche ki direction me dekhte hue kahi thi ye baat NITS ne jisse sun jahan ek taraf uske saath baaki sab khade ho chuke the wahin DIMPLE ki gardan bhi un sabke dekh rahe direction me ghum chuki thi aur aisa hote hi halki hadbada gayi thi woh...

reason...

MAI...

apni right injured pair par kam se kam pressure dene ke liye langdakar chalte hue ANJALI ke saath saamne se chalkar aa raha tha mai...

mujhe dekh DIMPLE aur uske saath mere baaki sabhi friends bhi tezi se sidhiyan utarne lage the...


ANJALI-dont look at me...


blazer se bandhi patti par ragad feel hoti thi isiliye usse utara hua tha DIMPLE ne...

jaise hi saamne aakar ruki NEW GIRL mere toh maine uska wahi zakhmi haath apne haathon mele liya tha...

halke haathon se is patti ko chhu raha tha mai...

is beech NEW GIRL ki nazar ANJALI par gayi jinme dikh rahe sawal ko samajh apne kandhe uchka diya the usne...


DIMPLE-SANVY, doctor ne tumhe complete rest karne ko bola tha...

aise injured state me tumhe yahan...

aage bol nahi paayi thi NEW GIRL...

REASON...


turant mera sir jo abhi tak uski patti ko dekhne ki wajah se neeche the, upar uth gaya tha aur aisa hote hi meri aankhon ko dekhne ke baad kuch bol nahi paayi thi NEW GIRL...

koi ghussa, frustration, negetive ness nahi tha meri aankhon me...

ek anjaana sa khaali expression tha par itna gehra tha ye puzzled reaction ki naa sirf NEW GIRL ki zubaan band ho chuki thi balki ek ajeeb si ghabrahat ne bhi ghar karna shuru kar diya tha uske dil me...

kuch seconds yunhi NEW GIRL ki aankhon me dekhne ke baad uske pair joki SIRIUS ki skirt uniform jisme knees openly dikhte hi hain,unpar lagi pattiyon ki taraf gayi meri nazar aur aisa hote hi apne ek sahi leg ke sahare tip fingers par pressure bana baiththa chala gaya mai...


DIMPLE-no SANVY...us leg ka balance chhuta toh injured leg with pressure neeche rakha jaayega tumhara...

stairs par chalte hain...


NEW GIRL bolti rahi jisse puri tarah nazarandaz kar uske right leg ko utha apne ussi sahi leg ki knee par rakh liya maine...

aisa karne se us leg par pressure aur zyada badh gaya tha aur ye dekh NEW GIRL ke saath baaki sab bhi apna apna concern jatate rahe jinhe mai ignore kar us patti ko dekhta ya phir ye kahun ki mehsoos kar examine karta raha...

kuch der yunhi baithe rehne ke baad wapas khada hua mai...


NITS-nnikaalta hun bhai gaadi...de be chaabi...


uththe hi NITS ko dekha mai aur itna hi kaafi tha...

mere face par is waqt jol thairav tha,woh pehle bhi dekha tha usne..

aaj ki tarah ke scenario me us waqt ANI thi aur culprits the ROHAN and gang...

bina ek shabd kahe jo kohram machaya tha maine us waqt,meri is nazar se woh manzar ghum gaya tha NITS ke dimag me aur yahi wajah thi ki aaj SONU ki jagah NITS ki stammering nika gayi thi...

SONU ke paas thi scooty ki key jisse usse le uske saath parking ki taraf badh gaya tha NITS...

wahin un dono ke jaane ke baad mai bhi bina kuch kahe palath gaya tha jispar meri kalayi turant pakad li thi NEW GIRL ne...


DIMPLE-leave it na SANVY...mai khud deal karna chahti hun un dono se par field ke bahar nahi balki andar...

i wanna beat that bitch...

MAI-aisa hi hoga...par aisa ho,iske liye baat karna zaroori hai...

DIMPLE-tum aur sirf baat...!!!aur waise bhi,baaton se maan jaayen,aise toh hai nahi woh dono...

i am sure ki provoke hi karenge tumhe woh aur agar aisa hua toh...

MAI-kuch nahi karunga unhe...relax...

DIMPLE-promise...!!!

MAI-SANVY'S promise...no physical damage...not even a scratch...

DIMPLE-mai bhi saath chalun...!!!

SAB-yaar hum bhi chalte hain naa...!!!


meri taraf badhne lage the sab par tabhi ghura maine un sabko aur itna kaafi tha unke rukne ke liye...


MAI-ya toh vaada mat maango aur jo maang liya toh phir bharosa karo...


bas itna bol palath limb karte hue aage badh gaya tha mai...

wahin mujhe piche se jaata hua dekhte rahe sab aur jaise hi entrance door ko cross kar gayab hua mai toh...


RASHI-tujhe chot lagi hai aur jisne di hai,unse milne jaa raha hai SANVY...

aur woh sirf baat karega...!!!i don't think so...

EKPREET-SANVY apna promise kabhi nahi todta...

SAM-phir bhi guyz...woh apna area nahi hoga... it's PRINCE jahan jaa raha hai SANVY... enemies territory...

bada panga ho sakta hai...

EKPREET-mujhe nahi lagta... SANVY ka khouf chalta hai dusre schools me....uske saamne aane ki bhi himmat naa honi kisi ki...

SAM-abbe par abhi injured hai woh....aise me baaki koi saamne aaye naa aaye par PARAG aur uske dost toh ghusenge hi...

RAJAT-toh kya karen...???kaaten SANVY ki baat aur jaayen uske saath...

CHARVI aur PARAG ko toh shayad chhod bhi de par hume zaroor pel dega woh...

DIMPLE-saath naa sahi,par uske piche toh jaa hi sakte hain...

KHANAK-SANVY se chhup paayenge...

SAM-SANVY kya bala hai,PRINCE ke zyadatar students jaante hai is baat ko...

usse wahan dekh bheed zaroor hogi uske aas paas...

EKPREET-true...waise bhi SIRIUS ki tarah PRINCE me bhi outer visitors without permission allowed nahi hain...

i think school ke off hone aur CHARVI,PARAG ke nikalne ka SANVY bahar hi wait karega...

RASHI-timing kya hai PRINCE ki...???

SAM-same as here...

KHANAK-matlab 30 minutes bache hain...we should leave...

DIMPLE-we should...gosh SANVY,please kuch GALATH mat kar dena...


SANVEER, PRINCIPAL MA'AM BULA RAHI HAI TUMKO...


abhi entrance door se bahar nikla hi tha mai ki peon joki mujhe hi dhund raha tha,uski baat sun PRINCIPAL'S OFFICE ki taraf badh gaye mere kadam...


SANVY-may i coming ma'am...!!!

PRINCI-yes,come in...


kuch kaam kar rahi thi PRINCI...bina mujhe dekhe hi andar bula liya andar unhone jispar PRINCI'S desk ke dusri taraf ma'am ke saamne jaakar khada ho gaya mai...

aisa hote hi ek final click kar apna lapi side me kiya PRINCI ne aur...


PRINCI-how is your leg...???

MAI-recovering ma'am...

PRINCI-good...maine suna hai ki is baar sports meet me participate kar rahe ho tum...!!!


ek smile ke saath pucha tha ye sawal PRINCI ne jispar kuch kaha nahi maine, bas unki hi tarah muskura diya...

PRINCI-how is DIMPLE...???

MAI-chehre ka expression jolly se serious me badal gaya tha mera...

MAI-she is fine...

PRINCI-i hope ki sports meet tak completely recovery ho jaayegi uski...

MAI-i think she will participate ma'am...!!!

PRINCI-good to hear...ghar chhod dun...

achanak hi sawalon ke dour ko naya rukh de diya tha PRINCI ne...

MAI-thanks but i am good ma'am...waise bhi abhi ghar nahi jaa raha mai...

PRINCI-let me guess...32 curzon road,opp,gandhi shatabdi eye hospital, backyard block of pari mehel...

PRINCE SCHOOL AND COLLEGE...

that's your destination...

naa mere jaa rahe pate ka pata batate waqt chehre par koi expression aaya tha PRINCI ke aur naahi unhe sun shock hua tha mai...

meri har important chiz ki khabar rakhna,aakhir ye bhi toh ek kaam hi tha unka...

MAI-jee...

PRINCI-jaane se rokungi nahi mai tumhe...par bas do baaton ka dhyan rakhna...

first,is school ka repo...

second and the most important...

MAI-"dil hai toh badi SAHI cheez par kaam ye aksar GALATH karwa deti hai"...

beta hun mai unka...naa unhe bhula hun mai aur naa unki di hui kisi bhi seekh ko...

PRINCI-good...

MAI-par is seekh ke saath mujhme ek problem hai ma'am...

faisla mera dil le ya phir dimag,manzil par toh hamesha SAHI hi pahunchata hai par wahan pahunchne ke liye jo raasta chunta hai,usse GALATH kuch nahi hota...


jahan PRINCI ki nasihat puri kar uske baad apni baat rakh unke office se nikal chuka tha mai wahin meri us baat ke matlab ko kamsekam aadha toh samajh hi gayi thi PRINCI...

PRINCI-SANEEL...tumhare bete me hamesha tumhe dekha hai maine par kabhi kabhi apni saaf shaksiyat ko bhi dhundla bana dene ka hunar jaanta hai ye ladka...

pata nahi,SAHI karne ke chakkar me aaj kya GALATH karne waala hai ye...





PLACE-PRINCE




TRRRRRR...

SONU-sschool off ho ggaya...


PRINCE school division ke bade se wall fence ke start me thi 1st se 5th class tak ki building aur isiliye hi jab last period khatm hone ki bel baji toh premises ke dusri taraf bane bade se bargad ke pedh ke baaju me baithe hum teeno ko bhi pata chal chuka tha...


SONU-yaar SANVY ye zzaroori hai kkya...!!!???

NITS-bhai sidhe sidhe pel dete hain naa PARAG ko...bolega toh gender ka bhi lihaaz nahi karunga mai,us CHARVI ko bhi lapeth lunga par...

MAI-ghar nikal lo tum dono par agar ek baar bhi aur bakwas ki naa toh peet jaaoge mere se dono...

jo baat boli thi maine NITS ko,usse sun uske saath saath SONU ko bhi mere thought process par yakeen nahi ho raha tha par jo seriousness mere face par dikh rahi thi,usss itna toh samajh hi gaye the dono ki jo bola tha maine,woh karna hi tha unhe...

isiliye hathiyar daalne ke lihaaz se ek ek lambi saans chhod apne kandhe jhuka liye the dono ne...

SONU-ppar kkaise bhai...??? matlab wwoh ddekh,wahan wwoh...

MAI-SHAMBHU BHAI...KYA HAAL CHAAL...


jahan SONU ki baat beech me hi kaat school ke entrance gate ke just bahar khade ek guard ko awaaz dete hue haath uthayi maine jispar woh bhi haath uthane ke baad meri taraf badh chala tha wahin ye sab dekh rahe SONU aur NITS ki aankhein badi ho gayi thi...


NITS-behenchod...tu kabse PRINCE ke guard ko jaanane laga be...???

MAI-jabse yahan ke tucche students mere school me ghus meri G.F ko dhamkane lage...

SHAMBHU-aur chote bhai...kaise ho...!!!???

MAI-badhiya,aap sunao...ragda nahi dikh raha aaj haathon me...

SHAMBHU-kahan bhai...???do din ho gaye khatm hue...

aur jabse tumne DHATURA waali woh jungli tambakhu chakhayi hai,ye local chhap saale pure mitti lagne lage hain...

MAI-ye toh pehle hi bataya tha na maine...

SHAMBHU-bohot dukaano me pucha bhai par saala kisi ke paas nahi mila...

MAI-rishikesh aur uske aage ganga ghaat ke paas waale jungalon ke jadi dhature se banta hai woh tambakhu...

aise hi dukaano me nahi milta...

SHAMBHU-tabhi saala...bhai,kya aur...


uske aage bolne se pehle hi apni jeb se nikaal ek badi pudiya aage kar di maine jiske andar chamak rahe gehre hare rang ke churn ko dekh aankhein chamak uthi thi SHAMBHU ki...


wahin ye sab dekh rahe NITS aur SONU ki aankhen badi ho gayi thi par jaise hi maine dekha dono ko,meri nazar samajh turant palath gaye dono...


MAI-arre tum kahan chale...???


mere haathon se pudiya le mujhe thanks bolte hue palatne laga tha SHAMBHU...

SHAMBHU-abhi duty time hai bhai...

MAI-arre waqt hai abhi...do dino ki talab hai,ek baar daba lo...sukoon aa jaayega toh duty karne me bhi maza aayega...

SHAMBHU-baat toh sahi bol rahe ho bhai...


us pudiya ko khol andar rakhe tambakhu ko apne index aur thumb finger ke beech pakad bahar nikala SHAMBHU ne aur usse apne hatheli par ragadne ke baad apne daaton aur masoodon ke beech daba liya usne...

aisa karte hi tambakhu ka ras uske mooh se hote hue uske dimag ko jhanjhana chuka tha aur SHAMBHU...

param aanand lete hue aakhein band ho chuki thi uski...


ABBE SHAMBHU...!!!WAHAN KYA KAR RAHA HAI...!!!CHAL JALDI KAR,LATE HO RAHE HAIN...

SHAMBHU-haan,aaya... thanks bhai...milta hun...


ye school ke bus ka driver tha jiski awaaz sun apne ghumte sir ko jhatakte hue thoda bohot hosh me aaya SHAMBHU...

par aankhein nashe ki wajah se 11 ka 12 dikha rahi thi usse jispar halka ladkhadane ke baad khud ki chaal ko sahi rakh bus ki taraf badh gaya SHAMBHU...

bus aage badh chuki thi aur aisa hote hi uske dusri taraf khade SONU aur NITS ko dekhne ke baad mai wahin pedh ke ird gird bane chabutare par school gate ki taraf dekhte hue baith gaya...


TOH TUM HO SANVEER...!!!


apni G.F CHARVI ko apni bike ke back seat par baitha school ke gate se bahar nikla hi tha PARAG ki saamne ped ke neeche mujhe baithe dekh sudden brakes lag gayi thi uski...

mujhe dekh gand toh fati hi thi uski aur ussi fati gaand se aaye expressions ke saath CHARVI ko meri taraf ishara kiya tha usne jispar mujhe ghurte hue mere saamne khadi ho gayi thi woh...


MAI-piche palat kar apne b.f ke fati padi shakal dekh leti toh mujhse mera naam confirm nahi karna padta tujhe...


mere jawab ko sun jahan ek taraf PARAG hadbada gaya tha wahin CHARVI ke shakal par ghussa saaf dikhne laga tha...


CHARVI-maanana padega...dum toh hai tere me...suna hai pair toot gaya hai tera...

aisi haalath me bhi hamare school ke saamne baitha hai aur phir bhi akad...


MAI-jo jagah dekh kar dikhayi jaaye woh akad nahi hoti...

aur is toote pair ke saath bhi kya kya tod sakta hun mai, imagine nahi kar sakti tu...

CHARVI-waise todne jodne se yaad aaya...g.f kaisi hai teri...???theek toh hai naa...chot zyada toh nahi lagi...???

nahi lagi hogi... impact minimum rahe,plan aisa hi banaya tha maine...

par agli baar ka impact bhi itna rahega, i can't be sure of that...

race mai hi jeetungi chaahe iske liye kuch bhi kyun na karna pade mujhe...

bura mat maanana yaar,i know G.F hai teri par woh quote toh suna hi hoga tune naa, everything is fare in love,war and COMPETITION...


saari duniya ki kaminigi apne muskurahat me samet taunt kiya tha CHARVI ne jisse sun mai toh shaant hi raha par uske piche khade PARAG ko lagne laga tha ki ab toh pakka sankunga mai...

waise dar ab usse itna zyada nahi lag raha tha kyunki ek toh mai injured tha aur dusri baat hamari convo ke dauran upske paas 3 aur bande aakar khade ho chuke the jo is waqt mujhe badi khunnas ke saath ghur rahe the...

aur woh 3 hi kya,mujhe PRINCE me bohot se log pehchaante the...kisse mashoor the mere yahan aur yahi wajah thi ki meri moujudgi ki khabar bohot se kaano me pahunch chuki thi jiske baad bheed ikattha hone lagi thi hamare ird gird...

khair,kuch seconds tak shant rehne ke baad apni gardan ki halki jumbish dete hue khada hua mai aur CHARVI ke theek saamne jaakar khada ho gaya...

ye dekh PARAG aur uske teeno dost bhi mere ird gird circle bana chuke the...


MAI-teri us harkat se bohot inspired hua hun mai...

CHARVI-kaunsi...???teri g.f ko jo hurt kiya maine,woh...!!!

MAI-ofcourse...i mean,tune bina chhue usse hurt kar diya...that's really impressive...

CHARVI-ye naya laaya tune...apni g.f ko chot pahunchane waali se impress ho raha hai tu...

kya baby,tumne aur baaki sabne toh iske naam ki bekaar hawa banayi hui hai...

SANVEER ye hai, woh hai...usse bhidna apne hi pair par axe maarne jaisa hai aur pata nahi kya kya...

isse toh kya,iske doston ko bhi kuch mat karna warna chhodta nahi SANVY...

ye bhi bolte the naa tum sab par dekho,iski G.F ko injure kiya hai maine aur ye...

MAI-impress hua hun tumse...

true that... aur itna impress hua ki tumhare tarike ko ek step upar le jaa chuka hun mai...

tumne bina chhue physical pain diya meri G.F ko...mai bhi tum dono ko bina chhue pain dunga...

par physical nahi...


meri baat ka matlab naa CHARVI ko samajh aaya aur naa PARAG ko...

confused faces ke saath mujhe dekh rahe the dono...


MAI-samjhata hun,samjhata hun...

CHARVI MEHTA... daughter of ANURAG and PREETI MEHTA...

CHARVI-oh i see...mere parents ko complaint karne waale ho tum...hahaha...so childish...kar lo, kar lo...

MAI-abbe teri jaisi chaman ladki ko paida kiya hai,itna toh andaza hoga hi tere parents ko,pata hai mujhe...

aur ye bhi pata hai ki CHARVI naam ki galti ke asar ko kam karne ke liye ek aur aulaad paida ki unhone...

ADARSH MEHTA... your cute lovable small brother...

yahin class 3 me padhta hai naa woh...


mere mooh se apne chote bhai jispar jaam chidhakti thi CHARVI,uska naam sun face hadh se zyada serious ho gaya tha uska...


CHARVI-keep my brother out of this...agar tune...

MAI-aww...itni fikr...parwah itni hai toh school apne saath laana aur le jaana chahiye naa...

school bus se bhejne ka kya matlab...waise abhi jo school nikli,ussi me aata jaata hai na tumhara brother...

zara pata toh karo,chaddha toh hai naa tumhara bhai usme...

shayad yaad na ho tumhe,bus attendent ka number mai deta hun...

9*********.karo dial...


meri puri baaton ke dauran bohot se negetive expressions aa jaa rahe the CHARVI aur uske saath khade PARAG ke face par...

aur jab bus attendent ka naam bataya maine,toh dar,ghussa aur surprise...

teeno hi expressions ke mile jule bhaav ek saath naache the CHARVI ke face par jiske baad turant apna mobile nikal bus attendent ko call laga chuki thi woh par jab baat kar kuch seconds ke baad phone rakha usne toh phone jeb me daal a chhod niche hi patak diya tha usne...


CHARVI-kamine...kahan hai mera bhai...!!!

DHKKKK...BHAKKK...BHAKKK...AHHHH...


mere collar ko pakadne ke intention se chillate hue meri taraf badhi thi CHARVI par apne ek behter leg se halka left ki taraf ho gaya tha mai...

aisa hote hi disbalance hokar aage ki tarah ladkhadate hue gir gayi CHARVI...

wahin CHARVI ke peeche peeche PARAG aur mere dono taraf khade uske teeno dost bhi bade the mere taraf par tabhi...

apne right ki taraf 2 ladkon me se ek ke peth me punch maara maine aur jaise hi jhuka woh toh usse uski gardan se pakad saamne PARAG ki taraf zor se jhatka diya maine...

jahan ek taraf uska sir PARAG ke peth se takraya wahin jab us lounde ka sharir PARAG aur mere beech me tha toh apne right haath ko uski peeth par pressure dete hue hawa me ucchal chuka tha mai...

agle hi pal mera left foot second bande ke mooh par padh chuka tha par ye single hit nahi tha...

tez swing hua tha mai aur isiliye us second bande ko hit karne me baad bhi mera rotation ruka nahi aur mai ghumta chala gaya...

par is beech first bande ka sir PARAG ke peth me lag chuka tha jiski wajah se woh bhi kara bharte hue neeche jhuk gaya...

thik tabhi mera left uske upar se nikalte hue dusri taraf khade third bande ke thobde ko hit kar gaya...

jahan ek taraf second aur phir third banda apne apne chokte par laath khaa ghumte hue neeche gir chuke the,dusri taraf first banda aur PARAG guthham guthayi hone lage the wahin teesi taraf pura 360 degree ghumne ke baad mai wapas apne ussi left sahi salamat pair ke sahare neeche land hua tha.

itni tezi se hua tha ye sab ki CHARVI joki sabse pehle ladkhadate hue aage nikli thi,jab piche palti woh toh apne B.F aur teeno friends ko zameen me pada dekh aankhein badi ho gayi thi uski...

jitni bhi baatein suni thi usne mere baare,unpar yakin hone laga tha usse...

khair, mooh par jin do ladkon ke laath padi thi meri aur pehla banda jiske peth par punch maara tha maine, woh toh girne ke baad uthne ki haalath me nahi bache the lekin PARAG jisse apne vaade ke mukabikh maarna toh door directly chhua bhi nahi tha maine, woh girne ke baad utha zaroor par ab usme mujhse bhidne ki himmat nahi bachi thi...

chupchap khada ho gaya tha woh...aur ye saara scene live dekh rahe PRINCE ke students...

woh sab toh bas aankhen faade kabhi mujhe toh kabhi neeche gire ladkon ko dekh rahe the...


MAI-so where were we...???haan, tumhara chotu sa bhai,ADARSH...

kitna soft skin hai yaar uska... waise skin toh meri G.F ki bhi kaafi soft hai par hai toh woh ek athelete hi... upar se gymnast bhi hai woh...

practices me hazaron baar alag alag tarah ki chot khaakar unhe sehen karne ki ab toh aadat si ho gayi hai usse par tumhara woh chota sa bhai...

jitni chot meri G.F ko aayi,agar waisa hi kuch usse bhi hit ho toh kitna royega naa woh...

just imagine,usse uske elbow joint ki taraf se neeche patka jaaye toh ek burst me hi buri bhanh chhil jaani hai uski...

aur jab apna khoon dekh dard ke maare zor zor se ro raha hoga woh toh usse ussi condition me utha uske knees ko lock kar usse straight neeche patka jaaye...

tutututu...bechare ke toh soft soft katore hi crush ho jaayenge...nahi...

ho sakta hai sir bhi takra jaaye zameen se...mar bhi sakta hai baccha...nahi...


jitne cruel tarike se boli thi maine ye baat aur bolte waqt jis tarah ka haivaniyat dikh raha tha mere face par usne CHARVI ke aankhon ke aage meri kahi har baat ko jeevant sa kar diya tha...

mere khayal ko apne andar sach sa feel kiya tha usne aur yahi wajah thi ki ghutne kamzor hote chale gaye the uske...


CHARVI-please SANVEER...mere bhai ko kuch mat karna...maasum hai woh...

mere aage haath jod behte ashkon ke beech gidgidaane lagi thi CHARVI...

MAI-hey,this is not cool yaar...apni hi baat se ab palath rahi bai tu...kuch der pehle khud hi kaha tha naa tune ki everything is fair in love,war and COMPETITION...right PARAG...

PARAG-please,chhod de iske bhai ko...

MAI-gidgidana apni G.F se sikh le tu...


meri baat ka matlab samajh CHARVI ki taraf dekha usne jiski aankhon me ek ilteja saaf dikhne lagi thi aur isiliye dheere dheere apne ghutno par aa gaya PARAG...

apne school ke champs the dono par itne saare familiar students ke beech yun ghutno me aana, sharmnaak tha unke liye...

upar se bohot saare students is scene ko live record kar rahe the aur isiliye CHARVI aur PARAG ka sir sharm se jhuk gaya tha...


"mai bhi tum dono ko bina chhue pain dunga...

par physical nahi"...


meri is baat ka matlab ab samajh ne aaya tha dono ke...


DID'S...YE KNEE DOWN KYUN BAITHE HO AAP...!!!TEACHER ME YAHAN PUNISH KIYA HAI KYA AAPKO...???


haathon me icecream liye ek chota sa baccha tha ye jiski awaaz sun ek jhatke se sir upar hua tha CHARVI ka...

CHARVI-ADI...


apne chote bhai ko apne saamne dekh uska naam zor se pukaarne ke beech usse zor se gale laga subakne lagi thi CHARVI...


CHARVI-kahan tha tu...???

ADARSH-yahi paas ke icecream shop me tha...bus me jaa raha tha mai ki tabhi ye dono bhaiya mile mujhe...

inhone bola ki aap mera icecream shop par wait kar rahe ho toh mai inke saath chala gaya...

pata hai didi,in bhaiya ne mujhe sunday flavour me icecream khilayi aur in bhaiya ne feast le ke di...


NITS aur SONU ka baare me bola tha ADARSH ne...yahi kaam karne ke liye toh bola tha maine dono ko aur bacche ko yun use karne me jhijhak rahe the woh...

ADARSH ki baat sunane ke baad ek baar phirse zor ka hug kar liya tha usse CHARVI ne...


MAI-sirf lesson mat samajhna...agli baar baar jab bhi everything is fair in love, war and COMPETITION waale khayal dimag me aaye toh yaad rakhna,aaj jo theory me bataya,next time uska practical dikhaunga mai...


ek baar CHARVI aur phir PARAG ko joki meri warning me saaf pata chal rahe intention ko mehsoos kar dare sehme se the, dekh limb karte hue aage badh gaya...


KYA WAKAYI...!!!???


mere piche se aayi thi ye awaaz jisse sun ek smile naach uthi thi mere face par...

NEW GIRL thi ye jo mere baaki doston ke saath shuru se bhidh ka hissa ban sab kuch dekh rahi thi...

aur jo kiya tha maine,usse dekh sabki tarah woh bhi shock me thi...

khair,uski awaaz par piche palath gaya mai jispar baaki sabke saath mere saamne pahunch rook gayi woh...


DIMPLE-kya wakayi us bacche ke saath GALATH kar dete tum...???

MAI-tumhe kya lagta hai...???

DIMPLE-mujhe lagta hai ki jis SANVY ko mai pehchaanti hun woh kisi innocent aur khaaskar kisi bacche ke saath kuch GALATH nahi kar sakta...

MAI-phir tumne sirf jaana hai mujhe, pehchaana nahi...

SAHI ke liye mujhse zyada koi SAHI nahi par GALATH ke liye mujhsa GALATH bhi duja koi nahi...

see you in my house...


scooty le aaya tha NITS jispar SONU ke piche baith aage nikal gaya tha mai...

wahin mujhe jaate dekhte hue meri aakhir me kahi baat hi gunj rahi thi NEW GIRL ke kaano me aur dimag...

usne naye adhar banane shuru kar diye the...


DIMPLE'S MIND:-



soch ke ghode us hadh tak doudata hai ye jab tak dimag thak kar JAM NAA JAAYE...


haath tab tak maarte hain iske jab tak woh khoon se pure SAN NAA JAAYE...

samjhu bhi toh kaise samjhu mai is ajoobe ko ki...!!!???


har kisse ko tab tak ghumata hai ye jab tak ki woh iski pasand ki kahani BAN NAA JAAYE...








AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai waiting for next update
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,579
18,876
188
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NITS PRELIMS ME A+ GRADES SE PAAS HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF CHARVI DIMPLE KO SPORTS MEET ME 400 METRES RACE KO OPT OUT KARNE KE LIYE WARN KARTI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-77

DATE-8TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE




DIMPLE...!!!TU TOH EK GHANTE KE BAAD AANE WAALI THI NAA...!!!


mere ghar me enter hue hi the mere group ke saare members ki tabhi saamne kitchen ke open window se andar nazar padi sabki jahan NEW GIRL khadi thi...


DIMPLE-making something for all of us...pehle bata deti toh help karne tum sab dhamak padte,phir surprise kaise rehta...!!!

RASHI-aww...that's so sweet of you are...

NITS-kya baat hai aunty...!!!nayi cook rakh li aapne...

MAA-hahaha...woh bhi free,and i hope ki ye free service lifetime rahegi...


room se bahar aa rahi MAA se jo kaha NITS ne,uske jawab me MAA ki baat sun mai joki sofe par baith mobile par kuch scroll raha tha,smile ke saath normal hi raha par NEW GIRL ke gaal laal ho gaye the...


EKPREET-kaisa b.f hai be tu...!!! teri G.F udhar kitchen me kaam kar rahi hai aur uski help karna chhod tu yahan mobile me ghusa hua hai...

MAI-dost bhi aisa hi hun mai...tum sab aaye hue ho,par tum sabki sadhi shaklen dekhne ke bajaye mobile me hi ghusa rahunga mai...

KHANAK-how mean SANVY...

ANJALI-nopes..real mean is this...

MAI-hey...


mere piche aa mera phone chhin liya tha ANI ne...


MAI-wapas kar mera phone...

ANI-nahi karti... kya kar lega bata...!!!


ANI ko daboch liya tha maine par phone apne peth me rakh jhuk gayi thi woh taaki phone chhin naa paaun mai usse...


MAI-fine...


kuch pal apna phone lene ki koshish karne ke baad wapas sofe par baith gaya tha mai aur ye dekh thodi surprised ho gayi thi ANI...


ANI-kya baat hai...???tni jaldi give up...thats not like you...!!!

MAI-2 minute ke andar,tu khud degi mujhe mera mobile...

ANJALI-acha...mai toh nahi de rahi...

NITS-lagi 100 ki...ANJALI 5 minute me phone degi wapas...

RAJAT se kahi thi ye baat NITS ne jispar...

RAJAT-acha...chal lagi...ANJALI,sharth lagi hai... dekh hara mat diyo...

ANJALI-fikar not...kuch bhi kar le ye,phone toh naa de rahi mai wapas...

MAI-we will see...

RASHI-waise 30 seconds already guzar chuke hain...

MAI-matlab 270 seconds abhi bhi baaki hain...


aur tab tak ke liye,i have a different mode of entertainment...


ANI-aur woh kya hai...???hey,woh toh,tera mobile toh mere paas....shit,that's my mobile...


mere haath me mobile dekh chownki thi ANI par agle hi pal samajh gayi woh ki usse dabochne ke dauran uske jeans ki back pocket se uska mobile nikaal liya tha maine...


MAI-guys tum logon ko pata hai,ANI apne day to day life ki har important baat ko note down karti hai...

RASHI-really...!!!like a dairy...

MAI-yup,par woh aisa apne phone me karti hai...issi phone ke note pad par...

dekhna hain,kya kya raaz chuppa rakhe hain ANI ne apne note pad ke darmiyan...

ANJALI-i get it...toh mujhe blackmail karkar phone wapas lene ka socha hai tune...

koi faayda nahi beta, my phone is password protected aur mera current password mujhse koi relatable nahi ha jo tu guess lar lega...

MAI-babes i never guess...i love to b sure...

jaise i am sure ki teri jo bachpan se.aadat thi,har din english ki new paanch words apne language vocab me daal unhe use karne ki,woh ab bhi hai...

aur ho naa ho,unhi words me se ek ko apna password banaya hai tune...

meri baat sun ek pal ke liye shock hui thi ANI par phir normal kar liya tha usne khudko...

ANJALI-kuch bhi naa...par chal ek pal ke liye maan bhi liya agar ki you are right,than also naa toh us word ki randomness kam hoti hai aur naa tujhe yunhi millions of english words me se woh ek particular random word click ho sakta hai...

MAI-tu mujhe yakin dila rahi hai yaa khudko...

anyways, thanks for the english notes haan...

ANJALI-ab ye baat kahan se ghusi beech me...

MAI-beech me nahi last me...

ANJALI-matlab...!!!

MAI-last ki baat hai...last me hi bataunga...

RASHI-last minute...

MAI-arre waah,ek aur last... chalo phir bache time me ye batao,

sthir buddhi ko english me kya kehte hain...!!!

SAM-steady mind...

MAI-bola re topper... anything else...!!!

RASHI-substanstial brain...

KHANAK-smooth conscious...

NAISHA-durable visualization...

MAI-saare ke saare two words defination...any single word answer...

SAM-single word...!!!no idea...

SAB-same...

MAI-E...Q...U...A...N...I...M...I...T...Y...

EQUANIMITY...


word ki spelling bolne ke dauran ANI ke password dashes par type karne ke baad uske screen ko ghuma diya tha maine joki ab unlocked tha...

ANJALI-what the fuck...!!!tujhe kaise...!!!how...???

MAI-pehle teri dairy padh lun aur sabko suna dun,phir batata hun...

ANI-no SANVY...phone de mera...i said phone de mera...

MAI-aise kaise...???you know the deal babes...

ANJALI-fine...le apna phone...

NITS-nikaal be 100...


5 minute ho chuke tha par aisa hone se just pehle do chizen hui...

yahan ANJALI ne meri taraf mera phone feka aur wahan sir shake karte hue RAJAT ne apna batwa nikaal 100 ki patti NITS ke haathon me thama di...


SONU-chutiya...ssaamne SANVY ttha aur pphir bbhi sshart llaga baitha tu...

RAJAT-abbe mujhe kya maalum tha ki aisa bhayanak password bhi usse pata ho sakta hai...!!!

NITS-yahi toh baat hai beta...agar ghode ki race me kisi langde ghode ka jockey bhi ho na SANVY toh bindaas uspar bet laga dene ka...

haarna saale ko aata nahi aur jeet isse koi sakta nahi...

ANJALI-how...!!!

bas itna hi puch saki thi ANI jisse sun bas halka sa muskuraya mai aur...

MAI-wahi,tere english notes...uske page par 5 words likhe the...

wahi 5 new words per day waale words the naa woh...

meri baat sun kuch pal khudke dimag ko reverse mode par lekar gayi ANI aur phir...

ANI-haan...last week hi likhe the maine par hang on...pencil se likhe the maine woh words taaki baad me mita sakun mai aur mita bhi diye the...

phir tune...!!!

MAI-pura bola kar...sharp pencil edge se likhe the tune woh words jinhe mitaane ke baad bhi unke imprints reh gaye the wahan...

ANJALI-reh gaye honge par itne clear toh ho nahi sakte ki saaf saaf samajh aa rahe hon...

MAI-samajh bhale naa aaye par feel zaroor jo rahe the...

ANJALI-kya...???

MAI-braille reading...

ANI ki baat kaat jo do words bole maine,usse sun aage bolte bolte chup ho gayi ANI...

samajh jo gayi thi woh ki kaise un words ko samjha hoga maine...

RASHI-braille reading matlab...!!!

ANJALI-method jisse andhe log padh paate hain...by touching...

is kamine ko bada shouk tha us method ko sikhne ka and he perfected it... actually, perfection se bhi ek step aage le gaya ye us method ko...

koi bhi writing,chaahe woh kisi bhi form me ho,agar iske haath woh letters feel kar saken toh he can understand every bit of what's written...

SONU-ppehle bbohot bbaar letters kko allag alag ttarah se godh kkar isse ssharth lagakar un ssab wwords ko aankhein bband kkar pehchaanane kke lliye bolte tthe hhum...

NITS-aur har baar haarte the... isiliye toh bola maine ki is kamine se sharth lagana matlab haarna...

DIMPLE-i doubt that...aaj bet haarne waala hai tumhara friend...


juggler handle baar ko jisse hall ke show case me rakhti thi MAA, nikaalte hue mere paas se ye bol nikli thi NEW GIRL jispar mai bas sir shake karte hue wapas apne phone me ghus chuka tha...

SAM-haarne waala hai...!!!matlab...???

MAA-matlab in dono me shart lagi hai...breakfast me ek dish bana rahi hai DIMPLE jisse chakh kar usme use hone waale saare ingredients ki detailing deni hai SANVY ko...

NAISHA-interesting...maza aayega phir toh...

KHANAK-mujhe toh pata hi nahi tha ki DIMPLE cooking me bhi interest rakhti hai...

waise kya bana rahi ho...??

DIMPLE-bas ek minute...ho gaya bas...khud hi dekh liyo...

ANJALI-hang on... paanch words the... specifically
aur tere password waala word hi hoga,how did you know that...???


itni der se man me chal raha sawal finally puch hi liya tha ANI ne...

MAI-waah..itni der tak sochne ke baad pucha bhi toh itna bewakufana sawal...

bhale hi paanch words the par dumbo,yaad nahi hai tujhe ki sirf ye word, EQUANIMITY tune back to back paanch baar likha tha...

isiliye i was sure ki password wahi hoga...

ANJALI-stupid...

memorize karne ke liye lagataar EQUANIMITY shabd khud hi likhe the ANI ne aur ye baat yaad aate hi mujhe nahi balki khudko hi dheere se bewakuf bola tha ANI ne...

RASHI-UMMMHHH...WHATS THAT SMELL...!!!

ANJALI-PAN CAKES... awesome yaar...

ANI ke favourite the pancakes...

chaahe woh flapjacks hon,french crepes ho, russian blinis,irish boxty,e.t.c....

har tarah ke pancakes try kar chuki thi ANI and she has in love with all of them...

yahi wajah thi ki jaise hi NEW GIRL jiske haathon me is waat ek bada se black tray tha aur jinke upar bulk me pancakes saje hue the,usse halfway me hi le liya tha ANI ne...

MAA-arre arre...araam se ANI... pancakes ke liye abhi tak bachpana nahi gaya hai iska...

MAA ki baat sun ke bhi ansuna karne ke beech tray ke side me saji plates aur forks me se ek ek uthane ke baad uspar chocolate syrup dipped ek pancake ko turant daal liya tha ANI ne jiske baad fork se ek bada bite piece alag kiya usne aur agle hi pal...

ANJALI-UMMMMHHHH...heaven.... awesome yaar DIMPLE... simply wow...

jahan ek taraf tezi se mooh chalaane me beech NEW GIRL ki taarif kar rahi thi ANI wahin dusri taraf uski saari harkatein dekh hum sab has diye the...

MAI-araam se thoos re bhukmarri...cake gale me atak watak gaya tha nigalne se pehle hi nikal legi...

ANJALI-tune nahi banaye hain jo hard rehkar gale me fas jaayenge...

it's so spongy and soft...MOM ke saath states gayi thi last year mai...

newyork me ek renowned restaurant hai,johny's luncheonette...wahan jo pancakes milte hain,unke level ka bana hai ye pancake...truely awesome yaar DIMPLE...

RASHI-really...!!! waise kaun sa flavour hai ye...!!!

ANJALI ke mooh se pancake ki itni bhaari taarif sun sabhi turant dining table par baith chuke the...

DIMPLE-peanut butter and jelly...

SAM-nice...wakayi ache bane honge toh aadhe mai hi khatm kar dunga...

SAM aur baaki sabki tarah mai bhi plate nikaal usme ek pancake daalne laga tha ki tabhi mere us haath me maar khud hi mujhe serve karne lagi thi NEW GIRL...

aur piche se hamare paas aa rahi MAA ke face par ye dekh kar smile aa gayi thi...

MAI-ummhhhhh....damn,its gooo...

good pura nikal hi nahi paaya tha mere mooh se...

REASON...

mujhe pan cake ka first bite lete dekh sabki nazar mujhpar jo tik gayi thi...

DIMPLE aur mere beech ki sharth ka climax scene jo aa chuka tha...

samajh gaya tha mai ye isiliye pan cake ka woh bite lene ke baad usse chew karte hue usme mile saare ingredients ko feel karne me lag gaya tha mai...

NAISHA-so,ready...!!!

MAI-waah re...chaay se zyada toh idhar ketli garam ho rakhi hai...

jisne sharth lagayi hai, woh chilled baithi hai par tum sab bade excited ho rakhe ho...

RASHI-kya karen...tujhe haarte dekhne ka maza hi kuch aur hoga naa...!!!


RASHI ki baat ka samarthan bina bole hi baaki sabke faces me dikh rahi thi aur NEW GIRL...

woh bhi ab halke excitement aur nervousness ke saath mujhe dekh rahi thi...


MAI-alright then...so to start with...

1-all purpose flour...

2-halka sa namak aur shakkar...

3-baking soda...

4-skimmed milk...

5-natural peanut butter

6-ande...atleast 10 minutes steered... spongyness ussi ki wajah se hai...

7-melted butter...

8-cooking spray...

9-strawberry jam and heated chocolate syrup...

DIMPLE-and... that's it...!!!

MAI-haan aur kya...!!!

DIMPLE-yes...i won...

RASHI-really...!!!


khud mujhe ek baar haarte hue dekhna chahti thi RASHI par ab jab aisa ho chuka tha toh usse yakin hi nahi ho raha tha...

RASHI hi kya,kisiko bhi believe nahi ho raha tha ki mai bet haar gaya hun...


SAM-waise aur kitne ingredients milaye the...???

DIMPLE-sirf ek...par woh kya hai,ye nahi bata sakti mai...that's my secret recipe...sorry guys...

par haan, confirm karne ke liye aunty hain...you can ask her...

ye aakhri baat baaki sabse nahi, balki mujhse boli thi NEW GIRL ne...

afterall, sharth mujhse hi toh lagayi thi unhone...

MAI-no need...i accept my defeat...

RAJAT-waise bet ke rewards kya rakhe the tum dono ne...!!!

DIMPLE-SANVY ki sharth thi ki agar ye jeeta toh he will come to school joki ab jab tak ye thik nahi bo jaata, possible nahi hai...

NAISHA-and your reward joki ab toh milna hi hai tumhe...

NAISHA ke sawal par halki si hadbada gayi thi NEW GIRL aur reason thi MAA joki har din ki tarah aaj bhi paas hi me rakhe fuldaan me mongre ke ful rakh rahi thi...

MAI-a date night...

NEW GIRL ka reward sun MAA ne bina hamare taraf hi dekhe smile kiya aur kitchen ki taraf ghum gayi...

DIMPLE-tum bhi naa...MAA ne sun liya...

MAI-unhe pehle se hi pata tha...!!!

DIMPLE-what...!!!

SAM-yaar tu bhi naa...date nahi bhi bhala koo reward hota hai...woh toh har G.F ka hakh hota hai...

MAI-aisa...pata nahi tha bhai...chal koi naa...next g.f ke time yaad rakhunga...

DIMPLE-kya bola tumne...!!!???

aakhein badi kar ghurne lagi thi mujhe NEW GIRL jispar usse wink kar pancake khaane me laga raha mai...

RASHI-tu chill hi reh DIMPLE...tere se better nahi milne waali isse...

MAI-milti toh bhi nahi chahiye mujhe...

fork me ek tukda cake ka insert kar NEW GIRL ki taraf kar diya maine jispar uska mujhe ghurna smile me badal gaya tha...

bite lene ke beech mujhe dekhte hue mere paas hi baith gayi thi NEW GIRL...

alag se plate nahi li usne...mere hi plate se khaane lagi thi woh...

KHANAK-arre yaar..aunty ka nashta...!!!

ANJALI-MAA morning me meetha nahi khaati aur waise bhi unka nashta 9 se pehle ho jaata hai...

nahi kiya hota unhone nashta toh ye langoor yun chilled out hoke idhar baitha thoostha thodi naa...

ANI ki baat sunanane ke baad bhi sabka mooh chala tha par bolne ke liye balki pancakes thoosne ke liye...

wakayi tasty pancakes banaye the NEW GIRL ne jiska saboot tha thodi der baad tanha pada woh bada sa tray jispar kuch der pehle tak pancakes ka chota mountain sa bana hua tha...

NITS-aahh...bhai swad aa gaya yaar...

NAISHA-true that.. warna itni heavy quantity me sweet khaane ke baad mooh ka taste ajeeb sa ho jaata hai par aisa kuch bhi nahi lag raha...

RAJAT-peth bhar gaya hai par man nahi bhara...

DIMPLE-baitho phir thodi der...aur pancakes bana deti hun...

SAM-arre nahi yaar...already peth full hai aur abhi practice bhi karni hai...

RASHI-sunday ko bhi...yaar ek din ka break toh banta hai naa...

SAM-aur koi time hota toh ek kya,do din ka break bhi matter nahi karta par sports meet sir par hai...

abhi har din important hai...

SAM ki baat ke baad kisi ke paas kuch bhi kehne ke liye nahi bacha tha...

MAA ko bye karne ke baad sabhi ek saath nikal gaye the...

bachi thi bas NEW GIRL jo saare khaane ke plates ko sink me daalne ke liye sametne hi lagi thi ki tabhi MAA pahunch gayi thi uske paas...

DIMPLE-aap rehne dijiye aunty...mai kar lungi...

MAA-bilkul kar logi beta par karogi nahi...pehle hi pancakes ke chakkar me aaj ka morning practice schedule delay ho chuka hai tumhara...

DIMPLE-its ok aunty...ek hi schedule ki toh baat hai...it's not that a big deal...


DIMPLE ki baat sun halki si hasi MAA aur...


MAA-i know you are a born champ beta par yaad rakhna...


"consistency is the last refuge of the unimaginative"...

NEW GIRL ke sir par haath ferte hue wapas kitchen ki taraf badh chuki thi MAA par unki baat ne NEW ko apne compliancy yaad dila di thi...

DIMPLE-got to go...

mujhse kahi thi ye baat NEW GIRL ne jispar smile karte hue khada hua mai...

DIMPLE-tumhe naa, bas khade hone ka bahana chahiye... injured leg par pressure nahi daalna hai,baar baar kaise bhul jaate ho tum...

MAI-kabhi khudko hamari nazar se dekho...is chehre ko dekhne baad kuch aur yaad kaise reh jaata hai, sawal ye ho jaana hai phir...

meri baat sun blush aur happiness,dono hi expressions ek saath dikhne lage the NEW GIRL ke face par...

DIMPLE-jhalla...

i am leaving aunty...bye...

MAA-bye beta...


MAA ko bye bol ek baar mujhe dekh palath gayi thi NEW GIRL aur mai bhi apne right leg par minimum pressure dete hue uske piche ho liya tha...

DIMPLE-waise date par tumhara leg thik hone ke baad hi jaayenge hum...

MAI-sure...

DIMPLE-waise agar chaaho toh aunty se us secret ingredient ke baare me puch sakte ho...

main gate ke paas pahunch chuke the hum jiske baad ek baar phir jaise meri haar yaad dila mujhe chidhane lagi thi NEW GIRL...

wahin uski baat sun halki smile naach uthi thi mere face par...

MAI- juggler handle final batter ke liye use kar rahi thi naa tum...!!!

DIMPLE-haan...kyun...???

MAI-try WHISK next time...batter bhi zyada smooth hoga aur...

apne secret ingredient ke liye chocolate syrup ke neeche jo DATE PALM JAGGERY (khajur ka gurh)use kiya tha tumne,uska mixture bhi aur ache se bind ho jaayega...

bye...

jahan bye bolne ke baad ruka nahi mai aur NEW GIRL ko bas ek smile de palath kar nikal gaya wahin mere mooh se apne secret ingredient ka naam sun mooh khul gaya tha NEW girl ka...

usse zara si bhi ummid nahi thi ki mujhe uske date palm jaggery ke baare me pata hoga...

aur jab pata tha usse toh sabke saamne bataya kyun nahi usne...

WHY...???

khudse hi pucha tha ye sawal DIMPLE ne par jawab toh usse pehle se hi pata tha...

"mujhe sabke saamne haarte hue nahi dekh sakta tha woh"...

aakhein aur dil...dono me hi mere liye beintehan pyar ke jazbaat liye SANVY ko piche se jaate hue dekh rahi thi DIMPLE...

kuch seconds SANVY ko jaata hua dekhne ke baad apne liv avail advanced Pro 1(international brand)bicycle jisme woh daily 10 kms ki tez biking karti thi aur jispar hi woh aaj yahan SANVY ke ghar aayi thi,uspar baith head gear laga aage badh gayi DIMPLE...





PLACE-H.M.C.A STADIUM




DAMN....ITNA SWEAT...ANDAR PASEENE KA SHOWER LE RAHI THI KYA TU...!!!


chadhi hui dhowkni si chal rahi saanson ke beech apne 400 metres ke back to back 5 laps pura karne ke baad wapas apni bike par baith stadium ke bahar aayi thi jDIMPLE jahan RASHI aur KHANAK uska wait kar rahe the...

bahar isiliye kyunki H.M.C.A stadium ek private stadium tha jisme yaa toh government approved sports people ya phir highly influenced log hi enter kar sakte the aur DIMPLE in dono hi catagories me aati thi...

SANVY ke ghar se har roz ki tarah akele practice karne yahin aati thi DIMPLE par aaj uska KHANAK aur RASHI ke saath shopping ka plan tha...

KHANAK aur RASHI ko toh usual girly stuffs lene the aur DIMPLE ko kuch sports accesories...

khair,milna toh teeno ko hi DIMPLE ke ghar ke ghar me tha par unhe DIMPLE ne apne H.M.C.A me practice ka bata diya tha aur kyunki ghar KHANAK aur RASHI dono ka is stadium ke aas paas hi tha toh woh yahin chali aayi thi par stadium se bahar paseene se bheegi DIMPLE ko dekh dono ki hi aankhen badi ho gayi thi...


DIMPLE-practice se sweat toh hoga hi...pura din free hi hai isiliye thode extra rounds maar liye aaj...

ghar chalen, shower le lun phir nikalte hain...


KHANAK-cool...

DIMPLE-waise kaise aayi ho tum dono...!!!

RASHI-iski scooty...woh udhar cafe ke paas park hi hai...

tu nikal pehle, sink me pahunch jaayenge...

DIMPLE-wanna bet...
saath hi chalte hain,dekhen kaun pehle pahunchta hai...

apni B.M.X ke low handle ko sehlate hue kahi thi ye baat DIMPLE ne joki kahin se bhi GALATH nahi thi...

kyunki ek toh DIMPLE waise bhi kaafi tez chalati thi B.M.X aur dusri,uski cycle kahin se bhi KHANAK ki scooty se kam nahi thi...

1 lakh 50 hazar indian rupees keemat ki ye international branded B.M.X jisse kisi gun ki tarah assemble karke chalaya jaata tha,naa sirf KHANAK ke scooty se mehngi thi balki iska friction aur gear modulation itna zyada sahi tha ki agar koi sahi banda isse ride kare toh bike ki tarah bhaagti thi ye B.M.X...


RASHI-rehne de maate...tune aaj SANVY ko sharth me haraya hai phir aise me hum chiz kya hain...

jahan DIMPLE ko haath jodte hue kahi thi ye baat RASHI ne wahin uski baat sun DIMPLE ka hasta hua chehra SANVY ke face ko yaad kar kho sa gaya...

aaj pehli baar haara bhi woh banda toh woh bhi isiliye nahi kyunki saamne waali better thi balki isiliye kyunki woh uski better thi...

khudki jeet ko SANVY ne apni haar me zaroor badal liya tha par aisa kar usne aaj DIMPLE ka dil ek baar phirse jeet liya tha...


KHANAK-oye kahan kho gayi tu...chalen...

DIMPLE-haan...chalo...

apni soch me goom DIMPLE ko pata hi nahi chala ki kab KHANAK apni scooty uske paas la chuki thi...

khair,udhar KHANAK ne apni scooty aage badha di aur uske saath saath DIMPLE ne bhi apni B.M.X ka paddle chala diya tha...

aur agle hi pal scooty ki speed ko match karte hue DIMPLE bhi aage badhne lagi thi...

waise aage ka raasta kuch zyada hi steep tha isiliye B.M.X ki speed aur tez hone waali thi...

par aisa kiya nahi DIMPLE ne kyunki slope me bhi log controlled vehicle ride aur drive karen isiliye har thodi door me breakers bane hue the...

us breakers ki wajah se KHANAK ne toh apni scooty halki dheemi hi rakhi hui thi lekin DIMPLE ne aisa nahi kiya...

seat se halka sa uth kisi professional ROULEUR (CYCLIST)ki tarah B.M.X ke agle tyre ko halka sa jump karwa kar us breaker ka half part cross kar liya tha DIMPLE ne par tabhi...


DHADHHH...AHHHHH...

KHANAK/RASHI-DIMPLE...!!!


B.M.X ka pichla chakka jaise hi breaker se takraya toh cycle ka pichla assembled part joki ek main bolt se juda hua hota hai,woh nikal gaya...

nateeja,B.M.X beech se do alag alag parts me divide hokar bikhar sa gaya aur DIMPLE...

woh neeche gir gayi...

aur kyunki slope hone ke saath saath road concreted bhi tha isiliye naa sirf aage ki taraf girne ke beech DIMPLE ki body roll over hone lagi thi balki aisa hone kw kaaran uski knee aur elbow halke chilla bhi gaye the...

woh toh acha hua ki DIMPLE ne head gear pehna hua tha warna girne ka impact uske sir par bhi hua tha jispar us gear ki wajah se impact nahi pada...

anyways,apni scooty beech road me hi stand kar KHANAK aur RASHI doudte hue DIMPLE ki taraf bhaage the...

aur bhi log the aas paas jo uski taraf badh chuke the...


RASHI-DIMPLE...tu theek toh hai naa...!!!

DIMPLE-ya,i am good...

KHANAK-shit,tere elbow aur knee se blood aa raha hai...

DIMPLE-haan par cut deep nahi hai...

RASHI-ye kaisi B.M.X hai yaar teri... ek breaker tak nahi jhel paayi...

DIMPLE-breaker...!!! heavy stones ko bhi araam se cross kar jaati hai ye par pata nahi kaise...!!!

VROOM,VROOM,VROOOOOMMMM...

ARRE ARRE ARRE....YE KYA HO GAYA...ZYADA TOH NAHI LAG GAYI...DHYAN RAKHA KARO BABES...


PARAG ke saath uski bike ke back seat par baithi CHARVI thi ye jisse yun saamne except nahi kiya tha teeno hi girls ne...

bina kuch kahe usse ghoor rahi thi teeno...

wahin kuch seconds DIMPLE ko dekh smile karne ke baad...


CHARVI-chot par paseena aur pain de raha hoga naa...kya matlab aise 5 laps waali non-stop running practice ka jo apne hi sharir ko yun nuksaan de de...

CHARVI ki baat sun RASHI aur KHANAK ke reactions me toh koi zyada fark nahi aaya tha par DIMPLE...!!!

uski aankhein badi ho chuki thi...

5 laps waali non-stop running practice...!!!CHARVI ko bhala kaise maalum pada ki kitne laps doudi thi woh...

sawal koi mushkil tha nahi isiliye DIMPLE ke dimag ne agle hi pal usse jawab de diya tha...

CHARVI bhi ek merit sports person thi... upar se woh bhi ek infuencial family se belong karti thi toh aise me uska H.M.C.A stadium me enter hona koi badi baat nahi thi...

aur naahi enter karne ke baad parking spot par DIMPLE ki B.M.X ke assembled parts ka core region,woh seat ke neeche ka nut dheela karna mushkil tha uske liye...

apne is planned accident ka reason samajh ghussa chadh aaya tha DIMPLE ke face par jiske baad woh uthne ko hui par knee par lage chot ki wajah se ye process thoda painful aur slow tha...

wahin dusri taraf DIMPLE ke reaction ko dekh samajh gayi thi CHARVI ki woh truth samajh gayi hai isiliye apne B.F ke kandhe par haath rakha usne jiske baad PARAG ne dheere se bike aage badha di thi par uske aisa karne ke dauran CHARVI apni aakhri baat ya phir ye kahun ki dhamki dene se baaz nahi aayi thi...


CHARVI-ab bhi waqt hai,maan jaa meri baat warna...




tera naseeb jo abhi jaaga hua hai,dheere dheere SO JAAYEGA...


filhal toh ye chot maamuli hai,aadha toh isse paani hi DHO JAAYEGA...

kadam jo aage badha rahi hai, piche kar le nahi toh...

zakhm filhaal toh maamuli hai par aage ye GEHRA HO JAAYEGA...









AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
fantastic update bhai
 
Top