Update – 1
Yaar, pichle 15 minutes se hum sab tumhara wait kar rahe hain, ab aa bhi jao -- Ashar ne jhunjhata hue kaha.
Sorry darling! Bas 5 minute aur, main aa rahi hoon -- Sofia ki awaaz andar se aayi.
Ashar ne munh banate hue phone kaat diya. Chirchira kar bola -- Wasi! Tumhari mama ka bhi koi kaam waqt par nahi ho sakta.
Wasi ne koi jawab nahi diya. Wo apne mobile mein game khelne mein magan tha, jaise dunya se koi wasta na ho. Ashar ne uske baazu ko halke se jhanjhora, -- Hello bhai sahab Aap se baat kar raha hoon.
Kya hai Papa! Meri game kharab ho rahi hai, chhodein mujhe,--- Wasi ne chid kar apna hath chhudaya.
Itni der mein gaari ka darwaza khula aur Sofia andar dakhil hui. Aate hi boli, -- Aap ne abhi tak gaari start nahi ki

Ji, aap hi ka intezar ho raha tha Malka-e-Sheba -- Ashar ne tanz kiya.
Sofia: To chalein phir, ab main aa gayi hoon.
Ji, jaisa aap ka hukam, --Ashar ne gaari gear mein dali.
Abhi gaari thodi door chali thi ke Sofia ko yaad aaya, -- Ashar, raste mein se ek cake pack karwa lena.
Ashar: Kyun? Jo kal laya tha wo kidhar gaya?
Oh... wo is monkey ne thoda sa kha liya tha, isliye ab wo kisi ke ghar to nahi le jaya ja sakta na, Sofia ne Wasi ki taraf ishara karte hue kaha.
Ashar: Chalo koi baat nahi. Hum almost har weekend par hi jate hain unke ghar, kab tak in formalities mein paise zaya karte rahenge.
Acha theek hai, chalein phir, Sofia ne baat khatam ki.
Yeh tha Ashar, uski biwi Sofia, aur unka chaar saal ka beta Wasi. Teeno A-City, Saudi mein rehte the. Aaj weekend par Sofia ke bade bhai Asif ke ghar dinner ke liye D-City ja rahe the.
Takreeban 2 ghante baad wo D-City pahunch chuke the. Jate hi dinner ready tha, so sab ne pehle khane par hath saaf kiya.
Wah bhabhi! Maza aa gaya, aaj to kamaal ka khana banaya hai aap ne -- Ashar ne nivala todte hue tareef ki.
Asif (Ashar ka saala) foran bol utha -- Is mein tumhari bhabhi ka koi kamaal nahi hai, ye sab main ne home delivery karwaya hai.
Ashar hans pada, -- Hahaha! Acha? Lekin phir bhi bhabhi ka credit to banta hai, unka hath lagne se khane ka maza dobala ho jata hai.
Asif -- Yaar waisa ye line to meri honi chahiye thi!
Aap bolte nahi hain na, isliye aapke behalf par main ne bol di --- Ashar ne qehqaha lagaya to sab hansne lage.
Bhabhi (Sabiha) muskurate hue boli: Chalo meri tareef bohot ho gayi, jaldi khana khatam karo phir bartan samait kar mujhe aur Sofia ko mall bhi jana hai. Pehle hi kafi der ho jayegi.
Andar hi andar woh Ashar ki tareef sun kar bahut khush thi. Uska husband Asif bahut acha tha, lekin uski tareef kam hi karta tha.
Sabiha ek housewife thi. Chaar bachchon ki maa hone ke bawajood usne apne aap ko bilkul maintain kiya hua tha kahin se bhi 35+ se zyada ki nahi lagti thi.
Asif uska husband, bada beta Jibran kisi aur country mein medical studies ke liye rehta tha. Laiba, sabse badi beti, second year mein thi. Sana first year mein, aur Nomi sabse chhota.
Khane se farigh hokar Asif, Sabiha aur Sofia ko mall drop karne chala gaya, Laiba apne kamre mein study mein masroof ho gayi, uske exams chal rahe the. Nomi mobile games mein busy tha. Sana chupke se TV lounge mein apne phupha Ashar ke paas ja kar baith gayi.

Kya phupha ji! Aaj bada makhan lagaya ja raha tha Mama ko? -- Sana ne shararat se pucha.
Ashar muskura diya: Arey tumhari mama to hain hi makhan, to makhan ko makhan kaise lagaya ja sakta hai.
Sana: Achaaa... to apni wife ke bare mein kya khayal hai.
Wo to tumhein pata hai... chocolate hai,-- Ashar ne dhiime se kaha.
Hmmmm... aur Laiba? Sana ne achanak pucha.
Ashar thoda jhatka kha kar bola,: Arey... wo to bachi hai abhi.
Sana; Bachi kidhar hai? 20 saal ki ho gayi hai. Aur main to waisa aap se uska flavour pooch rahi hoon.

Flavour to ice-cream ka hota hai,-- Ashar hanste hue bola, baat ko taalna chahta tha.
Sana: Acha … To Mama aur Phopho koi ice-cream hain jo unka flavour bataya ja raha tha?.
Ashar ke paas ab koi jawab nahi tha. -- Wo bola, Bohot tez hoti ja rahi ho. Kuch study bhi kar liya karo, kab exams ho rahe hain tumhare.
Sana ne munh banaya, Aap ko pata hai, mujhe un baron se nafrat hai jin ke paas jab jawab na ho to wo bachon ki parhai par aa jate hain. Aur aap to un mein se nahi hain, isliye aap ke sath meri banti hai. So please, ye stupid baatein na karein mere sath

Ashar thoda defensive hua, -- Acha baba, sorry!.
Sana: Ok maaf kiya, kya yaad karenge... to chalein, bataiye!
Ashar: Kya?.
Laiba ka flavour? .. Sana ne ek wink ke sath shararti smile di.

Tum bhi na puri shaitaan ho! Mujhe kya pata, main ne chakha thori hai, … Ashar ke lehze mein thodi si larkharahat thi.
Ooo acha! To Mama ka aap ko kaise pata? Unka kahin... cha... kha... hai? … Sana ne ruk ruk kar, aankhon mein aankhein daal kar pucha.
Ashar: Arey meri maa! Mera ye matlab nahi tha, tum bhi baat kahan ki kahan le jati ho.
Sana; To kya matlab tha aap ka? Bataiye mujhe.
Ashar ne sambhalne ki koshish ki, …Tum log to hamare liye bachon ki tarah ho, to tum logon ko... aisi waisi nazar se thori dekhenge.
Aisi waisi nazar matlab? … To kya aap Mama ko waisi nazron se dekhte hain Hunh? … Sana ne usay puri tarah gher liya tha.
Ashar ko laga baat kahin aur nikal rahi hai. -- Arey, tum abhi bachi ho. Tumhein nahi pata main kya bol raha hoon.
19 saal ki ho gayi hoon main, sab pata hai mujhe, Sana ne pur-etemaad lehze mein kaha.

Ashar ne usay challenge kiya, Maslan kya pata hai aap ko? Zara mujhe bhi pata chale.
Sana: Sab kuch pata hai, poochein kya poochna hai.
Ashar: To ye batao, jab main tumhari mama ko makhan kehta hoon to uska kya matlab hai?.
Ab Sana ki thodi si ghabrahat ki baari thi….lekin usne show nae hona dia.. Usne thook nigla aur boli,

Sana: Hmmm… yeh hi ke unka colour white hai, woh bahut pretty aur fresh lagti hain, isliye aap unko makhan bolte hain. Usne bahut safe lafzon mein define kar diya.
Ashar: Exactly! Tum kafi kuch janti ho.
Sana ne muskurate hue kaha, Haan ji. To ab bataiye Laiba ka flavour?
Ashar hans pada, Hahaha! Tum bohot ziddi ho.
Sana: Wo to aap ko pata hai.
Ashar: Hmmmm... she is strawberry flavour.
Sana; Strawberry… hunnn… woh thodi der ruk kar boli, --- Aur… main?
Ashar thoda hairat se bola,
Achaaa… tum… Ashar ne usey ooper se neeche tak dekha … uski nazar uske dupatte ke neeche se jhanki hui cleavage par ruk gayi, phir uski kamar, phir uski jeans mein bandhi hui jaanghon tak.

Sana ne foran apna dupatta apne seene par theek kiya, … Ye kya kar rahe hain aap?
Ashar: Kya? Kya kiya main ne?
Sana: Ye aap mujhe kaise dekh rahe the?
Kaise dekh raha tha? … Ashar ne uski tone copy ki.
Sana: Acha chhodein, batayein jo main ne poocha.
Ashar ne ek shararti muskurahat ke sath kaha,: Ab tum ne sab kuch cover hi kar liya hai, ab kaise bataon?
Whaaat...?: Sana ne hairat se cheekha.

Asif lounge mein dakhil hua. Kya ho gaya, kyun cheekh rahi ho? woh Sana ki taraf dekhte hue bola.
Sana usey dekhte hi ek dam se ghabra kar uthi. : Kuchh nahi baba, aap unko drop kar aaye? Main aap ko paani pilati hoon,…. aur bina jawab sune kitchen ki taraf bhagi.
(Sana aur Ashar mein kafi dosti thi. Ashar ki sab bachchon se achhi banati thi, lekin Sana uske saath zyada attached thi. Pichhle kuchh mahinon se unki baatein kaafi open ho gayi thi, aur Sana isey khoob enjoy karti thi.)