- 5,758
- 13,166
- 189
UPDATE 46
Priya:- Bahut hua Sameer...Bahut bol liya tumne aur bahut sunn liya humne...Tum samajhte kya ho apne aap ko? Tumhe lagta hai ki tum hi acche ho aur baaki ke sab bure...Aur attitude to aise dikhaate ho ki jaise ki tum koi celebrity ho.
Tumhe kya laga hum kuch nahi bolte to ham gunge behre hai ya darpok hai...Pehle hamaari galti thi ye baat ka hame ehsaas tha iss liye kuch nahi kehte the...Abb apni galti maanna hume aata hai aur sudharna bhi aata hai...Tum hi kehte the na ki ham tumhaare raashte me na aaye...Bahut pehle hatt gaye the tumhaare raaste se aur apni hi duniya me vyast the...(Shruti ki taraf dekh kar) Lekin ye baat iss chudail ko manjur nahi tha...Pucch lo isse kyu hame aakar pareshaan karti thi...Har baar warning deti thi...Isse lag raha tha ki ham isse dar jaayenge...Lekin chudail ko ye pata nahi tha ki iske bhaunkne se hame koi fark nahi padta...(Shruti se) Kyu chudail? Abb to tujhe samajh me aa gaya hai na...Hamse dur rehne me hi teri bhalayi hai.
Shruti ke aise baar baar chudail bolne se Sameer ka gussa aur badh raha tha to koi students ko hassi aa raha tha jo Sameer ke gusse ko aur bhadka raha tha...Jab Sameer ko bardasht nahi hua tab daant chabhaate hue usne kaha.
Sameer:- Shruti ko baar baar chudail kehna band karo...Please kya ye maamla ham akele me suljhaa sakte hai? Aise sabke samne tamasha banane se tumhe kya milega? Aapas me baat karke saari problems khatm karte hai.
Sameer ne to Priya ko samjhate hue kaha lekin uska aawaj se pata chal raha tha ki wo kitne gusse me hai...Bas kisi tarah apne gussa par kabu kiya tha.
Priya:- Kya baat hai Mr. Sameer Sharma? Jab baat khud ki izzat par aaya to aise munh chippa kar bhaag rahe hai...Hamaare baare me to kabhi nahi socha...Sabke saamne jab hamaara majaak udaate thhe ya hamaari galti ko sabke saamne dikhaate thhe tab to bahut maja aata tha aapko lekin aaj kya hua?
Aur rahi baat iss chudail ko chudail na kehne ki to ye possible nahi hai Mr...Mere paas abhi time nahi hai ki Shruti ke kartut ke baare me kuch kahu...Tumhara hi dost hai aaram se pucch lena.
Bas itna kahunga ki tum aur tumhaari iss chudail dost hamaare raaste me kabhi nahi aana...Mai ek baat keh deti hu ki aaj se mujhe tumse koi lena dena nahi hai aur tumhe bhi humse kuch lena dena nahi hona chahiye...Tum apni raaste aur ham apne raaste...Abhi to iss chudail ka gaal laal kiya hai agar agli baar fir se dimaag kharab karegi to kuch keh nahi sakti...Aur tab aa kar ye mat pucchna ki maine aisa kyu kiya.
Priya aaj itne dino ki nafrat aur gussa nikaal rahi thi...Uski har lafz uska Sameer se beinteha nafrat ka gawahi de raha tha.
Sameer bhi sab kuch gusse ki ghunt pee kar sun raha tha...Sabhi ke saamne aise majaak ban jaane se wo bahut hi uncomfortable feel kar raha tha...Gussa to bahut aa raha tha lekin kuch bol nahi paa raha tha...Bolta bhi kya jab galti Shruti ka hi tha...Usse ye to pata nahi tha ki Shruti ka galti kya hai lekin Shruti ka jhuka hua chehra dekh itna to samajh gaya ki Shruti ne jarur kuch kiya hai aur issi vajah se Priya itna ucchal rahi hai...Wo abb bas itna chaahta tha ki jaldi se ye tamasha khatam ho jaaye.
Priya:- Sameer jaante ho mai sochti thi ki kahi tumse nafrat karke maine koi galti to nahi kiya...Lagta tha ki tum jaise bhi ho utna bure bhi nahi ho...Aur hamaari ye nafrat misunderstanding se suru hua...Lekin mai galat nahi thi...Accha kiya jo mai tumse nafrat karti hu...Tum to dosti me itna andhe ho gaye ho ki tumhe sahi aur galat ka andaaza hi nahi hai...Aur to aur apne dost ki galti chupaane ke liye mujhse hi bahas kar rahe ho...Tum se ek din parking me bhi baat karna chaaha tha iss chudail ke baare me...Lekin tumne mana kar diya aur iske hi tarafdaari karke mujhe bhej diya...Ussi baat se iss chudail ka itna himmat badh gaya aur aaj iski abhi jo haalat hai iski vajah ye khud hai.
Ek salah deti hu ki dosti karna hai to kisi aur se karna...Iss chiludail se nahi...Kabhi ye tumhaara saath nahi dene wali...Itna to jarur keh sakti hu ki pith piche chura bhaunkne se bhi nahi chukti hai ye chudail.
Pata nahi kis cheej ka ghamand hai isse...Aur kya saabit karne aayi thi ye mere paas...Mujhe mera aukaat samjhaa rahi thi...Maanti hu tum log jitna rich family se belong nahi karti...Gaaw me ek middle class family me pali badi hu...Sab kuch thik thak hai aur ham apne life se satisfied hai...Paiso se har kuch nahi hota khusi to santust rehne se milti hai...Mere sapne tum jaise laalchi log jitna bada nahi hai lekin mai apni life me khus hu.
Aur ye chudail apne aap ko samajhti kya hai? Bhikhaari jaise bartaaw kar rahi thi mere saath...Pata nahi kyu mere picche padi hai...Kabhi chhain nahi milta isse...Bas dusre ke picche pade raho aur jeena mushkil kar do...Iske alawa isse aata hi aur kya hai.
Tum logo se aur baat karke mai apna mood aur kharab karna nahi chaahti...Pata nahi meri baat tum logo ki samajh me aaya bhi ya nahi...Lekin mai itna keh deti hu ki aaj se humaara raasta alag aur mujhe tum aur iss chudail ki dakhal andaazi nahi chaahiye...Ham log shaanti se rehna chaahte hai...Live and Let Live.
Itna keh kar Priya Divya ka haath pakad kar waapas apne room me le jaati hai...Usne apna kaam kar diya tha aur aaj wo andar se bahut halka mehsoos kar rahi thi...Bahut din se Sameer se sidhe baat karne ka jo bojh tha wo aaj khatam ho gaya...Sameer ko aaj usne chup kara diya tha aur saath hi uska attitude ko bhi.
Abb hall me sirf teachers, students, Sameer , Rajesh aur Shruti hi bache the...Sabhi students ko ek mudda mil gaya tha jis par discuss karke wo sab apna time pass kare...Kisi ke liye ye show shocking tha to kisi ke liye free ka comedy...Koi iss maamle par baat karke has rahe the to koi apne apne room me jaane lage.
Teachers ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki kaise react kare...Itna to unhe bhi pata chal gaya tha ki galti Shruti ka hai...Baat bahas se jyada nahi badha to unhone bhi koi dakhal nahi diya...Unhe hi apne pareshaani suljhane diya.
Dhire dhire sabhi chale gaya apne room me aur baaki reh gaye Sameer, Rajesh aur Shruti.
Rajesh ne bhi iss vakt kuch naa bolna hi thik samjha aur wo bhi apne room me chala gaya.
Shruti apne sir jhukaaye aaj ka saara ghatna ke baare me soch rahi thi...Kya socha tha usne aur kya ho gaya...Kaha wo apne birthday ka wait kar rahi thi Priya ko beizzat karne ka lekin ulta Priya ne hi usko sabke saamne beizzat kar diya...Aur Sameer ko bhi bahut kuch keh diya...Abhi to wo soch rahi thi ki Sameer ko kya jawaab de...Sab kuch usne Sameer se chuppa kar kiya tha...Lekin iss bich usse Priya par bahut gussa aa raha tha...Abb usne thaan liya ki ek din acche se wo Priya se badla legi aur aaj hui ghatna ko kabhi nahi bhulegi jab tak wo apna badla pura na kar le.
Uske paas me hi khada Sameer ka bhi waisa hi haal tha...Nafrat aur khud ka beizzati se uski aankhe gusse se laal ho gaya tha...Sabhi ke saamne apna aur Shruti ka beizzati ko wo seh nahi paa raha tha...Aaj jo bhi hua uss ghatna ne Sameer ke dil me Priya ke liye jo nafrat tha usse aur badha diya.
Kuch der gusse se jameen me dekhne ke baad Sameer ne apna chehra upar uthaya aur gusse se Shruti ki taraf dekh kar kaha.