Naik
Well-Known Member
- 22,644
- 79,871
- 258
Superb tow ritu ki apni shaktia jagrit ho aurMega Update - 91
ab tak aapne dekha k Markesh ne apni chal chali ...jisse Shivali ne asafal kar diya .......lekin Markesh is baat se anjan tha ...Abhi markesh ko woh hi dikhata hai jo woh dekhna chahta tha.....
Ab aage .......
Markesh apni taraf se toh chal chal chuka tha ........
lekin usse Abhi ki chal ka pata nahi chala.......Markesh ne Jab confirm karne k liye k uski chal kamayab rahi k nahi .....usne Ritu ko call lagaya.....lekin Ritu ki Aawaj mein Rinku ne usse baat ki .
ph par baat hone k kaaran ab woh nischint tha....lekin nahi jaanta hai.....k....Abhi ....apni chal chal chuka hai.......
Raat ko Dinner k baad thodi der Rimpy Aur apni patniyon k saath bithkar todi masti tohdi yaha ki baatein chal rahi thi ......maine dekha Rimpy...Bhadra .....aur Daksha ...kuch gumsum si thi.....
Shivali iska kaaran jaanti thi .....isliye woh Sulekha aur Shalu ko lekar kuch kaam ka bahana banakar chali gayi.......
Bhadra bhi jaane lagi toh maine uska haath pakadkar rok liya aur apne paas bitha liya.....
Main - kya baat hai tum teeno gumsum si ho ........
teeno phir bhi chup the ......
Main jaanta tha k bhale ki kaamagni k maya se woh mukt ho gaye the ...lekin jo unhone room mein dekha toh ...uska kuch asar toh hona hi tha .....
mein - dekho main jaanta hu k tumne jo room mein dekha ....uski wajah se tumahare mann mein bahut kuch chal raha hai ........
kya tumhe apne pyar par vishwas nahi........
Bhadra - Aisi baat nahi hai bas hum bhi kuch samay aapke saath bitana chahte hai.......
hume pata hai room mein jo kuch hua woh kisi shakti k prabav se hua tha ....lekin yeh dil kya kare......
Rimpy - haa jaan yeh duriya ab bardasht nahi ho rahi hai......
Mein - aisi baat hai toh aaj raat mein timahare saath hi sounga ......lekin koi sharat nahi .....
Daksha - yeh bhi koi baat hui.....thodi si toh chalegi ......
Mein - ok done thodi si ......ab jaao main kuch kaam niptakar aata hu...
waha se mein Ritu k room mein pahuncha ...woh Ritu se kuch baat karna chahta tha......lekin mom bhi ussi room mein thi .......aur shushila chachi bhi wahi baithi thi.......
Mom - arre betu aao ..............mil aaya Rinku aur uski cousins se.......unhe koi pareshani toh nahi .
main samaz raha tha mom ka ishara kis taraf hai.......
mein - kya mom aap bhi ....aur....mom ki godi mein sir rakhkar let jaata hu........aur mom mere sir ko sahlane lagti hai.....
Mom - cahl mein sab jaanti hu tu muzse nahi chipa sakata .....
Chachi - kya chupa raha hai betu.......jara hume bhi pata chale .....
Ritu - yahi k aapka betu ....Ab shadi karne ki jaldi mein hai
Chachi - accha kaun hai woh
Ritu - wahi jo hamare saath aayi hai Rimpy.......
Chachi - accha ji....hume toh pta hi nahi.....sach mein ab hamata Abhi bada ho gaya hai.....
Kuch der aisi hi baatein chalti rahi ....main Ritu di ae baat karna chahta tha lekin mauka hi nahi mila.......
Phir amin wapas Cottage chala gaya ...jaha...Bhadra ....Daksha.aur Rimpy...mera intezar kar rahi thi.......
Thodi der unke saath pyar bhari masti ki .....phir hum saath mein hi sogaye........
Subah apne samay par nind khuli toh main cottage se nikal kar ghar k ander apne room mein fresh hone chala gaya......apne daily routine karke Dhyan mein baitha......
aaj bhi dhyan mein muzhe kuch drishya dikhayi diye .......issbar woh drishya spasht the.......Jaha muzhe ek khandher mein Markesh dikhayi diya .......drishya mrin muzhe waha k ek ek chiz dikhayi di..........
Jab dhyan khatam hua aur maine aankhien kholi toh dekha ...Mere saamne Addu aur Sona bhi dhyan mein baithi thi ..aur ek aankh khol kar bich bich mein muzhe dekh rahi thi........
main - kya kar rhi ho ho Sona ........
Sona - arre bhai toh uth gaye ......gm bhai....
mein usse apni goad mein lekar .....
mein- Gm & Happy Birthday to my sweet angel.....
Addu - Gm ..bhai....
Mein - gm gudiya .......
Thodi der unke saath masti ki phir dono Chali gayi mein uthkar niche aagaya.....aur cottage ki taraf ....tabhi waha lawn mein Ritu di gumsum si baithi thi........
Main bhi di k paas gaya .......aur baith gaya......
Main - gm di .....
meri aawaj sunkar di chauk gayi.....Gm bhai.....kaisa hai....
Mein - lagta hai di aap yaha khush nahi ho ......
Di - nahi toh khush hu.....main....muzhe kya pareshani ho sakti hai .......
Main - mann mein ( koi baat nahi di aapki saari pareshani aaj khatam ho jaayegi )
di - kya soch raha hai.....
Main - yahi di k meri pyari di ki saari parshani dur ho jaaye ...aur pahele jaisi hojaaye
phir mein waha se chala aaya .....
main samaz gaya tha k di kyu udas hai ....raat se jo baat nahi hui thi markesh se .......maine apni maaya se markesh ko jo drishya dikhaya tha....uske baad muzhe pata tha k woh di ko jarur call karega ...toh maine di k saare calls apne mobile pe divert kar diye the .......aur Rinku jo mimic karne mein expert tha usse Di ki aawaj mein markesh ki baat karayi thi.......
Ab prob yeh thi k di ko nahi pata tha k maarkesh ka koi aadmi usse lene aanewala hai..........lekin waha di ka jaana jaruri tha ......
yeh kaam maine Rinku ko saunpa.....
Ab mein Cottage mein shivali k saath baitha tha ....
Shivali - Jaan kya di ka waha jaana thik hai.....
Main - Jaan ...maakesh ek mayavi aur tantra vidya jaanewala asur hai ....isiliye hum koi maya ki Di toh waha nahi bhej sakte ....
aur di ka waha jana bhi jaruri hai taaki woh khud apni aankhon se uski sachayi dekhe......
unhe samazna hoga ....k ...apne pariwar se baatein chupana kitna anishtkari ho sakta hai........
Shivali - Lekin di toh uske mohni vidya k kaaran vash mein thi....
main - Main manta hu k mohini vidya k kaaran di usse prem karne ko badhya ho gayi ...lekin koi mohini vidya ......ghar mein apne dil ki baat batane se toh nahi rokti.... ...
Di ko samazna hoga k apne pariwar ki ahmiyat.....
Rinku apna kaam kar chuka tha .......
ab toh intezar tha ...bas raat ka .......
Sona ki Birthday party Newyork city k xyz hotel mein rakhi thi.....Sabhi tayar hokar Party venune par pahunche ......
Party hall bahut bada tha ....
poora hotel booked tha ....Chacha ji ne iss party mein sirf apne saare staff ko bulaya tha ....jo jyadatar Bhartiya the.....
party ki theme bhi traditionl thi......aur khane ki arrengments bhi ussi hisab se ki gayi thi.......
Sona toh muzhe ek pal k liye chod hi nahi rahi thi .......Cake kata .....aur party shuru hui.......Di baar baar time dekh rahi thi .........
Gifts ka sisila shuru ho gaya tha ......Sabhi Sona ko stage par jaakr wish karne lage
Sona aur Addu toh Gifts aur pic mein busy ho gayi thi........
mein wasroom jaane ka bahana kar k nikal gaya......aur Waha jaakar apne ek roop party mein bhej diya .....
Aur hotel k bahar aakar chupkar wait karne laga.....
tabhi maine dekha k di jaldi jaldi bahar nikli tabhi ek gaadi unke saamne ruki ........maine bhi der na karte hue ....Laghima shaki jo Daksha se milan par prpt hui thi uski madat se ekdum sukshma roop banakar gadi mein pravesh kar gaya .......
Di k baithte hi gadi full speed mein nikali ......aur waha se teleport hokar sidha pahunchi Ussi jagah jo muzhe dhyan mein dikhayi di thi .......Honduras k khandher mein .....
Achanak is trah se gadi k kisi jungle k bich khander par aane se di ghabra gayi .........
Di ne door khola aur bahar aagayi .......waha markesh besabri se intejar kar raha tha......
Markesh - aao jaan ....welcome ......to my world
Di - yeh sab kya hai aur yeh gadi wha se achanak yaha kaise aagayi.......
Maarkesh tum sawal bahut karti ho ......jaldi ander chalo samay bahut kaam hai.......
Di - nahi pahele muzhe sab sach batao........
Markesh - uff ....tum bhi ....kya tumhe muzpar vishwas nahi raha ........
Di k upper jo markesh ne Mohini vidya ka prayog kiya tha ....woh bas unke ander prem ko hi jaga paya ....di poori tarah se uske vash mein nahi ho paayi thi......Sahyad yeh di k ander special power hone se ho.....
Di - Vishwas hai tabhi apne pariwar ko chod kar yaha aayi hu ......lekin main bhi sach jaana chahti hu.....yeh mere jiwan ka bahut bada faisla hai ......
Markesh apne asur roop mein aajata hai.........lo dekh lo sach .....
waise bhi kahte hai marne wale ki aakhiri iccha puri ki jaati hai.........
toh suno main koi tumse pyar vyar nahi karta tum toh kewal mere lakshya tak pahunchne ka ek sadhan ho ..........
Muzhe Bali k liye ek Aisa manusya chahiye tha jiske ander divya shakti ho ....aur meri khoj tumpar aakar ruki ......
Maine dekha tum akelepan se dukhi ho ...tumhe koi saathi chahiye tha jo tumhe pyar kare samzhe.........
toh maine iss mauke ka fayda uthaya ....lekin meri vidya tumhe poori tarah vash nahi kar saki .....
Ritu - rote hue ......itna bada dhoka ......mein tumahari baatao mein aakar apne pariwar ko hi galat samzti rahi .....unse dur ho gayi......
hey bhagwan ....yeh mane kya kar diya ........Betu ne kitne baar muzhe pucha ...lekin main hi nahi samzhi .......
shayad main isike laayak hu
Lekin tum kya samazte ho tum bach jaaoge......agar muzhe kuch bhi hua toh tum bhi nahi bach paaoge.....
Markesh - Kaun maarega muzhe tera bhai .....uski shaktiyan toh kal raat ko hi kahtam ho gayi.......Uss lakdi k maare ki wajah se......aur ab tumari bali k baad toh woh wise bhi ek kamjor insan ban jaayega .......
chalo ab bahut hogaya tera natak aur aage badkar Ritu ka haath pakad leta hai ........Ritu gusse mein ek ek jordar punch uske pet mein mar deti hai.......
jisse woh thoda piche hat jaata hai........
Ritu - itni badi chaal chali tune ...mere betu ko nuksan pahunchaya ......tumhe toh mein jinda nahi chodungi .....aur usske taraf badi......
Markesh - Saali tu maaregi muzhe abhi batata hu ......aur Ritu ko pakadne k liye aage hi bada tha ....k side ki pasliyo mein jordar laat padi ........aur woh chikhte hue dur jaakar gira .......
Ritu ne dekha toh waha Abhi khada tha..........
Abhi - na...munna naa.....agar abhi tune di ko haath lagane ki koshsih bhi ki toh aisi haalat karunga k maut ki bhik maangega
Markesh - tum yaha kaise......nahi yeh nahi ho sakta .....kal raat k mere waar ne toh tumahari saari shakti khatam ho gayi thi......Aur iss Ritu ne bhi ph par muzhe sab bataya tha......
Tabhi waha Rinku Di ki aawaj nikalte hue pragat hua .........Haai janu kaise ho......
Rinku - toh aashik janab woh hum the jinko Ritu di samazkar tu gutar gu kar rahe the.....
Mein - Rinku tum di ko yaha se le jaoo....
Ritu - nahiii main iski maut dekhe bina yaha se nahi jaaungi......
Mein - Rinku ..suna nahi tumne ..le jaao di ko ....
Rinku - arre huzur dono k bich hume kyu fasa rahe ho .....
Markesh - tum kya sochte ho tum yaha se nikal jaaoge .......ha..ha...ha....
karkata .....tabhi waha uska saathi asur pragat ho jaata hai........
jo kisi ajeeb se jeev ko tarah tha aur uski aaankhien ekdum safed.......
Woh asur turant Ritu ki taraf lapka .....k uske muh par ek jor dar punch pada Abhi ka .....aur uske muh se ajeeb si aawaje nikalne lagi ......
Jisse ghane jungle mein asankhya jeev jinki ginti bhi nahi kar sakte khandhar ki taraf badhne lage........aur charo taraf se gher liya .....
Abhi - Rinku tu isse dekh tab tak mein inhe dekhta hu .........
Abhi ne Apna Divya dhanush nikala Aur usse aneko teer un jeevo par chodne laga ........teer lagte hi woh jeev ek gaade se liquid mein badalakar jamin par gir jaate -- aur phir wapas apne roop mein aajaate .......
Abhi ne ek shied ka nirman kiya jisse woh jeev khandahar mein na pravesh kar paaye......
Aur panch tatva ki urja se unpar waar karne laga ....lekin unki sankhya itni jyada thi ....Panch tatva ki urja bhi unka kuch nahi bigad paarahi thi .......
Tabhi Shivali ...Bhadra...Sulekha ....Shalu ...aur daksha bhi aagayi .....
aur un jeevo ka mukabla karne lagi........
Jab bhi un jeevo ko koi war lagta woh liquid mein badal jaate .....aur phir apne roop mein aajate......
Yaha Rinku ne Markesh ko pareshan kar k rakh diya tha .....
Rinku ka ladne ka tarika hi kuch alag tha Markesh jab bhi ladne k liye badta Rinku picche se ek jor se tapli uske sir par maarta .....aur apni utpatang baato se usse aur ulzha deta.....
Rinku - Kya baat hai yr maaru .....haa yahi naam thik hai......Saale baap ne maari mendki aur beta bangaya Shikari ....Bada aaya ...Markesh .....
Markesh khiz gaya tha .....ab usne apni sampurna urja ko ekatrit kiya .....aur Rinku par waar kiya ....Rinku ne bachne ki koshish ki toh woh waar jaakar laga Ritu ko jisse ...Ritu ko jor ka zhatka laga ....aur .....aur woh jamin par gir gayi .......
Yaha Abhi ne jeevo k khatme ka rasta dhund liya ........aur uske ishare par Shivali aur baaki Unn jeevo par waar karne lagi .....Aur jaise hi jeev liquid mein badalte Abhi Shhit lehar ka prayog karke unhe barf mein jama deta ........
Aise karke unn jeevo ka khatma hone laga ......
Yaha Rinku kuch karta uske pahele hi Markesh Ritu tak pahuncha aur ritu ko pakadne k liye haath badaya hi tha ......k achanak ek bhayankar urja pragat hui aur Ritu khadi ho gayi ......Uski aakhon se aur pure sharir se prakash nikalne laga tha....
Markesh k prahar k kaaran Ritu ki samriddhi shakti jagrit ho gayi thi.....
Samriddhi Shakti Vyakti ko Sampurna Aiswarya jaise ...Dhan ...Bal....Saundrya....Aur divyata...pardan karta hai....aur yadi kupit ho jaaye toh sab kuch chin leta hai.....
Tab tak Abhi aur baaki sab bhi jeevo ko khatam karke waha pahunche........
Sab Ritu k iss roop ko dekhkar hairan rah gaye the ...
Abhi aur Shivali ko chodkar.....
Tabhi ek tez kiran Ritu ki ankhon se nikalkar Maarkesh par padi aur woh tadapne laga......chikhne laga.....aur uska saara bal saari shakti samapt ho gayi.......
usski haalat 100 saal se uper budhe se bhi badter hogayi .......Saare badan par kewal patli si chamdi ki parat aur haddiyon ka dhancha sa rah gaya......
aur Ritu shant hokar behosh ho gayi ....uske jamin par girne se pahele hi Abhi ne usse tham liya .....
Markesh tapdapte hue - Maar do muzhe .....maar do ....
Abhi - itni aasani se nahi ab tu aise hi tadpta hua pal pal apni maut ka intejar karta rahega aur maut hai k itni jaldi nahi aayegi......
aaj k liye itna hi ......
agla update kal .......
Markesh ka kaam tamam ker dia aur aise halat kerdi ki maut ki bheek mangta firega sabse
Thanks for lovely update