update 83
tumhare bulaane ka treeqa vidya ko pasand nahi aaya...aage se jab bhi mujhe bulana soch samajh kar bulana...
abhay ne vidya ko milne bahar bulaya tha.. college me wo vidya se door hi rehta tha...vidya ne khud kaha tha..wo college ke ander usse baat tak nahi karegi..dosti sirf college ke bahar rahegi...
vidya aana to nahi chahti thi..magar abhay ki jid ke kaaran wo abhay se milne aayi thi...
abhay vidya ke khubsurat chahre ki taraf dekhta hai...aur apni aankhon se uske husn ko pine ki koshish karta hai..
vidya bhali bhanti abhay ki kartoot se parichit thi..ki abhay use lekar kya sochta hai...
vidya ...meri taraf tukur tukur kya dekh raha hai ..jo maine kaha hai use yaad rakhna ainda mujhe kabhi bulaane ki koshish bhi mat karna..
abhay...vidya hum dost hain aur tumne hi kaha tha..hum jab bhi milenge college ke bahar milenge...
vidya ...teri baaton se mujhe teri niyat ka pata chalta hai..teri jubaan kuch aur bolti hai..magar teri aankhen kya bolti hain ye main acchi tarah jaanti hoon...
abhay bahot joron se hasta hai..
abhay ...vidya tum itni khubsurat ho ..na chahte hue bhi meri aankhen tumhare husn ko pine ko mazboor ho jaati hain...
vidya ki tyoriyan ek pal ke liye chadh jaati hain..uska hath uske chaku tak pahunch jaata hai..magar dusre hi pal wo apna hath apne chaku se hata leti hai...wo apne krodh par kaabu karti hai...aur bilkul normal awaz me bolti hai...
vidya ...abhay maine tumse kya kaha tha..kya tumhe yaad nahi ...
abhay ...mujhe sabkuch yaad hai..magar tumhari khubsurti dekh kar mera imaan dol raha hai...mujhe lagta hai ab hame dosti se aage badh jana chahye...
abhay ne dheethta ke sath ye shabd bole the..vidya khud ko kos rahi thi jab pehli baar usne abhay ko apni chal ka mohra banane ki koshish ki thi..magar uska danw ulta pad gaya tha...abhay naam ki haddi uske gale ki faans ban chuki thi..
vidya ko abhay naam ki haddi na ugalte ban rahi thi na nigalte ban rahi thi...
vidya ...abhay maine tumse kaha tha jab mujhe theek lagega tab hum aage badh jaayenge..ok..but..itni jaldi main tumhare sath aage nahi badh sakti..abhi hamari dosti hue juma juma 4 din bhi nahi hue aur tum aage badhne ki soch rahe ho...
abhay vidya ke idhar udhar tehalta hai..jaise vidya ke jism ka analys kar raha ho...uski is harkat ko dekh kar vidya ki aankhen gusse me laal ho jaati hain...magar wo filhaal chup thi...
abhay ...vidya dekho apne aapko kya figure hai tumhara..aise sexy figure ko ek dost ko na dena nainsaafi hogi...
abhay ki baaten vidya se bardasht se bahar ho rahi thi..vidya jo har vidya me nipud thi..ek darpok aadmi usse aisi baat karne ki himmat dikha raha tha...
vidya ...just shut up..apni jubaan ko lagaam do...aur haan main aaj se balki abhi se tumse dosti tod rahi hoon..tumhare jaisa makkar aadmi vidya ki dosti ke kabil nahi...
abhay ...tum mujhse dosti nahi tod sakti agar tumne aisa kiya to tumhari khair nahi...
abhay vidya ki baat sunkar tanik bhi nahi darta wo barabar vidya ki baat ka jawaab deta hai..uska jawab sunkar vidya thodi dheeli pad jaati hai...
vidya ...main bhi tumse dosti nahi todna chahti..magar jis tarah tumne aaj mujhe bulaya wo tareeqa sahi nahi tha..kya kaha tha tumne ..tumne kaha tha..meri jaan mujhe tumse milna hai..maine apna phone number kya de diya tum to mere piche hi pad gaye...main barabar tumse mana kar rahi thi magar tum apni jid par ade rahe..akhir tumhari dosti ki khatir mujhe tumse milne aana pada...abhay dosti me aise nahi bulaate jara doston se baat karne ka tareeqa seekho ...
abhay ...abhay ka tareeqa nahi badalne wala..main jab bhi tumko bulaunga tumko aana padega..warna main suraj se bol dunga tum mujhe naina ke khilaaf bhadka rahi thi...yaad hai tumne us din kya kaha tha..tumne kaha tha..agar tumhari jagah mujhe naina mil jaaye to main tumko bhi chhod sakta hoon..yahi baat main suraj se bolunga uske baad tumhari kya halat hogi ye tum soch bhi nahi sakti...
abhay ki baat sunkar vidya ke sabr ka bandh toot jaata hai..ek sssaaannyyeennnn ki awaaz ke sath vidya ka chaku abhay ki gardan par lag jaata hai...
abhay ...hhuuhh
abhay ko iska andaza bhi nahi tha..vidya ke ander kitni kala hai..wo aise hi nahi bolti..vidya har vidya me nipud hai...
abhay ki aankhen bhay se chaudi ho chuki thi..dhaar daar chaaku uski gardan par sata hua tha...vidya apne gusse ko pite hue ab tak abhay ko pyar se samjha rahi thi..ab uski awaaz me vehshipan aa chuka tha...
vidya ...kya bola be tu vidya ki halat kharab karwayega..nadaan aadmi shayad tujhe pata nahi vidya kya cheez hai...agar tu suraj se meri shikayat kar bhi dega tab bhi mera kuch ukhadne wala nahi..apni safayi me mujhe bas itna hi bolna padega..main to ek example de rahi thi..tune babita ko chhoda uske baad mujhse dosti ki..sirf khubsurti ke kaaran..agar mujhse khubsurat ladki mil gayi..yaani naina to tu naina ki khatir mujhe bhi chhod dega..ye example mujhe suraj ko batana padega..uske baad meri nahi balki teri khair nahi hogi...
abhay se kuch bolte nahi ban raha tha..dar ki wajah se uske hath pair kamp rahe the..vidya chaku ka halka sa dabaw deti hai..aur abhay ki gardan se do bund khoon bahar nikal aata hai...
do bund khoon nikalte hi vidya apna chaku hata leti hai...chaaku hat te hi abhay apni gardan ko tatolta hai..khoon uske hath me lag chuka tha..apna khoon dekhte hi abhay ke mathe par paseena aa jaata hai...
vidya ...bada darpok aadmi hai do bund khoon dekhte hi tere mathe par paseena aa gaya..chii chii..chal tujhe ek mauka deti hoon tu takat me mujhse jeet kar dikha..agar tu jeet gaya to vidya khud apne saare kapde tere saamne utaar degi...
vidya ke har bol abhay ko darne par vivash kar rahe the..vidya apne dant peesti hai..aur ek jordaar laat abhay ko maarti hai..abhay dard se bilbilaate hue 3 fit door jakar girta hai...
vidya ...saale suwar madarchod tu vidya ko black mail karne ki koshish kar raha tha..magar shayad tujhe pata nahi hai..vidya black mail nahi hoti..balki black mail karti hai...
abhay dard se karahte hue badi mushkil se bol pata hai...
abhay...m mujhe m maaf kar do vidya iiiiiiiiiiiiiiii bahot dard ho raha hai..
vidya apni purse ke ander se painkiller ki ek tablet aur ek banded nikal kar abhay ke muh par maarti hai...
vidya ...ye painkiller kha aur banded ko apni gardan par laga le..bahot jald tera dard kam ho jayega...
vidya jaane ke liye mudti hai..magar wo phir se palat kar abhay ka girebaan pakad leti hai...
vidya ...sun be madarchod agar tune kabhi vidya ke sath dobara aisi gustaakhi karne ki koshish ki..to teri gardan se vidya khoon nahi nikalegi..balki teri gardan ko do hisson me alag kar degi...
vidya ki ye baat sunte hi abhay ke badan me sihran si daud jaati hai..magar vidya wahan nahi rukti wo abhay ki taraf bina dekhe nikal jaati hai...
.......................................................
agle din jab vidya college pahunchti hai..use ek hi dar sata raha tha..kahin abhay ne suraj ko sabkuch bata to nahi diya..
mamla vidya ki soch ke vipreet huwa tha..abhay ne suraj ko kuch nahi bataya tha..banded abhi bhi uski gardan par laga huwa tha..jise dekh kar suraj abhay se sawaal kar raha tha...
suraj ...abe teri gardan me chot kaise lagi...
abhay...kuch nahi yaar main chaku se kuch kaam kar raha tha..achanak chaku fisal gaya aur meri gardan par halki si kharonch aa gayi...
suraj ...saale kahin tera irada aatm hatya karne ka to nahi tha..warna chaku gardan par lag jaaye aisa pehle kabhi nahi suna...
abhay ...yaar tu jaanta hai..mujhse ulte seedhe kaam hote rehte hain..ye kaam bhi ulta ho gaya..
suraj ...aur gadhe se ummeed bhi kya ki ja sakti hai..kyunki gadhe saare kaam ulte karte hain...
abhay bura sa muh banata hai..
abhay...yaar tu mujhe gadha mat bola kar..mujhe accha nahi lagta...
suraj ...gadhe ko gadha bolunga to use accha kaise lag sakta hai...
suraj ki baat sunkar abhay gusse me wahan se jaane lagta hai..magar suraj use rokte hue bolta hai...
suraj ...are yaar tu to naraaz ho gaya accha ab main tujhe gadha nahi bolunga..ab khush...
abhay ...haan ab main khush hoon..
suraj ...hmmm aur haan chaku churi theek se chalaya kar..dekh teri bewaqoofi ki wajah se teri gardan Kat sakti thi..
abhay...suraj main dhyaan rakkhunga..aage se mujhse aisi galti nahi hogi...
suraj ...hmmmm
chaku maine nahi chalaya tha..chaku to us kamini vidya ne meri gardan par lagaya tha...magar mera naam bhi abhay hai..waqt aane par main us kutiya ko bhi dekh lunga...mujhe kisi aur ko bhi dekhna hai..bas waqt ka intezaar hai..
kehte hain jindgi sabhi ko safal hone ka ek mauka jaroor deti hai..mujhe bhi us mauke ka intezaar hai..wo mauka mujhe kab aur kaise milega main nahi jaanta..magar milega jaroor itna mujhe yakeen hai..aur jab mujhe mauka milega tab main gin gin kar badle lunga...
abhay apne man ye kitna ghatiya soch raha tha..ye abhay ke siwa kisi ko pata nahi tha...abhay ko ek mauke ki talash thi..magar kya sach me jindgi ek mauka deti hai..ye samay batane wala tha...
.......................................................
robert ka phone ring kar raha tha..phone suraj ka tha..robert phone ko pic karta hai...robert kuch bol pata usse pehle suraj bolta hai..
suraj ...robert maine tumne jo phone number diya tha..ab waqt aa gaya hai tum use number ko track karo aur mujhe batao wo number is waqt kahan travel kar raha hai...
robert ...sure suraj...
suraj ...robert abhi main jaanta hoon wo number kahan travel kar raha hai..magar aage kahan travel karega iski mujhe jaankaari nahi hai
robert ...don't worry suraj wo number jahan bhi jaayega robert tumko uski puri khabar deta rahega
suraj ...hmmm
udhar naina party manane ke liye vidya ke ghar apni saari friends ke sath pahunch chuki thi..naina ko dekhte hi vidya uska welcome karti hai..
vidya ...naina mere ghar me tumhara swagat hai..aur suraj kahan hai..
naina vidya ke ghar ko apni paarkhi nazron se dekhti hai..waqai vidya ka ghar bahot hi aalishaan bana huwa tha...
naina ...suraj ko ek bahot jaroori kaam tha isiliye wo mere sath nahi aa saka..
naina ki baat sunkar vidya ke honth sikud jaate hain...wo haule se muskuraati hai..
vidya ...koi baat nahi naina agar suraj nahi aaya..waise bhi ye ladkiyon ki party hai..isme ladkon ka kya kaam...
naina ...naina ka har kaam suraj se suru hota hai..but..kabhi kabhi uske bina bhi kahin jana padta hai...
vidya ...wo to hai..waise tum akeli kaise aayi ho...
naina ..main apni scooti se aayi hoon..
vidya uske baad kuch nahi puchti sabhi ander aa chuke the..ghar ke haal bahot bada tha...
surbhi aur dipti dekhti hain ki haal ke side me dj rakkha hai..wo daud kar dj Baja deti hai..aur awaaz ko itna tez kar deti hain ki dj ki awaaz kaano ke parde phadne lagti hai...
naina ko itni tez awaaz pasand nahi thi..wo jor se chillaati hai..
naina ...surbhi mujhe itna tez sound pasand nahi ise dheeme karo...
magar naina ki awaaz tez music me kahin kho kar reh jaati hai..wo phir se cheekhte hue bolti hai..is baar uski cheekh vidya aur babita dono sunti hain..aur dj ki awaaz kam ho jaati hai..
dj ki awaaz kam hote hi naina rahat ki sans leti hai...dj ki awaaz kam karne ke baad vidya naina ke paas aati hai..
vidya ...naina kya piogi visky ya rum
naina ...vidya main drink nahi karti
vidya ...kamaal hai..tum itni rich family se belong karti ho..phir bhi drink nahi karti...
naina ...kya sabhi rich family wale drink karte hain...
vidya ...koi jaroori nahi..
naina ...tumne meri baat ka jawaab khud hi de diya..waise meri friends bhi drinks nahi karti..isiliye kuch aur mangwaya hai..ya khali drink ki party karne ka irada hai...
vidya ...main jaanti thi aisi Naubat aayegi..isiliye maine soft drink ka intezaam bhi kiya hai...
vidya ki baat sunkar naina uski aankhon me dekhti hai..naina ke is tarah dekhne se vidya thoda uncomfortable feel karti hai..aur wo halke se apni aankhein jhuka leti hai...vidya ke is tarah nazren jhukaane se naina muskuraate hue bolti hai...
naina ...vidya ab gale ko tar karne ka time hai..tabhi to party ka maza aayega..jao aur soft drink lekar aao
vidya ...gala baad me tar hoga chalo pehle kuch khaate hain..uske baad dance karte hue party ko celebrate karenge..aur sath me gala bhi tar karenge...
surbhi aur dipti ko jaise khaane ki jyada jaldi thi..wo fataak se bolti hain...
vidya ne ek se ek badhiya dish banawaye the...surbhi aur dipti to khana dekhte hi khaane par toot padti hain..babita halka fulka khaati hai..naina bhi babita ki tarah hi thoda khana khaati hai..
khana khaane ke baad suru hota hai..laud music..jise surbhi ne bajaya tha...naina fir se tez music sunkar gussa hone lagti hai..magar is baar uski koi nahi sunta..babita ko bhi tez music raas nahi aa raha tha..magar wo filhaal chup thi..
vidya sabhi ko cock pepsi ke glass sarve kar rahi thi..sabhi soft drink peeti hain..surbhi dipti ko jaise hosh nahi tha..wo apni dhun me nach rahi thi...
achanak babita ko bathroom lagti hai..wo vidya ke kaan me bolti hai..ki use bathroom jana hai..vidya use bathroom ka raasta bata kar jaldi se wapas aa jaati hai...
aate hi vidya naina ki kamar me hath daal deti hai..aur uske sath dance karne lagti hai..magar naina ka sir ghoom raha tha..uski aankhen band ho rahi thi..vidya naina ki halat dekh kar apne man me hasti hai...
kuch hi der me babita bathroom karke wapas aati hai..magar wo naina ko wahan nahi paati..naina ko na paakar wo idhar udhar naina ko dekhti hai..magar naina use kahin dikhayi nahi deti...
babita ko jab naina kahin dikhayi nahi deti tab wo music ko band kar deti hai..music band hote hi surbhi aur dipti ka dance ruk jata hai..
babita ...surbhi naina kahan hai...
surbhi...naina mujhe kya pata abhi kuch der pehle to yahin thi..
babita ...yahin thi phir itni jaldi kahan chali gayi..
babita ye baat thoda ghabraate hue bolti hai...usi waqt vidya ek room se nikalti hai...
vidya ...naina to apne ghar chali gayi..
babita ...kyaaa ghar chali gayi magar kyun...
vidya ...naina ki maa ka phone aaya tha..unhone naina ko turant ghar aane ko bola isiliye wo chali gayi...
babita ...magar usne mujhe to kuch nahi bataya...
vidya ...kaise batati tum bathroom me thi..aur ye dono dance karne me busy thi..isiliye usne mujhe bola tha..ki main tum sabko baad me bata du..taaki uski wajah se tum sabki party kharaab na ho...
babita ...jab naina hi chali gayi phir party kis kaam ki isiliye ab hum bhi chalte hain...
vidya ...babita one minut tum sab piche ke raaste se nikal jao..abhi abhi mere papa ka phone aaya tha..wo ghar pahunchne wale hain unhone agar tum sabko ghar se bahar nikalte hue dekh liya to mujh par gussa karenge...
vidya ki baat maante hue sabhi piche ke raaste se bahar nikal jaati hain..sabke bahar jaate hi vidya ke chahre par ek kamini muskaan aa jaati hai...wo muskurate hue ek room me ghus jaati hai..jahan naina behoshi ki halat me padi thi..
vidya kuch der khadi khadi hasti rehti hai..uske baad wo naina ko badi mushkil se uthaati hai..aur wo bhi piche ke raaste se bahar nikal jati hai...
dusri taraf suraj ne jo number robert ko diya tha wo uski puri khabar le raha tha..magar number abhi bhi wahi travel kar raha tha..yaani vidya ke ghar ke aas paas..
suraj khud vidya ke ghar ke kuch door khada hokar robert se saari information le raha tha...
suraj ne jo number robert ko diya tha wo vidya ka tha..aur use ye kaam naina ne karne ko bola tha..kyunki naina ko vidya par shak ho chuka tha...wo jaan gayi thi ki vidya ke piche kaun hai..isiliye usne asli mastermind tak pahunchne ke liye ye chaal chali thi...
magar naina ka danw ulta pad chuka tha..vidya naina ko lekar piche ke raaste se nikal chuki thi..suraj isse anzaan vidya ke ghar se kuch door khada hokar naina ke bahar nikalne ka intezaar kar raha tha...
dusri taraf babita ko thodi tension ho rahi thi..isiliye wo suraj ke paas phone karti hai..taaki wo jaan sake naina party se bina bataye ghar kyun chali gayi...
babita jaise hi suraj se bolti hai.. suraj kya wajah thi jo naina kisi ko bina bataye ghar chali gayi...
babita ke ye bol sunte hi suraj ke hath pair kamp jaate hain..wo aage koi baat nahi sunta ..suraj hawa ke jhonke ki tarah vidya ke ghar me ghus jata hai...
vidya ke ghar me bilkul sannata chhaya huwa tha..suraj idhar udhar daudta hai..magar use naina kahin dikhayi nahi deti..
suraj ...hello robert jo number maine tumko diya tha wo is waqt kahan travel kar raha hai..
suraj ke dil ki dhadkane tez thi uska dil kisi anhoni ko lekar ghabra raha tha...
robert ...suraj location wahi hai..jo main suru se tumko bata raha hoon
suraj ...whaattttt
robert ...haan suraj...
suraj ki kuch samajh me nahi aa raha tha..ye sab kya ho raha hai..aakhir vidya yahan nahi hai..phir uske number ki location kaise nahi badli...
tabhi suraj ki nazar ek kone me rakkhe mobile par padti hai..ek nahi balki do mobile ek dusre ke upar rakkhe the..
wo jaldi se mobile ko dekhta hai..ek mobile usme naina ka tha..aur dusra vidya ka..mobile ke neeche ek chitthi rakkhi thi..suraj jaldi se us chitthi ko padhne lagta hai...
dear suraj main jaanti thi ki tum apni jaan ko bachaane jaroor aaoge..itna pyar karte ho naina se..magar tum apni akalamandi me aakar dusron ko bewaqoof samajhne ki galti kar baithe..maine tumko tabhi dekh liya tha jab main apne ghar ki chhat par gayi thi..main dekhna chahti thi aas paas koi khatra to nahi..aur mujhe khatre ke roop me door khade tum dikhe..haan suraj tum mujhe bewaqoof samajh baithe..kya main jaanti nahi ki phone number se meri location bahot asaani se pata laga li jaayegi..isliye apna phone main tumko tohfe ke roop me dekar ja rahi hoon...isme game khelo aur time paas karo..kyunki vidya ko pakadna tumhare bas ki baat nahi..
waise sach kahu tum mujhe bahot pasand aaye...tumhara look tumhari body uuuff kamaal ki hai..kash ek baar main tumhare neeche aa paati..magar main kisi aur kaam se aayi thi..aur mera kaam pura bhi ho gaya hai..naina mere jaal me fas chuki hai..bas shikaar hona baaki hai..suraj main tumko challenge deti hoon.. naina ko mujhse bacha sakte ho to bacha lo...magar main jaanti hoon..tum ye kar nahi paaoge..pata hai kyun..kyunki vidya ne apni chaal ke mohre bahot soch samajh kar bichaaye hain...vidya hoon main..aur vidya ke changul me fasa huwa shikaar kabhi bach nahi sakta...kyunki vidya har vidya me nipud hai ....
chitthi padhte hi suraj ka pura jism paseena chhod deta hai..wo bijli ki raftaar se ghar ke bahar nikal jaata hai...
vidya ki car badi tezi se aage badhti ja rahi thi. car ki piche ki seat par naina behoshi ki halat me padi thi...magar uski car ke bahot piche ek bike uska picha kar rahi thi..vidya is baat se anzaan thi ki koi uska picha bhi kar raha hai..
magar picha karne wala shakhs suraj nahi tha..wo bahot savdhaani ke saath vidya ki car ke bahot jyada piche tha taaki chahkar bhi vidya ko uspar shak na ho sake...
ab dekhne wali baat ye hai..agar vidya ke piche suraj nahi hai phir kaun ho sakta hai...jo bahot savdhaan ka prichay dete hue vidya ke piche laga huwa hai...
doston kahani ke baare me apne apne review jaroor den....like karen support karen