- 328
- 349
- 79
Update 12
Itna bol kar Rashmi ne apna phone uthaya aur fir rakh diya… “nahi yaar shayad wo so gaya hoga…” yeh soch kar Rashmi mayush si ho gayi use samajh mein nahi a raha tha k wo kya kare…wo yeh sab soch hi rahi thi k tabhi uske phone ki ring baji…
Ab age…
Rashmi ne dekha toh yeh call Aarav ki hi thi… “Aarav is waqt kion call kar raha hai… kahin kus huya toh nahi” Rashmi ke man mein kafi kus a raha tha but usne call pick kar hi li… "Hlo Rashmi" samne se Aarav ki awaj ayi…
Rashmi: hii… sab thik hai na tum is waqt call kar rahe ho…
Aarav(thoda jhempte huye): sorry Rashmi maine tumhe itni raat ko disturb kiya… main kal subah baat karta hun…
Rashmi(jhat se): are nahi nahi main abhi jaag hi rahi thi…Neend hi nahi a rahi aj…
Aarav: han mujhe v… wo asal mein mujhe tumhe kus kehna tha…
Rashmi: han kehna toh mujhe v hai kus… chalo pehle tum hi bolo…
Aarav: are nahi pehle tum bolo…
Rashmi: nahi pehle tumne kaha hai toh ab pehle tum hi bolo…
Aarav: wo main tumhe sorry kehna chahta tha… aj main ek dum se uth kar a gaya… main tumhe hurt nahi karna chahta tha… pata nahi kya huya tha mujhe…
Rashmi: nahi Aarav asal mein galti meri hi thi aur main v tumhe sorry hi kehna chahti thi… mujhe tumse is tarah ka question nahi karna chahiye tha…
Aarav: nahi tumne kus galat nahi puchha… wo mujhe hi kus ho gaya tha achanak se…
Rashmi: nahi galti meri hi thi…
Aarav: chalo achha baba galti humein se kisi ki nahi thi… wo situation hi aisi thi…
Rashmi: han sahi kaha tumne…
Fir dono kus der ke liye shant ho gaye…. Dono ko hi samajh nahi a raha tha k ab age baat karein k call cut karein... khair kus der baad is chupi ko Aarav ne hi toda “vaise tumhe neend kion nahi a rahi thi… thik ho na tum"
Rashmi: han thik hun bas tumhare bare mein soch rahi thi k kahin tumhe hurt toh nahi kar diya na…
Aarav: nahi wo main aisa hi hun… tum tension na lo…
Rashmi(thoda majak mein): vaise mujhe lagta hai k tum ek ladki ke samne rone se dar gaye isi liye wahan se bhag gaye…
Aarav: nahi main kion darne laga… wo mujhe kus samajh mein hi nahi aya…
Rashmi: that’s ok… aur sunao tum abhi tak nahi soye…
Aarav: main v tumhare bare mein hi soch raha tha…
Rashmi: oh toh ap mere bare mein soch rahe the… kya huya kahin pyar toh nahi kar baithe…
Rashmi ki baat sun kar Aarav ko jhatka sa laga k ek dum shant rehne wali ladki aj itni khul kar baat kaise kar rahi hai… shayad uska mood thik karne ke liye kar rahi ho yah fir abhi uski jhijhak khatam ho gayi ho…
Rashmi(jawab na pa kar): are kya huya… bura toh nahi man gaye…
Aarav: are nahi nahi main bas soch raha tha k jo ladki kisi se baat karne ko v darti ho wo mujhse aisa question puch rahi hai…
Rashmi: Kion puchh nahi sakti?
Aarav: Han jarur puchho… main toh aise hi soch raha tha…
Rashmi: jyada socho mat… wo kya hai na k ab mujhe tumhare sath achha lagta hai… main Kiran se v batein karti hun but meri problem hai k main boht kam logon se khul pati hun…
Aarav: fir toh mujhe apko thanks kehna chahiye k apne mujhe is kabil samjha…
Rashmi(hans kar): ab aise mat bolo mujhe ajeeb sa lagta hai… vaise tumne mere question ka jawab nahi diya…
Aarav(sochte huye): kis question ka…
Rashmi: yahi k tum mere bare mein kion soch rahe the…
Aarav: bas aise hi k maine kahin tumhare sath rudely behave toh nahi kar diya….
Rashmi: nahi nahi… aur chalo abhi us baat ko chhod… aur batao…
Aarav: aur kya bataun… vaise kafi raat ho gayi hai sona nahi hai kya tumhe…
Rashmi(majak mein): bahane mat banao seedha seedha bolo na k GF se baat karni hai tang mat karo…
Aarav: meri koi gf hai hi nahi toh baat kisse karun maine toh socha k tumhara BF na kahin tumhare call ke intzar mein ho…
Rashmi: BF aur mera? Swaal hi nahi uthta…
Aarav: kion?
Rashmi: agar mera koi BF ho aur mere ghar walon ko pata chal gaya na toh pata nahi kya karenge wo log yah toh main nahi yah fir bechara wo ladka nahi… abhi marne ka shonk na mujhe hai aur na hi kisi ladke ko hoga…
Aarav: han yeh baat toh sahi hai tumhari… itne khatarnak ghar wale hain kya tere…
Rashmi(hanste huye): tum dar mat jana main toh majak kar rahi thi…
Aarav: main kion darne laga main konsa tumhara BF hun…
Rashmi: han yeh v hai… I think k abhi humein so jana chahiye kafi der ho gayi hai aur subah college v toh jana hai…
Aarav: han sahi kaha… chalo ok bye… and have a good night…
Rashmi: you too..
Fir Aarav ne Call cut kardi… Ab wo khus lag raha tha uske chehre par ek smile saaf dikhayi de rahi thi… Udhar Rashmi v boht khus thi akhir boht dinon baad use kisi se baat karke itna achha jo laga tha… khair dono ko jaldi hi neend a gayi aur kab sapnon ki duniya mein kho gaye pata hi nahi chala…
To be continued….

for the update