• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,233 83.3%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 191 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.2%

  • Total voters
    1,481

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
12,174
91,930
259
Last edited:

Luffy

Well-Known Member
7,017
29,024
203
Mega Update

Update - 45 ~ Double Date!?
Ab tak...

Peeche khadi uski beti...

Usse jaata hua dekh rahi thi. Jo utsaah thodi derr pehle tha uske chehre pe wo gaayab ho chuka tha. Aur ek expressionless chehra saamne aa chuka tha.

'Chaahe aap kitna bhi kyu na chhupa lo... Kitna bhi kyu na jhooth bol lo... But I can see through your every action Mom. And I know the truth you are hiding... I already know it... That...
I have a brother as well.'

Apne mann me soch wo fir dheere dheere aage badhi aur Bhavana ke sameep aake uske saath chalne lagi. Uske chehre pe waapas se wahi utsaah aa chuka tha. Jo shayad... Iss baar thoda banaavti tha.


Ab aage...

Aaj ka scene bilkul wesa hi tha jesa Veer ne expect kiya tha. Subah uski hui Kaera se mulaqaat, aur fir Suhana se business karne ki deal ke baad shaam ko keval wo aur Sonia hi ekmaatr bache hue the akele room me.

Suhana ko jesa ki usne pehle hi inform kiya tha ki wo yaha ek innovative function ke liye aayi thi toh bas, shaam ko hi wo taiyaar hoke nikal chuki thi. Wo chaahti thi ki Veer aur Sonia bhi uske saath hi chale par Sonia ne mana kar diya.

Ab bhala Veer waha akela kya karta toh isliye usne bhi rukne ka hi nirnay liya.

Suhana se usne business ko lekar jo baat kari thi wo badi hi rochak thi. Suhana uski madad karne ko taiyaar thi, yaha tak ki wo paisa lagaane bhi taiyaar thi. Par uska shaatir dimaag Veer ko phasaane me iss baar kaam na aaya.

Veer jaanta tha ki yadi usne Suhana se investment liya toh wo ek aur favour badha degi aur badle me na jaane kya maange wo uss se.

Isliye Veer ne iss baat par raazi na hona hi behtar samjha.

Filhaal yahi tay hua ki Veer apne khud ke hi paise lagaega. Par dikkat ye thi uske paas itna paisa nahi tha.

Suhana : Toh tum business karna chaahte ho?

Veer : Hmm!

Suhana : Kyu?

Veer : Kyu? Business kyu karta hai aadmi? Kam samay me zyaada earning kar sake isliye...

Suhana : Tumhe pata hai business karna kitna tough hota hai? I agree ki business tumhe forun hi ameer bana sakta hai. Par... Par wese hi ye tumhe sadak pe bhi laa sakta hai.

Veer : Toh aap ho na... You will help me. Don't you?

Suhana : Ohhh...! Itne yakeen ke saath kese keh sakte ho ki mein tumhari help karungi? Hmm?

Veer (smiles) : You will help me...

Suhana : Fine! Ab batao... Why business!?

Veer : I just want to grow...

Suhana : Tumhare college ka kya?

Veer : I'll do that in parallel...

Suhana : Hawa me udd rahe ho bacchuu...

Veer ne Suhana ke iss vyang pe kuch khaas reaction na diya. Wo bas apni seat par baitha raha aur uski aankhein ekdum focused thi Suhana pe, jo Suhana ko bada hi ajeeb sa mehsoos karwa rahi thi.

Veer : I know what I'm doing...

Suhana (mann me) : Ye... Akhir kya hai aisa jo ye chhipa raha hai. Aaarrrghhh!! I want to know! This guy is not normal at all. Bacchhu... Tujhe poora khol ke, tere andar se saare raaz nikaalungi mein... Aaj nahi toh kal.

Veer : Kya sochne lagi?

Suhana : Huh!? N-Nahi... Kuch nahi...

Veer : Toh?

Suhana : Well! I can help you. Fine! Mein invest karne taiyaar hu... Tell me your idea!

Veer : Nope! Mujhe investment nahi chahiye. I will invest on my own.

Suhana : Okay! Paise hai!?

Veer : Wahi dikkat hai.

Suhana : What the hell? Paise bhi nahi hai aur business bhi karna hai? You think I'm a fool or what?

Veer : Wese... Mere paas... Wo kuch lakhs rakhe hue hai.

Suhana : Hmph! Ultimately they are mine...

Veer : Aapne apni marzi se mujhe diye the. So they are mine now. So? Kis cheez me mujhe business start karna chahiye!?

Suhana : Well... Yadi mujhse pucho toh... Kapdo ka business badhiya rahega. Zyaada kuch taam jhaam nahi hai isme. Aur ye aisa business hai ko chalta hi hai.

Veer : But aaj kal toh online shopping bhi hoti hai ab. Will it be...!?

Suhana : Mene kaha na... Yadi business ek brand ban jaaye toh wo fir chalta hi hai.

Veer : Done then...

Suhana : Wait! Itni jaldi? You sure!?

Veer : Yeah!

Suhana : O-Okay! Well... Jitne tumhaare paas paise hai utne me kuch nahi hone waala. Mein tumhe jagah de sakti hu. Waha tum apna showroom khulwa sakte ho, uske baad uss jagah ka rent tumhe mujhe dena hoga. Showroom banwaane ki cost alag. Yadi kapde tum badi badi brands ke saath collab karke rakhna chaahte ho toh wo kharcha alag, aur baaki mein toh jod hi nahi rahi abhi, like apne workers ko dene ka kharcha, electricity bill, shipping charges, contracts, etc.

Suhana ki baatein sunn Veer ko itna toh pata chal gaya tha ki ek acche business ki shuruaat karne ke liye usse dherr saara paisa lagne waala tha.

Veer : Hmm! Plan yahi rahega. But we'll start once I get more money...

Suhana : O-Okay!

Kuch yahi baatein usne Suhana se kari thi uske jaane se pehle. Aur ye sabhi baatein tab hui thi jab Sonia washroom me nahaane gayi hui thi.

Yadi usse ye pata chalta ki Veer college ki padhaayi chorr Business line me aa raha hai toh pakka se wo fir se apni chinta vyakt kar usse business se dur rehne kehti.

Issi kaaran ke chalte, Veer ne Sonia se uske aur Suhana ke beech hui baatein saajha nahi kii.

Andhera hona shuru ho chuka tha aur Veer aur Sonia dono hi taiyaar hoke neeche aa chuke the.

Kamre me baithe baithe boriyat toh honi hi thi. Toh dono ne decide kiya ki wo dono hi ek walk par jaenge aur baahar hi saath me dinner karke lautenge. Aaj yaha unki ye last night jo thi Delhi me. Par... Kya mahaul waqai itna shaant rehne wala tha?

Kherr! Sonia aur Veer dono hi nikal chuke the hotel ke baahar. Mausam toh bada hi suhana tha. Par hamaari Suhana yaha nahi thi.

Sonia : Accha hua hum nahi gaye...!

Veer : Hmm? Right! Udhar aap log toh apni baato me lag jaate mein bore hota. Not that I could complain...

Sonia : Keval tum hi nahi Veer... Mein bhi bore hoti.

Veer : You don't like parties right? Freedom chheen leti hai!? Isliye....!?

Sonia : Yeah! Kal dekha tha na... Waha hotel me...

Veer : Yeah! Who was he... I forgot...

Sonia : Wo yaad karne laayak hai bhi nahi. He's Rohan. IT company me uske Dad acchi post pe hai. Aur wo bhi ek acchi post pe hai. Just some another rich guy trying to flaunt me...

Veer (smiles) : Toh!? Aapko kesa ladka pasand hai!?

Sonia : M-Mujhe!??

Veer : Mmm-Hmmm!

Sonia : Umm... Well... I don't like people jo show off karte hai. Especially jab wo paiso ka dikhawa karte hai. I like simplicity. Natural person jo dikhawa na kare, who will cherish me, jo handsome ho, I don't care yadi wo mujhse kam kamaata ho. But he should be caring and the one who can protect me. Kuch aisa!?

Veer : Haha~ Well! That's a long list of qualities...

Sonia : Muuuu~ Don't judge me. Akhir tum ladke bhi toh ladkiyo me yahi sab dekhte ho na? Ki wo sundar ho, susheel ho, khaana accha banaati ho, wagarah wagarah.

Veer : Well...

Sonia : Tell me... Tumhe kesi ladkiya pasand hai Veer!?

Ye sawaal sunn, pata nahi kyu par Veer ke mann me ek khubsoorat chehre ki chhavi bann ke aayi aur na chaahte hue bhi Veer uss chhavi ka varnan karne laga,

Veer : Sundar... Pyaari... Madadgaar... Jo apna sukh chorr dusro ko sukh dene me vyast ho jaaye... Jo pareshaani me fasse logo ki hamesha madad karti ho... Wo... Jisse dekh kar bas pyaar karne ka mann kare. Wo... Jis se baat kar aadmi apna saara dard bhul jaaye. Wo... Jisse apne seene se lagaate hi Param sukh ki anubhuti ho... Wahi hai...

Veer aage kuch keh paata ki uske pehle hi Sonia uski baatein sunn khil khila ke hassne lagi.

Sonia : Fufu~ Aisa toh tumhe kahi koi nahi milega Veer aaj ke iss zamaane me...

Veer (smiles) : Yeahhh! You are right... Ab aisa koi nahi milega...

Sonia : Hmm?

Veer : Chale!? Bataiye! Kaha chalna hai!?

Sonia : Mene kal maps me check kiya tha. Dekha tha yaha aas paas hi amusement park hai. How about that!?

Veer : Sure! Let's go!

Aur dono Veer aur Sonia nikal pade amusement park ki orr. Suhana ko Prakash leke gaya hua tha toh aaj Veer aur Sonia normal taxi me safar kar rahe the. Aaj dono hi boht hi jach rahe the. Veer jaha ek black shirt aur jeans me tha, wahi Sonia ek maroon coloured one piece dress me thi jo uski thighs tak hi aa rahi thi.

Veer : Aapko aadat nahi hogi, normal taxis me baithne ki right?

Sonia : Hmm! But aisa bhi nahi hai ki mene kabhi safar nahi kiya Veer. As I said... I like simplicity. Kabhi kabhi... This is good too...

Usne muskuraate hue kaha toh Veer bhi uski wo smile dekh badle me muskura diya. Aur wo sochne laga... Ki kitna antar tha dono hi behno me. Ek jaha itni simple toh wahi dusri...

'Fuck you chorrrr muwahahahaha~'

Aur ek baar fir... Veer ko Suhana ka wo raudra roop yaad aa gaya, jab wo teddy ko ghuse par ghuse barsa rahi thi.

Veer : *gulps*

Sonia : Aise ... Aise kya dekh rahe ho Veer!?

Veer : No... Umm... You look beautiful!

Sonia (blushes) : Thank you! You look handsome as well.

Veer : Ahem... Well! Here we are...

Utarte hi unhe ab abhaas hua ki wo apne hotel me nahi the, jaha itni shaanti thi. Ab unke saamne maujood thi ekdum khacha khach bheed, upar se neeche, neeche se upar jaati rides, shor, ho halla, aur aate jaate log.

Veer (smiles) : Chale!?

Sonia : Hmm!

Jese hi dono counter ke paas ticket lene aaye toh ticket wala bhi unhe dekh ke samajh gaya tha ki ye koi badi party hai. Aur jese hi usne Sonia ko dekha wo agle hi pal uth ke khada ho gaya.

Veer : Kitna hua bhaiya!?

Aadmi : Arre aap toh wahi ho na??? Abhi haal hi me jinka interview aaya tha akhbaar me ...

Sonia : Hmm? Ohh! Yes!!

Aadmi : Aap toh akhbaar me photu jo aayi thi uss se bhi zyaada khubsoorat ho madam...

Sonia (smiles) : Thank you!

Veer : Well... Kitna hua?

Aadmi : Arre sahaab kamaal karte ho kya? Mein aap logo se ticket ke paise kyu lunga? Jaaiye aap... Ekdum free hai aap logo ke liye...

Veer (smiles) : Kyu bhai!? Ticket ke paise kyu nahi loge? Kya hum alien hai? Ya bhagwaan hai? Hum bhi insaan hi hai na? Jo niyam hai wo niyam hai. Free me nahi bhai... Tum ticket kaato aur ye lo paise.

Aadmi : Accha accha... Wese zaroorat toh nahi thi. Par aap kehte ho toh...

Aur uss aadmi ne unn dono se paise lete hue unhe ticket thama dii.

Andar aate hi Sonia ne Veer ko dekha...

Sonia : I like it Veer. I'm really impressed.

Veer : Hmm?

Sonia (smiles) : That was so thoughtful of you. Free tickets milne ke bawajood, tumne uss se uski kamaayi nahi chheeni. That was nice.

Veer : O-Ohhh!

Sonia (smiles) : Come! Shall we!?

Veer (smiles) : Sure!

Aur Veer ka haath thaame Sonia usse apne saath le jaane lagi. Par usse khud kuch nahi pata tha ki akhir usse jaana kaha tha.

Yaha wo dono toh ghoom hi rahe the saath me par unhe nahi pata tha ki unhe peeche se koi tha jo dekh raha tha.

"Miss! Bhala yaha kyu aaye hai hum??"

"He lied to me..."

"Huh!?"

Peeche khade Raghu aur Jassi apni Miss ko dekh rahe the jo iss waqt bauhe sikode Veer aur Sonia ko haath me haath daale jaata dekh rahi thi.

Raghu : Abe yaar... Ye miss ko achanak se kya hua hai?

Jassi : Mujhe nahi pata. Par ye toh acchi baat hai na ki Miss akhir ye sab cheeze ke baare me jaan'ne ke liye utsukta jata rahi hai?

Raghu : Hmmm... Shayad haan...

Kaera Raghu aur Jassi ki khusur pusur se anibhigya apna phone nikaal aaj pehli baar Veer ko call kari...

Veer jo ki inn sab baato se anjaan tha ki saala uske peeche hi kuch duri par Kaera khadi usse call kar rahi hai, wo bina kisi tension ke phone uthaaya.

Veer : Hello?

Kaera : You told me... You will come in evening. To meet me.

Aur bas awaaz sunte hi Veer ko andaaza lag gaya tha ki ye awaaz kiski thi. Awaaz me alag hi wo wazan tha. Aisa nahi tha ki Kaera ki awaaz buland thi. Uski awaaz koyal jaisi meethi thi. Par uske bawajood, uski personality me jo tej tha wo uski awaaz me bhi jhalakta tha.

Veer ab bura phass chuka tha. Bagal me hi Sonia khadi hui thi. Yadi wo ab uske saamne Kaera se baat karta hai, aur yadi kuch galat salat muh se nikla... Toh pakka dikkat hone waali thi. Kyuki wese hi wo Veer ki jaan kha gayi thi kal puch puch ke Kaera uss se milne ke liye kyu usse bulaayi thi.

Toh Sonia ke saamne Kaera ka zikr karne ka sawaal hi paida nahi hota.

Veer : Wo... Urgent call hai. If you don't mind!?

Sonia : Sure! I will wait here!

Veer : Thanks!

Aur Veer thodi dur aate hue firse Kaera se baat karne laga.

Veer : Really sorry! I was busy...

Kaera : Busy in what!?

Veer : Ummm... Busy hu... Thoda kaam hai...

Kaera : Like!?

Veer : Umm... Wo... Business related...

Kaera : Ohhh!

Veer : Y-Yeah!!!

Aur Veer ne socha ki ab wo phone kaat sakta hai par tabhi uski gardan ke paas se do gulaabi honth khule aur andar se garam garam nikli mand mand saasein... Aur kuch bol... Uske kaan me padi.

"What kind of business are you doing in an amusement park alone with Sonia huh???"

Veer : ????????

Ek dum se aise koi kisi ko bole toh aadmi darr hi jaaye aur Veer ke saath bhi wahi hua. Wo jhatke se peeche muda. Pal bhar ke liye hi sahi par uske raungte khade ho gaye the.

Veer : K-Kaera!???

Usne dekha ki Kaera usse kuch aprasann nigaaho se ghur rahi thi.

Veer : Ahh! Wo...

Kaera : Doing business huh!?

Veer : No Actually...

Iske pehle ki wo kuch bol paata usne Veer ka haath thaama aur usse le jaate hue side me le aayi.

Veer ne Jassi aur Raghu dono ko spot kiya jo yhoda sa hi dur khade hue the.

'What the fuck!? Ye kese chutiye bodyguards hai? Why are they not stopping her? Shit!! I shouldn't have lied.'

[Sometimes it's not good to lie master.]

'Huh!? Tum kab se sach bolne lagi? Don't tell me... Tum toh khud mujhse jhooth bolti aa rahi ho.'

[Ughh!! Nooooo! My dear master. My lovely master... You know that I love you right? Please don't say such things. It hurts your Pari...]

'She's acting weird again...'

Kaera uska haath thaame aage badhi toh usse ek counter nazar aaya.

Kaera : What's that!?

Jab Veer ne uski nazro ka peecha kiya toh dekha ki uss counter pe dherr saare balloons lage hue the aur gun se log shoot kar unhe phodne ka prayaas kar rahe the.

Veer : Ah! Ye...

Kaera : You know it?

Veer : Hmm! Bas unn balloons ko phodna hai... With that gun... Shoot and win.

Kaera : Win what!?

Veer : Prize hai. Look! Waha likha hai. 1 balloon par... Candy... 3 ballons par... Kuch gift hai. 5 balloons par... There's a small soft toy.

Kaera : Ohhhh!

Veer (smiles) : Come!

Kaera : Huh? Wait! Do we really have to...!?

Par Kaera kuch na paayi. Veer already uska haath thaame usse le aaya.

Veer : Bhaiya ek round... Inke liye...

Uss counter waale ne gun Kaera ko thamaayi aur usse chalaane dii.

Wese toh Kaera sabhi cheez me maahir thi. She even knew some Martial arts. Par weaponry me wo maahir nahi thi. Kabhi zaroorat hi nahi padi usse hathiyaar uthaane ki ya istemaal karne ki.

Isliye, jese hi usne gun thaami, itne saare balloons dekh usne nishaana lagaaya aur chalaane lagi ek ke baad ek...

Kaera : Itne saare balloons hai. There's more than half probability ki mein at least ek hit kar paungi.

*Bang*

*Bang*

*Bang*

*Bang*

*Bang*

Paacho ke paacho shots Kaera ne chalaaye par nateeja!? Bole toh nil bate sannaata.

Ek bhi balloon nahi foota tha. Aur jo thoda sa utsaah uske andar pehle bhara hua tha wo ekdum se jese gaayab ho gaya. Aur Kaera ke face me wahi expressionless waala chehra aa gaya. Yaha tak ki uska mood aur bigad gaya.

Kaera : This game is worthless. The gun has some fault for sure. Open that up. There's a fault in it's mechanism. The guy is conning us...

'Fucccccccckkkkkk!'

Veer : M-Mein... Karta hu... You wait! Bhaiya! Ek round mera...

Jab Veer ko usne waapas se gun load kar ke dii...

Toh Veer ne nishaana lagaaya par agle hi pal uske dimaag me ek ghanti ki awaaz gunji aur...

*Ding*

[Hawkeye]

Agle hi pal... Usse ek neela chota sa dot ban ke saamne balloon par dikhne laga. Aur jese hi usne trigger dabaaya...

*Bang*

*Pop*

Wo gun se nikla hua chharra seedha jaake ussi jagah laga jaha Veer ko wo dot dikh raha tha kuch derr pehle aur ek hi jhatke me... Wo balloon phoot utha.

Aur fir toh...

*Bang* *Bang* *Bang* *Bang*

*Pop* *Pop* *Pop* *Pop*

'Fucccckkkkk! This skill is insane....'

Paacho ke paacho balloons usne phod daale. Inaam ke taur par Veer ko ek chota soft toy uss counter waale ne diya, jo bada hi waahiyaat sa muh banaaye hue tha Veer ko prize dete waqt. Uska nuksaan Jo hua tha.

Kaera : You...!? How did you!?

Bina kuch kahe... Veer ne wo soft toy Kaera ko thama diya.

Jo ascharya bhaav se apne haatho me uss softtoy ko dekh rahi thi.

Usse ajeeb sii feelings ne apne chakravyuh me gher liya tha aur ab wo samajh nahi paa rahi thi ki ye sab kesi feelings hai.

Wo bas awkwardly soft toy ko liye usse hi dekh rahi thi. Aur Veer usse... Veer ko jese ab sab kuch dheere dheere samajh aa raha tha. Aur usne apna pehla lesson shuru kiya.

Veer : Ye hamaara prize hai.

Kaera : ??

Veer : We won! You and me... Together.

Kaera : It was you but...

Veer : Nahi! Mene kaha na... We won this together. It's yours now. From my side...

Kaera : I-I don't know...

Veer : Gifts should be accepted right!?

Kaera : ....

Veer : Kya... Aapko pasand nahi!? Mera gift!?

Kaera : It's...

Usne ek baar fir uss soft toy ko dekha aur fir dheere se boli...

Kaera : It's good I guess!?

Veer (smiles) : Toh fir rakhiye!

Wo muskuraaya. Par jese usse iss baat ka dhyaan aate hi ki wo Sonia ko akela chorr ke aaya hai uski saari muskuraahat ek pal me gaayab ho gayi.

'Fucccccckkkkkkkk!!!'

[Isliye kabhi ek saath do naav me perr nahi rakhne chahiye.]

'Shut uppp!!!'

[Haha~]

Veer : I... I have to go... Miss Sonia ko mein waha akela chorr ke aaya hu.

Aur itna bol Veer waha se nikal gaya.

Kaera ne kuch kehna chaaha par usne apne shabd rok liye. Jese usse pata tha... Ki Veer firse dubaara aaega...

Idhar Veer jese hi Sonia ke paas aaya toh Sonia uske upar chadh padi,

Sonia : Kaha reh gaye the baba tum? 10 se 15 minute ho chuke hai. Itni lambi baat!? I was waiting for so long...

Veer : Ah! Wo ghar se call tha... You know Bhabhi... Ko brief dena padta hai. Unhe meri boht chinta lagi rehti hai.

Sonia : O-Okay! I understand!

Par Veer ki kismat na jaane kisne likhi thi.

Agle hi pal uska phone baj utha aur caller thi...

~Ragini!

'Fuckkkkkk my kismatttttt!!!!!'

[Haha~]

'Don't you dare laugh Pari! Fuckkkkkk!'

Sonia : Ab kiska call??

Veer : Umm... Bhabhi ka hi hai...

Sonia (sighs) : Seriously!?

Veer ne call uthaaya aur jaldbaazi me bas yahi kaha,

Veer : Bhabhi! Busy hu! Baad me baat karta hu aapse.

Aur itna bol usne call cut kar diya.

Bechaari Ragini idhar Mumbai me ajeeb nigaaho se apne phone ko dekh rahi thi. Din bhar ke kaam khatam hone ke baad abhi usne aaj Veer ko call laga kar uska haal chaal puchna chaaha aur badle me usse Veer se aisa jawaab mila.

'Aisa kya kaam hai Veer ko!? Kis kaam me busy hoga bhala?'

Par bechari Ragini ko kya pata tha ki hamara Veer idhar galti se ek prakaar ki double date me fass chuka tha.

Veer : Done! Aaiye... Chalte hai...

Kuch kadam aage badhte hi Sonia ki nazar ek banner par gayi.

Sonia : Future bataane waala!? Chale!?

Veer : Wese... Mein inn sab me zyaada...

Sonia : Let's goooo~

Veer : Woahhhhh!!!

Aur Sonia iske pehle ki Veer apni baat rakh paata uska haath pakad kheech ke usse le gayi.

Ek bada sa tent maujood tha. Jiske andar ek aadmi ajeeb se kapde pehn, sarr par kapda baandhe baitha hua tha. Uski shaqal hi bata rahi thi ki ye saala thagega...

Aadmi : Aa jao baccha... Aa jao... Uparwaale ne ekdum sahi jagah bheja hai munna... Baitho idhar... Bolo kya dekhna chaahte ho mere bacche...!? Nikaalega patta mera ye tota... Bata dega ki sikka sahi hai ya khota...!!!

'What the fuck!?'

Uss aadmi ko dekh Veer ko bas yahi laga ki saala iss se zyaada excited poori duniya me iss waqt koi bhi banda na hoga.

Aadmi : Baitho mera baccha...!

Sonia : Ahh! Y-Yes!!

Veer jaha ekdum uninterested tha, Wahi Sonia jese kuch sach me jaan'ne ke liye bekarar thi.

Veer aur Sonia saamne baithe. Unke saamne ek lakdi ki chhoti table thi, jispar na jaane kya kya samaan bikhra pada tha. Yaha tak ki nakli khopdi bhi rakhi hui thi.

'Bhavishya bata raha hai ki kya bata raha bc!? Nakli khopdi? Wtf? Karna kya chaahta hai ye?'

Aadmi : Hmm! Toh kya banau!?

Veer : Kitno ko bana liya hai abhi tak?

Aadmi : Kya bola baccha!?

Veer : Ahem! Kitno ka bhaivshya dekh chuke ho ab tak?

Aadmi : Ye Baba boht busy rehta hai baccha... Tumhaare aane se pehle... Yaha mene kayi logo ke bhavishya dekhe hai.

Kehte hue usne apni paise lene ki tray peeche kheech lii... Jo ekdum khaali padi hui thi.

'Ye aadmi joker kyu nahi hai!?'

[Haha~]

Aadmi : Toh batao baccha! Kya batau?

Sonia : Umm... Mera... Mera bhavishya!? Kya aap bata sakte ho?

Aadmi : Bilkul baccha!

Usne kehte hue pinjre me se tota nikaala aur tota aage badh kuch neeche rakhe patto me se cards nikaal ke uss aadmi ke paas laake rakh diya.

Veer ekdum bore hote hue sab kuch dekh raha tha toh wahi dusri orr Sonia apni aankho me chamak liye ye sab dekh rahi thi.

'Girls... will always be girls...'

Uss aadmi ne fir wo patte uthaaye aur Sonia ko dekha.

Sonia ekdum anxious hote hue apne answer ka wait kar rahi thi.

Aadmi apni daadhi ko sehlaate hue kuch socha aur fir bola,

Aadmi : Adhbhut!! Avisvashneey... Kamaal! Tumhaara bhavishya ekdum ujjwal hai ladki. Thodi boht kathnaayiya hai jeevan me. Par unka hume datt kar saamne karna hai. Hai na?

Sonia : Hmmm!

Aadmi : Rahi baat tumhare prem jeevan ki... Toh jald hi... Tumhe wo insaan milega... Jiski tumhe talaash hai. Boht jald...

Sonia : Ahh! Really!?

Aadmi : Bilkul baccha!

Sonia : O-Okay!!!! Fufu~

Aadmi : Aur batao baccha? Kya inn janaab ka bhi dekhna hai bhavishya!?

Veer : Nahi iski koi...

Sonia : Haa bilkul uncle...

Aadmi : Abhi lo baccha! Nikal mere tote... Ahem! Nikaal ke de patte... Zara mein bhi dekhu... Kya likha hai iss shaksh ki kismat me!?

'Kaha se ratte isne ye dialogues!?'

Veer ekdum non interested hote hue wahi saamne rakhi bottle utha ke paani peene laga jab...

Aadmi : Hmm! Jo dikhte ho wo ho nahi haan!? Shaqal kuch aur baya karti hai par karm kuch aur... prem jeevan me... Ek ke saath mastiyaa kar, dusri ke sang rang reliya!? Dekh lijiye mem sahab... Inki dasha toh yahi keh rahi hai patto me... Balki mein toh ye kahunga ki ye abhi hi do tarfi chaal chal rahe hai...

*Phuuuuuuuuuu*

Jo paani Veer ne muh me bhara tha wo agle hi pal Aadmi ki baat sunn ek jhatke me uske muh se baahar nikla aur poora neeche bicche kaleen par gir gaya.

'Wtf????'

Aadmi : Arre bhai!? Ye kaaleen naya hai... Kal hi bichwaaya hai.

Veer bina kuch bule utha aur Sonia ka haath thaam usne table par ek 100 ka note rakha aur usse lete hue baahar nikal aaya.

Aadmi : Oo... Janaab!?? Zara sunte toh jaate bhavishya... Kamaal hai...!

Sonia : K-Kya hua!?

Veer : K-Kuch nahi! Kahi aur chalte hai?

Sonia : But... Wo tumhara bhavishya bata raha tha?

Veer : Hmph! That guy was just conning us... Ghanta kuch aata hai uss se dekhte. He just says random things.

[Haha~ He wasn't lying though.]

'Shut up!!!'

Sonia : I mean... He said some nice things about me. I don't have any complaints.

'Ahh these girls! Itni intelligent hone ke baad bhi ye sabhi inn sab cheezo me kese vishwaash kar leti hai!?'

[That's why we are girls.]

'Arrghhh!!'

Veer aur Sonia aage badh jese hi aaye toh iss baar unki nazar photo shoot waale counter par gayi.

Sonia : Look!!! Let's go! Hume bhi kuch click karwani chahiye. For memories...

Veer : I... I don't want to... Aap jaiye na...

Sonia : But kyu!?

Veer : Kuch lamhe... Keval dil me qaid karne chaahiye...

Uska vaakya jese Sonia ko kuch samajh me nahi aaya. Usne Veer ko ghur ke dekha par uske chehre par bas ek smile thi, jo Sonia kuch samajh nahi paayi.

Sonia : Kabhi kabhi... Memories ke liye... Photos click karwaani chahiye... Veer!

Veer : Please! I really don't want to... Aap jaiye... Mein aapki apne phone se bhi extra nikaal deta hu.

Sonia : Okay! I won't force you!

Aur wo chali gayi, jaha ek camera man sabhi ki photos polaroid camera se nikaal ke turant hi unhe de raha tha.

Veer Sonia ka hassta chehra dekh khush tha. Par uska antar mann kahi na kahi ekdum maayus tha, jisse Pari ne mehsoos kar liya tha.

[I will never forgive them. I will never. It's because of them that you don't like to take pictures right master!? Shuru se hi... Aapko harr photo me unn logo ne peeche khada kiya ya photo me hi nahi liya, jo lii wo bhi dhang ki nahi lii kabhi. Family photo me jaha sabhi logo ke hasste chehre dikhte hai, waha ya toh aapka chehra hi nahi tha ya aisa tha ki dikhaayi hi na de. They never paid attention to you at all. I hate them so much.... ]

'Leave it Pari!'

Shayad Pari samajh gayi thi...

Veer ne jo bol Sonia ko kahe the unka matlab...

Kuch lamhe keval dil me qaid karne chahiye. Veer ka matlab tha.... Apni unn dark memories se. Photo dekh kar toh aadmi bata deta ki photo me wo acche the ya nahi par... Dil me unn lamho ko qaid rakhne se... Kisi ko ye nahi pata lagne waala tha ki wo lamhe uss aadmi ke liye acche the ya bure.

Wo lamhe... Keval uske dil me hi dabe rehne waale jo the.

Jese yaha Sonia ko nahi pata chala. Veer ke unn lamho ke baare me...

Aur aaj aise hi...

Unn dono ka ye din kuch iss prakaar samaapt hua.

Dinner kar wo hotel laut chuke the. Suhana bhi late night aa chuki thi aur yaha aaj Delhi me ye unki last night thi stay kii.

Agli subah ki flight se unhe Mumbai nikalna tha.

Delhi me Veer ne jesa socha tha uss se kayi guna behtar samay guzra. Usse koi bhi mission nahi mila. Jo ki acchi baat bhi thi aur buri bhi.

Acchi isliye ki wo apne sheher me nahi tha. Aur Delhi me usse pareshani hoti. Toh mission na milna ek acchi baat thi. Par na milne se... pari ko level up karna aur late hone waala tha.

Veer ki ye Delhi trip me usne kayi saari cheezo ko mod de diya tha. Ab Mumbai me aake... Unn nayi cheezo ki shuruaat kese honi thi ye dekhne laayak tha.

Par...

Kya wo waqai abhi apni shaanti bhare palo ka maza le sakta tha!? Ya koi naya toofaan uska Mumbai me wait kar raha tha!? Ye usse jald hi pata lagne waala tha.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Ye ek new change tha jo mene kiya because I thought this was fun. Aur action ke start hone se pehle thoda light mahaul was needed. So this is it.
Baaki like karne ka... 😁

Dhanyavaad!
Zabardast update
 

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
12,174
91,930
259
I think this update is build up for next update by the way update was fantastic...
Something big is on the way...
 

Tiger 786

Well-Known Member
5,952
21,490
173
Update - 36 ~ Despair and Love

[This update contains some gore scenes. Beware!]
Ab tak...

Ladkhadaate hue Veer bina kuch kahe aage badha aur button dabaayi toh darwaaza khul gaya.

Par...

Andar aate hi usse ek behad hi bhaiyankar darr ki anubhooti hui. Jese maano uski maut aane waali ho. Usse nahi pata tha ki agla padaav uske liye kya kuch laane waala tha. Kya wo waqai Golu ko bacha paega!?


Ab aage...

"Haaah haaah haaaahhhhh..."

[Master! Calm down! Saas araam araam se lijiye. Aap jitna zorr zorr se saas lenge, utna hi panic karenge aur fir behosh ho sakte ho aap.]

Lift se nikalne ke baad Veer ki haalat sahi toh kahi se bhi nahi thi. Fluothane ka concentration bhale hi kam tha. Par shareer ke andar jaate hi uske kuch na kuch side effects toh hone hi the.

Pari ki baat maan jab usne apni aniyantrit saaso ko control kiya toh kuch pal baad usse thoda sahi mehsoos hua.

Wo already ek naye kamre me aa chuka tha. Ye kamra andar se harr jagah safed rang se puta hua tha. Kamra kehna galat hoga. Balki ek behad bada hall type ka tha. Par...

Par ek hi baat thi jo boht hi zyaada ajeeb sii lag rahi thi iss waqt. Yaha tak ki Veer khud confusion me khada hua tha.

Wo ye ki...

Upar ceiling se dherr saari rassiyaa latak rahi thi. Matlab itni zyaada tadaad thi unki ki aisa lag raha tha maano rassiya nahi balki jangal me ped se latak rahi bel ho.

Aur harr ek rassi, dusri rassi se baraabar ke gap me lagi hui thi. Saath hi saath upar ceiling me chaukor khand bane hue the jinke beecho beech ek ek rassiya lagi hui thi.

'Ye sab... kya hai!?'

[Dusri paheli master! Shayad inni rassiyo se aapko kuch karna hai!?]

Aur Pari ke bol jese sahi saabit ho gaye.

Kyuki uske baad hi Aatish ki awaaz intercom se ek baar fir aayi aur Veer ke kaano me padi,

"Ab tum soch rahe hoge ki bhala ye sab kya hai? Kya bala hai ye!? Toh bataata hu... Ye saari jo rassiya dekh rahe ho, inme se kuch aisi hai jinhe kheechne se kuch nahi hoga. Par inhi me se kuch aisi hai, jinhe kheechne par kuch na kuch hoga. Ab tumhe inhi saari rassiyo me se ek rassi aisi dhundni hai jisse kheechne se wo waha diwaar me laga case khul jaaye."

Aatish ki baat sunn Veer ki nazar bagal me gayi jaha deewaar par ek kaale colour ka case laga hua tha.

"Uske khulte hi tumhe firse ek badi sii wahi gol laal button milegi, jisse daba kar tumhara iss kamre ka lock khul jaega. Simple hai. Hai na!? Toh fir shuru ho jaayo."

Aatish iss waqt jidhar bhi baitha hua tha, wo cameras se Veer ko dekh paa raha tha. Aur iss waqt uski awaaz sunn ke hi ye pata lagaaya jaa sakta tha ki wo kitna khush tha.

[Master!]

'Hmm?'

[Mujhe kuch gadbad lag rahi hai. Lift me gas leakage tha. Par yaha toh sab kuch normal lag raha hai. Aur mein nahi maanti ki ye itna simple hai.]

'Tumne thik kaha Pari... Par mujhe pata hai mujhe kya karna hai.'

[Hmm?]

'Check!!!!'

Veer ne ek ek kar ke ceiling par lagi unn chaukor khando ke beech, harr ek rassi ko check kiya. Aur ye karne ke baad jo results usse mile, usse jaankar hi uska dimaag hil gaya.

Kuch khando ke upar aisi aisi cheeze dali hui thi ki unke baare me sawaal uthna swabhaavik tha.

Kuch khando ke upar badi badi dherr saari eete dali hui thi. Kuch ke upar lohe ki rods. Toh wahi kuch me tezaab dala hua tha.

Jese hi Veer ko inn cheezo ke baare me pata chala uska badan sihar utha, ye soch ke ki yadi uske paas aaj ye Check function na hota aur yadi usne inme se kisi bhi ek rassi ko kheencha hota toh uska kya hota?

Maut!

Yahi jawaab tha bas.

Rassi kheechte hi upar ka chaukor khand palatne ke liye banaaya gaya tha. Zaahir sii baat thi, ki jese hi chaukor palatata, upar rakha jo bhi samaan hota wo seedha aake neeche maujood vyakti par girta.

Aaj Veer teen cheezo se bach gaya tha. Eete, rods aur savse khatarnak cheez ~ Tezaab.

Soch ke hi Veer ke raungte khade ho gaye the...

Tezaab jesi cheez ban hoti hai aur aam aadmi ke paas toh bilkul hi nahi rehti. Na jaane Aatish ne kaha se mangwaaya hoga. Par ye bhi baat thi...

Ki Aatish bhi koi aam aadmi thodi tha.

Aatish bhale hi khush tha abhi. Par iss round me baazi Veer ne maar lii thi.

Apne Check function ke kaaran usne sab kuch pehle hi pata laga liya tha.

Ab keval Veer ko acting karni thi.

Usne aage badh pehli rassi kheechi, aur ceiling ka wo chaukor hissa palat gaya.

Par...

Andar se kuch na nikla.

Aise hi usne kuch rassiya kheenchi jinme se kuch khaali thi toh kuch me eete neeche giri par unke girne se pehle hi Veer peeche hatt gaya. Kyuki usse pehle hi pata tha ki unn sab me kya tha.

Tezaab waali ek bhi rassi Veer ne nahi kheechi. Ye boht risky tha aur Veer risk nahi lena chaahta tha.

Veer ne inn rassiyo ko isliye kheecha tha taaki Aatish ko koi shaq na ho. Yadi wo pehli hi baar me sahi rassi chun leta toh ye suspicious maamla bann jaata. Bas Isliye usne dhong kiya aur aise hi kuch ek do rassiya kheechne laga.

Ant me usne wahi rassi kheechi jiske chalte wo kala case side me khula aur andar ek laal button usse nazar aayi.

Button dabaate hi darwaaza khul gaya aur room se baahar nikal usse dusri lift bhi nazar aa gayi.

Jiske zariye wo second floor par pohuch gaya.

'That was too easy... Golu... Chinta mat karna... Mein aa raha hu... Bas thodi derr aur...'

Veer iss samay thoda asmanjas me bhi tha. Kyuki kuch derr pehle jo Aatish itna zorr zorr se thahaake le raha tha, wo ekdum se shaant sa pad gaya tha.

'Shayad usse nahi laga tha ki mein uska dusra round clear kar paunga itni easily.'

[Haha~ Usse kya pata ki aap akele nahi ho. Ye Pari bhi aapke saath hai.]

***

Jab Veer second floor par pohucha. Toh intercom se firse Aatish ki awaaz aayi,

"Maan'na padega Veer. Waqai! Tumhari kismat ke kya kehne. Par pata hai!?... Mein tumhaari issi kismat ko sabak sikhaunga abhi. Bas dekhte jao. Uss Ragini ko jese mene toda tha... Wese hi tumhe todunga Veeeeerrr.... Tumhara jab wo darra hua chehra dekhunga naaaa... Jisme ek pal bhi jaan na bachi hooo.... Jisne jeene ki iccha chorr dii hooo... Wahi... Bas wahi dekhna chaahta hu mein... Aaahhh! Tabhi... Tabhi mujhe chenn milega..."

Uski awaaz achanak hi itni badh gayi ki intercom se sound frequency zyaada hone ke kaaran Veer ko apne kaano me haath lagaana pad gaya.

Next room me enter karte hi...

Usse apne perr pe ek ajeeb sa sensation hua.

Par iske pehle ki wo nazre neeche kar dekh paata...

Achaanak hi wo itni speed me khichta chala gaya ki uski kuch samajh me hi nahi aaya. Uska perr, rassi ke ek phande me phass chuka tha. Aur wo rassi jese kisi pulling machine se bandhi hui thi. Ki Veer ka perr jese hi usme aaya aur machine ne usse kheenchna shuru kar diya.

Iss waqt Veer hawa me ulta latka hua tha. Uska ek perr rassi me bandha hua tha aur wo daaye baaye jhul raha tha. Aur uske neeche...

Paani ka boht bada tank rakha hua tha.

"Daaaaaamnnnn ittttt!!!"

Aatish : Veeeeeerrrr!! Ab tumhe pata chalega ki kya hota hai mujhse ulajhna.

Next second hi...

Achanak hi wo rassi neeche aayi aur...

*Splaaaaaashhhhh*

Veer ko poora ka poora uss paani se bhare tank me dubo dii.

"Blurrrrghhhhhh...grrrhhhh" Paani ke bulbule Veer ke muh se chooth rahe the aur wo kisi machli ki tarah chhatpata raha tha, jab wo paani ke baahar aa jaati hai.

[Master!!!? Hold your breath. Paani andar mat lijiye.]

Kamar tak Veer andar hi tha aur fir rassi upar hui aur Veer paani ke baahar nikal aaya. Wo tezz tezz haaf raha tha, khaas raha tha, theek se saas lene ki koshish kar raha tha.

Uska poora shareer kamar se le kar sarr tak paani se geela ho chuka tha.

Aatish : Veer! Mein chaahta toh tumhe kab ka khatam kar sakta tha. Par bhala... Usme maza hi kaha? Jo maza torture karne me hai. Wo maza kisi cheez me nahi. Hahahaha~

Na jaane kitni hi baar Veer ko yu paani me duboya gaya hoga. Par Veer...

Kuch nahi bola...

Uski aankho me bas krodh ke bhaav the. Ekdum laal aankhein jo badla lene ke liye tadap rahi thi.

Wo taiyaar tha. Chaahe jitna bhi torture kyu na kar liya jaaye usse. Ek na ek din wo iss Aatish ko apne khud ke haatho se saza dega. Usne ye nirnay kar liya tha.

Par achanak hi jis baat ki Veer ko bilkul bhi umeeed nahi thi wo hua uske saath.

Achanak hi usse neeche kiya gaya.

Ab wo aisi position par tha ki wo apna ek haath neeche container par tika sakta tha.

Aur issi ka istemaal kar usne apne jeb se knife nikaali aur khud ko upar kar jitne cuts rassi me maar sakta tha utne maare...

Nateeja...

Wo kuch palo me hi free tha.

"Jao... Tum mere test pass hue Veer. Jao... Intezaar kiska hai? Wo laal button dabao aur darwaaza khol lift me jao. Third floor pe hi tumhara dost hai Veer. Jao..."

Bhale hi Aatish ke shabd positive the. Par the toh Aatish ke muh se nikle shabd...

Itni asaani se kese vishwaash kar leta Veer!?

Usne savdhaani barat'te hue wo button dabaayi, jiske chalte darwaaza khul gaya.

Aur Lift ka istemaal kar wo third floor pe bhi pohuch gaya. Koi bhi takleef ya koi bhi trap nahi mila usse.

Sab kuch ekdum shaant tha. Kahi koi gadbad nazar nahi usse.

Ab bas iss darwaaze ke khulte hi usse Golu nazar aa jaega.

Ek aas liye... Veer apne mann me hi khush hone laga. Bhale hi uski jaan inn traps me jaate jaate bachi thi. Par...

Par aaj wo unn traps ko paar kar Golu ke paas pohuch chuka tha.

Aur Golu ko jald se jald churraane ke liye jese hi Veer ne gate khol ke saamne ka nazaara dekha...

Toh...

Wo apne aap apne ghutno par aa gira...

Saamne ka nazaara dekh uski rooh kaanp gayi.

"N-No...!"

Usne apne kaanpte hue hontho se budbudaaya...

Akhir aisa kya tha jo usse nazar aa gaya tha! Raaste me toh usse koi gadbadi mehsoos nahi hui thi. Fir aisa kya tha...!?

Par saamne ka nazaara hi aisa tha ki Veer ne apni zindagi me iss se zyaada khaufnaak drishya nahi dekha tha.

Uski nazre ek hi jagah par tiki hui thi. Wo jese apni palke jhapakna bhul gaya tha. Bhaiyankar khaufnaak, darrawna aur rooh hila dene waala manzar maujood tha uske saamne.

Kyuki...

Saamne...

Ek sheeshe ka bada sa aquarium tha. Aur andar usme ek magar terr raha tha.

Par... Baat sirf yahi nahi thi.

Jis paani me wo terr raha tha...

Wo...

Ekdum laal hota jaa raha tha. Aur...

Veer ne dekha ki...

Magar ke hi paas me...

Kuch paani me terr raha tha.

Aur wo dekh Veer ki nazre darr ke maare felti chali gayi.

Kyuki...

Wo kuch aur nahi... Balki... Ek insaan ka haath tha.

Jiski twacha ke chithde udd paani me hi terr rahe the aur bhayanak laal rang paani me ghulta jaa raha tha. Wo kya tha... Iss baat ka andaaza lagaana bilkul bhi mushqil nahi tha.

Khoon!

Insaan ka khoon...

"Noooo... Nooooo...."

Uska badan boht tezz kampan maar raha tha.

Harr ek ang darr ke maare hil raha tha. Aur uske badan me harr jagah roye khade ho chuke the. Aisa khaufnaak nazaara pehle kabhi nahi dekha tha Veer ne apni life me.

Aur jese ek awaaz ne uska darr saatve aasmaan par pohucha diya...

*Ding*

['Mission : Get to Golu as fast as possible and save him.' has been failed.]

[Mission Fail Penalty : 100 points Deduction.]

[90 points have been deducted. 10 remaining.]

Ye jhatka jese kam tha tha jab agle hi pal Aatish ki baat sunn Veer ka darr yakeen me badal gaya,

"Hahahahaha~ Sahi soch rahe ho Veeeeeerrrr... Ekdum sahi... Yahi hai tumhara Golu... Arre yahi hai... Jo ab nahi raha hahahaha~ Dekh rahe ho? Laal rang ... Aaahh! Adhbhut! Apni shaqal dekho Veer... Yahi... Yahi toh mein dekhna chaahta tha.."

Veer ki aankho se aasu apne aap nikal rahe the. Wo jese kisi sadme me jaa chuka tha par sabse bada sadma jese usse abhi lagna baaki tha.

"Veeeeeerrrrr!!! Hahahahaha~ Tumhe pata hai? Tumne hi usse maara hai Veer... Tumne... Mene nahi... Tumne apne hi dost ka qatl kar diya Veeeerrr... Haan tumne hi..."

Veer : !!?

Aatish : Mene kaha tha na Veer... Mein tumhari kismat ko bhi sabak sikhaunga... Aur tumhe bhi andar se todunga ... Tumhe pata hai Veer...!? Wo dekho... Tank me tumhe teen gate dikh rahe hai!?

Aatish ki excited sii awaaz sunn Veer ki lifeless sii nazre apne aap hi tank ke uss hisse par chali gayi...

Aur waqai...

Waha usse teen bade gates nazar aaye jo tank ke hi andar maujood the.

Aatish : Wo saare gates band the Veer... Wo saare band the. Aur tumhara dost ek taraf tha aur gates ke uss taraf mera paaltu Magarmacch 'Clutch'.

Veer : ???

Aatish : Tumne apne dost ki jaan leli Veer. Jab jab tum uss Laal button ko daba rahe the... Tab tab yaha tank me maujood andar ke ye gates khul rahe the. Tumhe laga tha... Ki tum apne dost ko bacha rahe ho... Par Veeeeeerrrr... Tum unhi haatho se apne dost ko maut ke muh me dhakel rahe the. Tum apni khud ki jaan bachaane ke liye, uss laal button ko jab jab daba ke aage badh rahe the. Tab tab tumhe nahi pata tha... Ki tum apne dost ko maarte jaa rahe the Veeeeerrrrr... Hahahahaha~ Haan! Yahiiii.... Yahiii chehra mujhe dekhna tha Veeeerrrr....

Maano jese ek bomb sa foota Veer ke sarr aur uski saari sochne samajhne ki shakti gaayab ho gayi ye sunn ne ke baad...

Veer : ....

Aatish : Dekhoooo.... Dekhooo Veeeerrrr! Kese... Kese tumhare dost ke shareer ke tukde paani me terr rahe hai. Kese chithde udaa ke rakh diya mere paaltu magar ne... Khooon hi khooon hai Veerrrr... Aur ye sab... Tumne apne haatho se kiya Veeer... Tumne... Hahahaha~ Tumne hi apne dost ko maar diya... Mene toh kuch na kiya Veer. Tumne hi uski jaan leli...

Veer ka dimaag jese kaam karna band kar chuka tha. Uska haal iss waqt shabdo me bataane laayak nahi tha. Uska chehra safed pad gaya tha. Aankhein aisi jese maano unme jaan hi nahi thi. Ab na toh usse kuch sunaayi de raha tha aur na hi kuch feel ho raha tha.

Jis Golu ne uski do baar jaan bachaayi thi. Aaj ussi Golu ki jaan Veer ne apne haatho se leli. Bhala kese nikal paata wo iss glaani se? Inn feelings ke liye glaani bhi ek chota shabd tha.

Veer yaha ye soch raha tha ki... Wo apne pehle mitr, Golu ko bacha raha tha. Wo ye soch raha tha ki harr pal wo usse bachaane me kaamyaab ho raha hai. Par... Par aisa bilkul bhi na tha.

Wo toh ulta apne ussi dost ko maar raha tha. Aisi dardnaak maut insaan kabhi kisi ko na de. Jo manzar Veer ne dekha tha. Wo bataane me bhi kaho uske raungte khade ho jaaye. Fir wo toh khud experience kar raha tha. Na jaane wo iss waqt kinn bhaavo se guzar raha tha. Ye shock itna bada tha ki bechari Pari bhi ekdum shaant pad chuki thi. Usse bilkul bhi aisi umeed nahi thi.

Toh wo sab neeche gubbaare!? Kisi ke maut ke jashn ke liye the!? Veer ne buttons check nahi kii thi. Kyuki unn buttons ko dabaane se darwaaza khul jaa raha tha. Par usse kya pata tha...

Ki jin buttons ko wo daba raha tha wo saath hi saath tank me maujood gates se bhi connected thi. Akhir sahi hi toh kaha tha Aatish ne. Ek prakaar se Veer hi toh Golu ka hatyaara tha?

Aatish : Ab hamaare mehmaan ki bhi khaatir daari kari jaaye...

Veer ghutno ke bal baithe saamne abhi tak tank me ho rahi halchal ko dekh raha tha. Wo insaan ki taang jiske maans ke na jaane kitne tukde paani me idhar se udhar ho rahe the, wo haath...

Ye wahi haath tha... Jo Golu ne usse dosti ke liye aage badhaaya tha!?

Kuch bhaag aise the... Jo pehchaan me tak nahi aa rahe the.

Poora tank... Lahu luhaan ho chuka tha ekdum.

Aur ye sab dekh... Achanak hi Veer ko ubkaayi sii aayi... Aur uske muh se ulti behna shuru ho gayi.

Par jese Aatish ko ye manzoor nahi tha. Kyuki agle hi pal, Veer ke ird gird 8 se 10 log ikhatta ho gaye aur fir...

Usse itna maara gaya ki adhmari haalat me chorr diya.

Veer toh pehle hi sadme me jaa chuka tha. Usne ek baar bhi apne aap ko defend karne ki koshish na kii. Saare hamle wo tab tak sehta gaya jab tak ki wo behosh na ho gaya.

Ek dost mila tha usse...

Aur Veer ne apne hi haatho se uski hi jaan leli.

Aadmi 1 : Bhau! Ye behosh ho gaya hai. Kya karna hai? Isse maar de?

Aatish : Na Na Na Na! Maar denge toh maza hi kya? Wese ab mera kaam iss se nahi hai. Wo toh bas kuch dino se Jalsa me koi manoranjan nahi hua tha. Aur Veer ki badkismati thi ki wo mere plan ke beech me aa gaya. Nateeja... Saamne hai. Maut se acchi saza hoti hai logo ko tadpa ke unhe zinda rakhna.

Aadmi 1 : Bhau fir?

Aatish : Aksar hum bas yahi dhaarna leke chalte hai ki... Kuch log bure hote hai kuch log acche... Kyu hai na?

Aadmi 2 : J-Jii bhau!

Aatish : Veer ki nazro me mein bura tha kyuki mein uske raaste me aaya. Par yahi baat mein bhi toh keh sakta hu? Meri nazar me Veer bura tha kyuki wo merer raaste me aaya!? Insaan bura ya accha nahi hota kabhi bhi samjhe?

Aadmi 1 : Samjhe Bhau!

Aatish : Harr aadmi apni paristhiti ke hisaab se act karta hai. Ab harr aadmi ke apne apne tareeqe ho sakte hai. Veer ki kismat kharaab thi, jo wo mere raaste ke beech aaya. Ab na keval mene uski kismat ka sach usse bata diya balki usse andar se poora tod diya hai. Zindagi bhar ab wo glaani ki Zindagi jiyega... Hamesha uske mann me yahi rahega ki wahi apne dost ka hatyaara hai. Jao ab... Isse iske ghar ke baahar hi fek aao... Ab ye kisi laayak nahi raha. Aur ab hamaara raasta saaf hai.

Itna bol Aatish camera control room se baahar nikal gaya...

Par... Uska chehre par bade hi gusse ke bhaav the. Aur asantushti ke bhi.

***

Poora ek din guzar chuka tha iss ghatna ke baad.

Shaam ka waqt tha aur mand mand hawaaein chal rahi thi.

Nidhi ke ghar iss waqt Nidhi Juhi ke sang baith usse padhaane me lagi hui thi.

Toh wahi Shreya aaj shaam ka evening snack bana rahi thi.

"Ye meri cooking itni buri kyu hai? Aarghh! Kya likha hai?? Vegetables ko kaat ke saute karo?? Hmm! Lo bhai daal diye vegetables..."

Aaj usne josh josh me Juhi ko bol diya tha ki wo aaj noodles banaegi... Aur bas... Shaam hote hi Juhi uske peeche pad gayi. Ab bola hai toh karna toh tha hi kaam...

Isliye mohatarma lagi hui thi, sabhi ke liye Noodles banaane me.

Aur baahar baithi Nidhi Juhi ko pyaar se samjhaate hue padha rahi thi.

Tabhi Achanak hi uska phone baj utha...

Jab Nidhi ne caller name dekha toh wo wahi sthir sii pad gayi aur screen pe naam dekh wo bas wahi dekhti reh gayi.

'Veer!?'

Veer ka call aa raha tha.

'Iss waqt!? Aakhir ab kese usse meri yaad aa gayi? Uss din mandir me toh... Yu naraaz hoke chala gaya tha? Kabhi mujhse baat nahi karta... Fir kyu? Halaki Diwali par usne hi mujhe message kiya tha... Fir bhi...'

Ant me wo call utha leti hai.

Nidhi : Ab kese yaad aa gayi tumhe Veer apni iss madam kii?

Par dusri taraf se koi awaaz na aayi...

Nidhi : ???

Voice : Umm... Wo... Actually... Mein Veer bhaiya ki choti behan bol rahi Ma'am. I'm Kavya.

Nidhi : Aahhh!?

Kavya : J-Jii!

Nidhi (blushes) : Ohh no no! K-Kavya? Haan! Veer ne mujhe bataya tha beta aapke baare me. K-Kaho na? Kya baat ho gayi?

Kavya : Baat boht hi serious hai Ma'am.

Nidhi (frowns) : Kya hua?

Kavya : Mujhe aapse kuch puchna hai? Kya aap aur Veer bhaiya ke beech accha relationship hai?

Nidhi (blushes) : Ehhhhh?? W-Whaat??

Kavya : Hmm! I mean... Ek accha relationship hai na aap dono ke beech?

Nidhi : Y-Ye!? Tum kya puch rahi ho...!?

Tabhi Kavya ki ruwaasi sii awaaz Nidhi ke kaano me padi,

Kavya : Darasal... Kal bhaiya kahi gaye the raat me... Aur... Kal raat me wo... Itni buri haalat me ghar ke baahar mile the. Harr jagah *sniff* chot hi chot thi... Yaha sabhi *sniff* itna pareshan hai... Doctor ko bhi dikhaaya... Wo toh medicine deke chale gaye. Par... Par bhaiya kisi se baat hi nahi kar rahe hai. *sniff* Na jaane kya ho gaya hai unhe. Bas apne room me sarr jhukaaye baithe huye hai. Na khaana khaa rahe aur na kuch... *sniff*

Nidhi : H-Huh???

Kavya : Mene aapko isliye phone kiya hai, kyuki Veer bhaiya ko jab ghar se nikaala gaya tha tab wo aapke hi saath ruke huye the. Toh mujhe laga aapke aur unke beech aachhi khaasi understanding hogi. Shayad aapki baat maan jaaye wo? *sniff* Isliye mene aapko call kiya hai. K-Kya aap yaha aa sakti hai? Please? I-I beg you...

Jab poori baat ka Nidhi ko pata chala toh na jaane kyu par usse ekdum se bechaini sii hone lagi.

Ghabraahat bhi.

Nidhi : M-Mein abhi aati hu.

Aur usne bina koi samay waste kiye, seedha Veer ke ghar ki orr prasthaan kiya.

Juhi ko wo Shreya ki hi nigraani me chorr aayi.

Aur jese hi Veer ke ghar pohuch wo Veer ke kamre me daakhil hui.

Veer ki haalat dekh uski rooh kaanp gayi. Darwaaze ki dehleez pe hi uske kadam tham gaye. Aur ek atyant hi peeda aur ajeeb sa dard uske dil me hua Veer ko uss haalat me dekh.

Nidhi : V-Veeeer!??

Veer : ??

.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Pasand aaye toh like kar diyo re. 😁
Aatish ko lagta hai ki veer ko
Usne tod diya hai.par veer itni
Jaldi tutega nahi.
Superb bhai
Update - 37 ~ Consolation and Schemes
Ab tak...

Veer ki haalat dekh uski rooh kaanp gayi. Darwaaze ki dehleez pe hi uske kadam tham gaye. Aur ek atyant hi peeda aur ajeeb sa dard uske dil me hua Veer ko uss haalat me dekh.

Nidhi : V-Veeeer!??

Veer : ??


Ab aage...

Kal jo kuch bhi khaufnauk haadsa hua tha, uss haadse ke baad se zaahir sii baat thi ki Veer ki haalat iss waqt shabdo me baya karne waali nahi thi.

Wo andar se aur saath hi saath baahar se bhi toota hua tha. Na keval Aatish ne usse andar se toda tha balki uske gundo ne milke, Veer pe haath saaf karne ki bhi koi kasar nahi chorri thi.

Usse jese ek behad bada jhatka sa laga tha. Apne kamre me zameen par paav sikode aur apna sarr jhukaaye baithe hue tha wo. Beech beech me Veer ka shareer kaanp uthata aur wo apne kaanpte hue haath khol unhe dekh khud se hi baat karne lagta...

'I-I killed him... Mene... Mene usse... Mene inhi haatho se G-Golu ko... Mene maar diya... Pari!?? Mene... I killed him Pari... I... *sniff* I killed him.'

[Master! Please! I beg you! Isme aap ki koi galti nahi thi Master. Hume nahi pata tha ki hum jab jab aage badh rahe the, hum Golu ko maar rahe the. Ye sab anjaane me hua Master. Isme saari galti uss aadmi ki hai. He set that trap. M-Master... Please! Khud ko sambhaaliye... Golu ki death ka badla aap ko hi lena hai master. Aap aise haar nahi maan sakte. Wo aadmi yahi chaahta hai master. Usne Ragini ke saath bhi wahi kiya tha na... Dekha nahi aapne? Waha se aane ke baad hi uske aur Vivek ke beech kitni badi daraar aa gayi hai? Master... Aapko hi kuch karna hoga.]

'Pari... Pari... Golu ko mene maar diya Pari... Mene apne hi haatho se... Usne meri jaan do baar bachaayi thi. Aur jaha mujhe usse bachaana chahiye tha. Waha... Waha mene ulta inhi haatho se usse maar diya.'

[Master! No! You didn't! Aapne nahi maara hai Golu ko master. Uss aadmi ne maara hai. Aap toh ye soch ke aage badh rahe the ki hum Golu ko bachaane ke liye uske nazdeek pohuch rahe hai. Par hume kuch nahi pata tha Master.]

'Sab meri galti hai... Sab... Mene kisi ka khoon kar diya Pari... Mene... I'm a murderer now... *sniff* Mein hi doshi hu... Saara ka saara dosh mera hai. Haan! Tum... Tum sab mujhe akela chorr do... Mein... Mein akela hi thik tha. Chali jao Pari tum bhi... I'm really a loser now. Ek dost ko nahi bacha saka mein... Ulta uski hi jaan le liya. Pari... Jao... Mein kuch nahi hu Pari. Tumhe iss shareer me sab bekaar hi milega Pari... *sniff*'

[Master! Please aisa mat kahiye. You are the best master. Aur, I cannot leave your body. Mein aapki body chorr kar jau, iske keval do hi raaste hai. Aur wo dono boht hi extreme hai. Aur mein kabhi aapse alag nahi houngi. Please! Master! Meri baat samajhne ki koshish kariye.]

'No... Pari... I...'

Veer ki maansik haalat itni kharaab thi ki wo Pari ki baat samajhne ka prayaas hi nahi kar paa raha tha. Jo jhatka usse laga tha, wo kahi hadd tak usse andar se hila ke rakha hua tha.

Pari ki harr baat ko wo ignore kar khud ko dosh diye jaa raha tha, jab achanak hi uske kaano me ek awaaz padi...

"V-Veer!?"

'??'

Aur ye awaaz sunte hi Veer ne apna sarr haule se uthaaya.

Uske saamne Nidhi chintit sa chehra liye darwaaze ki dehleez pe khadi hui thi. Aur itna hi nahi, Nidhi ke peeche hi Kavya aur Arohi bhi khadi hui thi.

Dheere dheere...

Nidhi apne kadam badhaate hue aage aayi. Uske perro me bandhi payal ki awaaz Veer bhali bhaati sunn paa raha tha.

Wo uske sameep aake jhuki aur usse dekhne lagi.

Nidhi Veer ki vartmaan haalat dekh ke hi ghabraayi sii hui thi. Aankho me halke halke aasu the, wo laal ho rakhi thi, aur unhi aankho ke neeche kaalapan. Jo ye batla raha tha ki Veer soya nahi hai raat bhar.

'Ye!? Ye kya haalat ho rakhi hai Veer ki!?'

Nidhi mann me soch aage badh Veer ke chehre par apne haath le gayi aur bade hi haule se usne Veer ke gaalo se unn aasuo ko pocha.

"Ma'am!?"

Uske thar tharaate hue hontho se jab wo shabd nikle toh Nidhi ne uski hatheli apne haatho me bheench lii.

Nidhi : Ye... Ye sab kya haal bana rakha hai Veer!?

Par Veer kuch na bola. Uski aankho se aasu nirantar behte chale jaa rahe the, jo Nidhi apne haatho se pochti jaa rahi thi.

'Kahi...!? Kahi Veer ke gharwaalo ne toh kuch nahi kiya uske saath!?'

Ye soch Nidhi ki nazre Kavya aur Arohi ki taraf gayi aur usne thoda gusse se unn dono ko dekha.

Par jab usse laga ki Kavya ne hi toh usse yaha call karke bulaaya tha aur saath hi saath dono behno ke chehre par jab usse chinta nazar aayi toh Nidhi ne ye khayaal forun hi apne mann se nikaal diya.

Nidhi : Veer!? Mein tumse kuch puch rahi hu. Jawaab do meri baat ka. Ye sab kya hai? Kya hua hai?

Par Veer abhi bhi kuch nahi bol raha tha. Yaha se Nidhi ki awaaz, toh andar se Pari ki awaaz aur fir uske khud ke antar mann ki awaaz jo usse doshi thehra rahi thi. Inn sab ke chalte wo bas ek jagah bina kisi hosh ke besudh sa dekhe jaa raha tha.

Nidhi : Tum Kavya ho na!?

Kavya : Huh? J-Jii!

Nidhi : Kal aisa kya hua tha? Jo Veer ki haalat aisi ho gayi hai? Batao mujhe... Jaldi...

Nidhi ke chehre par chinta dekh, Kavya thodi hairaan thi. Par ek baat usse clear ho chuki thi. Wo ye ki usne Nidhi ko yaha bula ke ekdum sahi decision liya tha.

Kavya : Wo... Ma'am... Mein aapko poori baat bataati hu. Darasal... Diwali ki night me mein aur Arohi dii yaha par aa rahe the. Tab raaste me hi kuch gunde hamaare peeche pad gaye the. Mene Veer bhaiya ko call karke bulaaya tha aur unhone hi hume bachaaya tha. Par uss din unn logo ne Veer bhaiya ko kaafi chotil kar diya tha.

Nidhi : Kyaaa?

Kavya : Hmm! Aur fir kal... Achanak hi bhaiya bole ki unhe kuch kaam hai aur raat me hi kareeb 7:30 baje ghar se nikal gaye. Par... *sniff* Par...

Bolte bolte Kavya yu rone lagi toh uski baat ko Arohi ne poora kiya.

Arohi : Par raat me hi... Kal Veer hume ghar ke baahar mila. Veer ko boht chot aayi hui thi. Abhi bhi uske badan par chot ke nishaan hai. Doctor ne treatment kiya aur medicine deke chala gaya tha wo. Par uske baad se... Veer na toh kuch khaa raha hai, na kisi se baat kar raha hai aur kuch bata bhi nahi raha hai. Meri kuch samajh me nahi aa raha hai ma'am. Wo log kaun the!? Aur kyu hamaare peeche pade hue the? Aur Veer kaha gaya tha kal jo uski ye haalat ho gayi? Yadi aap kuch hal nikaal sakti hai toh please...

[Master! Look! Nidhi ko aapki kitni chinta hai. Please! Listen to her.]

Nidhi : Veer! Meri taraf dekho... Kidhar gaye the tum kal!? Batao! Mein kuch puch rahi hu tumse Veer! Meri baato ko yu ansuna kar doge!? Mein tumhaari Ma'am hu na!? Bolo!?

Wo usse thoda sa hilaate hue puchi par...

Veer toh jese kisi murde ki tarah ho chuka tha. Koi harqat nahi kar raha tha.

[No! No! No! This is bad... Master ka emotional state itna unstable kese...!? Yadi aisa hi chalta raha toh master pakka depression me chale jaenge. Nooooo! Mujhe kuch karna hoga...]

Aur agle hi pal...

[Maaaaaassssteeeeeeerrrrrrrrr!]

'Huhhhh!?'

Pari uske andar itni zorr se chillaayi jiske chalte Veer ko kuch hosh aaya.

[Wo aadmi ab aapki Nidhi Ma'am ko maarega.]

Ye sunte hi Veer ki aankhein felti chali gayi!

'Huh!? M-Ma'am?? N-Nooo...'

[Yes! Even Shreya ko... Aapki Kavya ko... Arohi too... Ragini ko... Sabko maarega wo.]

'N-Nahi... Aisa nahi...'

[Of course! Aur kabhi aapne zara bhi fikar kii!?]

'???'

[Ki yadi aapki Juhi ko kuch hua toh!?]

Juhi ka naam sunte hi Veer ke raungte khade ho gaye. Uss pyaari sii bacchi ka khilkhilaata chehra uske mann me aaya. Yadi usse galti se bhi kuch hua...

Ye sochte hi Veer itna darr gaya ki uska badan kaanpne laga.

[Of course! He will kill them all. Kyuki aap toh yaha haath pe haath dharre baithe rahoge. Uske liye kaam asaan ho jaega. Yahi toh chaahta hai woh...]

'N-Nahiiiii... Aisa... Aisa kabhi nahi...'

[Bilkul hoga. Yadi aapne jald hi action nahi liya toh aisa hi hoga. Kabhi socha hai!? Ki yadi uss raat Kavya ya Arohi me se koi bhi pakdi jaati toh kya haal hota unka!? Fir aap... Apni hi behan ke hatyaare ho jaate Master. Aapki ek behan ki jaan jaati, ya dono ki hi jaa sakti thi.]

Ye baat jese kisi bhaari patthar ki tarah aake Veer ke upar giri. Aur uska poora astitv jese hila kar rakh diya.

[Aapki ye Nidhi Ma'am! Kabhi socha hai ki wo aadmi yadi inke peeche pad jaaye toh!?]

Pari ki baat sunn Veer ne Nidhi ko dekha jo usse hi chintit nazro se dekh rahi thi.

[You will lose her. You will lose everything. She will die.]

'N-Nahiiiiiiii'

[Bilkul! Yahi hoega! Aap sab kuch kho doge. Kaha gayi aapki wo pride? Kaha gaya aapke andar ka wo josh? Kya yu hi haar maan jaoge aap? Bhool gaye apna lakshya!? Aapko toh ek boht bada aadmi bann'na hai na? Kya hoga uss vaade ka jo aapne Juhi ko diya tha? Uske liye chocolate ki poori factory kholne waale the na aap?

Kya Nidhi jii ko uss Rajat ke changul se nahi nikaalenge aap? Bhool gaye ki abhi aapko apni saalo se bichdi Maa ko bhi dhundna hai? Kaha gaye wo saare vaade jo aapne mujh se kiye the? Kya wo sab dhong tha?

Yadi aise hi rahe aap... Toh sab kuch gawa baithoge Master. Nidhi, Shreya, Kavya... Ye sab aapke saamne maari jaengi aur aap kuch nahi kar paoge.]

'N-Nooooooo... I don't want to lose her... I don't want to lose anyone... Mein kisi ko bhi nahi khona chaahta... Nooooo... I really don't...'

Aur agle hi pal Veer ne aage badh Nidhi ko apni baaho me bhar liya.

"Aahhh!? Veeerrr!?"

Nidhi iss hamle se thodi hairaan zaroor thi par jab usse Veer ka kaampta hua badan mehsoos hua aur jab usse apne nagn kandhe par Veer ke aasuo ka ehsaas hua toh Nidhi kuch na boli aur uske haath apne aap hi Veer ke ird gird lapit gaye. Usne uske sarr ke peeche haath le jaa usse thaama aur apne se laga liga. Dheere dheere wo Veer ki peeth sehlaate hue usse shaant karne lagi.

Idhar Kavya aur Arohi dono hi hairat ke maare ye sab dekh rahi thi. Par kahi na kahi unhe iss baat se zyaada khushi thi ki Veer at least ab kuch movements toh show kar raha tha.

[Phew! Master ka dil boht kamzor hai. Unki family ne unke saath itna bura behave kiya hai... Aaarghhh! I hate them all. Hmm? Nidhi ki favourability 56? That's good! Kavya ki...!? 78!! Ohh! And Arohi?? Huh??? 40!?? Wow! This is surprising. Master ko baad me bata dungi mein.]

'Mein... Mein unhe khona nahi chaahta... I will kill him... Mein... Kuch nahi hone dunga kisi ko... I... I...'

"Haaaahhhh haaahhhh haaahhh..."

Aur achanak hi Veer ki saasein itni tezz ho gayi ki waha maujood sabhi ladkiya ghabra gayi.

Nidhi : Veer??? Ye... Ye kya ho raha hai...!? Kya hua tumhe?

Wo lambi lambi saasein le raha tha aur achanak hi usne apna seena zorr se haatho se bheech liya.

"Haaaaahh... Haaahhh"

Kavya : Bhaaaaiyaaaaaa

Kavya chillaayi toh Arohi bina samay gawaaye bhaagte hue neeche gayi aur Ragini ko bula kar laayi.

Ragini samet Suman aur baaki sabhi bhaagti hui aayi aur Veer ki haalat dekh Ragini ne koi galti nahi kii aur seedhe hi doctor ko phone laga diya.

Doctor ka ghar paas me hi tha aur uska clinic bhi uske ghar se bagal me tha toh woh forun hi kuch minutes me aa gaya.

***

Kuch derr baad...

Veer bistar par laita hua tha, uski aankhein band thi aur shirt ki saari buttons khuli thi jiske chalte uska saara seena nazar aa raha tha. Shayad doctor ne abhi check up kiya tha.

Ragini : K...Kya hua tha doctor Veer ko?

Doctor : He was hyperventilating.

Kavya : Huh???

Doctor : Samjhaata hu... Emotional stress ya emotional breakdown, anxiety ki wajah se kabhi kabhi aadmi panic kar jaata hai aur lambi lambi saasein lene lagta hai aur isse hum hyperventilation kehte hai.

Kavya : ??

Doctor : Insaan oxygen ko andar leta hai aur carbon dioxide ko baahar chorrta hai right?

Kavya : Hmm!

Doctor : Hyperventilation ke samay... Aap jitna oxygen andar nahi lete ho uss se zyaada carbon dioxide ko baahar chorrne lagte ho, jiske chalte carbon dioxide ki maatra body me kam ho jaati hai aur ye situation create ho jaati hai.

Kavya : Ahhh!

Nidhi : Toh... Toh thik toh hai na Veer!?

Doctor : Jii haa! Bas thoda araam ki zaroorat hai. Inhe rest karne dijiye... Accha! Ragini jii! Ab mein chalta hu. Yadi fir se koi dikkat samajh aati hai toh aap call kar lijiyega.

Ragini : J-Jii! Thank you so much doctor!

Doctor : Ye toh hamaara kaam hai Ragini jii!

Aur itna bol doctor fees leke waha se nikal gaya.

Idhar Veer ki khuli shirt dekh, Kavya aage badh unn buttons ko band karne hi waali thi jab usse apne bagal me achanak hi ek hawa ka jhoka mehsoos hua.

'Huhhh!?'

Dekha toh paaya ki...

Arohi uske bagal se nikal aage badhi aur Veer ke paas jaa pohuchi.

Apne haatho ko aage badha ke wo Veer ki shirt ki buttons dheere dheere band karne lagi.

Kabhi bauhe sikode wo Veer ke chehre ko dekhti toh kabhi uske seene ko jinpar halke halke choto ke nishaan the.

Na jaane kya chal raha tha uske mann me.

Kavya ne jab ye dekha toh uske kadam wahi tham gaye. Par...

Hontho par agle hi pal ek santushti bhari muskaan bhi aa chuki thi.

***

Ek bade se ghar me iss waqt ek kamre me ek aadmi idhar se udhar tehel raha tha aur kisi uljhan me nazar aa raha tha.

Toh wahi uske peeche ek sofe pe ek aur naujavaan ladka baitha hua tha.

Aur ye tehelne waala vyakti koi aur nahi, Vivek hi tha. Saath hi saath sofe par baitha yuvak uska chota bhai ~ Pranjal tha.

Pranjal : Aise tehelne se kuch nahi hoga bhaiya.

Vivek : Toh kya karuuuu?? Huh?? Ragini... Ek number ki murkh aurat hai... Idhar apne pati ka saath chorr ke udhar ghar me reh rahi hai. Saala company me na jaane kya kya afwaaye fela rahe hai employees. Ki bhaag gayi hogi, utha ke le gaya koi, talaak ho gaya... Fuck! Aur upar se wo saala Veer bhi wahi hai. Kya soch ke Ragini ne usse apne ghar me rakh liya? Dimaag kharab ho gaya hai kya uska?

Pranjal : Dekha jaaye toh isme aapki bhi thodi galti thi bhaiya. Ladkiya boht hi sensitive hoti hai. Aapne jo baat kahi thi uske chalte Bhabhi boht zyaada naraaz hai aapse jo ki bani baat hai. Aapko unhe behla fusla kar manaana hoga tab hi kuch hoga.

Vivek : Sab kar chuka hu chote. Yaha tak ki mom dad ko bhi leke gaya tha. Par saala wo sunn'ne ko hi taiyaar nahi hai. Upar se pata nahi kaun sii saheli ko bulaayi hai jo uske ghar me dera jama ke baithi hui hai. Ek baar me usne mom dad aur meri bolti band kar dii thi waha...

Pranjal : Hmm?? Ohh! Thoda samay dijiye fir bhabhi ko. Par harr ek do din me unse baat karte rehna. Unhe jataiye ki aapka unke bagerr mann nahi lagta. Dekhna, wo jald hi maan jaengi.

Vivek : Hmm! Wese... Kuch socha? Property ke baare me!?

Pranjal : Aapki baat Tai jii se hui thi na?

Vivek : Hmm! Haan! Unhe property Bhumika ke liye chaahiye haha~

Pranjal (smiles) : Bada hi mast plan bana ke unhe apne side liya tha humne hai na? Veer ko ghar se baahar nikalwaane me akhir unhone bhi samay samay par apna yogdaan dete hue hamaari madad kii thi. Aur humne unhe property ka kuch hissa dene ka waada kiya tha. Toh? Doge aap? Unhe property?

Vivek (smiles) : Hahaha~ pagal hai kya? Dene ke liye thodi hi ye plan kiya hu. Ek rupaya bhi na milne wala unhe. Wo toh upar se sauteli maa hai Veer ki. Bhala jab Veer ko kuch na mila toh hamaare rehte hue ye sauteli Tai aur unki beti ko kaha se kuch milega?

Pranjal : Hmm! Par yadi unhone ye raaz khol diya ki Veer ko baahar nikalwaane me hamaara haath hai toh?

Vivek (smiles) : Toh? Toh kya... Unka muh kese band karwaana hai uska bhi ilaaj hai mere paas... Hahaha~

Pranjal : Waah! Wese... Dada jii ke baare me kuch socha hai? Kyuki jab wo raazi honge tabhi toh property hume milegi bhaiya. Aur unhone toh keh ke rakha hai ki jab tak Veer nahi aa jaata tab tak wo koi faisla nahi lenge.

Vivek : Bas! Ussi ki toh tension hai chote. Kuch samajh nahi aa raha.

Pranjal : Wese... Mere paas ek idea hai. Yadi aap suno toh...

Vivek : Kesa idea?

Pranjal : Idhar aaiye...

Vivek ko apne paas bula ke Pranjal ne dheere se apne kuch bol rakhe, jisse sunn ke Vivek ekdum se hadbada ke uth gaya.

Vivek : Ch-Chote!?? Ye... Ye?? Tu? Ye boht zyaada nahi ho gaya?

Pranjal : Sach me? Yahi baat aapne mujhe tab bhi kahi thi jab hum Veer ko nikalwa rahe the. Kahiye! Kya tab zyaada hua tha? Kya kisi ko pata chala? Nahi na!? Fir?

Vivek : Fir bhi chote...

Pranjal : Isme jitna aap soch rahe ho utna risk nahi hai. Haa thoda maamla gambheer rahega but solution issi se niklega aap dekhna...

Vivek : Hmm! Theek hai fir... Yadi yahi sahi hai toh... Yaad rakhna... Koi gadbad nahi...

Pranjal : Bilkul! Isme mujhe aapki madad lagegi.

Vivek : Hmm!

***

Washington, United States...

Ek bade si 5 stat hotel me iss waqt ek shandaar luxury room me bistar par ek behad hi sundar ladki so rahi thi.

Kuch aahat paate hi uski bauhe sikudi aur agle hi pal wo neend se baahar aa gayi.


94dcba383aca71b2f2c4e5a66cd4a02e

Palke jhapkaate hue wo uthi. Keval ek bra aur neeche panty pehni hui thi woh.

Usne jab gaur kiya ki toh dekha side me Dressing table ke paas ek red haired beauty khadi hui thi. Aur dressing ko jama rahi thi.

Ladki : Hmm? Julia?

Uss ladki ne pukaara toh wo laal baalo waali aurat forun hi palti aur usse dekhi...

Ye thi Julia. Bistar par laiti hui ladki ki head maid. Bole toh saari maids ki head.

Russian beauty thi woh. Uske laal baal bade hi acche se ek bun me bandhe hue the. Aur uska aakarshan hi dekhne laayak tha.

Julia : Miss! You are awake!? (Miss! Uth gayi aap?)

Ladki : Yeah!

Aage badh wo dressing ke paas aayi toh Julia ne forun hi uske shareer ko dhakne ke liye ek nighty nikaal aur usse peeche se pehnaane lagi.

Ladki : Julia?

Julia : Yes Miss!?

Ladki : What is life?

Julia : Miss! You are asking me this question for the 12th time. (Miss! Ye prashn aap mujhse baarvi baar puch rahi hai.)

Ladki : Just answer me Julia.

Julia (sighs) : People are born miss. It's a journey. During this journey, they make friends, establish relationships, they laugh, they love, they cry and this goes on. They make kids to teach them how to live and then again this goes on. One day, we die and everything we earned remains here only.

(Logo ka janm hota hai miss! Ye ek safar hai. Aur iss safar me, log dost banaate hai, rishte banaate hai, wo hasste hai, pyaar karte hai, rote hai aur yahi chalta jaata hai. Wo apni santaane karte hai aur unhe sikhaate hai ki zindagi kese jeete hai aur fir wahi chalta jaata hai. Ek din, hum marr jaate hai aur humne jo kuch bhi kamaaya wo yahi reh jaata hai.)

Ladki : ....

Julia : Was my answer to your satisfaction? (Kya mera jawaab aapke liye santushti janak tha?)

Ladki : No! I still don't understand.

Julia (sighs) : Sorry! Miss!

Ladki : No! It's okay! Prepare the tea. I'll take a bath.

Julia : As you wish Miss!

Aue wo ladki itna bol nahaane chali gayi. Aur Julia keval usse jaata hua dekhti rahi.

'Poor Miss! If only I could help her...'

***

Mumbai...

Outer area me sthit ek building ki top floor par ek aadmi kursi par baitha hua tha.

Ki tabhi uska phone baj utha...

Aadmi : Hello?

Voice : Kese ho Aatish mere sher!?

Jii haa! Ye Aatish hi tha. Aur phone ke dusre taraf se aa rahi awaaz sunn wo agle pal hi uth ke khada ho gaya.

Aatish : D-Dada aap!?

Voice : Hmm! Suno... Mene ye bataane ke liye phone kiya hai, ki ab tumhe uss ladki ke peecha karne ki koi zaroorat nahi hai. Mein already India aane waala hu aur wese bhi... Wo mera shikaar hai. Mene toh keval tumhe thode din maza karne ke liye ye kaam de diya tha haha~

Aatish : Ohh! Jesa aap kahe Dada!

Voice : Toh? Tumhaari aadat gayi ya nahi? Ya abhi bhi logo ke vishwaash todne me lage ho?

Aatish : Hahaha~ aap toh jaante hi ho... Yahi mera sukoon hai. Waqai! Abhi kuch dino se maza kaafi aa raha hai.

Voice : Hmm! Chalo! Accha rakhta hu. Meri flight ka time ho raha hai.

Aatish : Okay Dada!

*Call ends*

Aatish muskuraate hue apni hat aur hockey stick uthaaye neeche jaane laga.

'Tumhaare liye ek uphaar hai...'

Soch wo neeche chala gaya.

Par...

Usse nahi pata tha. Ki shayad Veer ko chorr ke usne ek boht badi galti kar dii hai. Shayad apne jeevan ki sabse badi galti...
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like kar diyo re! :bigboss:
Dhanyavaad!
Vivek or pranjal ne koi ganda or
Ginona plan banaya hai
Nice update
 
Top