• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,202 83.0%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 189 13.1%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,448

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,065
259
Last edited:

Ranveerx

Story ka Deewana?
1,937
12,544
143

Looserr

RIP
Staff member
Sectional Moderator
21,972
19,501
229
Edit ho raha hai.
Jaldi edit karo bhai mere mobile me bas 6% battery hai mujhe update padhke mobile charging par bhi lagana hai
 

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,065
259
Update - 32 ~ The Calm before the Storm.
Ab tak...

Idhar Veer saare intezaamo se khush tha aur ab wo ring waapas karne ke liye jaane hi waala tha.

Wo jese hi darwaaze par aaya toh gate ke baahar hi usse kuch awaaz sunaayi dii.

"Aaiye Dad... Aaiye Mom!"

Aur jese hi usne gate khola...

Saamne Vivek, Sumitra aur Karunesh car se utar ke seedha uske saamne hi khade the.


Ab aage...

Jese hi Veer ne gate se baahar nikal ke saamne dekha toh wo chaunk gaya. Aur kyu na chaunkta? Saamne uska bada bhai Vivek aur uske chacha chachi jo khade hue the.

Jab unn teeno ne Veer ko dekha toh unke chehre par bhi wahi bhaav the jo Veer ke chehre par the.

Hairaani ke bhaav!

"Veeeer!??" Sumitra ke hontho se apne aap Veer ka naam usse dekhte hi nikal gaya.

Karunesh bhi hairaan tha aur Vivek bhi. Akhir Veer Ragini ke ghar kya kar raha tha!?

Agla scene yahi tha ki sabhi hall me baithe hue the aur ek ajeeb sii khaamoshi chhaayi hui thi.

Na koi kuch bol paa raha tha na hi kar paa raha tha. Mahaul behad hi awkward ho chuka tha.

Aur ye ajeeb sa sannaata jese uss awkwardness ko aur badhaata jaa raha tha.

Karunesh aur Sumitra dono hi Ragini ko dekhte jo unke saamne hi sofe par baithi hui thi aur fir Veer ko dekhte jo uske bagal se lage sofe se baitha hua tha.

Ragini ke chehre par koi bhaav nahi the. Wo ekdum nidar hoke baithi thi jiske chalte Veer khud hairaan reh gaya. Usse laga tha ki uski Bhabhi thoda seham gayi hogi yu achanak apne saas sasur ko dekh ke. Par Ragini toh jese ekdum taiyaar baithi hui thi.

Jese maano wo wait hi kar rahi thi ki aao aur puchiye sawaal aur koshish kariye mujhe ghar le jaane ki.

Uska ye attitude dekh Karunesh aur Sumitra ki bolti band thi. Akhir kaar, kuch palo ke baad Sumitra ne badi hi himmat juta ke baat shuru kii.

Sumitra : B-Beta Ragini?

Ragini (smiles) : Jii?

Ragini ki muskaan dekh Sumitra duwidha me pad gayi aur apne shabdo ko kehne me uski hich-kichaahat aur jese badh gayi.

Sumitra : Wo... Dekho beta. Hume ghar me sabhi ko sab kuch pata chal chuka hai. Itni badi ghatna ho gayi... Yaha tak ki ab bhi ye police ke saath lage hue hai... Aur waha uss waqt kya sthiti thi ye hum samajh sakte hai. Tumhare maa baap pe jo beeti wo bhi behad hi dukhad aur chinta janak ghatna thi.

Ragini : Hmm!

Sumitra : Toh... Toh... Beta jo kuch bhi waha hua wo... Wo ek haadsa tha. Iske chalte hume aur ekjut hona chaahiye hai na? Na ki aur aise rishto ke beech misunderstanding paida karni chaahiye.

Ragini : Mene kab hi misunderstanding khadi kii maa jii? Misunderstanding toh... Aapke hi bete ne kari thi. Meri jaan daav pe laga ke.

Ragini ke harr ek shabd kaate ki tarah Sumitra ko chubh rahe the. Akhir baat sach jo thi. Uske apne hi bete se galti hui thi aur wo jaanti thi. Par wo kese bhi karke ye maamla aur nahi bigaadna chaahti thi.

Sumitra : M-Mein jaanti hu beta. Vivek se galti hui hai. Ye toh hai hi naalayak...

Vivek : Huh? W-Wha...!? What?? Maa??

Sumitra : Par... Tum bhi toh samajhdaar ho beta. Aise yu muh ferr ke ghar se aake yaha akele rehne lagna. Ye toh koi hal nahi hua na samasya ka? Humr baith ke baat karke isse suljhaana chaahiye na?

Ragini : Samasya?? Kesi samasya? Mera dil chotil hua hai Maa jii! Mera dil...

Bolte bolte, Ragini ki awaaz tezz ho chuki thi aur aankho me nami bhi panapna shuru ho chuki thi, jo Veer side se gaur se notice kar paa raha tha. Par fir bhi, wo shaant hi raha.

Ragini : Khud ko meri jagah rakh ke dekhiye Maa jii! Kesa lagega aapko? Yadi aap meri jagah hoti aur sasur jii aapko ye kehte ki, "meri jaan bacha lo aur meri patni ki jaan lelo." Kesa lagta aapko? Boliye?? Jawaab dijiyeee!??

Aur bas...

Sumitra ka sarr apne aap jhuk gaya. Wo nazre milaane laayak nahi thi.

Karunesh : Ragini beta... Dekho! Ye baat hum sabhi jaante hai aur tum dono bhi jaante ho ki tum dono hi ek dusre se boht pyaar karte ho. Hai ki nahi Vivek?

Vivek : Of course Dad! Ragini! You do know how much I love you right? Unn baato ko tum soch rahi ho par unn baato ko kese bhul gayi Ragini? Jab humne saath saath jo time spend kiya, saath saath kayi jagah ghumne gaye, kitne sweet moments humne bitaaye... Yaad karo. Kya tum meri bas ek galti ke chalte hamaara saara ateet bhula dogi? Sab kuch?

Vivek ki baat sunn Ragini ki bauhe sikudi aur pal bhar ke liye usse apne ateet ke khush-haal pal yaad aane lage. Waqai! Usne apne dil se Vivek ko chaaha tha. 2 saal se wo dono relationship me the aur uske baad hi unhone shadi kari. Lagbhag teen saal ho chuke the unhe.

Par firse...

Ragini ko jese agle hi pal wo scene yaad aa gaya. Wo scene jidhar wo bandhi hui thi, aur uska pati Vivek, khud ki jaan ki bheenk maang, apni patni ki jaan daav pe laga raha tha.

Aur ye sochte hi Ragini ka paara fir chadh gaya.

Ragini : Mere dil pe jo ghaaat pohuchi hai. Wo tum nahi samjhoge Vivek kabhi. Kabhi nahi!

Vivek : R-Ragini!?

Ragini : Yadi... Yadi uss waqt uss aadmi ne mere sarr par revolver rakh ke yahi sawaal pucha hota toh pata hai mera jawaab kya hota? Mera jawaab hota... Ki meri jaan lelo... Par mere suhaag ko kuch na hone paaye... Mujhe laga tha ki tum bhi mujhse utna hi pyaar karte ho Vivek... Par dekho... Dekho! Mein kitni galat thi. Dekho... *Sniff*

Aur Ragini ke aasuo ka baandh toot gaya.
Wo rone lagi.

Tabhi usse kandhe pe apne kisi ka haath mehsoos hua. Jese hi usne apna sarr utha ke dekha toh paaya ki...

Veer usse dekh uske kandhe par haath rakhe hue tha. Aur na jaane kyu, aaj Veer ko apni taraf se pehli baar pahal karte dekh Ragini ka mann andar se hi behad prafullit ho utha. Wo apna haath badhaa ke Veer ka haath thaamti aur uski bhavnao ko samajhti par...

Saamne uske saas sasur aur uska pati maujood tha. Wo chaah kar bhi... Ye na kar saki.

Idhar Veer ke iss chote se gesture ne jese baaki sab ko hila ke rakh diya. Karunesh aur Sumitra toh the hi hairaan par Vivek aankhe faade Veer ke haath ko dekh raha tha jo iss waqt uski patni ke kandho par maujood tha.

Aur uski aankhein fati ki fati reh gayi thi.

Aur jo usse nahi karna chaahiye tha wo akhir usne kar hi diya.

Vivek : Tum yaha kya kar rahe ho Veer? Akele? Apni Bhabhi ke saath?

Uska sawaal sunte hi agle hi pal Ragini ki aankhein hairaani ke maare fel gayi. Par fir achanak hi uske chehre par ek muskaan aa gayi.

'Mujhe toh samajh jaana chaahiye tha. Tum se akhir yahi ghatiya soch ki umeed thi mujhe Vivek. Mene tumhe kya socha tha aur tum kya nikle. Par... Dosh toh mera hi hai na? Jo mein aise vyakti se pyaar kar baithi? But Thanks to that incident. Akhir meri aankhein toh khul gayi.'

Wo sochte hue ekdum asahaay sii chintan me doob gayi.

Idhar Sumitra apne bete ki baat samjhte hue usse chillaane hi waali thi ki tabhi Veer bol pada.

Veer : Kya kar raha hu matlab? Mein Bhabhi ke saath hi yahi rehta hu.

Vivek : Kyyyyaaaaaa!????

Vivek shock ke maare apni jagah se uth gaya aur unhe ghoorne laga.

Veer : What? Uss ghar se toh mujhe wese hi nikaal diya gaya hai. Uske baad mein apni Ma'am ke saath reh raha tha unke ghar. But mein nahi chaahta tha ki unhe aur pareshaani hoye so I left. Finally, Bhabhi ne mujhe yaha rukne ko keh diya. So, I'm here now. Any problem with that?

Vivek keval daant meesta reh gaya par kuch derr tak bol na paaya. Apni patni ko akele apne chote bhai ke saath dekh, khaas kar uss chote bhai ke saath jis se wo behad nafrat karta aaya hai. Mirchi toh lagni thi. Gussa bhi jayaz tha. Par ek shaq bhi paida ho chuka tha. Wo shaq jo kabhi nahi hona chaahiye tha. Wo shaq jo ghatiya soch ka ek prateek tha.

Aur wo kehte hai na, Gusse me aadmi apna aapa kho baithata hai.

Wahi hua.

Vivek (uchi awaaz me) : Raaaginiiii???? Ye sab kya hai??? Tumhe pata bhi hai tum kya keh rahi ho? Aas paas ke log kya sochenge yadi unhe pata lagega ki ek aurat apna ghar aur pati ko chorr ke yaha akele apne dewar ke saath reh rahi hai? Bolo?? Koi sense hai tum me ya nahi??

Vivek ke teekhe bol poore hall me goonj rahe the . Par Ragini jese helpless ho chuki thi poori tarah. Wo muskuraayi aur fir ek niraasha aur aasha-heen chintan me doob gayi,

'Shayad sach hi kaha gaya hai. Ki insaan apna asli roop tab hi dikhaata hai jab maut uske saamne khadi ho. Vivek! Tumne bhi dikhaaya tha. Aur ab toh tumhaare aur naye naye rang mujhe dekhne ko mil rahe hai. Kitni dukhad gaatha hai na meri? Ya fir yahi sahi tha? Hmm! Veer ke saath bhi toh mene galat kiya tha na? Ye unhi karmo ka fal hai. Uparwaale ki aankho se koi apraadh nahi bachta.'

Wo gusse se Ragini ko dekh raha tha aur jawaab ki maang kar raha tha par bechaari Ragini apne gham me hi doobi hui thi.

Sumitra : Viveeeeekkkkk!

Sumitra ne yaha chillaaya par wo aage kuch keh paati ki tabhi sabhi ke kaano me ek awaaz padi,

"Kisne kaha ki wo yaha akeli apne dewar ke saath reh rahi hai?"

Aur tabhi sab ki nazre upar ki orr gayi toh dekha ki...

Suman, Aabha, aur Sonali teeno stairs se neeche utar unki hi taraf aa rahi thi. Aur wo awaaz bhi Suman ki hi thi.

Wo aise chal ke aa rahi thi jese maano iss ghar ki hi mukhiya ho. Uske chalne ka dhang, uska pehnaava, bol chaal me wo wazan ne jese waha maujood sabhi logo ko shaant rehne ke liye majboor kar diya.

Suman : Aapki himmat kese hui apni patni par itna ghatiya laanchan lagaane ki? Kya itna hi bharosa hai aapko uspe? Upar se apne hi chote bhai ke saamne? Kya aap me koi sense hai?

Vivek (jhepte hue) : K-Kaun ho aap?

Suman : Mein Kaun hu? Itna bhi nahi pata aapko? Ki kisi se naam puchne se pehle apna khud ka parichay dena chahiye. Kherr! Mein Suman hu. Ragini ki sakha. Uske bachpan ki dost. Aur yaha uske ghar rehne aayi hu kyuki usse iss dukhad waqt me meri zaroorat thi. Ye dono meri betiya hai. Ab boliye! Kese aapne bina jaache parkhe ye ghatiya sawaal uthaaya? Aur aap dono? Kese sanskaar diye hai apne bete ko? Kya aise le jaane aaye hai apni bahu ko? Le jaane aaye hai ya uske charitra par keechad uchaalne aaye hai? Boliye!!!!

Suman ke hamlo ne jese teeno Sumitra, Vivek aur Karunesh ko aise ghaayal kar diya tha ki ab wo apna muh kholne ke laayak nahi bache the.

Suman : Arre yadi kapdo ki qadr karo toh kapde bhi aapki qadr karte hai. Fir yaha toh ye aapki bahu hai. Ghar ki Lakshmi. Aapki himmat kese hui uss Lakshmi ka apmaan karne ki? Kuch hi dino me Diwali ka tyohaar hai. Jisme Lakshmi ko poojte hai hum. Aasha karti hu tab tak aap apni iss Lakshmi ko apne ghar poori izzat ke saath apni galtiyo ka paschataap karte hue yaha se le jaenge. Par filhaal ke liye... Jaiye yaha se. Meri dost ko jab aapse milna hoga. Wo aapko khud bulaegi ya milne aa jaegi. Aur tab... Mein beech me nahi aaungi. Ab jaiye! Aur meri dost ko akela chorr dijiye.

Suman iss waqt waha khadi aisi prateet ho rahi thi jese maano ek lecture room me scholar khada ho. Sharmindagi ka aisa aayina dikhaaya usne unn teeno ko ki teeno ko hi waha se bina kuch bole hi forun nikalna pad gaya.

Unke jaate hi jese hi Suman ne palat ke dekha toh paaya Ragini rote hue usse dhanyavaad de rahi thi. Wahi jab usne apne maalik ko dekha toh pata chala unka muh hairat ke maare khula hua tha. Aur ye dekh wo mann hi mann muskuraayi.

'Fufu~ Maalik dang reh gaye. Par unhe ab pata lag gaya hoga ki... Unki musibate meri musibate hai. Aur harr waqt harr mod pe mein unki madad karungi.'

Idhar Veer hakka bakka sa Suman ko ghoor raha tha.

'Daaamnnnnn! What the fuck just happened? I think I know ki kyu tumne Suman ko diamond kaha tha Pari. Damn! She's a fucking Leader. She handled that situation without even knowing the actual truth. Was she listening to us the whole time?'

[Haha~ Didn't I told ya?]

Suman : Maaf kijiyega Ragini jii. Mujhe aapka naam lena pada.

Ragini : H-Huh? N-Nahiii! *Sniff* Aap mujhse badi ho toh... *Sniff* Aap mujhe naam se bula sakti ho.

Suman muskuraayi par kuch na boli. Ab kyuki ye samasya filhal ke liye tal chuki thi toh Veer utha aur Ragini ko samjha ke baahar ki orr jaane laga toh Suman usse baahar tak chorrne aayi.

Suman : Maalik? Aap kidhar jaa rahe hai?

Veer : Kuch zaroori kaam hai Suman! Aur madad ke liye shukriya. Yadi tum na hoti toh pata nahi ye maamla kese nipatata.

Suman (smiles) : Kyu na hoti mein? Ab se... Harr jagah aapke saath hi rehna hai mujhe.

Kehte hue wo qareeb aayi toh iss baar Veer ne bina kisi jhijak ke haule se uske narm narm rass bhare honth choom liye.

Veer : Aata hu. Bhabhi ka dhyaan rakhna.

Suman : Hmm! Aap befiqr rahiye maalik.

Aur Veer waha se nikal gaya.

***

Uska mission akhir poora jo nahi hua tha. Mission tha~ Chase down the unknown guy and bring back the diamond ring.

Ab usne chase down toh kar liya tha par ring waapas bhi karni thi.

Sonia ko call kar usne unke ghar ka address le liya tha. Aur wo wahi ki orr jaa raha tha.

Par raaste me hi usne Pari se uss Alpha trait function ke baare me jaankaari lii.

'What is this Alpha Trait function Pari? Vistaar me samjhao. Tumne kaha tha ki baad me tum samjhaogi.'

[Yes! Master! It's exactly as it sounds. Yaani ki... Ab aap submissive Beta male nahi rahoge. You will become an Alpha male now. Ek aisa male jisse jhukna aata hi nahi. Jidhar bhi jaaye hamesha top pe rahe. Jis bhi hierarchy me ho, hamesha king rahe uska. That is what Alpha male is.]

'Par uss raat wo sab kya tha? Meri body heat up hona and suddenly mera emotional state se ekdum lustful state me chale jaana?'

[It's because of Alpha Trait function Master. Alpha Males, jesa ki mene kaha Submissive nahi hote. Wo jaan de denge ladte ladte par dusre ke saamne jhukenge nahi kabhi. Uss raat aap emotional state me the and Suman ka aapko wese chhuna aur aapko uttejit karna... Uss chakkar me Alpha Trait function trigger ho gaya. Aur ab ye hamesha active rahega.]

'Wh-Whaaatt??'

[Yes! Actually, Master! Levels badhne pe system ka in-built function bhi unlock hota hai. Uss Jatin ko pakadte time waha gaav me aapne yaad hai System ka Path Tracking function use kiya tha?]

'Ab jab tumne uska zikr kiya hai then yeah, I do remember that. Ussi ki wajah se mein Suman ke ghar tak waapas laut paaya tha.'

[Yes! Master! Wo function tab unlock hua tha jab mein level 2 par pohuchi thi.]

'Wait! Wtf? Mujhe notification kyu nahi mila tha fir?'

[Because aapne in-built functions ke notifications band kar ke rakhe hai.]

'The fucccckkk!? Then turn them on now.'

[Okay!]

*Ding*

[Notifications for In-built functions have been turned on.]

'Good!'

[Haan! Toh jesa ki mein bata rahi thi. Ye Alpha Trait function bhi level 3 par unlock ho gaya tha but trigger nahi hua tha. Trigger hone ke liye aapka emotional state me hona zaroori tha. And then Suman ka attraction hua... So you know...]

'Hmm! I see!'

[Aapko thoda control me rehna padega. It's serious. Shuruaati daur me thodi dikkate aaengi.]

'Wh-What do you mean?'

[What I'm trying to say is... Ki aapko gussa jaldi aaega, aapko apni pride sabse zyaada pyaari rahegi ab, ladkiya mahilaaye, aurte ab aapko kahi zyaada aakarshak lagengi, bhook zyaada lagegi aapko, aap fitness ke peeche bhi bhaagoge, materialistic cheezo ke liye bhi, so... You will have to control yourself.]

'T-This... This is too serious.'

[Hmm! Right! So? Do you want to invest points? 65 points available hai.]

'Hmm! Skill list se Basic Martial Arts Skill purchase karo.'

[Are you sure?]

'Hmm! Aur baaki ke 15 points... Add them to my Endurance.'

[O-Okay!]

*Ding*

[Basic Martial Arts Skill is available now.]

[15 Points have been added to Endurance.]

'So? Ab use kese karni hai ye skill? Turn on karni hai?'

[No master! Ye already turned on rehti hai. You just have to fight now. Martial Arts moves apne aap baahar aaenge. The more you fight the more you will learn and more better you will get. Uske baad aap moderate level martial arts skill buy kar sakte ho.]

'Got it! Next time yadi wo mila... Ranga!!! I'm gonna beat the shit outta him.'

[Also...]

'Hmmm?'

[You were sad last night. Kyuki aap apni Mom ki train ka naam nahi padh paaye the. And aapko laga ki ab aap na jaane fir kabhi mil paoge ya nahi. So don't worry! Aapne bhale hi read na kiya ho but I read it. Train ka naam xxxxxxxxxxxxx hai. Ab aapko sirf unn stations par dhyaan dena hai jaha wo train rukti hai. Unhi kisi stations par aapki Mom utri hogi.]

Pari ki baat sunte hi Veer ki kal raat se jo bechaini bhari hui thi wo jese ek jhatke me usne gaayab kar dii.

'Th-Thank you Pari... I... I don't even... I don't even have words to say right now... Thank you! Thank you! It... It means a lot to me Pari!! I...'

[It's okay Master! I'm here!]

***

Veer finally pohuch chuka tha Suhana ke ghar, entry usse asaani se mil gayi thi kyuki iss baar Sonia ne bol ke rakha tha ki uska khaas guest aa raha hai.

Bangle ke andar aate hi Veer ko alag hi nazaara dekhne ko mila. Ek aisa nazaara jisse uski apne sapno me bhi umeed nahi thi.

Suhana light se kapdo me thi par ye kya??

Wo ro rahi thi...

Ro toh rahi thi beshaq par...!??

Wo ek bade se teddy ko jakde huye thi aur uspe ghuso ki barsaat kar rahi thi aur badbadaaye jaa rahi thi.

"Fuck you chor.... Marr jaa tu... Tere muh me keede pade... *Sniff* Dad ne itna daanta mujhe ughhhuuuu...."

*Slaaaaammmm*

*Baaaangggg*

*Dhhhiiiiiiiiiisshooommmm"

Laato se lekar ghuso tak harr ek vaar kar wo bechaare teddy ka kachumar banaaye jaa rahi thi.

Aur idhar Veer ki haalat ye scene dekh ke hi patli ho chuki thi. Kyuki achanak Suhana zorr zorr se bistar par khade hoke haivaano type hassne lagi.

"Buwaahahahahahaha~ Tu mil bas jaa saale chor dekhna... Jisne bhi ring churaayi hai na... Dekhna... I swear... Dekhna... Kya haal karti hu mein tunhaara... Aise gardan ko marod ke na chatka dungi... I... I will kill you... Hahahahahaha~"

'Wh-What the hell? Fuccccckkkk! Is she possessed or what?'

*Baaaaaaangggg*

*Slaaaaaaaaammm*

'Fuuucckkk! This girl is married? Who the fuck married this crazy woman? Rip her husband...'

[Also that Teddy. :laughing:]

Par tabhi Veer ka dhyaan Suhana ke bol par gaya, 'Tu mil bas jaa saale chor dekhna... Jisne bhi ring churaayi hai na... Dekhna... I swear... Dekhna... Kya haal karti hu mein tunhaara... Aise gardan ko marod ke na chatka dungi... I... I will kill you... Hahahahahaha~'

Aur ye abhaas hote hi ki uske haantho me abhi wahi ring hai, uske paseene chootne lage. Usne apna thook nigla...

[Rip you too. :laughing: ]

'Shiiiiittttt!!!'

Aur wo palatne ke liye hua hi tha kyuki usne socha jab Suhana normal hogi tab aana hi behtar hoga....

Par...

Par iss se pehle ki wo mud paata...

*Woof woof*

Side me dur bandha ek labrador usse bade chaav se dekh jeebh nikaal apni pooch matkaate hue bhaunk diya.

'Ohhhhh Fuucccckkkkk!!!'

Aur tabhi...

"E-Ehhhh!?" Suhana palti...

Veer ne usse dekha aur usne Veer ko...

Dono ki hi aankhein hairaani ke maare felti chali gayi. Khaas kar Suhana ki...

Uska haath se teddy chooth ke bed par gir gaya...

*Gulp*

***

Ek alag sii khandar sii jagah me iss waqt ek aadmi table par apne dono perr rakhe, apne haath baandhe ek chair par baitha hua tha. Uska chehra ek hat se dhaka hua tha.

Hat...

Yaani aas paas khade log jaante the ki ye kaun tha. Unka boss. Bole toh Bhau... Aatish Bhau!

Par ye khandar ka adda toh Ranga ka tha. Fir achanak Aatish Bhau khud kyu aa gaye? Aur upar se Ranga ki kursi par baithe the. Kherr! Aatish Ranga ka bhi boss tha toh ye zyaada surprising baat nahi thi.

Par dikkat ye thi ki...

Iss waqt unke Aatish Bhau bade hi kharaab mood me lag rahe the.

Bhala aisa kya ho gaya tha jiske chalte Aatish Bhau aaj itne gusse me the?

Koi kuch nahi bol paa raha tha. Unhe darr tha, ki ek awaaz karne par kahi... Kahi unki gardan hi na udd jaaye.

Tabhi unhe kisi ke kadmo ki awaaz aayi,

"Ayye Pintu... Jaa zara Chai ka bol ke aa re bagal waale Dada ke yaha."

Kehte hue Ranga apne adde me enter hua. Par uske kadam wahi tham gaye jab usne apne Bhau ko apni kursi par dekha...

Ranga : Bh-Bhau!? Aap? I-Idhar?

Aatish : Aao Ranga... Tumhara hi intezaar tha.

Apne Bhau ka aaj vyavhaar dekh Ranga ke paseene chooth rahe the.

Ranga : Kya hua Bhau? A-Aap achanak aaj yaha?

Tabhi Aatish ne apne chehre se hat hataayi aur Ranga ko dekha.

Khade hote hue wo uske paas aaya aur uske ird gird ghoomne laga.

Aatish : Tumhe pata hai kya hua hai?

Ranga : K-Kya hua hai Bhau?

Aatish : Wo ring! Kya hua uska? Kuch pata hai?

Ranga : Bhau... Jatin! Jatin leke gaya tha. Aur wo bataaya tha ki... Ki usne dealer ke aadmi se milne jaana tha.

Aatish : Hmm! Aur?

Ranga : Aur?? Tab se... Tab se uski koi jaankaari nahi aayi hai Bhau.

Aatish : Ohh! Toh tumne ye jaan'ne ki koshish nahi kari?

Ranga : Bhau! Mene usse kayi baar call kiya par wo utha hi nahi raha hai.

Aatish ne tabhi apna phone khola aur usme ek photo dikhaayi...

Photo me ek ladka tha... Jo ki train me maujood tha.

Aur uss ladke ko dekhte hi Ranga ki aankhein chaudi ho gayi.

Ranga : Ye... Ye toh wahi hai... Wo jo... Wo jo uss raat uss Ragini aur parivaar ko bacha ke le gaya tha. Veeeerrrr!!!!

Aatish (smiles) : Ohh! Right! Bilkul sahi.

Ranga : Par ye...

Aatish (smiles) : Ye image mujhe Jatin ne hi bheji thi. Ye bataate hue ki ye ladka uska peecha kar raha tha. Saath hi saath kal hi mujhe phone aaya tha ki ye Veer uss se Ring churra ke le gaya hai. Tum iska matlab samajh rahe ho na!?

Ranga (ghabraate hue) N-Nahi! Aisa...

Aatish tabhi uske kaan ke paas jhuka aur dheere se bola...

"Uss raat bhi wahi tha. Jo tumhe chakma deke unhe bhaga ke le gaya tha. Aur ek baat aur batau?"

Ranga : H-Huh?

Aatish : Club se uss ladki ko uss raat bhi wahi bhaga ke le gaya tha.

Maano ek bomb sa foda tha Aatish ne usse ye bata kar.

Ranga : Ye... Ye...

Aatish : Teen galtiya. Tumhari taraf se. Jaante ho na? Teen galtiyo ki saja?

Ranga : *Gulps* Bhau! Bhau... Suniye...

Aatish bina kuch kahe apna mouth organ jeb se nikaal bajaata hua table ke paas gaya.

Uske mouth organ ki dhwani waha maujood sabhi logo ke raungte khade kar rahi thi.

Ranga : B-Bhau... Maaf kar dijiye... Aage se... Aage se aisa...

Iske pehle ki wo bol paata...

*Baaaaangggggg*

Achanak hi goli chalne ki awaaz aayi aur...

*Thud*

Ek shareer neeche zameen par gir gaya.

Ranga ke sarr ko cheerte hue goli andar ghusi aur uska ek hi baar me kaam tamaam kar dii.

Chehre pe ghabraahat liye hi marr gaya wo. Waha maujood sabhi logo ke badan sihar uthe. Pant me mootne jesi haalat ho chuki thi. Kyuki unke bhau ne apne khaas aadmi ko udaaya tha, Ranga!

"Jalsa me taiyaariya karo. Iss chuhe ko ab mein wo sabak sikhaunga ki ye vinti karega ki kaash ye paida hi na hua hota."

Aur itna keh ke Aatish waha se chala gaya.

Kya kaha tha usne? Ja-Jalsa? Jalsa me? Waha maujood logo ne jese hi ye suna unki aankhein fati ki fati reh gayi.

Jalsa unke Aatish Bhau ki pasandeeda building ka naam tha. Aur uss se juda ithaas ko yaad kar ke hi unke raungte khade ho jaate the.
.
.
.
.
.
.
Aaj ek liye itna hi guys!
Dhanyavaad!!

Like karna mat bhulna.
 
Last edited:
Top