• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Hateli Lovestory ;) (complete)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,708
47,500
304
Update 43



Sab kuch sahi chal raha tha par sab sahi chale ke kismat ko kaha manjur hota hai (aur yaha inki kismet likhne wala apun hai :evillaugh: ) hame jo chahiye wo hame na mile ye to niyati ka pasandida khel hai aur har love story puri hoti hai aisa bhi nahi hai..

Aniket aur komal ekdusre ke pyaar me puri tarah se dube huye the, komal aur narayanrao ki permission leke aniket yash se milne chala gaya aur uski shadi ki bhi puri planning ki aur yash ki bhi shadi ho gayi usse hi jisse wo pyaar karta tha, samay pankh laga ke ud raha tha aur dekhte hi dekhte din hafte mahine nikal gaye..

Aniket jitna chatur tha utna hi niragas bhi tha, maja masti se paripurn tha, jaise wo kai logo ko pasand tha waise hi wo kayi logo ki aankho me khatak ta bhi tha, aniket ke to apni taraf se aaj tak sabse dosti hi kit hi par kuch mahan log aise bhi the jo use apna dushman maante the aur in sab se aniket puri taraf se bekhabar tha…

Ek din komal ko mil kar wapis aate samay aniket ek nirjan jagah par ruka uska phone baj raha tha aur wo phone uthane ke liye usne gadi roki aur itne me hi achanak uske sar par ek fatka pada aur uski aankho ke saamne andhera cha gaya..

Najane kitne samay baad use hosh aaya, wo ek nirjan room me band tha, uske sar par maar itne jor se laga tha kea b bhi uska sar thanak raha tha par ye sab uske kuch samajh nahi aa raha tha ke kya ho raha hai.. uske dono path pair rassio se bandhe huye the aur muh par bhi kapd bandha hua tha, pura hosh aate hi aniket chatpatane laga par use bahut kas ke banda gaya tha, wo apni puri jaan laga ke chillane ki koshish kar raha tha par muh me kapda fasa hone ki wajah se nas ‘uu..uuu’ ki awaj ke alawa koi awaj baahar nahi nikal rahi thi, aniket ne khud ko chudane ki bharpur koshish ki par sab vyarth, wo jitna khud ko chudane ki koshish karta utna wo rassi ki gath aur bhi pakki ho rahi thi, bahut koshish karne ke baad aniket thak gaya aur waise hi jamin par pada raha

Sar par jaha maar laga tha wo hissa to dukh hi raha tha sath hii uska sar ye soch ke jyada dukh raha tha ke ye sab aakhir chal kya raha hai? Kaun kar raha hai ye? Aur kyu kar raha hai? Soch soch ke uska sar fatne ko aaya tha, aniket ke man me ab bahut bure khayal aane lage the, apne sath kuch ho gaya to maa bapu ka kya hoga?, komal ka kya hoga? In bato ke bas khayal se hi aniket ke pasine chutne lage, aniket ab pura ghabra gaya tha aur uski aankho se aansu behne lage the par unhe dekhne ke liye waha koi nahi tha, aisi haalat me bahut samay nikal gaya aura b aniket normal ho gaya tha, usne apne aap ko samjhaya ki ye waqt bhavuk hone ka nahi hai balki paristithi ka saamna karne ka hai…

Aniket ne apne aas paas najar ghumayi, wo ek bhayan andheri room thi, sab taraf dhul ka samrajya pasra hua tha, sab taraf makdi ke jale latak rahe the, diware kali pad chuki thi, sara tuta futa saaman waha idhar udhar pada hua tha, wo ek purana godown ya koi band padi huyi factory thi aisa aniket ko andaja aaya, bhayanak shanti thi waha. Kisi bhi insaan ki koi nishani nahi thi waha beech beech me kabutar aur chmgadar ka awaj aa raha tha

Aniket shanti se hare k awaj sunne ki koshish kar raha tha, uske dhyan me aa gaya tha ke use jaha rakha gaya hai uske paas hi kahi samundar tha, wo sochne laga ke uske gaon ke paas to kahi bhi samundar nahi hai samundar to uske gaon se 120km dur hai, aniket ko ashcharya hua ke wo waha pahucha kaise aur use pata bhi nahi chala, sharir par ke kapde dekh ke lag raha tha ke wo kuch ghante nahi balki kayi dino se behosh tha, wo waise hi pade pade sochne laga ki akhir hua kya hoga

Kuch samay baad use bhuk lagi to usne idhar udhar najar ghumayi to uske dhyan me aaya ke waha ek table par ek plate me ek pav rakha hua hai aur ek pani ki bottle aur ek straw bhi hai

Udhar ghar par aniket raat bhar aaya nahi tha to ghar walo ne koi tension nahi liya tha kyuki iska is tarah raat bhar gayab rehna gharwalo ke liye kuch naya nahi tha par jab aniket ka phone nahi lag raha tha to komal ne ghar phone kiya to gharwalo ko chinta hone lagi, aniket ka kahi koi pata nahi lag raha tha, kaushalya aur komal ro ke behal the aur akhir me avinash aur narayanrao police me complaint likhane gaye, har jagah aniket ko dhundha lekin kisi ko kuch pata nahi tha kisi ne use nahi dekha tha, uski aakhri mulakat komal se huyi thi par uske baad use kisi ne nahi dekha tha, yash se bhi puch ke dekha gaya par use bhi aniket ke bare me kuch pata nahi tha, aur usme kehar yani aniket ki bike bajar me ek jagah par mili par uska kahi pata nahi chal raha tha

Idhar aniket ko bhuk lagi thi aur khane ko jo rakha tha wo thoda dur tha, wo jaise taise renge huye sarakte huye is khane ki plate tak pahuch to gaya tha par khayega kaise muh par to kapda bandha hua tha, ab wo kuch nahi kar sakta tha wo waise hi jamin par pada raha,

Aniket sochne laga ki kisi ne use kidnap kiya hai aur ab uske pita se paise ki demand karenge, use yakin tha ke uske pitaji use jarur chhuda lenge….

Akkha din aise hi nikal gaya, sham ko aniket ko kisi baat karne ka awaj sunai diya koi to kisi par gussa kar raha tha

“arey murkh aadmi, tujhe kaha tha sirf behosh karna aur tune ye kya kar diya? Wo mar gaya hai ke jinda hai hai wo?

“nahi malik jinda hai wo saas chal rahi hai uski”

“arey par aise maarte hai kya ?”

“malik jyada jor se maarta to uska sar fat jata na, fir bhi maine use dawa laga di hai aur uska khun aana bhi band ho gaya hai”

“aisa kya ? fir do din ho gaye hai use ab tak hosh kyu nahi aaya use”

“malik aaj subah hi hosh aaya hai use”

“kaise, hamme se koi bhi dinbhar aaj yaha nahi tha fir tune kab dekha ?”

“abhi aane ke baad dekha, wo sarakte sarakte huye pani ke paas gaya tha aur mujhe batao malik aapko badla hi lena hai to hath pair tod dalo ya fir sidha khatam kar do use yaha kyu rakha hai”

“meri to icha hai use maar daalne ki par usse pehle use pata chalna chahiye ki use kyu aur kisne mara hai, papa ne warning di hai ki jab tak wo khud yaha nahi aate tab tak koi kuch nahi karega aur teko pata hai jo bhi unki baat nahi manta uska haal iske jaisa hi hota hai”

“malik tab tak wo jinda rehna chahiye na”

“bandh ke rakha hai aise kaise marega”

“malik bhukha hai wo, khayega kaise muh me to kapda thusa hua hai”

“ha ye bhi hai, ek kaam kar uske khane tak muh khol de uska aur jarurat pade to tu khila de par hath mat kholna, bahut danger hai wo”

Fir wo aadmi aniket ko khana khilane ke liye ander aaya….




To Be Continued….
 
Last edited:
9,380
39,528
218
यहां हम टेंशन में थे कि तलवारें चलेगी , बंदुकें तनेगी , शायद कुछ लोग मारे भी जायेंगे पर यहां तो कोई और ही ड्रामा फिक्स था ।
बच्चों को नहीं लगा पर गार्डियन को लग गया था कि दोनों बच्चे इश्क के गिरफ्त में हैं ।
पर ' हटेली स्टोरी ' कहां है ? क्या इससे भी कुछ ट्विस्ट है ? क्या इन दोनों की शादी में भी कुछ अनहोनी होनी वाली है ? क्या कुछ ऐसा होने वाला है जिसका एक्सपेक्टेशन किसी ने नहीं किया था ?

इंतजार है नेक्स्ट अपडेट का । बहुत ही बेहतरीन अपडेट आदि भाई ।
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,708
47,500
304
यहां हम टेंशन में थे कि तलवारें चलेगी , बंदुकें तनेगी , शायद कुछ लोग मारे भी जायेंगे पर यहां तो कोई और ही ड्रामा फिक्स था ।
बच्चों को नहीं लगा पर गार्डियन को लग गया था कि दोनों बच्चे इश्क के गिरफ्त में हैं ।
narayanrao hai stud launde sab malum hai usko :D
पर ' हटेली स्टोरी ' कहां है ? क्या इससे भी कुछ ट्विस्ट है ? क्या इन दोनों की शादी में भी कुछ अनहोनी होनी वाली है ? क्या कुछ ऐसा होने वाला है जिसका एक्सपेक्टेशन किसी ने नहीं किया था ?
ab tak jo hua hai kam hatela tha kya :D waise aage aage dekhiye hota hai kya
इंतजार है नेक्स्ट अपडेट का । बहुत ही बेहतरीन अपडेट आदि भाई ।
next update post kar diya hai ssanju bhai
bahut bahut shukriya :thanks:
 

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
Update 43



Sab kuch sahi chal raha tha par sab sahi chale ke kismat ko kaha manjur hota hai (aur yaha inki kismet likhne wala apun hai :evillaugh: ) hame jo chahiye wo hame na mile ye to niyati ka pasandida khel hai aur har love story puri hoti hai aisa bhi nahi hai..

Aniket aur komal ekdusre ke pyaar me puri tarah se dube huye the, komal aur narayanrao ki permission leke aniket yash se milne chala gaya aur uski shadi ki bhi puri planning ki aur yash ki bhi shadi ho gayi usse hi jisse wo pyaar karta tha, samay pankh laga ke ud raha tha aur dekhte hi dekhte din hafte mahine nikal gaye..

Aniket jitna chatur tha utna hi niragas bhi tha, maja masti se paripurn tha, jaise wo kai logo ko pasand tha waise hi wo kayi logo ki aankho me khatak ta bhi tha, aniket ke to apni taraf se aaj tak sabse dosti hi kit hi par kuch mahan log aise bhi the jo use apna dushman maante the aur in sab se aniket puri taraf se bekhabar tha…

Ek din komal ko mil kar wapis aate samay aniket ek nirjan jagah par ruka uska phone baj raha tha aur wo phone uthane ke liye usne gadi roki aur itne me hi achanak uske sar par ek fatka pada aur uski aankho ke saamne andhera cha gaya..

Najane kitne samay baad use hosh aaya, wo ek nirjan room me band tha, uske sar par maar itne jor se laga tha kea b bhi uska sar thanak raha tha par ye sab uske kuch samajh nahi aa raha tha ke kya ho raha hai.. uske dono path pair rassio se bandhe huye the aur muh par bhi kapd bandha hua tha, pura hosh aate hi aniket chatpatane laga par use bahut kas ke banda gaya tha, wo apni puri jaan laga ke chillane ki koshish kar raha tha par muh me kapda fasa hone ki wajah se nas ‘uu..uuu’ ki awaj ke alawa koi awaj baahar nahi nikal rahi thi, aniket ne khud ko chudane ki bharpur koshish ki par sab vyarth, wo jitna khud ko chudane ki koshish karta utna wo rassi ki gath aur bhi pakki ho rahi thi, bahut koshish karne ke baad aniket thak gaya aur waise hi jamin par pada raha

Sar par jaha maar laga tha wo hissa to dukh hi raha tha sath hii uska sar ye soch ke jyada dukh raha tha ke ye sab aakhir chal kya raha hai? Kaun kar raha hai ye? Aur kyu kar raha hai? Soch soch ke uska sar fatne ko aaya tha, aniket ke man me ab bahut bure khayal aane lage the, apne sath kuch ho gaya to maa bapu ka kya hoga?, komal ka kya hoga? In bato ke bas khayal se hi aniket ke pasine chutne lage, aniket ab pura ghabra gaya tha aur uski aankho se aansu behne lage the par unhe dekhne ke liye waha koi nahi tha, aisi haalat me bahut samay nikal gaya aura b aniket normal ho gaya tha, usne apne aap ko samjhaya ki ye waqt bhavuk hone ka nahi hai balki paristithi ka saamna karne ka hai…

Aniket ne apne aas paas najar ghumayi, wo ek bhayan andheri room thi, sab taraf dhul ka samrajya pasra hua tha, sab taraf makdi ke jale latak rahe the, diware kali pad chuki thi, sara tuta futa saaman waha idhar udhar pada hua tha, wo ek purana godown ya koi band padi huyi factory thi aisa aniket ko andaja aaya, bhayanak shanti thi waha. Kisi bhi insaan ki koi nishani nahi thi waha beech beech me kabutar aur chmgadar ka awaj aa raha tha

Aniket shanti se hare k awaj sunne ki koshish kar raha tha, uske dhyan me aa gaya tha ke use jaha rakha gaya hai uske paas hi kahi samundar tha, wo sochne laga ke uske gaon ke paas to kahi bhi samundar nahi hai samundar to uske gaon se 120km dur hai, aniket ko ashcharya hua ke wo waha pahucha kaise aur use pata bhi nahi chala, sharir par ke kapde dekh ke lag raha tha ke wo kuch ghante nahi balki kayi dino se behosh tha, wo waise hi pade pade sochne laga ki akhir hua kya hoga

Kuch samay baad use bhuk lagi to usne idhar udhar najar ghumayi to uske dhyan me aaya ke waha ek table par ek plate me ek pav rakha hua hai aur ek pani ki bottle aur ek straw bhi hai

Udhar ghar par aniket raat bhar aaya nahi tha to ghar walo ne koi tension nahi liya tha kyuki iska is tarah raat bhar gayab rehna gharwalo ke liye kuch naya nahi tha par jab aniket ka phone nahi lag raha tha to komal ne ghar phone kiya to gharwalo ko chinta hone lagi, aniket ka kahi koi pata nahi lag raha tha, kaushalya aur komal ro ke behal the aur akhir me avinash aur narayanrao police me complaint likhane gaye, har jagah aniket ko dhundha lekin kisi ko kuch pata nahi tha kisi ne use nahi dekha tha, uski aakhri mulakat komal se huyi thi par uske baad use kisi ne nahi dekha tha, yash se bhi puch ke dekha gaya par use bhi aniket ke bare me kuch pata nahi tha, aur usme kehar yani aniket ki bike bajar me ek jagah par mili par uska kahi pata nahi chal raha tha

Idhar aniket ko bhuk lagi thi aur khane ko jo rakha tha wo thoda dur tha, wo jaise taise renge huye sarakte huye is khane ki plate tak pahuch to gaya tha par khayega kaise muh par to kapda bandha hua tha, ab wo kuch nahi kar sakta tha wo waise hi jamin par pada raha,

Aniket sochne laga ki kisi ne use kidnap kiya hai aur ab uske pita se paise ki demand karenge, use yakin tha ke uske pitaji use jarur chhuda lenge….

Akkha din aise hi nikal gaya, sham ko aniket ko kisi baat karne ka awaj sunai diya koi to kisi par gussa kar raha tha

“arey murkh aadmi, tujhe kaha tha sirf behosh karna aur tune ye kya kar diya? Wo mar gaya hai ke jinda hai hai wo?

“nahi malik jinda hai wo saas chal rahi hai uski”

“arey par aise maarte hai kya ?”

“malik jyada jor se maarta to uska sar fat jata na, fir bhi maine use dawa laga di hai aur uska khun aana bhi band ho gaya hai”

“aisa kya ? fir do din ho gaye hai use ab tak hosh kyu nahi aaya use”

“malik aaj subah hi hosh aaya hai use”

“kaise, hamme se koi bhi dinbhar aaj yaha nahi tha fir tune kab dekha ?”

“abhi aane ke baad dekha, wo sarakte sarakte huye pani ke paas gaya tha aur mujhe batao malik aapko badla hi lena hai to hath pair tod dalo ya fir sidha khatam kar do use yaha kyu rakha hai”

“meri to icha hai use maar daalne ki par usse pehle use pata chalna chahiye ki use kyu aur kisne mara hai, papya ne warning di hai ki jab tak wo khud yaha nahi aata tab tak koi kuch nahi karega aur teko pata hai job hi uski baat nahi manta uska haal iske jaisa hi hota hai”

“malik tab tak wo jinda rehna chahiye na”

“bandh ke rakha hai aise kaise marega”

“malik bhukha hai wo, khayega kaise muh me to kapda thusa hua hai”

“ha ye bhi hai, ek kaam kar uske khane tak muh khol de uska aur jarurat pade to tu khila de par hath mat kholna, bahut danger hai wo”

Fir wo aadmi aniket ko khana khilane ke liye ander aaya….




To Be Continued….
awesome update
 
9,380
39,528
218
ट्विस्ट आ ही गया । पर ये अनिकेत के किडनैपिंग और उसे जान से मारने के मंशा के साथ आया ।
मुझे तो समझ में नहीं आ रहा है कि ऐसा कौन दुश्मन पैदा हो गया अनिकेत का जो उसके जान का प्यासा हो । कहीं कोमल का कोई चाहने वाला तो नहीं है ?


कहानी बहुत ही बढ़िया है पर उससे भी बढ़िया आपका ज्ञान और आपका कई भाषाओं पर पकड़ है । मराठी , साऊथ इंडियन लेंग्वेज , हिंदी , इंग्लिश । इतने लेंग्वेज पर पकड़ ! इसी बहाने हम भी कुछ सीख रहे हैं ।
लिखने की कला के बारे में क्या कहूं ! बहुत ही बढ़िया । आप आगे चलकर बहुत ही बेहतरीन राइटर सिद्ध होंगे ।
लेकिन इसका भी एक वसूल है - रीडिंग , रीडिंग , रीडिंग एंड राइटिंग , राइटिंग , राइटिंग ।
जितना पढ़ोगे और जितना लिखोगे , वही आपको एक कामयाब राइटर बनायेगा ।

एक बार फिर से आपको इस बेहतरीन अपडेट के लिए बधाई ।
 

Mr. Nobody

Active Member
1,517
5,268
143
Update 43



Sab kuch sahi chal raha tha par sab sahi chale ke kismat ko kaha manjur hota hai (aur yaha inki kismet likhne wala apun hai :evillaugh: ) hame jo chahiye wo hame na mile ye to niyati ka pasandida khel hai aur har love story puri hoti hai aisa bhi nahi hai..

Aniket aur komal ekdusre ke pyaar me puri tarah se dube huye the, komal aur narayanrao ki permission leke aniket yash se milne chala gaya aur uski shadi ki bhi puri planning ki aur yash ki bhi shadi ho gayi usse hi jisse wo pyaar karta tha, samay pankh laga ke ud raha tha aur dekhte hi dekhte din hafte mahine nikal gaye..

Aniket jitna chatur tha utna hi niragas bhi tha, maja masti se paripurn tha, jaise wo kai logo ko pasand tha waise hi wo kayi logo ki aankho me khatak ta bhi tha, aniket ke to apni taraf se aaj tak sabse dosti hi kit hi par kuch mahan log aise bhi the jo use apna dushman maante the aur in sab se aniket puri taraf se bekhabar tha…

Ek din komal ko mil kar wapis aate samay aniket ek nirjan jagah par ruka uska phone baj raha tha aur wo phone uthane ke liye usne gadi roki aur itne me hi achanak uske sar par ek fatka pada aur uski aankho ke saamne andhera cha gaya..

Najane kitne samay baad use hosh aaya, wo ek nirjan room me band tha, uske sar par maar itne jor se laga tha kea b bhi uska sar thanak raha tha par ye sab uske kuch samajh nahi aa raha tha ke kya ho raha hai.. uske dono path pair rassio se bandhe huye the aur muh par bhi kapd bandha hua tha, pura hosh aate hi aniket chatpatane laga par use bahut kas ke banda gaya tha, wo apni puri jaan laga ke chillane ki koshish kar raha tha par muh me kapda fasa hone ki wajah se nas ‘uu..uuu’ ki awaj ke alawa koi awaj baahar nahi nikal rahi thi, aniket ne khud ko chudane ki bharpur koshish ki par sab vyarth, wo jitna khud ko chudane ki koshish karta utna wo rassi ki gath aur bhi pakki ho rahi thi, bahut koshish karne ke baad aniket thak gaya aur waise hi jamin par pada raha

Sar par jaha maar laga tha wo hissa to dukh hi raha tha sath hii uska sar ye soch ke jyada dukh raha tha ke ye sab aakhir chal kya raha hai? Kaun kar raha hai ye? Aur kyu kar raha hai? Soch soch ke uska sar fatne ko aaya tha, aniket ke man me ab bahut bure khayal aane lage the, apne sath kuch ho gaya to maa bapu ka kya hoga?, komal ka kya hoga? In bato ke bas khayal se hi aniket ke pasine chutne lage, aniket ab pura ghabra gaya tha aur uski aankho se aansu behne lage the par unhe dekhne ke liye waha koi nahi tha, aisi haalat me bahut samay nikal gaya aura b aniket normal ho gaya tha, usne apne aap ko samjhaya ki ye waqt bhavuk hone ka nahi hai balki paristithi ka saamna karne ka hai…

Aniket ne apne aas paas najar ghumayi, wo ek bhayan andheri room thi, sab taraf dhul ka samrajya pasra hua tha, sab taraf makdi ke jale latak rahe the, diware kali pad chuki thi, sara tuta futa saaman waha idhar udhar pada hua tha, wo ek purana godown ya koi band padi huyi factory thi aisa aniket ko andaja aaya, bhayanak shanti thi waha. Kisi bhi insaan ki koi nishani nahi thi waha beech beech me kabutar aur chmgadar ka awaj aa raha tha

Aniket shanti se hare k awaj sunne ki koshish kar raha tha, uske dhyan me aa gaya tha ke use jaha rakha gaya hai uske paas hi kahi samundar tha, wo sochne laga ke uske gaon ke paas to kahi bhi samundar nahi hai samundar to uske gaon se 120km dur hai, aniket ko ashcharya hua ke wo waha pahucha kaise aur use pata bhi nahi chala, sharir par ke kapde dekh ke lag raha tha ke wo kuch ghante nahi balki kayi dino se behosh tha, wo waise hi pade pade sochne laga ki akhir hua kya hoga

Kuch samay baad use bhuk lagi to usne idhar udhar najar ghumayi to uske dhyan me aaya ke waha ek table par ek plate me ek pav rakha hua hai aur ek pani ki bottle aur ek straw bhi hai

Udhar ghar par aniket raat bhar aaya nahi tha to ghar walo ne koi tension nahi liya tha kyuki iska is tarah raat bhar gayab rehna gharwalo ke liye kuch naya nahi tha par jab aniket ka phone nahi lag raha tha to komal ne ghar phone kiya to gharwalo ko chinta hone lagi, aniket ka kahi koi pata nahi lag raha tha, kaushalya aur komal ro ke behal the aur akhir me avinash aur narayanrao police me complaint likhane gaye, har jagah aniket ko dhundha lekin kisi ko kuch pata nahi tha kisi ne use nahi dekha tha, uski aakhri mulakat komal se huyi thi par uske baad use kisi ne nahi dekha tha, yash se bhi puch ke dekha gaya par use bhi aniket ke bare me kuch pata nahi tha, aur usme kehar yani aniket ki bike bajar me ek jagah par mili par uska kahi pata nahi chal raha tha

Idhar aniket ko bhuk lagi thi aur khane ko jo rakha tha wo thoda dur tha, wo jaise taise renge huye sarakte huye is khane ki plate tak pahuch to gaya tha par khayega kaise muh par to kapda bandha hua tha, ab wo kuch nahi kar sakta tha wo waise hi jamin par pada raha,

Aniket sochne laga ki kisi ne use kidnap kiya hai aur ab uske pita se paise ki demand karenge, use yakin tha ke uske pitaji use jarur chhuda lenge….

Akkha din aise hi nikal gaya, sham ko aniket ko kisi baat karne ka awaj sunai diya koi to kisi par gussa kar raha tha

“arey murkh aadmi, tujhe kaha tha sirf behosh karna aur tune ye kya kar diya? Wo mar gaya hai ke jinda hai hai wo?

“nahi malik jinda hai wo saas chal rahi hai uski”

“arey par aise maarte hai kya ?”

“malik jyada jor se maarta to uska sar fat jata na, fir bhi maine use dawa laga di hai aur uska khun aana bhi band ho gaya hai”

“aisa kya ? fir do din ho gaye hai use ab tak hosh kyu nahi aaya use”

“malik aaj subah hi hosh aaya hai use”

“kaise, hamme se koi bhi dinbhar aaj yaha nahi tha fir tune kab dekha ?”

“abhi aane ke baad dekha, wo sarakte sarakte huye pani ke paas gaya tha aur mujhe batao malik aapko badla hi lena hai to hath pair tod dalo ya fir sidha khatam kar do use yaha kyu rakha hai”

“meri to icha hai use maar daalne ki par usse pehle use pata chalna chahiye ki use kyu aur kisne mara hai, papya ne warning di hai ki jab tak wo khud yaha nahi aata tab tak koi kuch nahi karega aur teko pata hai job hi uski baat nahi manta uska haal iske jaisa hi hota hai”

“malik tab tak wo jinda rehna chahiye na”

“bandh ke rakha hai aise kaise marega”

“malik bhukha hai wo, khayega kaise muh me to kapda thusa hua hai”

“ha ye bhi hai, ek kaam kar uske khane tak muh khol de uska aur jarurat pade to tu khila de par hath mat kholna, bahut danger hai wo”

Fir wo aadmi aniket ko khana khilane ke liye ander aaya….



To Be Continued….
Kahani me twist aa gaya.. Romantic se action hone ja rahi hai....
 
Top