• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Who do you think was the hottest female character. Any 2

  • Esha

  • Angelina Silva

  • Vandana Rathi

  • Aradhna

  • Nisha

  • Deepika mam

  • Ajmeri bai :laugh:

  • Madhulika

  • Vìbha

  • Pandey ji ki laundiya :D

Results are only viewable after voting.

Soresh

New Member
5
8
3
Mere liue to arman hi puri story hai.. Han saurabh ke bare main updates nahi aayi. Ending unexpected . Aur Bhai thanks to bring this concept of multi universe to know us in aasan bhasa. Abhi bas ek bar puri padli hai. Jab jab phir padunga completely phir se story ke upar comment dunga
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Aakash.

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Yug Purush Ye kya likh diya bhai ? i am numb, total numb.. review to baad mei de punga. But ye kya likh diya apne

Done Reading ATMAKAMI, nd currently no words to explain. :faint:
 
Last edited:

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229

:p: aur bhai kya haal chal :lotpot:
Mere liue to arman hi puri story hai.. Han saurabh ke bare main updates nahi aayi. Ending unexpected . Aur Bhai thanks to bring this concept of multi universe to know us in aasan bhasa. Abhi bas ek bar puri padli hai. Jab jab phir padunga completely phir se story ke upar comment dunga
Thank you dost :hug:
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Atmakami Review, Review sirf writer aur un logon ke liye hai jinhone kahani padi hai. Jinhone abhi tak nahi padi vo please na pade review to behtar hoga varna lawde lag jayenge :redface:

Gyani bhai kal se soch raha tha ki mei is kahani ka kya review dun. Yakeenan is kahani ke review ko dene mein sirf mei hi nahi balki har koi pareshan hoga aur sabke liye kyun ki after reading all of it sawal mere pas ek jo bahut bada hai vo ye hai ki akhir sach kya tha? Mei science ka banda nai hun aur apne bhar bhar ka uska istemal kiya lekin itna behtarin tarike se likha ki jo logic apne fit gaya vo samajh aahi gaya lekin sawal wahi tha end tak ki akhir sach kya tha ? Jo humne pada vo ya phir jo humne pada hi nahi vo? Khair....

Kahani i guess 500 page tak Arman ke chutiape par ghumti rahi, in which he quoted " if you think you know me, you don’t know me at all Sonam ki maa ka bhosda…” Shayad esha se jada arman ne sonam ko yaad kiya hoga but asli kahani uske baad shuru hui aur yakin mano akhri ke 323 panno ne mera dil dhadka diya. Khas ke akhri ke 200 pages ne to. Jahan se Arman vapis college aya, pehla shock RP ka suicide, Dusra Arun ka mar jna uspe jada dhakka laga kyun ki arman ne usko bahut mazak mein liya, lightly, jaise kuch hua hi nahi and that time i remember his one quote " Jis chiz ka mujhe bur i mean bura lagta hai mei uska mazak banata hu, phir aur mazak banata hun " That time felt, ARMAN is right about himself. Apne jo koi bhi dialog likhe hai Yug Purush (gyani bhai) usko ek matlab se joda hai end mein. Apne sirf ek kahani hi complete nahi ki balki apne us Character ki paribhasha ko khatam kiya hai. The way you have written the dialogs was fantabulas but jis tarah apne uske meaning ko anjam diya hai vo apne aap mein unique tha, THE BEST tha.

Mei bahut kuch likhna chahta hun aur shayad likh bhi dun kyun ki jo main hai vo abhi niche likhunga kyun ki usne mujhe bada dukhi kiya. Mujhe kahani se umeed thi ki shayad koi ek reunion hoga lekin padne ke baad laga ki mei bhi kis se umeed kr rha hu, aisa to possible hona hi nahi tha. But somehow i am khojing a happy ending in some way not in love but some way lekin jo apne bich mein ghocha kiya na bhai, bhale hi kahani realistic na ho lekin dil mein chub gaya, khair ispar baad mein aunga...

Arman ki jo apne kahani likhi usme bahut confusion tha, har jagah par ispar sawal baad mein karunga filal ye kehna chahunga ki jo apne usko dhalla hai apne shabdon ke roop mein use koi maika lal nahi pehchan sakta ki aap kya likhoge aage ya phir kya hone wala hai. Bhai aap really bahut amazing writer ho, mei sirf tareef ke liye nahi keh raha balki apne is kahani mein sabit kiya hai. Mei soch bhi lun na aisa kuch to kabhi nahi likh sakta lekin apne jis tarah se Arman ke dimag ko likh kar scene change karke kuch banaya hai vo apne aap mein ek jeeta jagta sabut hai ki aap kis hadh tak soch kar kitna badiya likh sakte ho. Bhale hi bahut se writer aye aur gaye par mujhe nahi lagta ki aap jaisa koi aya tha aur na hi kabhi aa payega, is internet ki dunia mein likhne wala, mere liye as per writing this is the best thing i have ever read in this life, ye record aap hi tod sakte ho khud ke level ka jab tak ye kahani mere liye best rahegi. Yar ek ek scene bhale hi vo arman ki ek soch ho kya khub banaya hai yaar apne, jung lagi vo bench aur uspar puri kahani, THE ORIGINATOR, i mean aisa thought process hi karna ek impossible task hai aam admi ke liye apne usko hume padhne ke liye de diya.

Mei shayad ek ek dialog ya phir conversation to yahan nahi likh sakta par kahunga to aap samajh hi jaoge ki mei akhir mei kis phrase ki baat kar raha hun. Pehle mein achi memories se shuru karta hun, RATHI was great, pata nahi vo sach mei thi ya nahi SHRDHA ENTERPRISE sach mein tha ya nahi lekin hoga hi kyun ki jaggu ke through usne bhai se jankari nikali thi jo ki uska bhai nahi tha iska sawal aage karunga :D lekin uska role aur arman ki conversation bemisal likhi thi, phir college ke jo bhi scene arun, esha aur rp ke sath likhe vo gazab, Ita mei kabhi nahi hansa kisi stry ko read karke jitna mene isme hansa ya rkya dialouge de rakhe the apne, ARUN was fanstic sirji, i guess arman se kai baar behtar dialog vo mar deta tha. Iske alawa side role mein divya, aradhna ya phir koi side role walle non imprtance chracter sab apne khud create kiye. AND than esha was there in your world, jis ladki se pyar hokar bhi pyar nahi kar paye use tak lagav ho gaya itna gazab apne ek do min wala role diya na sirji sach mano dil dhadak utha. Na hi usme pyar tha na hi rona dhona, lekin vo dialog delivery sidhe dil mein lage, isliye mei apko kehta hu THE BEST kyun ki jo insan dialog mei hi kahani ko samjha de use bada writing kisi ki nahi ho sakti. Hostel ki aage baat mei apne last parah mei karunga jisne kahani badal di thi.

Kehna itna sab hai lekin dimag se nikalta jaa raha hai, kyun ? kyun ki bahut kuch tha kahani mein, VARU,NISHA,DAVID,SONAM jise kahani ki shuruwat hui 8th semester mein aur isme bhi uska ant hua parallel universe se? Ab mujhe yahan ek cheez samajh nahi ayi bhai ki asal mein aisa kuch nahi tha to phir kahani ki shuruwat jise hui vo kya tha? ARMAN kise kahani suna raha tha, ek min mei sawal abhi kyun kar raha hu vo last ke liye chhod deta hun :doh: Filal mei ye kehne wala tha ki ARMAN ki bich bich ki bakchodi mujhe samne walle ke liye buri lagi vakai buri lagi lekin us bande ko kisi ki nahi padi thi. Khair mei abhi uske school aur parents wale life ke barre mein thoda batana chahunga ki mujhe kaisa laga padh kar.

Bhai apne ARMAN ki past life likhi, bachpan aur family se lekar school life, sab kuch badia tha, vipin chutiya, maha chutiya actualy vo pitne layak tha par bach gaya kahani mei, varna pitna bahut chahie tha use, par jis chiz ne mera attention khincha vo tha arman ki ek baat par, bhale hi uski purani yaad juthi ho par ek chiz galat nahi thi vo tha un andhe behron ka marna jisne arman ko ye sikhaya jis chiz ka bura lage uska mazak udao aur apne jis tarah se flow mein likha tha na bhai kasam se keh raha hun kahi se bhi nahi laga ki apne use jaan kar likha, it was so maturly written, sach mein maza aa gaya...

At last mei main review par aun use pehle do chizon ke barre mein baat karna chahunga do scene ka pehla, ESHA Aur arman ka scene jo gardan mein jhula jhulte hue convo thi bhai sach kahun ek number :bow: Dadu se milne se pehle ki thi :bow: uske baad Aneglina ka role mujhe jo laga ki bht kam tha lekin jitna tha usski apne bharpai kar di, kya gazab end tha, jab angelina chllate hue boli " lawda " Yar kya chracter th ye bandi.. Kasam se, ek pal mein angelina ki asliyat bahar, kya end tha vo phase ka, i think kahani ka turn over yahan se aya ab...

Jab Arman vapis hostel aya bhai aur usi bench par laita na jane kyun era dil dhak-dhak karne laga tha usi pal jiske baad pehal bomb foda, Rajshri ka suicide, ARUN ki death railway ke niche akar kat jana apne itna ease mein likha jaise arman ko koi farak nahi pada ho aur wahi uske character ko complete bana raha tha ki ye sala actually mein aisa hi hai. Uske baad divya se mulakat aur wahan uski lene ka program jiske baad ARMAN ka ek qutote yhan akar sahi sabit hua why god created us? really, ek baat mei divya ko arun se pyar ho gaya sahi mei mazak hi bana diya... Lekin asli kahani jo shuru hui vo tab hui jab arman ne khud ko hi kisi ki lash jalate hue dekha tha aur uski aag vo jungle scene wahan se mujhe lag gaya ki usne gautam ko mara aur mujhe us waqt ye bhi laga ki esha ko bhi par umeed kam lag rhi thi uski lekin jo kahani flashback mein ayi ki vo khud rajshri se mila aur usne gautam ko sabak sikhane ka plan banaya aur usi ke chalte gautam mara gaya arman ke hathon yahan akar gyani bhai arman mere liye bahut bekar ho gaya, bhale hi vo kaisa bhi ho jahan use khoon hua uska ek quote yaad aya jo vo khud ke liye kehta tha " why god created me? " ARMAN for me was best for this world before that crime... Par isse jada mera dil jhnhoda esha wale scene par uski story par jo apne twist diya hai ye wala maa kasam aisa mene apne sapno mei nahi socha tha, infact kisi ne nahi socha hga, seriously bahi kya joda hai apne kahani ko? Esha ke true love mei apne jo khalal dal kar uski zindagi ka end karaya mere pas uske liye shabad hi nahi the gyani bhai apne tod diya kahani ko puri tarah se. Aur phir wahi baat arman ko farak hi nahi pada..

Ye mera kahani ko lekar ek chota sa view tha, ab ye sab jo mene likha vo tha actual mein jo apne likha aur ab atta hun sawalon par bhai, AAP please ye bata do ki akhir sach kya tha Yug Purush Matlab is kahani ko lekar to puri 8th sem doubt mei aa gayi. Kyun ki kahani ki shuruwat nisha aur varun se hua par vo to the hi nahi to fir arman ne kahani kise sunai jo humne apne padi?

2. Kya jo apne likha vo arman ka sach tha ? agar tha to end mein kya hua? Vo uski soch thi ? ya phir koi parallel locha tha?

3. Apne kahani mei ye kahi nahi likha ki Arman ko dadu ke bare mei kaise pata chala? Arman ko pata chal gaya tha ki gautam ke chacha ke dum par vo uchalta hai lekin use kaise pata chala ye clear nahi ho paya.

4. Kyun ki arman ko dadu ke bare mein pehle se hi pata tha isliye usne nagpur mei pehle rajshri se mil kar gautam wala plan banaya tha jiske baad ye sab kand hua to arman ko kab pata chala dadu ke bare mein aur usne itne sudden mei kyun plan banaya? agar vo pehle se janta hota to pehle hi kar sakta tha.

5. APne jo esha wala twist diya ki us din vo ladki mar rahi thi wahi esha tha to arman use pehchan kyun nahi paya?

6. jaggu ko jo apne pata karne ke liye diya tha uske mutabik uske bhai se jankari mili thi jo apne police ko batai thi lekin jaggu ke muh se nahi. Jise apne end mein likha ki vo esha ka lover ho sakta hai kyun ki vo uska dekh baal kart tha ab wahan thoda ajeeb laga ki bahut chote span mei ehsa use pyar kaise kar sakti hai, manna mushkil ho raha tha mujhe kyun ki agar ajmeri ne use esha ke liye rakha tha to fir ajmeri ke sath dadu ko pata hga ki vo launda kaun hai jo esha ke sath tha jo uski dekh baal karta tha lekin vo to use pehchan hi nahi paya tha. Dadu us admi ko nahi janta tha aur vo admi to kahin aur rehta tha.

7. Iske baad bairagi ke ghar par arman kehta hai ki vo ladki police ki informer thi yani ki ESHA hi vo informer thi to vo informer kaise bani? Police se contact kaise hua aur is baat ki baat police ne kabhi uska naam nahi liya. Arman ko ye nahi pata chala ki vo ladki ka naam kya tha jabki use itna pata tha ki vo uski informer thi. Yahan laga ki ARMAN ko agar naam pata tha to usne zahir kyun nahi kiya ? Kya usne badla hi ajmeri se aur dadu se isliye liya ki vo janta tha ki esha ke sath usne aisa kiya? mujhe laga yahi hoga lekin jail ki conversation mei apne dadu ke muh par kaha tha ki pehle gautam ko marunga phir esha ko jispar dadu ne koi reaction nahi diya? Vo chahta to waha bata sakta tha lekin usne kaha ki vo khud arman ko marega.

Ant mei akhri main sawal gyani bhai...

8. Apne jo end diya vo meri samajh mei nahi aya honestly keh raha hu, kya sach hai kya juth iska andaza nahi lag paa raha, ya to puri kahani juth thi aur end sirf end sahi tha ya end bhi apni hi ek dunia banai hui thi usne aur vo abhi tak apni dunia hi bana raha hai aur kuch bhi sach nahi tha, kuch bhi. Agar aisa hai to phir sach kahan tak tha aur uske baad aisa kya hua jo vo aisa ban gaya? aur agar sab sach tha to end mein kya hua? In sawalon ka jawab de dena bhai :(

Sawal khatam hue, kahani khatak hui aur ab mei apna review ka bhi ant karne jaa raha hun jo ki shayad sab kuch likhne ke baad bhi adhura lag raha hai kyun ki jis tarah apne kahani chhodi vo puri hokar bhi adhuri hai merawild guess hai ki vo biwi kahin use ARADHNA na dikhi ho kyun ki wahi uske sapne mei ati thi bar bar baki mera guess galat ho sakta hai apko pata hga kyun ki apne create kiya.

Lekin bhai mere pas apake liye words kam hai jis tarah aap scene change karte the aur phir usi baat ko likh kar kuch aur likh dete the vo bahut hi jada kamal tha even mei confuse ho jata tha aur bar bar padta tha taki samajh sakun. LiFE is like a physics ya phir armanki life jo apni likhi. Ultimate se bhi uppar thi vo sab batein jo apne ek theory ko use kiya, 4D - 5D fir jis tarah ki imagination dikhai, Kuch kuch NOBODY movie yaad ayi jo bhi aisi hi ulti sidhi thi jisne mera dimag kharab kiya tha aur uske baadye story padh kar hila hi diya dimag ko. Mei apko jitni bhi baat kahn vo shayad kam hogi, for me you are the best thinker and converter and i won't see anyone better than you in my this life for sure. For me in CHRISTOPHER NOLAN is the best creator but from this story i feel like you are on the same leve, aap agar ek creator/director/writer hote to shayad is baat ko sab samajh lete.

Mei apna review ek quote ke sath khatam karunga :

"Behold, all those who were connected to Shri Arman shall be ashamed and disgraced; They shall be as nothing, as a nonexistent thing…
they shall all die unfortunate death”…

Gyani bhai :bow: :bow: Right now i dont have any more words to say... Sorry if i miss anything.. And thank you for such an amazing masterpiece that you have shared with us, Thank you :hug: I will never forget this story ever in my life.

:bow: :bow:
 
Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229
Kya jo apne likha vo arman ka sach tha ? agar tha to end mein kya hua? Vo uski soch thi ? ya phir koi parallel locha tha?
Iska jawab last me ya fir baad me dunga...
Apne kahani mei ye kahi nahi likha ki Arman ko dadu ke bare mei kaise pata chala? Arman ko pata chal gaya tha ki gautam ke chacha ke dum par vo uchalta hai lekin use kaise pata chala ye clear nahi ho paya.
Kyun ki arman ko dadu ke bare mein pehle se hi pata tha isliye usne nagpur mei pehle rajshri se mil kar gautam wala plan banaya tha jiske baad ye sab kand hua to arman ko kab pata chala dadu ke bare mein aur usne itne sudden mei kyun plan banaya? agar vo pehle se janta hota to pehle hi kar sakta tha.
Ye dono ka jawab ek sath de raha hu... Arman ko daddu ke baare me pata kaise chala ye maine dikhaya nahi, kyunki 8th semester ke baad atman ghar me tha aur ghar ke aane ke pahle rajshri ne jo badla lene wali baat arman ke dimg me thoki thi wo uske mann me thi hee, wahi ghar me rahte hue use pata chala hoga daddu ke baare me.. (kyunki us samay tak uske college ke ladko se barabar contact the aur jab gautam ko pelne ka plan bana raha tha toh background check kiya hoga gautam ka... afterall bina background check kiye kaise wo plan bana sakta tha. Toh wahi jab ghar me tha tabhi use pata chala. Aur arman ne rajshri ke sath milkar nagpur me gautam wala plan nahi banaya tha balki arman beech me yani nagpur se bahut pahle utara tha, jaha uska college tha. (Arman ka college nagpur me nahi tha )Aur pahle usne ye sab isliye nahi kiya kyunki ye sab karne ke liye full frustrate karna tha.. jo wo ghar me hua aur jab ghar se bhaga toh usne socha ki sala yahi kar diya jaye , ab toh kuch bacha nahi... toh jo ghar me plan soch rakha tha, uspar amal kiya...
Baki ke answer baad me... daru time ..bye
 
Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229
APne jo esha wala twist diya ki us din vo ladki mar rahi thi wahi esha tha to arman use pehchan kyun nahi paya?
Iske 2 stage hai... 1st : aksar gaur kiya hoga ki arman ke saamne jab koyi aata tha toh wo ek pal ke liye jaan hee nahi pata tha ki wo kaun hai aur aksar bolta tha ki... ~~tu kaun hai be... achha tu hai~~ aise dialogue bahut jagah honge. Yani ye default tha uske andar.
2nd : esha ka face 2.0 ke karan arman ko yad nahi tha... jab gautam ko maarne ke baad arpa river ke kinare memory alteration ki baat chal rahi tab 2.0 ne bataya tha ki memory alter ki theory kya hai aur fir jab hosh me aane ke bàd arman ne sawal kiya 4.0 se /2.0 se ki wo esha ko yad kyun nahi kar paya toh unhone khud kaha tha ki ye unhone intentionally gautam related memory time to time...again and again suppressed karne ke dauran kiya tha, kyunki Esha ka chehra jab tak Arman ko yad rahta gautam ko chainsaw kaatne wala scene usko yaad aa hee jata tha. Baki 8th semester me Esha , ka vivran karte samay aapko yaad hoga ki Arman kabhi esha ke body ya kisi aur ang jaise honth etc. Ka vivran nahi kiya... only brown eyes. Sirf yahi yaad tha use... brown eyes +brown hair + white skin....
jaggu ko jo apne pata karne ke liye diya tha uske mutabik uske bhai se jankari mili thi jo apne police ko batai thi lekin jaggu ke muh se nahi. Jise apne end mein likha ki vo esha ka lover ho sakta hai kyun ki vo uska dekh baal kart tha ab wahan thoda ajeeb laga ki bahut chote span mei ehsa use pyar kaise kar sakti hai, manna mushkil ho raha tha mujhe kyun ki agar ajmeri ne use esha ke liye rakha tha to fir ajmeri ke sath dadu ko pata hga ki vo launda kaun hai jo esha ke sath tha jo uski dekh baal karta tha lekin vo to use pehchan hi nahi paya tha. Dadu us admi ko nahi janta tha aur vo admi to kahin aur rehta tha.
1.Wo ladka esha se pyar karta tha, esha us ladke se nahi karti thi.... . Arman ke ((esha ko mujhse chhodkar, sabse pyar ho jata hai)) is dialigue pe mat jao... wo toh arman ki depression se niklane ki ninja technique hai ki situation ka majak banana
.
2nd: ajmeri bai ne us ladke ko esha ki nigrani saunpi thi na ki daddu ne aur kotha ka pura jimma ajmeri bai par tha... daddu toh khoon kharabe wala aadmi tha , loot, smuggling. Jab esha se use gautam ke baare me jaankari nahi mili toh usne use ajmeri ke hath me saunp diya , use bas itna maloom tha ki esha kisi ke under me hai wo bhi isliye kyunki esha ko uske aadmi khud utha ke laye the... so isliye daddu us aadmi ko by face nahi jaanta tha waise bhi atmakami , 8th semester ke 1 year ke baad shuru hoti hai... xp me 1st update me sabse upar likha tha ...maine likha tha .... 1 year later... yadi aapko yaad ho to ?
 
Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229
. Iske baad bairagi ke ghar par arman kehta hai ki vo ladki police ki informer thi yani ki ESHA hi vo informer thi to vo informer kaise bani? Police se contact kaise hua aur is baat ki baat police ne kabhi uska naam nahi liya. Arman ko ye nahi pata chala ki vo ladki ka naam kya tha jabki use itna pata tha ki vo uski informer thi. Yahan laga ki ARMAN ko agar naam pata tha to usne zahir kyun nahi kiya ? Kya usne badla hi ajmeri se aur dadu se isliye liya ki vo janta tha ki esha ke sath usne aisa kiya? mujhe laga yahi hoga lekin jail ki conversation mei apne dadu ke muh par kaha tha ki pehle gautam ko marunga phir esha ko jispar dadu ne koi reaction nahi diya? Vo chahta to waha bata sakta tha lekin usne kaha ki vo khud arman ko marega.

Ant mei akhri main sawal gyani bhai...
Ab bhai ye informer wala main clearly answer nahi kar sakta kyunki maine last ke 20 update padhke aur us ladki ki marne wale jo update the... sirf wo padh ke story continue ki thi baki jaha tak mujhe yaad hai informer wala idea daddu ko Arman ne hee diya tha ki... jo ladki nayi aayi hai ya fir jo yaha se bhag jana chahti hai... wahi police ko inform karti hogi... ye normally arman ki upaj thi taki yadi wo daddu ko kisi ki taraf nahi modta toh daddu ka shaq kis par jata ? Obliviously arman par... kyunki wahi uske sath naya naya business kar raha tha... aur yadi by chance daddu ka shaq yadi arman par thoda sa bhi ho jata toh wo wahi arman ko jinda gaad dega... ye arman ko pata tha isliye arman ne anjane me hee bol diya jo nayi ladki hogi, wo police ki informer hogi... jabki asliyat ye thi ki police ki ghanta koyi informer nahi tha , police ne daddu ka maal pakda kyunki bairagi ka launda mar chuka tha aur bairagi ko shaq daddu par tha aur dono ke past relation ke karan daddu ki kuch criminal activities ki jaankari bairagi ko thi so maal bairagi ke info se pakdaya tha na ki esha ke dwara aur arman ne bairagi ke ghar me ye isliye kaha ki uski ek informer hai, kyunki yadi wo bolta ki ye sab uski khud ki theory hai toh police vishwas nahi karti... aur arman jail me.isliye informer wali kahani usne fek di... ab correct time me correct jhooth arman ka ek talent hai, baki puri kahani me arman kisi informer se nahi mila toh mere khayal se jo maine upar likha hai ... wo sahi hee hoga.. jaha tak mujhe yaad hai.
 
Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229
Apne jo end diya vo meri samajh mei nahi aya honestly keh raha hu, kya sach hai kya juth iska andaza nahi lag paa raha, ya to puri kahani juth thi aur end sirf end sahi tha ya end bhi apni hi ek dunia banai hui thi usne aur vo abhi tak apni dunia hi bana raha hai aur kuch bhi sach nahi tha, kuch bhi. Agar aisa hai to phir sach kahan tak tha aur uske baad aisa kya hua jo vo aisa ban gaya? aur agar sab sach tha to end mein kya hua? In sawalon ka jawab de dena bhai :(
Yahi 2nd question bhi hai... ek hee question 2 baar :hinthint:
8th semester ki kahani real hai... kyunki 8th semester ki kisi bhi ghatna me maine koyi changes nahi kiye... sidar jaha mara, wahi mara dikhaya hai... arman ko jaha daddu ke gundo ne pela , wo bhi confirm hua... koyi bhi character jhooth sabit nahi hua... reason.. kyunki kuch bhi imagine karne ki jaroorat hee nahi thi... aur na hee ye sahi hota yadi main 8th semester hee galat karwa deta toh... isliye 8th semester story real mano..... Nisha , varun wala sawal aapne beech me thok diya tha... uska answer de raha hu....
1. Atmakami 1 saal baad ki story hai... aur jaisa ki arman ne angelina ko bataya tha ki wo us universe me hai jaha par nisha se related memory us universe ki jaha usne nisha se park me baat ki thi... par wo rah us duniya raha hai, jaha usne nisha ko ignore kiya tha.... ab sawal aata hai ki 1 saal me arman ne kiya kya toh wahi nh-6 me loot, daddu ki jasoosi... kyunki daddu ke bare me puri jaankari wo apne ghar se toh nahi maloom kar sakta tha... koyi bhi nahi kar sakta toh ye 1 saal usne yahi kiya , is dauran sharda enterprises me naukri... kyunki pet ka kharcha kahi se toh nikalna tha. Nh-6 toh bahut baad me chalu hua tha..... par memory uski wo hai jaha usne varun ke flat me story batani shuru ki.... toh ab sawal ye hai ki kahani shuru kaha se hoti hai.... well , kahani ye thi ki arman ne kabhi kisi ko story sunayi hee nahi, 1 saal tak daddu par nazar rakha aur fir jab daddu ke hatho pelayi hui toh wo hospital se wo memories lekar utha jo parallel universe ke arman ki thi... jaha usne nisha ko ignore nahi balki usse baat ki thi... toh yadi story ka starting point dekhoge toh... koyi starting point hee nahi hai.... matlab jo idhar uske sath hua hee nahi wo starting point kaise ban sakta hai....
.
.
.
Ab final answer.... end me kya hua... end me hua ye ki Arman ki conscious sach me parallel universe me transfer ho gayi, jaha wo finally... angelina se mil gaya aur 4.0 ko sach me higher power maan lo... originator wale world me jo last scene tha wo bas jinko jinko khone ka dukh tha arman ko unhe wo aakhiri baar bye kah raha tha... imagine karke. Aur finally Arman died. And jo arman utha use kuch nahi maloom , idhar ke baare me.... siway angelina ki tasveer ke aalawa... no esha, no arun... no chutiyapa... wo simple college me professor tha... angelina uski wife...
.... jab tak next part na likhu ye ending hai.
.
Ye toh hua question ke answers.... baki reviews fir se padhke reply dunga.... kya review chhapela hai bhai... i hope aapke sare sawal ke kuch jawab mil gaye honge :D
 
Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229
apne kahani chhodi vo puri hokar bhi adhuri hai merawild guess hai ki vo biwi kahin use ARADHNA na dikhi ho kyun ki wahi uske sapne mei ati thi bar bar baki mera guess galat ho sakta hai apko pata hga kyun ki apne create kiya.
Aradhna nahi bhai, angelina... memory wipe ke dauran arman ne 2.0 se kaha tha ki wo sab kuch mita bas angelina ko rahne de... naam na sahi, incident na sahi... par uski tasveer use dikhni chahiye bhale sapne me hee aur fir last dialogue "iiii remember you, i see you in my dream...."
 
Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229
Atmakami Review, Review sirf writer aur un logon ke liye hai jinhone kahani padi hai. Jinhone abhi tak nahi padi vo please na pade review to behtar hoga varna lawde lag jayenge :redface:

Gyani bhai kal se soch raha tha ki mei is kahani ka kya review dun. Yakeenan is kahani ke review ko dene mein sirf mei hi nahi balki har koi pareshan hoga aur sabke liye kyun ki after reading all of it sawal mere pas ek jo bahut bada hai vo ye hai ki akhir sach kya tha? Mei science ka banda nai hun aur apne bhar bhar ka uska istemal kiya lekin itna behtarin tarike se likha ki jo logic apne fit gaya vo samajh aahi gaya lekin sawal wahi tha end tak ki akhir sach kya tha ? Jo humne pada vo ya phir jo humne pada hi nahi vo? Khair....

Kahani i guess 500 page tak Arman ke chutiape par ghumti rahi, in which he quoted " if you think you know me, you don’t know me at all Sonam ki maa ka bhosda…” Shayad esha se jada arman ne sonam ko yaad kiya hoga but asli kahani uske baad shuru hui aur yakin mano akhri ke 323 panno ne mera dil dhadka diya. Khas ke akhri ke 200 pages ne to. Jahan se Arman vapis college aya, pehla shock RP ka suicide, Dusra Arun ka mar jna uspe jada dhakka laga kyun ki arman ne usko bahut mazak mein liya, lightly, jaise kuch hua hi nahi and that time i remember his one quote " Jis chiz ka mujhe bur i mean bura lagta hai mei uska mazak banata hu, phir aur mazak banata hun " That time felt, ARMAN is right about himself. Apne jo koi bhi dialog likhe hai Yug Purush (gyani bhai) usko ek matlab se joda hai end mein. Apne sirf ek kahani hi complete nahi ki balki apne us Character ki paribhasha ko khatam kiya hai. The way you have written the dialogs was fantabulas but jis tarah apne uske meaning ko anjam diya hai vo apne aap mein unique tha, THE BEST tha.

Mei bahut kuch likhna chahta hun aur shayad likh bhi dun kyun ki jo main hai vo abhi niche likhunga kyun ki usne mujhe bada dukhi kiya. Mujhe kahani se umeed thi ki shayad koi ek reunion hoga lekin padne ke baad laga ki mei bhi kis se umeed kr rha hu, aisa to possible hona hi nahi tha. But somehow i am khojing a happy ending in some way not in love but some way lekin jo apne bich mein ghocha kiya na bhai, bhale hi kahani realistic na ho lekin dil mein chub gaya, khair ispar baad mein aunga...

Arman ki jo apne kahani likhi usme bahut confusion tha, har jagah par ispar sawal baad mein karunga filal ye kehna chahunga ki jo apne usko dhalla hai apne shabdon ke roop mein use koi maika lal nahi pehchan sakta ki aap kya likhoge aage ya phir kya hone wala hai. Bhai aap really bahut amazing writer ho, mei sirf tareef ke liye nahi keh raha balki apne is kahani mein sabit kiya hai. Mei soch bhi lun na aisa kuch to kabhi nahi likh sakta lekin apne jis tarah se Arman ke dimag ko likh kar scene change karke kuch banaya hai vo apne aap mein ek jeeta jagta sabut hai ki aap kis hadh tak soch kar kitna badiya likh sakte ho. Bhale hi bahut se writer aye aur gaye par mujhe nahi lagta ki aap jaisa koi aya tha aur na hi kabhi aa payega, is internet ki dunia mein likhne wala, mere liye as per writing this is the best thing i have ever read in this life, ye record aap hi tod sakte ho khud ke level ka jab tak ye kahani mere liye best rahegi. Yar ek ek scene bhale hi vo arman ki ek soch ho kya khub banaya hai yaar apne, jung lagi vo bench aur uspar puri kahani, THE ORIGINATOR, i mean aisa thought process hi karna ek impossible task hai aam admi ke liye apne usko hume padhne ke liye de diya.

Mei shayad ek ek dialog ya phir conversation to yahan nahi likh sakta par kahunga to aap samajh hi jaoge ki mei akhir mei kis phrase ki baat kar raha hun. Pehle mein achi memories se shuru karta hun, RATHI was great, pata nahi vo sach mei thi ya nahi SHRDHA ENTERPRISE sach mein tha ya nahi lekin hoga hi kyun ki jaggu ke through usne bhai se jankari nikali thi jo ki uska bhai nahi tha iska sawal aage karunga :D lekin uska role aur arman ki conversation bemisal likhi thi, phir college ke jo bhi scene arun, esha aur rp ke sath likhe vo gazab, Ita mei kabhi nahi hansa kisi stry ko read karke jitna mene isme hansa ya rkya dialouge de rakhe the apne, ARUN was fanstic sirji, i guess arman se kai baar behtar dialog vo mar deta tha. Iske alawa side role mein divya, aradhna ya phir koi side role walle non imprtance chracter sab apne khud create kiye. AND than esha was there in your world, jis ladki se pyar hokar bhi pyar nahi kar paye use tak lagav ho gaya itna gazab apne ek do min wala role diya na sirji sach mano dil dhadak utha. Na hi usme pyar tha na hi rona dhona, lekin vo dialog delivery sidhe dil mein lage, isliye mei apko kehta hu THE BEST kyun ki jo insan dialog mei hi kahani ko samjha de use bada writing kisi ki nahi ho sakti. Hostel ki aage baat mei apne last parah mei karunga jisne kahani badal di thi.

Kehna itna sab hai lekin dimag se nikalta jaa raha hai, kyun ? kyun ki bahut kuch tha kahani mein, VARU,NISHA,DAVID,SONAM jise kahani ki shuruwat hui 8th semester mein aur isme bhi uska ant hua parallel universe se? Ab mujhe yahan ek cheez samajh nahi ayi bhai ki asal mein aisa kuch nahi tha to phir kahani ki shuruwat jise hui vo kya tha? ARMAN kise kahani suna raha tha, ek min mei sawal abhi kyun kar raha hu vo last ke liye chhod deta hun :doh: Filal mei ye kehne wala tha ki ARMAN ki bich bich ki bakchodi mujhe samne walle ke liye buri lagi vakai buri lagi lekin us bande ko kisi ki nahi padi thi. Khair mei abhi uske school aur parents wale life ke barre mein thoda batana chahunga ki mujhe kaisa laga padh kar.

Bhai apne ARMAN ki past life likhi, bachpan aur family se lekar school life, sab kuch badia tha, vipin chutiya, maha chutiya actualy vo pitne layak tha par bach gaya kahani mei, varna pitna bahut chahie tha use, par jis chiz ne mera attention khincha vo tha arman ki ek baat par, bhale hi uski purani yaad juthi ho par ek chiz galat nahi thi vo tha un andhe behron ka marna jisne arman ko ye sikhaya jis chiz ka bura lage uska mazak udao aur apne jis tarah se flow mein likha tha na bhai kasam se keh raha hun kahi se bhi nahi laga ki apne use jaan kar likha, it was so maturly written, sach mein maza aa gaya...

At last mei main review par aun use pehle do chizon ke barre mein baat karna chahunga do scene ka pehla, ESHA Aur arman ka scene jo gardan mein jhula jhulte hue convo thi bhai sach kahun ek number :bow: Dadu se milne se pehle ki thi :bow: uske baad Aneglina ka role mujhe jo laga ki bht kam tha lekin jitna tha usski apne bharpai kar di, kya gazab end tha, jab angelina chllate hue boli " lawda " Yar kya chracter th ye bandi.. Kasam se, ek pal mein angelina ki asliyat bahar, kya end tha vo phase ka, i think kahani ka turn over yahan se aya ab...

Jab Arman vapis hostel aya bhai aur usi bench par laita na jane kyun era dil dhak-dhak karne laga tha usi pal jiske baad pehal bomb foda, Rajshri ka suicide, ARUN ki death railway ke niche akar kat jana apne itna ease mein likha jaise arman ko koi farak nahi pada ho aur wahi uske character ko complete bana raha tha ki ye sala actually mein aisa hi hai. Uske baad divya se mulakat aur wahan uski lene ka program jiske baad ARMAN ka ek qutote yhan akar sahi sabit hua why god created us? really, ek baat mei divya ko arun se pyar ho gaya sahi mei mazak hi bana diya... Lekin asli kahani jo shuru hui vo tab hui jab arman ne khud ko hi kisi ki lash jalate hue dekha tha aur uski aag vo jungle scene wahan se mujhe lag gaya ki usne gautam ko mara aur mujhe us waqt ye bhi laga ki esha ko bhi par umeed kam lag rhi thi uski lekin jo kahani flashback mein ayi ki vo khud rajshri se mila aur usne gautam ko sabak sikhane ka plan banaya aur usi ke chalte gautam mara gaya arman ke hathon yahan akar gyani bhai arman mere liye bahut bekar ho gaya, bhale hi vo kaisa bhi ho jahan use khoon hua uska ek quote yaad aya jo vo khud ke liye kehta tha " why god created me? " ARMAN for me was best for this world before that crime... Par isse jada mera dil jhnhoda esha wale scene par uski story par jo apne twist diya hai ye wala maa kasam aisa mene apne sapno mei nahi socha tha, infact kisi ne nahi socha hga, seriously bahi kya joda hai apne kahani ko? Esha ke true love mei apne jo khalal dal kar uski zindagi ka end karaya mere pas uske liye shabad hi nahi the gyani bhai apne tod diya kahani ko puri tarah se. Aur phir wahi baat arman ko farak hi nahi pada..

Ye mera kahani ko lekar ek chota sa view tha, ab ye sab jo mene likha vo tha actual mein jo apne likha aur ab atta hun sawalon par bhai, AAP please ye bata do ki akhir sach kya tha Yug Purush Matlab is kahani ko lekar to puri 8th sem doubt mei aa gayi. Kyun ki kahani ki shuruwat nisha aur varun se hua par vo to the hi nahi to fir arman ne kahani kise sunai jo humne apne padi?

2. Kya jo apne likha vo arman ka sach tha ? agar tha to end mein kya hua? Vo uski soch thi ? ya phir koi parallel locha tha?

3. Apne kahani mei ye kahi nahi likha ki Arman ko dadu ke bare mei kaise pata chala? Arman ko pata chal gaya tha ki gautam ke chacha ke dum par vo uchalta hai lekin use kaise pata chala ye clear nahi ho paya.

4. Kyun ki arman ko dadu ke bare mein pehle se hi pata tha isliye usne nagpur mei pehle rajshri se mil kar gautam wala plan banaya tha jiske baad ye sab kand hua to arman ko kab pata chala dadu ke bare mein aur usne itne sudden mei kyun plan banaya? agar vo pehle se janta hota to pehle hi kar sakta tha.

5. APne jo esha wala twist diya ki us din vo ladki mar rahi thi wahi esha tha to arman use pehchan kyun nahi paya?

6. jaggu ko jo apne pata karne ke liye diya tha uske mutabik uske bhai se jankari mili thi jo apne police ko batai thi lekin jaggu ke muh se nahi. Jise apne end mein likha ki vo esha ka lover ho sakta hai kyun ki vo uska dekh baal kart tha ab wahan thoda ajeeb laga ki bahut chote span mei ehsa use pyar kaise kar sakti hai, manna mushkil ho raha tha mujhe kyun ki agar ajmeri ne use esha ke liye rakha tha to fir ajmeri ke sath dadu ko pata hga ki vo launda kaun hai jo esha ke sath tha jo uski dekh baal karta tha lekin vo to use pehchan hi nahi paya tha. Dadu us admi ko nahi janta tha aur vo admi to kahin aur rehta tha.

7. Iske baad bairagi ke ghar par arman kehta hai ki vo ladki police ki informer thi yani ki ESHA hi vo informer thi to vo informer kaise bani? Police se contact kaise hua aur is baat ki baat police ne kabhi uska naam nahi liya. Arman ko ye nahi pata chala ki vo ladki ka naam kya tha jabki use itna pata tha ki vo uski informer thi. Yahan laga ki ARMAN ko agar naam pata tha to usne zahir kyun nahi kiya ? Kya usne badla hi ajmeri se aur dadu se isliye liya ki vo janta tha ki esha ke sath usne aisa kiya? mujhe laga yahi hoga lekin jail ki conversation mei apne dadu ke muh par kaha tha ki pehle gautam ko marunga phir esha ko jispar dadu ne koi reaction nahi diya? Vo chahta to waha bata sakta tha lekin usne kaha ki vo khud arman ko marega.

Ant mei akhri main sawal gyani bhai...

8. Apne jo end diya vo meri samajh mei nahi aya honestly keh raha hu, kya sach hai kya juth iska andaza nahi lag paa raha, ya to puri kahani juth thi aur end sirf end sahi tha ya end bhi apni hi ek dunia banai hui thi usne aur vo abhi tak apni dunia hi bana raha hai aur kuch bhi sach nahi tha, kuch bhi. Agar aisa hai to phir sach kahan tak tha aur uske baad aisa kya hua jo vo aisa ban gaya? aur agar sab sach tha to end mein kya hua? In sawalon ka jawab de dena bhai :(

Sawal khatam hue, kahani khatak hui aur ab mei apna review ka bhi ant karne jaa raha hun jo ki shayad sab kuch likhne ke baad bhi adhura lag raha hai kyun ki jis tarah apne kahani chhodi vo puri hokar bhi adhuri hai merawild guess hai ki vo biwi kahin use ARADHNA na dikhi ho kyun ki wahi uske sapne mei ati thi bar bar baki mera guess galat ho sakta hai apko pata hga kyun ki apne create kiya.

Lekin bhai mere pas apake liye words kam hai jis tarah aap scene change karte the aur phir usi baat ko likh kar kuch aur likh dete the vo bahut hi jada kamal tha even mei confuse ho jata tha aur bar bar padta tha taki samajh sakun. LiFE is like a physics ya phir armanki life jo apni likhi. Ultimate se bhi uppar thi vo sab batein jo apne ek theory ko use kiya, 4D - 5D fir jis tarah ki imagination dikhai, Kuch kuch NOBODY movie yaad ayi jo bhi aisi hi ulti sidhi thi jisne mera dimag kharab kiya tha aur uske baadye story padh kar hila hi diya dimag ko. Mei apko jitni bhi baat kahn vo shayad kam hogi, for me you are the best thinker and converter and i won't see anyone better than you in my this life for sure. For me in CHRISTOPHER NOLAN is the best creator but from this story i feel like you are on the same leve, aap agar ek creator/director/writer hote to shayad is baat ko sab samajh lete.

Mei apna review ek quote ke sath khatam karunga :

"Behold, all those who were connected to Shri Arman shall be ashamed and disgraced; They shall be as nothing, as a nonexistent thing…
they shall all die unfortunate death”…

Gyani bhai :bow: :bow: Right now i dont have any more words to say... Sorry if i miss anything.. And thank you for such an amazing masterpiece that you have shared with us, Thank you :hug: I will never forget this story ever in my life.

:bow: :bow:
Thank you bhai.... kya review diya hai... end tak aate aate , sawal ka jawab dete-dete bhool gaya ki upar kya likha hai aapne.... bas aisich review toh is kahani ko khatm kar paye warna main toh kab ka likhna chhod chuka tha.... aur wo gungo ki dukan wali story real hai, siway ek ki.... wo main nahi bataunga... thank you bhai aur sabhi sawal ke jawab dene ki koshish ki hai... copy kar kar ke seedhe quote kiya hu toh aapko notification nahi jayega par peechhe dekh lena....
Thanks... it was a privilege to have a genuine , mindblowing reader like you.... jo aeedhe sawal kare ...
Thanks... love you bro... :hug::dost:
And this is the best review.
 
Top