• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Fighter

THE CREATER OF DEVIL FIGHTERS
11,634
25,440
259
Super & Very nice story

marriage k bad love super topic tha
 

Mathur

°◥◣_◢◤°
1,063
3,077
143

Hello, Ladies  & Gentleman, 
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 10th, June 2020, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.

Rules Check Karne k Liye Ye Thread Use karein :- Rules And Queries Thread

Entry Post Karne k Liye Ye thread Use Karein :- Entry Thread
Reviews Post Karne K liye Ye thread Use karein :- Reviews Thread
On Behalf of Admin Team
Regards :- Xforum Staff..
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
bahut badhiya kahani...................
sirf pyar hi nahi...................
nafrat, chahat (chahat pyar hi nahi junoon bhi ho sakti hai---shruti ki tarah)
dosti, dushmani
vishwas, vishwasghat
is kahani mein pratap, suresh aur neha ka role negative hote huye bhi...... dushmani ka nahi.... ek virodhi ka hai
shruti ka role........... ek dost hote huye bhi........... dushman ka hai...........vishwasghati bhi..........sameer ke liye
karan dushman na sahi...................vishwasghati jarur hai................priya ke liye

aur sameer-priya dushman rahte huye bhi.............ek dost se badhkar ek dusre ke liye bane rahe...........
achchhe waqt mein na sahi musibaton mein ek dusre ka sath diya

:applause: :applause: :applause: :applause: :applause:
:thanks: for writing this lovely story
Thanks Kamdev bhai for your support and reviews throughout the story...Aur iss review ke saath aapne pure story ka summary hi likh diya.

Shayad aapne Ramesh Suresh wala ad jyada dekh liya jo Ramesh ki jagah Suresh likh diya :lol1:

Thanks bhai.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008
284
293
63
This one of the stories i read back then at xossip. It is a good story..the ending was emotional! Overall good job Champ! Keep it up! :nicethread:
Btw :iamnew: I mean i was a silent reader back then on xossip but then i thought why not open an account and express my reviews about the stories written over here!
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Rajizexy

❤Lovely Doc
Supreme
45,410
47,105
304
nice start
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 1


Mera Sameer kaha hai...Abhi tak kuch pata nahi chala...2 mahine se jyada ho gaya hai wo abhi tak ghar nahi lauta....Phone bhi nahi lag raha hai...Aakhir kaha chala gaya...College khatm hone ke baad kitna khush ho kar ghar lauta tha...Acchanak kaha gaayab ho gaya...Police bhi abb tak usko dhund nahi paaye hai...Pata nahi kis haal me hoga mera beta....Aap usko jaldi se dhoond kar laaiye.

Ye aawaaj kisi aur ki nahi Sameer ki Maa ki thi...Achanak Sameer ke do mahine se gaayab ho jaane ki vajah se aur koi khabar naa milne ki vajah se uski Maa ki ro rokar haalat bahut kharaab ho chuki thi...Wo apne pati Mr. Sharma ke saamne gidgidaakar ro rahi thi aur apne beta ko dhund kar laane ko keh rahi thi.

Mr. Sharma:- Shaant ho jaao....Aise rone se Sameer aa jaayega kya? Mera bhi beta hai wo...Mujhe bhi uski fikar hai...Jald aa jaayega...Shaayad koi kaam me fanss gaya hoga.

Mr. Sharma ne bass itna hi kaha tha ki Mrs. Sharma ne chillate hue kaha.

Mrs. Sharma:- Aisa kaun saa kaam hai ki wo do mahine tak gaaayab ho jaaye...Kam se kam ek baar to phone karta...Pata nahi kis haal me hoga wo.

Itna keh kar Mrs. Sharma ekdam shaant ho gayi aur nichhe baith kar rone lagi.

Mr. Sharma ke pass bhi abb kuch kehne ki himmat nahi tha.....Unko bhi Sameer ki bahut fikar ho raha tha....Jaise taise khud ko sambhaal ke rakhe the...Unki haalat bhi Mrs. Sharma ke jaise hi ho gayi thi...Bas wo ro nahi rahe the...Kuch der baad wo apni patni ko sambhaalne ke liye kehte hai.

Mr. Sharma:- Kuch nahi hoga hamaare bete ko...Abb wo bada ho gaya hai...Har paristhiti se lad sakta hai...Bas kisi kaam me uljha hoga wo...Dekhna jald laut aayega wo.

Mr. Sharma ne ye keh to dia lekin wo hi jaante the ki kitna himmat jutaa kar unhone ye kaha tha...Mrs. Sharma unki iss baat ka koi jawaab nahi deti...Bas chup chaap ro rahi thi niche baithkar....Ab Mr. Sharma bhi kuch nahi kehte....Wo bhi wahi baith jaate hai aur soch rahe the ki kaise Sameer ko dhundha jaaye....

Wo dono kuch der aise hi baithe the ki tabhi unn ke ghar ke main door par kisi ka knock hota hai...Knock sunte hi Mrs. Sharma ekdam se utth jaati hai aur Mr. Sharma se kehti hai.

Mrs. Sharma:- Sameer hi hai.....Mujhe pata tha wo laut aayega.

Itna keh kar Mrs. Sharma gate kholne chali jaati hai....Mr. Sharma ko nahi lag raha tha ki ye Sameer hoga...Lekin fir bhi Mrs. Sharma ko kuch nahi kaha....Bas wo gate ki taraf dekh rahe the ki raat ka 10:00 baje kaun aaya hai.....

Jaise hi Mrs. Sharma gate kholti hai.....Baahar khade shakhs ko dekhkar bahut khush ho jaati hai aur chilla kar kehti hai.....

Mrs. Sharma:- Aa gaya Sameer tu...Kitne din se gaayab tha....Itne dino baad laut kar aaya hai...Apni Maa ko kitna pareshaan kiya tune...Kyu bina bataye chala gaya tha...

Mrs. Sharma ne Sameer ko dekh kar rote huye kaha lekin agle hi pal Sameer ke saath khadi ladki ko dekh bolti band ho gayi...Unko samajh me hi nahi aa raha tha ki kya kahe.....Jab unnhone Sameer aur uss Ladki ko gaur se dekha toh bahut bada jhatka laga.....Wo achanak se pichhe hatt gayi....Mr. Sharma bhi Sameer ka naam sunkar jaldi gate tak aa pahunche.....Lekin jab unhone bhi Sameer aur uss ladki ko gaur se dekha to wo bhi bahut shocked ho gaye aur pal bhar me unke chehre me pareshaani ki jagah gussa ne le liya.....

Sameer bhi apne maa aur papa ka aisa roop dekh kar dar gaya....Wo bhi darte huye haanth jodd kar maanfi maangte huye bola.....

Sameer:- (Rote hue) Maa aur Papa....Please mujhe maaf kar dijiye.....Bahut majbur ho gaya tha mai.....Meri ek bhool ne mujhe aisa majboor kar diya ki mujhe ye kadam uthaana pada....Please maaf kar dijiye....

Sameer ye kehkar aur rone laga...Mr. Sharma ka gussa Sameer ka aise rone se pighal gaya...Unhone bhi Sameer ki haalat samajhte hue kaha

Mr. Sharma:- Sameer...Tum aur bahu abhi apne room me jaao....Ye vakt baat karne ka nahi hai....Kal iss baare me baat karenge.

Sameer ne ye baat sun kar thoda raahat ki saans liya...Lekin wo bhi jaanta tha ki Papa se bas aaj raat tak hi wo bachega...Kal usko saara sach maa aur papa se kehna padega.....Ye sab sochte hue Sameer aur wo ladki Sameer ke kamre me chale jaate hai....

Sameer ke jaate hi Mrs. Sharma hairaani se Mr. Sharma se kehti hai.

Mrs. Sharma:- Ye sab kya kar dia Sameer ne...Hamse bina bataaye shaadi kar liya...Agar hame bata deta to kya ham manaa karte? Ye Sameer ne accha nahi kiya.

Mrs. Sharma jo kuch der pehle dukhi thi abb uski jagah hairaani ne le liya.

Mr. Sharma:- Iss baare me kal baat karenge....Sameer hi batayega ki usne aisa kyu kiya...Abhi itni raat ko mai ghar me koi hangaama nahi karna chahta....Kal hi iss baare me baat karenge....Abhi sone ke liye chalo......Sahi vakt pe sahi kaam hoga.

Mr. Sharma ki aawaj se hi laga raha tha ki wo kitne gusse me hai...Jaise taise unhone apna gussa par kaabu kiya tha.


In Sameer's Room


Sameer apne room me pahunch kar bistar par gir gaya...Uski aankho se thoda aanso gir rahe the...Wo uss manhoos ghadi ko yaad karke pachta raha tha jis vakt usne ye bhool kiya tha...Jaise hi wo Ladki Sameer ke room me aayi usne chillate hue Sameer se kaha.

Ladki:- Tumne mere saath aisa kyu kiya Sameer....Mai tumse nafrat karti thi aur mai Karan se pyaar karti thi....Tumne mujhse shaadi karke meri jindagi barbaad kar diya...Tum bhi to mujhse nafrat karte the na to mujhse shaadi kyu kiya? Tum mujhse badla lena chahte the...Issliye...Sameer tumne ye accha nahi kiya....Mai tumhe kabhi maanf nahi karungi.
Shaandaar agaj ke sang laaye hai sundar se shabdo me pirokar ek nayi update mere dost adhbhut hai.
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top