• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Welcome back to chosens...jahan pr raaz ko uski zindgi ka sbse bda dard mila waps usi jagha aagya wo...jahan jin logo ne use dost kaha unhi ne use chhura ghop diya tha...jahan aseem nafrat bhar gyi usme khud ke liye aur iss pure brahmand aur vikram aur apne mata pita ke liye wahi waps laut aaya wo apne safar pr aage badhne ke liye...aur agr mera guess sahi h to sayd ye jo aloukik shaktiyaan one time use krne ke liye mili h abhi ke liye raaz ko wo hi use krte me uske andr karuna ka bhaav bhi paida ho skta h..sayd yhi plan ho..kyuki wo ek waqt aisa aaye agr abhi kuchh na ho to ki uss waqt wo acchuta slunder brawny aur hida ko khtam krne chahe apn shakti se par sayd us waqt wo unpr taras khajaye..tb errapel usko uski shaktiyaan full control ke sath de de ..sayd aisa ho...baki to VJ baba ki jai ho...kaise wo raaz ki nayi naveli gharwali ( errapel ) ko manwayenge...wahi mahi ka to clear h ki jb tk wo apne dono auras ko mila nhi deti tb tk us bowl me kya tha usko pdh nhi skti h...ab wo to waqt pr depend h kya hoga...pr ab yaha alfreen h. Dekhna h ki yaha kya se kya hone wala h...bahut maar maaregi lg rha h ...
Waiting brother
thrill next level par jaane waala hai...yunhi saath bane rahiye
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
behatrin update bro.................
to raaz ne apni puri emotions power ko errapel ke control m de diya...................
isse to wo ek trh se robot hi ban gya..jb wo chahegi tb hi raaz ki body move hogi jesa painout - valt ke bahar hua tha.................
kher dekhte h kb tk raaz apne emotions power pr fully control pata h............
philhal to wo choosen pahuch gya ......................
or abhi to mahi se bhi kafi acche se bat kr rha h lgta h gusse ko bhi errapel ne control kr rakha h:tongue::tongue::tongue:
dekhna ye h ki ab choosen m kya gul khilate h ye or ab shayad inka samna alfreen se bhi hoga............tb kya AL ko apni sacchai bta payega raaz ya phir uska bhi samna krna padega use................

or jb uski power hi uske control m nhi h to wo acchuta slunder browny or hida ko kese pain dega unhe to ab wo kuch kr hi nhi payega......................
or kya videous inki choosen ke andar aane ki rah m rukawat nhi banega ....
kya wo inhe aasani se choosen m enter hone dega..........
situation ms ke hisaab se khudko adapt kar lena bhi RAAZ ke ATTITUDE ka hissa hai Brother...aage bohot maza aane waala hai..yunhi saath bane rahiye
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Excellent update bhai

Finally RAAZ aur MAHI aagaye chosens mein
Bahut sandar update bhai
Bahut hi khubsurat update bhai 😊
Super update hai Bhai
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Hamesha ki tarah zabardast fantastic update eagerly waiting for next :applause: :applause: :cheerlead:
Nice update
Awesome update bro
Behad hi shandar or jabardast update
Aakhikar choosen wapash aa gaye dono ab hoga asli khel shuru
Zabardast update
Supperrrrr update
badhiya update raaz ko power mili apni lekin sirf ek baar use kar sakta wo aur plan uske dimag ma aaya wahi meko bhi sahi lagta hai mere hisaab se na raaz ko wo power jo uske andar ghusi hai uske upar karna chahiye jo marke bhi jinda hai ye to biwi se bhi khatarnaak hai yaar har dam andar baithi rahegi
Nice update bhai
Aati uttam update bhai, to dubara aahi geya dono aapni jagah pey, dekhtey hey ab agey AC,SL,HIDA,BROWNY,and AL ka kya reaction hota hey
KEEP IT UP AND AS ALWAYS WAITING FOR
lajawab update bhai maza aa gya
Bhai firse chosen main return huye kamal ka update tha bhai aur ab dekhna hain vedious kya krta hain aur alfreen kya karti hain waiting for new update bhai
Mast update
Super Duper Hit & Fantastic & Awesome & Excellent & Gajab & Very Nice Update Bro

Wah wah isbar ki baat hi alg huyi raaz ne mahi pe gusa nhi kiya wo alg hi tarh se lga wo acha lga

Wah firse wapsi challenge fir suru ab hume dekhne ko milege

Waiting
बहुत ही शानदार, लाजवाब, बेहतरीन अपडेट है हर बार की तरह। आखिरकार वापस आ गए अपनी कर्मस्थली राज को एक बार के उपयोग के लिए उसकी अलौकिक शक्तियां भी मिली जिसे शायद वो videus से आर-पार की लडाई में use करे ।
ABBADON aur ABRAXAS को जिस तरह मारने की सोच रहा था राज, इसीलिए errapel ने उसे रोका, errapel उसका हृदय परिवर्तन करना चाहती है और जब ऐसा हो जाएगा तब Errapel अपना भी सारा कंट्रोल राज को दे दे औऱ अपना अस्तित्व राज में विलीन कर ले क्योंकि errapel है तो राज का ही इमोशन ............ शायद, ......ये VJ भाई ही बताएगें

अगले अपडेट का बेसब्री से इंतजार रहेगा
Nice update
Tow aakhir RAAZ or MAHI Chosens ki sharhad per pahoch hi gaye lekin ab dekhna yeh h ki ander jaane ke liye kerna padega ya fir bagair koyin pareshani entry mil jayegi
Bahot bahot shaandaar mazedaar zaberdast lajawab update VJ bhai
Thanks for lovely and wonderful update
Nice update
aafreen update dost
super hot update...............?
keep posting...................?
waiting for next...................?
shaandaar update bhai
Superb awesome update VJbhai
Well...
Raaz ka future biggest competitor...
Ab tk to iska sirf ek hi competitor tha VIDIOUS...
But Raaz ki jo current condition h usme dekhte h kon aisa h jo Raaz ko takkar de qki bhale Raaz ki apni saktiyon pr control na ho lekin jis ek chiz me use koi takker nhi de sakta vo h uska pagalpan uski sanak or uska ATTITUDE...
AWAITING TO NEXT REVALETION UPDATE
thanks brothers...be along...
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI AUR RAAZ THE PAN-OUT VAULT SE APNE APNE HISSE KI CHIZ AUR SHAKTI LE LETE HAIN WAHIN WORLD DOOR KE DUSRI TARAF AATE HI WOH KHUDKO CHOSENS KI SARHAD PAR PAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-3

(THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)

MEGA UPDATE-136

PLANET-ELYSIAN

PLACE-THE BORDER OF CHOSENS

IF THIS IS THE PLACE WHERE YOU TWO WANTED TO BE,THEN WHY IS RAAZ ANGRY...????

ANZU ne pucha tha ye sawal..

REASON....

khudko CHOSENS ki sarhad par dekh MAHI ke chehre par jo khushi aur excitement dikh rahi thi,usse dekh is jagah ke baare me pucha tha ANZU ne jiske baad MAHI ne usse CHOSENS ke baare me aur woh kyun khush hai,iske baare me bataya tha..

par is pure dauran meri aankhon se ghussa hi jhalak raha tha jisse dekh MAHI ne pucha tha us sawal ko ANZU ne par MAHI ne ishare se naa me gardan hilate hue usse chup rehne ko kaha aur...

MAHI-toh chalen...???

mujhe dekh pucha ye sawal MAHI ne jispar...

MAI- aiming straight, throw a stone...??

MAHI-what..???

MAI-just throw a stone...

meri baat ka matlab toh samajh nahi aaya MAHI ko par bina zyada soche usne paas hi gire ek pathhar ke chote se tukde ko uthaya aur saamne ki taraf halke zor se fekh diya..

abhi woh patthar ka tukda udta hua sa kuch 10 metre hi travel kiya tha ki tabhi..

BOOMMMM.......

ek invisible SHIELD se takraya woh patthar jiske baad halka sa dhamaka hua us jagah par aur aisa hote hi woh patthar chur chur ho gaya...

ye sab dekh mai toh shaant hi khada raha par MAHI ki aankhein badi ho gayi...

woh kabhi saamne dekhti jahan ab pehle sa hi sab normal dikh raha tha kabhi mujhe..

wahin ANZU bhi us invisible SHIELD ko us patthar ke takrane ki wajah se dekh hairan hui thi aur isiliye...

ANZU-wow RAAZ...aapko invisible barriers bhi dikh jaate hain...!!!!

MAI-jab shakti apni si ho,toh dikhe naa dikhe,par mehsoos ho hi jaati hai...

MAHI-apni si shakti matlab...???!!!

MAI-saamne jo invisible SHIELD laga hai,woh VIDEOUS ne apni aloukik shaktiyon ki taakat se lagaya hai...

aur uski aloukik aur meri aloukik shaktiyon ka shroth ek hi hai isiliye mujhe uski shakti mehsoos ho gayi thi..

(NOTE:-woh VIDEOUS hi tha guyz jisme CHOSENS ke chaaron taraf SHIELD lagaya tha)

mere jawab ki sun MAHI ka face dull ho gaya aur..

MAHI-shit,phir is SHIELD ko paar kaise kiya jaaye...???ye toh sabse hard part hai...!!!!

sad hote hue kahi ye baat MAHI ne par tabhi uske dimag me kuch click kiya aur...

MAHI-ek second, tumne VIDEOUS ki aloukik shaktiyon ko feel kiya...!!!par kaise..???

waisa karne ke liye toh tumhare paas bhi waisi shakti honi chahiye aur tumne toh apni aloukik shaktiyan kho di thi...!!!

MAI-ab pucha tumne sahi sawal...

VAULT me mujhe ONE TIME USE ki sharth par apni aloukik shakti mili hai...

aur ab samajh me aa raha ha ki kyun mili hain..!!!

jis shakti se ye SHIELD bana hai,us shakti aur is SHIELD ko bas waisi shakti se hi toda jaa sakta hai...

apni baat bolte hue mai aage badha aur us INVISIBLE SHIELD ke theek aage jaakar khada ho gaya...

mujhe aage badhta dekh MAHI bhi aage badhne ko hui par maine usse ishara kar aage badhne se rok diya tha..

mere ishare ka matlab MAHI samajh gayi thi...us SHIELD ko todte waqt jo energy wave create hogi,uska asar zyada hi hoga,ye baat samajh chuki thi woh....

khair,MAHI ko rok us invisible SHIELD ke theek saamne khada hua mai...

maine apne dono haathon ko apne chest ke upar rakha aur aankhein band kar apne andar chamak rahe ALOUKIK SHAKTIYON ko dekhte hue....

VABIDHI SAMASTAM SHAKTIYEM

EXERT COMPLETE POWER

kaafi zor se is SPELL ko uccharit kiya maine..

aisa karte hi mere seene ke beech se ek roshni nikalne lagi jo harp guzarte pal ke saath badhti chali gayi..

wahin chest ke upar haath rakh SPELL bolne ke baad maine apne dono haath faila diye the...

mere seene ke beech badi hoti roshni joki meri ONE TIME USE waali aloukik shakti thi,woh mujhse nikal aage badhi aur mere saamne moujud invisible SHIELD se takra gayi aur jab aisa hua toh...

BOOOMMMM.........

ek tez dhamaka hua jiske asar se mai thoda sa piche jaakar gira..

wahin us dhamake ka impact aur usse nikli energy itni strong aur powerful thi ki MAHI bhi piche ki taraf ulte sir ke bal gir gayi...

itna hi nahi,us impact se jo energy create hue thi,usne MAHI ke heart me base dono hi FORM'S OF POWER SOURCE tak ko hila diya tha...

puri kaamp gayi thi MAHI ki body...

saath hi saath ANZU joki MAHI ke kandhe par baithi hui thi,woh bhi apna balance khokar udte hue piche jaakar giri...

par jahan MAHI aur ANZU girne aur jhatka lagne ke baawjud bhi theek hi the,wahin meri haalat kaafi buri ho chali thi..

bhale hi mai dhamake se paida hue impact ki wajah se zyada door jaakar nahi gira tha,par meri body,uske andar basa har ang jaise gir hi gaya tha..

aur sabse buri haalat thi mere HEART aur uske ird gird ke hisson ki...

dil mera behadh dheere dheere dhadak raha tha...

behosh nahi hua tha mai,par haalat meri behoshi waali hi tho..

kisi piyakkad ki tarah aankhein khuli hone ke baad bhi badhawasi ki haalat me tha mai...

mere temporary haasil kiye ALOUKIK SHAKTIYON ke nikalne ke baad jaise jaan bhi nikal hi gayi thi meri....

aur pata nahi mai kab tak aisi hi badhawasi ki haalat me pada rehta par tabhi.....

meri pysical strength mujhe dheere dheere restore hoti hui feel hui...

saath hi saath mujhe apne paas apni si urja mehsoos hui jisse feel kar jab maine apna sir piche ki taraf halka ghumakar dekha toh....

WOOGER....

mere just piche WOOGER khada tha jo apni shakti se meri pysical strength ko louta raha tha...

kuch hi seconds me mai normal ho chuka tha jiske baad mai khada ho gaya...

wahin MAHI ke paas is waqt GRIFFIN khadi thi jisne WOOGER ki hi tarah MAHI ki haalat bhi thik kar di thi..

ANZU bhi normal hote hue udkar MAHI aur GRIFFIN ke paas aa chuki thi jiske baad MAHI ne un dono ka aapas me intro karaya...

usne WOOGER ke baare me bhi ANZU ko bataya...

par jahan ANZU se mil GRIFFIN kaafi khush dikh rahi tho wahin WOOGER shaant hi tha...

khair,un sabke bharat milap ko dekh...

MAI-baat ho jaaye toh aa jaana....

MAHI-RAAZ,are you sure woh SHIELD toot chuki hai...

AISI KOI DEEWAR NAHI HAI JO HAMARA BETA NAHI GIRA SAKTA...

MAHI ke sawal par mai kuch kehta,usse pehle hi mere piche se ek saath do awaazein aayi jisse sun jahan ek taraf MAHI kaafi khush ho gayi wahin dusri taraf mere dil me ek tees si uthi....

mai dheere se piche palta aur aisa karte hi meri woh tees halki si aur badh gayi...

REASON...

us jagah jahan par kuch der pehle tak woh SHIELD laga hua tha jo ab toot chuka tha,is waqt khade the ANJALI AUR RONIT par roop unka is waqt wahi tha jis roop me woh mere MOM DAD bane the...

FLORIN aur MARIA...

unhe us roop me dekh mai kaise react karun,ye samajh nahi aa raha tha mujhe..

wahin apne FLORIN uncle aur MARIA aunty ko dekh MAHI ki aankhon me khushi ke aansu aa chuke the..

woh jhat se aage badhi aur mere baaju se hote hue un dono ki taraf badh gayi...

unke paas pahunch woh unhe gale lagane ko hui par un dono se nikal rahe super strong ANGEL'S AURA ki wajah se woh unhe touch nahi kar paa rahi thi...

par tabhi us AURA ko reduce kiya un dono ne jiske baad MAHI pehle FLORIN aur phir MARIA ke gale lag gayi jispar...

MARIA-hum,and more importantly,tumhare mom dad ko garv hai tumpar MAHI...

filhal human ho par phir bhi kisi ANGEL se kam nahi ho tum...

blessings,gifts toh bohot si de sakti hun tujhe meri bacchi par mai chahti hun ki apne PITAH ki tarah tum bhi har chiz earn karo...

proove your worth....

MAHI-i will aunty...

MAHI ke gaal ko thapthapate hue meri mom ki nazar meri taraf roll hui jisse dekh MAHI samajh gayi ki woh dono mujhse baat karna chahte hain..

MAHI meri mental condition ke baare me bhi jaanti thi aur isiliye usne hume privacy dene ka faisla kiya...

MAHI-aunty, uncle aap baat kijiye,mai aage khadi hun..

MARIA-THE GREAT HALL..wahan jaao tum..jinhe bhi tum jaanti ho,woh sab wahin moujud hain....

jaao unke paas.....aur is puri kahani ke baare me,apne aur RAAZ ke baare me batao unhe...

MAHI-jee aunty....

ek baar palat kar mujhe dekha MAHI ne aur phir GRIFFIN aur ANZU ke saath aage badh gayi...

jaisa ki maine bataya tha ki abhi ye sab CHOSENS ki sarhad par khade the,par woh jagah CHOSENS ke backside par bana ek 10 acre ka ground tha jiske west direction se aage badhne par kareeb 500 metres ke baad west entrace ka gate tha...

MAHI, GRIFFIN aur ANZU ussi direction ki taraf badhe the aur yunhi badhte hue jab woh us entrace gate ke paas pahunche toh un sabko laga ek bohot bada jhatka...

aur us jhatke ka reason tha us gate ke upar dark background waale board me red colour se likha hua naam...

woh naam jo pehle sirf CHOSENS tha par ab kaafi badal chuka tha..

haan,abhi bhi us board me CHOSENS likha tha,par sirf partially..

kuch pal ussi gate ke bahar khade hokar us bade se board ko dekhti rahi MAHI aur phir uske labh hile jinse nikle woh shabd jo us board par likhe hue the...

WELCOME TO CHOSENS...THE ROAD TO......."DEVILS HAVEN"........

MAHI-DEVIL'S HAVEN...ab ye kya hai...!!!!

khudse budbudati hui MAHI GRIFFIN aur MARIA ke saath us gate se hoti hui andar chali gayi....

BACK TO RAAZ:-

KYA BAAT HAI...!!!KYA HUM ITNE BURE HAIN KI HUMARA APNA BETA HUMSE BAAT KARNA TOH DOOR,BINA HUME DEKHE HI JAA RAHA HAI....????

MAHI ke jaane ke baad kuch der tak khudko shaant kiya maine joki theek se ho nahi paaya,par phir bhi nazar sidhe kar mai MARIA urf ANJALI urf meri mom ke side se un dono ko avoid karke aage badh hi raha tha ki mom ki kahi is baat par kadam rook gaye mere aur...

MAI-dil se utre log agar saamne bhi aa jaayen toh nazar nahi aate...

ANJALI-hmmm.. chalo,kamsekam tumne ye toh maana ki kabhi hum tumhare dil me the toh sahi...

anyways,jaante ho hum yahan kyun hain,woh bhi ussi roop me jisme saari zindagi tumne hume dekha hai..!!!

MAI-do you think i care...

RONIT-we care son...aur isiliye hi hum yahan hain....

yaad hai,jab pehli baar tum CHOSENS aaye the,tab hum tumhare saath hi yahan aaye the...

toh ab jab ek baar phirse tum yahan nayi shuruat karne waale ho,is safar ki shuruat me hum tumhare saath hona chahte the...

bas fark sirf itna sa hai ki tab hume pata nahi tha ki hum apne ke saath aaye hain,aaj pata hai..

but more importantly, common baat ye hai ki hum tumse pyaar karte the,aur ab,ab toh aur zyada karte hain...

MAI- BULLSHIT......

ghusse se kampkapate hue chillakar kahi ye baat maine aur unhi dehekti aankhon ko liye apne mom dad ko dekhne laga..

wahin mere expressions se ulat woh dono ab bhi mujhe shaant bhaav se dekhe jaa rahe the...

lambi lambi saans leta hua unhe kuch pal dekhta raha mai aur phir...

MAI-common baat ye hai ki aap dono ka pyar jaise shabd se koi lena dena nahi hai....

khaas kar tab jab ye shabd mujhpar apply hota hai...

prem, sneh, dular, laad–pyar, mamta, anurag, pranay...

in shabdon ko aap dono mere liye sirf bol sakte hain aap.. mehsoos nahi kar sakte...

aap dono ke liye mai bas ek puppet hun..ek aisa puppet jisse aap dono hamesha apni marzi se chalana chahte hain...

aur reason....

BRAMHAND KI SURAKSHA....yahi bahana hai naa aap dono ke har ek so called sacrifices ka...!!!!hmm....

hahahahaha....ek kamaal aur andar ki baat bataaun....

agar is bramhaand ka wakayi koi shatru hai toh woh DEVIL'S ya VIDEOUS nahi,aap ANGELS hain...

acchayi ka mukhota pehna hua hai aap sabne bas...!!!!

saabit karun..!!!!

un dono ki aankhon me jhaante hue kahi ye baat maine jispar woh ba shaant khade rehkar mujhe dekhte rahe..

wahin kuch pal unhe dekhte rehne ke baad...

MAI-bachpan se sunta aa raha hun...jab jab burayi apni seema paar karti hai,tab usse khatm karne ke liye BHAGWAN apna koi avtaar bhejte hain....

isse vahiyat tark maine kabhi nahi suna...

ek baat bataiye...ye jis seema ki baat ho rahi hai,woh asal me hai kya...???

elaborate kar sakte hain is "BURAYI KI SEEMA shabd ko...!!!

mai karta hun...

burayi ki seema se matlab hai ki ek paapi hazaron laakhon maasumo ko maarta hai,unhe beghar karta hai,badsuluki karta hai aur aise hi anginat apraadh karta hai aur jab aisa ho jaata hai,jab woh un maasum aur mazloom ko tadpa aur maar chuka hota hai,tab paida hota hai woh avtaar...

woh avtaar jo us paapi ko uske kiye ki saza dega aur taarif batorega...

par un hazaron,laakhon maasum logon ka kya,jo us saza ko dekhne ke liye bache hi nahi...

kya unki bas itni hi aukad thi ki woh sirf zariya bane us paapi ke anth ka...

kya BHAGWAN,GOD ki nazar me un laakhon mazloom aur bekasoor logon ki jaan ki koi keemat nahi...

jis 1 avatar ko paida kiya gaya,kya uski jaan ki keemat laakhon logon se zyada thi...

ek jaan ki keemat laakhon jaan..ye kaisa souda hai...!!!

kyun us paapi ko uske pehle paap ke waqt hi khatm nahi kar diya gaya..

GOD ko toh har chiz pata hoti hai,phir kyun hone diya unhone woh sab...!!!

jab insaan aur kide me koi fark hi nahi,toh insaan ko GOD ki sabse badi rachna bola jaata hai...

ek maasum si ladki jisne apna 18th birthday bhi nahi manaya hai,usse kuch insaan ke roop liye darinde beech raaste se uthate hai aur uski uski izzat ke chithde uda dete hain..

aur woh itne me hi nahi rookte..jitna zyada man kare,utna usse torture bhi karte hain..

aur aakhir me usse marne waali haalat me chhodkar chale jaate hain...

tadapte tadpate apni aankhri saans leti hai woh ladki...

pathra chuki aankhen waise khuli hui haalat me palat jaati hain...

woh aankhen jinme najaane kitne sapne hua karte the,,ek pal me woh sapne uski saanson ke saath uska saath chhod dete hain...

aisi ghinouni harkat karne waalon ke baare me log kehte hain ki inhe BHAGWAAN kabhi maaf nahi karega...

toh...!!!maaf nahi karega toh..!!!kya ho jaayega usse... bas taklif hi toh de paayega naa woh GOD un darindo ko...

ho sakta hai ki us ladki se zyada taklif de...par kya aisa karne se us ladki ne jo saha,woh pysical aur mental pain,kam ya khatm ho jaayega...

apni ek louti bachi ko kati chhati haalat me dekh jo beeti hogi uske maa baap par,kya woh dard kam ho jaayega...

ye UNIVERSE us ghar ki tarah hai jo saalon band padi rehti hai aur isiliye gandi hoti jaati hai...

phir us gandagi ke dher ko mitane ke liye ek din achanak ghar ko khol GOD jhaadu lagate hain yaa lagwate hain....

mere jaise JHAADU....

sawal mera bas itna hai ki ghar saalon saal band rakha kyun..zyada gandagi hone hi kyun di...

mere jaise JHADU ki zaroorat padi hi kyun...!!!!

aur is sawal par ek naya sawal rakhte hain aap jaise log...???

sawal ye ki jab baccha paida karke usse ek anath hi banana hai,toh usse paida karna hi kyun...!!!

aur agar paida kar mahan banane ka dhong karte hue usse alag kar bhi diya,toh baad me usse uski asliyat bata jisse woh acha bhala anjaan tha, usse apnana kyun..!!!

jab maa,baap ka farz hi nahi nibha sakte,toh mere faisle lene ka hakh kisne diya aap dono ko...!!!

ghutan...ek aisi ghutan bhar di hai aap dono ne mere andar jo naa mujhe jeene de rahi hai aur naahi marne...

VIDEOUS ko khatm karne ke liye rachna ki gayi meri...par ek mara hua banda kya kisiko maarega...

SERAPHIM ANGELS...aur ab toh aur shaktishaali ho chuke hain aap dono....

agar wakayi beta maante hain mujhe.agar katra bhar bhi pyar kiya hai mujhse toh ek ehsaan kijiye mujhpar....

khtam kar diye mujhe...nijat dila dijiye mujhe is ghutan se...

aakhri baat bolte hue ek baar phirse kaamp gayi meri awaaz..

wahin ab tab jo bhi baat maine ki thi,jo tark un dono ke saamne rakhe the,unhe sun aankhon me dard utar aaya tha unke par kisi tarah khudko sambhale woh dono hi mere thoda aur kareeb aaye aur...

ANJALI-pata hai parents me aur unke bacche me kya fark hota hai...

parents apna pain apne bacche ke saamne kabhi disclose nahi karte par bacche apni choti se choti taklif apne mom dad ke saamne khol kar rakh dete hain...

tumhari ki gayi har shikayat is sach ko aur pukhta karti hai ki tum maano naa maano,chaaho naa chaaho,par tumhara dil maanta hai ki hum tumhare parents hain...

isiliye hi toh itni asaani se tumhare dil ne tumhare zubaan ke zariye apna haal bata diya...

mere bacche,teri har shikayat,har dard,har ghutan se waakif hain hum...

par hum ye bhi jaante hain ki ye bas ek PHASE hai jisse guzar jaana hai..

beta, zimmedari usse hi di jaati hai jisse usse uthaane ki kaabiliyat hoti hai...

warna teri jagah ALFREEN hoti...

aur isiliye hi tere saath jo hua,woh hua...jo kaam tujhe mila hai,woh sirf isiliye mila hai kyunki sirf tuhi woh kaam kar sakta hai..

abhi tu nahi samajh raha,par ek din zaroor samjhega...aur hum us din ka intazar karenge...

aage ka safar bohot mushkil hone waala hai...par hume maalum hai ki tera junoon,tera jazba har mushkil paar karne me saksham hai...

MAI-jazba,junoon... olympics me gold medal nahi laana hai jo in chizon se kaam chal jayega...

VIDEOUS se mukable ke liye jis taakat ki zaroorat hai,woh toh hai hi nahi,uske upar aapke so called jazbaat se mili taakat,woh bhi aapki hi ERRAPEL naam ki taakat ke giraft me hai...

VIDEOUS toh door ki baat hai,uski sena ke sabse kamzor sipahi ke haathon bhi khatm ho jaana hai mujhe...

aisa ho,usse pehle ye udhaar ki zindagi khatm kar ABBADON, ABRAXAS, MADDOX aur DIGVIJAY ki tarah mujhe bhi moksh de dijiye...

RONIT-beta, ERRAPEL ka tere shakityon par niyantran paa lena,tujhe shraap jaisa lag raha hai,par asal me tere liye ye vardaan hai...

tera woh swaroop jiske baad tu apni aloukik shaktiyan bhi dobara prapt kar sakega,(KABHI ANGEL KABHI ANGEL),uska ek maarta raasta hai tera abhi ka condition hai....

teri shaktiyon ko niyantrit kar tere dil me basi ERRAPEL tera ANGEL swaroop hai aur tera dimag,abhi jo teri soch hai,woh tera DEVIL swaroop hai..

problem bas itni si hai ki naa toh in do jagahon ne in swaroopon ko accept kiya hai aur naahi tune in do swaroopon ko dil aur dimag se apna maana hai hai...

RAAZ,tum bohot buddhiman ho...har situation ko analyze karne ka bemisal hunar hai tumhare andar...

saamne waale ko dekh bhar tum uski kundli nikal sakte ho...

par ye saari khubiyan tumhari ek galti ki wajah se piche reh jaa rahi hain...

SWA NIYANTRAN...SELF CONTROL....

ek baat hamesha yaad rakhna mere bacche...

"dusron ko samajhna buddhimaani hai,
par khud ko samajhna asli gyan...

dusro ko kaabu karna bal hai,par khudko niyantran me rakhna vaastavik shakti hai...

tumhe bas is shakti ko master karna hai.. tumhara potential us hadh ko chhu jaayega,jiski koi hadh nahi hogi...

lastly,tum maano,mat maano,we love you son and most importantly,we are proud of you...

ANJALI-tumhe pata nahi hai, par hum hamesha tumhare dil me the,aaj bhi hain, aur hamesha rahenge...

aur jab tak aisa hai,KOI tumhe gira toh sakta hai,par wapas uthne se rok nahi sakta...

DONO-all the best for this new journey son....make us proud...

jo jaante hain,woh sab abhi ye kehte hain ki RAAZ SERAPHIM ANGELS ka beta hai...

hume us din ka intazar hai jab wahi sab ye kahenge ki SERAPHIM ANGELS RAAZ ke maa baap hain...

SWOOOOO........

un dono ki is aakhri baat ke baad unke ird gird ek chota sa bhawar utha aur woh gayab ho gaye par gayab hote hue bhi us bhawar me jiski energy me unka mere liya pyar tha,mujhe chhute hue ehsaas kara gaye us pyar ka...

aankhein band kar kuch seconds khada raha mai par phir aakhein khol jo ki pehle se zyada jal rahi thi,aage badh gaya mai...

BACK TO MAHI:-

THE GREAT HALL...

MAHI.......

behadh khushi, excitement aur ek arse ke baad josh se bhar chillate hue HIDA ne pukara MAHI ka naam jisse sun aur THE GREAT HALL ke main door ki disha me dekh jahan is waqt MAHI GRIFFIN aur ANZU ke saath khadi thi, ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY,uske parents,in sabke nirash aur hatash bhari aankhon me achanak hi khushi jhalakne lagi thi...

woh sab apni apni jagah se uthe aur MAHI ki taraf badh chale...

wahin unke ulat jab MAHI ne un sabki halaat dekhi toh usse bohot zyada bura laga...

MAHI dekh rahi thi ki is waqt PHASE 2 aur PHASE 3 ke bohot se SAVENTS aur unke parents yahan GREAT HALL me moujud hain..

REGIS, EDWINA aur waise hi bohot se WHIZZ aur WHIZZDERS bhi the yahan...

aur woh yahan padh aur padha nahi rahe the,balki refugees ki tarah reh rahe the..

pyscically,un sabki haalat kharab hi thi...

kaafi weak lag rahe the woh sab..aur sabse zyada haalat kharab thi uske doston ki..

ACCHUTA,SLUNDER, BRAWNY,HIDA...ye sab toh kuch zyada hi torture kiye hue lag rahe the...

fate kapdon ke andar sukh kar kaanta ho chuka tha un sabka sharir...chaaron ke hi body ke kisi na kisi part par zakhm ke nishaan the jo kisike maarne se hi aate hain...

ye sab dekh aankhein bhar aayi MAHI ki..

khair,ab tak woh sab MAHI ke paas pahunch chuke the aur isiliye sabse pehle HIDA aage badhkar MAHI ke gale lag gayi...

uske aisa karte hi MAHI ko uske kapde aur even body se smell aayi..waisi smell jo kayi dino se naa nahane ki wajah se aati ho..

par is cheez ko darkinar karte hue woh bhi pure man se HIDA ke gale lagi...

HIDA ke baad SLUNDER, ACCHUTA, BRAWNY aur uske parents bhi baari baari se gale mile the MAHI ke...

is beech MAHI ne gaur kiya tha ki ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA toh GRIFFIN ko dekh kar bhi normal the par BRAWNY ke parents, NAOMI aur SHALTON usse dekh thoda dare hue the..

yahi haal wahan moujud baaki sabka bhi tha aur is dar ko feel kar..

MAHI-ghabraiye mat....ye dost hai meri..aap sabko kuch nahi karegi...

sabki taraf nazar ghumakar ye baat kahi MAHI ne jiske baad jab uski nazar apne doston par padi toh usne paaya ki woh sab aankhon me khushi ke aansu aur chamak liye usse hi dekh rahe hain aur ye dekh..

MAHI-aise kya dekh rahe ho...???

HIDA-yakin nahi hota ki tum sach me hamare saamne ho...kya RAAZ bhi...

MAHI-haan,aa raha ha woh...par ek baat ka dhyan rahe...jo uspar beeti hai,uski wajah se he is not the same RAAZ you all used to know...

haan,uski shaktiyon ko uske hi shakti ke roop ne ek tarah se baandh diya hai,par woh isiliye taaki RAAZ khudse kisi begunah ko maar naa de..

woh khudse toh aage badhkar tum logon ko nuksaan nahi pahunchayega but tum uske zyada paas mat jaana..

kyunki ek baar tumhare body ka koi part uske body se touch ho gaya,toh as an act of defense,woh tum sabko khatm karne me waqt nahi lagayega...

SLUNDER-uski shaktiyon ko uski shakti ke roop ne baandh diya hai... matlab...!!!!

MAHI-kya hamare yahan se gayab hone ke baad humari asliyat tum sabko pata chal gayi thi...???

ACCHUTA-haan,hamare MOM DAD ke souls khud aaye the hume sach batane...

unhone hume ye bhi bataya ki RAAZ ke haathon uske hi mom dad ko marva diya gaya hai...

MAHI-haan,uske negetive state of mind ka reason bhi yahi hai..

but there's a lot more to the story...

iske baad MAHI ne un sabko ERRAPEL,uska RAAZ se connection,ye sab bataya.. RAAZ ne usse kaise maara,ye bhi bataya...

par saath hi bohot si baatein jaise THE PAN OUT VAULT, STALWART RIVER ke paani ka restoration,RAAZ ka KABHI ANGEL KABHI DEVIL banane ke baad uski taakat me hone waala izafa,ye sab bhi chuppa liya tha MAHI ne...

ye baat bhi nahi batayi usne ki RAAZ ka ERRAPEL part uske baaki EMOTIONS power se zyada strong hai...

jitna MAHI ne bataya,RAAZ ki utni asliyat jaan wahan moujud sabhi log joki GRIFFIN khatra nahi hai,ye jaan MAHI ke paas aa chuke the, shocked ho gaye the..

wahin itni saari baaton ke beech apne baare me MAHI ne kuch khaas reveal nahi kiya..usne bas itna bataya ki un sabki tarah uska bhi is kahani me ek role hai,bas...

MAHI ki saari baatein sunane ke baad....

SLUNDER-mind bobling safar raha hai RAAZ ka...toh ab,ab kya..!!!

MAHI-ab yahi ki wapas CHOSENS aa gaye hain,toh aage ke safar ki shuruat yahin se hogi..

par sabse pehle mujhe ye batao ki ye kya haal bana rakha hai aap sabne apna...

aur THE GREAT HALL me saare parents, PHASE 3 MORALS,ye sab kya kar rahe hain...!!!!

ACCHUTA-ab yahan pehle jaisa kuch nahi raha MAHI...naa ye jagah aur naahi iska naam...

THE GREAT HALL ab koi institution ka part nahi hain balki hamara stay hai...

aur CHOSENS,ye ab sirf ek road hai jo yahan ELYSIAN ke real aur upgraded INSTITUTION ki taraf le jaata ha jiska naam hai...

MAHI-DEVIL'S HAVEN...!!!!!

board par likha naam bola MAHI ne jisse sun...

BRAWNY-haan, DEVIL'S HAVEN....is institution ka naya naam yahi hai jahan sirf DEVIL pravatti ke SAVENTS hi sikhte aur excel kar paate hain...

MAHI-aur tum sab...!!! kya tumhara wahan padhna prohibited hai...!!!

BRAWNY-wahan padhayi nahi hoti MAHI..DEVIL'S banaane ki factory hai woh institution...

aur haan,hamara wahan jaana prohibited toh nahi hai par wahan pahunchne ke liye jo sharth hai,woh deadly hai...

MAHI-DEADLY....kaise..???

HIDA-hamare jaise logon ko DEVILS HAVEN tak pahunchne ke liye kul teen levels paar karne padhte hain...

pehla level hai INFERIOR LEVEL....ye bas naam ka hi inferior hai...baaki challenges isme humne jo EXERTION test diya tha,usse bhi zyada tough hain..

ab tak teen MORALS try kar chuke hain is level ko cross karne ki par woh teeno hi aisa karte hue mar gaye...

second level hai MEDIAL LEVEL....ab yahan exactly hota kya hai,ye toh hume pata nahi par jab INFERIOR LEVEL itna tough hai toh MEDIAL LEVEL ke toughness ka bas andaza hi lagaya jaa sakta hai...

third level ka naam hai HOVERING LEVEL...agar is LEVEL ko paar kar gaye toh hi DEVILS HAVEN me enter kiya jaa sakta hai....

HIDA-jab us naye institution ko banaya gaya tab hume ek circular ke through uske baare me bataya gaya..

tab hume woh info kyun diya jaa raha hai jab hum wahan jaa hi nahi sakte,ye baat samajh nahi aayi thi, par ab jab tum saamne ho toh samajh aa gaya hai...

MAHI-tum sabke is bigde haal ke baare me tumne bataya nahi...!!!

NAOMI-ye sab task ki wajah se hai beta...

MAHI-task ki wajah se..??kaisa task...???abhi toh inhone bataya ki yahan ab magical padhayi, practices nahi hote..!!!!

SHALTON-woh task nahi beta, cleaning,dusting ka task..

har din ye pura great hall hadh se zyada ganda ho jaata hai....

aisi mitti aur gandagi chipakti hai yahan jo do teen baar scrub karne par bhi puri nahi nikalti....

hum sabko is 100 metre bade faile hall ki har gandagi ki 3 ghanton ke andar clean karna hota hai..

aur agar aisa karne me hum 1 percent bhi chuke toh kaale labadon me dhake kuch log yahan aate hain aur hum sabko maarte hain....

aur upar se khaana jo hume din me sirf ek baar hi milta hai aur woh bhi aadha peth...

SAVENTS.. GOD'S CHOSENS CHILDREN....AUR UNKE PARENTS...

itne special logon ke saath aisa vyavahar ka reason samajh rahi thi MAHI...

woh jaan chuki thi ki ye sab VIDEOUS GOD ko ek message dene ke liye kar raha hai..

messege ki uske chune logon ki VIDEOUS ki duniya me yahi aukad hai....

bohot bura lag raha tha MAHI ko par ek ehem sawal abhi baaki tha isiliye...

MAHI-aur ye sab,woh naya institution kya khud VIDEOUS handle karta hai...!!!

ACCHUTA-bure logon ka GOD hai VIDEOUS MAHI..aur GOD kaam karte nahi karwate hain...

is jagah ko,DEVIL'S HAVEN ko handle karta hai yahan ka naya SOVEREIGN....

dekha toh nahi hai,bas naam suna hai uska...

MAHI-naya SOVEREIGN...!!! interesting...kya naam hai..????

MAHI ki hi tarah jab mai bhi PHASE 2 ke entrace par pahuncha toh gate ke upar likhe is sentence ko pada maine jisse padh najaane kitne dino baad aaj mere chehre par smile aa gayi...

MAI-DEVIL'S HAVEN..saala show-off karna nahi chhodega.....koi nahi,tere jannat ko hi toh jahannum banane dekh,mai wapas aa gaya VIDEOUS...

ROAAAAAARRRRRRRR.........

mere aisa kehte hi mere baaju me chal raha WOOGER zoron se dahada..

is dahad se generate hui energy itni zyada thi ki aas paas ki zamin bhi hil gayi thi...

ek pal rook maine apne kadam us gate ke andar badha diye par abhi maine bas ek hi kadam aage badhaya tha ki tabhi....

SSSSNNNNSNNNNSNNNNN....

mujhse kuch door mere aage ek chote daayre me par hadh se zyada power samete bhanwar utha jiske baad mere kadam apni jagah par rook gaye...

kuch der tak yunhi ghumte rehne ke baad woh bhanwar dheere dheere shaant hone laga aur jab aisa ho raha tha toh mujhe uske andar kaale robe me dhaka ek shaksh dikhne laga...

aur jab woh bhanwar puri tarah rooka toh mere saamne ek anjaan shaks tha par us anjaan chehre ko dekhkar bhi mai man hi man chownka...

REASON....

uska chehra kuch VIDEOUS ki tarah aur kuch meri tarah tha...

bhawanahin chehre par do chamakti aankhein jinme mujhe dekh excitement saaf dikh rahi thi...

par sabse hairan karne waali baat thi uske sharir se nikal rahi AURA...

kyunki woh AURA meri ALOUKIK shaktiyon ki energy se bana thi...

ab ye kaise hua,ye mai toh nahi samajh paaya,par mere andar moujud ERRAPEL ki shakti joki mere aloukik shaktiyon se zyada nahi toh kam powerful bhi nahi thi,usse us energy aur AURA ko feel kar mere saamne khade shaksh ki rachna ka saara bhedh pata chal gaya jisse usne mere brain me transfer bhi kar diya...

aur jab us shaksh ke rachna ki asliyat mujhe pata chali toh mai man hi man aur zyada shocked ho chuka tha..

toh baat ye thi ki mere samne khada shaksh meri SWORD me chhupayi shaktiyon se bana tha..

aur aisa hone dene ke liye kul so chizen kaam me aayi thi...

pehli thi CINTAYATI AZRITA SPELL...

REFINING POWERS

yaad hai ye spell..ye wahi SPELL hai jo VIDEOUS apne peculiar space ke viperious banishment me uccharit karta rehta tha..(update 5)

jab VIKRAM ne VIDEOUS ke seene me SWORD ko utara tha,tabhi se woh man hi man is SPELL ko uccharit karta aa raha tha jiski wajah se us SWORD ki urja ka ek clone ussime taiyar ho raha tha...

dusri thi har woh ladhayi jo mere aur VIDEOUS ke beech CHOSENS me hui thi...

us ladhayi ke waqt SWORD mere andar thi aur jab bhi mai AMPLIFICATION modes ke through waar karta tha, tab us SWORD me ek hulchal hoti thi..

us hulchul se VIDEOUS ke CINTAYATI SPELL ko madad milti thi aur us CLONE urja ko ek akaar milne lagta tha...

aapko yaad hoga VIKRAM ke saamne VIDEOUS ne kaha tha ki ISLA tak usne SWORD ko feel kiya tha,woh ussi urja ki wajah se ho paaya tha jiska parinaam tha mere saamne khada shaksh..

par VIDEOUS ne is shaks me kuch modification kiye hue the...usne isme meri urja ke saath apni kaali shakti bhi insert kar di thi jo isse aur powerful banati thi...

ek baat aur...

STALWART RIVER ke paani ki khaasiyat yaad hai aap sabko...

us paani ko peene se mind manupalation nahi hota...

VIDEOUS ne woh pura STALWART RIVER ka paani mere saamne khade shaksh ke liye hi churaya tha..

taaki meri urja se banane ke baawjud ye shaksh sirf uska hi wafadar rahe...

in short, ye tha VIDEOUS ka ek MASTER STROKE jo ab mere saamne mera hi aadha roop liye khada tha..

khair,jahan dimag me mere saari baatein chal rahi thi wahin bahari tour par hum dono hi shaant khade ek dusre ko dekh rahe the ki tabhi...

KISIKO DAR HAI KI BHAGWAAN DEKH RAHA HAI....

KISIKO BHAROSA HAI KI BHAGWAAN DEKH RAHA HAI...

PHIR TOH MAI BHAGWAAN SE BHI BADA HUA, KYUNKI.....

SABKO DAR BHI HAI AUR BHAROSA BHI KI BHAGWAAN DEKHE NAA DEKHE PAR,VIDEOUS DEKH RAHA HAI...

VIDEOUS ki tez awaaz us pure area me gunj uthi jo sirf maine hi nahi balki THE GREAT HALL me moujud MAHI aur baaki sabne bhi suna..

itna hi nahi,us awaaz se itni energy create hue thi jisse feel kar meri haddiyan bhi hil gayi thi...

khair,apne style me apna re-intro dene ke baad VIDEOUS ki awaaz phir se gunj uthi....

VIDEOUS-swagat hai mere bhai...THE DEVIL'S HAVEN me swagat hai...

saamne khade shaksh ko dekh kar hairan hua hoga naa tu,aur us hairani ko badhaya hoga us urja ne jo uske sharir se feel kar raha hai tu...

woh URJA teri khoyi hui urja ke jaisi nahi hai,balki teri hi urja hai....

VIDEOUS ki baat sunte hue mai shaant hi khada raha jispar..

VIDEOUS-tera ye ATTITUDE...ufff...kaash tu mere khilaaf nahi hota toh bas tere is ATTITUDE ke liye mai tujhe chhod deta...

khair,aage ki saari baatein baad me issise jaan lena..mai bas intro kara deta hun...

waise ek baat bataun,jitni mushkil aur sadiyon ki planning iski rachna me hui hai,iska naam karan karna mere liye utna hi asaan raha...

VIDEOUS...jaisa mera ye naam in do naamo se bana hai...VIKRAM, ASMODEUS...

mere raichaita...

thik waise hi........

jo do alag dhuno se nikla hai,
ye woh SAAZ HAI...

jiski tez nazaron se bach nahi sakega tu,ye woh BAAZ HAI...

jab bana hi ye hum dono se hai toh naam alag kyun...???

thoda sa mai,thoda sa tu,hum dono ko milakar bana ye tera anth, VIRAAZ HAI....

AAJ KE LIYE ITNA HI.....

AAPKA APNA V....J....
 
Chudai master

New Member
46
179
33

Ab aayega maza jab ladai tagdi hogi par kya lagta hai raaz ko milegi uski aulokik shakitya????
 
Top