• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Hateli Lovestory ;) (complete)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,702
47,492
304
Update 28

Ab hum aisa keh sakte hai ke shravni ke sath aniket ka breakup ho gaya tha aur breakup ke baad bhale hi wo aniket upper se kuch dikha nahi raha tha par ander se wo kafi dukhi tha, wo ghar par hi ruka raha kahi aana jana nahi, avinash ne ise kafi phone lagaye par wo hamesha baat to taal deta aur akhir me komal boli

Komal-mat pareshan kar use, use recover hone ke liye thoda samay de, thoda akela aur free rehne de use…

Avinash-arey par aise kaise akela chhod du use..?

Komal-avi tu to aise baat kar raha hai jaise tu aniket ko jaanta hi na ho, wo agar yaha aa bhi gaya to hame nahi batana to dur wo us bare me kuch bolega bhi nahi..

Avinash-ha ye bhi sahi hai

Komal-fir use akela rehde de wo normal hua to khud hi aa jayega…

Aniket do dino tak ghar se baahar nahi nikla aur isi time uska bhai yash waha aaya aur use apne sath 1 hafte ke liye leke gaya..(yash yaad hai na aniket ke chacha ka ladka to aao ab uske bare me thoda jaante hai)

To yash ye aniket ke chacha ka ladka hai sage chacha ka nahi par rishtedari me, swabhav se pura aniket ke jaisa to hua yu ke in bhaisahab ke life me bhi chal raha hai thoda love lafda locha aur apna hero aniket thehra love guru bhale hi khud ka breakup hua ho par bhai ki naiyaa to paar lagwani hi thi isiliye anket uske sath chala gaya, waise is yash ki love story aniket se bilkul alag hai par ab agar wo puri kahani yaha bataunga to 50 update ki story tayar ho jayegi isiliye wo plot ek alag story ke liye agar aap log bole to iske baad wahi shuru kar denge :wink: , to is bhai yash ko hua ek ladki se pyaar aur ab dono ko pyaar ho gaya to inke gharwalo ko ye sab manjoor nahi tha isiliye dono alag bhi ho gaya aura b aniket ka kaam tha inhe ek karwana par aniket ne kuch yuk and kiye ki wo aur alag ho gaye matlab ladka ladki nai unke pariwar wale

Idhar najane kaha se shravni ka aur fir college ki maramari ka kissa narayanrao tak pahuch gaya aur usme unka aur gussa bhadkaya priya (yash ki premika) ki kahani ne fir kyat ha narayanrao ne pehle hi aniket babu ke aane ki tayari kar rakhi thi aur aniket jaise hi yash ke yaha se wapis aaya to uski narayanrao ne badhiya tarike se aarti utari…

Idhar aniket wapis aa gaya hai ye sunke avinash aur komal usse milne pahucheto aniket ghar me hi tha aur khas baat ke ki ghar me bhi goggle laga ke baitha tha jisse avinash ko thoda ashcharya hua

Avinash-anya abe ye kya hai ghar me goggle laga ke kyu ghum raha hai aankhe aayi hai kya (eye flu, cunjuctivitis) ?

Jispar aniket baat chipate huye bola

Aniket-arey kuch nahi ye to aise hi…

Avinash-aise hi :huh: ? nikaliyo to jara goggle :huh:

Aniket ne goggle nikala to uski ek aankh neeli huyi padi thi jise dekh ke avinash apne shirt ki bahi uper karte bola

Avinash-kisne mara teko tu uska naam bata khali nahi uske hath pair tode maine aaj to mera naam bhi avi nahi

Aniket-nahi tod payega tu

Avinash-abe tu naam to bata khali

Aniket-narayanrao rane :sigh1:

Naam sunte hu avinash niche baith gaya

Avinash-aaila teko kaka ne foda hai to sorry main isme kuch nahi kar sakta kar kuch bhi bol umar ke hisab se tagda foda hai teko :lol1:

Avinash aur komal tali deke hasne lage

Avinash-par hua kya? Kyu mara tujhe ?

Aniket ne jab puri hakikat batai to wo aur hasne lage

Sham ko aniket ne avinash ko cal karke bulaya, gaon ke baahar ek tekdi thi, aniket aur avinash do hi samay us tekdi pe jate the ek jab party karni hoti tab aur dusra jab wo udas hote tab

Tekdi ki jagah bahut sunder aur shant thi aur waha tekdi pe ek bada aur juna ped tha aur uske aaju baju chabutara bana hua tha, waha kisi prakar ka halla nahi tha ekdum shant vatavaran, awaj tha to bas haw aka aur ped ke patto ka, teki thodi uchi jagah pe hone ki wajah se waha se shahar ke light raat ke samay me dekhe ja sakte the , ekdum nirmanushya sthal, purnina ki raat hone ki wajah se waha chand ki roshni maujood th, matlab na to waha purn prakash tha aur na hi purn andhera..

Aniket ne char beer li jise dekh ke avinash samajh gaya ke aaj tekdi party hai, dono tekdi par pahuche aur us ped ke niche jakar baith gaye, dono chup the, avinash ke dhyan me aa gaya ke aniket ko apne man ki baat kehni hai par use shabdo me kaise bayan kare use samajh nahi aa raha tha isiliye dono shanti se beer ke ghut le rahe the, kya kamal ki hoti hai na ye dosti bhi, avinash bas aniket ki shanti ko sun raha tha aur bagair shabdo ki uski vyatha ko mehsus kar raha tha aur aakhir me aniket bola

Aniket-avi us din hospital me jab shravn meko chhod ke gayi tab tu kuch bola tha, kya tha wo

Avinash-acha wo, ye to hota hi tha wala

Aniket-kehna kya chahta that u

Avinash muskuraya..

Avinash-uske pehle ek kahani sonata hu sun, main ek baar ek mele me gaya tha, waha main ek dukan me ek sunder sa tajmahal dekha, wo tajmahal itna sunder tha ke maine use kharid liya, chotasa, hath ki hatheli par sama jaye aisa, sbubhra, safed ekdum, aakhir taj hai wo, prem ka Pratik apne desh ki shan, koi murkh hi hoga jise taj me khubsurti na dikhe, main bhi uski khubsurti pe mohit ho gaya aur maine use kharid liya aur ghar ke liye nikla, main bahut khush tha use kharid kar, aate huye raste me bhi maine do teen baar use khol kar dekha, us taj ko bag me rakhne ki meri icha nahi thi maine use apne hath me lekar hi ghar aaya, ghar aakar maine sabko wo taj dikhaya sab khush huye use dekh kar, maine use apne room me tavle par rakha, raat me bhi main najane kitni der use dekhta raha, subah uthne par mere dhyan me aaya ke table par aur bhi saman jaise meri kitabe wagaire rakhe the, unse taj ko dhakka lag kar wo gir kar tut gaya to.. isiliye maine use uthakar TV par rakha, laga ki ab yaha dhakka nahi lagega ye safe jagah hai par do din baad dhyan me aaya ke uspar dhul baithne lagi hai.. maine fir use ache sesaaf karkealmari me rakha, waha wo safetha par ab main use dekh nahi pa raha tha aur jaise jaise din beette gaye main taj ko bhul gaya, ab to yaad bhi nahi ki maine use kab dekha tha

Aniket ko thoda thoda andaj aa raha tha avi ki bato ka par wo sahi se samjha nahi tha to bola

Aniket-avya chadh gayi kya teko kya badbada raha hai sahi se bata

Avinash fir muskuraya aur bola

Avinash-main us taj me ek pal me mohit ho gaya tha isiliye use kharid liya par agle sare pal use sambhalne me nikal gaye, tere sath bhi yahi hua hai, tu ek pal me shravni par mohit hua, uske aur tere swabhav ke jamin aasman ka fark tha fir bhi tu mohit hua aur isiliye tu use sambha;ne laga aur ek din jab tera moh tuta to tu jag gaya, asal me jise tu pyaar samajh raha thaw o to bas akarshan tha aur akarshan aur pyar me yahi fark hai, jaise jasise din beette hai akarshan kam hota hai aur pyaar badhta jata hai, tum dono yaha galat nikle aur ye baat us din mere dhyan me aa gayi isiliye main bola tha ke ye to sala ek din hona hi tha…

Aniket-matlab mera shravni pe pyaar na hoke main bas uski taraf attaracted tha

Avinash-hao

Aniket-aur teko aisa kyu lagta hai

Avinahs-bahut si bate hai, thoda apne dimag pe jor daal smajh jayega, pyaar kabhi adhikar nahi batata be, aur jab aap kisi se pyaar karte ho to uspar aapka pura vishwas hona chahiye uske bagair koi matlab nahi hai. Shravni yahi chuk gayi, uski shak karne ke swabhav se use bhi nahi samajh aaya ke uske dil me pyaar ki jagah shak bhar gaya hai, uske ahankar ne kabhi use pyaar karne hi nahi diya..

Aniket ke aankho se ek aasu tapka

Aniket-avi tu meri jagah hota to kya karta

Avinash-meko lagta hai tune ab shravni se dur rehna chahiye

Aniket-matlab apne naseeb me pyaar nahi hai

Avinash komal ki di huyi kasam me bandha hua tha use yaad karke bola

Avinash-apan sale karmheen daridri, sab kuch aankho ke samne hai sab samajh raha hai par bol nahi sakta aur jise bolna chahiye use samajh nahi raha…

Avinash ki baat sunkar aniket sawaliya najro se use dekhne laga..

To Be Continued…
 
mashish

BHARAT
8,082
25,904
203

superb update
 
aalu

Well-Known Member
3,082
13,027
143
sala shab hatela hain.. yeh khud hatela, iska dost hatela... iski maa ek no. ke hateli... aur baap ke toh kehne kya.... sala blue eyes itna hi achha lagta hain kee ankhe ka rang hi neela kar diya.... yeh paglait padhai likhai chhor ke... bhai ka maal mantar fukne gaya tha... sala ulta sabki maar ke aa gaya...

aur yeh iska dost hamesha ek kahani le ke baith jata hain... sala parvachnanad... gandu ko ek laat mar ke bol... saale hum log tere senior ho gaye toh respect karne kaa... aise saath mein baith ke daaru-beeru nahin chalega... maal-paani chhor ke bhaag gayee.... toh jashan manane ka na... sala hamra breakup hota tha toh daaru peete the,, jashan manate hue... bhale hee baad mein usko yaad kar ke hilate the...

Yeh sala paaro ka devdas bana hua... tesue baha raha hain...
 
Top