• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Hateli Lovestory ;) (complete)

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,895
244
nice update ..to ye raman aur uske baap ka kiya dhara hai sab ..
raman ne komal ko chheda tha to aniket aur shayad baaki sabne usko pita tha aur wo sadme me chala gaya ,,aur usika badlaa lene ke liye uske baap rajeshwar ne aniket ko kidnap kiya hai ..

ab aniket ko ghuspaithiya banake france bhejna chahta hai rajeshwar ...
ab kaise bach niklega aniket dekhte hai 🤔..
 

11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,004
143
Update 44



Wo aadmi ander aaya aur aniket ki taraf dekh ke hasa aur usse bola

Aadmi- main tera muh sirf aur sirf do minute ke liye kholunga aura b ye teri choice hai ki tu un do minute ka kaise upyog karta hai, ya to un do minute ke khana kha ke apni bhukh thodi mita le ya to mujhse sawal kar le, waise bhi sawal puchke koi fayda nahi hone wala hai kyuki mujhe to waise bhi tere lafde ke bare me nahi pata hai aur jo bhi mujhe pata hai main tujhe nahi batane wala to tere do minute shuru hote hai ab..

Itna bol ke fir us aadmi ne aniket ke muh ka kapda hata diya aur aniket ko bhi uski baat sahi lagi kyuki is samay sawal puchne se jyada kuch khana jaruri tha.. us aadmi ne pav ke tukde karke aniket ko khilaye aur fir us pani ki bottle se ajeeb se taste wala pani bhi use pila diya aur achanak aniket chillane laga, aniket ko laga ki ab yahi sahi mauka hai isse pehle ki ye gunda uska muh band kare kya pata koi chillane ka awaj hi sun le par hua iske bilkul ulta, wo aadmi apni jagah par khada hokar aniket ko dekh ke has raha tha, aniket jab chilla chillakar chak gaya tab wo guard bola

Guard- hoi gaya chilla ke? Dekh le thoda aur chilla le kya pata koi teri madad ko aa jaye, murkh ladke yaha se 10 km tak bas tu aur main hu isiliye ab apna gala faadna band kar

Aniket- agar aisa hai aur yaha koi nahi hai to mera muh kyu banda hua hai?

Guard- hum hokum ke gulam hai jo malik bolega wahi karenge

Aniket- aur ye malik kaun hai tera?

Guard- kyu be bahut chul hai kyat ere me? Sab abhi janega? Pata chal jayega muh band kar apna

Itna bol ke us guard ne aniket ka muh dobara band kar diya, kuch samay baad kisi gadi ke aane ka awaj aaya, aniket ka sara dhyan darwaje ki taraf tha, darwaja khula aur ek ucha lamba aadmi ander aaya, hath me sone ka bracelet aur aankho par goggle, ander aate hi usne guard ko ishara kiya aur guard ne aniket ke muh par ki patti hata di aur wo aadmi bola

Aadmi- acha! To tu hai aniket

Pety me kuch jane ke baa dab aniket ka darr kam ho gaya thaw o bola

Aniket- tum log kya bagair aadmi confirm karte uthate ho kya? Main hi hu aniket aur tum log ho kaun aur kya chal raha hai ye?

Wo aadmi shanti se khurchi par baitha aur gogglr nikal kar bola

Aadmi- mera naam rajeshwar hai, tere se kuch hisab baki tha bas isiliye uthaya hai tujhe..

Aniket- kimat bata mere bapu fek ke marenge tere muh pe..

Aniket ki baat sunkar rajeshwar hasa aur aniket ke paas jakar usne ek jordar thappad mara aniket ko aur bola

Rajeshwar- tu abhi chota baccha hai mere samne aur ha ye bhi sun ke tere baap ke jaise 10 log main apni jeb me leke chalta hu isiliye aainda kuch bhi bolne se pehle dus baar soch lena

Usne fir us guard ko ishara kiya aur guard baahar gaya aur anpe sath ek ladke ko ander lekar aaya aur us ladke ko dekhte hi aniket bola

Aniket- raman tu?? (raman wahi hai jisne komal ko cheda tha aur baad me in sabne uski kutai bhi ki thi )

Ab aniket ko sari kahani dhyan me aa gayi thi aur rajeshwar bola

Rajeshwar- ye mera eklauta beta raman, pehchanta hai na ise

Jispar aniket hasa

Aniket- main kya akkha college janta hai ise to, mawali harkate kar raha tha to college ki ladkiyo ne sandel maar maar ke bhagaya tha ise

Aniket ka is tarah hasna raman ko acha nahi laga aur wo aniket par tut pada aur use maarne laga aur jab maar maar ke thak gaya tab usne aniket ko chhoda, aniket jamin par pada tha aur uske muh se khun nikal raha tha us khun ko thukte huye haste huye aniket bola

Aniket- agar itna hi apni mardangi dikhane ka shauk hai to ek baar mere hath khol ke dekh, fir the batata marte kaise hai na teri gand me jhadi jhusa ke tujhe morn a banaya to mera naam bhi aniket nahi..

Raman fir se aniket ko maarne lapka par rajeshwar ke ishare par guard ne use beech me hi rok liya aur rajeshwar aniket ke paas jate huye bola

Rajeshwar- itni haalat kharab hai fir bhi akad kam nahi huyi hai teri, maan gaye teri himmat ko, teri aankho me mujhe bilkul darr nahi dikh raha hai aur yahi mujhe pasand nahi aaya, dusra koi hota to mafi maangeta to main use hath pair tod ke chhod deta par tere liye maine kuch aur soch rakha hai..

Aniket ne bhi thanka kar kaha

Aniket- maine kuch nahi kiya hai, tumhare ladke ki galti thi aur use uski saja mili hai

Ab tak shant rajeshwar ekdum khawal gaya usne dono hatho se aniket ki gardan pakdi aur daat peeste huye bola

Rajeshwar- tujhe pata nahi hai tune kya kiya hai..us din mera beta sharminda hokar ghar aaya tha aur mahina bhar baahar nahi nikla, uske dimag par asar ho gaya tha aur itne mahine lage hai use theek hone me aur tu bol raha hai tune kuch nahi kiya ? waise to galti us komal ki hai, saja use deni thi par mil gaya tu..

Komal ka naam sunte hi aniket par mano bijli giri ho wo ekdum shock ho gaya aur ab aniket ke chehre par chinta dikhne lagi aur wo samjhate huye bola

Aniket- dekho rajeshwar aap ko samajh nahi aa raha hai ke galti aapke bete kit hi..

Rajeshwar- maantu hu ki usne galti kit hi par tum logo ne use sare college ke saamne ladkiyo se maar khilakar sharminda kiya hai, uske dimag par iska asar hua hau aura b tumko iski saja bhugatni padegi, ab bata saja tu bhugtega ya komal ?

Jispar aniket bagair ek pal gawaye bola

Aniket- tumko jo saja deni hai main bhugatne ko tayar hu, par agar komal ki taraf aankh utha kar bhi dekha to main aankhe nikal lunga tumhari

Rajeshwar hasa

Rajeshwar- main bhi yahi chahta hu, kyuki tujhe saja di to use apne aap saja mil jayegi, aur mujhe use tadapte huye dekhna hai

Itna samay shant baitha hua raman bola

Raman- papa maar dete hai ise bahut ho gayi baat

Jispar rajeshwar samjhate huye bola

Rajeshwar- nahi beta maar diya to saja ka maja nahi aayega, ise to main aisi saja dunga ki ye jinda to rahega par komal se apne pariwar se kabhi mil nahi payega aur wo bhi jindagi bhar tadapte rahenge

Raman- aisa kya karne wale ho aap

Jispar rajeshwar haste huye aniket ki taraf dekh kar bola

Rajeshwar- tu bhi janna chahta hoga aage tera kya hoga to sun, mera import export ka kaam hai aur kal mera maal ship se france jane wala hai, main tujhe ek container me daal dunga france sarkar ke liye tu ghuspaithiya hoga aur wo tere mare tak tujhe jail me rakhenge, mera badla bhi pura hoga aur main pakda bhi nahi jaunga

Ye sun kar aniket ke pairo tale jamin sarak gayi, pair kampne lage aur wo niche baith gaua aur rajeshwar jate jate bola

Rajeshwar- ek baat bhyan me rakhna, agar tune bhagne ki koshish ki to ye haalat komal ki hogi ab choice teri hai tu ya komal..


Uske baad raman rajeshwar aur guard teeno hase aur waha se nikal gaye…..
Sala Maine ye update pade bina bataya the ki ye larka wo college me pela gaya larka tha aur ye sach bhi ho gaya hota bhi kyo nhi swayam 11 ster fan ne Jo bataya tha...ab samajh me rha hai ki Raman kyo chutiya hai kyoki uska baap hi chutiya hai unka khandan hi chutiyo se bhara hai...abe sale raman ke najayaj baap agar Pakistan bhejata to waha ki govt bina janch paratal le fanshi ya umrakaid de deti lekin france ki agency pata karte hue India aayi aur polish report aur Anni ke Nayan ke aadhar par wahi pela jayega Ulta uper se Anni ke escape hone ya police ko pata lagane ka time bhi de Diya ...aur ek baat ghayal Sher aur khatarnak ho jata hai....
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,264
48,505
304
nice update ..to ye raman aur uske baap ka kiya dhara hai sab ..
raman ne komal ko chheda tha to aniket aur shayad baaki sabne usko pita tha aur wo sadme me chala gaya ,,aur usika badlaa lene ke liye uske baap rajeshwar ne aniket ko kidnap kiya hai ..

ab aniket ko ghuspaithiya banake france bhejna chahta hai rajeshwar ...
ab kaise bach niklega aniket dekhte hai 🤔..
Bahut bahut shukriya bhai :thanks:
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,264
48,505
304
Sala Maine ye update pade bina bataya the ki ye larka wo college me pela gaya larka tha aur ye sach bhi ho gaya hota bhi kyo nhi swayam 11 ster fan ne Jo bataya tha...ab samajh me rha hai ki Raman kyo chutiya hai kyoki uska baap hi chutiya hai unka khandan hi chutiyo se bhara hai...abe sale raman ke najayaj baap agar Pakistan bhejata to waha ki govt bina janch paratal le fanshi ya umrakaid de deti lekin france ki agency pata karte hue India aayi aur polish report aur Anni ke Nayan ke aadhar par wahi pela jayega Ulta uper se Anni ke escape hone ya police ko pata lagane ka time bhi de Diya ...aur ek baat ghayal Sher aur khatarnak ho jata hai....
waah bhai re tam to badi heavy bhavishyavani karte ho bhai
par jara shant gada dhari bheem shant aaj hi raman aur rajeshwar ko fasi pe chadha doge kya arey ruko jara sabar karo
 
Top