Update - 28
.
.
.
Harsh ( mann mai ) :- ab mere pass 2 raste hai ya toh mujhe manya ko sab bata dena chaiye mujhe yakeen hai woh samjh jayegi ya fir mujhe ye sab secret rakhna hoga or phele Mehta sir se baat karni hogi ...
.
.
.
kehar iss soch se nikal harsh canteen wapas jaata hai or sab ke saath baithta hai aise hi unka aaj ka college ka din khatam hota hai
.
.
.
jab wapas jaane ka waqt hota hai tab sab parking ki taraf jaate hai sab hass khel baate kar rhe the
.
Tabhi harsh dekhta hai ki Manya achanak thode gusse mai nazar aa rhi thi jab woh uski nazro ka picha karta hai toh dekhta hai ki thodi hi duri par janvi apni car ke pass khadi thi or ek tak harsh ko hi dekh rhi thi
harsh(mann mai ) :- aaj jo bhi hua usse mayu pehel hi upset hai or uper se janvi ki ye harakat isko toh ungli pakdao haath pakadne lagi mujhe mayu ko isse durr hi rakhna chahiye pata chale mayu iske daat hi na tod de aaj
tabhi harsh ko kuch jhuzta hai or manya ka haath kass kar pakad leta hai or usko leke pink tak jaata hai iss doraan harsh ne janvi ko bilkul ignore kara tha ...... Ye sab dekh jaha Manya acha feel kar rhi thi ..... Wohi janvi ki muskurahat gayab ho jaati hai
janvi harsh ko jaate hue dekh rhi thi or soch rhi thi ki
janvi ( mann mai ) :- isko achanak kya hua abhi canteen jaane se phele toh hass hass ke baate kar rha tha ... Iss Manya ne aisa kya khila diya ki uske baad se dekh hi ni rha.... Koi baat ni Manya mai bhi janvi hu or harsh sirf mera hoga.....
.
(Baat ye thi ki jaise harsh ne aaj janvi se baat ki thi usse janvi ko lagne laga tha ki harsh ke mann mai uske liye kuch toh hai bss woh Manya ke samne dikha ni pata)
.
Yehi raste mai manya harsh ko piche se tight hug karte hue uske gaalo par ek jordaar kiss karti hai
.
Harsh jisko abhi Manya se iski umeed ni thi bolta hai:- kya baat hai madam bade ache mood mai lag rhi hai chalo acha hai iss gareeb ka toh bhala kara aapne
Manya :- excuse me aap koi gareeb nhi hai mister or meri Marzi mai khush hu toh thoda Bhala toh kar hi sakti hu
harsh:- fir bhi khush khaas hua hai kya
MAnya:- woh toh aap khudi socho ..... Aaj aapne fir saabit kar diya ki aapka pyaar Kitna sacha hai jab aapne janvi ke samne mera haath kass ke pakda mujhe bhot acha laga (ye baat Manya harsh ke kandhe par sir rakhte hue bolti hai )aapne meri saari insecurity ek baari mai durr kardi
harsh dekhta hai Manya thdi emotional si ho gayi toh woh bolta hai
Harsh:- waise tumhara naam na angry bird rakh dena hai tumhe dekh ke toh ek baar mai darr gaya tha tumhe itne gusse mai dekh kar
Manya:-acha jii aapko mujhse Darr bhi lagta hai....
harsh:- or kya tumhe dekh kar lag rha tha tum aaj janvi ko kha hi jaogi
Manya:- (harsh ko mukka marte hue) khau ya jo bhi karu aapko kya saali mere maal par nazar daalti hai .... Aankhein na noch lu mai uski or hasne lagti hai
harsh Manya ko mirror se hasta dekh muskura deta hai
iss nok jhok mai wo ghar phoch jaate hai harsh Manya ko drop karta hai or Nikal padta hai
thoda aage jaake harsh Mehta ko call karta hai
harsh:- hello sir
Mehta:- ohh harsh bolo kaise phone kiya koi problem toh ni
harsh:- Sir problem abhi toh ni hai lekin ho sakti hai
Mehta:- mai samjha ni batao mujhe kya problem hai mai kuch karta hu
harsh:- sir woh Manya ...
.
Harsh aage kuch bolta tabhi
mehta kuch soch ke bolta hai
.
.
Mehta:- ruko harsh aisa karo tum kal aake mujhe mere office mai Milo .... Tab baat karte hai.
.
harsh ko bhi yehi sahi lagta hai or woh kal aane ka wada karke phone rakh deta hai.
.
.
Harsh aasaan ki taraf dekh kar khud se bolta hai
mai tumhara kabhi tutne nhi dunga meri mayuuuu.....
.
.
.
to be continue
stay tuned
and give your review...